Update 6 Second Day at WorkAur wo chala gaya khud ko saaf karne magar wahan Saeed aur baaki ke do log uss se pehle wash kar rahe the to Abhi ko wait karna pada tab tak wo kitchen mein dekhta raha, aur Ruhi bhi baar baar usske taraf dekh rahi thi apne kitchen ke kaam karte hue…..
Ab aaguey…
Abhi ne aine mein apne chehre ko dekha aur khud ko sharam aya usse, usske donon taraf gaal par kaale dhabbe lage hue the, baal bikhre hue the, chehra dhoop mein jhulass gaya tha, gore rang par jaise ek brown colour chipak gaya tha; khud ko dekhte hue abhi ne thoda ghussa kiya ke kyun wo ruka uss aurat se baat karne ko aur kissi ne bhi ussko nahin bataya ke usske chehre par kia laga hua hai, sochne laga ke kia issi liye Ruhi ussko dekh kar muskura rahi thi? Abhi ne khud se kaha,
“kia sochegi mere baare mein? Yehi nah ke main ganda hoon, I am a dirty brat?! Sala log ek ladki ko dekhne jaate hein to smart, handsome ban kar, naha dhokar saaf suthra kapde pehen kar, naye joote, best shirt, khud ko presentable karke ladki ke saamne jaate hein aur main iss tarah se ganda dikh raha hoon kaun passand karega mujhe iss haal mein dhat!!”
Abhi ko sharam feel ho raha tha aur kitchen ke taraf dekhna bandh kar diya apna turn wait kiya khud ko fresh karne ke liye; magar usska dil nahin maan raha tha ke wo Ruhi ko kitchen mein nah dekhe, usska mann tha ke wo ussko dekhe pakaate hue, ussko admire kare, to Abhi ne apne doston ke peeth piche chhup chhup kar Ruhi ko dekhna jaari rakha….. ussne ek baar dekha ke Ruhi ki maa ussko kuch keh rahi thi aur Ruhi zor se hanssi aur usske taraf dekha, wo khilkhila kar hanssi thi, Abhi usski uss hanssi par fida ho gaya, ussko Ruhi ko aur weise hansste hue dekhne ko mann kar raha tha…. hanssne ke baad Ruhi chulhe par ek dish mein mein ek ladki wale spoon se kuch chala rahi thi, matlab mix kar rahi thi, tarkaari paka rahi hogi Abhi ne socha.. aur weise hanssne ke baad Ruhi ke chehre par ek Muskaan baaki tha aur ussne apne niche wale honth ko daanton mein dabaate hue apni maa ke taraf dekha aur ussko kuch kaha, phir ek haath se Ruhi apne chehre se ek latt ko apne sar ke upar kiya tab weise hi ek honth ko daant mein dabaaye hue hi Abhi ke tarraf phir se dekha aur donon ke nazrein mile…. Abhi ke chehre par ek Muskaan ban gaya tha apne aap Ruhi ko admire karte hue.
Ab kyunke ussne dekha ke Ruhi ne usske chehre mein dekha to ab Abhi ne socha ke ‘Ruhi kahin yeh nah samjhe ke main uss se muskura raha hoon, main to usski adaaon par muskura raha hoon….’ Aur abhi ne nazron ko ek taraf kar liya.
Phir Abhi ne khud ko wash kiya aur kapde change kiye. Ab wo apne unn kapdon mein tha jiss se subha bus mein aya tha. jiss kapde se kaam kiya tha ussko wapas ghar lejaane ko pack kiya kyunke wo maile ho gaye the kuch ziada hi. Weise ek hafte tak ek kaam karne wala kapda pehenta hai magar aaj ki baat kuch aur thi kyunke gande bus ko saaf kiya tha to khud maile ho gaye the iss liye kapde ko wapas lejaana pada….
Jitna time Abhi ne liya khud ko dhone, saaf karne ke liye tab tak Saeed tayaar ho gaya tha aur ab Ruhi ki maa uss se baat kar rahi thi. Matlab jo jawaab Abhi ko dena tha wo jawaab Saeed de raha tha Ruhi ki maa ko aur Abhi ne dekha ke Ruhi ab stairs par khadi Saeed ki baton ko sun rahi thi apne maa ke saath.
Aur jiss waqt Abhi apne baalon mein kanghi kar raha tha khud ko aine mein dekhte hue ussne dekha ke Ruhi ki nazrein uss par the. Ruhi Abhi ko baal banaate hue dekh rahi thi thoda muskuraate hue. Aur donon ke beech ziada faasla bhi nahin tha, aamne saamne the donon, yeh pehli bar tha ke Abhi Ruhi ko itne karib se dekh raha tha. Bahot hi acha feel hua Abhi ko. Usska dil machalne laga, bahot khush tha wo. Ussne ekaat baar Ruhi ko dekha weise hi muskuraate hue, aur iss baar Ruhi hanss padi Abhi ko dekhte hue, pata nahin kyun ussko hanssee aayi. Abhi ne dobara aine mein dekha Ruhi ko hansste hue dekh kar ke kahin usske chehre mein kuch aur to nahin laga hua hai, sab saaf tha to kyun hanssi wo Abhi ne socha!
Ek blue Jean aur ek white Tshirt mein dressed tha Abhi aur ab ek handsome young man dikh raha tha. ussne khud ko kayi baar aine mein dekha, chehre par haath ferra kayi baar aur Ruhi ki nazrein uss par tikke rahe muskuraate hue. Ruhi ab Saeed ko nahin sirf Abhi ko dekh rahi thi; aur jab Abhi tayaar hua wahan se nikalne ke liye to Mehboob nikla ghar se aur Saeed ke paas khade hokar baat karne laga…. Tab tak Abhi chalte hue Saeed tak reach hua apne bag ko kaandhe par taange hue, aur ek nazar Ruhi par kiye hue. Ruhi ki nazar Abhi par hi thi jab wo ruka, Mehboob se handshake kiya, aur Saeed se wapas chalne ko kaha. Baaki ke do workers chale gaye the tab tak. Saeed ke paas ek aur ladka koyi 27 ya 28 saal ka baat kar raha tha magar usske haath mein ek camera tha jiss se wo bus ki photos le raha tha, kal jab bus aya tha tab bhi ussne kuch photos liye the. Abhi soch raha tha ke wo kaun hoga, shayad Mehboob ka koyi rishtedar hoga ussne socha. Aur ek budha aadmi bhi tha Mehboob ke paas lagbhag 70 saal ka budha jissko Ruhi ne dada kehkar phukara aur ussko kuch dene lagi, tab Abhi ko pata chala ke wo r
Ruhi ki dada ji hai kyunke kal Abhi ne uss budhe ko Ruhi ke ghar ke saamne baraamde mein dekha tha. to jaane se pehle Abhi ne sabse handshake kiye, aur uss budhe se bhi, aur budhe ne abhi se pucha,
“kidhar ka bashinda ho beta? Door jaana hai kia?”
Abhi ne ussko jawaab diya ke koyi 30 kms tak jaana hai aur apne muhalle ka naam bataya dada ji ko. Uss waqt Ruhi dhyaan se muskuraate hue abhi ko dekh rahi thi usske dada ji se baat karte hue. Abhi ko acha laga ke Ruhi kitni der se ussko weise dekh rahi thi.
Aur aakhir mein Abhi ne wapas jaane ki kadam uthaye aur ek nazar Ruhi ke taraf dekha aur ussko bye wave kiya, saath saath usski maa se kaha, “bye aunty, kal milte hein!”
Ruhi ne hanss diye Abhi ko weisa kehte sunkar aur wo ladka jo bus ki chasis ka photos le raha tha wo bhi hanssa Ruhi aur usski maa ke taraf dekhte hue….. Abhi ne to Ruhi ko wave kiya magar Ruhi ne uss se wave ke badle sirf laugh kiye.
Bus mein wapas lautte waqt Abhi ne Saeed se pucha,
“Wo ladka kaun tha jo photos le raha tha bus ki?”
Saeed ne jawaab mein kaha,
“wo uss aurat ka bada beta hai jissko tu taad raha tha kal!”
Abhi heyraan hua aur kaha,
“What? Main kahan taad raha tha uss aurat ko? Aaj wo khud mujhse puch rahi thi ke kab tak bus ka kaam pura hoga!”
Saeed ne tab kaha wo joke kar raha hai,
Abhi ab sochne laga ke Ruhi ka itna bada aur ek bhai hai matlab Ruhi ka bada bhai! Shayad issi liye wo bhi hanssa tha jab Abhi ne usski maa ko bye kaha tha, Abhi ne socha….. aur wo din bhar nazar nahin aaye kyunke wo kahin kaam par gaya hua hoga din bhar iss liye sirf shaam ko nazar aya.
Ghar pahunchne se pehle Abhi ne dukaan se ek mota sa thick cover wala copy book kharida 400 pages wala.
Aur ghar jaate hi baith gaya uss mein likhne. Pehle usski cover par title likha – “The Days I Spent At Ruhi’s Place”
Pages ko number karna shuru kiya, phir jo kal 5 pages ka likha tha apne dairy mein wahan se sab copy kiya uss nayi copy book mein, aur aaj ki din bhar ka event likha Abhi ne. Sab kuch likha. Kiss tarah se Ruhi ussko dekh rahi thi, kiss tarah muskura rahi thi, kiss tarah kitchen mein pakka rahi thi etc . Apne feelings ko likha, ussko kitna acha lagta hai wahan jaana, wahin rehne ko mann karta hai yeh sab kuch likha Abhi ne. Aur yeh lines likh kar aaj ka likhna end kiya;
“I wish I would be living in that village of hers. Thus, I could go there any time and look at her. What could she be doing at this time? Had she already had dinner? Must she be watching TV with her family? How nice it would have been if I suddenly reach there at this time and she gets surprised to see me! Would her mother ask me to get inside and watch TV with them? Would I get a seat close to Ruhi and we both hold each other’s hands and watch TV?”
Ek sapna likh raha tha Abhi, ussko iss sapne ko sach karna tha.
*********************************************************************************
Agle subha aur bhi ziada savere uth gaya Abhi. Usske dilo dimaagh mein sirf Ruhi bassa hua tha. Toilet kiya, brush kiya, aur brush karte waqt soch raha tha kia Ruhi uth gayi hogi iss waqt? Subha ke 5 baja tha. ya abhi neendh mein hogi? Aur agar neendh mein hogi to mujhko sapne mein dekh rahi hogi kyunke main ussko yaad kar raha hoon…. Abhi ne baal mein kanghi chalaate hue yaad kiya kiss tarah kal Ruhi ussko dekh rahi thi jab wo kanghi kar raha tha apne baal mein shaam ko, aur socha ke ab shaayad har roz weisa mauka milega ussko kyunke ussi time ko har roz kaam end karna aur wash karne jana hai aur ussi waqt Ruhi kitchen mein cook kar rahi hoti hai, yeh soch kar Abhi ko Khushi hui, dil ko ek sukoon mila.
Abhi ne shave bhi kiya, weise to har do din baad shave karta tha, magar kyunke ab Ruhi ka saamna karna tha ussne shave kiya aur soch liya ke jab tak Mehboob ki bus mein kaam karega har roz shave karega…. Wo chahta tha ke wo Ruhi ko handsome dikhe. Handsome to tha hi Abhi ziada hi hansdsome tha, magar unn dinon clean shaven hona hota tha, jiss ne teen din se ziada shave nahin kiya ussko ganda kaha jata tha…
Ab kaam ke usske saare puraane kapde hote the, magar ussne yeh bhi decide kiya ke ab purane wale kapde nahin pehnega wahan jab tak kaam karega. Ek dark jean aur ek dark blue wala shirt liya kaam karne ke liye. Weise to takriban saal bhar ek set kapda use karta tha, aur 4/5 saal purana kapda use karta tha kaam karne ke liye, magar Ruhi ke liye sab special karna chahta tha. To behtareen kapda liya kaam karne ke liye, wo libaas jo ab tak almost naya tha ussko ek saal tak pehen sakta tha ussne ussko kaam karne ke liye le liya.
Aur aaj subha 6.30 ko abhi reach ho gaya uss muhalle mein. Shop se cigarrte kharida aur kasht maarte hue uss aangan mein dakhil hua, aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhte hue aaguey badhta gaya ke achanak ussko garden mein koyi dikha…. Garden right hand side mein hai, plan mein dekh lena update 4 par…. Abhi ne bilkool bhi nahin socha tha ke itne savere wo Ruhi ka saamna karega….. Ruhi night gown mein thi aur garden se gulaab ke phool pick kar rahi thi… usski haath mein ek kainchi thi jiss se wo phool kaat rahi thi, usski left hand mein koyi 4 ya 5 gulaab already the aur wo aur kaat rahi thi, usski nightgown pale blue color ki thi, lambi thi usski pura jism dhaka hua tha niche tak, yahan tak ke usski chappal par uss dress ki last end chhuh rahe the…..
Ab samajh mein nahin aya ke Ruhi Abhi ko dekh kar darr gayi, sharma gayi ya bilkool expect nahin kiya tha ke itne savere koyi ghair usski aangan mein achanak prakat ho jaega, aur usska chehra bilkool badal gaya, sirf ek teerchi nazar se ek baar dekha Abhi ko ek pal ke liye aur turant chehra ek taraf kar liya Ruhi ne, jab tak abhi usske level reach hua, to abhi ne usske taraf dekhte hue kaha,
“Hello, good morning, how are you?!”
Ruhi ne ek shabd bhi nahin kaha. Wo gulaab ke phoolon ko dekhti rahi, Abhi reply expect kar raha tha, magar ruk to nahin sakta tha ussko aaguey badhna tha washroom ke taraf change karne ke liye, agar ruk kar Ruhi se savere savere baat karta to sahi nahin hota Abhi ne socha, kyunke abhi usski jaan pehchaan bhi nahin hui hai uss se, iss liye Abhi aaguey badhta gaya mudhkar Ruhi ke traraf dekhte hue, aur dhire dhire kehta gaya,
“bahot khubsurat gulaab hein, shabnami katrein nazar arahe hein gulaabon ke upar, photos lenge to behad khubsurat lagenge….”
Khuda jaane ke Ruhi ne Abhi ke unn baton ko suna bhi ya nahin, Abhi badhta gaya washroom ke taraf weisa kehte hue…
Abhi washroom mein apne working clothes pehente hue sochne laga ke kal shaam wali Ruhi aur aaj ki garden wali Ruhi mein kitna antar hai. Kal shaam wali Ruhi kitni khil kar dekh rahi thai Abhi ko, ussko bye bhi kiya tha Abhi ne wave karte hue aur wo hanssi thi, aur aaj bilkool alag thi wohi Ruhi….. ek good morning ka jawaab bhi nahin diya savere savere….. Abhi ne khud se kaha,
“Sala ek good morning ka reply karne mein kia jata hai? Mera din ban jata aaj agar ussne mujhe good morning keh diya hota to, din mazedaar guzarta aaj mera… magar ab to mood hi kharab ho gaya savere savere yaar, main kyun aaj itni savere agaya yahan…. Kaash wo ab kitchen mein ajaaye to main dobara ussko good morning karunga aur kahunga ke good morning ka jawaab dete hein khamosh nahin rehte….!”
Washroom se kapde change karne ke baad garden ke taraf jhanka Abhi ne aur dekha ke Ruhi ne phool tod liye aur ghar wapas chali gayi thi saamne wale darwaze se ghar ke andar gayi, kitchen ke taraf nahin aayi… ab ghar ke andar se zaroor kitchen mein aegi to abhi wahin wait karta raha kuch der tak… kitchen ka door open tha magar kitchen mein koyi bhi nahin dikh raha tha…. usski maa bhi nahin thi….
Abhi sochne laga – “kia Ruhi ne hi chai banaaye honge ya usski maa ne? kia Ruhi sabse pehle uthti hai, aur kitchen mein aati hai? Kitchen saaf suthra dikh raha tha…..”
Tab tak Rahima apni kitchen se Abhi ko hello karti hai puchte hue ke itne savere chale aaye….. Rahima ek 30 se 33 saal ki bahot khubsurat aurat thi. Usski ek unique beti thi Farzina naam se jo primary school jaati thi…. Abhi ne ek do baat kiye usske saath Ruhi ke kitchen ke taraf dekhte hue….
Abhi phir sapnon ki dunya mein kho gaya. Ussne kuch aisa socha ke kaash Ruhi kitchen mein aaye aur Abhi se puche ke ussne chai pee liya, aur ek cup chai serve kare abhi ko apne haath se…
Abhi ne itna socha hi tha ke Ruhi ne to nahin magar Rahima ne ek cup chai diya abhi ko, garma garam chai jo abhi abhi banaya tha ussne.
Chai peete hue Abhi Ruhi ke kitchen ke taraf dekhta gaya Ruhi ko sochte hue, aur usski bagiche mein bartaav ko sochte hue…. Abhi ko kuch acha nahin lag raha tha, usska din aaj bahot bura guzrega ussko lagne laga tha….
“kyun Ruhi ne mujhko jawaab nahin diya? Kyun ek taraf dekha ussne? Kal to sab thik tha aaj kia ho gaya? Kia aaj din mein mujhse muskuraegi? Mujhko dekhegi bhi ya nahin? Kyu eisa behave kiya ussne mere saath savere savere? Main kia samjhun? Kia ussne mujhe suna nahin hoga? Aisa keise ho sakta hai, sab khamosh the, fiza thandi, ek awaaz bhi nahin kahin, keise meri awaaz nahin suni hogi IMPOSSIBLE….. achi tarah se suni ussne mere waaz ko magar jaan bujh kar jawaab nahin diya ussne…. Kia main ajnabee hoon? Kia kal humne baat nahin kiye? Usski maa se, usske bhai se, dada ji se, sabse baat to kar liye to ajnabee kaise hua main?!!”
Abhi ko kuch bhi acha nahin feel ho raha tha… usska dil jaise baitha jaa raha tha, himmat nahin ho rahi thi usse aaj kaam karne ki…. Weakness feel karne laga sirf Ruhi ki berukhi ki vajah se….
Kuch der baad wo bus ke paas gaya ek aur cigarrete jala kar, chasis ke charon taraf ghuma aur soch raha tha kahan se shuru karen frame banane ko, tabhi Saeed aur do dusre mulazin haazir hue…..
Abhi ko pata tha, balke laga aaj ka din lamba aur bhaari guzrega…. Welding karna hai aaj din bhar, bus ki chasis par frame weld karna hai…. Tabhi kitchen ke stair par Ruhi aur usski maa nazar aaye. Ruhi ab nightgown mein nahin thi, ussne ek white blouse aur dark skirt pehni hui thi…. Phir turant Ruhi apne ghar ke saamne wale hise par aayi tap one ke paas wahan jharu lagaane aayi, kal bhi wohi kiya tha, ek chota sa baramde par jharu lagaa rahi thi aur Abhi ke bus do kadam ki doorie par thi, jhuk kar jharu lagaa rahi thi aur Abhi ki nazrein uss se hatt hi nahin rahe the…. Ruhi ko pata tha ke Abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,
“cigarette pina achi baat nahin hai ji!”
To be continued…………. (3103 words)
Wo part jab Abhi washroom se Ruhi ko dekh rahi thi pakaate hue aur Ruhi khilkhila kar hanssi thi dant me honth dabate hue Aur Abhi baal me kanghi kar raha tha wo best part tha.
Fantastic update