Update 48 Abhi Trying To Get The land Mortgaged
Jab Abhi ne apne pita se zameen ko mortgage karne wali baat kiya to usske pita ne saaf inkaar kiya, ussne kaha,
“Mera zameen sirf mera nahin hai beta, yeh tum sab bhai behnon ke hein iss mein sab ka hisssa hai tera bhi hissa hai main ne agar issko girwin rakh diya aur tu udhaar chuka nahin paaya to tere bhai behnon ka kia hoga? Bank wale zameen hadap lenge aur kissi ko kuch nahin milega. Main tere liye apne dusre bachon ka haq to nahin maar sakta nah?”
Abhi ne behez nahin kiya kyunke ussko sahi mein laga ke kahin kuch ulta ho gaya to wo apne chhote bhai aur do behnon ko kia de paayega…. To ussne baap ki zammen wale idea ko drop kiya magar phir bhi bank gaya kuch papers ko Director se lekar uss garage ko reopen karwane ke silsile mein….
Bank ke manager se ghanton bhar baat kiya, saare apne bus banaaye hue pics dikhaya…. Manager impress hua magar surety ke taur par zameen ya kissi bhi property ka hona zaroori tha ussne kaha Abhi se.
Abhi ne manager se kaha ke garage ko hi mortgage kar liya jaaye, usske tamaan machineries, usski zameen, aur building sab….magar manager ne kaha wo to already mortgaged hai nah ussi ko churrwaane ke liye dusri mortgage ki zaroorat hai. Varna Abhi ko loan nahin diya jaa sakta…. Abhi ne manager se pucha kitna zameen chahiye uss value ki mortage ke liye… to manager ne kaha kum se kum aadha acre to hona chahiye.
Abhi udaas lauta bank se aur usske samajh mein nahin araha tha ke kia karen kaise karen….. aakhir mein socha ke idea ko drop karen aur apne ghar ke saamne apne khud ka chota sa garage khole aur coach building shuru kare apne khud ka…. Magar usske liye bhi paise chahiye the, aur saare machines kharidne ke liye bhi to paise chahiye, aur socha ke puraane garage ke machineries kharid paayega shaayad kyunke wo sab liquidation par to the hi….. Abhi raat bhar uss ke baare mein sochta raha…
Aur Navina ko khat likhte waqt inn sab ke baare mein bataya ke wo pareshaan hai kyunke ussko nahin samajh mein araha ke kaise ussko bank se loan mil sakta hai ab….
Abhi Navina se kuch bhi nahin chupata tha, jo bhi apne diary mein likhta sab kuch Navina ko bata deta tha….
Navina ka jawaab aaya dusre din to Abhi dang reh gaya usske khat padh kar!!! Usske aankh bhar aaye aur wo ro pada Navina ke khat padh kar…. Kayi mahinon baad aaj Abhi roya tha…. aaj ke aansoo Ruhi ke liye nahin tha, ek dost ke liye tha, ek aisa dost jo ajnabee thi, koyi Rishta nahin tha usske saath magar Abhi ke madad ke liye tayyaar khadi thi kissi bhi haal mein.
Navina ne likha tha,
“My father has already given me my share of land and it is on my name, I have a little bit more than half an acre of land, if you want I can come to the bank with you to get it mortgaged so that you get the required amount to restart that garage you once worked at!”
Aisa kaun karta hai? Apne bhi nahin karte, aur wo ajnabee thi, sirf khaton ke zarye pehchaan thi uss se. Ussne apne zameen ko girwin rakhne ke liye kaha Abhi se!
Abhi ne inkaar kiya, khat ke jawaab dete hue.
Navina ne reply mein insist kiya ke Abhi ko accept karna chahiye usski help, aur Navina ne Abhi se phir milne ke liye kaha urgently.
Donon phir mile ussi jagah, baat kiye, discuss kiye, Navina apne land ke kaagazaat lekar aayi thi aur Abhi ko dikhaya ke sab legal hein aur usske naam par hai. Abhi usske ehsaanon ke tale dabba rehna nahin passand kar raha tha tab Naina ko kehna pada ke wo Abhi se pyar karti hai shuru se hi aur uss pyar ke liye wo kuch bhi kar sakti hai….. Abhi ko Navina se pyar nahin tha. Magar Abhi ko pata tha pyar ke badle pyar nahin paane se kia beetta hai kyunke wo guzar chuka tha uss gali se…. to ussne Navina ko kuch nahin kaha phir bhi Navina ne khud kaha,
“Main aap se kuch nahin maang rahi hoon apne pyar ke badle… main aap se nahin keh rahi hoon ke aap bhi mujhse pyar karo Abhi… mujhe pata hai aap Ruhi se pyar karte ho, main sirf apni baat kar rahi hoon ke mujhko aap se pyar ho gaya to kia karun? Jaan bujh kar to nahin kiya buss ho gaya… aap ke ek khat ke bina nahin reh sakti, aap ek din mujhe nahin post karo to main bimaar hone lagti hoon, aap ki khabar nahin mile to bechain rehti hoon, mere dil o dimaagh mein sirf aap basse rehte ho, raat din aap ko aur aap ke baare mein sochti hoon…. Yeh pyar nahin to kia hai?!”
Abhi ko shak tha, magar yakeen nahin tha ke Navina uss se pyar karne lagi hai…. Yeh tabhi ho gaya tha jab Navina ne Abhi ki diaries ko padha tha….. jiss tarah se Navina Abhi ko khat likhti hai unn khaton se Abhi ko shak aur darr bhi tha aur aaj Navina ne keh bhi diya…. Aur Abhi nahin chahta tha ke Navina ko wo takliff mile jo Abhi ko mila tha Ruhi se….. To Abhi ne Navina ke pyar ko accept kiya aur donon ke jald mangni ho gaye….. 1987 mein hi….
Mangni ke baad bhi donon ek dusre ko likhte rahe, phir phone lag gaye ghar mein aur ek dusre se raat raat bhar phone par baat karte donon…..
Do saal tak courting chala donon ka aur 1989 mein 10th December ko donon ne shaadi kiye…..
Magar shaadi se bahot pehle, mangni ke baad hi bank se loan mil gaya Abhi ko, Navina ne apne land mortgage karwa diye, aur garage reopen kar diya Abhi ne aur kaam chaalu ho gaya tha garage mein 75% puraane workers wapas agaye the aur bus owners apne busson ko laane lage the garage mein repair ya naya banaane ke liye… kaam mast chalne laga tha aur in do saalon mein Abhi ne Ruhi ko bilkool hi bhula diya tha….. bhula diya tha iss tarah ke kaam aur Navina ke beech Abhi ka pura time nikal jaata tha…. har weekend mein navina ke ghar guzaarta… Saturday shaam jo jata raat bhar Rehta aur Sunday shaam ko ghar wapas ata, phir Monday ko garage chala jata din bhar kaam karta shaam ko ghar ata naha dho kar Navina ko likhta, ya phone par baat karta….. ek minute time nahin tha usske paas kissi aur chiz ke baare mein sochne ke liye….
Kissi din to Navina garage chali aati Abhi se milne jab wo kaam kar raha hota tha sham ko. College to 3 baje end hoti to Navina ghar nahin jaati Abhi ke paas chali aati…..
Weekends mein kabhi donon baahar milte, door ghumne jaate ishk farmaate, jangalon, natural places mein jaate jahan koyi kabhi nahin jaate weise jagahon mein ishk farmaate donon….. pure do daal tak aisa chala donon ke bich….
Navina ke pyar mein Abhi giraftaar ho gaya tha at last aur dhire dhire Navina ke saath rehte hue Abhi ko aakhirkaar uss se pyar ho hi gaya….. kissi ke saath rehte hue, pyar ho hi jata hai, ussko rokna naamumkin hota hai khaas kar agar insaan best ho to…. Navina ek nagina thi, ek angel thi jo aasmaan ne diya tha Abhi ko gift ke taur par…. shaayad aasman ko taras agaya tha Abhi par, usske tute hue dil ko jodne ke liye aasmaan ne Navina ko Abhi ke jholi mein daal diya tha.
Donon khush the, Khushi se jiwan bassar kar rahe the. Navina bahot pyar nichaawar karti thi Abhi par….. Navina ne part time course bhi kiye shaadi ke baad…. Abhi chahta tha ke wo aur aage badhe, to 5 saal part time course karne ke baad Navina ne PGCE ki degree haasil kiye aur teacher ki Naukri barkaraar rakha aur part time lecturer bhi ban gayi university mein. Navina shuru se Abhi se bahot ziada academically qualified thi. Aur Abhi chahta tha ke Navina aur ziada qualified ho.
Utna highly qualified hone ke bawajud Navina ghar mein apne haath se pakati thi aur saare ghar ke kaam khud karti thi, ussko naukrani rakhna passand nahin tha. Ek din bhi aisa nahin hua tha ke donon kabhi baahar kissi restaurant mein khaane ke liye gaye….. hamesha ghar ke khana khaate the donon….
Din bhar Naukri karti Navina, ghar par bahot saare students ke copy books laati correct karne ke liye phir bhi ghar ke saare kaam karti thi. Aur Abhi ka khayal bhi rakhti. Abhi ko ek bhi shikaayat ka mauka nahin mila kabhi Navina se. Perfect wife thi wo. Laakhon nahin karoron mein ek. Kaise aise insaan se koyi pyar nah karta?
Aur rahi baat Abhi ki to, wo koyi bade boss ki tarah nahin rehta garage mein…. Wo khud kapde badal kar gande kapdon mein subha 7 se shaam 4 baje tak tamaan workers ke saath khud kaam karta. Koyi bhi garage mein ata aur Abhi ko dekhta mazdooron ke bich to samajhta ke wo bhi ek worker hai… jab pata chalta ke wo maalik hai garage ka to sabko shock lagta….
350 log kaam karte the uss garage mein, per day 10 buson mein kaam hote the…. Kabhi kabhi 12 se 15 busson mein bhi kaam hote the… agar Abhi chahta to office mein suit boot pehen kar baitha rehta, mazdooron ke aage piche rehta check karte hue magar nahin ussko apne gande kapdon mein rehkar kaam karna passand tha, tin kaatna, lohe mein drill karna, welding karna, rivet lagana , yeh sab karne mein ussko chain aur sukoon milta tha, bilkool apne tamaam workers ki tarah kaam karta tha…. Saare workers Abhi ke izat karte the, big respect dete the ussko, aur kyunke wo maalik hokar khud kaam karta tha to kissi ki majaal thi jo wo kaam nah kare aur kissi bhi delivery mein deri ho? Iss vajah se Abhi ki garage bada tarraki karne laga tha aur kaam multiply hote jaa raha tha….
Garage ka naam Abhi ne ABRUHI rakha tha
Saamne board par likha hua tha:
ABRUHI COACH BUILDING AND ALLUMINIUM WORKSHOP
Tamaam office papers par logo mein ABRUHI design hota tha. Ek manager, ek secretary aur ek team manager tha office mein. Finance manager khud Abhi tha, aur worker bhi tha, aur khud ko worker ki aur Finance manager ka tankhwa deta tha Abhi.
To be continued….
Last edited: