• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Erotica Xossip to Xforum

Alex123

Active Member
1,003
1,286
123
Aur ek aur bat kahni thi safed libas ki kahani kafi interesting thi but end bich me chut Gaya Kya uski bad ki story nahi hai yahi puchna tha
 
  • Like
Reactions: Siraj Patel

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
Mere khayal se jis Zindagi me koi family hi na ho wo Zindagi bhi kisi kaidkhane se Kam nahi .uski acchi buri Socha ne hi use le Mara khair Mai ye kahna chahta tha k AAP ki story thoda hat k lagi isliye padhi .
sukriya bhai thread pe aane ke liye. abhi aisi hi aur bhi stories padhne ko milengi apko . bas sath bane rahe .
 
  • Like
Reactions: Alex123

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
Aur ek aur bat kahni thi safed libas ki kahani kafi interesting thi but end bich me chut Gaya Kya uski bad ki story nahi hai yahi puchna tha


story wahin tak thi .wese bhi ye specify karne ki jarurat nahi thi ki khai ki taraf wo saksh kyu chala gya. pyar se door hone ke baad pehli zidd hoti hai apne pyar se milna . baki aap samjh hi gaye hoge .
thanx for reading & supporting .
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Alex123

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
PAAP

3. MEHRAM


UPDATE 1

Kamre mein rakhe Radio par halki aawaz mein gana goonj raha tha ...
"Kaise kahen alvida mehram, kaise rahen ajnabhi tum ham ....."
Workshop khatam ho chuki thi par hamesha ki tarah dono vahin bethe baaten kar rahe the.
"Mehram matlab?" Gaane ke bol sunkar vo puchh bethi.
"Mehram matlab koi aapka pehchan wala. Not only pehchan wala but koi aapka kareebi, well wisher type you know. Koi jo aapka bhala chahta ho." Usne samjhate hue kaha.
"Kamal hain yaar Sameer. Tumhari itni achhi urdu kaise bol lete ho samajh nahi aata, i mean you are not even a muslim" Vo hasti hui boli.
"Yeah i am not but jaane kyun mujhe hamesha do zubaan bahut achhi lagti thi. Ek toh punjabi aur doosri urdu. Punjabi maine thodi idhar aur thodi udhar se seekh li aur urdu maine college mein as second language li hui thi" Vo haste hue bola.
"So you went to college too? You never told me that" Vo shikayat karne ke se lehze mein boli.
"Well i am telling you now. Yeah i went to college, B.Com honors" Vo uske lehze ko sunkar muskurata hua bola.
"Toh accident kab hua tha tumhara?"
"Final year mein, exams se just pehle. Aankhen jaane ka afsos jo hai so hai, usse bada afsos ye raha ke B.Com pass nahi kar saka. Thoda baad mein ho jata, i means exams ke baad, toh kam se kam jis degree ke liye itni mehnat kar raha tha vo final year mein na chhodni padti" Vo hasta hua bola.
"Shut up, its not funny" Vo ab bhi vahi shikayati lehza qayam kiye hue thi.
"Ok ok i am sorry" Ladke ne fauran hathyaar daal diye "Achha ye batao aaj workshop mein kya seekha?"
"Lallu banana seekha. Hamen typing karna sikha rahe hain us special typing machine par jo andho ke liye bani hai. Main puchhti hoon ke agar chalo maine typing seekh bhi li inke tarike se toh bhala mujhe pata kaise chalega agar main galti kar rahi hoon toh. I mean i cant really look at it or can i? And unless i can see, how the hell am i suppose to know ke maine vahi type kiya hai jo karna tha ya galti se akkad bakkad bambe bo type kar diya"
Uski baat sunkar vo hamesha ki tarah dil khol kar zor se has pada.
"Haan haan haso haso" Vo uski jaangh par haath maarte hue boli.
Pichhle 2 saal se dono us workshop mein aate the. "Sight for Blinds" naam ki us workshop mein dekh paane se majboor logon ko tarah tarah ke kaam sikhaye jaate the. Aise kaam jinhen karne ke liye aam zindagi mein aankhon ki zaroorat padti hai. Usi kaam ko bina aankhon ke kaise kiya jaaye, yahi us workshop mein sikhaya jaata tha.
"Achha kuchh sunao na. Kaafi din ho gaye" Vo chehakte hue boli.
"Hmmmm" Vo sochne laga "Suno .....
Tere kooche se uthke jidhar jaoon main,
Chalun do kadam aur thehar jaoon main.
Duniya khafa rahe toh parwah nahi koi,
Tu khafa ho toh mar jaoon main.
Bin tere sambhale hoon khud ko magar,
Chhu bhi le zara sa koi toh bikhar jaoon main.
"Awesome. You should really try wrting professionally yaar. You have a gift, dont waste it. Kaafi kam log hote hain duniya mein jo shabdon ke saath mel betha paate hain. Tum aisa kar sakte ho toh apne shauk ko apna profession kyun nahi bana lete?"
"Sochunga" Vo hamesha ki tarah taalte hue bola
"Jab bhi main is baare mein koi baat karti hoon tum taalne lagte ho. Socho Sameer aur please meri baat ka bura nahi maanna. Dekho Iske alawa aisa aur koi talent hai nahi tumhare paas jo aankhen jaane ke baad tumhein 2 waqt ki roti kama kar de sake. Aur chahe ham kitna bhi is baat se inkaar karen, haqeeat toh yahi hai ke uper wale ne aankhen lekar zindagi ke zyadatat raaste band kar diye hain. Toh meri salah maano aur jo ek raasta ab bhi khula hai, us raaste ko apna lo"
"Baat toh sahi hai" Ladke ne sehmati jatayi
"Of course sahi hai. Aur jitna achha tum likh lete ho, yakeen maano do waqt ki roti se kahin zyada kamaoge"..
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
PAAP

3. MEHRAM

UPDATE 2


"Jaante ho agar main dekh sakne ke qabil hoti toh sabse pehle kya karti?" Vo uske kaandhe par sar tikaye bethi thi.
"Kya?" Ladke ne apne ek haath se uske baalon ko sehlate hue kaha
"Tumse shaadi karti" Ladki ne halki hasi ke beech kaha.
Thodi der ke liye dono ke beech ek khamoshi chha gayi.
"Itna serious kyun ho gaye. Main ye thode keh rahi hoon ke abhi shaadi kar lo mujhse" Ladki phir halki si hasi ke saath boli
"Haan kyun nahi" Ladke ne fauran jawab diya.
"Matlab?"
"Matlab ye ke haan, kyun na ham shaadi kar len. I mean abhi, haal filhal mein" Ladka uske haath ko apne hontho tak laya aur choomte hue bola.
Is baar chaunkne ki baari ladki ki thi.
"Kya keh rahe ho. You cant be serious" Vo apna sar uske kandhe se hatate hue boli
"Why not?"
"Isliye Sameer ke ham dono dekh paane se majboor hain aur 2 kamzor log milkar ek mazboot ghar ki buniyaad nahi rakh sakte" Shokhi aur mohabbat ki jagah ab ladki ki aawaz mein dard ne le li thi.
Kuchh pal ke liye phir khamoshi chha gayi.
"Matlab agar ham dono mein se koi bhi dekh sakta toh tum mujhse shaadi kar leti?" Kuchh der baad ladka bola
"Koi bhi nahi, Main. Shaadi mere liye ek aisa khwaab hai Sameer jo main sirf apne khyaalo mein nahi dekhna chahti. Main us khwaab ko sach hote hue, apne rubaru dekhna chahti hoon. Apni aankhon se"
"Magar ......"
"Nahi Sameer. Please" Ladki ne uski baat ko kaat diya "Main bachpan se andhi hoon aur dekhna kise kehte hain ye maine sirf suna hi hai. Tum hamesha kehte ho ke main bahut khoobsurat hoon par jab tak ye sab main khud mehsoos na kar loon tab tak main shaadi jaisa bada faisla nahi kar sakti. Agar main zindagi jiyungi toh poori tarah nahi toh aise hi ghut ghut kar marungi. Either its everything or nothing, beech ka rasta mere liye bana hi nahi"
Kamre mein phir khamoshi chha gayi. Kuchh der baad ladka bola.
Na mandir mein moorat, Na masjid mein khuda hota,
Hamse hi ye tamasha hai, Na ham hote toh kya hota.
Ghata chhati, bahar aati, tumhara tazkira hota,
Phir uske baad gul khilte ke zakhm-e-dil hara hota.
Bulakar tumne mehfil mein hamko gairon se uthvaya,
Ham hi uth gaye hote, ishara kar diya hota
"Come on Sameer" Vo phir bachche ki tarah bilakh padi "You know i love you, you know that. Its just that there are a few things ...."
"I understand" Isse pehle ke vo ro padti ladka beech mein bol pada "Koi baat nahi. Main naraz nahi hoon"
Ek baar phir usne ladki ke haath ko chooma.
"Achha ek baat batao" Usne ladki se puchha
"Haan?"
"2 aankhen hi chahiye? Kahin se ek mil jaaye toh nahi chalega?
Ladke ki baat par dono has pade.
"Bilkul nahi chalega. Kaani se shaadi phir tum khud hi nahi karoge aur ek aankh wali kaani kehelwane se better hai ke main andhi hi rahun"
Kuchh der hasne ke baad dono phir khamosh beth gaye.
"Kya hamare khwaab kabhi sach honge Sameer? Kya ham kabhi dekh payenge?"
"Dont worry. Aisa hoga. Pehle tum duniya dekhogi aur uske baad main par dekhenge zaroor"
"Pehle main kyun?"
"Taaki tum dekh sakne ke qabil ho jao aur hamari shaadi ho jaaye. Main apna number shaadi ke baad laga loonga"
Aur dono phir has pade....
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
PAAP

3. MEHRAM


UPDATE 3

"I am scared Sameer" Vo bed par leti kaanp rahi thi. Kuchh darr se aur kuchh thandi A.C ki hawa se.
"Dont worry, you will be all right. Ye kaafi bada hospital hai aur yahan aksar eye transplant operations hote hain. You will be just fine"
"What if something goes wrong?"
"Nothing will go wrong, it will be all ok and in a few days, you will be able to see everything. Kuchh galat nahi hoga. Bharosa rakho" Vo bade pyaar se use samjha raha tha.
"And i still feel ke ye aankhen tumhein khud apne chehre par transplant kara leni chahiye thi. Itne barso mein ek donor mila tumhein aur tumne vo aankhen khud apne body mein transplant karane ki bajay mera naam suggest kar diya. I mean how often do you find a donor Sameer, its not an everyday occurence. Who knows how long it will be before you find another donor and that too if you find one"
"Exactly" Ladke ne kaha "And that is the reason why i chose you over me coz god knows how long it could take to find another donor aur tab tak tum mujhe shaadi ke liye latkati rehti. Isliye maine tumhara naam pehle suggest kiya. Ab tum dekh sakogi aur ham shaadi kar lenge. Phir baad mein koi doosra donor milne par mera bhi kaam chal jaayega" Ladka bola.
"Yeah right. Aur vo toh bhala ho Nishit ka ke usne mujhe ye baat bata di varna tum toh kuchh kehne wale nahi the" Nishit jis workshop mein dono mile the us workshop ka maalik tha. Vo apne kuchh doston ke saath milkar "Sight for Blinds" chalata tha.
"I love you so much. Promise that you will always be with me"
"Main hamesha tumhare saath hoon" Ladke ne ladki ka haath aisa thaama jaise use nahi khud apne aap ko bhi dilasa de raha ho.
"Wada?" Ladki ne phir vahi sawal kiya.
Aankhen bhar aayi aur aansoo ki boond tapak kar ladke ke haath par giri jise mehsoos kar usne kaha.
Poonch Daalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehne Do
Un Ke Chehre Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulaab Rehne Do
Un Ki Chokhat Ko Choom lo yaaron,
Baaki Saare Sawaab Rehne Do.......
"Bas yaar. Pat gayi main tumse. Kar loongi shaadi. Itni jhuthi tareef mat kiya karo meri" Ladki ne haste hue shayri ka jawab diya.....
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
PAAP

3. MEHRAM

UPDATE 4

"She doesnt wanna meet you yaar Sameer" Nishit ne gusse mein jawab diya "Its over, ok?"
"I know its over yaar" Ladke ne bhi gusse mein jawab diya "What do you think i am, a kid? Mujhe sirf ye jaanna hai ke kya vajah ho gayi ke achanak har wada toot gaya aur har irada badal gaya?"
"I dunno, ok?" Nishit chidte hue bola "I asked her as you wanted me to, word by word. I repeated what you said. I asked her, ok?"
"And?"
"And she didnt say a thing. She bloody asked me to leave and went to her room."
"Kuchh bhi nahi kaha usne?"
"Nahi Sameer, usne kuchh nahi kaha. Mujhe ek glass pani ko bhi uski maan ne puchha aur tu janta hai uski maan ne mujhse kya kaha?"
"Kya?"
"Yahi ke ab ye baat zaroorat se kahin zyada khinch chuki hai, ke ab unki ladki apna faisla kar chuki hai aur behtari isi mein hai ke ham bhi baat ko jaane dein aur unhen pareshan na karen"
Nishit gusse mein baukhlaya hua bola
Uski baat sunkar Sameer ke munh se bol nahi phoota.
"Uski shakal toh dekhi thi na tune, tujhe kya lagta hai ke na kyun bola usne?" Kuchh der baad Sameer ne kaha.
" Again, I dunno bro. Maybe because ab use pata hai ke vo bahut khoobsurat hai aur ab vo ye bhi dekh sakti hai ke you are not exactly the hunk she must be wanting now. Kyunki ab use dikh gaya hai ke vo gori chitti hai aur tu kala hai, ke vo khaasi lambi hai aur teri height average hai, ke uske nain naksh achhe khaase hain aur tera chehra kisi common aadmi ka hai. In short dude i think now she knows that she is pretty and you are not, rather these gaping holes in your eye sockets make you look shit ugly. Ab toh vo apne jaisa khoobsurat ladka chahti hogi, ek kala badsurat andha nahi" Nishit jaise ab bhi apne dil ki bhadas nikal raha tha.
"I dont beleive it" Sameer bola
"Doesnt change that what i said is probably true" Nishit ne kaha aur kamre se bahar nikal gaya.
Transplant successful tha. Vo ab dekh sakti thi par jis baat ki shayad ladke ko sabse zyada khushi honi chahiye thi vahi baat uske liye ek gham bhari khabar ban gayi thi.
Kuchh din baad ladki ne usse milna julna kam kar diya tha aur kuchh arse baad bilkul band hi kar diya. Vo ab uske phone calls bhi nahi leti thi aur jab shaadi ki baat aayi toh saaf mukar gayi.
Kya hua, kyun hua, kaise hua ye sab jaise ek bahut bada sawal bankar ladke ke saamne khade reh gaye.
"Kya soch raha hai?" Thodi der baad kamre mein daakhil hote hue Nishit ne puchha.
"Yahi ke
Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota,
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota.
Ye maza tha dillagi ka ke barabar aag lagti,
Na unhen qarar hota na hamen qarar hota.
Uske waade pe sitamagar abhi aur sabr karte,
agar apni zindagi ka hamen aitabar hota."
"I am sorry Sameer" Nishit uske kandhe par haath rakhte hue bola "I really am"...
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
PAAP

3. MEHRAM

UPDATE 5


Neha kitaab ke aakhri page par thi aur aaj 10 saal baad vo guzra waqt jaise ek baar phir uske saamne aa khada hua tha.
Pichhle 5 saal mein vo ye kahani kam se kam 500 baar padh chuki thi aur kam se kam 1000 baar author ke liye phone kar chuki thi par har baar publishing company ye yahi jawab milta tha ke unke paas author ki koi personnal details nahi hain.
Kabhi kabhi insaan ke paas waqt hi waqt hota hai aur waqt ke siwa aur kuchh nahi hota. Aise hi haal mein Neha ne apni zindagi ke shuruati 25 saal guzare the. Andhepan ki maari vo aksar bas bethi yahi sochti rehti thi ke kaash vo dekh sakti toh kaisa hota. Sochne ke liye uske paas waqt hi waqt tha aur waqt guzare nahi guzarta tha.
Aur kabhi kabhi yun bhi hota hai ke waqt roke nahi rukta. Itni tezi se nikalta hai ke samajh nahi aata ke kya hua aur kya samajh aaya.
Nishit aakhri baar jab usse milne aaya toh kitna sahi andaza lagaya tha usne. Haan aisa hi toh tha.
Jab transplant ke baad uski aankhon ko roshni mili toh dil mein jaise kayi ummeeden thi par sabse badi khwahish thi Sameer ko dekhne ki. Apni khyaalon ki aankhon se usne hazaar baar apne us chahne wale ka chehra dekha tha, ek naksh banaya tha par jab haqeeat mein vo chehra uske saamne aaya toh vo bardasht nahi kar saki.
Us chehre ki kaali rangat aur vo band andar ko dabi hui aankhen, vo is baat ko bilkul bardasht nahi kar saki ke vo is shaksh se shaadi karna chahti thi aur zindagi bhar is chehre ko dekhne wali thi.
Par na hi vo sach batane ki himmat bhi kar saki. Bas berukhi se apna chehra doosri taraf ghuma liya aur Sameer se milna band kar diya.
Un dino uski zindagi mein kaafi kuchh naya ho raha tha. Vo pehli baar cheezen dekh rahi thi aur samajh rahi thi. Zindagi ek naye seere se shuru kar rahi thi. Zindagi se kaale rang ki chadar hat gayi aur uski duniya ab rangen ho chali thi. Kuchh arse baad hi vo Sameer ko is tarah bhool gayi jaise vo kabhi tha hi nahi.
Aur phir ek din use raaste mein Nishit mil gaya. Usne use bataya tha ke Sameer ka kisi ko koi ata pata nahi tha. Vo kahan gaya, kahan hai koi nahi janta, khud Nishit bhi nahi.
"Awesome. You should really try wrting professionally yaar. You have a gift, dont waste it. Kaafi kam log hote hain duniya mein jo shabdon ke saath mel betha paate hain. Tum aisa kar sakte ho toh apne shauk ko apna profession kyun nahi bana lete?"
Sameer ko kahi apni baat use aaj bhi yaad thi aur aaj uski apni kahani ek kitaab ke roop mein uske haath mein thi.
Kitaab ke aakhri page par likhi ghazal ko vo kai baar padh chuki thi aur har baar vo use apna mazak sa udati hui mehsoos hoti thi.
Kabhi sher-o-naghma banke,
Kabhi aansuon mein dhalke,
Vo mujhe mile toh lekin,
Mile sooraten badalke.
Ke ishq ki raah sakht,
Ke tumhare paon naazuk,
Na lo inteqaam mujhse,
Mere saath saath chalke.
Na toh hosh se rishta,
Na toh junoon se aashnai,
Ye kahan aa gaye ham,
Teri bazam se nikalke.
"Vo kabhi andha tha hi nahi. "Sight for Blinds" ham dono milkar chalate the. Ye jo aankhen liye ghoom rahi ho na, ye uski apni aankhen thi. Tumhein isliye di thi usne taaki tum usse shaadi kar lo. Kamal ki baat hai na, tumhein usse pyaar isliye hua kyunki tum use dekh nahi paati thi magar jab usi pyaar ko anjaam dene ke liye usne tumhein aankhen di toh tumne inkaar isliye kiya kyunki tab tum use dekh paati thi. Aur uska badappan dekho ke vo tumhein apne hisse ki roshni dekar khud andhere mein kho gaya aur ek baat jataya tak nahi " Nishit ki baat aaj bhi uske kaano mein goonj rahi thi..

THE END
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
PAAP

4. ISHQ

UPDATE 1

Mere papa Army mein the isliye ham aksar shehsar badalte rehte the.
Aur jab maine aakhri baar use dekha tha.
Mujhe achhi tarah se yaad hai ke main bhi har lihaaz mein vaisi hi thi .Zindagi ne bachpan ki aakhri seedhi aur jawani ki pehli seedhi par la khada kiya tha. Jism badlaav ke raaste par kaafi pehle nikal chuka tha aur mujhe is baat ka ehsaas karane laga tha ke main bahut jald ek aurat banne wali hoon.
Gudde gudiyon ka khel khatam ho chuka tha aur ladko ko dekhne ka nazariya badal gaya tha.
Pehle ladke "LADKE" hote the. Gande, behuda, badtameez, besharam ladke. Aur ab ladke sirf ladke na rehkar opposite sex ban gaye the. Ladke jinhen dekh kar dil mein kuchh kuchh hone laga tha.
Ajeeb umar thi vo. Bachpana alvida keh raha tha aur jawani ka alhadpan khush-aamdeed. Ek ajeeb sa excitement rehta tha har waqt jiska matlab mujhe khud bhi nahi pata tha. Aur jab maine pehli baar Shahrukh Khan ki DDLJ dekhi toh aankhon mein alhadpan ke saath saath kuchh naye khwaab bhi aa base.
Pehli baar ehsaas hua ke main bhi ek ladki hoon aur kahin koi aisa hai jo mere liye bana hai. Aur is baat ke khyaal bhar se hi dil ki dhadkan tez ho jaati thi ke kahin koi mere haath thaamega, mujhse pyaar karega, mere naaz uthayega, mujhe mananae ke liye gifts lakar dega, mujhse ghanto baaten karega, chhup chhup kar mila karega
aur vo sab kuchh karega jo ki films mein heroes kiya karte hain.
School ke vo aakhri kuchh saal zindagi ke sabse ajeeb saal hote hain. College aur uske baad professional life mein bhi aap bahut logon se milte hain, affairs hote hain, relationships hoti hain par un kuchh saalon ke crush sabse alag hote hain. Vo kehte hain na ke pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhoolta aur yakeen maniye sach kehte
hain. Kyunki shuruat ke un dino ka pyaar sach mein pyaar hi hota hai. Mujhe nahi lagta ke is duniya mein koi bhi aisa hoga jisne un dino mein kisi ko pasand karte waqt ye nahi socha hoga ke yahi vo ladka ya ladki hai jisse vo shaadi karna chahega aur jiske saath zindagi guzarna chahega. Un kuchh saalon ke rishto aur baad mein college aur uske baad banne wale rishto mein yahi farak hota hai. Baad ke rishto ko affairs, time paas, nothing serious, dekhenge jaise lafzon se bulaya jata hai par un dino ke us pehle rishte ko sirf pyaar hi kaha jata hai.
Aur yahi vo din the jab mera jhukaav uski taraf ek alag andaaz mein badha tha.
Shuruati dino ki vo dosti phir bani rahi..
Par phir bhi ham dono saath hi rehte the. Meri saheliyan mujhe aksar is baat ke liye mana karti thi, vahi bachchon wale andaaz mein par main phir usi ke paas pahunch jaati thi. Vo rehta bhi mere ghar ke paas hi tha isliye ham school saath hi aate the aur saath hi jaate the. Aur uske baad ghar aas paas hone ki vajah se kabhi vo mere ghar aa jata ya kabhi main uske ghar pahunch jaati.
Vo mera sabse achha dost tha, my Best Friend...
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,944
354
PAAP

4. ISHQ

UPDATE 2.


Mere shareer mein ladkiyon wale badlaav aane shuru ho gaye the. Mahine ke 5 din aise ho gaye the jina mujhe khaas khyaal rakhna padta tha. Shameez ke neeche jism par Bra naam ka ek kapda aur badh gaya tha. Ab bindaas aur bebaak hokar uchhalna koodna band ho gaya tha. Aksar aate jaate logon ki nazren sharam naam ki cheez ka ehsaas karati thi.
Par in sab baaton se alag uske saath mera rishta vaise hi tha jaisa ke 3 saal pehle. Uske saath main aaj bhi vaise hi ladti thi, chhina jhapti karti thi, uske baatl khincha karti thi, use kabhi kabhi thappad maar deti thi aur uske saath ek hi plate mein khana kha leti thi. Waqt jaise uske aur mere rishte ko bina chhue guzar raha tha. Ham jab bhi saath hote, bachche hi hote.
Aur phir maine pehli baar dekhi thi DDLJ.
Usse pehle bhi meri doston ne girlfirend, boyfriend, lover wale concept samjha diye the. Kuchh aisi thi jinke boyfriend ban bhi chuke the aur aisi hi ek ne ye bhi samjha diya tha ke aadmi aur aurat ka jismani rishta kya hota hai, sex kya hota hai, bachche kaise paida hote hain aur kahan se paida hote hain aur ye sab sunkar 2 din tak toh main 24 ghante isi baare mein sochti rahi.
Mujhe yaad hai ke jab maine pehli baar DDLJ dekhi toh ghar aakar agle ek hafte tak sirf ek hi gana sunti rahi thi, "Mere khwabon mein jo aaye". Kajol ke character mein main apne aap ko dhoondhne lagi thi aur gaane ke shabdon mein apne pyaar ko.
Aur tab pehli baar ye ehsaas aur khwahish hui. ye sawal utha ke jo meri zindagi mein jo aayega vo kaisa hoga.
Abhi tak is sawal ka jawab mila bhi nahi tha ke ek doosra sawal meri saheli ne utha diya aur shayad us doosre sawal mein pehle sawal ka jawab maine khud dhoond liya.
"Tera boyfriend kahan hai? Aaya nahi ab tak?"
Ek din main khadi school ke bahar uska intezaar kar rahi thi toh meri ek dost ne kohni maar kar mujhse puchha. Jab usne use mera boyfriend kehkar bulaya toh meri hasi chhut gayi.
"Pagal hai kya? Mera koi boyfriend nahi hai. Ham dost hain" Ye mera jawab tha
"Haan haan zaroor. Banti kyun hain. Hamesha toh uske saath hi chipki rehti hai. Jab dekho usi ka haath thaame ghoomti rehti hai. Achha ek baat bata, have you guys kissed yet" Ye mera dost ka kaha jumla tha.
Aur is jumle ne jaise sab kuchh badal diya.
Aur pehli baar maine us ek alag tarah se dekha. Aankhon ne use dekha, dimag ne hazaron sawal kiye aur dil ne un sabka jawab dhoondh liya. Us din jab usne pehli baar mera haath pakda toh mere jism mein ek sihran si daud gayi. Jab vo khisak kar mera kareeb aaya aur uska jism mere jism se sat gaya toh pehli baar use dhakka dekar door karne ke bajaay main shara se simat si gayi. Jab us din dopahar ki garmi se bachne ke liye raaste mein usne mere liye ice cream kharidi aur khud apni pocket money se paise diye toh mere dil mein pehli baar uske liye ek ajeeb sa lagaav umad pada.
Aur phir agle kuchh mahino tak uski har baat ko main ek alag nazariye se dekhne lagi.
Main pehle uska intezaar karti thi par ab main uske liye bechain rehne lagi thi. Main pehle usse ladti thi par ab main usse shikayat karne lagi thi. Pehle main usse chheen leti thi par ab main usse maangne lage thi. Pehle main usse maang karti thi par ab main usse ummeed karne lagi thi.
Mujhe nahi pata tha ke vo mere liye kis tarah se mehsoos karta tha. Uske bartaav mein bhi maine kuchh badlav mehsoos kiye the par kabhi ye faisla nahi kar paayi ke kya vo mujhe ab bhi dost samajhta hai ya usse zyada. Aur agar vo kuchh mehsoos karta tha toh shayad vo bhi is uljhan ka shikar tha jiska nateeja ye hua ke ham dono ke beeche kabhi is topic ko lekar koi baat nahi hui. Ham saamne se ek doosre ke sirf dost hi rahe but deep within, he was my lover. Ishq tha mujhe usse....
 
Last edited:
Top