• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
chalo budhape me hi sadi to hui dono ki par jo bhi ho intzaar jabardast tha chachu warna itna wait kaun karta aaj ki duniya me :smarty:
:congrats:for complete story :flowers2:
 
  • Like
Reactions: Casinar

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,380
159
Update 71 ( LAST UPDATE OF THE STORY)
1 more update will follow with author's message.

Vijay bahot nervous sa hogaya tha aur aur sab log baithe wahin Aisha ke yahan lounge mein to unn logon ne Vijay ko sab baat bataayi. Aisha Vijay ke paas baith kar Vijay ka haath apne haathon mein liye, apne sar ko vijay ke kaandhon par rakh kar sun rahi thi saari baatein jo Vijay ka baap suna raha tha Vijay ko.

Do saal pehley Vinod chacha kaam par ja raha tha subhe subhe. Jiss bus se woh safar kar raha tha, usski ek bahot hi bhayaanak accident huwi aur uss bus ke 28 passengers ki death ho gayi on the spot! Bahot logon ke jism ke tukre road par idhar udhar bikhre mile. Bus ek heavy duty truck se takraya tha jo 30 tons ke construction materials transport kar raha tha, truck ulat gaya road par bus ke takrane se, aur bus ke bahot sare yatri road par paye gaye. Unn mein se sirf 3 log zinda bache, unn 3 logon mein se Vinod chacha ek tha. Baaki do mein se ek ke donon peyron ko kata gaya, aur dusre ki donon bahon ko. Vinod chacha ki reel ki hadi par gehra chot laga tha aur sir ke andar. 6 mahinon tak coma mein tha, jab hosh mein aya to bol chaal bandh. Neurological probelms the aur lailaaj. Bilkool paralysed hogaya. Jism ki koyi bhi hissa kaam nahin karta, sirf usski dimaagh thik hai, sab soch sakta hai, sun sakta hai, feel kar sakta hai, ro sakta hai. Magar na haaath peyr utha sakta hai, na bol sakta hai, na dol sakta hai. Sirf soup peeta hai, chachi pilati hai. Usska khana, peena, hagna moothna, sab usski kamre mein hi hota hai. Usski patni usski dekh bhaal karti hai raat din jeise ek naye janme bache ka khayaal karte hein. Aur Vinod chacha sirf ensoo bahata rehta hai aur ‘eeu eu eu euuuuu’ awaaz karta rehta hai din bhar. Kuch bhi nahin bol sakta, haath se ishara tak nahin kar sakta…. Do saal hogaye, bahot koshish ki hum logon ne, bade se bade doctors ko dikhaye, sab ne jawaab dediye, kaha ke ab kuch bhi nahin ho sakta, jeisa hai weise hi rehne do kum se kum enkhon ke saamne to hai, to chachi ko yehi tassali hai ke woh zinda to hai aur uss ke enkhon ke saamne hai!

Vijay ye sab sunne ke baad apne haathon mein apna sir dhare sofe pe sir jhukaye baitha tha, aur Aisha usske bahon ko zoron se pakra huwa tha apne sir ko uss par lagaye. Sab log khaamosh, Vijay ke taraf dekh rahe the, aur woh ekdum chup chaap baitha tha kuch der tak phir achanak ussne yeh sawaal kiya, “Aur ghar ka loan? Ghar keise chalta hai?” Yeh kehkar woh Aisha ke taraf bahot heyraani se dekhne laga. Tab Ajay (Aisha ka bada bhai) bola, “Usski ziada fikar nahin bro, main kamata hoon nah, aur phir kuch indemnity mile the insurance walon se accident ke baad uss se ghar ke kuch loan ko pay kiya gaya aur abhi adha baaki hai…. Woh dhire dhire main pay kardunga…..” Vijay bola, “kamaal hai yaar, tumhare 5000 ki naukri se ghar ko chalana aur upar se 4000 ka laon har mahine? Yeh keise ho sakta hai?....... sunon kitna loan baaki hai ghar ka? Documents lawo…..” Aisha gayi loan ke kaaghzaat lekar Vijay ko dikhaya, koyi 2 lakh baaki the payments karne ko, Vijay ne documents le liye aur kaha woh pura amount settle kardega kal hi aur Ajay apne kamaayi se ghar chala sakega tab! Aisha rone lagi saath mein usski maa aur Ajay bhi. Ajay Vijay ke gale lag kar shukriya ada kartey huwe roye jaa raha tha….. aur Vijay ne kaha ke usska farz hai apne bhai ka madad karna….. Anirud chacha bhi wahan agaye the aur ussne shaabaasi di Vijay ko aur kaha, “Main hamesha se kehta tha yeh Rahnveer pariwaar ka hero hai hamara Vijay, main tab se yeh kehta hoon jab yeh ek chota bachcha tha, mujhe pata tha yeh ek din kuch kar dikhayega, magar mera sunta hi kaun tha?!!”

Dukh ke saath kuch to khushi ke ensoo aur halaat aye ghar mein Vijay ke ane se…. sab logon ne bahot halka mehsoos kiya aur kuch der baad Vijay wapas apne ghar gaya. Apne pariwaar ke saath khub batein ki, hansi mazaak bhi ki gayi Anand aur Pooja ko lekar aur Anu bhi shaamil huwi kuch jokes vaghaira ke saath.

Dusre din Vijay bank gaya Aisha ki maa aur Aisha ko lekar. Sabhi formalities pura kiya aur loan ka pura amount settle kiya Vijay ne apne paison se. Vinod chacha ka ghar ab free tha aur unn logon ke liye tha ab. Koyi bhi loan nahin pay karna tha.

Aur Vijay ne apni post join kiya naye khule gaye office mein aur office wali Aisha ko bhi wahin bheja gaya Vijay ke saath kaam karne ko. Woh bhi ab ek oonche post par thi magar Vijay ke nichey kaam karti woh. Donon bahot khush huwe ek dusre se milkar. Aur kaam mein busy hogaye. Vijay ek bada boss tha, director tha aur koyi 1200 log uss ke nichey kaam karte the.

Ek hafte ke baad Anirud chacha ne Vinod chacha ke ghar par teenon ghar ke logon ko ekatha kiya. Ek family discussion aur prastav ke liye. Iss se pehley ussne Vijay ke maa baap se aur Aisha ki maa se baat karli thi. Aur teenon ghar ke bade log raazi the iss baat se ke ab Aisha aur Vijay ki shaadi ki jaye. To issi bare mein sabhi pariwaar ko meeting ke liye bulaya gaya. Aur woh meeting Vinod chacha ke kamre mein ki gayi, kyun ke ussko sab sunna tha. Woh sab sunta aur samajhta to tha par kuch keh nahin sakta tha……

To sab jama huwe uss din Vinod chacha ke room mein, room bhara huwa tha kayi log khade the, bed ke charon taraf log the. Anirud chacha ke bête, bahuwein, Vijay ke ghar ke sabhi sadasya, aur Aisha ke ghar ke sab log. Vijay aur Aisha ko pata nahin tha kyun woh meeting ki jaa rahi thi. Weh donon samajh rahe the ke Vinod chacha ke bare mein baat hogi. Anirud chacha baithe, Aisha aur Vijay ko bhi baithne ko kaha gaya, baaki log khade the Aisha ki maa aur Vijay ke parents ko chor kar. To Anirud chacha ne saaf eylaan kiya ke ab Aisha aur Vijay ki shaadi ho jani chahiye aur ghar ke bade logon ne faisla kiya ke agle Sunday ko donon ki mangni ki jaegi phir kuch din baad inn ki shaadi. Vinod chacha sab sun raha tha aur Anirud chacha ko dekh raha tha aur Vijay aur Aisha ko bhi dekh raha tha aur uss ke chehre par ek khushi ki jhalak dikhayi di, aur usske enkhon se ensoo behne lage……. Vijay sar jhukaye baitha thoda muskura raha tha magar Aisha gambhirta ke saath Anirud chacha ko sun rahi thi aur jab Anirud chacha ne baat karli to Aisha ne khadi hokar kaha, “Magar chacha abhi tak papa ne mujhko ijazat nahin di hai! Ussne mujhse vachand liya tha ke usske jite ji main kabhi Vijay se shaadi nahin karungi…. Aur main ne ussko Vachand diya hai aur yeh vachand abhi tak chalu hai!... Jab tak papa nahin kahegi main Vijay se shaadi nahin kar sakti chacha! Vijay mujhe maaf karna main jaanti hoon ke main kia keh rahi hoon!”

Sab log heyraan hogaye aur Vijay ko thoda ghussa aya magar ussne kuch nahin kaha bus apna sir nichey jhuka liya sirf. Anirud chacha ne Aisha ko samjhane ki koshish ki, Vijay ke maa baap bhi aur khud Aisha ki maa ne ussko samjhaya ke purane baton ko bhool kar ab apne jiwan ke bare mein sochein…… Ajay ne bhi Aisha se kaha ke han ussko ab Vijay se shaadi kar leni chahiye…… Magar Aisha nahin maani aur apne pita ke paas bistar tak gayi aur kaha:

Aisha: “Kyun papa? Sun rahe ho nah aap? Ab kia kehna hai aap ko? Kaho papa! Mujhse kaho ke main ab Vijay se shaadi kar sakti hoon? Bolo papa! Bolo!!”

Aisha chilla kar zor se rote huwe apne pita ka haath apne hathon mein lekar kehti gayi, “Ab kyun nahin bolte ho aap? Dekho sab log kia keh rahe hein…… aap ki razamandi bahot zaruri hai mere liye, aap ko vachand diya hai main ne ke kabhi bhi aap ke jite ji main Vijay se shaadi nahin karungi to ab bolo, kia karun main?” Vinod chacha ki enkhon se ensoo jhar jhar beh rahe the aur woh Aisha ke enkhon mein dekhte sirf “eueueu eeeueuu eueueueue” karta jar aha tha…….

Aisha ne kaha, “kia papa? Kia samjhun main ab ? dekha papa, ab agar aap han bhi kehna chate ho phir bhi nahin keh sakte, yeh kia hai papa ? Yeh kudrat ki maar hai aap par, kismat ne ek zor ka tamacha mara hai aap ke munh par papa !! Aap ne mera dil toda, mere Vijay se aap ne mujhko alag kiya, yaad hai uss din kia kaha tha aap ne mujhse papa ? Mujhko gaali di thi aap ne papa, gaali di thi mujhko ! Mera padhna bandh kar diya, mera Vijay se milna bandh kar diya,……. » Aisha zoron se rone lagi yeh sab kehte kehte phir bhi apni ensoowon ko ponchtey huwe ussne bolna jaari rakha, uss ne kaha, «Aap ne mere Vijay ko mara tha na, issi haath se ? Mera Vijay hospital mein admit hogaya tha, main ussko dekhne bhi nahin jaa paayi thi, mera dil kitna ro raha tha papa, ab maro mere Vijay ko ! Maro na papa maar sakte ho ? Dekha kia haal hogaya aap ka ? Aap to haath bHi nahin utha sakte ab ! Kia maroge mere Vijay ko…. Jiss Vijay ko aap ne thukraya tha dekho ussi Vijay ne aap ke iss ghar ko doobne se bachaya, sara loan pay kar diya ussne, aur eise honhaar ladke se aap ne mujhko juda kiya sirf iss liye ke woh aap se khel mein aguey bahrta tha aur club ki president bangaya tha aap ko girakar? Wah papa wah ! Dekho aaj wohI Vijay kahan se kahan pohonch gaya aur aap ki yeh beti kia hai aaj ? Aap ne mere career ko barbaad kiya, agar main Vijay se saath padhna jaari rakhti to shaayad aaj main bhi Vijay ke saath kaandha se kaandha milakar khadi ho sakti, magar aap ne to sab bigaar diya papa, to dekha kismat ki maar keise pada aap par papa ?” Aisha roti jaa rahi thi, apni ensoowon ko ponchi jaa rahi thi aur ghar mein takriban sab log rone lage ussko dekh kar aur sunkar aur Vinod chacha ke bhi ensoo jaari the aur ‘eeeueueueue’ kiye jaa raha tha…… Aisha phir bhi bolti gayi, «Main aap se nafrat karna chahi magar nahin kar paayi, jab aap ki accident huwi to main bahot royi, aap ke liye prathnaein ki, aap ki salamati ki duwaein maangi, magar yeh mera usool hai, ya aap ki badkismati ke main aap ki beti hoon to aap ki zuban ko rakhna mera kartavya hai, jab tak aap nahin kaheinguey main to Vijay se shaadi nahin karne wali, aap sab mujhe maaf karein main apne papa ki han ka intezaar karungi….. uss ne kaha tha usske JITEJI main Vijay se shaadi na karun………… »

Aur Aisha boli jaa rahi thi ke Vijay uthkar nikalne laga bina kuch kahe…. Aisha ne dekha aur phukaarti gayi, «Vijay, Vijay sunon to, kia main ghalat hoon? Kia main vachand ko tor doon, Vijay Vijay suno nah Vijay…..” Vijay kuch kahe bina chala gaya sab logon ko wahin chor kar.

----------------------------------------------------------------

Uss din ke baad Vijay apne kaam mein bilkool weise hi busy hogaya jeise pardes mein tha…. Sirf kaam kaam kaam…… Apne office ke kaam ke ilawa ussko district ke bahot dusre bade companies ke kaam milte the jo woh part time mein karta tha, raat din sirf kaam mein laga rehta tha…. Apne aap ko jeise bandh kar liya tha khud apne aap mein. Bahot ziada aamdani hogayi thi Vijay ki. Do lakh se ziada kamata tha ek mahine mein, ek Audi, German gadi kharid liya tha aur ghar ke karib ek dusre lane mein, (pehla page par sketch mein dekho) ek dusra chota lane hai uss mein zameen kharida Vijay ne aur ek shaandaar ghar banwaya, ghar kia mahal tha !!.....

Aisha ko maloom tha ke woh uss se rutha huwa tha, to ek din Aisha ne yeh gana likh kar Vijay ke bed par chor gayi:

Aji ruthkar ab kahan jayiega

Jahan jayiega hamein paayiega

Aji ruthkar ab...


Nigahon se chupkar dikhawo to janein

Khayaalon mein bhi tum na awo to janein

Aji laakh pardon mein chup jayiega

Aji laakh pardon mein chup jayiega

nazar ayiega, nazar ayiega

Aji ruthkar ab kahan jaayiega

Jahan jayiega hamein paayiega

Aji ruthkar ab...


Jo dil mein hai honton pe lana bhi mushkil

Magar ussko dil mein chupana bhi mushkil

Nazar ki zuban se samajh jayiega

Nazar ki zuban se samajh jayiega

Samajh kar zara ghaur farmayiega

Aji ruthkar ab kahan jayiega

Jahan jayiega hamein paayiega

Aji ruthkar ab kahan jayiega

Jahan jayiega hamein paayiega

Aji ruthkar ab...

Vijay uss khat/gane ko padh kar mom jeisa pighal gaya aur Aisha se milne gaya bahot dinon ke baad….. Phir ussko apna naya ghar dikhane legaya, aur kaha , “Iss ghar ke maalkin TUM ho…..” aur donon kabhi kabhi miltey rahe eise hi…….

Aur phir din guzarte gaye……… yahan tak ke 7 saal hogaya….. Aur Vinod chacha ki dehant hogayi……

Aur sirf usski dehant ke baad Aisha ne Anirud chacha se kaha ke ab woh Vijay se shaadi ke liye tayaar hai kyun ke ussne apne papa ko vachand diya tha ke «USSKE JITEJI» woh Vijay se shadi nahin karegi…….

Dosto tab Vijay ki umar 41 hogayi thi aur Aisha 40 ki thi !!! Tab jaake donon ki shaadi huwi…… Bachpan se muhabat, 40 saal ki umar mein shaadi parents ki vajah se !!

Shaadi ke baad donon apne naye ghar mein gaye, wahin suhaag raat manayi….. Uss raat Vijay bed par baith kar bahot roya, bahot hi roya, khub roya…aur Aisha ussko rote dekh kar woH bhi rone lagi, aur donon suhaag raat ki raat khub roye…. Apne takdeer ke bare mein sochtey huwe roye, apne kismat ko koste huwe roye donon….. Itna pyar karte the donon ek dusre se phir bhi itne saalon ke baad ek ho sake yeh soch soch kar roye…. Ek saath guzare huwe sare dinon ko soch kar roye, uss jagah jahan donon jaya karte the school se wapas ate waqt uss jagah ko soch kar roye, ek dusre ke judayi ko soch kar roye…. Ghanton bhar baat kar kar ke, sab soch soch kar donon rote rahe raat bhar uss raat ko…. Vijay apni dil ki tanhaayi ko suna kar rota to Aisha apni majboori sunakar roti, ek dusre ko bahon mein lekar roye donon, aur rote rote neendh ki agosh mein kho gaye yeh donon sadiyon se pyar karne wale………

Vijay ne kuch din baad Aisha ko sab unn deshon ka sheir karwaya jahan jahan uss ne kaam kiya tha, Canada, pura Europe, Singapore, Australia, Germany, Italy vaghaira vaghaira

Kyun ke donon ki umar ziada hogaye the Vijay aur Aisha ke koyi awlaad nahin hai….. Aaj bhi donon ek saath hein. In vitro, ya adoption se to awlad paa sakte hein donon magar Vijay ko manzoor nahin woh weise hi khush hein, apne Aisha ke saath akele.

Aur kayi saal beet gaye aur woh donon ek saath hai ab tak, Pooja ke bête aur betiyan aur Anu ke bache bhi aksar rehne ko atey hein Vijay aur Aisha ke yahan……


Written by Shah Khan (Casinar) Of Mauritius.

Email: shahkinghero@yahoo.com

Request to those who copy and paste on other sites to at least mention the real author’s name. Thanks.
finally dono ka sukhad milan ho gya
main is story ko 10/10 deta hun
sachcha pyar hamesha ajar amar rahe
 
  • Like
Reactions: Casinar

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,380
159
Update 72

Lekhak ki boli- Author’s note.


Dosto pata nahin mere paas sahi alfaz honge ke nahin woh bayaan karne ko jo main kehna chahta hoon iss kahani ke bare mein…. Mujhko na Hindi ati hai na urdu, main ne kahani ki shuruwaat mein yeh keh diya hai… main Indian nahin hoon, Mauritian hoon aur hamare yahan Hindi nahin bolte hein, hamari matra bhasha creole hein…main ne bahot sare grammatical mistakes kiye hein kahani likhne ke dawraan mujhe pata hai, aur uss ke liye aap sabhon se maafi chahta hoon… kahin thi ke jaga tha likha hai, kahin hoti ki jagah hota likha hai….yeh iss liye ke mujhe khud pata nahin kia likhna chahiye tha… Inn zubanon ko naa jaante huwe bhi main ne puri koshish ki story likhne ko, mera irada tha aap logon tak kahani ki zaroori theme ponhchana aur woh main ne kiya………….. Weise mere apne khayaalat hai zaroori nahin ke aap sabhon ke khayaalat se meyl khayein jo kuch main kahunga abhi.

To iss kahani mein main unn pariwaar walon ko doshi thehrata hoon jo log apne bachchon par zor zabardasti se unn ka pyar chinntey hein aur unn ki marzi par chalne ki aadesh dete hein. Iss kahani ke shuru mein keh diya gaya hai ke Vijay kitna honhaar ladka tha aur eise bache par har maa baap ko garv karna chahiye aur ussko ziada aguey barhne ki aur safalta prapt karne ki afsar dena chahiye. Vinod chacha usske parivaar walon mein se tha aur ussko bhi achchi tarah se pata tha ke Vijay kitna honhaar hai aur sab kuch zindagi mein prapt karne yogya hai to main eise baap ko 100% doshi thehrata hoon jiss ki vajah se Aisha ki zindagi, jawani tabah huwi aur apne pyar se mehroom rehna pada.

Agar Vinod chacha ne yeh sab nahin kiya hota to shayad jawani mein Vijay aur Aisha ki shadi ho gayi hoti aur unn ke awlaad hotey. Umr ke bahrr jane ki vajah se Aisha maa nahin ban saki. Doctors ke kehne ke motabik ek awrat jab 30 ki umar paar kar jati hai to maa banna mushkil ho jata hai agar ussne kabhi bachcha nahin janma ho to…han agar ek awrat pehle se maa hai weisi awrat ko 30 se upar umr mein bhi maa banne mein koyi problem nahin hoti…magar Aisha 40 ki hogayi thi to impossible tha unn ki systems ko normally operate karna bachche paida karne ke liye…to kiss ke kaaran yeh huwa? Vinod chacha ke kaaran.

Sab negatives jo iss kahani mein ata hai woh sirf Vinod chacha ke badawlat, woh villain number 1 ban jata hai story ki…… Ek ladki ka baap hone ke nate koyi bhi baap agar apne beti ki education ko rokta hai woh bilkool achchah nahin karta…education par sab ka haq hai yeh kissi ki jaagir nahin aur kissi ko haq nahin banta ke kissi ko rokein education haasil karne se… chahe woh kissi ki aapni awlaad ho yaa nahin…balke education sabhi ko bantne ki cheez hai na ke uss par rok lagane ki….

Kiisi ko abhi samamjh mein shayad nahin ayega ke main kyun yeh sab ek kahani ke liye keh raha hoon…. Aap log sab tab samjheinguey jab main aakhri update dunga jo abhi tak ek raaz hai, aur kahani ki bunyaad.

Rahi Vijay aur Aisha ka pyar, woh ek ajooba tha. Log misaal diya karte hein Laila majnu, Shirin Farhaad, Romeo Julliette jeise pyar karne walon ki magar dosto hum sab ke beech eise kayi Laila Majnu hein, kitne saare Shirin aur Farhaad hein kitne Romeos aur Juliettes hein….. Hamare darmiyaan in muhabat karne walon ko ignore kiya jata hai aur jo kitabon mein likhi gayi jhooti lovers ke kisse hein unn ke misaal diye jaate hein. Are asli muhabat karne wale to yeh log hein jo hamare beech rehkar apne pyar ke liye ladte jhagadte hein aur apne manzil tak pohonchte hein…..
Han hamare Vijay aur Aisha ka pyar weisa pyar tha jo paak tha, pavitra tha, bedaag tha… yeh wohi pyar hai jo kudrat ko bhi jhuka deta hai, taqdeer ko bhi majboor kar deta hai, yeh who muhabat hai jo aasmaanon se ban ka rata hai, inn donon ka rishta inn ke paida hone se pehle bana diye jate hein to hum insaan kaun hote hein inn ko juda karne wale? Rok to hum laga dete hein magar aakhir mein weh mil hi jate hein, magar hamari rok unn ko bahot kuch miss karwa dete hein aur unn ko pachtana bhi padta hai hamari wajah se……

Muhabat zindagi mein aguey bahrne ka ek zarya hota hai. Muhabat ke zarye insaan apna mustakbil banata hai, pyar ki zaroorat insaan ko tab se hoti hai jab se woh apne maa ki peth se nikalta hai. Agar uss waqt maa pyar na de to kia woh uss pyar ke baghair bahrta hai? Nahin dosto. Pyar bahot ehem hai, aur jiss zindagi mein pyar nahin hota woh zindagi bematlab hoti hai. Yeh sirf woh insaan ko pata hai jo pyar ke bina bachpan se barha hai…hein kuch eise budnaseeb jo bina pyar ke jeete hein, magar unn se poochna weh akele jaantey hein ke unn ki zindagi kitni suni hai kitna bematlab hai…… pyar kudrat ki deyn hai, yeh woh khazana hai jo insaan ke dil o dimaagh ko bhi jhakjor deta hai, darinde ko insaan bana deta hai, are insaan kia jaanwar mein bhi bahot pyar hota hai…zara study karke to dekh lena dosto….. pyar, muhabat har makhlookaat (creature) ke beech hota hai. Aur yeh woh jazbah hai jiss se dil to kia pathar bhi mom ki tarah pighal jata hai. Bus muhabat sachi honi chahiye.

Janwar se yaad aya kahani ki Tiger jo Vijay ka kutta tha. Kia kehna usska? Kia haal huwa tha Vijay ka jab woh wapas aya aur woh uss se nahin mila…. Yeh kia tha? Yeh bhi pyar hi to tha…. Aur sirf Vijay ke taraf se woh pyar nahin tha uss jaanwar ke taraf se bhi tha, bade bhai ne kaha tha na ke Tiger ki nazrein Vijay ko dhund raha tha…. Woh to bezuban jaanwar tha kitna toot toot kar roya hoga Tiger yeh na keh pane par ke ‘main Vijay ko dekhna chahta hoon marne se pehle’ Keise yeh kehta woh? Ab jitna pyar Vijay uss kutte se karta tha, aur jitna dukh Vijay ko huwa tha uss se hazaar gunah dukh to Tiger ko huwa hoga ke woh yeh keh bhi nahin sakta ke woh Vijay ko dekhna chahta hai marne se pehle….. Pyar ka rishta ajeeb hota hai dosto, jab dil se dil ka taar judhta hai to pyar hota hai, woh insaan se ho ya jaanwar se pyar pyar hota hai aur dil se rishta judhta hai…. Kabhi koyi bhi kissi ka pyar ka khoon na karein yeh meri duwa sabhi pyar karne walon ke liye. Upar wala sabhi pyar karne walon ko kaamyaab karein, unhein apne pyar ke kareeb rakhein, unn ke muhabat ko abaad rakhein aur ooncha mukaam dein.

Main iss kahani ko dunya bhar ke sabhi pyar karne walon ke naam karta hoon. Aur dil ki gehraayi se duwa karta hoon ke sabhi ko muhabat haasil ho aur sab kaamyaab ho. Ameen.
ek non Hindi writer ke dwara aisi kahani likhna its unbelievable hai writer ko pura pura credit aur bahut bahut badhayi hats of you brother
 
  • Like
Reactions: Casinar

Dark Devil

Well-Known Member
2,153
2,598
158
Nice story Bhai..... Aapki ye story exbii.com Jo baad mein xossip.com bani pe bhi padhi yhi kayi baar shuru se leke end tak padhi hai.....aur ab yaha xforum pe bhi dobara padh raha hu phir bhi mann karta hai dobara padh lu......

Love is forever.

:respekt:
:applause:
 
  • Like
Reactions: Casinar

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
:congrats: sir for completing story...Sorry regularly padh nahi paaya.

Ending me bahut hi twist aur turn dikhaaya aapne...Lekin last me dono ko ek dusre ka saath mil hi gaya.

Happy ending and very very romantic love story.

Thanks for writing.
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top