to be honest part 6 se 12 tak mujhe slow laga aapne plot banane ke chakkar mein kahani ke other main lead ko bilkul bhi importance na dee hain, aur kahani slow ho gayee thee isse, kyunki hame pata hain kee pawan bhi ek character hain jiska koi jikra hee na ho raha hai, aur jab bhi paridhi diary padhti hain bas ek hi baat dikhati hain, kya uske alawa usme kuchh bhi aur na likha hain.
Kuchh baate baar-baar repeat ho rahi hain, isse kahani dragged lagti hain, kyunki paridhi ke pass jyada kuchh kehne ko nahin hain, jaisa kee abhi tak laga, bas ek uske ladko se nafrat waali baat ko chhor kar. Aisa nahin hain kee uska character interesting nahin hain, lekin pawan ko bilkul bhi sideline kar diya hain, wo abhi kya kar raha hain, ho kya raha hain uski zindagi mein. Aur us diary mein toh usne abhi tak kee saari baate likhi hongi, toh wo kyun nahin padh rahi hain paridhi.
Jabki pavan khud apne mein ek story liye hue baitha hain, story ke important parts uske around ban shakti hain, lekin wo bilkul nadarad hain.
Dono ke character simultaneously chalte toh better lagta. Baaki main apne shabdo ke liye maafi chahoonga, agar thes pahunchi hogi toh, kyunki mujhe shuruwat achhi lagee, lekin yehan tak aane ke baad aage badhne ka man nahin kar raha hain, isliye bol raha hoon.