• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

Who are your two favorite male characters in this story?


  • Total voters
    238

Munib

Member
147
181
43
UPDATE 1 ~
[THE TUOTRIAL TOWER]

Manali
Evening ~ 04:14


*Thud*

"Ye ho gya akhri Sofa" Single Sofe ko neeche rakhte huwe 1 admi ne bola phir usi sofe per baith ker saanse drust karne laga.

"Itne me thak gye Parth? abhi to aur bhi samaan nikalna hai Truck me se" Dusre Adhik umar ke Admi ne table ko rakhte huwe hans ker kaha.


Parth: (sigh) Pata hai pata hai! Ab saans lene to ruk he sakta hu.

"Arey Manohar bhai sahib! Aram se ker lo ap kaam koi baat nahi, Ap ki bhabhi ne chaye banayi hai ye pee lo phir ker lena baki kaam" Ek aur Admi ne haath me chaye pakre kamre ke andar ate huwe kaha.


Manohar: Arrey! Ashwin main ne kab kaha aram ne kare? per Aram karne jitna kaam bhi to kare na pehle akhir paise kis kaam ke leta hai?

Ashwin: Chale koi baat nahi bacha hai abhi wo, kaam to ho jaye ga chaye pee le pehle warna ap ki bhabhi Gussa kare gi.

Ashwin ne chaye ko table per rakhi aur Manohar ko Sofe per baitha dia, Manohar ne bhi aage kuch na kaha aur chup chap chaye peene laga.

Manohar ki umar 35 saal thi uss ka apna Furniture ka kaam tha aur iss waqt wo Furniture Deliver karne aya huwa, Wiase to manohar dukan me kaam karne wale larko ko bhej deta tha lekin ye furniture us ke purane dost Ashwin ke ghar ana tha iss liye wo khud bhi saath aya tha.

Us ke saath us ki dukan me kaam karne wala larka baitha tha Parth, Kaam to karta tha per nakhre bhi bohat the aksar Manohar se us ko daant bhi sun'ni parti thi

Ashwin: Bhai sahib Aarav ko bhi andar ane ko keh dete! Bechara kab se laga huwa hai wo bhi kuch der baith jaye, us ki halat bhi mujhe kuch sahi nahi lag rahi.

Ashwin ne khirki se bahir ek Jawan larke ko December ki thand me kaam karte daikhte huwe kaha

Manohar: (Sigh) Ap ko kia lagta hai? agar use bula sakta to main kiu na bulata? use agar kahe gye bhi to wo nahi aye ga, Yahan se uss ko jaldi kaam pura ker ke dusre kaam per nikalna hai, Iss liye yahan ka kaam wo jaldi niptana chahta hai.

Manohar ne chaya ka khali cup wapis Table per rakhte huwe kaha, Us ki ankho me Mayooshi jhalakne lagi thi maano wo bebas ho is mamle me.

Ashwin: (Frowns) Per iss halat me dusra kaam? Aise agar wo kaam karta raha to wo khud ko koi bara nuksaan pohancha baithe ga.


Manohar: kia kahu Ashwin! Bechare Bache ko kis muh se kahu ke wo aram ker le Maa Bachpan me dono behan bhai aur baap ko chorr gayi, Upar se jo baap tha wo zimedariyo ko nibhane ke kabil he nahi tha, aur akhir main 2 saal pehle wo bhi duniya se chala gaya bache ke sar per 18 saal ki umar me kanwari behan ki zimedari aa gayi iss liye School chorr ker kaam per lag gaya Zindagi itna sab us bache se le ker bhi khush na huwi ke kuch arsa pehle us ki behan ki medical report me Cancer dikh gaya, Sirf stage 2 hone ki wajha se cancer curable to hai lekin paise to us me bhi lagte hai na? ab ye bacha 18 ghante lagatar alag alag jagha per kaam ker ke paise ikathe ker raha hai apni behan ke liye.


Manohar ki baat sun Ashwin ki ankho me Aarav ke liye hamdardi jhalakne lagi, wo daikhne laga kis tarha bina kisi bhi cheez ki parwah kiye 1 jawan larka mehnat ker raha hai

*****

Wanhi bahir Aarav ek ek ker ke sab cheeze truck se bahir rakhne me laga huwa tha, Aarav 20 saal ka ek jawan larka tha us ke kapre purane the use daikh ker he pata lag sakta tha ke wo theek se khana nahi khata us ki ankho ke neeche dark circle ban rahe the der raat tak kaam karne ki wajha se.

8d5f4848f855a9ad2c2a1b78d4facc82.jpg

Sab cheeze bahir rakh ker Aarav Truck se neeche utarne ke liye truck ke kinare per aa gya, Aarav neechhe utarne he laga tha jab achanak us ka paon phisal gaya us ne khud ko bachane ke liye truck ki side ko pakar lia per wahan ek ek keel nikli huwi thi jo seedhi Aarav ke haath per lagi aur us ki hatheli cheer di.


Aarav neeche girte girte bacha lekin us ke haath se khoon behne laga tha, Us ne jaldi se apne haath ki muthi band ker li aur apne dusre haath se apni jeb me rakha romal nikalne laga,Romal nikal ker Aarav ne apne haath per lapait lia.

a3dab1238b32331d2ff0dcc36c7349bf.jpg

Aarav ne dobara haath ki muthi bana li aur upar asman ki taraf daikhte huwe dard ko bardasht karne laga, December ka maheena tha aur Aarav ko mehsoos ho raha tha ke Snowfall hone wali hai.

*ring* *ring*


Abhi Aarav ko khare kuch der he huwi thi ke us ke phone per Call ane lagi Aarav ne apna keypad wala phone nikala jis ko type laga ker apas me jora huwa tha, Aarav ne screen daikhi aur thook nighal ker call attend ker li.


Aarav: Hello!


Caller: Kahan Reh gye larke? yahan hotel me customer ane shuru ho gye aur tumhara kuch pata he nahi hai, 1 ghante me mujhe tum yahan chahiye ho, warna kanhi aur daikh lena kaam.

Saamne se caller ne chilate huwe kaha jo us hotel ka malik tha jahan Aarav ne iss ke baad jana tha, Kaam se nikaalne ka sun ker Aarav ke chehre per pareshani ke bhav aa gye.

Aarav: Sorry! Main aa raha.


Caller ne jawab sun ker Call band ker di, Aarav ne ek lamba saans bhara aur dobara Chair ko uthane laga.


"Aarav" Ghar se bahir nikalte huwe Manohar ne Aarav ko awaz lagayi, Aarav ne saamne daikha to Manohar, Ashwin aur Parth teeno chalte huwe aa rahe the.


Manohar: (Frowns) Aarav ye tumhare haath per kia huwa hai?


Manohar ne aage barh Aarav ka haath pakra aur romal khol ker daikhne laga, Aarav ke haath se khoon lagatar beh raha tha Manohar ne gusse Aarav ki taraf daikha to Aarav ne apna sar jhuka lia.


Parth: Aarav Chal mere saath yanhi paas Clinic hai wahan se Dressing karwa ate hai.


Aarav: Us ki zaroorat nah....!

iss se pehle Aarav apni baat puri karta manohar ne use ghoor ke daikha to Aarav chup ker gaya, Aarav ko pata tha Manohar kabhi kisi per aise gussa nahi hota, Aarav ki use fikar thi wo Aarav ko apne bete ki tarha samajhta tha, iss liye wo Aarav per gussa ker jata tha jis ka Aarav ne bhi kabhi bura nahi mana, Waise bhi Manohar ne Aarav ki bohat madad bhi ki thi mushkil waqt me.


Manohar: Parth isse le ker ja! Aur tu fikar mat ker ye samaan hum rakh le gye Tere paise bhi nahi katu ga. Aur Aarav tere bhi nahi katu ga waise bhi tujhe jitna bhi rok lu to hotel me to jaye ga he? behtar ye he hai teri maram pati hone ke baad aram ker ke jaye

Aarav ko acha to nahi lagta tha aise Manohar se ehsaan lena per Manohar bhi apni jagha sahi tha, Parth ko saath iss liye bheja tha Manohar ne kiu ke agar akele Aarav ko bhejta to wo bina Clinic gye seedha hotel chala jata.


Paarth aur Aarav clinic ke liye nikalne lage jab achanak kale badalo ne pure Asman ko dhak lia, Tez hawa chalne lagi jo sab ke rongte khare ker rahi thi, Sab ne apne paas rakhi cheezo pakar lia.


Sab taraf shor sharaba mach gaya hawa se baraf urne lagi aur Paas ki cheeze dikhni bhi band ho gayi.


Ashwin: (Shouts) Sab ghar ki taraf chalo!


Ashwin ne chilate huwe kaha to sab ghar ki taraf bhaage, Hawaye sab ko peeche ki taraf push ker rahi thi, Sab apne gharo ki taraf bhaagna chah rahe the lekin hawa ki wajha se chalna bhi mushkil ho raha tha.


"Uncle!!!" Manohar ko peeche Aarav ki Awaz ayi


Manohar ne peeche ghoom ker daikha to Aarav ek jagha khara huwa tha, us ke gird ek circle bana huwa tha jis me peele rang ki roshni jagmagah rahi thi, sab kuch dhoondla tha per Aarav ke gird maano halki si hawa tak bhi nahi thi dheeme dheeme wo roshni aag lapto me badalne lagi.


66489e15463b2d31884c8005d1575b5d.gif

Aarav: (Scared) Uncle me hil nahi pa raha apni jagha se!

Aarav ne chilaya Manohar bina kuch soche us ki taraf bhag gaya per jaise he wo Aarav ke kareeb gaya, Un lapto ne mano Manohar ko dhaka de ker peeche gira dia ho, Tabhi Aarav ke saamne hawa me kuch likha aa gaya.



[The tutorial tower can only be entered by certain player]


Lapte Aarav ke gird lipatne lagi, Per wo Aarav ko jala nahi rahi thi, Lekin Aarav tab bhi dar raha tha kiu ke wo bilkul bhi hil nahi pa raha tha, Aarav ki ankho me ansoo aa gye.


Aarav: (Crying) Uncle! main marna nahi chahta, Uncle please mujhe nikal lo yahan se, Please!!!!!!!


Aarav ke ye akhri Lafaz the jab wo aag ek dum se bharki aur khatam ho gayi wahan bachi to tooti huwi zameen, Wahan zameen thar tharane lagi, Manohar bhaag ker wahan gaya jahan Aarav tha lekin Wahan ab kuch nahi tha.


Manohar wanhi zameen per toote pathro ke idhar udhar phenkne laaga maano wahan un pathro ke beech Aarav ko dhoond raha ho, Abhi kuch pal pehle un ke saamne Aarav khara tha Lekin ab wahan us ka namu nishan nahi tha, zameen aur zor se thar tharane lagi to Parth ne aage barh manohar ko pakar ke uthaya to Manohar us se chutne ki koshis karne laga,


Parth: Uncle! khud ko sambhaliye, hume yahan se nikalna ho ga,


Manohar: Kahan jaye! Hum Aarav ko chorr ker kanhi nahi ja rahe, Aarav meri awaz sun raha hai na tu? kahan hai tu?


Manohar ki ankhe bheeg gayi us ki awaz rondhaya gayi, Parth bhi shock me tha lekin wahan ke halat daikh ker use apne emotions side per rakh ker soch samajh ker faisle lene parne the.


Parth Manohar ko kheenchte huwe ghar ke andar le gaya, Aur darwaza lock ker dia, Manohar us se chutne ki koshis karta raha, Aur cheekhte huwe Aarav ko pukarta raha.


Manohar: Aarav!!! Aarav!!!

*****

Charo taraf gehra andhera tha kuch nazar nahi aa raha tha, un lapto me se Aarav seedha iss andhere me aa dooba tha, us ke mann me ek he sawal tha?

"Kia Main Mar Gaya Hu?"

Ye soch ker he Aarav ko khud per gussa ata ja raha tha, use ye bhi nahi pata tha ke wo kaise mara hai? wo aag na to jala rahi thi na garam thi phir wo kaise mar gaya?Aarav ye sab soch he raha tha jab uss ke saamne dobara kuch likha aa gaya



[Welcome, Player]


Aarav: [Frowns] Player ye kia hai? Aur kahan Welcome?


[You must survive in this tower while trying to go back to your world]


0996d1c99db4ef7fefc0279072712fff.jpg
****
644fd0a6b9f663661db357cc0215e686.jpg
[Name- Aarav Arya
Level- 1
Rank- F
Title- None

****

HP- 27
MP- 13
Strength- 22
Agility- 22
Endurance- 23
Stamina- 19
Intelligence- 17

(Stats Points: 0)

****

Skill- 2
[Will to live] ~ [Slash (E)]

****

[Weapon- None]



[
New Quest Available]

253bff0429c2ac806f21f6a3f46312a9.jpg
[Quest: To complete the quest, you have to kill the orc king, The location of orc king will be given below


(Rewards)
(1) Orc king's Blood Axe
(2) 20 stats point (every party member)
(3) MVP will get Additonal 20 Stats Point
(4) You can go back to home

Time Limit: 7 Days
Quest Failure Penalty:
(Death) ☠️]


[You are now entering the Tutorial Tower]


[Good luck]
.
.
.
.
.
[To ye tha pehla update, Start hamesha mushkil hota hai iss liye iss per bohat waqt laga, Umeed hai ap logo ka pyaar is update per daikhne ko mile ga, Saath bane rahiye ga, Aur like ker ke maze ke Reviews dena mat bhuliye ga, Next Update Wednesday ki shaam ko aa jaye ga tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Awesome Start
Best of Luck for future
Story ka start tu acha hai
I hope so ke plot bhi acha hoga
 

Mast fakir

Member
361
632
108
Bro do suggestion Dena Chahunga
(1)first regular update dena like aur review ki tension mat lena story regular Hogi to apne aap sab Kuchh ho jaega like bhi aaenge review bhi aaenge bus update regular hone chahie.
(2nd) Jyada sex repeat sex Mat Karna Ek ke sath Ek Bar dikha diya बार-बार uske sath mat dikhana
 

Avir

Well-Known Member
2,090
4,773
158
Hello Guys! :chinki2:

Jaise mera naam hai waise he main bohat Saalo se anime aur Manga lover raha hu. Lekin ek waqt per ja ker mere mann me khud kuch stories ke idea ane lage jin ko main bohat waqt se try karna chahta tha. Ab main itna talented nahi tha jo manga ya light novels bana sakta. iss liye main ne diffrent site search ki jahan se mujhe iss Forum ka pata chala meri storie system based thi aur yahan kuch writers ne System based storie bhi start ki huwi thi. jis wajha se main ne iss forum per storie likhne ka decide kia. Mujhe forum ka kuch zada pata to nahi hai Per Umeed karta hu ap logo ko meri storie pasand aye gi.


Vengeance ~ Revenge is sweet

5d333485c74767736ce1a1bfc788d282.jpg


Kuch Storie ke points


(1) Jaisa Main ne upar bataya ye storie System based storie hai jis me ap ko Fantasy, Adventure, Adultery, Harem aur Romance jaise genre daikhne ko mile gye.

(2) Storie ke shuru me kuch cheeze thora zada waqt le sakti hai per jaise jaise storie aage barhti jaye waise waise cheeze intresting hoti jaye gi to saath bane rahiye ga.




(3) Storie Real World aur other world dono me chale gi lekin Main storie jo hai wo real world me he chale gi.



(4) Week me 2 update aye gye ek Saturday night ya Sunday ko aur dusra Wednesday Night ya Thursday ko.





(5) Storie Arcs ke hisaab se chale gi abhi 8 Arc to soche huwe hai. Lekin Response acha huwa to storie lambi bhi chal sakti hai.










Readers ke Response ke hisaab se timing baad me change bhi ho sakti hai to bharpoor pyaar de ker Meri himmat barhane me madad zaroor kariyega. Main Font aur Color wagaira decide nahi ker pa raha tha iss liye jo style Readers ko pasand hai us ke hisaab se Werewolf bhai ke font aur color style use karu ga agar baad me koi acha mila to change ker lu ga. Aj Shaam tak pehla Update aa jaye ga tab tak ke liye.





Alavida! :hi:





Congratulations for New Start, Jesa Tumne kaha story Response ke hisabh se chalegi to writer sahab aap bhi update diye huye time or ek achi length ka rakhenge to Q nahi tumhri story ko response milega.
Yaha par kuch writers acha response milne ke baad bhi story ko aevi adhar chhod ke or mahino mahino ke update dete, bas woh mat karna....

Ek silent readers...
 

Scorpio 🦂

New Member
38
92
18
Hello Guys! :chinki2:

Jaise mera naam hai waise he main bohat Saalo se anime aur Manga lover raha hu. Lekin ek waqt per ja ker mere mann me khud kuch stories ke idea ane lage jin ko main bohat waqt se try karna chahta tha. Ab main itna talented nahi tha jo manga ya light novels bana sakta. iss liye main ne diffrent site search ki jahan se mujhe iss Forum ka pata chala meri storie system based thi aur yahan kuch writers ne System based storie bhi start ki huwi thi. jis wajha se main ne iss forum per storie likhne ka decide kia. Mujhe forum ka kuch zada pata to nahi hai Per Umeed karta hu ap logo ko meri storie pasand aye gi.


Vengeance ~ Revenge is sweet

5d333485c74767736ce1a1bfc788d282.jpg


Kuch Storie ke points


(1) Jaisa Main ne upar bataya ye storie System based storie hai jis me ap ko Fantasy, Adventure, Adultery, Harem aur Romance jaise genre daikhne ko mile gye.

(2) Storie ke shuru me kuch cheeze thora zada waqt le sakti hai per jaise jaise storie aage barhti jaye waise waise cheeze intresting hoti jaye gi to saath bane rahiye ga.




(3) Storie Real World aur other world dono me chale gi lekin Main storie jo hai wo real world me he chale gi.



(4) Week me 2 update aye gye ek Saturday night ya Sunday ko aur dusra Wednesday Night ya Thursday ko.





(5) Storie Arcs ke hisaab se chale gi abhi 8 Arc to soche huwe hai. Lekin Response acha huwa to storie lambi bhi chal sakti hai.










Readers ke Response ke hisaab se timing baad me change bhi ho sakti hai to bharpoor pyaar de ker Meri himmat barhane me madad zaroor kariyega. Main Font aur Color wagaira decide nahi ker pa raha tha iss liye jo style Readers ko pasand hai us ke hisaab se Werewolf bhai ke font aur color style use karu ga agar baad me koi acha mila to change ker lu ga. Aj Shaam tak pehla Update aa jaye ga tab tak ke liye.





Alavida! :hi:





Best of luck brother.. ye genres ab tak sirf anime, manga ya novels me dekhne ko milta tha but ab khushi hui k ye genre ab yahan bhi barh raha hai.
 

Scorpio 🦂

New Member
38
92
18
UPDATE 1 ~
[THE TUOTRIAL TOWER]

Manali
Evening ~ 04:14


*Thud*

"Ye ho gya akhri Sofa" Single Sofe ko neeche rakhte huwe 1 admi ne bola phir usi sofe per baith ker saanse drust karne laga.

"Itne me thak gye Parth? abhi to aur bhi samaan nikalna hai Truck me se" Dusre Adhik umar ke Admi ne table ko rakhte huwe hans ker kaha.


Parth: (sigh) Pata hai pata hai! Ab saans lene to ruk he sakta hu.

"Arey Manohar bhai sahib! Aram se ker lo ap kaam koi baat nahi, Ap ki bhabhi ne chaye banayi hai ye pee lo phir ker lena baki kaam" Ek aur Admi ne haath me chaye pakre kamre ke andar ate huwe kaha.


Manohar: Arrey! Ashwin main ne kab kaha aram ne kare? per Aram karne jitna kaam bhi to kare na pehle akhir paise kis kaam ke leta hai?

Ashwin: Chale koi baat nahi bacha hai abhi wo, kaam to ho jaye ga chaye pee le pehle warna ap ki bhabhi Gussa kare gi.

Ashwin ne chaye ko table per rakhi aur Manohar ko Sofe per baitha dia, Manohar ne bhi aage kuch na kaha aur chup chap chaye peene laga.

Manohar ki umar 35 saal thi uss ka apna Furniture ka kaam tha aur iss waqt wo Furniture Deliver karne aya huwa, Wiase to manohar dukan me kaam karne wale larko ko bhej deta tha lekin ye furniture us ke purane dost Ashwin ke ghar ana tha iss liye wo khud bhi saath aya tha.

Us ke saath us ki dukan me kaam karne wala larka baitha tha Parth, Kaam to karta tha per nakhre bhi bohat the aksar Manohar se us ko daant bhi sun'ni parti thi

Ashwin: Bhai sahib Aarav ko bhi andar ane ko keh dete! Bechara kab se laga huwa hai wo bhi kuch der baith jaye, us ki halat bhi mujhe kuch sahi nahi lag rahi.

Ashwin ne khirki se bahir ek Jawan larke ko December ki thand me kaam karte daikhte huwe kaha

Manohar: (Sigh) Ap ko kia lagta hai? agar use bula sakta to main kiu na bulata? use agar kahe gye bhi to wo nahi aye ga, Yahan se uss ko jaldi kaam pura ker ke dusre kaam per nikalna hai, Iss liye yahan ka kaam wo jaldi niptana chahta hai.

Manohar ne chaya ka khali cup wapis Table per rakhte huwe kaha, Us ki ankho me Mayooshi jhalakne lagi thi maano wo bebas ho is mamle me.

Ashwin: (Frowns) Per iss halat me dusra kaam? Aise agar wo kaam karta raha to wo khud ko koi bara nuksaan pohancha baithe ga.


Manohar: kia kahu Ashwin! Bechare Bache ko kis muh se kahu ke wo aram ker le Maa Bachpan me dono behan bhai aur baap ko chorr gayi, Upar se jo baap tha wo zimedariyo ko nibhane ke kabil he nahi tha, aur akhir main 2 saal pehle wo bhi duniya se chala gaya bache ke sar per 18 saal ki umar me kanwari behan ki zimedari aa gayi iss liye School chorr ker kaam per lag gaya Zindagi itna sab us bache se le ker bhi khush na huwi ke kuch arsa pehle us ki behan ki medical report me Cancer dikh gaya, Sirf stage 2 hone ki wajha se cancer curable to hai lekin paise to us me bhi lagte hai na? ab ye bacha 18 ghante lagatar alag alag jagha per kaam ker ke paise ikathe ker raha hai apni behan ke liye.


Manohar ki baat sun Ashwin ki ankho me Aarav ke liye hamdardi jhalakne lagi, wo daikhne laga kis tarha bina kisi bhi cheez ki parwah kiye 1 jawan larka mehnat ker raha hai

*****

Wanhi bahir Aarav ek ek ker ke sab cheeze truck se bahir rakhne me laga huwa tha, Aarav 20 saal ka ek jawan larka tha us ke kapre purane the use daikh ker he pata lag sakta tha ke wo theek se khana nahi khata us ki ankho ke neeche dark circle ban rahe the der raat tak kaam karne ki wajha se.

8d5f4848f855a9ad2c2a1b78d4facc82.jpg

Sab cheeze bahir rakh ker Aarav Truck se neeche utarne ke liye truck ke kinare per aa gya, Aarav neechhe utarne he laga tha jab achanak us ka paon phisal gaya us ne khud ko bachane ke liye truck ki side ko pakar lia per wahan ek ek keel nikli huwi thi jo seedhi Aarav ke haath per lagi aur us ki hatheli cheer di.


Aarav neeche girte girte bacha lekin us ke haath se khoon behne laga tha, Us ne jaldi se apne haath ki muthi band ker li aur apne dusre haath se apni jeb me rakha romal nikalne laga,Romal nikal ker Aarav ne apne haath per lapait lia.

a3dab1238b32331d2ff0dcc36c7349bf.jpg

Aarav ne dobara haath ki muthi bana li aur upar asman ki taraf daikhte huwe dard ko bardasht karne laga, December ka maheena tha aur Aarav ko mehsoos ho raha tha ke Snowfall hone wali hai.

*ring* *ring*


Abhi Aarav ko khare kuch der he huwi thi ke us ke phone per Call ane lagi Aarav ne apna keypad wala phone nikala jis ko type laga ker apas me jora huwa tha, Aarav ne screen daikhi aur thook nighal ker call attend ker li.


Aarav: Hello!


Caller: Kahan Reh gye larke? yahan hotel me customer ane shuru ho gye aur tumhara kuch pata he nahi hai, 1 ghante me mujhe tum yahan chahiye ho, warna kanhi aur daikh lena kaam.

Saamne se caller ne chilate huwe kaha jo us hotel ka malik tha jahan Aarav ne iss ke baad jana tha, Kaam se nikaalne ka sun ker Aarav ke chehre per pareshani ke bhav aa gye.

Aarav: Sorry! Main aa raha.


Caller ne jawab sun ker Call band ker di, Aarav ne ek lamba saans bhara aur dobara Chair ko uthane laga.


"Aarav" Ghar se bahir nikalte huwe Manohar ne Aarav ko awaz lagayi, Aarav ne saamne daikha to Manohar, Ashwin aur Parth teeno chalte huwe aa rahe the.


Manohar: (Frowns) Aarav ye tumhare haath per kia huwa hai?


Manohar ne aage barh Aarav ka haath pakra aur romal khol ker daikhne laga, Aarav ke haath se khoon lagatar beh raha tha Manohar ne gusse Aarav ki taraf daikha to Aarav ne apna sar jhuka lia.


Parth: Aarav Chal mere saath yanhi paas Clinic hai wahan se Dressing karwa ate hai.


Aarav: Us ki zaroorat nah....!

iss se pehle Aarav apni baat puri karta manohar ne use ghoor ke daikha to Aarav chup ker gaya, Aarav ko pata tha Manohar kabhi kisi per aise gussa nahi hota, Aarav ki use fikar thi wo Aarav ko apne bete ki tarha samajhta tha, iss liye wo Aarav per gussa ker jata tha jis ka Aarav ne bhi kabhi bura nahi mana, Waise bhi Manohar ne Aarav ki bohat madad bhi ki thi mushkil waqt me.


Manohar: Parth isse le ker ja! Aur tu fikar mat ker ye samaan hum rakh le gye Tere paise bhi nahi katu ga. Aur Aarav tere bhi nahi katu ga waise bhi tujhe jitna bhi rok lu to hotel me to jaye ga he? behtar ye he hai teri maram pati hone ke baad aram ker ke jaye

Aarav ko acha to nahi lagta tha aise Manohar se ehsaan lena per Manohar bhi apni jagha sahi tha, Parth ko saath iss liye bheja tha Manohar ne kiu ke agar akele Aarav ko bhejta to wo bina Clinic gye seedha hotel chala jata.


Paarth aur Aarav clinic ke liye nikalne lage jab achanak kale badalo ne pure Asman ko dhak lia, Tez hawa chalne lagi jo sab ke rongte khare ker rahi thi, Sab ne apne paas rakhi cheezo pakar lia.


Sab taraf shor sharaba mach gaya hawa se baraf urne lagi aur Paas ki cheeze dikhni bhi band ho gayi.


Ashwin: (Shouts) Sab ghar ki taraf chalo!


Ashwin ne chilate huwe kaha to sab ghar ki taraf bhaage, Hawaye sab ko peeche ki taraf push ker rahi thi, Sab apne gharo ki taraf bhaagna chah rahe the lekin hawa ki wajha se chalna bhi mushkil ho raha tha.


"Uncle!!!" Manohar ko peeche Aarav ki Awaz ayi


Manohar ne peeche ghoom ker daikha to Aarav ek jagha khara huwa tha, us ke gird ek circle bana huwa tha jis me peele rang ki roshni jagmagah rahi thi, sab kuch dhoondla tha per Aarav ke gird maano halki si hawa tak bhi nahi thi dheeme dheeme wo roshni aag lapto me badalne lagi.


66489e15463b2d31884c8005d1575b5d.gif

Aarav: (Scared) Uncle me hil nahi pa raha apni jagha se!

Aarav ne chilaya Manohar bina kuch soche us ki taraf bhag gaya per jaise he wo Aarav ke kareeb gaya, Un lapto ne mano Manohar ko dhaka de ker peeche gira dia ho, Tabhi Aarav ke saamne hawa me kuch likha aa gaya.



[The tutorial tower can only be entered by certain player]


Lapte Aarav ke gird lipatne lagi, Per wo Aarav ko jala nahi rahi thi, Lekin Aarav tab bhi dar raha tha kiu ke wo bilkul bhi hil nahi pa raha tha, Aarav ki ankho me ansoo aa gye.


Aarav: (Crying) Uncle! main marna nahi chahta, Uncle please mujhe nikal lo yahan se, Please!!!!!!!


Aarav ke ye akhri Lafaz the jab wo aag ek dum se bharki aur khatam ho gayi wahan bachi to tooti huwi zameen, Wahan zameen thar tharane lagi, Manohar bhaag ker wahan gaya jahan Aarav tha lekin Wahan ab kuch nahi tha.


Manohar wanhi zameen per toote pathro ke idhar udhar phenkne laaga maano wahan un pathro ke beech Aarav ko dhoond raha ho, Abhi kuch pal pehle un ke saamne Aarav khara tha Lekin ab wahan us ka namu nishan nahi tha, zameen aur zor se thar tharane lagi to Parth ne aage barh manohar ko pakar ke uthaya to Manohar us se chutne ki koshis karne laga,


Parth: Uncle! khud ko sambhaliye, hume yahan se nikalna ho ga,


Manohar: Kahan jaye! Hum Aarav ko chorr ker kanhi nahi ja rahe, Aarav meri awaz sun raha hai na tu? kahan hai tu?


Manohar ki ankhe bheeg gayi us ki awaz rondhaya gayi, Parth bhi shock me tha lekin wahan ke halat daikh ker use apne emotions side per rakh ker soch samajh ker faisle lene parne the.


Parth Manohar ko kheenchte huwe ghar ke andar le gaya, Aur darwaza lock ker dia, Manohar us se chutne ki koshis karta raha, Aur cheekhte huwe Aarav ko pukarta raha.


Manohar: Aarav!!! Aarav!!!

*****

Charo taraf gehra andhera tha kuch nazar nahi aa raha tha, un lapto me se Aarav seedha iss andhere me aa dooba tha, us ke mann me ek he sawal tha?

"Kia Main Mar Gaya Hu?"

Ye soch ker he Aarav ko khud per gussa ata ja raha tha, use ye bhi nahi pata tha ke wo kaise mara hai? wo aag na to jala rahi thi na garam thi phir wo kaise mar gaya?Aarav ye sab soch he raha tha jab uss ke saamne dobara kuch likha aa gaya



[Welcome, Player]


Aarav: [Frowns] Player ye kia hai? Aur kahan Welcome?


[You must survive in this tower while trying to go back to your world]


0996d1c99db4ef7fefc0279072712fff.jpg
****
644fd0a6b9f663661db357cc0215e686.jpg
[Name- Aarav Arya
Level- 1
Rank- F
Title- None

****

HP- 27
MP- 13
Strength- 22
Agility- 22
Endurance- 23
Stamina- 19
Intelligence- 17

(Stats Points: 0)

****

Skill- 2
[Will to live] ~ [Slash (E)]

****

[Weapon- None]



[
New Quest Available]

42ca8d6d672e8d92ae25fc1080585f50.jpg
[Quest: To complete the quest, you have to kill the orc king, The location of orc king will be given below


(Rewards)
(1) Orc king's Blood Axe
(2) 20 stats point (every party member)
(3) MVP will get Additonal 20 Stats Point
(4) You can go back to home

Time Limit: 7 Days
Quest Failure Penalty:
(Death) ☠️]


[You are now entering the Tutorial Tower]


[Good luck]
.
.
.
.
.
[To ye tha pehla update, Start hamesha mushkil hota hai iss liye iss per bohat waqt laga, Umeed hai ap logo ka pyaar is update per daikhne ko mile ga, Saath bane rahiye ga, Aur like ker ke maze ke Reviews dena mat bhuliye ga, Next Update Wednesday ki shaam ko aa jaye ga tab tak ke liye, Sayonara!!!]
Starting bohat achi thi.. time k sath mazeed jaan'ne ko milega characters k baare me.. system ka bhi pata chal gaya k kis tarah ka system hai.. so yahan 2 worlds dekhne ko milegi ek system wali or ek normal world.. or aarav ko ab khud ko upgrade karna hoga nayi skills or stats k sath.

Till then, Ganbatte!!! ;)
 
Top