• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Huum badhiya update to akhir ek baar fir dono jaise taise sath ho gaye sab lekin inna security thi 3 ips jiske sath hote the uski hospital me ye halaat aur kahan gawa wo aditya jo uski dekhbaal karta tha matlab help karta tha jiske ek isare par ek ips griftaar ho gawa usne hospital marne ko akela chhod diya bina security ke

:lol: :lol: aha! Jo apne galiyan barsayi hai aditya par... Ati sundar ati sundar...

Waese ghuskhor aur chatukaron ki kami kaha hai system me... Aur Aditya politician hai isliye wo Smriti ko har khatre se bacha lega... Ye sochne se pehle Aditya ke baare me poori tarah janna bohot zaroori hai... Wo kaun hai... Kaha tak uski pohoch hai ityadi ityadi... Ye sab jane bina... Ye sochna ki system ke har hisse ko Aditya control kar sakta hai... Thoda jaldbazi hogi waise to... :D

Update pasand karne ka shukriya Rahul
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
adhura sach... hamesha galatfehmi hi paida karta hain... aur sakth launda hain..... chomu ne AIEEE crack kiya lekin IPS ban gaya... toh doshi toh waise bhi yahee hain... :D
To fir kya apke hisab se afsaron ki list me bhare pade sabhi IIT wale bhi chomu hai? Kya yahi ray hai apki un sab ke baare me? :D
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Behtareen update,
Shayad Smriti ko bhi ahasas hai ki kuchh galti kabeer ki thi kuchh usaki aur kuchh halat ki.
Haan... Smriti ka paksh maine rakha hi kaha hai... Kahani ke 1st chapter ki saari kahani Kabir ke point of view se kahi gayi hai... Isliye uske zasbaat uski galtiyan uske emotions ki bharmar hai in updates me...

Update pasand karne ke liye shukria Chintu :D
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
:lol: :lol: aha! Jo apne galiyan barsayi hai aditya par... Ati sundar ati sundar...

Waese ghuskhor aur chatukaron ki kami kaha hai system me... Aur Aditya politician hai isliye wo Smriti ko har khatre se bacha lega... Ye sochne se pehle Aditya ke baare me poori tarah janna bohot zaroori hai... Wo kaun hai... Kaha tak uski pohoch hai ityadi ityadi... Ye sab jane bina... Ye sochna ki system ke har hisse ko Aditya control kar sakta hai... Thoda jaldbazi hogi waise to... :D

Update pasand karne ka shukriya Rahul
aditya dusman bhi ho sakta hai aur bahut si baten hain jo yahan nai likh raha hun filhaal isko mai kalpnik kahani maan kar padh raha hun lekin bahut se sawaal hain jinka jabaab agar last update tak na mila tab mai punchunga ok :D
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Bhadiya update...
Apni smriti ko hosh aagya.. aur Kabir usse hospital se le gya khaire...
Ab dekhte h dono ka pyar phir parwan kaise chadhtaa h...
Intezar rahegaa next update ka...
Pyar parwan chadne se pehle kahi koyi in dono me se ek :chop: bhagwan ko pyara na ho jaye...

Next update post kiya hai... Asha hai accha lagega 😊
 
Last edited:

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
इतने बड़े अफसर की कोई भी सेक्योरिटी नहीं । ऐसा नहीं हो सकता । सेक्योरिटी तो होगी जरूर पर उसे वहां से कुछ समय के लिए हटा दिया गया होगा ताकि कातिल स्मृति का खून कर सके ।
अब ये कबीर के लिए जांच का विषय होगा कि किसके कहने पर वहां से सेक्योरिटी को हटाया होगा ।

स्मृति एक बार फिर से मरते मरते बची । शायद सही वक्त पर कबीर उसके केबिन नहीं पहुंचा होता तो बहुत ही बुरा हो सकता था ।

दोनों एक्स प्रेमी वहां से सकुशल निकल गये और पैकेट भी सुरक्षित मिल गया । शायद ये दोनों उसी फार्मेसी में जाने वाले हैं ।

बहुत ही बेहतरीन और आउटस्टैंडिंग अपडेट मैडम ।

Manoj Bajpai ji ki ek movie hai Sanju nam yaad nahi aa raha... Par dialouge yaad aa raha hai... Jo unhone humare system ke baare me bola tha...

"Biriyani me kankar nahi... Kankar me biriyani hai"

Biriyani kaun hai ye to ap sab ko ab tak maloom chal hi gaya hoga... Bas kankar ne kaise biriyani ka maza kirkira kiya... Wahi dekhna hai 😊

Update pasand karne ka shukriya Sanju 😊
 

Damon_Salvatore

I am vengeance
Staff member
Moderator
31,232
14,918
259
Update 10



Mai hospital se nikla aur seedha pharmacy par ruka... Mai use sahara dekar andar le gaya... Counter par ek admi dawaiyan le raha tha... Suman ne hume dekh kar use jaldi nipta kar waha se jane ko keh diya...


"Are... Tum yaha... Smriti di ap thik to ho na..."


"Suman... Sugandha... Sugandha ko phone kar..."


Itna kehte kehte Smriti behosh ho gayi... Maine use godi me uthaya aur andar khufia kamre me le gaya...


Wahan Smriti ne uski dekh bhal shuru ki aur maine Sugandha ko phone kiya...


"Oh my gwad Kabir... What have you done... Smriti... Oh my gwad... Love are you fine... Zara bataoge tum ise yahan kaise le kar aa gaye... Smriti ko medically induced coma me rakha gaya tha... Yahan kyun le aye tum!"


Sugandha zor zor se mujhpar chikhne chillane lagi...


"Shant ho jao... Shant ho jao..."


Maine Sugandha ke kandhon ko tham kar use shant karne ki koshish ki aur sab kuch bataya...


Sab kuch sunkar wo sir pakad kar wahi ek chair par baith gayi... Aur zor zor se sans le kar apne ap ko shant karne ko koshish karne lagi...


"Kya tumhe kisine bhi dekha hai hospital me... Sach sach batao Kabir..."


"Nahi..."


"I mean kisise tumhari baat huyi ho ya koi tumhe significantly pehchan le... I mean Smriti ke sath..."


"NAHI NAHI NAHI... Chup rahogi thodi der tum please"


Mai us waqt Smriti ke liye bohot pareshan tha aur mujhe aur kuch nahi sujh raha tha...


Wo irritate hokar phone par kisiko ko kuch instructions dene lagi...


"Chalo tum..."


Usne achanak meri kohni pakdi aur mujhe khinch kar bahar le jane lagi...


"Are tum mujhe kaha le jaa rahi ho"


Maine jhatak kar apna hath chhuda liya...


"Kabir bhaiya... Sugandha di... Idhar aao..."


Hum lar hi rahe the ki Suman ne awaz di... Mai aur Sugandha dono apni beheas bhul kar Smriti ki taraf age badh gaye...


"Sugandha... Shoiab??"


Smriti ne dard bhari awaz me Sugandha se pucha... Sugandha chehra achanak se utar gaya...


"Mai uske liye kuch nahi kar paungi Smriti... Kabir ne report kiya tha... Par Shoiab... Wo usdin pharmacy se nikalne ke baad... Uska koi pata nahi... Wo AWOL hai..."


"Flat se wo... Pendrive... pendrive wahi rakha hai... Tum... Tum use le aao... Warna hum... Hum kabhi in documents ko nahi padh payenge..."


"Ok ok... Tum rest karo... Please tum rest karo... Suman... Tell me whatever you need... I will bring everything... Bas riti ko kuch nahi hona chahiye..."


Sugandha ki ankhon me ansu the... Mai bhi apne zasbaaton ko sambhalne ki poori koshish kar raha tha...


"Di... Please ap abhi aram karo... Warna apka ghao thik nahi hoga... Please..."


Suman ne Smriti ko injection lagate huye kaha... Wo thoda shant pad gayi... Par ab bhi uske chehre par dard ke bhav saaf tarike se dikh rahe the...


Usne meri taraf apna hath badhaya... Maine age badh kar uska hath tham liya...


"अहिंसा परमो धर्मः"


Wo bas itna hi keh payi aur dawai ke asar se wo gehri neend me so gayi...


Kuch der tak kamre me kamoshi chayi rahi... Sabki nazar Smriti ki taraf thi... Mai uske sir pe hath fira raha tha...


"Aye hero... Get up... Utho..."


Sugandha ne mujhe order dete huye kaha...


"Dekho Sugandha is waqt mai..."


"Is waqt tum kya Kabir... Baith kar matam manana chahte ho... Fuck you... Agar Smriti ki zara si bhi izzat karte ho aur uski madad karna chahte ho to mere sath chalo... Tumne bohot raita faila diya hai aur ab tum wahi karoge jo mai kahungi..."


Mere sochne samajhne ki shakti chali gayi thi par fir bhi maine jaise taise apna hosh sambhala aur khada ho gaya...


"Kya Smriti yaha... Safe rahegi?"


"Ap tension mat lo bhaiya... Mai Sameer ko bula lungi... Wo aur mai hai yaha par... Mai apne kuch seniors se Smriti di ka case discuss kar lungi... Unhe kuch nahi hoga..."


"Ye... Ye mujhe Smriti ke hath me mila tha..."


Maine Suman ko wo syring dete huye kaha jo hume us hospital room me mila tha...


"Thik hai bhaiya mai test karti hoon iska... Aur di kabhi blood test kar lungi"


Maine Smriti ke sir ko chhuma aur waha se Sugandha ke sath nikal gaya...


"Drive karo..."


Sugandha ne meri taraf bike ki chhabi uchalte huye kaha...


"Hello... Kab se try kar rahi hoon mai phone kyun nahi utha rahe ho..."


Sugandha ne gadi me baith kar kisiko phone milaya aur chillane lagi... Mai is waqt usse bohot jyada irritated mehsoos kar raha tha... Jisme uske chillane se barhauti hi hui...


"Are gand marane jaye tumhari naukri... Agar Smriti ki koi bhi khabar chahiye to mere bheje address pe aa jao..."


Ye... Ye Sugandha kise address bhej rahi hai... Kahi maine is par bharosa karke galti to nahi kar di...


"Suno... Agar tum nahi aye na... To tumbari aur meri shaadi cancel... Samjhe cancel... Fir dhundte rehna Smriti ko aur karte rehna apni duty..."


Itna keh kar usne phone patak diya... Aur mujhe raaste ke directions batane lagi... Mai usse koi aur sawal karta itne me uska phone phir baja...


"Hello... Kya hai... Haan haan wo mere sath hai... Haan Kabir bhi mere sath hai... Tum aa jao warna dekh lo... Hmm... Ok... Bheja hai dekh lo..."


Itna keh kar usne phone patak diya...


"Kya... Kya... Kya..."


Itna keh kar usne meri taraf dekha aur gusse me chillane lagi... Maine kuch nahi kaha... Aur chup chap gadi chalata raha...


Thodi der me hum ek apartment ke niche akar ruke... Gadi se nikal kar Sugandha fir se phone milane lagi... Ye jo bhi hai usse iski shaadi hone wali hai... Kya fir bhi in sab baaton me uspar yakeen karna sahi hoga? Par aur koi chara bhi to nahi tha mere pass... Smeiti ko Sugandha par poora bharosa tha aur isiliye mujhe bhi karna para...


Kuch der baad ek aur gadi aayi aur jo admi gadi se utra use dekh kar mai hakka bakka reh gaya...


Wo Anubhav tha... Par wo gadi se utar kar Ek pal bhi ruka nahi aur meri taraf age badh gaya... Mai bhi taiyaar tha... Agar wo mujh par hath utha ta hai to aj dekh hi lete hai do do hath ise bhi...


Par hum dono bhir pate isse pehle hi Sugandha humare bich akar khadi ho gayi...


"Are sharam karo sharam... Bharat sarkar ke do naujawan sipahi... Ek dusre ke khun ke pyase bane baithe hai..."


"Dekho Sugandha... Hat jao... Mai is waqt dimagi santulan khho chuka hoon... Mai ise nahi chhodunga... Isi ne kidnap kiya hai Smriti ko... I can have arrest warrent in just an hour for him"


"Shut up... Just shut up... Kabir ne Smriti ko kidnap nahi kiya... Balki iski jaan bachai hai!!!"


Chapter 1: Ulajhte Rishte Ends
Yaar thodi too dupaad dhaa honi chahiye thi dono ke bich..:fight:
Tabhi too maza aata...:beaten:
Khaire jane do..:D
Ab Kabir ko action karte dekne ka bada mann h..
umeed h agee chal kar ye seen dekhne ko milega..
kul mila kar ekk bhadiya update..
intezaar rahega next update ka..
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Kabir ne kafi chaturai se packet chhupai thi...waha par jaha par sabke samne hote hue bhi koi dhyan na de...lekin ek baat samajh nhi aayi ki wo aadami Kabir ko kyo packet de Diya tha...jab packet ka mahtav itna adhik hai...and smriti ko phir se Marne ki koshish , what the fuck going on here ....ek ias level ke officer ke pass security nhi hai... it's not acceptable...sala dgp to ab khade khade nap jayega iss mamale me...itne bade officer ko goli lagana aur itna kuchh hona aur iss mamale me media aur aur police ki chuppi kuchh samajh nhi aa rha hai..
Kabir ka smriti ke sath Bahar jate samay taxi bulane ki baat karna ..how foolish ...Kabir itna bada lol kaise ho sakta hai...
I don't think so Kabir deserve a ips post..
Let's see what happens in next update...

Sabse pehle update par apni ray dene ke liye Shukriya Villian 😊

Pehli baat... Police ki chuppi... Ye to kahi se zahir nahi ki maine... Chuppi hoti to Kabir pe karwahi nahi hoti... 😊


Dusri baat... Kabir ne taxi ki baat isliye kahi ke us waqt Smriti ke ghav se khun beh raha tha aur use dard bhi kafi ho raha tha... Aur aesi halat me shayad taxi se jane par use jyada asani hoti... Par khair lagta hai ap 3 idiots me dikhaye gaye Amir khan ki taknik ke fan ho... Mai bhi hoon :D tabhi to likha hai 😊

Teesri baat... Kabir apko kayar... Darpok... Non deserving lagna ek swabhabik baat hai... Well aesa nahi hota... Agar Smriti ko us gunde ke hath se Kabir mar dhadh karke Smriti ko bachata... Jo ki aksar hum kisi bhi Male protagonist (hero) se expect karte hai... Par aesa nahi hua... Smriti ne khud ko khud hi bachaya hai... To fir Hero hero kaise hua... Aur IPS hona to bohot dur ki baat hai :lol:

Jahan tak baat hai security ki... To agar ap story se jude rehne ka faisla lete hai kahani pasand na ane ke bawajood to ek do update me pata chal jayega 😊
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
La mujer ki soch aur kalpna ko manna padega ki jis tarike se apne Kalpana jariye aise shabdo ka roop deke kahani mein darshaya hai... sach mein saraahaneeya aur prashansaniya hai..

kahani mein ek romance, tragedy, happy moments, thrill, suspense, fantasy ke sath sath ek manmahok mahol banane mein aap mahir hai... jishe padhte waqt kahani ki prati dilchaspi badhti jaye...
ek khushnuma ehsaas chah jaye dilo dimag pe....
aur jo scenes create ki hai update ke har ek point pe wo sach mein adbhut aur kabile tarif hai... jagah, paristhiti, waqt aur kirdaar... kaise, kaha, kis tarah se, kis karm mein rahenge kahani mein bhumika nibhate huye iska sathik mulyankan karke update ko jis tarah pesh ki hai hum readers ke samaks wo apne apme bemisaal hai.. :bow:

Brilliant update with awesome writing skills Sasha! :yourock: :yourock:
Thank you Naina for you kind words...

Tumhe updates pasand aye jan kar khushi hui... Dil se shukriya...

Asha hai age bhi tum kahani se judi rahogi 😊 :hug:
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
toh chomu ko apne panauti hone ka ehsas pehle hi tha... shukar hain aise mauke pe uska deemag chalta hain... Mai dhere se jakar us chair par baith gaya... Maine chair ke niche ki taraf hath age badhaya.... :snake: idhar kidhar...

shukar hain uss aurat ka jisne ek alarm bell kee tarah kaam kiya ain mauke pe.... ICU ke bahar ek bhi guard nahin... itne vvip patient jiske liye ips tainat the security mein.... kya abhi wahan koi ips maujood na hoga... ab jabkee hamla hua hain... kya ips tak bikeee hue hain...... lekin kabeer ne dhyan na diya kee waiting room mein bhi toh cctv hoga entry se exit tak isse kaheen na kaheen toh spot kar liya jayega... police toh ek alag hi case chalane waali hain ispe.... oopar se ek case alag court mein hain... dohri maar pari hain ispe...ab toh yeh court mein kul ke jaa bhi na sakega.... wo admi bhi toh spot hua hoga jo doctor ke bhesh mein ghusa aur khoon se sane haath se bahar aaya.... yeh point kabeer ke paksh mein jaa shakta hain... basharte koi cctv kee data se chherkhani na karta ho.... shukar hain iss shabme smriti bachi hui hain...

smriti hosh mein aa chuki thee uss wakt tak... lekin aaj hi toh sughandha ne bola kee abhi tak critical hain... toh kya wo natak kar rahi thee... kya usse yakeen tha kee hamla hoga idhar bhi..... khair pyar kee door toh tut gayee lekin biswas kee dor abhi tak kayam hain...

thrill aur romance ka samagam... ek saath... lovely as always....Sasha! mam....
waise always se yaad aaya smriti ka yeh kehna bhi shayad purani yaado ke liye hee tha....
Thank you aalu ji update pasand karne ka shukriya...

Waese security wali baat Kabir ko bhi hazam nahi hui... Tabhi to story me use highlight kiya hai maine... Warna skip kar jati kya farak padta...

Smriti ko "medically induced" coma me rakkha gaya tha taki uski recovery fast ho... Isiliye use Critical care me rakha gaya tha ... Par uske vitals stable the... Ye baat Sugandha ne pehli mulaqat me Kabir ko bataya tha...

I hope ap age kahani se jude rahenge 😊
 
Status
Not open for further replies.
Top