Writer - legendkiller786
Story - MERA KASOOR
MERA KASOOR
" ha...ha...ha.. " ek jordaar hansi ki aawaj rahul kaano me padi, jishe sunkar rahul ateet me khota chala gaya
----------------------------
aaj anju ki suhaagraat thi, vo raat jiska har ladki ko apni jindagi me besabri se intjaar rehta hai, vaise hi anju ko bhi tha, saji-dhaji, ek dulhan ke roop me,
shaadi ka joda pehne vo sharmaayi si suhaag ki sej par apne pair mode huve baithi thi. ghoonghat nikaal rakha tha usne, uska dil us kshan ke intjaar me teji
se dhadhak raha tha ki kab uska pati karan aayega aur uska ghoonghat uthayega, kya kahega vo uska chehra dekhkar, pata nahi kuch kahega bhi ya nahi,
aur agar nahi kaha to kya karega, ye sochkar uska chehra sharam se laal ho gaya, kaisa lagega uska pehla sparsh. aise dhero sawaal the uske man me jinme se
ek ka bhi jawaab uske paas nahi tha lekin vo sabhi sawaalo ke jawaab paane ko utsuk jaroor thi.
karan army me tha aur uske mata-pita is duniya me nahi the, ushe uske chacha-chachi ne hi paala tha, ye unki arrange marriage thi lekin aaj ushe kahi se bhi
ye nahi lag raha tha ki vo karan se pyar nahi karti, sagaai ke baad rojaana phone par baate karte-karte vo uski baato me aise kho jaati thi ki ushe aur kisi
baat ka hosh hi nahi rehta tha, karan tha bhi aisa hi, har kisi ko apni baato se deewana bana leta tha vo, bado se bado ki tarah aur bachho se bachho ki tarah
baate karta tha vo, hamesha hansta rehta aur sabko hansata rehta, aisa lagta tha jaise uske jeevan ka moto ye hi tha ki 'hanso aur hansao'. shaadi se pehle
ek-do baar mili bhi thi vo usse, un do mulakaato me hi vo uski poori tarah se deewani ho gayi thi, kitna hansmukh chehra aur kitni pyaari baate, kitna achha
swabhaav, uski har ek baat se anju ko lagaav sa hota chala gaya tha.
vo abhi ye soch hi rahi thi ki ushe darvaaja khulne ki aawaj aayi, aakhirkaar, usne man hi man socha ki intjaar ki ghadiya khatam huyi. ghoonghat ki vajah
se vo kuch dekh to nahi paa rahi thi lekin ushe lag barabar raha tha ki koyi uske bed ki taraf badh raha hai.
----------------------
" ab se to yaar karan, tera-mera milna-julna kam ho jaayega, ab to tu saara time bhabhi ko hi diya karega yaar " karan ke ekloute aur best friend rahul ne
kaha.
" kaisi baate kar raha hai yaar, tu achhi tarah se jaanta hai ki jab se mere mata-pita ki mrityu huyi hai, tabse lekar aajtak agar tu na hota to shayaad aaj mai
bhi yaha maujood nahi hota, tune har kadam par mera saath diya hai yaar, isliye to kehte hai ki dosti har rishte se badi hoti hai agar dost sachha ho to, yaar,
aisa to koyi mere khoon ke rishte vaala bhi mere liye nahi kar sakta tha jaisa ki tune kiya hai, pata nahi ki mai tera ye ehsaan kaise chuka paaunga dost "
karan bola.
" vaah bete, ek pal me to dost kehkar apna bana leta hai aur dusre hi pal me ehsaan ki baat karke paraya kar deta hai, saale, maine tujh par koyi ehsaan nahi
kiya hai, samjha, aur agar tu un sab baato ko ehsaan hi maanta hai to mai jaata hu aur aaj ke baad kabhi nahi aaunga "
" sorry yaar, tu jaanta hai ki mere kehne ka vo matlab nahi tha, please, tu naaraaz mat ho, tere siva mera hai hi koun "
" sab samajhta hu saale, bhabhi aa gayi na ab tujhe sambhaalne vaali, isliye tu saale aisi baate kar raha hai, chal beta agar ehsaan hi maanta hai to tera vo
vaada to tujhe yaad hi hoga "
" koun sa vaada "
" hum dono ne ek-dusre se vaada kiya tha ki jiski bhi shaadi pehle hogi vo pehli raat ko apne kamre me apne dost ko bhejega, bol kiya tha ya nahi "
kuch sochte huve karan bola," haan yaar kiya to tha, chal to, agar vaada kiya tha to jaa tu fir, kisne roka hai tujhe, tere liye to mai apni jaan bhi de du, to fir
ye kounsi badi baat hai "
aur rahul sachmuch hi uthkar anju ke kamre ki taraf chal diya, karan muskurata hua ushe dekhta raha.
------------------------
rahul kamre ke andar ghusa aur usne darvaaja band kar diya, vo palta to bed par ushe saji-sanwari anju baithi huyi dikhaayi di, vo uske kareeb pahucha aur
bed par baith gaya, usne dheere se uska ghoonghat uthaya, anju najre jhukaaye baithi thi, usne najar uthakar bhi rahul ki taraf nahi dekha tha.
" bhabhi " rahul bola.
karan ke alawa kisi aur ki aawaj sunkar anju sakte me aa gayi, usne najre uthakar upar dekha to vaha karan nahi koyi aur baitha tha.
" k..koun hai aap, k..karan kaha hai " anju kaanpte swar me boli, kisi anjaani anhoni ki aashanka se uske dil me dar ghar kar gaya tha.
" aap ghabraaiye mat bhabhi, mai sirf aapki munh-dikhaayi aapko dene ke liye aaya tha " kehkar rahul ne apni jeb se 1001 rupye nikalkar uski godi me rakh
diye.
anju ko badi hairaani ho rahi thi ye sab dekhkar, vo abhi tak samajhne ki koshish kar rahi thi ki ho kya raha hai.
" bhabhi, mera dost kayi saalo se is duniya me akela tha, lekin ab nahi hai, ab aap uski jindagi me maujood ho, ab aapko hi uska jindagi bhar khayaal rakhna
hai, bhabhi, mera dost bahut jyada sensitive hai, ushe gussa bhi bahut jaldi aa jaata hai, agar kabhi vo aap par kisi baat ko lekar thoda-bahut gussa kar bhi
de to please ushe najarandaaj kar dijiyega, aapke aane se ushe jindagi jeene ka ek naya hounsla mila hai, agar aap hi usse naaraaj ho jaayengi to jeete-jee mar
jaayega mera dost, is waqt sabse jyada jaroorat hai ushe aapki, ummeed karta hu ki aap meri baato ko samjhengi aur karan ko ek patni ki tarah hi nahi balki
ek maa ki tarah bhi pyar dene ki koshish karengi, yahi kehne aaya tha mai bhabhi, chalta hu, namastey " kehkar rahul uthkar darvaaje ki taraf chal pada.
ab anju ke man me baitha hua saara dar nikal chuka tha, vo samajh chuki thi ki ye karan ka bahut achha aur sachha dost hai, jo banda aisi nek baate kar
sakta hai, vo sachha dost hi hota hai, karan inhi ki sangat me itne achhe ho gaye lagte hai, usne man me socha. vahi dusri or, karan roshandaan se saara scene
dekh raha tha aur mand-mand muskura raha tha, vo jaanta tha ki rahul aisa hi kuch karega, aaj rahul ka darja uski najro me aur bhi uncha ho gaya tha.
---------------------------
karan kamre me pahucha aur usne jaakar anju ka ghoonghat uthaaya aur bola," kitni khoobsurat ho tum, baahar se bhi aur andar se bhi "
sunkar anju sharma uthi aur usne apna chehra karan ki chaati me chupa liya.
karan ne uska chehra apne haatho me bharkar upar uthaya aur uske larajte hontho par pane honth tika diye aur ve dono pyar ke saagar me gotey lagaane ke
safar par chal pade.
---------------------------
agle din subah, karan vaapis apni rejiment ko join karne jaa raha tha kyonki jung ka mauhol bana hua tha aur kabhi bhi jung shuru ho sakti thi isliye sabhi
foujiyo ko vaapis aane ke aadesh de diye gaye the.
jaate huve karan rahul se bola," yaar rahul, dekh tu meri anju ka khayaal rakhna, vo bahut seedhi-saadhi aur bholi hai, ushe yaha ke tour-tareeke nahi
maalum hai, agar ushe koyi problem ho to please yaar uska khayaal rakh lena tu "
" tu chinta mat kar yaar karan, apne dost par itna to bharosa kar sakta hai na tu "
" tujhpar to yaar mujhe apne se jyada bharosa hai " kehkar karan uske galey lag gaya.
fir jab vo anju se milne andar gaya to anju foot-footkar ro padi, karan ushe apne seene se lagaate huve bola," arey pagli, mai koyi hamesha ke liye thodi na jaa
raha hu, bas, do-teen mahine me hi mai vaapis aa jaaunga "
is tarah bheegi palko se sabne karan ko vida kiya.
----------------------------
fir ek manhoos din jab rahul utha to ushe baahar kuch shor-sharaaba sunaayi diya, vo baahar nikla to dekha ki karan ke ghar ke baahar kaafi saare logo ki
bheed jama ho rakhi thi, poochne par pata chala ki karan veergati ko prapt ho gaya tha, ye sunkar mujhe aisa laga ki jaise kisi ne mere kaano me pinghla hua
sheesha undel diya ho, kaafi der tak mai sunn khada raha, fir mujhe karan ke vo aakhiri shabd yaad aa gaye ki yaar meri anju ka khayaal rakhna, maine kisi
tarah se khud ko sambhaala aur mai andar anju bhabhi ke paas pahucha aur unhe saantavna dene laga.
uske baad maine ghar aane se pehle uske gharvaalo se poochtaach ki to pata chala ki karan ki laash bhi nahi mili, dhamaake me uska poora shareer chithde-
chithde ho gaya.
---------------------------
ab mai samay-samay par karan ke ghar jaata raha aur anju bhabhi ko santaavna deta raha aur unse kehta raha hi aap himmat mat haaro varna karan upar se
aapko dekhkar dukhi hota rahega, aap khush raha karo, jaise-taise din beet rahe the aur fir ek aur manhoos din hamari jindagi me aa gaya.
-----------------------------
us din subah-subah mujhe apne darvaaje ko baahar se jor-jor se peeta jaane ki aawaj ne uthaya, maine uthkar darvaaja khola to dekha ki baahar anju bhabhi
khadi thi, unki aankho me aansu the.
" arey bhabhi aap, aaiye na andar aaiye, aap is waqt yaha " mai bola.
" rahul bhaiya, mujhe bacha lo " anju ne rote huve kaha.
" aap baithiye bhabhi " maine anju ko bithaane ke baad ushe ek gilaas paani laakar pilaya aur fir bola," ab bataiye bhabhi ki aakhir baat kya hai "
" karan ke chacha-chachi jaaydaad ke liye meri dusri shaadi karana chahte hai " anju ne subakte huve kaha.
" kya " mere hontho se nikla.
uske baad maine kaafi der tak karan ke chacha-chachi aur gaanv ke logo ko samjhaane ki koshish ki lekin vo log nahi maane, unki aur sabhi gaanv vaalo ki
roodhivaadi soch yahi kehti thi ki ek vidhva ko ghar me bithaaye rakhna apshagun hota hai, aur fir aakhir mai haar gaya. anju ki shaadi sameer se fix kar di
gayi.
------------------------------
anju ke shaadi vaale din mai utha to baahar fir se shor ho raha tha, mai bhaagkar baahar aaya to pata chala ki anju bhabhi ne kuve me koodkar khudkhushi
kar li thi, mai kuch na bola aur apne ghar aa gaya aur sochne laga ki ye kiski jeet hai aur kiski haar hai, ye dakiyanusi samaaj aur uske banaye ghatiya niyam
na jaane aur kitno ki jaan lenge, anju bhabhi ne to apne pyar ko beijjat nahi hone diya, aakhir vo jeet hi gayi aur ye samaaj haar gaya, ye is samaaj ke munh
par ek karara tamacha hai lekin kya isse kuch fark padega, is sawaal ka jawaab mere paas to kya shayad kisi ke bhi paas nahi tha.
agle din anju bhabhi ki antyeshti ke liye jab unhe le jaaya jaa raha tha to mai apne ghar ke baahar chabootare par baitha unhe jaata hua dekh raha tha, mai
tab tak unhe dekhta raha jab tak ki ve meri aankho se ojhal na ho gayi, tabhi kisi ne mere kandhe par haath rakha, maine peeche mudkar dekha to mere halak
se ek cheekh ubal padi.
mujhe apni aankho par vishvaas nahi ho raha tha, mere saamne baisaakhi ke sahare khada karan muskura raha tha.
usne mujhe bataya ki vo mara nahi tha balki dushman sipaahiyo dwara pakad liya gaya tha, uski taang me goli lagi thi, aur uchit samay par chikitsa na
milne ki vajah se uski taang kaatni padi thi. aur jab dono desho ne ek-dusre ke pakde huve sainiko ko chhoda to vo bhi vaapis apne desh aa gaya.
lekin jab maine ushe saari baat batayi to uski muskurahat pal bhar me hi gaayab ho gayi.
-------------------------------
anju bhabhi ka shav dhu..dhu.. karke jal raha tha, saari prakriya ke douraan karan khaamosh sa jad hokar ek jagah baitha tha, fir achanak hi vah thahaka
lagakar hans pada aur upar ki taraf uthte huve dhuve ki taraf ishaara karta hua bola," vo dekho, meri anju jaa rahi hai, jaalimo ke shikanje se door,
hamesha-hamesha ke liye, ha..ha...ha... ab ushe koyi tang nahi karega... "
us ghatna ke baad se karan apna maansik santulan kho baitha, ab aksar ushe gaanv ki galiyo me thahaka maarkar hanste huve aur ye kehte huve suna jaa
skata tha," meri anju jaalimo ke shikanje se door jaa rahi hai, vo dekho... "
us thahake ko sunkar mai aksar sochta tha ki isme kiska kasoor tha, anju bhabhi ka, nahi, unhone vahi kiya jo unhe karna chahiye tha, karan ka, nahi, vo to
majboor tha, to kya mera, haan, mera hi kasoor tha is sab me, agar maine thodi se himmat aur dikhaayi hoti aur anju bhabhi ka saath diya hota to shaayad
aaj ye din dekhna na padta. shaayad aaj mera dost karan apna maansik santulan na khota, shaayad aaj anju bhabhi jinda hoti.
" ha....ha...ha... " vaatavaran me ek baar fir se karan ke thahake goonj uthe.
THE END