PAAP
1 . SAFED LIBAAS
UPDATE 5
Agli subah jab meri aankh khuli toh vo ja chuki thi. Main khamoshi se utha toh man ajeeb tarah se bhaari thi.
Samajh nahi aa raha tha ke ye isliye tha ke maine apni biwi ko dhokha dete hue ek ajnabi ladki ke saath soya tha jo ek paap tha ya isliye ke vo ladki ab mere saath nahi thi aur main usko phir se dekhna chahta tha. Phir vahi paap karna chahta tha.
Sirf ye ehsaas ke vo ab mere paas nahi hai jaise meri jaan nikal raha tha. Pahadon mein ab bhi ajeeb sa sannata tha.
Bahar sooraj ab bhi nahi nikla tha. Chaaro taraf badal phele hue the. Maine uthkar apne kapde pehne aur bahar aakar phir andaze se us jagah ki taraf chal diya jahan maine usko pehli baar dekha tha. Na kuchh khaya, na munh dhoya, bas deewano ki tarah utha aur uski talash mein chal pada.
Vo ghar jahan ki usne bataya tha ke vo rehti thi ab bhi vahin tha. Meri jaan mein jaan aayi. Ghar ke bahar pahunch kar maine kunda khatkhataya.
Ek buddhi aurat ne darwaza khola. Haath mein ek danda jiske sahare vo jhuk kar chal rahi thi. Doosre haath mein ek mala jiska vo jaap kar rahi thi.
"Kahiye" Usne mujhse puchha
Maine usko bataya ke main ek ladki ko dhoondh raha tha. Huliya bataya aur tab mujhe ehsaas hua ke maine kal raat uska naam tak nahi puchha tha.
"Meri beti Aashiya?" Buddhi aurat ne boli
Maine bataya ke main naam nahi jaanta par phir se ladki ka huliya bataya.
"Haan meri beti Aashiya. Ek saal pehle aate toh shayad mil lete"
Main matlab nahi samjha.
"Usko mare toh ek saal ho gaya"
Main phir bhi matlab nahi samjha aur hairani se us aurat ko dekhne laga. Usne mujhe vahin ek ped ki taraf ishara kiya aur darwaza mere munh par band kar diya. Main kisi bevakoof ki taraf chalta us ped tak pahuncha.
Ped ke neeche ek kabar bani hui thi. Ek paththar par hindi aur urdu mein likha tha,
"Ashiya"
Aur naam ke neece likhi thi vo shayri jo usne kal raat mujhe sunai thi.
Faqat ek teri yaad mein sanam,
Na safar ke rahe, na watan ke rahe,
Bikhri laash ke is qadar tukde hain,
Na qafan ke rahe, na dafan ke rahe .
Maut ki tareeh aaj se theek ek saal pehle ki likhi hui thi.
Jab main vaapis guest house pahuncha toh bahar mujhe caretaker mila. Maine usko us ladki ke baare mein bataya jo kal mere saath aayi thi.
"Kaun si ladki sahab" Vo hairat se meri taraf dekhta bola "Aap toh akele aaye the"
Maine usko bataya ke vo ladki jisse main baat kar raha tha.
"Main toh samjha tha ke aap vo hanuman ji se baat kar rahe hain" Usne mere cottage ke thoda aage bani ek hanuman ji ki moorti ki taraf ishara kiya.
"Aap kal akele aaye the Sahab" Vo phir bola
Hawa mein ek ajeeb si khamoshi thi jaise kahin koi mar gaya ho aur saare ped, saari vaadiyan, saare pahad uska matam kar rahe hon. Meri aankhen bhar gayi aur kaleja munh ko aa gaya.
Main rona chahta tha. Dahade maar maar kar rona chahta tha.
Main usko haasil karna chahta tha. Phir usko pyaar karna chahta tha. Main uske saath hona chahta tha. Phir vahi Paap karna chahta tha.
"Usko toh mare ek saal ho gaya" Budhiya ki aawaz mere kaanon mein goonjh rahi thi.
"Aap kal akele aaye the sahab" Caretaker ki aawaz dimag mein ghantiyan baja rahi thi.
Mera dil aise udaas tha jaise mera jaane kya kho gaya ho, dil kiya ke chhati peetkar, dahade maarkar ro padun, apne kapde phaad doon, is pahad se kood kar apni jaan de doon.
Apni jaan de doon.
Aur madhoshi ke se aalam mein mere kadam pahad ke kone ki taraf chal pade, khaayi ki taraf....
THE END .

Last edited: