• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Yeh bhi Muhabat hi hai (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Fantastic update bro. My heart cried reading the pain id Vijay . U know bro i hv been in a situatio like this in mt life when i was talking to mu gf but she refused to listen and walked ahead i followed continued to talk but then she started running. I can understand how vijay must hv felt after this.
Casi bro u hv used this dog so well in this story . It forms part of the characters of this story. You are wonderful casi bro.
This is a fantastic love story which is slowly becoming my favourite after syory of samir n shanaya
thanks loads for the appreciation bro
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,572
259
Woooooowwww
FANTASTIC. WONDERFUL. AWESOME. MIND BLOWING update casi bro. You will never stop amazing me by your magnificent writing. It's a very very good update. Full of emotions. You describe feelings so very well bro. U r really a genius casi bro. I thought only in shanaya's story you hv written as such but here i see its a level even better.
The brother sister bonding is wonderful too. The way vijay made the promise moistened my eyes.
Thanks for such a marvelous update bro. Hats off.
thanks very much rowdy bro
 

Rowdywa

Banned
1,133
5,151
143
Update 23

Vijay ke dil ke andar gehra zakhm tha jissey woh chupaney ki koshish kar raha tha. Issi liye ussney call centre mein naukri ki taakey woh Aisha ki yaadon se door bhaag sakey. Kissi se kuch kehta nahin tha magar andar hi andar woh bahot kuch seh raha tha. Aksar woh Aisha ki yaadon mein dooba rehta halaan ke ussney Aisha ko yeh kehdiya tha ke woh kabhi kissi aur se shadi nahin karega to iss ka matlab to saaf tha ke woh sirf ussi se pyar karta tha….

Woh ghar mein Pooja ke saath cher chani, mazaak kiya karta tha kyunke uss ko pata tha ke Pooja bahot ghamgeen hoti hai jab Vijay udaas rehta hai, to bus apney ghar walon ko khush rakhney ke liye uss ne apna dard chupaya huwa tha lekin kitney dinon talk who eisa kar paata??

Din,haftey, mahiney guzartey gaye…. Woh har raat call centre ko chala jata aur subha saverey ghar ko wapas ata jab uss ka papa aur bara bhai kaam ke liye bhi nahin nikley hotey. Har roz kuch na kuch cakes waghairah lekar ata sabhi ke liye ghar par…. Aur jab bhi woh kuch kharidta to Aisha ko yaad karta kyunke jab bhi woh kuch bhi kharidta tha to uss mein Aisha ka kaq hota tha pehley…..

Ab din mein woh sota tha din ke 1 baje tak, kabi kabhi 2/3 bajey tak…. To din ko kia guzarta hai Rhanveer lane mein ussko kuch pata nahin chalta tha…. Udhar Aisha ko bhi kuch samajh mein nahin ati thi ke Vijay kia kar raha hai, kahan jata hai etc… Aisha ko yeh tak pata nahin tha ke raat ko Vijay kaam par jata hai…ab to sabhi communication bilkool hi cut gaya tha….

Han ek baat batana bhool gaya main…. Pehla din kaam par janey se pehley Vijay ne Tiger ko train kiya Pooja ke saath, woh iss liye ke Tiger ko raat ko khola jata hai aur uss waqt woh naukri par hota hoga…. Jab Vijay Tiger ko train kar raha tha to Aisha apney kamrey mein baithi sab sun rahi thi…. Veise hi Tiger ko Train kiya tha Vijay ne Aisha ke liye bhi….. to train kuch eisa kiya taakey kholney ke liye Tiger Pooja se ziada uchley kudey nahin, aur bandhney ke liye woh araam se aakar apna chain galey mein bandhwaley…..

Vijay ne ek danda liya apney hanth mein aur Pooja ko bhi ek danda diya…. Isharey se aur zor se awaaz dekar uss ne Tiger ko baahar aney ke liye order kiya to Tiger bahaar aya doombh hilatey, to Vijay ne Tiger se kaha, “Yeh Pooja hai, meri sister hai, sunn raha hai tu? Main nahin rahunga to yeh tumko kholne aur bandhney ko ayegi aur tu chup chap ayega aur bilkool nahin uchlega!! Suna tu ne Tiger?” Phir Vijay ne Tiger ko andar apney ghar mein janey ko order diya aur Tiger ghuss gaya ghar ke andar. Tab Vijay ne Pooja se kaha ab woh danda dikha kar Tiger ko baahar aney ko kahey….. Pooja ne weisa hi kya, tab Tiger ne Vijay ke taraf enkh uthakar dekha… to Vijay ne kaha, «Arey haan ussko bhi obey karna hoga tujhey, tu sun jo woh kehti hai !! » Magar Tiger andar hi baithey apna poonch hilla raha tha…. Phir Vijay ne Pooja ko kaha ke oonchey awaaz mein kuch ghusa hokar Tiger ko bahar aney ko kahe !! To Pooja ne chila kar kaha, « Abe o Tiger sunta nahin kia ? baahar nikal!!” to Tiger sar jhukaye huwe, doombh ko bilkool nichey kiye huwe Pooja ke saamney aya, sar tak nahin uthaya ussko dekhney ke liye….. Pooja uss dandey ko zameen par pith rahi thi….. Jab Pooja ne dekha ke Tiger bilkool gae ki tarah khamosh agaya to ussko heiraani huwi aur uss ke mann mein komalta sa jaga, aur baith gayi Tiger ko caress karney aur uss ke chain ko khol diya…. Tiger kuda aur bhonka phir do turns karkey daudtey chala gaya….

To baandhney ke waqt Vijay andar apney kamrey mein tha aur Pooja ko kaha "Jawo tumhi uss ko bulakar khaney ko do, jab woh khaney lagey tab chain usske galey mein hook karna….." Pooja ne weisa hi kya aur kaamyaab rahi…to Vijay ne kaha Pooja se ke usski ghair haziri mein weise hi Tiger ka khayal karein.

Han to din mein ek Roz Vijay soya huwa tha jab Tiger zor zor se bhokney laga aur uchal raha tha. Vijay ki neendh tut gayi aur khirki ke bahar dekhney gaya ke kyun Tiger weisa behave kar raha hai….. to dekha ke Aisha bahot khubsurat dress mein thi, achcha make ups vaghaira kiya tha aur apney maa ke saath kahin jaa rahi thi, to Tiger uss ko weise bhonk raha tha aur Aisha isharey se Tiger ko cher rahi thi…..

Aisha veise dekh kar Vijay ke dil jeise zor se dharka aur, ussko ek bhaaripan jeisa mehsoos huwa…. Aisha kuch ziada hi khubsurat lag rahi thi. Vijay ne khirki ke pardey se apna chehra dhanka aur chupke se Aisha ko dekh raha tha…. Aisha khari apni maa ka intezaar kar rahi thi jo tab tak baahar nahin ayi thi….. Vijay dekhta gaya Aisha ko…. Aur uss ka mann ek dam machal raha tha aur, ussko jeise Aisha ko apney bahon mein zor se lene ko kiya…. Aisha ne ek khubsurat laal rang ke dress pehni thi, aur dress ke charon taraf safed rang ka border tha, aur Aisha ke galey ki safed rang match kar rahi thi uss red colour se…. Aisha ke baal khuley huwe thai…jeise Vijay passand karta tha….. Vijay dekhna chahta tha ke, kia Aisha uss ke kamre ke taraf dekhegi ya nahin…. Aur notice kiya ke han kayi baar Aisha ne Vijay ke khirki par apna nazar dawdayi…. Aur Vijay ke terasse ke upar bhi dekh rahi thi….Vijay man hi man soch raha tha ‘kia ussko pata hai ke main ghar par hoon?’….. Vijay ki nazar Aisha ki breasts par pohncha, aur Vijay ko laga ke woh thora sa ziada bara lagta tha…. Phir Vijay ne Aisha ko upar se nichey khub nihara…. Woh muskura rahi thi, aur Tiger ko cher rahi thi, ek snack kha bhi rahi thi aur Tiger ko bhi phek rahi thi khaney ko….. Vijay ki nazar phir Aisha ki ghutney par pohnchi, dress wahin tak thi, phir Vijay apna nazar ghutney par se nichey tak pherta gaya, Aisha ki calves tak phir ankles tak… har hissey se woh waqiff tha… uss har hissey ko chuwa tha uss ne, kiss kiya tha, apna banaya tha… Aisha ki badan ka har hissey par Vijay ka haq tha kabhi… yeh sab soch raha tha Vijay aur uss ka dum ghutney laga… jeise ussko sanss leney mein takliff ho raha tha…aur jaldi se woh terasse par gaya..aur donon aamney saamney ho gaye achanak!!

Jab Aisha ne Vijay ko terasse par dekha to apna peeth kar liya Vijay se aur zor se kaha, “Maa!! Kia kar rahi ho ab tak !! dulhan ki tarah tayaar ho rahi ho kia ? singaar karni hai ?? » yeh kehkar khud hansi Aisha ne phir mudkar Vijay ko dekha, par Vijay nahin hans raha tha, balkey ussko peeth ki orr nihaar raha tha….. Vijay ka terrace Rhanveer lane ko face karta tha, aur uss waqt Aisha lane mein hi khadi thi jo uss ke ghar tak end hota hai…Rhanveer lane jeise inn teenon families ka angna tha….

Kuch der ke baad Aisha ki maa nikli aur, donon chalney laguey…Aisha ne sar utha kar ek baar phir Vijay ki nazron mein dekha, aur apney chudiyon ko kalayi par sarkaya…tab Vijay ne dekha ke usski kalayi mein woh laal chudiyan thi jo kabhi Vijay ne kharid ke diya tha Aisha ko…… Vijay chohnka aur socha ke uss ne to kaha tha mail mein ke ussne Vijay ki di huwi har chiz ko jala diya hai?!!.... Woh donon Rhanveer lane mein jaa rahe the aur Vijay dekhta raha, aur jab lane ke aakhir tak pohnchey to Aisha mudkar Vijay ko phir se dekha ek halki si muskaan ke saath….

Vijay ko kuch samajah mein nahin araha tha ke kia chahti thi yeh ladki !! kyun eisi behave kar rahi thi jeise kuch kehna chahti ho magar keh nahin paa rahi thi?!!

Vijay ghar ke andar gaya , computer on kiya aur phir se usska mail check kiya aur socha ke koyi aur mail hogi Aisha ke taraf se …magar nahin tha…. Lekin call centre wali Pooja ke yahan se 15 mails the !!! kuch forwarded mails thai aur 3 personal mails thai….. love letters ki tarah….. lekin Vijay ko koyi interest nahin thi Pooja ke saath aur ussko ghalat faimai mein nahin rakhna chahta tha to ussko reply kiya aur kaha ke usska mangni ho chukka hai Aisha ke saath…..

To be continued…………………….

just read this bro
u r a very good romantic writer too i did not know that
how perfectly u hv written the feeling of vijay, i can very well understand those feelings as i have gone through all that
how painful it is to se your girlfrind in front of you, in a beautiful dress and you think of all her body parts you had once owned and she passes by in front of you...
wonderful writing bro
going to read the next
 
  • Like
Reactions: Casinar

Rowdywa

Banned
1,133
5,151
143
Update 24

December ka Mahina tha aur Christmas ka mahaul. Agley din Christmas honey ko tha aur Vijay raat ko kaam par gaya huwa tha. Khushiyon ka mahaul tha. Sab log Chrismas ki celebration ke liye kuch na kuch tayaar kar rahe thai. Har koyi apney mehbooba ke liye kuch na kuch kharidney ki baatein kar rahe thai aur Vijay iss soch mein doob gaya ke pichley saal aur baaki sarey saalon ko ussney sirf Aisha ke saath guzarey hein aur phir se ussko ek tarap ne gher liya aur woh Aisha ke khayalon mein khogaya. Har saal ko woh Aisha ko koyi na koyi achchi si gift kharid kar deta tha Christmass aur naya saal ke mawkey par.

Vijay ko Aisha ki kami mehsoos ho rahi thi aur woh soch raha tha kia Aisha bhi weisa hi feel kar rahi hogi?...... Aaakhir mein raat ko kaam khatam karney ke baad Vijay ne apney ghar walon ke liye gifts kharidey. Har kissi ke liye kuch na kuch kharida. Khass kar apni laadli Pooja ke liye ussne ek khubsurat churidaar kharida. Choti Anu ke liye dress liya maa ke liye sari, bhai ke liye watch aur apney papa ke liye ek shirt kharida aur ghar ko gaye.

Ab ghar poncha to subha hogaya tha, aur Chrismas ka din tha to holiday tha to sab ghar par hi thai aur sab ke sab soye huwe thai. Vijay ne gifts ko lounge mein mez par rakh diya aur khud soney chala gaya.
Woh to so raha tha jab Pooja ne sab gifts kholey aur sab ko distribute kiya kyun ke har gift par naam likha tha Vijay ne. Pooja ne uss nayi churidaar ko pehna aur bahot hi khush thi. Vijay ke papa ne apni patni se kaha, “Mujhey Vijay par garv hai. Mera yeh beta mera naam zaroor roshan karega ek din. Eisa beta ho to main araam se befikar mar sakta hoon » Vijay ki maa ki enkhon mein ensoo agayi unnki baton ko sunkar.

Vijay ki neendh tooti to din ke 2 baj gaye thai aur woh ek gehra sapna se jaga tha! Who sapna uss ke dimagh mein tazaa tha aur har ek baat jeise sach mooch beeta ho abhi abhi eisa lag raha tha ussko. Woh sapna beshak Aisha ke barey mein tha. Aur Vijay bahot tanha mehsoos kar raha tha aur Aisha ko kuch ziada hi miss kar raha tha….. uss ne sapney mein dekha ke Aisha usske saath bistar par leti huwi hai aur woh ishk farma rahe hein. Aisha ki jism ka har ek hissa Vijay ko mehsoos ho raha tha jeise ke woh unn dinon Aisha ke saath guzara karta tha. Uss ne Aisha ki dress ko feel kiya, Aisha ko undress kiya, usski boobs ko massage kiya, kiss kiya, suck kiya… Aisha ne ussko angrayion ke saath apni bahon mein jakra aur sharmatey huwe apney aap ko Vijay ke hawaley kiya….. woh sapna Vijay ko tarpa raha tha…. Takriban ek saal honey ko tha jab se donon juda huwe thai…. Aur Vijay ne apney aap ko bahot mushkilon se sambhala huwa tha. Andar to ghayal hi tha magar khud ko mazboot kiya huwa tha iss zindagi ko face karney ke liye aur thaan liya tha ke aguey barhega akele hi, jiss din Aisha ne ussko jawab diya tha…. Apney aap ko bahot mushkilon se sambhala tha Vijay ne…….

Aakhirkaar, naya saal aya aur Vijay ne apney family ke saath naya saal manaya. Kuch ziada pathakhey kharidey thai uss ne Pooja aur Anu ki farmayish par aur 31st December ki raat ko bahot der tak sab pathakey jalatey rahe Rhanveer lane mein…. Pichley saal yehi tiohaar Vijay ne Aisha ke saath bitayi thi aur har waqt woh Aisha ki makaan ki taraf dekh raha tha ke kahin woh dekh na rahi ho….
Assal mein Aisha dekh rahi thi kitney khubsurat phool jhariyan wale pathakey Vijay phor raha tha raat ke barah bajney ke baad.. Aisha ko maloom tha ke Vijay har 31st December ko wiese hi manata hai saal ki aakhri din ko vida kartey huwe…. To woh dekh rahi thi apney ghar ke andar se lekin khud ko chupa kar, so Vijay ko pata nahin tha…..

Vijay naya saal ke mawkey par bahot udaas tha aisha ki khayalon mein lekin dikhney nahin deta tha. Weise gharwalon ke sath khul milkar rehta tha taakey kissi ko kuch pata na chaley…..

Aakhir naya saal ke din guzrey aura ab Vijay kaam par to nahin ja sakta tha kyun ke uss ne University mein phir se dakhila le liya tha referred student ki hasiyat se, jeise ke uss ne saal ke shuru mein chor diya tha….. to phir iss saal who university jana phir se shuru kiya…….

Aur pehla din ussko ek ajeeb sa ghutan huwa jab subha savere tayaar ho raha tha ghar se nikalney ko….. kia huwa tha?... huwa yeh ke pichey murr kar ussney Aisha ko apney pichey chaltey huwe mehsoos kiya jeise har roz donon ek saath jaya kartey thai…. Ek bhi din eisa nahin tha jab ke Vijay akela university gaya ho uss se pehley….. lekin ab to yeh aakhri saal akela hi pura karna tha ussko, jeise ke uss ne thaan liya tha ke kuch karke dikhana hai ussko… Aisha ko bhi aur uss ke papa ko bhi dikhana tha… zindagi mein aguey bahrna tha aur kuch kar dikhana tha….

Aakhir mein Vijay university ponhcha aur doston ke beech ghul mil gaya. Bahot saarey doston ne Aisha ke baarey mein poocha, kissi ko sab pata tha aur kissi ko nahin to yeh tey huwa ke koyi bhi ab Aisha ke baarey mein baat nahin karega kabhi kyunke koyi bhi Vijay ko takliff nahin pohnchana chahta tha. Lecturers Vijay ko dekh kar khush huwe aur ussko encourage kiya aur shabaashi di yeh decision leney ke liye ke woh apna module aur course ko pura karey.

Keise bhi pehla din university mein guzra…Vijay ko of course Aisha ki bahot kami mehsoos ho rahi thi bahot ziada, campus ke har koney koney mein Aisha ki yadein bassi huwi thi, aur jahan bhi Vijay jata tha ussko Aisha nazar ata tha aur ussko woh mehsoos karta tha…lekin doston ne yeh situation ko sambhalney ke liye har waqt Vijay ka saath rehney ko plan kiya tha aur kabhi bhi ussko akela nahin chortey thai aur kissi na kissi bahaney se Vijay ko behlatey rehtey thai taakey woh Aisha ko yaad na karey….. aur Vijay bhi dhirey dhirey doston ke sath milta gaya aur Aisha ki kami ko aur yaadon ko bhoolata gaya……


To be continued…………….

thats great nostalgic feelings which u v written is very heavy and i have gone through that too. i relate myself to this story so very closely
everything u hv written are true and lively.
during new years occasions and any other celebrations are when lovers miss their loved ones the most and you have described it perfectly well bro. hats off.
 
  • Like
Reactions: Casinar

Rowdywa

Banned
1,133
5,151
143
Update 25

Din guzartey gaye aur Vijay university mein araam se doston ke saath ghulta milta gaya aur studies mein jamkar masroof hogaya. Dusrey kayi ladkiyan se dosti ki aur unn mein se ek ladki thi Swaroop jo Vijay ki taraf khincti gayi aur uss se pyar karney lagi. Har roz woh Vijay ko sms karti, raat ko phone par batein karti aur class aur campus mein ziada tar Vijay ke saath hi rehti. Vijay ko pata ho chala tha ke Swaroop uss se pyar karti thi magar Vijay pura koshish karta tha usse apney dil se door rakhneko.

Ek raat ko Vijay aur Swaroop yahoo par chat kar rahe thai jab Vijay ne Swaroop ko Aisha ke barey mein likha aur sab kuch kehdiya. Swaroop ko takliff huwi phir bhi uss ne kaha ke woh Vijay se pyar karti hai. Vijay ne jawab diya ke woh sirf Aisha ko chahta hai aur kabhi kissi aur ko pyar nahin kar payega. Swaroop ne kaha dusrey din university mein uss barey mein baat kareinguey magar Vijay ne kaha ke uss ke saamney woh baat nahin kar paega issi liye chat par sab kuch keh raha tha.
Dusrey din ko half day woh donon free thai to Swaroop ne Vijay ko campus mein alag bulaya batein karney ke liye.Ussne Vijay ko kaha, “Lekin ab to tum Aisha se alag ho gaye ho to kyun apney aap ko uss ke saath abhi tak baandha huwa hai. Ussne to tumko bhula diya hoga nah? To tum bhi alag dekho yaar. Main nazar nahin ati kia? Ek baat bolun, main tumse ziada pyar karney lagi yeh jaankar ke tum Aisha se kitna pyar kartey ho. Iss ka matlab hai ke tum achchey ashik ho aur mujhey eisa hi ladka chahiye tha!” Vijay ne jawaab diya, “Swaroop tum ek bahot achchi ladki ho, khubsurat bhi ho. Tumko bahot saarey achchey ladkey miljayeinguey. Main tumko woh pyar nahin de pawunga. Tum ek khwab mein ji rahi ho aur jab khwab tutega to bahot takliff hogi tumko yaar. Ab jaago aur hakeekat ka saamna karo. Main nahin chahta ke tum kal yeh kaho ke main ne tumhara pyra aswikaar kiya. Hum achchey dost hein to behtar hai ke hum eise hi rahein.”

Swaroop ko bilkool dukh nahin huwa aur woh man hi man yeh sochti thi ke kissi bhi tarah ek saal mein woh Vijay ka pyar haasil karlegi. Woh samajhti thi ke Vijay Aisha ko bhool jaega aur akhir mein usska ho jaega. To woh himat nahin haari aur man hi man Vijay ko pyar karti rahi. Magar Vijay apney faisley mein atal tha aur uss ka pyra sirf Aisha ke liye tha. Agar who chahta to Swaroop ke sath dhoka bhi kar sakta tha, aur najayiz taalukaat bhi rakh sakta tha, magar woh bilkool weisa ladka nahin tha aur weise batein uss ke usool ke khilaaf thai balkey usski ragon mein weisa khoon hi nahin tha.

Weekends ko Vijay ghar par rehta tha aur kabhi kabhaar Pooja ke saath city mein ghoomney ko chala jata aur kuch shoping karta. Ek din huwa yeh ke Pooja aur Vijay ek mall mein guzar rahe thai jab Vijay ki nazar Aisha aur usski maa par pari. Aisha ek bahot khubsurat twopiece mein dressed thi aur jeise ke Vijay ko passand tha uss ke baal khuley huwe thai. Vijay dekhta raha aur uss ka dil bare zoron se dhadka. Aisha ne ussko nahin dekha tha aur Vijay ek stall ke pichey kharey hokar Aisha ko nihaarta raha. Pooja ne khub dekha, aur dhirey se Vijay ke bahon ko pakar kar apney taraf khincha. Magar Vijay ne rukney ko kaha aur Aisha ko dekhta raha. Pooja bhi Aisha ko dekh rahi thi aur Vijay ne dhirey se Pooja se kaha, “Pooja, tumko nahin lagta ke Aisha kuch ziada khubsurat ho gayi hai ab?” Pooja ne jawaab diya, “Kia bhai, ab choro bhi, kyun jhootey sapney dekh rahe ho? Woh ab tumhari nahin.”

Vijay ko yeh sunkar ek ajeeb sa tees huwa dil mein. Socha, ‘kia ab Aisha meri nahin rahi? Kyun bhala? Keise ho sakta hai yeh? Yeh namumkin hai. Woh meri thi aur hamesha meri rahegi. Upar wala bhi ussko mujhse nahin chiin sakta….’ Kaafi der tak woh Aisha ko nihaarta raha aur chhup chhup kar usska picha kiya purey mall mein, phir aakhir mein donon ki nazrein miley aur Aisha apni maa ke bagal mein khari hogayi aur woh bhi chhup chhup kar Vijay ko dekhney lagi. Donon ek dusrey ko mawkey ke hisaab se dekh rahe thai. Aisha ne Pooja ko bhi kayi baar dekha aur ek baar uss ke saath muskurayi bhi jab unnki nazrein mili to. Magar Pooja ne koyi muskurahat nahin ki kyun ke woh uss se ab nafrat karti thi kyunke uss ne Vijay ka dil tora tha.

Phir ek baar eisa huwa ke Aisha ki maa ki nazar Vijay se mili, aur Vijay ne uss ko namaste kaha, to Vijay ki chachi ruk gayi aur jawab dete huwe batein karney ke liye khari ho gayi aur Vijay se batein ki, “Keise ho beta, aaj kal nazar bhi nahin atey ho. Suna hai phir se studies karney laguey? Bahot achcha kiya. Main yeh sunkar khush huwa beta.” Vijay ne kuch batein ki, aur tab tak Aisha Vijay ki nazron mein dekh rahi thi, aur Pooja Aisha ko moti moti enkhon se dekh rahi thi. Aisha ki maa ne yeh bhi kaha, “Aisha ki to kismat phooti huwi hai ke ab ghar par baithi hai jab ke woh bhi aaj tumharey sath university mein hoti nah? Kia karein kismat ki baat hai.” Inn baton ko sunkar Vijay ki enkhen nam huwi aur ashk bharey enkhon se ussne Aisha ko dekha aur jab Aisha ne Vijay ki enkhon mein ensoo dekhey to usski enkhen bhi bhar ayi, aur woh ek taraf dekhney lagi apney enkhon ko ponchtey huwe, phir apni maa ki bahon ho khinchtey huwe dusrey aur janey lagi.

Uss din ko jab Vijay ghar wapas ponhcha to din bhar Aisha ki khayalon mein khoya raha. Aur uss ka dil bahot bhaari tha aur sanss lene mein takliff ho rahi thi ussko. Woh apney kamrey mein intezaar karta raha ke Aisha ka ek jhalak dekhney ko mile, magar who nazar nahin ayi bilkool…….

To be continued……………………

Wonderful update bro too emotional. Am amazed to see that u write emotions so well. Vijay proved his sincerity towards Aisha as sister is too good and shows natural reaction a sister would hv towards the girl who betrayed her bro....
Wonderful update bro.
I love this love story very much. I think i will complete the read tonight. Irs so interesting and i want to know what happens ahead....
Reading the next dear
 
  • Like
Reactions: Casinar

Rowdywa

Banned
1,133
5,151
143
Update 26
Vijay ka ek cousin ka shadi tha koyi ek kilometers ki doori par uss ke ghar se. To beshak wahan Aisha parivaar ke saath bhi gaye huwe thai. Sanichar se ravivaar tak shaadi mein sab mawjood thai. Sanichar ki raat ko Vijay parivaar ke saath wahan ponchey aur Pooja Vijay ki bahon mein bahein daley khari thi jab Aisha ki nazar Vijay par pari. Vijay ne Aisha ko nahin dekah tha, magar Pooja ne dekh liya tha ussko aur apney bhaiya ki bahon mein bahein daaley khari Aisha ko moti moti enhon se dekh rahi thi.

Vijay bahot hi achey dress mein tha aur handsome lag raha tha. Dusri ladkiyan Vijay ke taraf ghur rahe the aur Aisha ko jalan ho rahi thi. Kuch der baad tent mein Vijay ek kursi par baithney ko gaya aur Pooja aur choti behen Annu bhi wahin baithey. Aisha ghar ke baramde mein khari unn logon ko dekh rahi thi. Phir Aisha ne ek paraivaar ki sadasya se kaha ke tent mein Vijay paraivaar sameth baithey huwe hein unn sab ko ghar ke andar bulaya jaye.

Jab Vijay apney donon behnon ke saath ghar ke andar gaye to Aisha se aamna saamna huwa. Aisha ne woh dress pehni huwi thi jo ek din Vijay ne uss ko gift kiya tha. Woh ek bahot hi khubsurat white colour ki dress thi jo Vijay ko behad passand tha aur uss mein chandi ki jarriayan lagi huwi thi chaaron taraf. Aisha ki khubsurti ko chaar chand laga rahi thi woh dress. Aisha ko khub pata tha ke Vijay ko woh dress bahot passand hai. Vijay sochney laga ke Aisha ne ussi dress ko kyun pehna hai…. Uss ke dimaagh mein hulchul mach gaya aur woh bilkool bechain sa hogaya. Deewana to tha hi woh Aisha ke liye itna kuch honey ke bawajud, magar apney zuban par atal tha woh aur Aisha ki kahi huwi baton ko bilkool bhoola nahin tha. Uss ko woh din yaad aya jiss din uss ne woh dress kharida tha aur Aisha ko diya tha…..

Vijay ghar se baahar nikla aur khayalon mein kho gaya unn dinon ki. Uss ke enkhon ke saamney woh saari ratein aney lagey jo uss ne Aisha ke saath uss ke kamrey mein guzarey they. Uss raat jab ussne uss dress ko diya tha Aisha ko, keise uss ne Aisha ko kiss kiya tha, kitney der tak raat ko uss ke kamrey mein guzara tha, yeh sab batein Vijay ko phir tarpaney lage…… Pooja Vijay ko dhundney ko baahar nikli aur naa milney poar woh ghar ke andar phir se gayi aur Annu se poocha kia uss ne Vijay ko dekha. Aisha ne bhi suna aur woh bhi Vijay ko dhudney ko baahar nikli. Uss ki enkhen sirf Vijay ko hi talaash rahi thi- jeise ke woh iss shadi mein sirf Vijay ke liye ayi huwi hai. Jab Pooja har kissi se puch rahi thi ke kia kissi ne Vijay ko dekha, to Aisha jawab sun rahi thi aur Pooja ko dekh rahi thi. Pooja ne sab dekha aur uss ko passand nahin thi ke Aisha bhi Vijay ko dhund rahi hai. Phir Annu ne Pooja se kaha, “Pooja didi, papa ke mobile lekar bhai ko phone karke pucho ke woh kidhar hai” Pooja ne weisa hi kiya.

Pooja (mobile par) –“ Bhai, kahan ho? Sab tumko dhund rahe hein.»

Vijay (apney mobile se)- “Main ghar wapas agaya hoon Pooja, tum papa ke saath wapas ajana.”

Pooja: “Magar kyun bhai? Yeh kia baat huwi? Hum saath wapas jane waley they nah bhai? Kyun eisa kiya tum ne?”

Vijay: “Mujhey achchah bilkool nahin lag raha tha wahan Pooja. Meri tabiyat thik nahin lag raha issi liye main wapas chala aya. Tum log enjoy karo na? Mera fikar mat karo. Tum sab mazae lo wahan. Main soney jaraha hoon. Wapas awo to shor mat karna, main ne darwaze ki chabhi usski jagah par rakh di hai.”

Pooja narazgi main phone ho cut kiya aur ghussey mein Annu ko kaha, “woh wapas ghar ko chala gaya kehta hai ussko yahan achchah nahin lag raha!!” Phir Aisha ko dekh kar uss ko tana diya, “Bhaiya ko achchah lagega bhi keise? Yahan dil torney waley jo mawjud hai!!”
Aisha ko pata laga ke Pooja ussi ke baarey mein keh rahi hai. Aur woh bhi kuch udaas si hokar ghar ke andar chali gayi. Aisha ne apney mummy se ghar wapas chalney ko kaha aur udhar Pooja ne bhi apney papa ko wapas chalney ko kaha. Lekin parents ne mana kiya ke apnon ke yahan shadi ki raat hai eise wapas nahin jasaktey. Lekin jab Pooja aur Annu ne zid ki to usske papa ne kaha, “Chalo tum donon ko wapas ghar chor kar ata hoon.”

Jab Aisha ki maa ne suna ke Pooja ke papa unn logon ko wapas ghar chorney jarahe hein to uss ne Pooja ke papa se kaha, “Aisha bhi wapas jana chahti hai aap ussko bhi saath chor deinguey?” Pooja ke papa ne kaha han chor dega. Jab sab nikley chalney ko to Aisha ke papa ne kaha ke woh jaega Aisha ko chorney kissi aur ke saath janey ki zaroorat nahin. Pooja ko bilkool passand nahin ayi jab Aisha bhi unn logon ke saath chalney ke liye khari huwi, aur wo bahot prassand huwi jab uss ke papa janey ko tayaar huwa.

Aakhir mein sab ghar ko waapas aye. Vijay soya bhi nahin tha jab Pooja aur Annu ghar wapas aye aur donon behnon ne Vijay se ladayi ki kyun ke woh wapas agaya. Aur donon ne kaha ke Aisha bhi wapas agayi.
Kuch der baad Vijay apney kamrey ki khirki ke paas khada hokar Aisha ke kamrey ke taraf dekha to dekha ke Aisha ke kamrey mein lights on hai. Raat ko takriban barah bajney wale the aur uss waqt to lights off hota hai…. Vijay phir unn dinon ko sochney laga jab woh raat ke iss waqt ko Aisha ke kamrey mein huwa karta tha, aur kabhi kabhi Aisha ke kamrey ke khirki se baahar wapas ata tha. Woh sochney laga ke iss waqt Aisha kia kar rahi hogi? Akeli hogi kyun ke sab baaki ke log shaadi mein the….. Uss ke dimaagh mein ek baat ayi…socha ke woh jaakar Aisha ki khirki ko khatkhataye…… Kia woh khirki ko kholegi pehley ki tarah? Vijay sochney laga, ‘kyun woh bhi wapas chali ayi? Kia iss mawkey ka faeda uthaya jaye? Kia usski papa chale gaye honguey? Ya woh bhi yehin hai? Kia kiya jaye??

Vijay khada soch raha tha ke achanak Aisha ne apni khirki ki parda hatayi aur donon ne ek dusrey ko dekha….. Aisha apni nighty mein thi, wohi jo Vijay ko ziada passand tha…. Aur Vijay bus dekhta raha……..

To be continued………………


woooow very very beautiful update bro.... yaar u write romantic stories so very well my dear
i never thought that u are such a jack of all trade in writing
this story is amazing and i can situate myself at many places through Vijay goes
.....this feeling of melancholia which made him return home from the wedding house
after seeing Aisha in the dress he had offered her...
andnow living back those moments he spent with her and seeing her all of a sudden near the window
absolutely fantastic writing casi bro
i feel like i am reading a treu life story...
reading the next now
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top