• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22

gautamking19

Member
264
609
108
De
Dosto puarane update ka bakeup nahi le pane ki wajah se re-type karna pada isliye abhi naya update nahi de paya...


Lekin kal subah tak naya update de dunga... aaj raat ko time nikal ke type kar lunga...
Dekho bhai update dena hai to do aise chutiyape wale wade mat kiya karo av lockdown hai to aap update nahi de pate lockdown ke bad to bilkul nahi de paoge ek or bat sab readers se av kah deta hu ye story ?% complete nahi hoga aaj tak jis story pe maine ye bol diya wo story kav complete nahi hui hai
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
De

Dekho bhai update dena hai to do aise chutiyape wale wade mat kiya karo av lockdown hai to aap update nahi de pate lockdown ke bad to bilkul nahi de paoge ek or bat sab readers se av kah deta hu ye story ?% complete nahi hoga aaj tak jis story pe maine ye bol diya wo story kav complete nahi hui hai
Are wah bhai aap toh gyani Antaryami maha jyotish ho jara batana bhai corona virus kab is duniya se khatam hoga
 
268
762
93
De

Dekho bhai update dena hai to do aise chutiyape wale wade mat kiya karo av lockdown hai to aap update nahi de pate lockdown ke bad to bilkul nahi de paoge ek or bat sab readers se av kah deta hu ye story ?% complete nahi hoga aaj tak jis story pe maine ye bol diya wo story kav complete nahi hui hai
gautamking19 bhai.... dekho mene pahele bhi aek post kiya tha jo site ke data chale jane ki wajah se post bhi nikal gaya tha....


mene uss post me kaha tha ki lockdown hone ki wajah se main aur mere dost aek social team ke sath milakar garibo me khana baat rahe hai... unko rashan ki kit pahuncha rahe hai.... unko do waqt ki roti mile isliye pure din aur raat food parsal se packet taiyaar kar rahe hai...


aur inhi wajah se muje time nahi mil paa raha hai update likhane ka....


Desh bandh huva hai insaniyat nahi agar aapko insaniyat dikahana chutiyapa najar aa raha hai to esa chutiyapa hum aage bhi karte rahenge.... lekin ghar pe hath dhare nahi bethe rahenge jab koi bahar bukh se mar raha ho.....
 
268
762
93
Are bhai kisi ko batana mat aise comments dekh ke writero ki sulag jati hai or update turant turant dene lagte hai it's a secret kisi ko batana mat
Hehehehe :iambest: :iambest:
Bhai main chahu na to doosre writers ki tarah bina kisi formating kiye mobile se hi update fatafat de sakata hu lekin maine esa kabhi nahi kiya....


readers ko padhne pe koi dikkat na ho aur kahani ka har hissa bahetarin format me mile esi koshish kar raha hu.... formating ke sath liki huyi kahani uss gujarati kahevat jesi lagati hai ki "sona ma sugandh bhali gai...."


aur isliye mujse koi apeksha mat rakhiyega ki main update turant turant dene lagunga... main doosre writers ki tarah bilkul nahi hu... meri kahani unique hai kyu ki meri soch unique hai....
 

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Are bhai writer ko dosh dena bilkul theek nahi hai,,,,, writer ne pehle hi kaha tha ki vo lockdown me food parcel bnane me busy h, to isme wada todna kaha hai,,,,,,,

Yadi ye bina btaye hi gayab hote, to kaha ja sakta tha, lekin inhone pehle hi kaha tha,,,, aur rahi update ki baat to bhai jitne pages (44) is story ke ho chuke hai,,, utne hi updates(43) bhi post hue h,,, isse pta chalta h bhai update pehle regular ate the☺ samay par ate the, aur age bhi ate rahenge,,,,,,

To kahani par aisa comment karna galat h ki update kyu nahi aa raha h
 
Last edited:
268
762
93
Update - 43


Paridhi ne aakhari baar Avinash ki aur apni najare dali aur apna mobile apne hatho me lete huve vaha se chali gayi... lekin Avinash abhi bhi apni kursi pe hi betha raha... vo Paridhi ko dur jate huve dekhata raha...


Aur jab Paridhi uski najaro se ojal ho gayi tab Avinash ke chahere pe aek muskan kil uthi.... ye muskan kuch aur hi thi... ye muskan kafi kuch baya kar rahi thi... ye muskan kafi kuch bata rahi thi....


Avinash ne ab apne muh pe lage tale ko kholate huve - "Paridhi..... Jannat se aayi Pari."


Ab aage.....


Paridhi resort se taxi liye ghar pahunch gayi.... vo ghar to pahunch gayi lekin kafi sare sawal liye..... kafi pareshani ko sath liye.... Avinash aur Pavan ke aek hone ke sawal Paridhi ko pure raste chain ki aek saans bhi nahi lene diye the....


Lekin jab Paridhi ghar ke gate ke andar dakhil huyi aur jab uski najare charo aur saji sajawat pe padi tab uski pareshani aek hi pal me gayab ho gayi.... kyu ki pura ghar decorate ho raha tha.... aaj Paridhi ka birthday jo tha isliye raat ko badi party bhi thi...... vo sari sajawat ko dekh kafi khush ho gayi.... pura ghar khil sa gaya tha.... pura ghar phulo ki khusbu se khil utha tha...


Rahulji aur Sumitaji hall me hi the aur logo ko sajawat ke liye insrtuction de rahe the... Sumitaji Paridhi ko aate dekh khushi se use sari sajawat dikhane lage.... aur phir Paridhi ki aur dekhate huve


Sumitaji - "To kesi lagi tumhari birthday party ki sajawat.... aaj koi kami nahi rahene wali hai... are main bhi abhi kaha ye bata rahi hu... pahele tu bata.... kesi rahi Avinash ke sath tumhari paheli date?"


Sumitaji ke iss sawal se Paridhi ki pareshani jo abhi abhi gayab huyi thi vo phir se pure jor shor se uske samane aa gayi... Paridhi ke sawal aek baar phir uski aankho ke samane tairane lage..... uska khushi bhara chahere phir aek baar pareshani se murja gaya...


Rahulji Paridhi ke chahere ko dekh chintit ho gaye - "Pari beta kya huva?.... tum kuch pareshan dikh rahi ho?..."


Paridhi Rahulji ka hath pakadate huve unhe sofe pe bitha diya aur khud unke pass beth gayi...


Paridhi - "Papa.... vo...... Avinash... vo"


Paridhi intna bolke ruk gayi.... vo sochane lagi ki kya use apne mamma papa ko Avinash ka Pavan hone ki baat ko batana chahiye ki nahi?.....


Rahulji khush hote huve - "Ha.. beta bolo... kya baate huyi?.... matalab kesi rahi date?.... "


Aur phir Rahulji Sumitaji ki aur dekhate huve - "Maine kaha tha na aaj ka din bada hai.... dekho hamari beti aaj apni paheli date pe bhi gayi aur vo itne achhe ladke Avinash ke sath..."


Sumitaji Rahulji ko bich me rokate huve - "Aap pahele use bol ne to do..... abhi se khushiya mana rahe hai.... aur abhi to sirf aek hi date huyi hai aur aap to ese khush ho rahe ho jese ki iski aur Avinash ki shaadi fix ho gayi hai...."


Sumitaji ese bolate huve thoda muskurai aur Paridhi ke chahere ki aur shaadi wali baat se kya asar huva ye dekhane lagi... lekin Paridhi abhi bhi apne khayalo me pareshan thi...


Sumitaji Paridhi ke hatho ko hilate huve - "Pari.... kya huva kuch bata to sahi?..."


Paridhi - "Papa... vo Avinash... matlab ki aap Avinash ko iss se pahele kabhi mile the?.... matalab ki Avinash ke Canada se apni padhai puri kar ke yaha aane se pahele?...."


Rahulji ko Paridhi ka ye sawal kafi ajib laga lekin phir bhi unhone Paridhi ko jawab dete huve - "Haa.. karib do saal pahele jab muje business ke liye canada jana huva tha..... main unke ghar hi to ruka tha... bahut achha ladka hai aur sanskari bhi..... usne canada me mera bahut hi achhe se khayal rakha tha...."


Paridhi - "Uss se pahele kabhi mile the?..... matalab ki bachapan me?...."


Rahulji - "Nahi.... jab se uske dada canada shift huve the tab se unke pariwar ke sath kuch khas sambandh nahi raha tha.... lekin tum ye sab kyu puch rahi ho?"


Paridhi soch me pad gayi ki Papa ne bhi use do saal pahele dekha tha... yani ki abhi bhi Avinash ka Pavan hone par koi bhi pakka sabut nahi hai... lekin phir jese Paridhi ke dimag me light jali....


Paridhi Rahulji se aasha bhari najaro se - "Papa.... 7 saal pahele kya aapne Pavan ko dekha tha?.... matalab ki uska chahera.... aapne kaha bhi tha ki aapne uski lash dekhi thi...."


Rahulji aur Sumitaji kafi hairan ho gaye iss sawal se... aakhir Paridhi ese sawal kyu puch rahi thi....aur vo bhi abhi jab vo Avinash ke sath date pe jake aayi thi..


Sumitaji - "Paridhi.... tuje kya huva hai?..... hum kuch aur puch rahe the aur tum uska jawab dene ki bajay kuch aur hi puch rahi ho.... chal kya raha hai ye sab?..."


Paridhi - "Mamma.... please mere liye ye jan na jaruri hai.... Papa... bataiye na...."


Sumitaji aur Rahulji phir se chaunk gaye Paridhi abhi bhi apne sawal ko hi jaan na chah rahi thi....


Rahulji kafi hairan the lekin phir bhi Paridhi ke sawal ka jawab dete huve - "Nahi mene uska chahera nahi dekha tha.... lekin haa jesa mene kaha tha mene uski lash jarur dekhi thi jab use Operation Theatre se bahar nikala jaa raha tha... uss Waqt uska chahera aur pura sharir safed chaddar se dhaka huva tha.... aur main bhi uss Waqt tumhari halat ko lekar kafi pareshan tha isliye uske baad uss ladke ki aue mera dhyan kabhi nahi gaya......"


Paridhi nirash ho gayi.... dimag me kafi sawal daud rahe the lekin koi bhi sabut ya pahechaan hath nahi lag rahe the... jo Paridhi ko aur bhi jyada nirash kar rahe the... lekin phir bhi Paridhi apni koshish jari rakhana chahati thi....


Paridhi - "Papa.... kya aur kuch esa tha jise hame Pavan ki pahechan mil sake?.... yaad karne ki koshish kijiye.... kuch to hoga..... yaad karne ki koshish kijiyena.... kuc................"


Sumitaji bich me bolate huve - "Paridhi.... pahele ye bata ki tu abhi ye sab kyu jan na chahati hai?..... abhi abhi to tum date se aayi ho.... aur aate hi ese sawal?..... sab kuch thik to hai na?.... kya Avinash ke sath koi baat huyi?....."


Paridhi - "Mamma... vo main baad me bataungi lekin abhi muje Pavan ke baare janana hai...."


Sumitaji aur Rahulji shocked pe shocked hote jaa rahe the ki aakhir Paridhi ko huva kya hai?.....


Aur phir Paridhi Rahulji ki aur dekhate huve - "Papa... kuch yaad aaya?..."


Rahulji - "Haa... vahi to yaad karne ki koshish kar raha hu...."


Rahulji apne dimag pe jor dalane lage ki Pavan ki koi pahechan mile esa kuch yaad aa jaye.... aur phir jese Rahulji ko kuch yaad aaya....


Rahulji khush hote huve - "Haa... yaad aaya..."


Paridhi ko jese ghor andhere me kuch roshani dikhi..... vo khush ho gayi ki ab Avinash aur Pavan ke aek hone ke bich ka inn sawalo ke parde hat jayege....


Paridhi apni utsukata ko tham na saki aur bich me hi bolte huve - "Haa Papa... bataiye kya yaad aaya?.... bataiyena..... bat...................."


Rahulji Paridhi ko bich me rokate huve - "Haa... bata raha hu... aek minute ruk to sahi.... ha to main kya batane wala tha?.... ha... ruko main do minute me aata hu..."


Rahulji sofe se uth ke jane lage jise dekh Paridhi kafi hairan ho gayi ki Papa bina kuch bataye kaha jaa rahe hai?.....


Paridhi - "Papa... aap to kuch bina bataye hi jaa rahe hai..."


Rahulji Paridhi ki aur dekhate huve - "Kyu ki vo koi batane wali chij nahi hai dikhane wali chij hai....."


Aur phir Rahulji mude aur apne kamere ki aur jaane lage.... Paridhi ka dil aur dimag uchalane laga ye soch ke aakhir esa kya hai jo papa batana nahi dikhana chahate hai....


Paridhi ke dil aur dimag ki baichani badhane lagi... Waqt ka aek aek pal kafi bada mahesoos hone laga.... aur vo kabhi Papa ke kamare ki aur to kabhi ghadi ki aur dekhane lagi aur baichani me apne hatho ko bhi masal rahi thi.... vo kabhi teji se sofe se khadi ho rahi thi aur apne papa ke kamre ki aur dekh ke phir se wapis beth rahi thi....


Sumitaji Paridhi ko esa karte dekh kafi hairaan thi.... aur unke liye to aaj ka pura din subah se leke abhi tak kafi hairnai bhara gujara tha... subah se hi Paridhi aek ke baad aek jatake de rahi thi.... achanak use 7 saal pahele wala hadasa yaad aa jata hai jise unhone aur Rahulji ne chipane ki kafi koshish ki thi..... aur phir abhi phir se Paridhi usi hadse ko pakad ke bethi huyi hai.....


Sumitaji - "Pari..... shanti se beth jaa.... abhi tumhare Papa aate hi hoge...."


Paridhi Sumitaji ki baat manate huve sofe pe beth gayi lekin aankho ki baichaini baar baar Rahulji ke kamare ki aur hi najare laga rahi thi....


Aur phir kuch Waqt baad Rahulji kamare se bahar nikale aur unhe dekh ke Paridhi phir se sofe se khadi ho gayi..... aur uski nigahe Rahulji ke hatho pe hi tiki huyi thi kyu ki Rahulji ke hatho me kuch lakadi ke dibbe jesa tha.....


Rahulji hall me aake Paridhi ke samane uss dibbe ko kholate hai aur phir uss dibbe me se aek choti si pudiya jesi bag nikalate hai jiska muh dhage se badha huva tha... aur phir uss pudiya jesi bag ko Paridhi ke hatho me dete huve.....


Rahulji - "Ye lo.... ye wahi chij hai jise main batana nahi dikhana chahata tha...."


Paridhi ne uss choti si pudiya ko apne hatho me ese liya jese vo koi hira tha jo kafi anamol tha.... aur phir uss bag ko bahar se hi sahalake andar kya hai use pata karne ki koshish karane lagi jiss se uss se pata chala ki pudiya ki andar koi choti chij hai jo gol aakar me thi....


Phir Paridhi ne uss pudiya ke muh ko khola aur uss pudiya ko apne hath me ulta kiya.... jiss se vo chij Paridhi ki hatheli me gir gayi....


Paridhi uss chij ko dekh chaunk gayi aur kabhi Rahulji ki aur to kabhi uss chij ki aur dekhane lagi.... vo kafi hairani se uss chij ko bariki se ulat pulat ke dekh rahi thi....


Paridhi hairaan thi kyu ki use samaj nahi aa raha tha ki iss chij se Pavan ki pahechan se kya lena dena?.....


Paridhi ne sawal bhari nigaho se Rahulji ki aur dekhate huve - "Papa... iss se Pavan ki pahechan se kya lena dena?... isme kaha uske chahere ke baare me ya phir vo kesa dikhata hai uske baare me kuch pata chal sakata hai?...."


Paridhi ne phir uss chij ki aur dekhate huve apne hotho se budbudate huve - "Ye to bas aek Ring hai.... aek sidhi saadi aam Ring......"



~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
268
762
93
Waiting bhai
Are bhai writer ko dosh dena bilkul theek nahi hai,,,,, writer ne pehle hi kaha tha ki vo lockdown me food parcel bnane me busy h, to isme wada todna kaha hai,,,,,,,

Yadi ye bina btaye hi gayab hote, to kaha ja sakta tha, lekin inhone pehle hi kaha tha,,,, aur rahi update ki baat to bhai jitne pages (44) is story ke ho chuke hai,,, utne hi updates(43) bhi post hue h,,, isse pta chalta h bhai update pehle regular ate the☺ samay par ate the, aur age bhi ate rahenge,,,,,,

To kahani par aisa comment karna galat h ki update kyu nahi aa raha h
Waiting bhai
Are bhai kisi ko batana mat aise comments dekh ke writero ki sulag jati hai or update turant turant dene lagte hai it's a secret kisi ko batana mat
Hehehehe :iambest: :iambest:
Waiting for the update
Dosto Update aa chuka hai.... deri ke liye maafi chahata hu.....
 
Top