aalu
Well-Known Member
- 3,073
- 13,048
- 143
bhai aap hamse maafi nahin mange, agar hame aapki kahani pasand bhi na aati toh bhi aapko hamse maafi mangne kee jaroorat na thee, aapne likhi aur ho shakta hain hame pasand na aayee, waise hee hain aap shabko toh khus na hi kar shakte hain.Aapki inconvenience ke liye maafi chahunga...
Aur dusari taraf Paridhi aur Pavan bhale hi kahani ke mukhya kiradar rahe lekin ye kahani lambi chalegi aur iss kahani me sabhi patra bahut hi ahem bhumika nibhayenge aane wale Waqt ke sath isliye sabhi patra ke brief karana jaruri laga..
Aur agar update 6 se 12 ki baat karu to aapko ye ajib na laga ki aek taraf Paridhi ke jivan me aek insan aata hai jo chaar logo ko maar diya aur phir uske pass se mili Dyari aek nayi kahani ko janm deti hai aur isi ke sath Paridhi ke jivan me aek aur kahani Avinash ke aane se jud jati hai...
Matalab ki vo bike vala inasan jiska chahera Paridhi ne nahi dekha tha lekin kya vo sach me Pavan tha? Ya phir koi aur? Aur aap ye bhi soch sakate hai ki vo Avinash bhi ho sakata hai... Kya Pavan jisko Paridhi ne sirf bachapan me dekha kya vo Avinash banake uske pass nahi aa sakata.. Kya esa nahi ho sakata ki Pavan ko uski family mil chuki ho aur ye family bhi present vale Avinash ki family ho...
To ese to Avinash bhi Pavan ho sakata hai to phir aap ye nahi keh sakate ki update 6 se 12 tak Pavan ka jikra nahi huva. Ya iss baat se sahemat hu ki bachapan vale Pavan ka jikra nahi huva lekin present vale Pavan ka to jikra ho sakata hai na....
Avinash bhi kahani ka aek mukhya patra hai isliye use bhi uchit samau diya hai.... agar aap aage padhenge to aapko jarur pata chalega.
Aur kahali slow lagi isliye maafi chahunga. Aur aapki ye baat bhi sahi hai ki kuch baate baar baar repeat ho rahi hai uske liye bhi maafi chahunga. Lekin ye meri aek koshish thi ki Pavan ke kirdar emotional rup de saku...
Last me itna kahunga Kahani lambi chalegi aur full emotional, suspens, thrill se chalegi...
Lekin khas baat iss kahani ke plot ki hai jesaki kamdev99008 bhai ne kaha... To uska sahi se pata agar aap kahani aage padhe to pata chal jayega..
Thanks for quoting... And hoping you stay connected
Khair aapne hame jawab diya hame achha laga, lagta hain aapne kuchh spoilers daal diye hain iss coment mein, toh dekhte hain aage padh ke, waise aapki lekhan shaili achhi hain, bas kuchh baat mujhe khatki toh maine uspe raushani daali, aage bhi jaroor comment karoonga.