Update:-26
FLASHBACK:-1
{New Town,New People}
Kashyap:- Yahi hai hamara chota basera hai jisko hum Omegas Ghar bolte hai aur pack bhi bolte hai( pack wali line usne haste huye boli thi matlab usko bhi dukh tha Omega hone ka)
Main:- Ghar wakai bahut bada hai.
Kashyap:- Log bhi to jyada hai Tumhe milake ke hum 35 log hai is ghar mein rehne wale.
Kashyap bhai ke sath main Ghar ke andar kadam rakhte huye bola
Main:- Kashyap bhai par Omegas ka Group to sirf 7 se 9 logo ka hota hai na.Aap ne kaise 34 logo ka Group bana diya.Aap Alpha bhi to ban sakte the na is group ke.
Kashyap:-Alpha har koi nai ban sakta uske liye Alpha ka khun hona chahiye tum mein aur Itna bada group isliye bana kyunki Jo bhi chota chota group mujhe mila main unko yaha leke aaya aur sab chote chote group ko milake humne ek bada group bana diya.
Isse hume aasani hoti hai Kyunki vampires ki tadat yaha kafi hai aur raat ko hum Akele ja nahi sakte kyunki hum mein se kuch log raat ko late aate hai kam kar ke. jitna bada group hoga utna hum ek dusre ki madad kar sakenge aur vampires se lad bhi sakenge agar jarurat padi to.
Main:- Achha hai par baki ke log kaha hai dikh nahi rahe hai.
Ye mein sofe pe baith te huye bola tha.
Kashyap mere paas wale sofe pe baithe aur meri baat sun diwar pe lagi ghadi ko dekha(jo subah ke 8:30 baj ne ka ishara kar rahi thi) aur bola
Kashyap:- kuch college gaye hai aur kuch kaam pe nikal gaye hai aur aadhe ghante mein kuch log kaam se aate hi honge.
Main:- Thik hai kuch khane ko mil sakta hai bohat zoro ki bhukh lagi hai kyunki parso se kuch khaya nahi hai.
Kashyap:- are ha maaf karna maine tumhe pucha nahi tum ek kaam karo tum koi bhi kamra choose kar lo kyunki tum ne parso se snan(bath) bhi nahi kiya hoga aur ha tumhe kamra kisi ke sath saajha (Share) karna hoga.
Main:- jinka kamra hai un ko aane do main unse Khud baat karunga agar un mese koi mere sath apna kamara saajha karna chahta hai to main uske kamre main rah lunga.
Kashyap:- Jaisa tum he Vaajib lage.
Ye bol Kashyap bhai Kitchen mein chale gaye.
Chand Minto gujar jaane ke baad kashyap breakfast leke aaya to maine vahi sofe pe baith ke breakfast khatam kiya.
Nashta khatam kar ke main Kashyap se baat hi kar raha tha ki tabhi Darwaze pe kadmo ki Aahaton ne hamara dhiyan us taraf mod diya.
Maine aur Kashyap ne jab uss taraf nazar Ghumai to darwaze ki dhliiz pe 7 log(ladke the Kashyap bhai ki aag ke) khade the aur wo mujhe hi ghur rahe the.
Unko ghur ta dekh Kashyap bola unse
Kashyap:- waha kyu khade ho tum log andar aao aur
Ye koi Gair nahi,ye bhi apna hi hai
Iske halat bhi,Hamare jaise hi hai
Ye Mouriya Rajput hai ye bhi hamare sath hi rahega.
Itna kehke Kashyap ne baat puri ki to Un 7 logo mese ek bola[Jisko main L1(ladka 1) likhunga.Aage aage in ka intro bhi hoga]
L1:- Kashyap tu aise kisi ko bhi kaise yaha la sakta hai.
L2 ne L1 ko bich mein tok te huye bola
L2:- Tum aise logo ko yaha lake khud ki aur hamari jaan bhi daav pe laga rahe ho.
Kashyap:- Jab main tum logo ko yaha laya tha tab to kisi ne aisi baat nahi kahi thi to aaj isse le aaya to ye sab kyu
Main Kashyap ki baat ko bich mein kat te huye bola
Main:- Khamakha meri wajah kyu lad rahe ho aap sab aisa hai to main hi chala jata hu yaha se.
Ye bol main utha sofe se aur main apna bag utha(jo mere pair ke paas hi pada tha sofe ke aasre) ke waha se Darwaze ki taraf.Jab main darwaze ki dhliiz ko paar kar ne hi wala tha ki tab Kashyap bola
Kashyap:- Mouriya tum he kahi jane ki jarurat nahi hai aur Amit aur Dipesh (un dono ladko ke naam the jin ko mere yaha rehne me Taqlif thi) ye jayega kahan aur tum he bhi pata hai ki sehar main akele werewolf ke sath kya hota hai.
Isliye ye bachpana chhodo aur yaad rakho hum sab ek dusre ke sahare hi zinda rehte aaye hai zinda hai aur zinda rahenge.
Amit aur Dipesh Kashyap ki baat sun un ke kamre mein chale gaye.
Jo 5 bache the unme se ek meri taraf aaya air bola
L1:- Tum hamare sath kamra saajha kar sakte ho kyon ki hum do hi hai kamre mein.
L1 ki baat sun main khush hua Kyon ki main nikala tha dil ka bojh aur zole ka bojh ek sath utha ke
Mouriya:- Tah-e-Dil se shukriya aapka jo aapne hume apna khud ka kamra saajha karne ko kaha.
Begane sheher mein kisi ne apna kaha hai mujhe
Aaj phir Ghaav pe marham ka ahsaas hua hai mujhe
mere Tah-e-aalam(Dukh ke bojh) pe mere Tah-e-Chashm(aankhon ke niche) pe ashk ubhar aaye,un ashko ko saaf kar ke maine unka fir se Tah-e-Dil se shukriya ada kiya aur main chal diya unke kamre ki taraf unke sath.
Unke kamre mein jane ke baad unhone mujhe unke kamre ke har ek kone se vaajib karaya mujhe.
Maine apna zola(bag) rakha bistar pe jispe koi nahi sota tha kyunki kamre mein 3 bistar lage huye the.
Apne bag mese kapde nikal ke snan kar ne chala gaya.Snan kar ne ke baad main aake bistar pe let gaya to jinhone apna room mujh se saajha kiya tha un mese ek bola
L1:- Ab sath rehna hai to ek dusre se jaan pehchan kar le kiya kehte ho Dost.
Main:- Mera to aap ko sab pata hai to aap apni hi pehchan bata dijiye mujhe.
L1:- Mera naam Aspak hai aur ye Faisal hai aur hum Yaha paas hi mein ek wood factory mein kaam karte hai.
Main:- aap ko mil ke aur aapke Naam-O-Kaam jan kar Khushi hui mujhe.
(L1 Aspak hai,L2 Faisal hai)
Aspak bola ab tum aaram karo thak gaye honge itne lambe safar se.
Main:- ha thak to gaya hu main par kar bhi kiya sakta hu sivay aaram ke.
Ye bol main bistar pe let gaya aur mere safar ke bare mein soch ne laga
Mera Safar bhi Safar-e- Gum ka hai
Mera Safar ye Safar- e- Sahraa hai
Mera Safar bhi Safar- e- Zaat ka hai
Mera Safar ye Safar-e-naseeb ka hai
Mera Safar bhi Safar- e- be-Talab hai
Mera Safar ye Safar-e-Zindagi ka hai
Mera Safar bhi Safar-e-be-jihaat ka hai
Mera Safar ye Safar-e-Musalsal ka hai
Mera Safar bhi Safar-be-aawaz ka hai
Mera Safar ye Safar-e-Aagai ka hai
Mera Safar bhi Safar-e-be-karaa hai
Mera safar ye Safar-e-qayamat ka hai
****************************************
Update 26
1173 words ka hai.