Rowdywa
Banned
- 1,133
- 5,151
- 143
Update 27
Donon ne ek dusrey ko dekha aur Vijay uss ke taraf dekhtey huwe dil mein socha ke kaash pehley ki tarah hota to Aisha se woh batein karta aur Aisha ussko bulata apney kamrey mein. Mawka bilkul durust tha ek achi romantic mulakaat ke liye magar buss kuch seconds ke baad Aisha ne Parda khincha aur lights off kardiya. Vijay bilkul udaas hokar bistar par let gaya aur sapnon mein Aisha ke sath raat guzra usska.
Subha hotey hi Aisha ki yadein uss ke dimaagh mein taaza thi. Magar achaanak Vijay ne unn baton ko yaad kiya jo Aisha ne chilla kar uss ko kaha tha jab aakhri baar Vijay uss ke ghar gaya tha milney ke liye aur Aisha ne kiss tarah se kathorta ke saath Vijay ko beizat karke ghar se nikala tha…. Vijay ne khud socha ke uss ne keise apne aap se wada kiya tha ke uss din ke baad woh usski taraf nahin dekhega aur apney maksad mein aguey barhta jaega chahey kuch bhi ho.
Tab hi Vijay ne faisla kiya tha ke woh apney studies pura karega aur university phir se join kiya tha. Aur apney pahrhayi ko ziada ehmiyat dete huwe ussne soch liya tha ke woh kuch kar dikhayega aur Aisha aur uss ke pita ko dikhadega ke woh kuch ban sakta hai. Ussi din se woh serious hogaya tha aur Aisha ko dil se takriban nikaal hi diya tha magar dil to aakhir dil hai kahan kissi ki sunta hai aur Vijay dil se majboor hogaya tha iss waqt. Phir bhi Vijay ne apney aap ko dubara mazboot kiya aur apney maksad ko saamney rakha aur apney aap se kaha- ‘Vijay, tu ab usski koyi nahin. Bhoool gaya kia kaha tha uss ne tujhko? Keise kuttey ki tarah uss ne tujhko apney ghar se nikala tha. Tum ne apney aap se wada kiya hai ke tu study bharpoor karega aur kuch banega, to buss usski yaadon se mukt ho jawo aur apney maksad par dhiyan do.’
Ab din bhar apney cousin ke yahan shadi ke ghar mein rehna tha, sirf din bhar hi nahin balke raat ko bhi aur agley din ko aur raat ko bhi. Vijay ko pata tha ke Aisha wahan hogi aur soch hi raha tha ke keise uss se nazrein churaega aur door rahega Aisha se. ke usski behen Pooja kamrey mein ayi aur kaha, “Bhai, please aaj mere sath purey din shadi ghar mein rehna, wapas mat ana please. Main tumhara khayaal rakhungi wahan. Kissi ko dekhney ki zaroorat nahin hai. Apni nazron ko mere taraf karna agar woh nazar ayi to. Main samajhti hoon tumko keisa mehsoos huwa hoga ussko aamney saamney dekhkar magar bhai itna kuch honey ke baad bhala uss taraf dhiyan dena munasib hai?” Vijay muskuratey huwe Pooja ko apney karib khincha aur gale se lagakar jawab diya, “Han meri maa, thik hai tere saath hi rahunga. Tu fikar mat kar. Magar din bhar to main tang ajawunga to bich bich mein ghar wapas awunga rest karney ko, okay?” Pooja khush huwi aur zor se Vijay ko gale se lagakar wapas chali gayi.
Ab takriban 10/11 bajey pura Rhanveer family uss cousin ke yahan haazir they. Bade Anirud chacha ke sabhi sadasya. Vijay ke donon cousin aur unnke wives aur bachey, khud bade chacha aur chachi, Pooja ke ghar ke sabhi sadasya, aur vijay ke ghar ke sabhi log. Sunday ka din tha aur khaney piney ko serve kiya ja raha tha. Vijay ko bulaya gaya hath bataney ke liye. To vijay kuch doston ke saath khana serve kar raha tha, aur serve kartey kartey uss jagah pohncha jahan Aisha baithi kha rahi thi aur uss ke plate mein khana serve karna tha….. Vijay ther gaya aur charon taraf dekhney laga ke Pooja ki nazar uss par para. Pooja ko pata chal gaya ke Vijay pareshan tha ke ab kia kiya jaye…to usski madad ke liye Pooja dawdti ayi aur Vijay ke hath se serving plate liya aur uss ne Aisha ko serve kiya aur wahan se continue karti gaayi…… Aisha appni nazron ko apni plate par jhukayi huwi baithi thi aur ussko bhi sab mehsoos huwa aur dukh bhi huwa. Aisha ke papa sab dekh raha tha aur uss ko khushi hiwi ke Vijay ne Aisha ko serve nahin kiya.
Thodi der ke baad Vijay tent ke baahar khada kissi se baatein kar raha tha jab Aisha ke papa Vijay ko yeh kehney aya, “Mujhey khushi huwi yeh dekh kar ke ab tu maturity dikha raha hai. Jo tum ne kiya Aisha ko na serve karkey saabit karta hai ke tum ab sache mard ban gaye ho. Apney iss maturity ko barkaraar rakhna!” Vijay ne kuch jawab nahin diya aur sirf sar hilaya. Phir apney aap sochney laga ‘kia maturity chacha! Main hi jaanta hoon ke mujhpar kia beeth rahi hai. Tum kia samjhoge chacha!’
Shaaadi ka din guzra, nayi dulhan ghar ayi, aur door ke sabhi pariwaar wapas ghar ko chaley gaye aur sirf karib ke log ghar mein mawjood the. Sab lounge mein baithey dulhey ki tang khinchayi kar rahey the aur nayi naveli dulhan Sharma rahi thi. Sab ke bich Aisha, Pooja, Annu aur bade chacha ke do bahuwein bhi the. Bade chacha ki bahu Kaajal jo Vijay ke karib thi, yaad hoga aap logon ko ke Aisha uss se jalti thi jab Vijay uss se ziada ghul milkar batein karti thi…. Aur Kajal jab shuru shuru mein shadi karke bade chacha ke ghar mein ayi thi to Vijay hi tha jo uss ke problems ko solve karta tha…. Donon achchey dost the aur Kaajal ko bhi pata tha ke Aisha uss se jalti hai.
To huwa yeh uss waqt ke Kaajal thik Vijay ke bagal mein baithi thi, aur Vijay ke ek taraf mein Pooja thi. Aisha saamney baithi huwi thi. Kajal ke husband ghar chala gaya tha, aur dusri bahu, Karuna bhi wahin thi apni ek chotey bête ke saath. To Kaajal baat baat par hanstey huwe apna haath Vijay ke kandhey par rakh rahi thi aur Aisha dekh rahi thi. Eisa lag raha tha ke Vijay aur Kajal husband and wife hein… Kissi ko nahin pata uss waqt Aisha kia feel kar rahi thi. Aur dil hi dil mein Vijay ko achchi tarah se maloom tha ke uss waqt Aisha ko jalan ho rahi hogi…. Kyun ke uss baarey mein donon mein bahot jhagda huwa tha pehley. Aisha ne kayi baar Vijay ko kaha tha ke woh Kaajal se door rahe. Kaajal ki umar Karib Vijay ka tha. Aur kajal bhi bahot khubsurat thi aur chanchal bhi…….
To be continued………………….
fantastic casi bro. wonderful, excellent update dear.
oh my God what a situation!
the moment vijay was serving food and reached Aisha to serve that is the key part of this update.
i can deeply feel what Vijay must have felt at that moment and what Aisha also must be feeling....
that was the terrible, hard, difficult part for vijay...
superb update brpyou have written this so pretty well
thanks u for such a marvelous story my dear