Rowdywa
Banned
- 1,133
- 5,151
- 143
Update 39
Andhera hone ke baad Vijay bahot bechain tha. Pooja aur woh, donon TV dekh rahe the lounge mein aur Pooja ko dikh raha tha ke Vijay abnormal hai. Vijay kabhi terasse par jata to kabhi apne kamre mein khirki ke paas phir lounge mein wapas ata…. To Pooja ne poocha, “Kia baat hai bhai? Kyun iyna pareshan dikh rahe ho?”
Vijay ne sab saaf saaf bata diya Pooja ko ke woh Aisha ke ghar jane ka soch raha hai, aur woh jaakar rahega. Pooja chonhonk gayi aur mana kar rahi thi. Magar Vijay ka irada atal tha. Pooja ne bahot samjhaya ke Aisha phir se ussko bura bhala keh sakti hai aur usski choti behen Vinod chacha ko batadegi saari baat to phir se bahot problem hoga. Pooja ne binati ki ke woh mat jayein.
Vijay ne kaha, “Main ne ek plan socha hai Pooja, sunon. Main ghar mein darwaze se nahin jawunga balke Aisha ke kamre ke khirki se sidha Aisha ke kamre mein ghusunga. Ab umeed yeh hai ke Asha uss ke saath kamre mein na ho. Weise to Aisha hamesah akeli soti hai apni kamre mein lekin aaj ho sakta hai ke Vinod chacha ne Asha ko Aisha ke kamre mein rehne ko kaha ho…bus yehi ek problem hai…. »
Pooja bahot ghabrayi huwi boli, «Magar bhai, kia Aisha tumko andar aney degi ? kia woh khirki ko kholegi ? Agar woh chilaayi to? Aur agar Asha bhi ussi kamre mein ho to? Tab kia hoga, sab Vinod chacha ko pata chal jaega, aur log kia kaheinguey ke tum ne Aisha ko akeli paakar raat ko usske kamre mein jana chaha…bahot bura image ban jaega tumhara bhai!! Please eisa mat karo. Please!”
Vijay ne bahot araam se Pooja ko yeh samjhaya, “Dekho Pooja dear, mujhey tumhari madad ki zaroorat hai kaamyaab honey mein, agar mere phukarney se Aisha ne khirki nahin kholi to tum ussko wahan se bulana, tumhari awaaz sunkar woh zaroor khirki kholegi.” Pooja boli, “Aur phir khirki kholne ke baad woh dekhegi ke tum khada ho wahan to mujhey kia samjhegi woh, ke main ne chhall kapat kiya uss ke saath kia yeh thik hoga bhai?” “Everything is fair in love and war Pooja, Muhabat aur jung mein sab jayiz hai” Vijay ne jawaab diya Pooja ko.
Bahot discussion ke baad Vijay Pooja ko mana saki ke uss ka Aisha se milna bahot zaroori hai. Pooja ko manzoor nahin thi magar apne bhai ke liye woh raazi huwi magar bahot darri huwi thi…… Vjiay ne yeh bhi samjhaya ke agar Asha bhi wahin hogi to Vijay Asha ko bhi mana lega ke woh kissi se kuch na kahein……..
Ab Vijay ne Pooja ko yeh bhi kaha ke agar woh andar janey mein kaamyaab hogaya to woh ek pal mein to wapas nahin ayega, der ho sakta hai, waqt ka pata nahin chalega jab woh Aisha ke sath hoga, to uss ne Pooja se kaha ke agar parivaar log aney lage to Pooja ussko miscall karein usske mobile par. Uss ne kaha ke woh mobile ko vibrate par rakhega. Par Pooja ne kaha, “usski to zaroorat nahin paregi kyun ke Tiger zoron se bhonkney lagega jab woh log wapas ayeinguey to. Phir bhi Vijay ne kaha, “Main phir bhi mobie leja raha hoon agar tumko koyi problem ho to mujhko turant phone karna, tumko akele darr to nahin lagega nah? Main yahin hoon, door nahin.” Pooja ne dekha ke usske bhai ko uss ka fikar tha, phir uss ne socha ke Vijay had se ziada Aisha ko chahta hai aur dil hi dil mein socha ke donon ko milne dena chahiye, to uss ne bhi thaan liya ke han chalo tum mil hi awo ab apne Aisha se.
Jab jane ka waqt huwa to Aisha bhi usske saath Tiger ke ghar tak baahar nikli, aur achanak Pooja ne Vijay ka haath thama aur poocha, “Tum ne kaha ke bahot der karoge andar, kia tum donon woh karoge?” Usska matlab sex se tha…. Vijay muskuraya aur kaha, “Irada to wohi hai behna magar pata nahin kia hoga…. Agar safal huwa to tumko hazaar kiss karunga” yeh kehkar ussne Pooja ke donon gaalon par kiss kiya aur jaldi se Aisha ke khirki ke paas ja ponhcha. Pooja Tiger ke ghar ke paas khadi dekh rahi thi ke agar Aisha ne jawab nahin diya to woh wahan jaakar ussko phukaregi.
Vijay ka dil zoron se dharak raha tha, woh khud apney dil ki dharkanein sun sakta tha… kuch usska haath thartharaya, uss ne do teen lambi sensein li, mudhkar Pooja ko dekha, aur Pooja ne dhirey se kaha, “Phukaro!! Kia wait kar rahe ho?” Vijay ko darr lag raha tha….. Aaj eisa bhi din agaya tha jab Vijay ko apne Aisha ko phukarne ke liye darr lag raha ho!! Kabhi socha bhi nahin tha uss ne ke eisa din bhi ayega…. Woh Aisha jiss ke saath woh hazaaron lamhein ek saath guzaar chukka tha aaj pal bhar ke liye Vijay ke dil mein darr tha… kamaal ki haalaat hai yaaro!!!
Vijay ne phir kayi baar lambi lambi sensein lekar himat jutayi aur bahot dhirey se khirki par knock kiya. Andar lights on thi, ab woh soch raha tha ke pata nahin Aisha apne kamre mein hai bhi ya Asha ke kamre mein hogi! Knock karney ke baad usska dil ziada zoron se dharakney laga….. Vijay ke tangein bhi kampney laguey…. Kuch minutes ke baad kissi ne respond nahin kiya to Vijay ne mudhkar Pooja ko dekha ghamgeen chehra liye, aur Pooja ne kaha, “phir se thoda ziada zor se knock karo” To Vijay ne dubara knock kiya kuch zor se….. aur iss baar ussko Aisha ki chalney ki aahat sunayi diya… halaan ke woh kamre ke andar thi magar Vijay ko pata chal gaya ke woh khirki ke taraf arahi hai… Vijay ne phir mudhkar Pooja ko dekha aur whisper mein kaha, angutha uthatey huwe, “Who arahai hai yuhooooo!!”
Aur sach mein Khirki se parda Aisha ke naazuk haathon ne hataya, aur baghair khirki khole apni donon haathon ko chehre ke kareeb late huwe Aisha khirki ke baahar dekhne ki koshish kar rahi thi ke kaun hai, baahar to andhera tha nah….. Ab Aisha ne dekha ke Vijay ke ghar ka baahar ka lights on tha aur uss light ki roshni usski khirki par parti thi aur Vijay par bhi, to Aisha ko Vijay nazar aya usski khirki ke paas…..
Aisha kuch der tak heyrani mein dekhti rahi Vijay ko…. Aur Vijay bhi dekhta raha ussko….. koyi kuch nahin keh raha tha, Aisha ke pichey kamrey ke lights mein Vijay Aisha ke khuley huwe baalon ko nihaar raha tha, aur Aisha ki baahon ko dekh raha tha….. magar Aisha ka chehra saaf nazar nahin araha tha kyun ke lights to Aisha ke peeth par tha….. Phir Vijay ne dhire se kaha, haathon se ishaare karte huwe, “Kholo to!!”
Aisha pichey mudhkar kamre mein dekhti hai phir khirki kholtey huwe sirf sar ke isharey se poochti hai ‘kia??’
To be continued…………………..
wow wonderful, superb. very very interesting, i pray that they meet yaar
i love the complicity between the brother and his sister Pooja, falling in love with Pooja reading her in all the updates, you have given pooja a very good scope in the story bro
i am eager to know either he was successful to meet her or not..
so i am quickly reading the next update