• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Sab khariyat h bhai ji ?,,,, teen char din baad to ap apne aap aa jate the,,,,,,,
 
Last edited:

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Waiting bhai
 
  • Like
Reactions: Akki ❸❸❸

Mathur

°◥◣_◢◤°
1,063
3,077
143

Hello, Ladies  & Gentleman, 
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 10th, June 2020, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.

Rules Check Karne k Liye Ye Thread Use karein :- Rules And Queries Thread

Entry Post Karne k Liye Ye thread Use Karein :- Entry Thread
Reviews Post Karne K liye Ye thread Use karein :- Reviews Thread
On Behalf of Admin Team
Regards :- Xforum Staff..
 
268
762
93
Update - 47


Paridhi bhi bina tala dekhe utavalepan se ring bell baja rahi thi.... aur ab jab uski najare tale pe padi to vo bhi shocked thi...


Paridhi phir se Avinash ko call try karne lagi.... lekin uska phone abhi bhi switch off hi aa raha tha.....


Naina - "Ab ye Avinash kaha chala gaya?.... Kya ise bhi Dyari ki tarah jamin nigal gayi?.... ya phir aasman nigal gaya?...."



Ab aage.....


Paridhi – “Aur iska phone abhi bhi switch off hi aa raha hai…”



Naina – “Ab kya kare ham?..... Kya yaha ruk ke Avinash ka intezar kare ya wapis ghar chale?....”


Paridhi pahele se hi Avinash se gussa thi aur ab chidchidi bhi ho chuki thi – “Muje yaha rahene ka koi shauk nahi hai… chal yaha se….”


Paridhi pair patakate huve waha se chal padi aur uske piche piche Naina bhi chal padi….


Naina car me bhi Avinash ko phone try kar rahi thi….


Naina – “Yaar muje esi feeling ho rahi hai ki kahi Avinash bhi kahi Dyari ki tarah gayab to nahi ho gaya hai….”


Paridhi – “Yaar ab tuje kya ho gaya hai?... vo kaha gayab hoga… aur vese bhi aaj raat ko party hai to usme vo aayega hi…”


Naina – “Tum thik hi kah rahi ho…. Yaar tab tak hamare sawal muje chain ki aek saans bhi nahi lene denge….”


Paridhi bhi Naina ki baat se sahemat thi…. Lekin Paridhi ke sawalo me ab aek aur sawal bhi jud chuka tha ki aakhir Avinash kaha hai?....


Paridhi aur Naina apne apne ghar laut chuke the… Paridhi wapis apne kamare me aate hi aek baar phir se charo kono me Dyari ko dhundhane ki koshish karne lagati hai ki shayad kisine Dyari kamare me hi kahi rakh di ho… Lekin Dyari mili nahi….


Paridhi hatasha se bhari bed pe bethi Pavan ki Ring ko hatho me liye ghur rahi thi aur apne sawalo ko dohara rahi thi….


Pata nahi kitna Waqt bit gaya… Paridhi Ring ko ese ghur rahi thi aur apne vicharo me khoyi huyi thi ki use pata hi naa chala ki kab Dev kamare me aake uske pass beth chuka tha aur Dev Paridhi ko Ring ko ese ghurate dekh hairan tha…..


Dev – “Di…..”


Paridhi abhi bhi apne sawalo ke vicharo me hi khoyi huyi thi…. Dev Paridhi ko ese dekh muskuraya…


Dev Paridhi ke hatho ko jor se hilate huve – “Kyu Di…. Avinash Jiju ne di hai kya?.... jo ese ghur ghur ke dekh rahi ho?....”


Paridhi Dev ke ese hilane se aekdam se apne vicharo me se bahar aayi – “Ha…. Matalab ki usne nahi di hai…”


Dev Ring ko ghurate huve – “To phir kisne di hai?”


Paridhi – “Betu… ye Ring naahi muje kisine di hai aur naahi ye Ring meri hai….”


Dev – “To phir kiski hai?.... aap to ise ese ghur ghur ke dekh rahi thi muje to lag raha tha ki aap kahi iss Ring ko kha hi na jaye….”


Dev hasne lagata hai….. Paridhi Ring ko apne drawer me rakh deti hai…


Paridhi – “Very funny…. Cha ab bata tu yaha kya kar raha hai?...”


Dev – “O… teri… main to bhul hi gaya ki main yaha kis liye aaya tha…. Ye sab aapki galati hai…. Aap na hi uss Ring ko ghurate aur nahi mera dhyan kahi aur jata….. aur aap abhi bhi ready nahi huyi…. Aaj aapki party hai…”


Paridhi – “Haa… lekin vo raat ko haina…”


Dev – “O.. medam to abhi kya subah hai?... raat ke 8:00 baj chuke hai…”


Paridhi hairan hote huve ghadi ki aur dekhati hai – “Kya?.... 8 baj gaye….”


Dev – “To kya aapko pata hi nahi tha ki raat ho chuki?.... matalab ki aap kab se Ring ko ghur rahi thi?....”


Paridhi apna bachav karate huve – “Haa… muje pata tha ki raat ho chuki hai lekin time nahi dekha tha na isliye…. Aur chal ab tu jaa yaha se muje ready hona hai…”


Dev chulbule pan se muskurate huve – “Iska matalab Ring kisi ladke ki hai…..”


Paridhi ke gaal lal ho gaye – “Tu jata hai yaha se ki aek thappad khayega…”


Dev bhagate huve kamare ke gate pe pahunch gaya – “Achha achha jaa raha hu…. Aur ha jaldi karna mamma kah rahi thi ki kuch hi der me guest bhi aane lagenge…”


Paridhi – “Haa… bus pahunch hi rahi hu….”


Dev – “Mere jane se pahele uss ladake ka naam to bata dijiye…”


Paridhi apne hath ko hawame uthate huve Dev ki aur aek kadam badhati hai – “Betu….”


Lekin Dev bhag gaya tha…. Paridhi kamare ke gate ko bandh karke ready hone lagi… lekin sare sawal uska picha nahi chod rahe the...


Lekin sab se jyada use Dyari ki fikr thi ki aakhir Dyari kaha jaa sakati hai?....


Hall me hi sare arrangement kiye gaye the….. sare guest bhi aa chuke the…


Aur phir Paridhi apne kamare se bahar nikal kar dhire kadamo se sidiya utar rahi thi…. Sab use dekh ke taliya baja rahe the….



2476953-bigthumbnail


Paridhi ne pink colour ki western dress paheni thi…. Jisme vo husn ki mallika lag rahi thi…. Uske chahere ke rang khile huve the aur uspe sharmahat ki laali char chand laga rahi thi….. hotho pe muskan khili thi…. Lekin najare kisi ko dhundh rahi thi….


Paridhi ki najare sidiya utarate waqt jese charo aur screening kar rahi thi… vo kisi chahere ko dhundh rahi thi…. Lekin use vo chahera kahi najar nahi aa raha tha….



Paridhi ke sidiya utari hi thi ki Paridhi ki najare hall ke bicho bich me use bade se cake pe thahar gayi jo kafi khubsurat thi aur uske kadam bhi cake ke samane aake hi ruke.... lekin jese hi Paridhi ki najaro ne cake ki uper liki gayi lines ko padha hi tha ki Paridhi ke pair se jam gaye....


Cake pe badi sundar likhawat ke sath...... 'Paridhi.... Jannat se aayi Pari' likha huwa tha..... Paridhi ki aakhe phir se bhig gayi aur chahere pe khili muskan use sach me aek Pari sa hi khubsurat bana rahi thi.....


Vo tabtak cake ko ghurati rahi jabtak Dev ne use thoda sa hilaya nahi...


Dev - "Di... kaha kho gayi... jaldi se cake katiye na muje itna bada sa cake dekh ke muh me pani aa raha hai."


Paridhi Dev ki aur dekh ke muskurai aur uske sir pe hath phira diya aur phir usne Dev ka hath apne hath me leke chaku ko tham liya aur phir cake ke charo aur jalati mombatiyo ko buja diya aur phir jese hi usne cake kata ki sara hall taliyo se gunj utha... aur Paridhi ne pahela tukda Dev ko khilaya aur Dev ne bhi thodi shararat karte huve cake se paridhi ke galo ko rang diya...


Dev kushi se chahakate huve - "Happy Birthday Di..."


Paridhi - "Thank you so much betu"


Aur phir Paridhi ne apne mamma papa ko bhi cake khilaya"


Sabhi guest apni apni taraf se gifts bhi de rahe the….


Lekin in sab me Paridhi sharir se hajir thi lekin man Avinash ko dhundh raha tha aur vo tha ki kahi dikh nahi raha tha.


Paridhi ke pass jese hi Naina pahuchi Paridhi ne uski aur badi aash se dekha ki usne Avinash ko jarur dekh liya hoga... Naina ne thoda sa sir hilake juki najaro se keh diya ki usne bhi Avinash ko abhi tak nahi dekha tha...


Kuch log side ke bars se champagne aur whisky ka luft utha rahe the aur kuch khana khane ki suruaat kar chuke the charo aur sabhi apne apne pahechan ke groups me the aur party ka luft utha rahe the...


Paridhi ichi bich apni maa ke pass pahunch gayi - "Maa.... ye cake kisne order ki thi?.."


Sumitaji Paridhi ke ese sawal se aekbar kuch ajib laga lekin phir muskurate huve - "Avinash ne hi order kiya tha... muje to bahut hi khubsurat lagi... kyu tuje achhi nahi lagi?"


Paridhi - "Nahi bahut hi achhi lagi isiliye puch rahi hu... lekin vo kahi dikh nahi raha he party me"


Sumitaji ne hairani se kaha - "Beta vo to apne kisi urgent kaam se aaj dopher ko hi kahi nikal chuka tha... usne muje kal hi bataya tha ki vo sham ki party attend nahi kar shakega isliye vo aaj subah hi tuje party wish karke chala gaya.... kya usne tuje nahi bataya tha?"


Paridhi hairan thi iss khulase the - "Nahi..."


Sumitaji - "Koi baat nahi beta bhul gaya hoga vo...."


Paridhi - "Haa esa hi hoga.."


Sumitaji kuch aur kaheti uss se pahele hi Paridhi tej kadamo se Naina ke pass jaa chuki thi aur aek hi saans me Naina ko sari baat bata bhi chuki thi..


Naina bhi hairan thi - "Yaar muje na kuch gadabad lag rahi hai... jese ki ye sab kuch plaaning ho... aek to uska tuje birhday wish ke waqt khud ko Pavan ke rup me jahir karana aur uske baad na koi phone na koi message aur kahi chale jaana... Cake bhi usne hi order ki thi.... yaar sach kahu to kuch samaj aa raha lekin kuch bhi samaj nahi aa raha..."


Paridhi - "Yaar muje Avinash se jyada Dyari pareshan kar rahi hai...."


Naina ne Dyari sunete hi aek baar Sumitaji ki aur dekha aur phir se Paridhi ki aur najare karate huve - "Yaar aek baat kahena chahati hu... dekh jab tu sab se Dyari ke baar me puch rahi thi na tab muje Aunty ki aawaj me thodi hichkichahat mahesoos huyi thi...."


Paridhi chaunk uthi - "Naina tu bhi kya bol rahi hai... Maa ne mana kiya tha na ki unahone nahi dekhi phir.... aur vo mujse juth nahi kahegi...."


Naina - "Teri baat sach hai Pari lekin jo muje mahesoos huva bas wahi tuje bata rahi hu... aur tu hi soch agar Dyari kisi ke pass nahi hai... naa Dev ke pass, naa hi Uncle Aunty ke pass, aur naa hi tere aur mere pass to Dyari kaha jaa sakati hai?.... aur agar bahar vala koi hoga to vo tere kamare se koi mahengi chij chuarane ke badle aek Dyari hi kyu lega?...."


Paridhi ko Naina ki baat ne soch ne pe majboor kar diya aur Naina sach bhi thi koi anjan insan koi mahengi chij ko lene ke bajay sirf Dyari hi kyu lega.... yani ki koi jaan pahechan wala hi hona chahiye lekin uska man ye manane ko taiyaar nahi tha ki Dyari uski maa ke pass hogi....



~ Gabbar is Back :cowboy2:
 
Last edited:
Top