- 12,581
- 10,491
- 214
Index
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 2: Wo Ladki Kaun Hai?
Chapter 3: Shayad
Last edited:
Nice UpdateeUpdate 10
Mai hospital se nikla aur seedha pharmacy par ruka... Mai use sahara dekar andar le gaya... Counter par ek admi dawaiyan le raha tha... Suman ne hume dekh kar use jaldi nipta kar waha se jane ko keh diya...
"Are... Tum yaha... Smriti di ap thik to ho na..."
"Suman... Sugandha... Sugandha ko phone kar..."
Itna kehte kehte Smriti behosh ho gayi... Maine use godi me uthaya aur andar khufia kamre me le gaya...
Wahan Smriti ne uski dekh bhal shuru ki aur maine Sugandha ko phone kiya...
"Oh my gwad Kabir... What have you done... Smriti... Oh my gwad... Love are you fine... Zara bataoge tum ise yahan kaise le kar aa gaye... Smriti ko medically induced coma me rakha gaya tha... Yahan kyun le aye tum!"
Sugandha zor zor se mujhpar chikhne chillane lagi...
"Shant ho jao... Shant ho jao..."
Maine Sugandha ke kandhon ko tham kar use shant karne ki koshish ki aur sab kuch bataya...
Sab kuch sunkar wo sir pakad kar wahi ek chair par baith gayi... Aur zor zor se sans le kar apne ap ko shant karne ko koshish karne lagi...
"Kya tumhe kisine bhi dekha hai hospital me... Sach sach batao Kabir..."
"Nahi..."
"I mean kisise tumhari baat huyi ho ya koi tumhe significantly pehchan le... I mean Smriti ke sath..."
"NAHI NAHI NAHI... Chup rahogi thodi der tum please"
Mai us waqt Smriti ke liye bohot pareshan tha aur mujhe aur kuch nahi sujh raha tha...
Wo irritate hokar phone par kisiko ko kuch instructions dene lagi...
"Chalo tum..."
Usne achanak meri kohni pakdi aur mujhe khinch kar bahar le jane lagi...
"Are tum mujhe kaha le jaa rahi ho"
Maine jhatak kar apna hath chhuda liya...
"Kabir bhaiya... Sugandha di... Idhar aao..."
Hum lar hi rahe the ki Suman ne awaz di... Mai aur Sugandha dono apni beheas bhul kar Smriti ki taraf age badh gaye...
"Sugandha... Shoiab??"
Smriti ne dard bhari awaz me Sugandha se pucha... Sugandha chehra achanak se utar gaya...
"Mai uske liye kuch nahi kar paungi Smriti... Kabir ne report kiya tha... Par Shoiab... Wo usdin pharmacy se nikalne ke baad... Uska koi pata nahi... Wo AWOL hai..."
"Flat se wo... Pendrive... pendrive wahi rakha hai... Tum... Tum use le aao... Warna hum... Hum kabhi in documents ko nahi padh payenge..."
"Ok ok... Tum rest karo... Please tum rest karo... Suman... Tell me whatever you need... I will bring everything... Bas riti ko kuch nahi hona chahiye..."
Sugandha ki ankhon me ansu the... Mai bhi apne zasbaaton ko sambhalne ki poori koshish kar raha tha...
"Di... Please ap abhi aram karo... Warna apka ghao thik nahi hoga... Please..."
Suman ne Smriti ko injection lagate huye kaha... Wo thoda shant pad gayi... Par ab bhi uske chehre par dard ke bhav saaf tarike se dikh rahe the...
Usne meri taraf apna hath badhaya... Maine age badh kar uska hath tham liya...
"अहिंसा परमो धर्मः"
Wo bas itna hi keh payi aur dawai ke asar se wo gehri neend me so gayi...
Kuch der tak kamre me kamoshi chayi rahi... Sabki nazar Smriti ki taraf thi... Mai uske sir pe hath fira raha tha...
"Aye hero... Get up... Utho..."
Sugandha ne mujhe order dete huye kaha...
"Dekho Sugandha is waqt mai..."
"Is waqt tum kya Kabir... Baith kar matam manana chahte ho... Fuck you... Agar Smriti ki zara si bhi izzat karte ho aur uski madad karna chahte ho to mere sath chalo... Tumne bohot raita faila diya hai aur ab tum wahi karoge jo mai kahungi..."
Mere sochne samajhne ki shakti chali gayi thi par fir bhi maine jaise taise apna hosh sambhala aur khada ho gaya...
"Kya Smriti yaha... Safe rahegi?"
"Ap tension mat lo bhaiya... Mai Sameer ko bula lungi... Wo aur mai hai yaha par... Mai apne kuch seniors se Smriti di ka case discuss kar lungi... Unhe kuch nahi hoga..."
"Ye... Ye mujhe Smriti ke hath me mila tha..."
Maine Suman ko wo syring dete huye kaha jo hume us hospital room me mila tha...
"Thik hai bhaiya mai test karti hoon iska... Aur di kabhi blood test kar lungi"
Maine Smriti ke sir ko chhuma aur waha se Sugandha ke sath nikal gaya...
"Drive karo..."
Sugandha ne meri taraf bike ki chhabi uchalte huye kaha...
"Hello... Kab se try kar rahi hoon mai phone kyun nahi utha rahe ho..."
Sugandha ne gadi me baith kar kisiko phone milaya aur chillane lagi... Mai is waqt usse bohot jyada irritated mehsoos kar raha tha... Jisme uske chillane se barhauti hi hui...
"Are gand marane jaye tumhari naukri... Agar Smriti ki koi bhi khabar chahiye to mere bheje address pe aa jao..."
Ye... Ye Sugandha kise address bhej rahi hai... Kahi maine is par bharosa karke galti to nahi kar di...
"Suno... Agar tum nahi aye na... To tumbari aur meri shaadi cancel... Samjhe cancel... Fir dhundte rehna Smriti ko aur karte rehna apni duty..."
Itna keh kar usne phone patak diya... Aur mujhe raaste ke directions batane lagi... Mai usse koi aur sawal karta itne me uska phone phir baja...
"Hello... Kya hai... Haan haan wo mere sath hai... Haan Kabir bhi mere sath hai... Tum aa jao warna dekh lo... Hmm... Ok... Bheja hai dekh lo..."
Itna keh kar usne phone patak diya...
"Kya... Kya... Kya..."
Itna keh kar usne meri taraf dekha aur gusse me chillane lagi... Maine kuch nahi kaha... Aur chup chap gadi chalata raha...
Thodi der me hum ek apartment ke niche akar ruke... Gadi se nikal kar Sugandha fir se phone milane lagi... Ye jo bhi hai usse iski shaadi hone wali hai... Kya fir bhi in sab baaton me uspar yakeen karna sahi hoga? Par aur koi chara bhi to nahi tha mere pass... Smeiti ko Sugandha par poora bharosa tha aur isiliye mujhe bhi karna para...
Kuch der baad ek aur gadi aayi aur jo admi gadi se utra use dekh kar mai hakka bakka reh gaya...
Wo Anubhav tha... Par wo gadi se utar kar Ek pal bhi ruka nahi aur meri taraf age badh gaya... Mai bhi taiyaar tha... Agar wo mujh par hath utha ta hai to aj dekh hi lete hai do do hath ise bhi...
Par hum dono bhir pate isse pehle hi Sugandha humare bich akar khadi ho gayi...
"Are sharam karo sharam... Bharat sarkar ke do naujawan sipahi... Ek dusre ke khun ke pyase bane baithe hai..."
"Dekho Sugandha... Hat jao... Mai is waqt dimagi santulan khho chuka hoon... Mai ise nahi chhodunga... Isi ne kidnap kiya hai Smriti ko... I can have arrest warrent in just an hour for him"
"Shut up... Just shut up... Kabir ne Smriti ko kidnap nahi kiya... Balki iski jaan bachai hai!!!"
Chapter 1: Ulajhte Rishte Ends
Superb UpdateChapter 2: Wo ladki Kahan hai?
Update 11
"Kya ab hum log andar chal sakte hai... Ya sara drama yehi karna hai tum dono ko"
Sugandha ne chuppi todte huye kaha... Anubhav abhi bhi meri taraf utni hi khunnas se ghur raha tha... Aur uski ankhon ki nafrat ab mera bhi dimag kharab kar rahi thi...
Par hum dono me se kisi ne kuch nahi kaha... Aur hum log Sugandha ke sath upar chale gaye...
Sugandha ke pass flat ki chabi thi... Building ke teesre maale par ek bedroom ka flat tha... Flat me ghuste hi jis baat ne mera dhyan khicha wo ye tha ki flat me ek alarm system install kiya hua tha jo ki filhal disabled tha... Aesa lag raha tha maano is flat ki finishing jaldbazi me ki gayi hai... Flat ka darwaza khilte hi ek chota living room tha... Halanki wo itna chota tha ki room kehna mushkil hai... Baju me kitchen aur samne ek chota sa bedroom jisme ek kone me ek jane ke sone layak ek bistar rakha hua tha...
Kamra kuch dino se band tha shayad... Isliye ek dhul aur silan mili hui badboo hum sabko pareshan kar rahi thi... Living room me kuch chairs rakhe huye the... Jisme se ek par Sugandha baith gayi aur usne cigarate jalate huye hum dono ko bhi baith te huye kaha...
"Anubhav... Please... Apna gussa chhodo aur humari madad karo wo pendrive dhundne me... Kabir ne wo packet surakshit dhund liya hai... Aur hume un ladkiyon ka pata tabhi laga sakte hai jab hum un documents ke data ko decrypt kar lenge...
Dekho personal mamlo ko bhul jao... Is waqt tum dono ko sath me kaam karna hoga"
"Bullshit!!! Tumne mujhe ye sab kehne ke liye yaha bulaya hai Sugandha?"
Anubhav guuse se aag babula ho raha tha...
"Ye khuni hai... Aj Smriti ki ye halat isiki wajah se hai... He is a fucking murder"
"Smriti ki ye halat meri wajah se nahi... Blaki tumhari wajah se hai..."
Anubhav meri baat se ekdum jal utha aur apni chair se uth kar meri taraf badha... Mai abhi bhi shant baitha hua tha aur maine shant tarike se apni baat rakhi thi...
Par Anubhav apne gusse ko sambhal nahi paya aur mere upar hath uthane ki koshish ki... Mai palak jhapakte hi apni chair se utha... Uska nishana chuka to wo thoda lad khada gaya... Maine usika fayda uthate huye uspar ek mukkar jad diya...
"Kya ye sach nahi... Ke us party me kya ho sakta hai uska andaza pehle se tha?"
Wo mere mukke se ubhar nahi paya tha... Lekin meri baat use mukke se bhi jyada chotil kar gayi... Uska gussa palak jhapakte gayab ho gaya... Mai ab bhi shant tha... Lekin uske chere par kayi jasbaat... Dukh lachari bebasi ka toofan umar raha tha...
"Are you mad or what?"
Sugandha mujh par chekhte huye Anubhav ki taraf age badh gayi aur use uthne me madad karne lagi...
"Usdin kya tha tumhara resonse time Anubhav? 8 minute? 10 minute? Koi andaza hai tumhe..."
Sugandha aur Anubhav ab tak meri taraf hairani bhari nazron se dekh rahe the...
"6 minutes and 56 seconds... Maine count kiya hai... Har us pal ko jab Smriti ki jaan khatre me thi...
Tum ek executive officer ko ek dengerous situation me dalte ho... Aur jo officer uski hifazat ki duty par hai... Use situation kya ho sakti hai uski jankari bhi nahi dete?
Isliye aj jo Smriti mauth se jung lad rahi hai... Uske zimmedar tum ho... Balki mai nahi"
Maine apni baat khatam ki aur ulti taraf wali chair par jakar baith gaya... Anubhav ki ankein nam thi... Wo bhi ek chair par sir pakad kar baith gaya... Maine pass pari cigarate ki packet se ek cigarette li aur jala kar kash lene laga...
"Dekho Anubhav... Party me jo kuch bhi hua... Aur uski wajah se mujh par jo case chal raha hai... Usse ab tum mujhe nikaloge..."
Anubhav ne meri taraf dekha... Uski ankhon me gussa aur nafrat ke siwaye kuch nahi tha
..
"Ab sawal banta hai kyun... Kyun ki kal court me tumne mere paksh me gawahi nahi di... To mai shaam ko sabhi news channels me ek interview dunga... Usme in saare mamle ka dosh mai tum par aur Smriti par dalunga..."
Maine jaise hi Smriti ka naam liye wo gusse me fir meri taraf badha aur mera collar pakad liya...
"Abe ye... Smriti di ke baare me ek lafz bhi baka na... To teri halak se jeebh khinch kar bahar nikal lunga... Teri dhamkiyon se darta hun kya mai..."
"Darte to tum apne baap se bhi nahi hoge... Warna pata hota ki baron se kaise baat karte hai..."
Maine apne collar se uska hath jhatak diya...
"Akhir Smriti ki bhi to zimmedari banti hai... Mujhe batana ki wo kis situation me jaa rahi hai... Haan poori jankari confidential ho sakti hai... Par khatre ka abhas to hona chahiye mujhe... Ek wo... Aur ek wo Shoiab... Apni team ko ittela na karna... That's also a offence in our work you know!
Play ground samajh rakha hai kya tumne aur Smriti ne... Jaha chahoge jab chahoge jaisa chahoge waisa karoge... My foot... Agar mera career dubega to mai tumhara aur Smriti ka bhi ghasit lunga aur sath me us Aditya ka bhi... Kuch bigad paun ya na paun... Chhabi to kharab kar hi sakta hoon... Thodi bohot"
Sugandha mujhe gusse me koi bada sa lecture dene wali thi ki tabhi maine Anubhav se chhupa kar use ankh mari... Wo samajh gayi ki mai aesa kuch nahi karunga...
Mai Rajastha ke ek madhyam bargiya pariwaar se hoon... Pita mere police me the aur maa grihini... Sach kahun to hamesha se hi pariwarik politics ka shikar raha hoon... Bohot sangharsh karke bada hua hoon...
Ek sarkari naukri karne wale ke ghar paida hone ke bawajood mai abhav me jiya hoon... Mere pita ke pass apni maa yani meri dadi aur mere chachaon ke dene ke liye paise to the par humari parwarish ke liye nahi...
Maa unse humari kisi bhi cheez ke liye paise mangti to apne pariwar ko dene wale paise kam par jane ke karan bachpan se hi unhone apne police wale jooton se peeta hai... Uski maar khate khate aur taane sunte sunte kab meri chamdi moti ho gayi mujhe pata bhi nahi chala...
Thoda bada hua to bhai paida hua... Wo mere papa ki tarah dikhta hai isliye aur choti choti baat par ro deta hai isliye... Papa uspar hath nahi uthate hai... Mere chacha tau jo din raat mera .manobal todte ki mai kabhi 10th pass hi hi nahi lar paunga...
Ye sirf mai aur baad me Smriti hi jante hai ki 10th meri Angrezi ki pariksha kharab hone ke karan maine apni jaan lene ki koshish ki... Par mai pass ho gaya aur acche numberon se pass hua... Tabse sabka mooh band hogaya...
Par mere papa khush nahi the... Mai Science padhna chahta tha... Unhe pata tha... Bohot kharcha hoga... Aur wo paise dene ko raazi nahi the... Mere chachaon ne meri bharti KV me nahi hone di jab ki mere pass quota tha...
Mai aur meri maa 7 din tak bhke pyase baithe rahe... Jab log sawal uthane lage tab mere papa ne lok laj ke dar se paise de diye...
Mai hi janta hun ki mai kitni mar seh kar pala bara hun... Pehle school me kuch ladkein pit te the... Mai wahan bhi maar khata tha... Par 10th pass karte hi mai ekdum se lamba ho gaya.. wahi bacche mujhse darne lage... maine bhi unhe khub pita... Zindegi ka sara gussa utar diya...
Chacha tau ke ladke jo mera mazak udate the sab sale bhosdike piche reh gaye... Maine mehnat ki aur mai Delhi aya... Sath ayi meri logon ko manipulate karne ki techniques jisse maine najane kitno ka manobal toda... Aur aj jab Anubhav mere upar hawi ho raha tha maine usika issemal kiya...
Mai Smriti ka nam in sab me nahi ghasitna chahta tha... Ye baat sirf mai janta hoon ki Smriti ke baare me maine aj Anubhav se jo bhi kuch kaha uske liye mai khud ko kabhi maaf nahi kar paunga... Par aj mai majboor hoon... Kyunki Anubhav hi hai jo mujhe is dal dal se nikal sakta hai!!!
Super fantastic update BhaiUpdate 6
Mai apne Apartment me ghuste hi kitchen ki taraf badh gaya... Cabinet khola daru ki bottle nikali... Use kuch der ghurta raha.. ek toota sa adhmara wada yaad ane laga...
Maine sochna band kiya aur bottle se hi tab tak daru pita raha jab tak mujhe seene me jalan nahi hone lagi... Mai sofe par baith gaya... Kayi saalon baad kayi zakhm taaza ho gaye the...
Itna bura to mujhe tab bhi nahi laga tha jab 7 din pehle maine duty join ki... Balki mai hairan tha ki Smriti ke aas pass hone ke bawajood to dard jo mujhe hamesha apne dil me mehsoos hoti hai... Wo thoda kam sa hone laga tha... Mai khush? Haan shayad khush tha...
Mai kamre me gaya... Almari ke ek drawer se wo chota sa box nikala jo Smriti ka tha... Aur mere pass hi reh gaya... Maine bohot koshish ki ise fenk du... Age badh jaun... Par nahi kar paya... Box me ek lifafe me band kuch tasweerein thi... Maine us lifafe ko khola to wo zamana ankhon se rubaroo ho gaya jise mai piche chhod aya tha... Us lifafe me meri aur Smriti ki pehli tasweer thi... Is din ki jab mai usse pehli baar mila tha...
Mai us waqt Delhi University me Mechanical engineering ka chhatra tha... Meri zindegi waesi hi thi jaisi har engineering chhatra ki hoti hai... Books mujhe tabhi yaad ate jab exam pass ane lagte the... 12wi ke baad ghar se chhut mili to mai Delhi aa gaya... Aur Delhi ate hi mujhe har wo adat lag gayi jo maa baap lagne nahi dena chahte...
Daru, nashe dosti yaari... Meri acchi kat rahi thi... Zindegi ne mauka diya jeene ka aur mai jee raha tha... Nauki... Wo to koi na koi mil hi jayegi... Thodi si padhai se bohot sare number lane wala bewakoof tha mai...
Par us din... Jis din ki ye photo hai... Wo din meri zindegi ka ek yaadgar din ban kar reh gaya...
College me mere ek senior hua karte the... Shekhar bhai... Wo mere pass wale gaon ke the aur mujhe bigadta dekh ek din unhone zabardasti mera nam ek social work ke liye volunteers ki group me likha diya... Mai unhe naa nahi kar paya...
Kaam ye tha ki Delhi ke bahar kisi rural area me jake waha kuch khana aur dawaiyan baatni thi... Wahan ke rural health center me kuch madad karni thi... Thalasamia awareness ka kaam bhi tha...
Maine socha chalo thim hai... Bhaiya ke liye ek Sunday kharab kar hi leta hoon...
Maine Smriti ko pehli baar usi din gaon me dekha tha... Wo ek 30 35 saal ki aurat ko bohot der se kuch samjha rahi thi... Mai survey wale group me bohot der se sabke piche khada tha... Mechanical me hone ki wajah se ladkiyon ke mamle me mera hath thoda taang tha...
Uski pith meri taraf thi... Uske gehre bhure baal uski kamar ko paar kar janghon tak aa rahe the... Upar se niche tak uske ghungrale baal itne akarshak lag rahe the... Maine dekha to dekhta hi reh gaya...
Kafi der samjhane ke baad wo mata ji ko lekar health center ki taraf jane lagi... Maine dekha unke pair me ek bada sa ghav tha jisme sadan hone lagi thi...
Jab wo health center se bahar ayi uske chehre ki khushi dekhne layak thi... Uska gol chehra khushi se chamak raha tha... Use lambi baaliyon ke prati hamehsa se hi ek lagav tha... Usdin diamond ki to nahi par ek chamkali baali usne usdin bhi pehni thi...
Mai kafi der se use ghur raha tha... Shayad ab usne bhi ye notice kiya... Ladkiyon ki ye baat badi ajeeb hai... Unke prati kiski kya mansha hai... Wo ek nazar me bata deti hai...
Ekbaar to usne mujhe ghurte huye pakad liya... Maine nazre ghuma li par pata to use bhi chal gaya tha... Wo mere baare me kuch apni saheli se kehne lagi... Uski saheli meri taraf dekh kar khil khila kar has rahi thi... Mai sharam se laal peela hone laga... "Shakht launda" banne ki maine bohot koshish ki par man nahi mana...
Agle sunday mai fir Shekhar bhaiya ke pass pohoch gaya volunteer banne... Silsila aese hi gae badhta raha... Mai use dekhta... To dekhta hi rehta...
Is dauran mujhe ek baat pata chali... Kisiki madad karna itna asan kaam nahi... Humara diya khane ka saman lene walon ko baad me taane milte the... Khai hum ilaj ki, siksha ki baat aurton ko samjhane lage is dar se har sunday ghar ke mard bahar nahi jate... Kuch gine chune log the jo khushi khushi humara sahyog karte... Yahan tak panch pradhan bhi beman se humari madad karta...
Baat asal me ye thi ki hum unki madad karte the... Jab ki ye sab haq tha unka... Aur madad dene wala chahe kitna bhi mahan kehlaye... Lene wala hamesha chhota hi ban jata hai...
Par in sab ke bawajood Smriti ka in sab kaamo me utsah dekhne layak tha... Ek sadharan volunteer se wo dhere dhere kab female section ki head ban gayi... Pata hi nahi chala... Log uske mooh par na bol dete usse dur bhagte... Par fir bhi wo samjhati... Koi bhi darwaza tab tak khat khatati jab tak log uski baat sunne ko razi na ho jaye... Mai dur se use dekhta aur uski chabi apne ankhon me bhar leta... Darte darte maine ek din use facebook par friend request bheja... Usne accept kar liya... Par mai sala fattu... Himmat hi nahi hui ki message karke baat kar sakun...
Isi dauran ek sunday humne ek natak ka ayojan kiya jo ki "beti bachao beti padhao" ki theme par adharit tha... Gaon ke kuch asamajik tatwon ne humare khilaf morcha khol diya... Ki hum gaon ki aurton ko pariwar ke khilaf bharka rahe hai...
Maine usdin pehli baar Smriti ki asli taqat ko mehsoos kiya... Wo un hamla karne walon se apne har team member ko bachane ki koshish kar rahi thi... Pata nahi itna junoon kyun tha usme ye sab karne ka... Bas tha... Wo kuch accha karna chahti thi...
"Dhadh dhadh dhadh dhadh... Are koi hai... Darwaza kholo..."
Mujhe achanak se kuch awazein ani shuru ho gayi pata nahi kahan se wo mere kano me gunjne lagi... Maine jyada dhyan nahi diya... Mere khayalon me to bas Smriti thi us waqt...
Ek badmash ne uspar lathi barsane ki koshish ki... Mai daud kar gaya aur use seene se laga liya... Pata nahi mujhme itni himmat kaha se gayi usdin... Jis ladki ke meri taraf dekhne se mere paseene chhut jate hai... Use maine bahon me bhar liya... Maine us afra tafri me pehli baar uski akhon me jhank kar dekha... Uski ghani palkon ke bich gheri bhuri ankhein... Nazar aesi ki dil ke aar paar ho jaye... Mai itna kho gaya ki pith par barasti lathi ko mehsoos hi nahi kar paya...
"Abe ruk bhagta kahan hai..."
Smriti ne khud ko meri bahon se chhuda liya aur us badmash ke piche bhagne lagi... Use piche se pakad kar zor zor se ghuse barsa rahi thi... Mujhe pata nahi kyun itni hasi aayi...
"Di dekho... Lagta hai darwaza khula hai..."
Pata nahi kahan se kuch log darwaze ke baare me mujhe baat karte huye sunai de rahe the...
Mai age badha aur bina kuch bole Smriti ka hath pakad kar use bus ki taraf le jane laga...
"Chhodo ... Chhodo mujhe... Maar dalungi mai inko"
Wo jungli billi ki tarah gurrah rahi thi... Maine apna poora zor lagaya aur uske khinch kar le gaya... Tab tak bus me lagbhag sabhi log baith gaye the...
"Bus bhagao..." Shekhar bhaiya ne driver se kaha...
Mai aur Smriti dono buri tarah hanf rahe the... Par dekhne wali baat ye thi ki Smriti ka hath ab bhi meri haathon me tha...
"Di... Kahi ye... Mar to nahi gaya?"
"Dawling... Mare huye log muskurate nahi... Dekh kaise neend me muskura raha hai...
Aye mister... Tum Kabir ho kya... Sala talli hokar pada hai... Suman... Ja jakar paani lekar aa kitchen se... Abhi layi di..."
Mai Smriti ki taraf dekh raha tha tabhi achanak se mere upar kisine thanda paani daal diya... Mai chaunk kar utha aur uth te hi pet aur seene me ajeeb sa hone laga... Maine floor par ulti kar di...
"Fuck dude... Are you out of your mind!!!"
Kisi ladki ne chhidhte huye kaha... Maine dekha mere ghar me do ladkiyan mere sir par khadi thi... Ek ko to mai janta tha... Suman... Dusri ladki kaale suit boot me mujhe nafrat bhari nazron se dekh rahi thi... Kyunki meri ulti se thodi der pehle uske joote kharab ho gaye the!!!
Awesome fabulous update BhaiUpdate 7
"Bloody Moron!!! Mere Prada ke joote... Huh! Idiot... Oh my god ab mai inhe kaise pehnungi..."
Wo ladki jo Suman ke sath ayi hai wo washroom me apne joote saaf karte huye mujhe jee bhar ke khari khoti suna rahi thi...
Ek to sir itni buri tarah dard kar raha tha upar se ye ladki kachar kachar... Kachar kachar kare jaa rahi thi... Suman jo mere samne wali sofe par baithi hui thi... Mujhe batak jaisa mooh bana kar dekh rahi thi... Jaise mai koi insaan nahi... Zoo ka janwar hoon...
"Huh!! I can't take it anymore... Oh my god!!"
Wo ladki washroom se nikal kar apne hath paon hilakar aesi nautanki karne lagi... Mujhe laga uspar koi adrisha makri ne hamla kar diya hai...
"Aye Mister... Koi bhi baat karne se pehle... I need tissues... Suman sanitizer ka bottle nikal ASAP... Oh gwad I cant take it anymore..."
Usme mujhe raub jharte huye kaha... Maine use kitchen ki taraf ishara karte huye tissue box dikha diya... Par itni nautanki se ab mera dimag kharab ho chuka tha...
"Oh madam... Apni bakwas band karo aur ye batao tum ho kaun..."
Wo ladki tissue se apne hath poch rahi thi... Meri baat sunkar wo aese chauki jaise pata nahi usne koi bhut dekh liya ho...
"Huh! Oh my gwad... Dawling... Tum... Mujhe nahi jante??"
Mai abhi bhi uski taraf utni hi narazgi se dekh raha tha jitna thodi der pehle...
"No doubt tum is shahar me naye aye ho... Warna is shahar ka har policewala... Ya to mujhse darta hai... Ya to mere liye kaam karta hai...
Let me introduce myself... Myself... Sugandha Malhotra... Malhotra Law firm ki malkin... Aur tumhari nayi lawyer..."
Mai samajh nahi pata raha tha ki kaise react karu... Lawyer... Sugandha... Haan Sanjeev ji ne kisi Sugandha ka zikr kiya to tha... Aur mujhe is waqt lawyer ki sakht zaroorat bhi thi... Maine apne chehre se narazgi ke bhav hataye aur use sofe par baithne ka ishara kiya...
Par mujhe uski chal dhal se wo lawyer kam aur heroine jyada lag rahi thi... Dikhne me sundar thi... Straight baal... Lamba kaad... Aur aur lambe heels... Wo ek fool patti ki design wali top aur formal pants me thi... Aur jo baat uske aju baju se guzarne wale har admi ko pareshan kar de wo thi uski perfune ki khushbu... Aesa lag raha tha ki usne bhool se poori bottle hi apne upar gira li ho... Aese hi mere sir me dard tha upar se ye tez gandh mujhe aur jyada pareshan kar rahi thi...
"So... Let me tell you... Kal subah tumhari Court me peshi hogi... Um you know na special court and all... Tum par show cause notice lagaya gaya hai... Jiska matlab tumhe batana hoga ki us raat jab Smriti par hamla hua... Tum kyun gayab the...
But don't you worry dear... When Sugandha is here no fear..."
Usne apne baalon ko jhatakte huye apni hi tarif ke pool bandh diye...
"Par tum meri madad kyun karna chahti ho?"
Mera sawal sunkar Sugandha apna sir dono taraf hilane lagi... Jaise maine koi bohot galat baat keh di ho...
"Dekho boss... Sanjeev uncle ne mujhe bataya... Kaise tumne Shoiab ko bachaya... Tumhara aur Smriti ka mamla bhi mujhe maloom hai... Is hisab se tum meri family huye yaar..."
Sugandha ne meri pith jor jor se thap thapate huye kaha... Mai abhi bhi hairan nazron se use dekh raha tha... Aur Suman abhi bhi batak jaise mooh bana kar mujhe dekh rahi thi...
"DCP mujhe kabhi is case ke dal dal se nahi nikalne dega"
Maine dheme awaz me kaha...
"Are uski tension tum mat lo dawling... Ye dekho... Uski MMS... Ek farm house par banwayi thi... Socha tha kisi bade mauke par use karungi... Bas aj wo mauka aa gaya..."
Sugandhe ne mujhe laptop diya... Mai video ka thumbnail dekh kar hi samajh gaya ki uske pass blackmailing ka sara saman ready hai...
"Ab ye mat samajh lena ki ye MMS uski aur uski biwi ka hai... Lallu ram"
Sugandha aur Suman zor zor se thahake laga kar hasne lage...
"Are kya hua hero... Ab to kuch bol do..."
"Kya... Kya tum mujhe bata sakti ho... Ki Smriti kaisi hai?"
Mera gala bhar aya ye sawal karte huye... Aesa lag raha tha sare zasbaat mere seene se ubhar kar awaz me aa there hai... Meri baat sunkar un dono ki hasi bhi ruk gayi...
"Wo abhi bhi ICCU me hai... Ek goli uski baju me lagi hai aur ek pith par... Uske vitals stable hai... Par dawaiyon ke asar se use coma me rakha gaya hai... Uske jyada hilne dulne se nayi muscle ki tissues banne me dikkat aa sakti hai... Aur permanent damage ho sakta hai..."
Sugandha jo ab tak bohot jolly ladki lag rahi thi... Achanak kafi emotional hoti nazar ayi... Jab mai aur Smriti sath the tab Sugandha ke baare me kabhi uske mooh se suna nahi... Shayad ho sakta hai dosti baad me huyi ho... Par pata chal raha tha ki Sungandha bhi Smriti ki is halat ki wajah se kafi pareshan hai...
"Kya tum... Tum bhi... Mujhe Smriti ka kasoorwar manti ho..."
Mujhe nahi pata ki maine ye sawal kyun pucha... Par puch liya...
"Huh! Wo decide karne ka haq mujhe nahi... Wo Smriti jane... Mera farz hai tumhari help karna wo mai karungi... Kal pohoch jana 10 baje... The game will be on..."
Wo fir se apne tewar me wapas aa gayi... Apne baalon ko piche jhatka aur adha chehra dhakne wale kaale chashme laga kar kamre se jane lagi...
"Are... Tumne kuch khaya ke nahi... Suman... Jaldi jaa... Iske liye kuch le aa niche se.."
"Are nahi... Mai manage kar lunga..."
Sugandha ne mera jawab sune bina hi Suman ko kuch paise dekar niche bhej diya... Aur jab tak wo corridor se hokar seediyan na utarne lagi tab tak use dekhti rahi...
"Kabir... Where is the packet..."
Suman ke jate hi Sugandha ne mujhse pucha...
"Packet... Are yaar packet... Shit fuck!!!"
"Tumne khho diya packet... Yaar Kabir... Kya Shoiab ne tumhe bataya nahi ki wo packet sambhal kar rakhna hai... Usme Zaroori documents hai yaar!!!
Sara disaster us doctor ne kiya... Usne tumhe Shoiab samajh liya... Aur packet tumhe de diya... Shit yaar!!"
"Are tum bataogi ki ye sab kya ho raha hai? Smriti par hamla hua akhir kyun?"
"Dekho mai tumhe bas itna bata sakti hoon ki ye ek cult ka kaam hai... Wo log... Wo log insaan ko insaan nahi samjhte... Balki apne fayde ke liye human body ka har part kharid aur bechte hai...
Ye sab Smriti ko MP ki posting ke dauran pata chala... Wahan ki kuch ladkiyon ko Smriti ne bachaya tha... Uske baad hi wo Mumbai aa gayi...
Aur tab se hum is uljhe huye case ko suljhane ki koshish kar rahe hai ki is racket ka main mohra hai kaun..."
Mai Sugandha ki baat par kuch sochne laga...
"Kabir those documents are very important... Wo kaha hai... Batao mujhe..."
"Tum tension mat lo... Documents maine hi chhupa kar rakhe hai... Bas in sab afra tafri me wo mere dhyan se nikal gaya..."
"Thik hai... Tum... Ye lo mera card rakho... Call me if you need anything..."
"Di ye lo..."
Suman tab tak kuch khane ka saman le kar aa gayi thi...
"Waese tumhari fees..." Sugandha aur Suman jane lage to maine use rok kar pucha...
"Do not worry hero... Kaam hone par you will get my bill... Byee!!!"
Ye do anjan ladkiyan jinse mai ghante bhar pehle hi mila hoon... Unke apnepan ne mere dukhte dil ko thoda hi sahi par dilasa to diya... Par ab mere dimag me yehi baat ghumne lagi ki packet jaha maine rakha tha waha hoga ya nahi... Aur hoga bhi to mai kisi ki nazro me aye bina use nikal paunga ya nahi!!!
Jabardust update BhaiUpdate 8
Sungandha aur Suman ke jaate hi maine apne kapde badle... Mujhse khud se hi itni ajeeb badboo aa rahi thi ke mai khud usse bimar pad jaun... Par apni Axe ki bottle hai na... Sab sambhal legi...
Mai khud ko positive rakhne ke liye na jane kya kya soch raha tha... Par dil-o-dimaag me bas Smriti ki fikr chayi hui thi... Man bar bar keh raha tha ki hospital jaa hi raha hoon to use bhi ek jhalak dekh aaun...
Mai yehi sab sochte sochte flat se niche aya aur apni bike start ki aur uske sath hi barish shuru ho gayi... Mera mood bigada huya hi tha aur bigad gaya... Mai hospital ki taraf badh gaya...
Barish ki boondein tirchi hokar mere badan me chhubhne lagi... Aur sath hi kuch yaadon par jami dhul ko saaf karne lagi... Aur sath hi ek gana jo mujhe behad pasand tha... Mere dimaag me replay hone laga
"Ye Yeh mausam ki baarish, Yeh baarish ka paani
Yeh paani ki boondein, Tujhe hi toh dhoondhe"
"Are Mohit bike ki chabi de..."
"Kyun be... Mai nahi deta bhag yahan se..."
"Are yaar de na..."
"Pehle bata kyun chahiye..."
Ye Mohit to zid pe hi aad gaya... Bike dene ko razi hi nahi... Are aese kalmuhe dost ho to dushmano ki kya zaroorat...
"Are samajh na bhai..."
Wo kehte hai na... Waqt ane par gadhe ko bhi baap banana padta hai... Aj meri halat bhi kuch aesi hi thi... Maine ishare se raaste ke ulti taraf wale tea stall ki taraf ishara kiya... Mohit kuch taaka jhanki ke baad samjha ki mai use kya samjhana chah raha hoon...
"Oh... To ye baat hai... Jaa... Le jaa.. tu bhi kya yaad rakhega be... Par sun... Jaldi ana samjha"
"Ek bike bas dila de pita ji... Fir bataunga is Mohit ko mai"
Man to kiya Mohit ki bike ki chhabi usiki no entry me ghusa dun lekin maine khud ko samjhaya...
"Concentrate on Paneer Kabir... Concentrate on Paneer"
Maine bike start ki aur us chai ke dukan ke samne jakar khada ho gaya aur utar kar chai ka order dene laga...
Mai pichele adhe ghante se Smriti aur uski ek don ko sath khade dekh raha tha... Kuch der pehle ek ladka aya... Aur wo ladki us ladke ke sath chali gayi... Smriti ne apni pareshani chhupa kar use bye to bola par ab use chain nahi pad raha...
Kabhi wo ghadi dekhe... Kabhi wo mobile me dekhe... Kabhi wo call kare... Mai samajh raha tha ki use ghar jana hai... Par koi sadhan nahi mil raha... August ka mahina tha... Is mahine Delhi me khub barish ho rahi thi... Aur usdin to kuch jyada hi meherban thi...
Waese to mujhe aese achanak dukan par ata dekh wo bhi samajh gayi hogi ki mai kyun aya hoon... Kyun ki barish itni ho rahi thi ki chaiwala bhi apni dukan ab band karna chahta tha...
Waese ab mera aur Smriti ka rishta us din ke baad se kafi age badh gaya tha... Pehle mai Smriti ki taraf dekhta to wo muh fer leti... Par ab thoda muskura deti hai... Haan thoda sa hi muskurati hai... Par muskurati to hai na...
"Ap... Tum... Chai nahi piyogi?"
Maine badi mushkil se alfazon ko sanjote huye kaha...
"Nahi... Mai pi chuki hoon... Bas... Meri UBER aa jaye... Niklungi..."
Bijli karki to asmaan me par giri mere dil par... Hey bhagwan... Itna accha mauka dekar bhi chhin mat lena mujhse... Kyun kabab me haddi bana kar is UBER wale ko meri jaan khane bhej rahe ho...
Thik tabhi Smriti ke phone me koi notification ki ghanti baji... Maine chor nazro se dekha booking cancel ho gayi...
"Tum... Bura na mano to... Mai chhod dun?"
Wo us waqt bohot chidhi huyi thi... Itna ki gusse me ekbaar pair bhi patak chuki thi... Maine jaan hatheli me lekar... Darte darte keh hi dali apne man ki baat... Wo mujhe kuch der ghurti rahi... Mujhe pakka lag raha tha ki ye maregi thappad... Mare to mar de... Kha lunga... Par pyar thode hi kam hoga mera...
"Wo mere bag me... Laptop hai... Bheeg jayega to kharab hone ke chances hai... Bag full waterproof nahi hai..."
Nahi maara... Are nahi maara thappad... Balki apni pareshani batayi... Mera dil aese uchla... Itna to All India Engineering Entrance Exam me 135 rank ane par bhi nahi uchla tha....
"Are tum tension kyun leti ho mai karta hoon na kuch..."
Maine chai wale bhiya se kuch plastich wrappers mange... Aur unhe 20 rupay thama diye... Smriti meri taraf hairani se dekh rahi thi...
Maine uska laptop liya aur use acche se wrap kiya... Aur bag me laptop rakhne ki jagah par andar daal diya... Wo hairani se mujhe dekhti rahi... Mai 100% sure hoon ki use bilkul biswas nahi tha ki uska laptop bach jayega... Mujhe bhi nahi tha... Par koshish karne me koi harz nahi...
"Tumhara ghar kaha hai..."
"Jyada dur nahi... Idhar se bas 10 min lagenge..."
"Thik hai... Bag ko samne ki taraf le lo aur dupatte se dhak kar baitho..."
Smriti ne usdin ek gulabi colour ki kurti aur leggings pehni hui thi... Sath me dupatta gale me lapeta tha... Maine use jitni baar bhi dekha tha wo aese hi shalin kapdon me dikhti thi... Delhi ki dusri ladkiyon se kafi alag... Is wajah se wo mujhe hamesha aur akarshak lagti thi...
Akhir kar wo pal aa hi gaya jab Smriti mere piche baith gayi... Aur maine bike start ki... Us din bhi thik aese hi hawa ke jhokon ne baarish ki boondon ko awara kar diya... Ek baar bijli jor se karki... aur Smriti ne dono hath mere kadhon par rakh diye... Mera dil... Bas mat pucho ki kaise bhag raha tha... Wo to mai hi janta hoon ki maine usdin bike kaise sambhali... Poore raste usne mujhse koi baat nahi ki... Mai bhi chup tha... Par us barsat ke mausam me uska mujhse kuch inchon ka fasla mujhe har pal thoda aur bechain kar raha tha...
Karib 10 12 minute baad uska ghar aa gaya... Wo utar kar ghar ki chaukath kar jakar khadi ho gayi... Aj wo mujhe dekh kar thoda sa nahi... Khul kar muskurayi...
"Andar aao... Thoda wait karo... Toofan kam ho jaye to chale jana.."
Man to mera bohot tha... Par itni barish me bhi mai mehsoos kar raha tha ki jeb me mera phone lagataar baje jaa raha hai... Mai bina dekhe bhi bata sakta tha ki ye Mohit hai... Usse aur sabar nahi ho raha... Pata nahi mai kya kar raha hoon... Is chinta me uske pichwade ka tempareture is waqt 3200 ℃ ho chuka hoga...
Par wo din meri zindegi ka ek yaadgar din ban gaya... Mai jab bhi us din ko apne man me sochta... Muskurane lagta... Smriti se dur hokar bhi mai us din ko nahi bhula paya...
Barish se bheege uske chere par lipti baalon ki lat... Hothon ke gulabi rang ko ubharti barish ki boondein... Uska mere piche baithne ki wajah se saason ka tezz chalna... Aur mere kandhe par uska hath... Ab tak mai yakin se nahi keh sakta tha... Par us din ke baad ye baat pakki ho gayi ki mujhe Smriti se pyar ho gaya tha...
Mai aese hi ourani yaadon ko sochta sochta Hospital pohcha... Ab mere samne ek chunauti aa khadi thi jise mujhe niptana tha... Mera us packet ko hasil karna aj poori tarah se kismat par nirbhar karta tha... Aur meri kismat pichle 3 din se bohot buri chal rahi thi!!!
Shandaar update BhaiUpdate 9
Usdin Smriti ke Cabin tak jane se pehle maine packet Hospital me hi chhupa diya tha... Mujhe ye to maloom nahi tha ki mujhe giraftaar kiya jayega... Par is baat ka andaza mujhe tha ki bahar guards honge aur Smriti se milne se pehle meri checking zaroor hogi...
Smriti ka cabin ICCU ward me tha aur corridor us taraf mudne se pehle bayi taraf ke bada waiting room banaya gaya tha taki jo paitients critical hai unke pariwaar wale yaha raat me intezar kar sake...
Waiting room me steel ki bani chairs thi jo aksar hospital ya kisi aur jagah ki waiting room me dekhi jati hai...
"Dusri row me tisri chair..."
Mai us ek chair ki taraf age badh gaya... Ye chairs charon deewaron ke sath parallel thi... Meri chair darwaze ki ulti taraf wali row me thi...
Mai dhere se jakar us chair par baith gaya... Maine chair ke niche ki taraf hath age badhaya...
Thank god!!!"
Meri jaan me jaan ayi... Maine is din packet ko is chair me hi chupa diya tha... Asal me seat thodi ubhri hui thi aur seats ke niche ek lohe ki dandi thi jo seat ka structure bana rahi thi... Dono cheezon me halki si jagah thi aur maine packet wahi sarka diya...
Mai packet ko nikalne hi jaa raha tha ki rukna pada... Ek aurat jo ki pregnent thi aur unke pati waiting room me akar meri ulti taraf wali row me baith gaye... Shayad unki delivery ka time aa gaya tha...
Mere pass intezar karne ke alwa aur koi raasta nahi tha... Mai idhar udhar dekhne laga... Achanak dekha ki wo aurat room ke bahar kisiko dekh kar ekdum se dar gayi aur apne pati ka hath kas ke tham liya...
Maine mur kar dekha to ek hatta katta lamba admi... Mooh par doctor ka mask aur safed coat me har room me jhankte huye age badh raha tha... Pehle maine itna dhyan nahi diya... Aurtein aese waqt me dar jati hai kabhi kabhi unki motherly instinct ki wajah se...
Lekin achanak se mera dimag thanka...
"Smriti ka cabin bhi to... Isi raaste me age ki taraf hai..."
Mere hath paon thande ho gaye... shukr hai upar wale ka ek nurse akar us aurat ko wheel chair par bithakar unki cabin ki taraf le gayi... Maine jaldi se packet sarkai aur apni tshirt ke andar ghusa li aur upar jumper chadha liya...
Mai Smriti ki cabin ki taraf age badh gaya...
"Ye kya... Uske kamre ke bahar... Koi guard nahi"
Mera shaq gehra ho gaya... Mai tez kadmo se charon taraf nazar rakhte huye age badha... Maine Smriti ke cabin ka darwaza kholne ki koshish ki... Par nahi khol paya...
"Mai kya karun... Kya karun mai..."
Maine deewar ki ulti taraf fire alarm dekha to use shuru kar diya... Poore hospital me shor hone laga... Aur dusri taraf mai Smriti ke cabin ka darwaza todne ki poori koshish kar raha tha...
Achanak darwaza andar se ek jhatke me khula aur mai uske dhakke se niche gir gaya... Maine us admi ko apni ek ankh par hath rakh kar bhagte huye dekha... Uska hath khun se sana hua tha aur wo dard me cheekh raha tha... Wo charon taraf ki afra tafri me bahar ki taraf bhaga... Mai uska pucha karna chahta tha par is waqt Smriti ko bachana jyada zaroori tha...
Mai cabin ke andar ghusa to mujhe koi nahi dikha... Achanak kisine mujh par hamla karne ki koshi ki to maine uska hath pakad liya...
Wo Smriti thi... Aur badi hairani se mujhe dekh rahi thi... Uske hath me ek patli si khun se sani hui churi thi jo aksar doctors issemal karte hai...
"Tum thik to ho na... Pata hai mai kitna dar gaya tha..."
Maine use khinch kar gale laga liya... Meri jaan me jaan ayi... Wo kuch der sakpakai par fir shant ho gayi aur sisak sisak kar rone lagi... Usme khade hone ki taqat nahi thi... Usne apna badan meri baahon ne dheela chhod diya...
"Please Kabir... Mujhe yahan se le chalo kabir... Please le chalo... Mai yahan rahi... To zinda nahi bachungi... Wo kaam bhi pura nahi kar paungi jo maine shuru kiya hai... Please mujhe yahan se le chalo..."
Uski awaz aj itna dard bhara hua tha ki meri ankhein nam hone ko thi... Par maine gaur kiya... Pith ke nichle hisse jahan use goli lagi thi wahan se thodi bleeding ho rahi thi...
"Lekin Smriti tumhe is waqt doctor ki zaroorat hai..."
"Kabir... Tum yahan se mujhe le chalo... Yahan rahi to is ghav se maru ya na marun... Par wo log mujhe maar denge... Please..."
Maine uski ankhon me dekha... Mai kya karun kuch samajh nahi aa raha tha... Maine uske mathe par chum liya aur use utha kar bed par bithaya...
"Tum yahi ruko mai ata hoon..."
Mai bahar gaya to ab tak sabko pata chal chuka tha ki false alarm hai... Maine as pass dekha to mujhe ek wheel chair mili... Mai use lekar andar aya to Smriti ek syring ko hath me lekar dekh rahi thi... Usne mujhe dekh kar khade hone ki koshish ki...
Maine uski madad ki aur wheel chair par bitha diya...
"Tumhe thodi dikkat hogi par... Kya ye takiya tum pet ke age rakh paogi... Taki... Tum... Pregnent dikho..."
Maine rukte rukte apni baat keh hi di... Wo thoda sa muskurai aur apne hospital gown ko upar utha kar takiye ko pet age rakh liya... Wo thoda dhela sa lag raha tha to usne gown ki side wali rassi thodi si kat kar use apne ap ke charon taraf bandh liya... Maine uski madad ki aur ye sab karte huye use kitni taqleef ho rahi thi ye bhi gaur kiya par is waqt koi aur rasta nahi tha...
Ab wo wheel chair par baithi huyi thik us pregnent aurat ki tarah dikh rahi thi jise maine waiting room me dekha tha...
Maine uske wheel chair ko dhakka diya aur lift ki taraf badh gaya... dard ke maare use bohot paseena aa raha tha... Mai bar bar uska chehra apne rumal se poch raha tha...
Lift me kuch logon ko aesa laga ki uski delivery hone wali hai... Ek nurse ne puch liya to maine bata ki nahi ultrasonography karwane le jaa raha hoon... Maine ate waqt uska room niche dekha tha...
Smriti ne mera hath kas ke pakda hua tha ki jaise is waqt hum dono ek taraf aur ye puri duniya humari dushman ho...
Maine use lift se bahar nikala aur ultrasonography wale room ke bahar jake khada ho gaya... Meri dayi taraf reception tha aur bayi taraf emergency exit ka darwaza... Mai Smriti ko usi darwaze se bahar le jana chahta tha...
Mai man hi man upar wale ko yaad karne laga... Smriti mera hath aur zor se daba rahi thi... Uske honth dard se kanp rahe the... Par mai majboor tha... Meri ek harqat Smriti ki jaan ko fir se khatre me dal sakti hai iska andaza mujhe bakhubi tha...
Akhir kar reception par ek emergency patient aya... Sab log usi taraf busy ho gaye... Maine kadam age badhaya aur use emergency exit se bahar le aya... Darwaze ki cc tv ke age aese khada ho gaya taki mere samne jo bhi kuch ho raha hai wo camera me na aa paye...
Maine Smriti ko khada kiya aur usne kayde se wo takiya khinch kar gira diya...
"Aahhhhhh..." Wo dard se karah uthi...
"Mai abhi taxi lata hun..."
"Nahi... Nahi... Bike..."
"Par aesi halat me tum..."
"Please... Kabir... Please..."
Mai samajh raha tha ki wo apne piche koi clue nahi chhodna chahti... Isiliye meri bike par jana chahti hai... Maine apni jacket utari aur use pehna di aur hoodie upar kar di...
"Tum baith paogi na..."
Maine bike nikalte huye kaha...
"Always"
Wo kaise taise bike par chadi aur mujhe piche se kas kar pakad liya.. mera dil ekbaar phir se utni hi tezi se bhaga jitna pehli baar bhaga tha... Maine ek aur pal ki der na karte huye bike bhagayi aur Smriti ko apne sath le aya!!!
Awesome update Bhai superbUpdate 10
Mai hospital se nikla aur seedha pharmacy par ruka... Mai use sahara dekar andar le gaya... Counter par ek admi dawaiyan le raha tha... Suman ne hume dekh kar use jaldi nipta kar waha se jane ko keh diya...
"Are... Tum yaha... Smriti di ap thik to ho na..."
"Suman... Sugandha... Sugandha ko phone kar..."
Itna kehte kehte Smriti behosh ho gayi... Maine use godi me uthaya aur andar khufia kamre me le gaya...
Wahan Smriti ne uski dekh bhal shuru ki aur maine Sugandha ko phone kiya...
"Oh my gwad Kabir... What have you done... Smriti... Oh my gwad... Love are you fine... Zara bataoge tum ise yahan kaise le kar aa gaye... Smriti ko medically induced coma me rakha gaya tha... Yahan kyun le aye tum!"
Sugandha zor zor se mujhpar chikhne chillane lagi...
"Shant ho jao... Shant ho jao..."
Maine Sugandha ke kandhon ko tham kar use shant karne ki koshish ki aur sab kuch bataya...
Sab kuch sunkar wo sir pakad kar wahi ek chair par baith gayi... Aur zor zor se sans le kar apne ap ko shant karne ko koshish karne lagi...
"Kya tumhe kisine bhi dekha hai hospital me... Sach sach batao Kabir..."
"Nahi..."
"I mean kisise tumhari baat huyi ho ya koi tumhe significantly pehchan le... I mean Smriti ke sath..."
"NAHI NAHI NAHI... Chup rahogi thodi der tum please"
Mai us waqt Smriti ke liye bohot pareshan tha aur mujhe aur kuch nahi sujh raha tha...
Wo irritate hokar phone par kisiko ko kuch instructions dene lagi...
"Chalo tum..."
Usne achanak meri kohni pakdi aur mujhe khinch kar bahar le jane lagi...
"Are tum mujhe kaha le jaa rahi ho"
Maine jhatak kar apna hath chhuda liya...
"Kabir bhaiya... Sugandha di... Idhar aao..."
Hum lar hi rahe the ki Suman ne awaz di... Mai aur Sugandha dono apni beheas bhul kar Smriti ki taraf age badh gaye...
"Sugandha... Shoiab??"
Smriti ne dard bhari awaz me Sugandha se pucha... Sugandha chehra achanak se utar gaya...
"Mai uske liye kuch nahi kar paungi Smriti... Kabir ne report kiya tha... Par Shoiab... Wo usdin pharmacy se nikalne ke baad... Uska koi pata nahi... Wo AWOL hai..."
"Flat se wo... Pendrive... pendrive wahi rakha hai... Tum... Tum use le aao... Warna hum... Hum kabhi in documents ko nahi padh payenge..."
"Ok ok... Tum rest karo... Please tum rest karo... Suman... Tell me whatever you need... I will bring everything... Bas riti ko kuch nahi hona chahiye..."
Sugandha ki ankhon me ansu the... Mai bhi apne zasbaaton ko sambhalne ki poori koshish kar raha tha...
"Di... Please ap abhi aram karo... Warna apka ghao thik nahi hoga... Please..."
Suman ne Smriti ko injection lagate huye kaha... Wo thoda shant pad gayi... Par ab bhi uske chehre par dard ke bhav saaf tarike se dikh rahe the...
Usne meri taraf apna hath badhaya... Maine age badh kar uska hath tham liya...
"अहिंसा परमो धर्मः"
Wo bas itna hi keh payi aur dawai ke asar se wo gehri neend me so gayi...
Kuch der tak kamre me kamoshi chayi rahi... Sabki nazar Smriti ki taraf thi... Mai uske sir pe hath fira raha tha...
"Aye hero... Get up... Utho..."
Sugandha ne mujhe order dete huye kaha...
"Dekho Sugandha is waqt mai..."
"Is waqt tum kya Kabir... Baith kar matam manana chahte ho... Fuck you... Agar Smriti ki zara si bhi izzat karte ho aur uski madad karna chahte ho to mere sath chalo... Tumne bohot raita faila diya hai aur ab tum wahi karoge jo mai kahungi..."
Mere sochne samajhne ki shakti chali gayi thi par fir bhi maine jaise taise apna hosh sambhala aur khada ho gaya...
"Kya Smriti yaha... Safe rahegi?"
"Ap tension mat lo bhaiya... Mai Sameer ko bula lungi... Wo aur mai hai yaha par... Mai apne kuch seniors se Smriti di ka case discuss kar lungi... Unhe kuch nahi hoga..."
"Ye... Ye mujhe Smriti ke hath me mila tha..."
Maine Suman ko wo syring dete huye kaha jo hume us hospital room me mila tha...
"Thik hai bhaiya mai test karti hoon iska... Aur di kabhi blood test kar lungi"
Maine Smriti ke sir ko chhuma aur waha se Sugandha ke sath nikal gaya...
"Drive karo..."
Sugandha ne meri taraf bike ki chhabi uchalte huye kaha...
"Hello... Kab se try kar rahi hoon mai phone kyun nahi utha rahe ho..."
Sugandha ne gadi me baith kar kisiko phone milaya aur chillane lagi... Mai is waqt usse bohot jyada irritated mehsoos kar raha tha... Jisme uske chillane se barhauti hi hui...
"Are gand marane jaye tumhari naukri... Agar Smriti ki koi bhi khabar chahiye to mere bheje address pe aa jao..."
Ye... Ye Sugandha kise address bhej rahi hai... Kahi maine is par bharosa karke galti to nahi kar di...
"Suno... Agar tum nahi aye na... To tumbari aur meri shaadi cancel... Samjhe cancel... Fir dhundte rehna Smriti ko aur karte rehna apni duty..."
Itna keh kar usne phone patak diya... Aur mujhe raaste ke directions batane lagi... Mai usse koi aur sawal karta itne me uska phone phir baja...
"Hello... Kya hai... Haan haan wo mere sath hai... Haan Kabir bhi mere sath hai... Tum aa jao warna dekh lo... Hmm... Ok... Bheja hai dekh lo..."
Itna keh kar usne phone patak diya...
"Kya... Kya... Kya..."
Itna keh kar usne meri taraf dekha aur gusse me chillane lagi... Maine kuch nahi kaha... Aur chup chap gadi chalata raha...
Thodi der me hum ek apartment ke niche akar ruke... Gadi se nikal kar Sugandha fir se phone milane lagi... Ye jo bhi hai usse iski shaadi hone wali hai... Kya fir bhi in sab baaton me uspar yakeen karna sahi hoga? Par aur koi chara bhi to nahi tha mere pass... Smeiti ko Sugandha par poora bharosa tha aur isiliye mujhe bhi karna para...
Kuch der baad ek aur gadi aayi aur jo admi gadi se utra use dekh kar mai hakka bakka reh gaya...
Wo Anubhav tha... Par wo gadi se utar kar Ek pal bhi ruka nahi aur meri taraf age badh gaya... Mai bhi taiyaar tha... Agar wo mujh par hath utha ta hai to aj dekh hi lete hai do do hath ise bhi...
Par hum dono bhir pate isse pehle hi Sugandha humare bich akar khadi ho gayi...
"Are sharam karo sharam... Bharat sarkar ke do naujawan sipahi... Ek dusre ke khun ke pyase bane baithe hai..."
"Dekho Sugandha... Hat jao... Mai is waqt dimagi santulan khho chuka hoon... Mai ise nahi chhodunga... Isi ne kidnap kiya hai Smriti ko... I can have arrest warrent in just an hour for him"
"Shut up... Just shut up... Kabir ne Smriti ko kidnap nahi kiya... Balki iski jaan bachai hai!!!"
Chapter 1: Ulajhte Rishte Ends
Jhakash update BhaiChapter 2: Wo ladki Kahan hai?
Update 11
"Kya ab hum log andar chal sakte hai... Ya sara drama yehi karna hai tum dono ko"
Sugandha ne chuppi todte huye kaha... Anubhav abhi bhi meri taraf utni hi khunnas se ghur raha tha... Aur uski ankhon ki nafrat ab mera bhi dimag kharab kar rahi thi...
Par hum dono me se kisi ne kuch nahi kaha... Aur hum log Sugandha ke sath upar chale gaye...
Sugandha ke pass flat ki chabi thi... Building ke teesre maale par ek bedroom ka flat tha... Flat me ghuste hi jis baat ne mera dhyan khicha wo ye tha ki flat me ek alarm system install kiya hua tha jo ki filhal disabled tha... Aesa lag raha tha maano is flat ki finishing jaldbazi me ki gayi hai... Flat ka darwaza khilte hi ek chota living room tha... Halanki wo itna chota tha ki room kehna mushkil hai... Baju me kitchen aur samne ek chota sa bedroom jisme ek kone me ek jane ke sone layak ek bistar rakha hua tha...
Kamra kuch dino se band tha shayad... Isliye ek dhul aur silan mili hui badboo hum sabko pareshan kar rahi thi... Living room me kuch chairs rakhe huye the... Jisme se ek par Sugandha baith gayi aur usne cigarate jalate huye hum dono ko bhi baith te huye kaha...
"Anubhav... Please... Apna gussa chhodo aur humari madad karo wo pendrive dhundne me... Kabir ne wo packet surakshit dhund liya hai... Aur hume un ladkiyon ka pata tabhi laga sakte hai jab hum un documents ke data ko decrypt kar lenge...
Dekho personal mamlo ko bhul jao... Is waqt tum dono ko sath me kaam karna hoga"
"Bullshit!!! Tumne mujhe ye sab kehne ke liye yaha bulaya hai Sugandha?"
Anubhav guuse se aag babula ho raha tha...
"Ye khuni hai... Aj Smriti ki ye halat isiki wajah se hai... He is a fucking murder"
"Smriti ki ye halat meri wajah se nahi... Blaki tumhari wajah se hai..."
Anubhav meri baat se ekdum jal utha aur apni chair se uth kar meri taraf badha... Mai abhi bhi shant baitha hua tha aur maine shant tarike se apni baat rakhi thi...
Par Anubhav apne gusse ko sambhal nahi paya aur mere upar hath uthane ki koshish ki... Mai palak jhapakte hi apni chair se utha... Uska nishana chuka to wo thoda lad khada gaya... Maine usika fayda uthate huye uspar ek mukkar jad diya...
"Kya ye sach nahi... Ke us party me kya ho sakta hai uska andaza pehle se tha?"
Wo mere mukke se ubhar nahi paya tha... Lekin meri baat use mukke se bhi jyada chotil kar gayi... Uska gussa palak jhapakte gayab ho gaya... Mai ab bhi shant tha... Lekin uske chere par kayi jasbaat... Dukh lachari bebasi ka toofan umar raha tha...
"Are you mad or what?"
Sugandha mujh par chekhte huye Anubhav ki taraf age badh gayi aur use uthne me madad karne lagi...
"Usdin kya tha tumhara resonse time Anubhav? 8 minute? 10 minute? Koi andaza hai tumhe..."
Sugandha aur Anubhav ab tak meri taraf hairani bhari nazron se dekh rahe the...
"6 minutes and 56 seconds... Maine count kiya hai... Har us pal ko jab Smriti ki jaan khatre me thi...
Tum ek executive officer ko ek dengerous situation me dalte ho... Aur jo officer uski hifazat ki duty par hai... Use situation kya ho sakti hai uski jankari bhi nahi dete?
Isliye aj jo Smriti mauth se jung lad rahi hai... Uske zimmedar tum ho... Balki mai nahi"
Maine apni baat khatam ki aur ulti taraf wali chair par jakar baith gaya... Anubhav ki ankein nam thi... Wo bhi ek chair par sir pakad kar baith gaya... Maine pass pari cigarate ki packet se ek cigarette li aur jala kar kash lene laga...
"Dekho Anubhav... Party me jo kuch bhi hua... Aur uski wajah se mujh par jo case chal raha hai... Usse ab tum mujhe nikaloge..."
Anubhav ne meri taraf dekha... Uski ankhon me gussa aur nafrat ke siwaye kuch nahi tha
..
"Ab sawal banta hai kyun... Kyun ki kal court me tumne mere paksh me gawahi nahi di... To mai shaam ko sabhi news channels me ek interview dunga... Usme in saare mamle ka dosh mai tum par aur Smriti par dalunga..."
Maine jaise hi Smriti ka naam liye wo gusse me fir meri taraf badha aur mera collar pakad liya...
"Abe ye... Smriti di ke baare me ek lafz bhi baka na... To teri halak se jeebh khinch kar bahar nikal lunga... Teri dhamkiyon se darta hun kya mai..."
"Darte to tum apne baap se bhi nahi hoge... Warna pata hota ki baron se kaise baat karte hai..."
Maine apne collar se uska hath jhatak diya...
"Akhir Smriti ki bhi to zimmedari banti hai... Mujhe batana ki wo kis situation me jaa rahi hai... Haan poori jankari confidential ho sakti hai... Par khatre ka abhas to hona chahiye mujhe... Ek wo... Aur ek wo Shoiab... Apni team ko ittela na karna... That's also a offence in our work you know!
Play ground samajh rakha hai kya tumne aur Smriti ne... Jaha chahoge jab chahoge jaisa chahoge waisa karoge... My foot... Agar mera career dubega to mai tumhara aur Smriti ka bhi ghasit lunga aur sath me us Aditya ka bhi... Kuch bigad paun ya na paun... Chhabi to kharab kar hi sakta hoon... Thodi bohot"
Sugandha mujhe gusse me koi bada sa lecture dene wali thi ki tabhi maine Anubhav se chhupa kar use ankh mari... Wo samajh gayi ki mai aesa kuch nahi karunga...
Mai Rajastha ke ek madhyam bargiya pariwaar se hoon... Pita mere police me the aur maa grihini... Sach kahun to hamesha se hi pariwarik politics ka shikar raha hoon... Bohot sangharsh karke bada hua hoon...
Ek sarkari naukri karne wale ke ghar paida hone ke bawajood mai abhav me jiya hoon... Mere pita ke pass apni maa yani meri dadi aur mere chachaon ke dene ke liye paise to the par humari parwarish ke liye nahi...
Maa unse humari kisi bhi cheez ke liye paise mangti to apne pariwar ko dene wale paise kam par jane ke karan bachpan se hi unhone apne police wale jooton se peeta hai... Uski maar khate khate aur taane sunte sunte kab meri chamdi moti ho gayi mujhe pata bhi nahi chala...
Thoda bada hua to bhai paida hua... Wo mere papa ki tarah dikhta hai isliye aur choti choti baat par ro deta hai isliye... Papa uspar hath nahi uthate hai... Mere chacha tau jo din raat mera .manobal todte ki mai kabhi 10th pass hi hi nahi lar paunga...
Ye sirf mai aur baad me Smriti hi jante hai ki 10th meri Angrezi ki pariksha kharab hone ke karan maine apni jaan lene ki koshish ki... Par mai pass ho gaya aur acche numberon se pass hua... Tabse sabka mooh band hogaya...
Par mere papa khush nahi the... Mai Science padhna chahta tha... Unhe pata tha... Bohot kharcha hoga... Aur wo paise dene ko raazi nahi the... Mere chachaon ne meri bharti KV me nahi hone di jab ki mere pass quota tha...
Mai aur meri maa 7 din tak bhke pyase baithe rahe... Jab log sawal uthane lage tab mere papa ne lok laj ke dar se paise de diye...
Mai hi janta hun ki mai kitni mar seh kar pala bara hun... Pehle school me kuch ladkein pit te the... Mai wahan bhi maar khata tha... Par 10th pass karte hi mai ekdum se lamba ho gaya.. wahi bacche mujhse darne lage... maine bhi unhe khub pita... Zindegi ka sara gussa utar diya...
Chacha tau ke ladke jo mera mazak udate the sab sale bhosdike piche reh gaye... Maine mehnat ki aur mai Delhi aya... Sath ayi meri logon ko manipulate karne ki techniques jisse maine najane kitno ka manobal toda... Aur aj jab Anubhav mere upar hawi ho raha tha maine usika issemal kiya...
Mai Smriti ka nam in sab me nahi ghasitna chahta tha... Ye baat sirf mai janta hoon ki Smriti ke baare me maine aj Anubhav se jo bhi kuch kaha uske liye mai khud ko kabhi maaf nahi kar paunga... Par aj mai majboor hoon... Kyunki Anubhav hi hai jo mujhe is dal dal se nikal sakta hai!!!
yeh batak jaisi chonch waali jyada samajhdar hain iss brand kee dukan se.... iss wakt smriti ko dr.. kee jaroorat hain na kee iske bahas kee... khair shoiab kahan watak liya... wo bhi ghayal tha itni jaldi theek bhi ho gaya... waise mata smriti coma se uthne ke baad bara adhyatmik ho gayee hain "ahimsa parmo dharmah"... prada aur iss chomu ko larte dekh ke bachhi se raha na gya lagta hain.... isliye lagta hain yahee pe dharmchakra parivartan karegi inka....
"Aye hero... Get up... Utho..." toh iss prada waali ko Sasha! mam ne bata diya hain kee yahee chomu hero hain...
yeh suman ne chonch khola toh bhaiya bhaiya nikla jabki didaji didaji nikalna chahiye tha... ...
iss brand factory ko jhelne wala bahadur kaun hain... yeh toh direct dhamkee deti hain shaadi cancel ka jaise ehsan kar rahi ho shaadi kar ke...
aur ga###d marwane jaisa adhunik kaam se bhi parichit hain.... bechara...
yeeh kaabir ne anubhav ko aankh maari badle mein anubhav ne usko jeebh dikhaya aur iss ghanghor sangram ka ant karne ke liye chhugandha mishra ko beech mein aana para......
to yeh wo bahadur hain isiliye smriti ko ispe iss sugandha pe biswas tha,,, ab bhai kee maal thee toh itna toh banta hain... waise thora larne deti dono ko iss chomu kee doo daant tuuti aage waali aur thori aankh bhaingi ho jaati toh aur handsome dikhta...... bilkul iske tarah...
tab toh jaa ke smriti iske aage hulu hulu karti.....
Lalla Lalla lodi..It is the law of nature that the person who is more happy has to be more unhappy in the future.