PAAP
5. DERA
UPDATE 5
"What do you think of the story?" Raat ko sote hue Sandhya ne mujhse sawal kiya
"Whats there to think of it. Bakwaas baaten hain" Maine jawab diya
"Hmmm" Sandhya ne haami bhari.
"I mean come on yaar. Simple sa logic hai. Hamare shareer mein bhi toh ek aatma hai toh aisa kaise ho sakta hai ke ek bahar ki aatma hamen maar de ya hamare shareer mein ghus jaaye? Hamari aatma us waqt kya tel lene gayi hoti hai? Why cant our own aatma defend its body?" Main bola.
"Maine kahin suna tha ke aatma mein bhi strong weak wala funda hota hai" Sandhya boli " Ke strong wali aatma weak wali aatma ko dabati hai"
"Come on yaar. Aadmi ko kya marte hi darane aur maarne ya khoon pine ki bimari ho jaati hai ke aatma bante hi he goes on a killing rampage?"
"Point" Sandhya boli "Vaise maine ye bhi suna hai ke bure logon ki aatma hi hoti hain jo doosro ko nuksaan pahunchati hain" Vo apne baalon mein kangha karti hui boli.
"Whatever. So jao ab aur mujhe bhi sone do. I need to go out for a early morning shoot"
"Ok. Good night" Sandya ne jawab diya.
Thodi hi der baad ham kamre ki lights off karke so chuke the. Mukesh bagal ke hi kamre mein already ghode bechkar so chuka tha. Main bhi poore din ka thaka hua tha isliye aankhen band karte hi neend aa gayi.
Mujhe waqt ka sahi andaza nahi tha par kisi aawaz par meri aankh khuli par neend poori nahi tooti. Neend ka khumaar tha aur kamre mein ghup andhera tha. Maine pal bhar ke liye aankh kholi aur phir karwat lekar aankhen band kar li.
Neend ke aagosh mein jaane se theek pehle mujhe Sandhya ki taraf se aawaz aati sunai di. Vo hindi mein ginti gin rahi thi.
"55, 56, 57, 58, 59, 60, 61, 62"
"Kya hua, neend nahi aa rahi? Maine puchha. Vo shayad so nahi pa rahi thi aur sone ki koshish mein ginti gin rahi thi, Par mere sawal ka usne koi jawab nahi diya aur main bhi jawab ka intezaar kiye bina phir so gaya.
Ek baar phir raat ko kisi aahat par meri aankh khuli. Kamre mein ab bhi ghup andhera tha. Main aankhen malta hua sidha hokar leta aur Sandhya ki taraf haath badhaya.
Vo bistar par apni jagah nahi thi. Bed par sirf main tha.
"Sandhya? Maine aawaz di aur jawab bhi ek baar mujhe phir ginti ginne ki aawaz sunai di.
"6786, 6787, 6788, 6789, 6790, 6791 ....."
"Kya kar rahi ho ab tak? Neend nahi aa rahi hai?" Kehta hue maine apni taraf table par rakha lamp on kiya aur meri aankhen phati ki phati reh gayi.
Night lamp ki roshni kaafi halki thi aur usmein jitna aur jo mujhe nazar aaya vo main bata nahi sakta. Kamre ke ek kone mein kuchh tha, kya tha main nahi janta.
Roshni uske sirf chehre par padi, agar use sirf chehra kaha ja sake toh.
Jis tarah se kisi phate purane kapde ko lekar ek chehre jaisa mask bana diya jaaye vaise hi chehra. Bedhangi naak, kahin se tight toh kahin se latke hue gaal, hadh se zyada lambi thodi (chin), aur in sabke beech ek ajeeb si line. Jaise in sab cheezon ko aapas mein rakh kar joda gaya ho kisi cheez se, ya sil diya gaya ho aur silai ka
nishan saaf dikh raha ho.
Aur tabhi mera dhyaan uski aankhon ki taraf gaya. Us halki si roshni mein bhi uski aankhon mein farak bataya ja sakta tha. Ek aankh thodi chhoti thi par doosri badi thi, bahut badi aur hadh se zyada laal. Jaise do alag alag logon ki aankhon ko saath mein rakh diya gaya ho.
Meri nazar us nazar se mili. Maine unhen aur un aankhon ne mujhe dekha. Phir jaane kya hua par main apne hosh kho betha aur kuchh yaad nahi raha.
Jab subah mujhe hosh aaya toh hotel mein hadkamp macha hua tha. Chaaro taraf police hi police thi. Main uthkar betha aur chaaro taraf dekha. Mukesh mere bed ke paas hi sar pakde betha tha.
"Mukesh" Maine uthte hue kaha "Sandhya kahan hain?"
Mujhe bataya gaya ke meri biwi ki kal raat bahut hi dard naak tarike se hatya kar di gayi thi.
"Maine aapko mana kiya tha na sahab, kaha tha ke Dere ki taraf mat jana" Caretaker paas hi khada ro raha tha. "Usne dekh liya aapki biwi ko aur le gayi jo use pasand aaya"
Mujhe ye bhi bataya gaya ke police ko meri biwi ke khoon mein kuchh pairon ke nishan mile hain aur daayen paon ka angutha gayab hai, sirf 4 anguliyon ke nishan hain.
Shinakht ke liye mujhe Sandhya ki laash dikhai gayi toh mera rona chhut pada. Uske sar ko kaat kar shareer se alag kar diya gaya tha. Hairat wali baat thi ke uske sar par ek bhi baal nahi tha. Poore sar par zakhm ke nishan bane hue the, jaise kisi ne baal noch noch kar nikale hon.
Aur tabhi mujhe raat ki sunai di vo ginti yaad aayi.
"6786, 6787, 6788, 6789, 6790, 6791 ....."
Jaise koi bade dhyaan se dheere dheere ek ek karke ek ek baal noch raha ho aur gin raha ho.
THE END