- 12,581
- 10,491
- 214
Index
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 2: Wo Ladki Kaun Hai?
Chapter 3: Shayad
Last edited:
Kabir ne kafi chaturai se packet chhupai thi...waha par jaha par sabke samne hote hue bhi koi dhyan na de...lekin ek baat samajh nhi aayi ki wo aadami Kabir ko kyo packet de Diya tha...jab packet ka mahtav itna adhik hai...and smriti ko phir se Marne ki koshish , what the fuck going on here ....ek ias level ke officer ke pass security nhi hai... it's not acceptable...sala dgp to ab khade khade nap jayega iss mamale me...itne bade officer ko goli lagana aur itna kuchh hona aur iss mamale me media aur aur police ki chuppi kuchh samajh nhi aa rha hai..Update 9
Usdin Smriti ke Cabin tak jane se pehle maine packet Hospital me hi chhupa diya tha... Mujhe ye to maloom nahi tha ki mujhe giraftaar kiya jayega... Par is baat ka andaza mujhe tha ki bahar guards honge aur Smriti se milne se pehle meri checking zaroor hogi...
Smriti ka cabin ICCU ward me tha aur corridor us taraf mudne se pehle bayi taraf ke bada waiting room banaya gaya tha taki jo paitients critical hai unke pariwaar wale yaha raat me intezar kar sake...
Waiting room me steel ki bani chairs thi jo aksar hospital ya kisi aur jagah ki waiting room me dekhi jati hai...
"Dusri row me tisri chair..."
Mai us ek chair ki taraf age badh gaya... Ye chairs charon deewaron ke sath parallel thi... Meri chair darwaze ki ulti taraf wali row me thi...
Mai dhere se jakar us chair par baith gaya... Maine chair ke niche ki taraf hath age badhaya...
Thank god!!!"
Meri jaan me jaan ayi... Maine is din packet ko is chair me hi chupa diya tha... Asal me seat thodi ubhri hui thi aur seats ke niche ek lohe ki dandi thi jo seat ka structure bana rahi thi... Dono cheezon me halki si jagah thi aur maine packet wahi sarka diya...
Mai packet ko nikalne hi jaa raha tha ki rukna pada... Ek aurat jo ki pregnent thi aur unke pati waiting room me akar meri ulti taraf wali row me baith gaye... Shayad unki delivery ka time aa gaya tha...
Mere pass intezar karne ke alwa aur koi raasta nahi tha... Mai idhar udhar dekhne laga... Achanak dekha ki wo aurat room ke bahar kisiko dekh kar ekdum se dar gayi aur apne pati ka hath kas ke tham liya...
Maine mur kar dekha to ek hatta katta lamba admi... Mooh par doctor ka mask aur safed coat me har room me jhankte huye age badh raha tha... Pehle maine itna dhyan nahi diya... Aurtein aese waqt me dar jati hai kabhi kabhi unki motherly instinct ki wajah se...
Lekin achanak se mera dimag thanka...
"Smriti ka cabin bhi to... Isi raaste me age ki taraf hai..."
Mere hath paon thande ho gaye... shukr hai upar wale ka ek nurse akar us aurat ko wheel chair par bithakar unki cabin ki taraf le gayi... Maine jaldi se packet sarkai aur apni tshirt ke andar ghusa li aur upar jumper chadha liya...
Mai Smriti ki cabin ki taraf age badh gaya...
"Ye kya... Uske kamre ke bahar... Koi guard nahi"
Mera shaq gehra ho gaya... Mai tez kadmo se charon taraf nazar rakhte huye age badha... Maine Smriti ke cabin ka darwaza kholne ki koshish ki... Par nahi khol paya...
"Mai kya karun... Kya karun mai..."
Maine deewar ki ulti taraf fire alarm dekha to use shuru kar diya... Poore hospital me shor hone laga... Aur dusri taraf mai Smriti ke cabin ka darwaza todne ki poori koshish kar raha tha...
Achanak darwaza andar se ek jhatke me khula aur mai uske dhakke se niche gir gaya... Maine us admi ko apni ek ankh par hath rakh kar bhagte huye dekha... Uska hath khun se sana hua tha aur wo dard me cheekh raha tha... Wo charon taraf ki afra tafri me bahar ki taraf bhaga... Mai uska pucha karna chahta tha par is waqt Smriti ko bachana jyada zaroori tha...
Mai cabin ke andar ghusa to mujhe koi nahi dikha... Achanak kisine mujh par hamla karne ki koshi ki to maine uska hath pakad liya...
Wo Smriti thi... Aur badi hairani se mujhe dekh rahi thi... Uske hath me ek patli si khun se sani hui churi thi jo aksar doctors issemal karte hai...
"Tum thik to ho na... Pata hai mai kitna dar gaya tha..."
Maine use khinch kar gale laga liya... Meri jaan me jaan ayi... Wo kuch der sakpakai par fir shant ho gayi aur sisak sisak kar rone lagi... Usme khade hone ki taqat nahi thi... Usne apna badan meri baahon ne dheela chhod diya...
"Please Kabir... Mujhe yahan se le chalo kabir... Please le chalo... Mai yahan rahi... To zinda nahi bachungi... Wo kaam bhi pura nahi kar paungi jo maine shuru kiya hai... Please mujhe yahan se le chalo..."
Uski awaz aj itna dard bhara hua tha ki meri ankhein nam hone ko thi... Par maine gaur kiya... Pith ke nichle hisse jahan use goli lagi thi wahan se thodi bleeding ho rahi thi...
"Lekin Smriti tumhe is waqt doctor ki zaroorat hai..."
"Kabir... Tum yahan se mujhe le chalo... Yahan rahi to is ghav se maru ya na marun... Par wo log mujhe maar denge... Please..."
Maine uski ankhon me dekha... Mai kya karun kuch samajh nahi aa raha tha... Maine uske mathe par chum liya aur use utha kar bed par bithaya...
"Tum yahi ruko mai ata hoon..."
Mai bahar gaya to ab tak sabko pata chal chuka tha ki false alarm hai... Maine as pass dekha to mujhe ek wheel chair mili... Mai use lekar andar aya to Smriti ek syring ko hath me lekar dekh rahi thi... Usne mujhe dekh kar khade hone ki koshish ki...
Maine uski madad ki aur wheel chair par bitha diya...
"Tumhe thodi dikkat hogi par... Kya ye takiya tum pet ke age rakh paogi... Taki... Tum... Pregnent dikho..."
Maine rukte rukte apni baat keh hi di... Wo thoda sa muskurai aur apne hospital gown ko upar utha kar takiye ko pet age rakh liya... Wo thoda dhela sa lag raha tha to usne gown ki side wali rassi thodi si kat kar use apne ap ke charon taraf bandh liya... Maine uski madad ki aur ye sab karte huye use kitni taqleef ho rahi thi ye bhi gaur kiya par is waqt koi aur rasta nahi tha...
Ab wo wheel chair par baithi huyi thik us pregnent aurat ki tarah dikh rahi thi jise maine waiting room me dekha tha...
Maine uske wheel chair ko dhakka diya aur lift ki taraf badh gaya... dard ke maare use bohot paseena aa raha tha... Mai bar bar uska chehra apne rumal se poch raha tha...
Lift me kuch logon ko aesa laga ki uski delivery hone wali hai... Ek nurse ne puch liya to maine bata ki nahi ultrasonography karwane le jaa raha hoon... Maine ate waqt uska room niche dekha tha...
Smriti ne mera hath kas ke pakda hua tha ki jaise is waqt hum dono ek taraf aur ye puri duniya humari dushman ho...
Maine use lift se bahar nikala aur ultrasonography wale room ke bahar jake khada ho gaya... Meri dayi taraf reception tha aur bayi taraf emergency exit ka darwaza... Mai Smriti ko usi darwaze se bahar le jana chahta tha...
Mai man hi man upar wale ko yaad karne laga... Smriti mera hath aur zor se daba rahi thi... Uske honth dard se kanp rahe the... Par mai majboor tha... Meri ek harqat Smriti ki jaan ko fir se khatre me dal sakti hai iska andaza mujhe bakhubi tha...
Akhir kar reception par ek emergency patient aya... Sab log usi taraf busy ho gaye... Maine kadam age badhaya aur use emergency exit se bahar le aya... Darwaze ki cc tv ke age aese khada ho gaya taki mere samne jo bhi kuch ho raha hai wo camera me na aa paye...
Maine Smriti ko khada kiya aur usne kayde se wo takiya khinch kar gira diya...
"Aahhhhhh..." Wo dard se karah uthi...
"Mai abhi taxi lata hun..."
"Nahi... Nahi... Bike..."
"Par aesi halat me tum..."
"Please... Kabir... Please..."
Mai samajh raha tha ki wo apne piche koi clue nahi chhodna chahti... Isiliye meri bike par jana chahti hai... Maine apni jacket utari aur use pehna di aur hoodie upar kar di...
"Tum baith paogi na..."
Maine bike nikalte huye kaha...
"Always"
Wo kaise taise bike par chadi aur mujhe piche se kas kar pakad liya.. mera dil ekbaar phir se utni hi tezi se bhaga jitna pehli baar bhaga tha... Maine ek aur pal ki der na karte huye bike bhagayi aur Smriti ko apne sath le aya!!!
Sugandha ka charecter likhne me bohot maza ata hai accha laga jankar ki ap logon ko padhne me bhi maza aa raha haiSugandha nautanki ka package..yaar ye ladkiya kitna over acting karti h..
Chalo ye sara mamla human trafficking ka h ye to samaj aagya..
Great update..
College romance hota hi kuch khas hai Shukria updates ko pasand karne ka...Badhiya update ab Kabir ke dil me Smriti keliye ghanti baji hi gyi..ab dekhte h Kabir vo packet nikal pata h ya nahi... intezaar rahega next update ka
.
Shayad maine pehle bhi kisi ke comment par likha tha... Jahan rishta toot kar bhi dono dilon me pyar reh jaye... Waha galti dono ki hoti hai... Ek tarfa nahi...अपने दोस्त मोहित से बहाने बना कर बाईक लेना फिर खराब मौसम में स्मृति के पास पहुंचना । उससे बातें करने में झिझक महसूस करना और फिर उसे सुरक्षित उसके घर वापस छोड़ना ।
इस दरम्यान उसकी हर अदा और उसकी सुंदरता पर बुरी तरह फिदा होना ।
शायद जरूर कोई मिस अंडरस्टैंडिंग हुई होगी जिसके चलते इन दोनों की मोहब्बत परवान नहीं चढ़ पाई । कबीर के खयालात और चाहत देखकर तो ऐसा ही लगता है ।
प्रजेंट में वो अस्पताल जा रहा है जहां स्मृति मौत से जूझ रही है और शायद वो मिस्टीरियस पैकेट भी उसी अस्पताल में है जिसे वो खुद वहीं कहीं छिपा कर रखा है ।
बहुत ही खूबसूरत अपडेट एल एम मैडम जी । बहुत ही बेहतरीन लिखा है आपने । आउटस्टैंडिंग अपडेट ।
to fir nafrat sabki kewal kabir ke hisse me kyu aayi matlab sab log usi ko doshi samjhte naShayad maine pehle bhi kisi ke comment par likha tha... Jahan rishta toot kar bhi dono dilon me pyar reh jaye... Waha galti dono ki hoti hai... Ek tarfa nahi...
Update pasand karne ka shukriya sanju
dekho aalu ji... Likh di na maine laundon ki dil ki baatIsko hero kisne bana diya yeh launda toh bilkul apni jaisi soch wala hain..... smriti iske badboo soongh ke hi isse door ho gayee hogi... Sasha! mam ne bhi tang aa ke baarish karwa dee.. likhte wakt wahan tak baas mar raha hoga... ... wasie baarish and songs pura romantic waali feeling de rahe ho lekin akele akele romance kya khud se kare... kisi ka jugar bhi kar deti bike ke pechhe... chhor do launde log khud bare jugaru hote hain sala idhar maal na hain toh kya hua past mein jaa ke hi maje maar lete hai... VR ka aviskar bhi larko ne hi kiya hoga... unhe imagination kee duniya mein rahna kuchh jyada hi pasand hain...
waise chomu itna bhi chomu na tha AIEEE mein 135 rank... kota mein ratta khoob mara hain isne... dekha bola na jugaru hote hain aur engineering karne ke baad deemag kuchh jyada hi aise faltu ke ideas deta rahta hain..... jalan issss laundo kee jalan bhai ne laundiya kaise pata lee wo bhi aisi ... aur sala ghuma raha hain meri hi bike pe... naa yeh main hone na doonga.... lagao re phone... aur agar thori der bhi phone na uthao... toh jaane par ladke khud se hi itne jyada anuman laga lete hain jitne bechare ne khud na socha hoga...
khair packet aur usse jure raaz packet milne ke baadhi khulenge...
adhura sach... hamesha galatfehmi hi paida karta hain... aur sakth launda hain..... chomu ne AIEEE crack kiya lekin IPS ban gaya... toh doshi toh waise bhi yahee hain...to fir nafrat sabki kewal kabir ke hisse me kyu aayi matlab sab log usi ko doshi samjhte na