- 12,581
- 10,491
- 214
Index
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 1 :Ulajhte Raaste
Chapter 2: Wo Ladki Kaun Hai?
Chapter 3: Shayad
Last edited:
hone ke kayi mauke ayenge psyco... Ap nirash na ho... Kabir Anubhav sabki baari ayegi... Aur final villian ka parda fash hona bhi to baaki hai... Use bhi to kutna haiYaar thodi too dupaad dhaa honi chahiye thi dono ke bich..
Tabhi too maza aata...
Khaire jane do..
Ab Kabir ko action karte dekne ka bada mann h..
umeed h agee chal kar ye seen dekhne ko milega..
kul mila kar ekk bhadiya update..
intezaar rahega next update ka..
Mere bolne se kya hota hai... Facts hai ye par ye chomu kisiko pasand nahi aa rahana na yeh wala toh hamara chomu hain... baakio ka pata nahin.... agar aap aisa bol rahi hain toh hoga...
aisa gazab mat karna nahin toh smriti aapke pechhe prada waali aur batak jaisi chonch waali bhej degi... phir jhelte rahna dono ko...Mere bolne se kya hota hai... Facts hai ye par ye chomu kisiko pasand nahi aa raha
Isko tapka ke dusra hero le ati hoon
itni jurrat kisiki nahi
Thank you so much Naina... Very greatful for your kind words your comment seems like a light in darkness for me...Be it smriti , kabir, or anyone else….whoever it is… your writings reveal their mood through their words.
Every update, whether of a thousand words or two thousand words, seems to be left short. The mind does not fill itself. Think! Had it been bigger it would have been more fun.
La_Mujer ma'am has no answer in creating an atmosphere and then tying the knot through dialogues.
Realistic emotion which is a very difficult subject - whether in writing or acting in a movie - But you're expert in this matter.. Keeping every aspect in mind, you are advancing the story. Along with romance, thrill and suspense also have a unique confluence in story. Which is absolutely original.
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills
Congratulations for new storyUpdate 1
“Uuh aah let the music play… Uuh aah let the music play…”
“Kabhi kabhi sala mujhe aj kal ke gaano se sir dard hone lagta hai… Specially un gaanon se jo remix ho. Par mera ajkal inse picha hi nahi chhut raha…”
Mai man hi man barbara raha tha ki tabhi kisi ne mujhe piche se cigarette offer ki…
“Ye le bhai… apna dimag thanda kar…”
Wo Amith tha… Mera naya partner.
“No thank you… Duty par mai ye sab nahi peeta.”
“Hahahaha…”
Meri baat sun kar wo thahake laga kar hasne laga…
“Chalo thik hai tum nahi to hum hi pee lete hai…”
Amith Cigarette ko mooh me rakh kar jalane laga…
Ek baar dil kiya ki use toku… Par apneko kya… Dusron ke mamlon pe tang adane ki adat badi mushkil se gayi hai… Ab aur nahi…
“Lagta hai apni Madam bohot rangeen hai bhai… 7 din huye hai Madam ko Mumbai me posting huye aur har raat unhone party karke bitayi hai”
Maine kuch nahi kaha… par baat to uski sahi thi… In 7 dino maine Madam ko jitni paty karte dekha hai utna to mai kabhi soch bhi nahi sakta.
“Aur batao… Inki posting se pehle kitne danke bajaye gaye… Madam jis department jis district me jati hai corruption khatam kar deti hai… kitne afsaron ka tabadla kara chuki hai… Is operation se unka nam joda jata hai to kabhi us operation se…
Maine to socha tha ki badi mast duty lagi hai bhai… Mumbai me Criminals ki kami nahi… aur apni madam ko criminals pasand nahi… par hath lagi khak… 7 din se bas netayon ki partyon me bhare ke tattu ki tarah inke age piche ghoom raha hoon. Aur har din inko ya to kisi politician ke sath ya to kisi businessman ke sath in behooda gaano par dance karte dekh raha hoon
Saala ab to dar lagne laha hai kahi koyi wardi utar kar waiter ke kapde na pehna de…”
Maine Amith ki baaton ka koi jawab nahi diya… Wo kuch jyada hi bolta hai… par uski har baat se aj mai sehmat tha…
“Aye tum… Ye tum kya kar rahe ho... Duty par cigaratte pi rahe ho... Niklo… Nikal jao yahan se”
Amith ne ek jhatke me apna cigaratte niche feka aur usko pair se daba kar khada ho gaya…
“Sssssorry sir… Galti ho gayi… Par karne ko kuch hai hi nahi sir… To isiliye…”
Mai hairan tha… Use dant lagane wala aur koi nahi balki humare unit ka head tha… Shoiab Ansari… Par Amith ne darte huye ya dar ka natak karte huye use sach kehne ki jurrat akhir kar hi di…
Shoiab use kuch der use kha jane wali nazron se dekha aur bade shant tarike se kaha…
“Mam ki hifazat karna wo jahan jaye unke sath jana aur ukna har hukum manna is your only duty… So chupchap sharafat se khade raho warna wardi utar ke de do… tumhari jagah lene walon ki list mere pass bohot lambi hai samjhe ”
“Oohhh Shoiab… Bas bhi karo… Har waqt juniors ko darana Dhamkana thik baat nahi…”
Amith ka chehra jo do pal ke mazak ki fatkaar ne feeka kar diya tha… Mujhe usme thodi si jaan laut-ti huyi dikhayi padi… Madam ne shayad aj ke liye bacha liya tha use… Par ab ek galti mujhse ho gayi…
Maine Madam ko dekha to dekhta hi reh gaya… halanki ye baat ladkon ke liye aam hai… ghurna humari fitrat me hai… par aj ye fitrat aj galat jagah rang dikha rahi hai… Mai halanki kisi bhi ladki ko ek se jyada baar ghur kar nahi dekhta… par unhe... Unhe kaise na dekhun…
Maine unhe kaale color ki sari me aj tak kabhi nahi dekha… Aur dekha to pata chala is rang ki tarah koi rang unpar itna accha nahi lagta… wo muskura kar Shoiab se baat kar rahi thi to meri nazar unke hothon par hi tik gayi… laal lipstick aur unke hothon ka ubhar… kaano me bas unki awaz khanak rahi thi… Meri nazrein apne ap unke pardashi kaale color ki saari se jhankti angon ka peecha karte huye unki nabhi par ja atki…
Bohot koshishon ke baad maine ankhe hatayi to unke kaano pe latakti heere ki baliyon ne nazaron ka hath tham liya… Aur jaise hi nazar akhon par pari to dil ko maine itna zor se dhadhakte huye mehsoos kiya ki party ki behooda gaanon ki awaz sunai dena band ho gayi… Woh bhi mujhe hi dekh rahi thi…
Pata nahi wo ek lamha tha ya ek arsa… Pata nahi mai kab tak yunhi ghoorta raha… usne kuch der baad apni nazar hata li… par mai… nahi hata paya…
“Tum inhe nahi janti Smriti… Ye log…”
“Ye log kya… Let them be… Tum mere sath chalo… Mujhe tumhe kisise milwana hai… Come”
Wo Shoiab ki kohni pakad kar apne sath le jane lagi… Mujhe accha nahi laga... mera moh ek pal me toota aur mai firse zamin par aa takraya…
“Ufff baal baal bache yaar… Ye Shoaib to meri jaan hi kha jane wala tha… Itni buri bhi nahi hai apni Madam… hai na?”
Maine Amith ki baat par kuch nahi kaha
“Waise kya lagta hai… kya umar hogi inki… Mujhe to 25 ki lagti hai… Par usse to jyada hi hogi… jahan tak maine suna hai 3 saal ho gaye hai service me”
“hmmm…”
Amith aese hi idhar udhar ki baatein karta raha aur mai chup chap ati jaati gaariyon par nazar rakh raha tha….
“Excuse me… Kya ap log Smriti Mam ke sath hai?”
Ek admi jise mai kuch der se isse usse baat karte huye dekh raha tha wo achanak hi mere pass aa gaya… Mujhe kafi der se aesa lag raha tha ki ye admi is party me kuch mel nahi kha raha… purane se kapde… lambi dadhi much… Admi mujhe kuch thik nahi laga…
“Haan… Kya kaam hai apko?” .,Maine sakhti se kaha…
“Wo… Wo mujhe ye packet madam ko dena hai… unhone kaha tha ki wo meri madad karengi… mujhe mera haq dilwayengi… mujhe ye packet dena hai…”
“Dekhiye abhi mam busy hai… Ap subah office aa jaiye… wahan ap mam se milkar packet de dijiye… Abhi nahi ho payega”
“Nahi… Nahi… Abhi… Abhi dena hai packet…”
Us admi ka chehra laal pad gaya… wo mujhse behes karta raha… maine pareshan hokar uska packet rakh liya aur jane ko kaha… par phir bhi wo ajeeb harkatein kare jaa raha tha… Tamasha banne ki kagar par tha to mujhe use bahar nikalna pada…
“Ajeeb admi hai yaar…” Amith ne tippani ki…
Mai packet ko ulat palat kar dekh raha tha… Andar dher saare kagaz the ye to saaf pata chal raha tha…
“Tu ruk mai mam ko ye de kar ata hoon”
Mai Amith ke jawab ka intezar kiye bina hi andar chala gaya… Pata nahi maine aesa kyun kiya… Andar hall me sab log ekdusre par girte padte huye dance kar rahe the… Mai waiters se puchta huya age badhne laga… unme se ek se mujhe first floor par kisi room ki taraf ishara kiya… mera man khatta ho gaya…
Ek pal ko mai ruk kar sochne laga ki kya jana sahi hoga… Mai saaf samajh raha tha ki mam ko ek jhalak dekhne hi mai yaha andaar chala aya hoon… par us kamre tak gaya to pata nahi kya dekhne ko milega… kyunki Shoaib aur Mam kamra band hokar jo bhi kar rahe hai… mai use dekhne me koi ruchi nahi rakhta...
Par fir bhi mai age badh gaya… jaise koi andekhi dor mujhe apne taraf khinch rahi hai aur mujhme itni taqat nahi ki ulti taraf khud ko mod saku…
Maine room ka darwaza khat khataya… koi awaz nahi… Maine dobara khat khataya… koi awaz nahi… mera halak sukhne laga tha… dil kar raha tha zor zor se darwaza pitun aur Smriti ka nam chillaun… par mai aesa nahi kar sakta…
Achanak mujhe room se kuch dabi dabi… ghuti ghuti aahein sunai dene lagi… Mujhse hosh sambhala nahi gaya… maine zor se darwaze ko dhakka diya to pata nahi kaise wo khul gaya… mujhe pata chala ki darwaza band tha hi nahi… Lekin jo nazara ab meri akhon ke samne tha… mai use dekh kar hosh kho baitha!!!
Awesome fabulous update BhaiUpdate 2
Samne ka nazara dil dehla dene wala tha... Mai samajh nahi paya ki kya karun...
Ek admi mere samne chatfata raha tha... Aur uska gala ghot rahi thi Smriti... Haan Smriti... Wo admi kafi lamba aur hatta katta maloom pad raha tha... Smriti ne apna poora zor laga rakha tha... Uska hath thik se nahi pohoch raha tha to Smriti uske pith pe chadhi huyi thi... Uske hath me ek lohe ki tar thi jise wo pori takat se piche ki taraf khinch rahi thi...
Dum ghutne ki wajah se us admi ki jeebh bahar latak rahi thi... Lohe ki tar ne gardan par khoon ki lakir khinch di... Wo badi mushkil se ek hath tar ke andar fasa kar saans lene ki koshish kar raha tha... Mai ye sab dekh kar hakka bakka reh gaya...
"Shut the fucking door! You idiot!"
Smriti ne dabi magar saaf awaz me kaha... Maine chaunkte huye jaldi se darwaza band kiya...
"Mam leave him... Mai... Mai dekh lunga ise..."
Maine baat sambhalne ki koshish ki... Par isse Smriti ko aur gussa aa gaya aur wo aur zor se gala dabane lagi...
"Chup raho aur Shoaib ki madat karo"
Mera dhyan zamin par gire Shoiab ki taraf gaya... Uska mooh niche ki taraf tha... Maine unhe palta to pata chala unko goli lagi hai... Maine unka blazer khol diya... Goli uske pet ki upar ki taraf lagi thi... Mujhe pith par goli ke bahar jane wala ghao nahi dikha... Iska matlab goli abhi andar hi thi...
Maine apna rumal nikal kar uske ghao par dabao banaya... Khoon kafi beh chuka tha aur saaf pata chal raha tha ki use ilaj ki sakht zaroorat thi...
"Ye... Ye sab... Mai backup bulata hoon"
Maine dusra hath apne phone ki taraf badhaya to Smriti ne mera hath pakad liya...
"Koshish bhi mat karna... Samjhe..."
Wo tabtak us admi ka kaam tamam kar chuki thi aur hanf rahi thi... Kahan gayi saree aur kahan gaya uska muskurana... Wo is waqt kale top aur pant me kisi yoddha se kam nahi lag rahi thi...
"Par kyun... Yahan aesa kya hua Smriti... I... I mean Mam ki apko is admi ko marna pad gaya..."
Smriti ne meri baat ka koi jawab nahi diya aur Shoiab ki nabs dekhne lagi...
"Bataogi ab kuch..."
Mere sabr ka bandh toot ta jaa raha tha... Smriti ke chehre aur bajuyon par kayi nishan the...pata chal raha tha wo kafi der se is admi ke sath akele lad rahi hai...
Usne room ke bedsheet ko khinch ke utara aur uska ek tukda fad ke shoiab ke ghav ke aju baju lapet kar kas ke bandh diya...
"Tum mujhe wo packet dene aye ho na... Jo tumhe Doctor ne diya hai..."
Smriti ke is achanak pooche sawal se mai chaunk gaya...
"Haan... Wo... Ye raha..."
"Keep it... Sambhal kar rakho ise... Aur jab tak mai na mangu... Ise kisiko mat dena... Kar paoge?"
Maine haan me sir hilaya...
"Tum is wardaat ko report kyun nahi karna chahti Smriti... Saaf saaf dikh raha hai... Tum dono par hamla hua hai..."
"Itna asan nahi hai Kabir... Mai is waqt kisi par bharosa nahi kar sakti..."
"Aur mujhe par?"
Maine uski kalayi pakad li... Uska hath abhi bhi buri tarah kanp raha tha... Usne ek jhalak mujhe dekha... Uski ankhein lal thi... Age kya karna hai use samajh me nahi aa raha tha...
"Humari first priority hai Shoiab ko bachana... Ise uthane me meri madad karo"
"Kahan le jana chahti ho ise... Aur kaise... Bahar party me log dekh lenge... Aur Amith... Wo bhi to bahar khada hai..."
Smriti ne ek pal ke liye kuch socha...
"Tum Amith ko call karo aur keh do ki maine tum dono ko aj aur kal ki chutti de di hai... Do it fast!"
"Oo...ok"
Maine der na karte huye Amith ko call kiya
"Hello Amith"
"Haan bhai bol... Kidhar chala gaya yaar tu... Mai yahan akele khade khade bore ho raha hoon... Madam ne fatkar nahi mari kya tujhe"
"Are nahi... Balki unhone to... Chutti de di hum dono ko... Do din ki"
"Kya baat kar raha hai... Sach me?"
"Haan yaar... Wo gaon me... Mere ek rishtedar ki shaadi hai... Mujhe chutti chahiye thi to madam ne dono ko de di... Sun mai nikalta hoon mujhe bus pakadni hai..."
"Are chal na mai chhod deta hoon... Bike hai na apne pass"
"Nahi tu nikal jaa mai highway par hoon... Bus le loonga"
Maine baat ko wahi khatam karte huye call kat diya... Shoaib ko ek taraf se maine pakda aur ek taraf se Smriti ne...
"Peeche ki taraf ek seedi hai... Wahan se le chalte hai... Shoaib ne bahar ek car park ki hai... Usme le chalenge ise"
Mai darwaza kholne hi ja raha tha ki tabhi ek goli akar pass wali deewar pe lagi... Wo goli Smriti ki baju ko lag kar guzri thi... Usne apne mooh par hath rakh liya taki uski aah na nikle...
"Jaldi... Shoaib ko cupboard ke andar le jao"
Mujhe samajhne me der nahi lagi ki hum par firse hamla ho raha hai... Maine Shoaib ko cupboard ke andar bitha diya... Smriti dusri taraf ki deewar ke piche chhup gayi... Tab tak 2 4 aur goliyan chal chuki thi
Kisi sharp shooter ka nishana galti se chuk gaya tha warna goli Smriti ke dil ke aar par hone wali thi... Nishana chukne ke baad kuch shooters anda dhun goliyan chala rahe tha... Ye resort ka pichla hissa tha aur silencer lage hone ke karan goliyon ki awaz bhi nahi aa rahi thi...
Smriti ne bhi apni gun nikal li aur uspar silencer laga liya... Aur jis taraf se goliyan aa rahi thi us taraf goliyan chalane lagi... Mai bhi apni gun nikalne laga to usne ishare se Shoaib ki gun issemal karne ko kaha... Maine wahi kiya...
Par kab tak? Us taraf se goliyon ki tadad badhti jaa rahi thi... Kuch der baad bhari matra me goliyan barasne lagi
"Smriti please mujhe back up bulane do... Warna yahan se koi zinda nahi bach payega... Na Shoiab na hum..."
"Nahi... No backup... Shoaib ki pocket me dusri gun hai... Wo mujhe do..."
"Mujhe tumhare irade kuch thik nahi lag rahe Smriti"
Maine gun sarkate huye kaha...
"Ab meri baat dhyan se suno... Shoiab ko uthao aur niklo yahan se... Ye lo... Is phone me pata aur kuch phone numbers hai... Inse contact kar lena... Tumhe kisi bhi haal me Shoiab ko bachana hoga Kabir..."
"Kya kya matlab... Tum chahti ho ki mai tumhe is halat me chhod ke chala jaun? Pagal samajh rakkha hai kya tumne mujhe?
Bhulo mat... Tumhari hifazat karna meri duty hai... Aur tumhe is halat me chhod kar....."
"Dekho Kabir... Ek policewala hone ke nate tumhari pehli duty tumhari wardi ke prati hai... Aur is waqt Shoaib ko bachna bohot zaroori hai... Aur jahan tak baat hai mai apni hifazat khud kar sakti hoon..."
"Dekho Smriti... Zid mat karo... Mai covor karta hoon tum niklo Shoiab ko leke"
"Tum shayad bhul rahe ho Kabir mai tumhari boss hoon... And it's an order"
"Smriti tum mujhe aese majboor nahi kar sakti... Aur mai tumhari har baat man loon aesa Zaroori to nahi!"
Smriti ne ek jhalak meri aur dekha... Ankhein uski kuch chalki chalki si lag rahi thi... Jaise wo bohot kuch kehna chah rahi ho... Par keh nahi paa rahi... Mai bhi usse apne dil ki baat aj keh dena chahta tha... Aj tak jo bhi kuch galat kiya uske liye maafi mangna chahta tha... Par aj na to waqt mere sath tha aur na hi halat...
Mere kuch samajh pane se pehle hi Smriti pagalon ki tarah goliyan chalane lagi...
"Niklo niklo niklo... Shoaib ko bachana hi hoga Kabir... And listen... Do not trust anyone!!!"
Super fantastic updateUpdate 3
"Mai tumhe chhod kar nahi jaunga Smriti"
Maine goliyan chalate huye kaha... Hum jahan chhupe the wahan se room ke darwaze tak ka raasta bas 2 kadmon ka tha... par utna chalne me hi humara seena challi ho jata...
"Tum Shoaib ko uthao aur darwaza kholo... Mujhe baju wali chhad par goli chalane wale dikh rahe hai... Mai unhe target karti hoon..."
Mujhe ek pal ke liye laga ki Smriti ne meri baat man li... Maine Shoaib ko uthaya aur bahar le jane laga... Par jis pal maine darwaze se bahar pair rakha... Smriti ne piche se darwaza band kar diya...
"Smriti... Please aesa mat karo... Mai tumhe chhod kar nahi ja sakta"
"Aur mai Shoaib ki jaan khatre me nahi dal sakti... Ye log yahan mujhe marne aye hai... Aur agar mai tum logon ke sath gayi to ye log picha nahi chhodenge... Please tum jao aur Shoaib ko... Ahhhh..."
"SMRITI... kya hua tumhe..."
Darwaze ke us par se mujhe Smriti ki dard bhari "aah" saaf sunai de rahi thi... Mujhe pata chal gaya ki Smriti ko goli lagi hai...
Mai darwaza khol kar andar jane hi wala tha ki samne ki seediyon se kuch log daudte huye humari taraf badh rahe the... Mujhe samajh aa gaya ki mai yahan ruka to mai kisiko nahi bacha paunga... Na Shoiab ko Na Smriti ko...
Maine Shoiab ko uthaya aur piche ki seedhi se niche le gaya... Jaise Smriti ne bataya tha wahan ek gadi khadi thi... Mai Shoaib ko wahan bithakar upar ki taraf bhaga to goliyon ki awaz ruk gayi thi... Mai dheme kadmo se age badha...
Achanak charon taraf police ka siren bajne laga... Mai samajh gaya jin logon ke pairon ki awaz maine suni thi wo policewale the...
"Do not trust Anyone"
Mere kano me Smriti ki awaz gunji... Mai janta tha ki mai Shoiab ya Smriti kisi ko bhi akele nahi chhod sakta... Lekin mai karta bhi to kya... Agar Smriti ke pass jata hoon to Shoiab apni jaan gawa dega... Aur nahi gaya to kahi wardi ke aad me chhupe Smriti ke dushman... Use kuch kar na de...
Mai isi ajeeb kashmakash me tha ki maine balcony me kisiko dekha jisse meri saans me saans ayi...
Balcony me Anubhav khada tha... Anubhav pichle saal hi IPS bana tha... Par ye uska pehla prayas tha... Isliye uski umar kafi kam thi... Wo rishte me Smriti ka chachera bhai lagta hai... Aur dono me accha rishta hai...
Aur baat sirf rishte ki nahi... Belt ki naukri me kaun kaisa hai is baat ki pehchan mujhe bakhoobi hai... Kiski kohni ghus me dubi hai... Kaun pressure me akar ghus leta hai aur kaun itne dabao me bhi apni reed ki haddi seedhi rakh kar chalta hai isko parakhne ki taqat bhagwan ne mujhe birasat me di hai...
Aur jahan tak baat hai Anubhav ki... Smriti ki tarah kuch kar dikhane ka jaswa aur apni duty ke prati imandari... Inke khun me behti hai... Mujhe is baat ka andaza ho gaya ki ye rescue operation shayad Anubhav ne hi lead kiya hai...
Mai chahta to tha ki ek jhalak Smriti ko dekh lun... Par maine khud ko badi mushkil se wapas moda... Gadi me baitha aur nikal gaya... Charon taraf police thi... Mujhe agar thodi si der aur hoti to shayad nahi nikal pata...
Maine gadi highway par lakar piche dekha... Jab laga ki haan koi humara picha nahi kar raha to maine gadi ek side laga di...
Phone apni jeb se nikala aur adress dhundne laga... "Notes" app me mujhe kayi address mile... Mai samajh nahi pa raha tha ki Shoiab ko kaha le jana hai...
"Pha...pharmacy... Mujhe pharmacy ... Le... Chalo"
Shoiab ko thoda thoda ho sh aa raha tha... Maine list me dhund to haan ek pharmacy ka address to tha... Par is waqt kya ek chhoti si pharmacy me Shoiab ka ilaj ho payega?
Pata nahi... Kuch pata nahi... Is raat ki har wardaat ka koi matlab hi nahi bana paa raha mai... Ab bas mera maqsad ek hi tha... Shoiab jo wo jaha bhi jana chahta hai wahan pohcha ke Smriti ke pass jana... Use akela chhodna khatre se khali nahi thi...
Mai Mumbai me naya tha... Map raaste in sab ke baare me pata hone ke bawajood... Ye pharmacy dhudne me mere paseene chhot gaye...
Aj ek raat me maine itne kanoon tode the... Ki in sab ko milakar asani se koi bhi meri wardi khade khade utarwa sakta hai... Huh! Par mai ab karun bhi to kya...
Akhir kar mujhe pharmacy mil gayi... Aur pehli baar pata chala ki Mumbai me itne traffic lights aur unpe itne police wale tainat rehte hai... Apna gaon hota to kabka pohcha deta...
Maine phone se pharmacy ka no dial kiya... Kisine nahi uthaya... Mai sochne laga ki kya karu... Kya Shoiab ko kisi hospital me le jaun
"On your knees... Ghutne pe baitho..."
Mumbai ki wo sumsan gali achanak darawni ban gayi... Kali poshak me kuch log hathon me bandook liye mere samne aa gaye... Kisine meri pith aur mathe par waar kiya aur mai behosh hone laga...
"Are ye Shoiab ko laya hai... Are uthao ise..."
Agle hi pal mujhe mehsoos hua ki kuch logon mujhe utha liya aur pharmacy ke andar le jane lage... Par uske baad kya hua... Mujhe yaad nahi...
"Are yasmeen tune ye kya kiya... Dekh to bechare ko kitnj zor se mara hai... Ab tak hosh nahi aya... Waese ye hai kaun..."
"Are yaar maine zor se nahi mara... Ye Mard ke bhes me hai hi nazuk kali... Koi Kabir Sigh Rathod hai... IPS batch 2017... Smriti ke 3 bodygurds me se ek"
"Ohh... To ye wo hai... Yaar dekh na... Kitna handsome hai... Iski bajuyein... Uff jaise faulad ki bani hai... Chehra... Ahhh... Man karta hai chhum loon..."
"Haan to chhum le na... Kisne mana kiya hai"
Hosh to mujhe 10 15 minute pehle hi aa gaya tha... Par mai chup chap bed pe pada pada in do ladkiyon ki baatein sun raha tha... Ek ka nam Yasmeen hai ye mujhe pata chal gaya...
"Yasmeen, Suman idhar aao... Shoiab ko hosh aa raha hai..."
Maine dono ladkiyon ko kamre ke dusri taraf jate huye mehsoos kiya... Maine ankhon ko adhkhula karte huye apna mooh dusri taraf kiya to Shoiab adha leta hua tha... Sab log use ghere khade the... Ek pregnant aurat jo shayad apne akhri mahine me thi usse lipat kar ro rahi thi...
Kya isi liye Smriti Shoiab ko bachane ke liye itni pagal thi... Najane kyun meri ankhein chalakna chahti thi... Mai Shoiab ka koi nahi... Wo mera akru boss aur mai uska izzat na karne wala junior hoon... Par aj use apno ke sath dekh kar mera dil khushi se bhar gaya... Kya ye Smriti janti thi... Ki mai Shoiab ko bacha lunga...
Par Smriti... Uska kya... Mujhe uske pass jana hai... Jana hi hoga... Uski... Uski jaan khatre me hai...
Maine apne ap ko bistar se uthane ki koshish ki to poora sharir bohot bhari lag raha tha... Sir chakra raha tha... Sirf chont ki wajah se nahi... Lagta hai kuch dawaiyon ka bhi asar tha...
Mai uth khada hua... Par apne kadmo par nahi tik paya... Bed par baith gaya... Maine pas hi apni shirt tangi huyi dekhi... Mai uthakar pehenne laga...
Mai chahta tha ki yahan se chup chap nikal jaun... Maine kamre ke charon taraf dekha to kamra thoda purana sa laga... Aur sabse hairani ki baat to ye thi kamre me mujhe kahi darwaza nazar nahi aya...
"Sit down young man... Yahan tum surakshit ho... Aur tumhe aram ki sakht zaroorat hai!!!"
Awesome fabulous updateUpdate 4
Maine mud ke dekha to samne ek lamba chauda admi khada tha... Kad me shayad mujhse bhi thoda lamba... Par umar ki wajah se sharir thoda jhuk gaya tha... Par fir bhi takriban 60 65 ki umar me bhi wo kafi taqatwaar maloom par rahe the...
"With due respect to your concern sir... Mai aur nahi ruk paunga... Mujhe is waqt bohot zaroori kaam hai... Mujhe Smriti ke pass jana hai".
"Smriti ko hospital le gaye hai... Waha uska ilaj ho raha hai... Tum koi doctor to nahi... Ki uske liye is waqt dua se jyada kuvh kar paoge... Aur dua tum yahan ruk kar bhi kar sakte ho..."
Wo admi mujhse baat kar hi raha tha ki wo do ladkiyan jisme se ek kanam Yasmeen aur ek ka nam Suman tha... Aur sath hi ek ladka... Mere aas pass akar khade ho gaye... Maine gaur kiya ki sab ke pass bandookein thi aur mai is waqt khali hath tha... Mai bed par pair chadha kar baith gaya...
"Everyone Relax... Ye bhi ek officer hai... Acche se pesh aao inke sath..."
Us admi ki baat par wo teeno idhar udhar rakhe chair aur sofe par baith gaye...
"Kya mai jan sakta hoon... Ki yahan kya ho raha hai? Aur ap log kaun hai?"
Maine shant tarike se pucha...
"Mera nam Sanjeev Kelkar hai... Mai ek Retired judge hoon... Aur ye Suman meri beti aur Sameer mera beta... Aur ye Yasmeen hai... Smriti ki school friend... Aur Shoiab se to tum mil hi chuke ho... Aur wo Shoiab ki patni Afreen"
Maine sab par nazar ghumai... Par abhi bhi mai kuch thik se samajh nahi paa raha tha...
"Dekho Kabir... Ye to hume bhi thik se nahi pata ki kya hua... Kyun hua aur kaise hua... Ye baat to mujhe bhi abhi tak sahi se nahi pata...
Tell me Kabir... Kya tumhe kabhi is baat ki hairani nahi hui... Ki sirf Smriti ki suraksha ke liye itni security kyun?"
"Sawal to uthe man me... Par..."
"Par tumne kabhi pucha nahi... hai na?"
"Dekho Kabir mai aj tumhe kuch baatein batana chahunga... Kyun ki Shoiab ki jo halat hai... Uske baad tumhe hi Smriti ki security ka zimma uthana hoga..."
Mai gaur se Sanjeev ji baatein sunne laga...
"Smriti ki maa matlab Annu meri chacheri behen hai aur uske pita mere acche dost... Isi silsile me mai use janta hoon...
Karib 3 mahine pehle... Ek din Smriti ne mujhe call kiya... Uski posting pehle Madhyapradesh me hui thi... Shayad tum jante hoge..."
Maine haan me sir hilaya...
"Wo call par mujhe thodi ghabrayi hui lagi... Aur wo jitna ho sake utna us ghabarahat ko chupane ki koshish kar rahi thi... Usne meri madad mangi... Kaha meri posting Maharashtra me specially Mumbai ya Thane me karwa dijiye...
Mere kuch connections the... Maine uski posting hone me madad ki... Par sirf meri madad se ye samvab nahi tha...
Is mamle me Aditya... Politician... Jante to hoge use..."
Maine haan me sir hilaya...
"Usne Smriti ki bohot madad ki"
Maine bohot koshish ki... Mere dil ka toofan chupa loon... Par Aditya ka nam sunte hi mai khud ko rok nahi paya... Mere chehre ke bhav dekh kar Sanjeev ji ko ye shayad ab tak pata chal gaya hoga ki mai Aditya ko bilkul pasand nahi karta...
"Smriti ki posting par kayi sawal uthe... Use Executive Officer ki post mili... Lekin is post ke liye aur experienced log tak lagaye baithe the... Par Smriti ne aesa kyun kiya mujhe aj tak pata nahi chala...
Yahan ane ke baad Smriti ne apni team banani shuru kar di... Suman, Sameer, Yasmeen, Ek lawyer hai Sugandha aur Shoiab... Ye sabhi log kisi mamle me Intel jama kar rahe the... Par kisi ko bhi nahi pata ki poora mamla kya hai..."
"Dekhiye Sanjeev ji..."
Maine apni baat shuru ki...
"Aj Smriti ne Shoiab ko bachane ke liye apni jaan dao pe laga di... Kuch log itne beparwah hai ki wo is district ke Executive Officer par hamla kiya wo bhi ek high profile party me... Ap mujhe jitna bata rahe hai usse kayi jyada pechida hai ye mamla... Ab pata nahi Smriti kis halat me hai...
To mai ab apki izazat chahta hoon..."
"Haan jaroor... Mera beta tumhe ghar chhod dega... Ye lo... Ye pendrive rakho... Isme hume jo kuch bhi pata hai... Wo sari jankari hai... Use it well young man"
"Waese ye jagah hai kya"
Maine Sanjeev ji se pucha...
"Haha... Ye jagah... Ye ek safe house hai... World war one me ise pehli baar banaya gaya tha... Uske baad freedom fighters ne ise use kiya... Ye jagah mujhe pariwarik virasat ke roop me mili hai..."
"Par yaha se nikal ne ka raasta?"
"Come with me..."
Sameer ne mujhe apne sath ane ko kaha...
"Kabir..."
Mai is jagah ko chhodne ko taiyaar tha hi ke Shoiab ne mujhe oiche se awaz lagai... Wo bed par adha leta hua tha aur uske pet par patti bandhi hui thi... Mai uski taraf age badh gaya...
"Thank you... Aj tum aur Smriti nahi hote... To mai baap banne ki khushi milne se pehle hi is duniya se jaa chuka hota"
"Are sir please... Ye to mera farz tha"
Shoiab ne mujhe achanak gale laga liya... Pehle mujhe laga shayad bhabhuk hokar... Par fir usne sabse chupa kar mere kan me fusfusaya...
"Packet tumne ek baar kho diya... Dobara mat khona... And remember do not trust anyone"
Maine us lifafe ko seedha meri shirt ke andar sarakte huye mehsoos kiya... Sabse chupa kar Shoiab ne us pagal se admi ke diye packet ko mujhe saunp diya... Mai itni afra tafri me is packet ke baare me bhool hi gaya tha... Pata nahi kaise Shoiab ne ise apne pass chupa liya... Aur yahan use mujhe ye packet chupa kar dene ki kya zaroorat hai... Kya ye sab uske dost nahi?
Mera dimag charon taraf kam karne laga... Jo ab tak mujhe bataya gaya wo sach hai?? Kya wakai mai yahan se aj zinda nikal paunga?
Mai dhere dhere Sameer ki taraf age badh gaya... Wo bhi mujhe raasta dikha kar ek sink ki taraf le gaya... Wahan usne meri taraf muskura kar ek tile ko piche ki taraf sarkata to pass hi ek khufiya darwaza sarak kar khul gaya... Mai ek pal ke liye hairan ho gaya...
Sameer ke piche piche mai us darwaze se hote huye pharmacy tak aa pohcha... Sameer ne bahar khadi bike start ki aur mai uske piche baith gaya...
Maine raaste me ek collegue ko message karke pucha ki Smriti ko kis hospital me le gaye hai... Maine Sameer ko wahi le chalne ko kaha...
Aj ki raat ne meri zindegi ko ulat palat kar rakh diya... Lekin jo bhi kuch hua... Usme sabse zaroori is waqt yahi tha ki mai Smriti ke pass pohoch paun... Use ek jhalak dekh lun... Wo thik to hai na... Mujhe ye tak pata nahi ki use goli kahan lagi... Mai isi kashmakash me gum tha ki hospital aa gaya...
Sameer ne mujhe utara aur bina kuch bole bike ghuma kar chala gaya... Mai daudta hua andar gaya... Maine reception par Smriti ka nam bola to bataya ki patient critical hai aur use ICCU me rakkha gaya hai...
Mera dil baith gaya... Mai Smriti ki is halat ke liye baar baar khud ko dosh de raha tha... Uski hifazat meri zimmedari thi jise mai nibha nahi paya... Maine itna bebas aj tak khud ko kabhi mehsoos nahi kiya jitna aj kar raha hoon... Man kar raha tha... Use gale laga lun... Ek baar wo mujhe tham le... Aur mai ek baar usse maafi mang lun...
Mai daudta hua ICCU ke bahar pohcha... Mai use ekbaar bas dekhna chahta tha par wo bhi aj mumkin na ho saka...
ICCU ke bahar Aditya khada tha... Sath hi uske admi uske body guards aur bohot sare policewale... Aditya ka chasma uske hath me tha... Wo ek tak cabin ke andar dekh raha tha... Uske ankhon me nami thi... Smriti ko khone ke dar se bhi bar kar ek aur dar mujhe satane laga... Kya rishta hai in dono ka?
Mai dheme kadmo se age badha... Lekin jaise hi Aditya ki nazar mujh par padi... Uski ankhein gusse se jal uthi...
"Giraftar kar lo ise... Yehi hai culprit... Isiki wajah se Smriti ki aj ye halat hai... Arrest him"
Saari ungliyan mujh par uth rahi thi... Mai kuch samajh pata... Apna bachao kar pata... Usse pehle hi mere department ke log... Mere juniors ne mujhe hatkari pehna di!!!