PAAP
28. NA JAANE KYUN .....
UPDATE 2
ek premi ki tadap ka isse shandaar description koi kar hi nahi sakta. majboor, laachaar khada reh gaya wo, jiski duniya uski aankhon ke saamne ujad gayi. ek baar fir mann mei udaasi chha gayi padte hue. kalam ke jadugar ka ek ek shand hathoda banke dil-o-dimag pe baj raha thaa.
Quote:
Saalon se badi khwahish thi ke uske dulhan ke roop mein dekhun. Dekhun ke kaise laal rang uske gore rang par phabta hai. Dekhun ke vo chamak jo log kehte hain ke ladkiyon par shaadi ke waqt aa jaati hai vo uske chehre par kaisi lagegi. Dekhun ke jab vo ban than kar aaye toh kaise mehfil ki har ladki uske saamne mamooli ho jaaye.
dulhan ki khubsurati aur ladke ki bebasi darshaati ek shandaar tehreer. aisa lag raha thaa sab kuch aankhon ke samne chal raha hai. jaise us taqleef ko mehsoos kar sakta hu jisse wo hero guzar raha thaa. yehi ek mahaan writer ki pehchaan hoti hai, us dard ko mehsoos karwana, jise ap bakhubi karwa rahe thee. kisi sapno ki duniya mei khoya hua thaa padte waqt. is prem kahani mei ab tak kai rang dikh gaye thee pyaar ke. umeed, khushi, gham, balidaan, khamoshi, bebasi, masumiyat... kaunsa rang tha jo nahi thaa
Quote:
Kaise kahoon, kaise samjhaoon ke main usse zyada hoon. Ke main usse mohabbat karta. Par kambakht alfaaz hain ke na jaane kyun zubaan tak aakar hi ruk jaate hain. Ehsaas hain ke na jaane kyun dil mein dhadkan ban kar hi dhadakte reh jaate hain. Khwahish hai ke na jaane kyun aankhon se toh numaya hoti hai par lafzon ka roop lekar kabhi zubaan ki sidhiyan nahi utarti.
kahani ka ek bhi aisa shabd nahi jo dil mei naa utar gaya ho. contest ki baaki stories padke aisa lag hi nahi raha ki yeh kahani bhi un sab se hi competition karne aai hai. yeh alag hi caliber ki kahani hai. bahut upar uth chuka hai iska level. iska muqabla kisi aur se karna iski tauheen jaan padta hai mujhe. iske ek ek shabd mei jo nasha hai, usee lafzon mei bayaan nahi kar sakta hu. jo dil har ek line padte hue dhadakta hai usee bayaan karna naamumkin hai. yeh kahani nahi ishq ki ibaadat hai. baar baar is kahani aur iske writer ke saamne sajda karne ko dil chaah raha hai. vampire bhai ka naam bahut suna tha, unki kuch short stories padi bhi hai, lekin aaj jo nasha is kahani mei hai padte waqt, wo kuch alag hi hai.
Quote:
Aakhri baar use dekha tha to voh laal rang mein thi. Bahut khoobsurat lag rahi thi.
Aaj use dekh raha hoon toh vo safed rang mein, bahut khoobsurat lag rahi hai.
Aakhri baar use dekha tha toh vo mehfil mein thi, bahut khoobsurat lag rahi thi.
Aaj use dekh raha hoon toh vo ab bhi logon se ghiri hui hai, bahut khoobsurat lag rahi hai.
Aakhri baar use dekha tha to vo ghar se vidai le rahi thi, bahut khoobsurat lag rahi thi.
Aaj use dekh raha hoon toh vo phir vidaai le rahi hai, bahut khoobsurat lag rahi hai.
Aakhri baar use dekha tha to log use ghere aansoo baha rahe the, aur vo bahut khoobsurat lag rahi thi.
Aaj bhi log use ghere zaar zaar ro rahe hain, aur vo ek baar phir bahut khoobsurat lag rahi hai.
isee padte hue apni shirt bhigo chuka hu. pata hai aage kya hone wala hai, lekin himmat nahi ho rahi aage padne ki. ek sannaata pasar gaya hai padne ke baad. aisa kyu hai ki ek ek shabd mei chhupe dard ko mehsoos kar raha hu. kaise us judai, tadap, maayusi aur dard ko bahar dikha paa rahe hai aap. aap koi writer hai ya jadugar nahi jaanta. lekin mei khushnaseeb hu isee pade ko mila yeh pata hai
Quote:
Dar-e-yaar par badi dhoom hai,
vahi aashiqon ka hujoom hai,
Abhi neend aayi hai husn ko,
koi shor karke jaga na de.
nahi hai, iske liye shabd nahi hai
bus itna pata hai aaj isee naa padta toh kuch kho deta, kuch anmol kho deta. yeh sirf ek kahani hai hi nahi. sirf ek kahani kehna iski tauheen hogi, isee sirf kuch shabd kehna iski tauheen hogi.
Quote:
Par aisa lagta hai ke maut sirf itna hi kar saki ke jism se rooh ko nikal le gayi. Isse zyada shayad maut ke bas mein bhi nahi tha. Vo aaj safed chadar mein lipti jin logon ke beech hai, unmein se har kisi ke chehre par gham hai par jiske liye zamana ghamzada hai vo khud kitni pur-sukoon hai. Vahi raunak jisne zindagi bhar saath diya vo aaj aakhri lamho mein bhi chehre ka saath chhod na saki.
Aur un sab logon ke beech betha main abhaga ye tay hi nahi kar pa raha hoon ke meri duniya aur kitni baar lutegi. Kabhi laal rang mein toh kabhi safed rang mein waqt aur kitni baar mere saath mazak karega. Main jiska haath thaam kar sapne sajana chahta tha, aak vo khud ek khwab bankar maut ka haath thaame jaane kahan chali gayi.
kya in shabdo ki taarif bayaan karna mumkin hai? kya is shabdo ko likhne wale writer ki taarif shabdo mei kar paana mumkin hai? mere liye toh bilkul nahi hai! is kahani ko jitni baar pado kamm hai. mei har line ko 10 baar padke, mehsoos karke fir likh raha hu yeh sab, isliye nahi jaanta kya likh raha hu, abhi bhi is kahani ke nashe se bahar nahi nikal paya hu
Quote:
Khyaal aata hai ke jo kabhi masoomiyat ki tarah baar baar chhoti bachchi ki tarah mujhse lipat jaati thi, aaj main uske murda jism se lipat jaoon. Jo baat zindagi bhar usse na keh saka, aaj use apni zubaan tak le aaon. Bethun uske sirahne, rakh loon uska bejaan sar apni god mein, thaam loon uske thande pad chuke haath aur bataoon use ke kaise main apni zindagi ka har pal uske naam kar chuka hoon. Kaise uske dam se meri zinadgi ka dam tha.
yeh dard padte hue aankhen bheegne se khudko nahi rok paa rahi hai. kitne shandaar shabdo mei ek premi ki tadap ko likha gaya hai. ek reader agar inhe padte hue mehsoos nahi kar sakta toh zaroor wo patthar dil hoga.
Quote:
Main gham-e-jahan se nidhal hoon,
Ke sarapa dard-o-malal hoon,
Jo likhe hain mere nasbeen mein,
vo alam kisi ko khuda na de.
yeh kya likh diya aapne.. aapne toh ishq ki geeta-quraan likh di. aakhri part padne baitha toh hosh naa raha.. abhi apne dil pe jo beeti wo likh raha hu, iske baad tasalli se aur kai baar padunga is kahani ko. kin shabdo mei aapka shukriyaada karu, samajh nahi aa raha is kahani ke liye
ek hi guzaarish hai, aisi ishq ki tehreere aap likhte rehna. jo dard aaj aapne undela hai shabdo se apne, wo ek jaadu hai. mei kya kahu pata nahi, mei koi expert reviewer nahi hu. waise bhi ishq ki is anmol tehreer ko mei toh kya koi bhi review nahi kar sakta. yeh gustaakhi hogi, yeh paap hoga.
anth mei ek ladki ki zindagi bhar ki khamoshi ufff uska apne pyaar ka izhaar naa kar paana, zindagi bhar ladke ka kadam badaake haath thaam lene ka intezaar karna. khuda kisiko bhi aisi tadap naa de. mei isse pehle sirf ek kahani ko padte hue roya thaa, aaaj dusri baar roya hu. bata nahi sakta yeh kitni anmol kahani ban gayi hai mere liye. please aap aise hi shandaar kahaniya likhte rehna vampire bhai.
_______________________ THE END