• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 1

“Uuh aah let the music play… Uuh aah let the music play…”

“Kabhi kabhi sala mujhe aj kal ke gaano se sir dard hone lagta hai… Specially un gaanon se jo remix ho. Par mera ajkal inse picha hi nahi chhut raha…”

Mai man hi man barbara raha tha ki tabhi kisi ne mujhe piche se cigarette offer ki…

“Ye le bhai… apna dimag thanda kar…”

Wo Amith tha… Mera naya partner.

“No thank you… Duty par mai ye sab nahi peeta.”

“Hahahaha…”

Meri baat sun kar wo thahake laga kar hasne laga…

“Chalo thik hai tum nahi to hum hi pee lete hai…”

Amith Cigarette ko mooh me rakh kar jalane laga…

Ek baar dil kiya ki use toku… Par apneko kya… Dusron ke mamlon pe tang adane ki adat badi mushkil se gayi hai… Ab aur nahi…

“Lagta hai apni Madam bohot rangeen hai bhai… 7 din huye hai Madam ko Mumbai me posting huye aur har raat unhone party karke bitayi hai”

Maine kuch nahi kaha… par baat to uski sahi thi… In 7 dino maine Madam ko jitni paty karte dekha hai utna to mai kabhi soch bhi nahi sakta.

“Aur batao… Inki posting se pehle kitne danke bajaye gaye… Madam jis department jis district me jati hai corruption khatam kar deti hai… kitne afsaron ka tabadla kara chuki hai… Is operation se unka nam joda jata hai to kabhi us operation se…

Maine to socha tha ki badi mast duty lagi hai bhai… Mumbai me Criminals ki kami nahi… aur apni madam ko criminals pasand nahi… par hath lagi khak… 7 din se bas netayon ki partyon me bhare ke tattu ki tarah inke age piche ghoom raha hoon. Aur har din inko ya to kisi politician ke sath ya to kisi businessman ke sath in behooda gaano par dance karte dekh raha hoon

Saala ab to dar lagne laha hai kahi koyi wardi utar kar waiter ke kapde na pehna de…”

Maine Amith ki baaton ka koi jawab nahi diya… Wo kuch jyada hi bolta hai… par uski har baat se aj mai sehmat tha…

“Aye tum… Ye tum kya kar rahe ho... Duty par cigaratte pi rahe ho... Niklo… Nikal jao yahan se”

Amith ne ek jhatke me apna cigaratte niche feka aur usko pair se daba kar khada ho gaya…

“Sssssorry sir… Galti ho gayi… Par karne ko kuch hai hi nahi sir… To isiliye…”

Mai hairan tha… Use dant lagane wala aur koi nahi balki humare unit ka head tha… Shoiab Ansari… Par Amith ne darte huye ya dar ka natak karte huye use sach kehne ki jurrat akhir kar hi di…

Shoiab use kuch der use kha jane wali nazron se dekha aur bade shant tarike se kaha…

“Mam ki hifazat karna wo jahan jaye unke sath jana aur ukna har hukum manna is your only duty… So chupchap sharafat se khade raho warna wardi utar ke de do… tumhari jagah lene walon ki list mere pass bohot lambi hai samjhe ”

“Oohhh Shoiab… Bas bhi karo… Har waqt juniors ko darana Dhamkana thik baat nahi…”

Amith ka chehra jo do pal ke mazak ki fatkaar ne feeka kar diya tha… Mujhe usme thodi si jaan laut-ti huyi dikhayi padi… Madam ne shayad aj ke liye bacha liya tha use… Par ab ek galti mujhse ho gayi…

Maine Madam ko dekha to dekhta hi reh gaya… halanki ye baat ladkon ke liye aam hai… ghurna humari fitrat me hai… par aj ye fitrat aj galat jagah rang dikha rahi hai… Mai halanki kisi bhi ladki ko ek se jyada baar ghur kar nahi dekhta… par unhe... Unhe kaise na dekhun…

Maine unhe kaale color ki sari me aj tak kabhi nahi dekha… Aur dekha to pata chala is rang ki tarah koi rang unpar itna accha nahi lagta… wo muskura kar Shoiab se baat kar rahi thi to meri nazar unke hothon par hi tik gayi… laal lipstick aur unke hothon ka ubhar… kaano me bas unki awaz khanak rahi thi… Meri nazrein apne ap unke pardashi kaale color ki saari se jhankti angon ka peecha karte huye unki nabhi par ja atki…

Bohot koshishon ke baad maine ankhe hatayi to unke kaano pe latakti heere ki baliyon ne nazaron ka hath tham liya… Aur jaise hi nazar akhon par pari to dil ko maine itna zor se dhadhakte huye mehsoos kiya ki party ki behooda gaanon ki awaz sunai dena band ho gayi… Woh bhi mujhe hi dekh rahi thi…

Pata nahi wo ek lamha tha ya ek arsa… Pata nahi mai kab tak yunhi ghoorta raha… usne kuch der baad apni nazar hata li… par mai… nahi hata paya…

“Tum inhe nahi janti Smriti… Ye log…”

“Ye log kya… Let them be… Tum mere sath chalo… Mujhe tumhe kisise milwana hai… Come”

Wo Shoiab ki kohni pakad kar apne sath le jane lagi… Mujhe accha nahi laga... mera moh ek pal me toota aur mai firse zamin par aa takraya…

“Ufff baal baal bache yaar… Ye Shoaib to meri jaan hi kha jane wala tha… Itni buri bhi nahi hai apni Madam… hai na?”

Maine Amith ki baat par kuch nahi kaha

“Waise kya lagta hai… kya umar hogi inki… Mujhe to 25 ki lagti hai… Par usse to jyada hi hogi… jahan tak maine suna hai 3 saal ho gaye hai service me”

“hmmm…”

Amith aese hi idhar udhar ki baatein karta raha aur mai chup chap ati jaati gaariyon par nazar rakh raha tha….

“Excuse me… Kya ap log Smriti Mam ke sath hai?”

Ek admi jise mai kuch der se isse usse baat karte huye dekh raha tha wo achanak hi mere pass aa gaya… Mujhe kafi der se aesa lag raha tha ki ye admi is party me kuch mel nahi kha raha… purane se kapde… lambi dadhi much… Admi mujhe kuch thik nahi laga…

“Haan… Kya kaam hai apko?” .,Maine sakhti se kaha…

“Wo… Wo mujhe ye packet madam ko dena hai… unhone kaha tha ki wo meri madad karengi… mujhe mera haq dilwayengi… mujhe ye packet dena hai…”

“Dekhiye abhi mam busy hai… Ap subah office aa jaiye… wahan ap mam se milkar packet de dijiye… Abhi nahi ho payega”

“Nahi… Nahi… Abhi… Abhi dena hai packet…”

Us admi ka chehra laal pad gaya… wo mujhse behes karta raha… maine pareshan hokar uska packet rakh liya aur jane ko kaha… par phir bhi wo ajeeb harkatein kare jaa raha tha… Tamasha banne ki kagar par tha to mujhe use bahar nikalna pada…

“Ajeeb admi hai yaar…” Amith ne tippani ki…

Mai packet ko ulat palat kar dekh raha tha… Andar dher saare kagaz the ye to saaf pata chal raha tha…

“Tu ruk mai mam ko ye de kar ata hoon”

Mai Amith ke jawab ka intezar kiye bina hi andar chala gaya… Pata nahi maine aesa kyun kiya… Andar hall me sab log ekdusre par girte padte huye dance kar rahe the… Mai waiters se puchta huya age badhne laga… unme se ek se mujhe first floor par kisi room ki taraf ishara kiya… mera man khatta ho gaya…

Ek pal ko mai ruk kar sochne laga ki kya jana sahi hoga… Mai saaf samajh raha tha ki mam ko ek jhalak dekhne hi mai yaha andaar chala aya hoon… par us kamre tak gaya to pata nahi kya dekhne ko milega… kyunki Shoaib aur Mam kamra band hokar jo bhi kar rahe hai… mai use dekhne me koi ruchi nahi rakhta...

Par fir bhi mai age badh gaya… jaise koi andekhi dor mujhe apne taraf khinch rahi hai aur mujhme itni taqat nahi ki ulti taraf khud ko mod saku…

Maine room ka darwaza khat khataya… koi awaz nahi… Maine dobara khat khataya… koi awaz nahi… mera halak sukhne laga tha… dil kar raha tha zor zor se darwaza pitun aur Smriti ka nam chillaun… par mai aesa nahi kar sakta…

Achanak mujhe room se kuch dabi dabi… ghuti ghuti aahein sunai dene lagi… Mujhse hosh sambhala nahi gaya… maine zor se darwaze ko dhakka diya to pata nahi kaise wo khul gaya… mujhe pata chala ki darwaza band tha hi nahi… Lekin jo nazara ab meri akhon ke samne tha… mai use dekh kar hosh kho baitha!!!
Nice Updateee
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 2

Samne ka nazara dil dehla dene wala tha... Mai samajh nahi paya ki kya karun...

Ek admi mere samne chatfata raha tha... Aur uska gala ghot rahi thi Smriti... Haan Smriti... Wo admi kafi lamba aur hatta katta maloom pad raha tha... Smriti ne apna poora zor laga rakha tha... Uska hath thik se nahi pohoch raha tha to Smriti uske pith pe chadhi huyi thi... Uske hath me ek lohe ki tar thi jise wo pori takat se piche ki taraf khinch rahi thi...


Dum ghutne ki wajah se us admi ki jeebh bahar latak rahi thi... Lohe ki tar ne gardan par khoon ki lakir khinch di... Wo badi mushkil se ek hath tar ke andar fasa kar saans lene ki koshish kar raha tha... Mai ye sab dekh kar hakka bakka reh gaya...

"Shut the fucking door! You idiot!"

Smriti ne dabi magar saaf awaz me kaha... Maine chaunkte huye jaldi se darwaza band kiya...

"Mam leave him... Mai... Mai dekh lunga ise..."

Maine baat sambhalne ki koshish ki... Par isse Smriti ko aur gussa aa gaya aur wo aur zor se gala dabane lagi...

"Chup raho aur Shoaib ki madat karo"

Mera dhyan zamin par gire Shoiab ki taraf gaya... Uska mooh niche ki taraf tha... Maine unhe palta to pata chala unko goli lagi hai... Maine unka blazer khol diya... Goli uske pet ki upar ki taraf lagi thi... Mujhe pith par goli ke bahar jane wala ghao nahi dikha... Iska matlab goli abhi andar hi thi...

Maine apna rumal nikal kar uske ghao par dabao banaya... Khoon kafi beh chuka tha aur saaf pata chal raha tha ki use ilaj ki sakht zaroorat thi...

"Ye... Ye sab... Mai backup bulata hoon"

Maine dusra hath apne phone ki taraf badhaya to Smriti ne mera hath pakad liya...

"Koshish bhi mat karna... Samjhe..."

Wo tabtak us admi ka kaam tamam kar chuki thi aur hanf rahi thi... Kahan gayi saree aur kahan gaya uska muskurana... Wo is waqt kale top aur pant me kisi yoddha se kam nahi lag rahi thi...

"Par kyun... Yahan aesa kya hua Smriti... I... I mean Mam ki apko is admi ko marna pad gaya..."

Smriti ne meri baat ka koi jawab nahi diya aur Shoiab ki nabs dekhne lagi...

"Bataogi ab kuch..."

Mere sabr ka bandh toot ta jaa raha tha... Smriti ke chehre aur bajuyon par kayi nishan the...pata chal raha tha wo kafi der se is admi ke sath akele lad rahi hai...


Usne room ke bedsheet ko khinch ke utara aur uska ek tukda fad ke shoiab ke ghav ke aju baju lapet kar kas ke bandh diya...

"Tum mujhe wo packet dene aye ho na... Jo tumhe Doctor ne diya hai..."

Smriti ke is achanak pooche sawal se mai chaunk gaya...

"Haan... Wo... Ye raha..."

"Keep it... Sambhal kar rakho ise... Aur jab tak mai na mangu... Ise kisiko mat dena... Kar paoge?"

Maine haan me sir hilaya...

"Tum is wardaat ko report kyun nahi karna chahti Smriti... Saaf saaf dikh raha hai... Tum dono par hamla hua hai..."

"Itna asan nahi hai Kabir... Mai is waqt kisi par bharosa nahi kar sakti..."

"Aur mujhe par?"

Maine uski kalayi pakad li... Uska hath abhi bhi buri tarah kanp raha tha... Usne ek jhalak mujhe dekha... Uski ankhein lal thi... Age kya karna hai use samajh me nahi aa raha tha...

"Humari first priority hai Shoiab ko bachana... Ise uthane me meri madad karo"

"Kahan le jana chahti ho ise... Aur kaise... Bahar party me log dekh lenge... Aur Amith... Wo bhi to bahar khada hai..."

Smriti ne ek pal ke liye kuch socha...

"Tum Amith ko call karo aur keh do ki maine tum dono ko aj aur kal ki chutti de di hai... Do it fast!"

"Oo...ok"

Maine der na karte huye Amith ko call kiya

"Hello Amith"

"Haan bhai bol... Kidhar chala gaya yaar tu... Mai yahan akele khade khade bore ho raha hoon... Madam ne fatkar nahi mari kya tujhe"

"Are nahi... Balki unhone to... Chutti de di hum dono ko... Do din ki"

"Kya baat kar raha hai... Sach me?"

"Haan yaar... Wo gaon me... Mere ek rishtedar ki shaadi hai... Mujhe chutti chahiye thi to madam ne dono ko de di... Sun mai nikalta hoon mujhe bus pakadni hai..."

"Are chal na mai chhod deta hoon... Bike hai na apne pass"

"Nahi tu nikal jaa mai highway par hoon... Bus le loonga"

Maine baat ko wahi khatam karte huye call kat diya... Shoaib ko ek taraf se maine pakda aur ek taraf se Smriti ne...

"Peeche ki taraf ek seedi hai... Wahan se le chalte hai... Shoaib ne bahar ek car park ki hai... Usme le chalenge ise"

Mai darwaza kholne hi ja raha tha ki tabhi ek goli akar pass wali deewar pe lagi... Wo goli Smriti ki baju ko lag kar guzri thi... Usne apne mooh par hath rakh liya taki uski aah na nikle...

"Jaldi... Shoaib ko cupboard ke andar le jao"

Mujhe samajhne me der nahi lagi ki hum par firse hamla ho raha hai... Maine Shoaib ko cupboard ke andar bitha diya... Smriti dusri taraf ki deewar ke piche chhup gayi... Tab tak 2 4 aur goliyan chal chuki thi

Kisi sharp shooter ka nishana galti se chuk gaya tha warna goli Smriti ke dil ke aar par hone wali thi... Nishana chukne ke baad kuch shooters anda dhun goliyan chala rahe tha... Ye resort ka pichla hissa tha aur silencer lage hone ke karan goliyon ki awaz bhi nahi aa rahi thi...

Smriti ne bhi apni gun nikal li aur uspar silencer laga liya... Aur jis taraf se goliyan aa rahi thi us taraf goliyan chalane lagi... Mai bhi apni gun nikalne laga to usne ishare se Shoaib ki gun issemal karne ko kaha... Maine wahi kiya...

Par kab tak? Us taraf se goliyon ki tadad badhti jaa rahi thi... Kuch der baad bhari matra me goliyan barasne lagi

"Smriti please mujhe back up bulane do... Warna yahan se koi zinda nahi bach payega... Na Shoiab na hum..."

"Nahi... No backup... Shoaib ki pocket me dusri gun hai... Wo mujhe do..."

"Mujhe tumhare irade kuch thik nahi lag rahe Smriti"

Maine gun sarkate huye kaha...

"Ab meri baat dhyan se suno... Shoiab ko uthao aur niklo yahan se... Ye lo... Is phone me pata aur kuch phone numbers hai... Inse contact kar lena... Tumhe kisi bhi haal me Shoiab ko bachana hoga Kabir..."

"Kya kya matlab... Tum chahti ho ki mai tumhe is halat me chhod ke chala jaun? Pagal samajh rakkha hai kya tumne mujhe?

Bhulo mat... Tumhari hifazat karna meri duty hai... Aur tumhe is halat me chhod kar....."

"Dekho Kabir... Ek policewala hone ke nate tumhari pehli duty tumhari wardi ke prati hai... Aur is waqt Shoaib ko bachna bohot zaroori hai... Aur jahan tak baat hai mai apni hifazat khud kar sakti hoon..."

"Dekho Smriti... Zid mat karo... Mai covor karta hoon tum niklo Shoiab ko leke"

"Tum shayad bhul rahe ho Kabir mai tumhari boss hoon... And it's an order"

"Smriti tum mujhe aese majboor nahi kar sakti... Aur mai tumhari har baat man loon aesa Zaroori to nahi!"

Smriti ne ek jhalak meri aur dekha... Ankhein uski kuch chalki chalki si lag rahi thi... Jaise wo bohot kuch kehna chah rahi ho... Par keh nahi paa rahi... Mai bhi usse apne dil ki baat aj keh dena chahta tha... Aj tak jo bhi kuch galat kiya uske liye maafi mangna chahta tha... Par aj na to waqt mere sath tha aur na hi halat...

Mere kuch samajh pane se pehle hi Smriti pagalon ki tarah goliyan chalane lagi...


"Niklo niklo niklo... Shoaib ko bachana hi hoga Kabir... And listen... Do not trust anyone!!!"
Awesome Updatee

Aakhir yeh Smriti aur Shoaib waha kya kar rahe the jiske wajah se Shoaib ko goli lagi aur Smriti uss aadmi ko kyo maar rahi thi. Upar se backup bhi nhi bulane de rahi hai.

Dekhte hai Kya hota hai aage Kabir aur Smriti ki zindagi mein
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Update 5




"Sir mai samajh sakta hoon ki mamla thoda critical hai... Par ap bhi samajhne ki koshish kijiye... Kabir bhi ek reputed officer hai use mai aese bina karan bandi bana kar nahi rakh sakta...

Use arrest kiye 22 ghante ho chuke hai... Aur mai use 24 ghante se jyada apni hirasat me nahi rak sakta..."

"To kis kaam ke ho tum DGP??"

Aditya se chikhte huye table par apna hath de mara...

"Maine apse kaha tha na... Smriti ki suraksha kitni zaroori hai... Apne team banate waqt sare afsaron ki tarifon ke pul bandh diye the... Aj jab Smriti par hamla hua... Kaha the apke ye afsab bataiye...

Ek wo... Wo Shoiab... Jo farar hai... Ek wo sub inspector Amith... Jo baatein aesi kar raha hai jaise aj hi pehli baar duty join ki ho... Aur ye... Apka honhar officer Kabir... Isko kuch maloom hi nahi...

Kya hua kab hua kaise hua... Kuch pata nahi... Tabse ek hi raag alap raha hai... Ki Smriti ne khud chhutti de di... Bola jao maze karo...

Kya isme apko koi conspiracy nahi dikhti?? Jisdin Smriti par hamla hua usi din uski team ke sabhi log gayab ho gaye... Just like that?"

"Mai apki baat samajh raha hoon sir... Par Kabir ke khilaf koi pukhta saboot bhi to hone chahiye mere pass...

24 ghante poore hote hi mujhe Kabir ko special court ke samne pesh karna hoga... Aur mere pass uske khilaf case banane ko... Ya use aur kuch din hirasat me rakhne ki appeal karne ke liye koi valid reason nahi hai...

Haan ap politician hai... Powerful hai... Agar ap chahe to... Mai jhuthe saboot plant kar sakta hoon... Agar apki usse koi purani dushmani ya aesa kuch..."

DGP ne apni awaz dheme karte huye bola...

"Pagal ho kya DGP? Kisiko fasa kar kaunsa tum hamla karne walon ko dhund loge batao... Mauka mila nahi ki chaplusi shuru..."

"To sir mai chhod du Kabir ko? Warna mujh par bhi disciplinary action ho sakta hai..."

"Haan chhod do... Par case nahi bana sakte to kya hua... Use suspend to kar sakte ho na?"

"Ji sir bilkul... Apni duty sahi tarike se na nibhane ke jurm me... Kar sakta hun..."

"To kar do..."



"22 ghante 45 minute

22 ghante 52 minute

23 ghante 16 minute

23 ghante 56 minute

"Aaa... Chalo utho... Tumhe sir ne bulaya hai..."

Meri jaan me jaan ayi... Halan ki mai janta tha mujhe 24 ghante se jyada rok kar rakhne ka koi haq nahi inhe par politicians ki chaplusi karne walon ki is system me upar se niche tak koi kami nahi thi...

Mera dimag is waqt buri tarah bhanna raha hai... Mai pichle karib 2 dino se nahi soya hoon... Aur filhal sahi galat me farq karna mushkil ho raha hai... Aese me mai kya karun kya na karun kuch samajh nahi paa raha... Bas baitha baitha waqt ginne ki koshish kar raha hoon


"Are chal yaar kyun time khoti kar raha hai..."

Constable ne mujhe awaz lagai... Mai apni chair se utha aur uske sath chalne laga... Wo mujhe DCP ke room ke bahar intezar karne ka bolkar andar gaya... Aur thodi der baad mujhe andar jane ko kaha...

"May I come in sir"

"Yes Kabir... Aao... Baitho... Mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai"

Mai unke samne chair par baith gaya...

"Dekho Kabir... Maine man liya ki tum kisi conspiracy me shamil nahi ho... Tum ek sacche policewale ho... Par..."

"Par kya sir..." Mai bechain ho gaya...

"Mai tumhe Smriti ke "Attempt to murder" case me to bari kar sakta hoon... Par mujhe tumhe suspend karna hoga"

"What?!"

Mere hosh ud gaye... Ek ye naukri hi to thi jo is zindegi me mera maqsad ban chuki thi... Aur aj ye naukri hi zindegi ne mujhse chhin li...

"Dekho Kabir... Smriti ek high profile case par kaam kar rahi thi... Is district ki Executive Commissioner thi... Aur jisdin uspar hamla hua... Uska koi bodyguard maujood nahi tha?

Jante ho is wajah se mujhe kitna pressure sehna pad raha hai... Isliye sirf tumhe nahi... Shoiab Amith, tum sab ko mai suspend karta hoon...

Tum chaho to apna case special court me le ja sakte ho... Koi accha wakil dhund lo... Department change ho sakta hai... Par shayad naukri bach jaye...

You may go now!"

"Sir bas ek sawal..." Maine behad shant tarike se kaha...

"Kahi ap mujhe suspend kisi political pressure... Ya fir kisi politician ke pressure me ake to nahi kar rahe... Agar kar rahe hai... To aj ke baad mujhe apko dene ke liye izzat nahi bachi sir.

Jai hind!"

Mai utha aur wahan se nikal gaya... Piche se mujhe DCP sir "get out" bolte huye sunai diye par ab kya farak padta hai... Jo hona tha ho hi chuka hai... Ab mere report me wo wahi baatein likhega jo Aditya use likhne ko bolega...

Mai man hi man aag babula hote huye police headquarters se nikal hi raha tha ki meri ek jod ki takkar ho gayi... Mai bhi lad khadaya aur mujhse takrane wala bhi... Mai mud kar dekha to wo Anubhav tha...

Mera gussa achanak se shant par gaya... Par wo ab bhi mujhe behad gusse me dekh raha tha... Haan uske liye mai hi to gunehgaar tha... Wo mud kar andar jane laga ...

"Anubhav... Please... Meri ek baat suno... Please mujhe batao Smriti kaisi hai... Wo thik hai na?"

"Kabir bhai... Apko sharam nahi aa rahi ye puchte huye... Ki Smriti kaisi hai..."

"Dekho mai janta hoon ki tumhari nazron me mai kasoorwaar hoon par mujhe bhi to apna paksh rakhne ka mauka do!"

"Kaunsa mauka... Mauka ap tabhi kho chuke the jab 6 saal pehle apne Smriti ka dil tod diya... Uske baad bacha hi kya uske pass...

Jaise wo jee rahi thi... Kya use jeena kehte hai? Bas apne kam ko zindegi ka ek matra laksh bana kar khud ko jhonkti chali gayi...

Aj bed par padi hai to apko badi fikr ho rahi hai?

Rehne do... Apne ye magarmach ke asu apne pass rakho aur humari Smriti se dur raho... Mai apke age hath jodta hoon..."

Toota hua to mai tha hi... Anhbhav ki baaton se bikhar gaya... Uski kahi haar baat sach thi... Haan mujhse galti huyi... Us galti ki saza Smriti ne bhukti... Aur mai... Kya mai khush tha... Mai bhi to 6 saal se is paap ka bojh apne seene me liye ghum raha hoon...

Mai auto me baitha aur ghar ke liye rawana ho gaya... Raaste me mujhe 6 saal pehle ki haar baat yaad aane lagi... Wo yaadein jo badi mushkil se maine apne andar daba kar rakkhi thi...

Uska hasna uska rona... Uska bachpana... Uski baatein... Uska neend na ana aur fir baat karte karte meri baahon me so jana... Mai kya kya apne gusse aur narazgi ke piche chupa kar baitha tha aur zindegi ke ek hadse ne saare parde hata kar sacchai se rubaru karwa diya!!!
Nice update
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 3



"Mai tumhe chhod kar nahi jaunga Smriti"

Maine goliyan chalate huye kaha... Hum jahan chhupe the wahan se room ke darwaze tak ka raasta bas 2 kadmon ka tha... par utna chalne me hi humara seena challi ho jata...

"Tum Shoaib ko uthao aur darwaza kholo... Mujhe baju wali chhad par goli chalane wale dikh rahe hai... Mai unhe target karti hoon..."

Mujhe ek pal ke liye laga ki Smriti ne meri baat man li... Maine Shoaib ko uthaya aur bahar le jane laga... Par jis pal maine darwaze se bahar pair rakha... Smriti ne piche se darwaza band kar diya...

"Smriti... Please aesa mat karo... Mai tumhe chhod kar nahi ja sakta"

"Aur mai Shoaib ki jaan khatre me nahi dal sakti... Ye log yahan mujhe marne aye hai... Aur agar mai tum logon ke sath gayi to ye log picha nahi chhodenge... Please tum jao aur Shoaib ko... Ahhhh..."

"SMRITI... kya hua tumhe..."

Darwaze ke us par se mujhe Smriti ki dard bhari "aah" saaf sunai de rahi thi... Mujhe pata chal gaya ki Smriti ko goli lagi hai...

Mai darwaza khol kar andar jane hi wala tha ki samne ki seediyon se kuch log daudte huye humari taraf badh rahe the... Mujhe samajh aa gaya ki mai yahan ruka to mai kisiko nahi bacha paunga... Na Shoiab ko Na Smriti ko...

Maine Shoiab ko uthaya aur piche ki seedhi se niche le gaya... Jaise Smriti ne bataya tha wahan ek gadi khadi thi... Mai Shoaib ko wahan bithakar upar ki taraf bhaga to goliyon ki awaz ruk gayi thi... Mai dheme kadmo se age badha...

Achanak charon taraf police ka siren bajne laga... Mai samajh gaya jin logon ke pairon ki awaz maine suni thi wo policewale the...

"Do not trust Anyone"

Mere kano me Smriti ki awaz gunji... Mai janta tha ki mai Shoiab ya Smriti kisi ko bhi akele nahi chhod sakta... Lekin mai karta bhi to kya... Agar Smriti ke pass jata hoon to Shoiab apni jaan gawa dega... Aur nahi gaya to kahi wardi ke aad me chhupe Smriti ke dushman... Use kuch kar na de...

Mai isi ajeeb kashmakash me tha ki maine balcony me kisiko dekha jisse meri saans me saans ayi...

Balcony me Anubhav khada tha... Anubhav pichle saal hi IPS bana tha... Par ye uska pehla prayas tha... Isliye uski umar kafi kam thi... Wo rishte me Smriti ka chachera bhai lagta hai... Aur dono me accha rishta hai...

Aur baat sirf rishte ki nahi... Belt ki naukri me kaun kaisa hai is baat ki pehchan mujhe bakhoobi hai... Kiski kohni ghus me dubi hai... Kaun pressure me akar ghus leta hai aur kaun itne dabao me bhi apni reed ki haddi seedhi rakh kar chalta hai isko parakhne ki taqat bhagwan ne mujhe birasat me di hai...

Aur jahan tak baat hai Anubhav ki... Smriti ki tarah kuch kar dikhane ka jaswa aur apni duty ke prati imandari... Inke khun me behti hai... Mujhe is baat ka andaza ho gaya ki ye rescue operation shayad Anubhav ne hi lead kiya hai...

Mai chahta to tha ki ek jhalak Smriti ko dekh lun... Par maine khud ko badi mushkil se wapas moda... Gadi me baitha aur nikal gaya... Charon taraf police thi... Mujhe agar thodi si der aur hoti to shayad nahi nikal pata...

Maine gadi highway par lakar piche dekha... Jab laga ki haan koi humara picha nahi kar raha to maine gadi ek side laga di...

Phone apni jeb se nikala aur adress dhundne laga... "Notes" app me mujhe kayi address mile... Mai samajh nahi pa raha tha ki Shoiab ko kaha le jana hai...

"Pha...pharmacy... Mujhe pharmacy ... Le... Chalo"

Shoiab ko thoda thoda ho sh aa raha tha... Maine list me dhund to haan ek pharmacy ka address to tha... Par is waqt kya ek chhoti si pharmacy me Shoiab ka ilaj ho payega?

Pata nahi... Kuch pata nahi... Is raat ki har wardaat ka koi matlab hi nahi bana paa raha mai... Ab bas mera maqsad ek hi tha... Shoiab jo wo jaha bhi jana chahta hai wahan pohcha ke Smriti ke pass jana... Use akela chhodna khatre se khali nahi thi...

Mai Mumbai me naya tha... Map raaste in sab ke baare me pata hone ke bawajood... Ye pharmacy dhudne me mere paseene chhot gaye...

Aj ek raat me maine itne kanoon tode the... Ki in sab ko milakar asani se koi bhi meri wardi khade khade utarwa sakta hai... Huh! Par mai ab karun bhi to kya...

Akhir kar mujhe pharmacy mil gayi... Aur pehli baar pata chala ki Mumbai me itne traffic lights aur unpe itne police wale tainat rehte hai... Apna gaon hota to kabka pohcha deta...

Maine phone se pharmacy ka no dial kiya... Kisine nahi uthaya... Mai sochne laga ki kya karu... Kya Shoiab ko kisi hospital me le jaun

"On your knees... Ghutne pe baitho..."

Mumbai ki wo sumsan gali achanak darawni ban gayi... Kali poshak me kuch log hathon me bandook liye mere samne aa gaye... Kisine meri pith aur mathe par waar kiya aur mai behosh hone laga...

"Are ye Shoiab ko laya hai... Are uthao ise..."

Agle hi pal mujhe mehsoos hua ki kuch logon mujhe utha liya aur pharmacy ke andar le jane lage... Par uske baad kya hua... Mujhe yaad nahi...


"Are yasmeen tune ye kya kiya... Dekh to bechare ko kitnj zor se mara hai... Ab tak hosh nahi aya... Waese ye hai kaun..."

"Are yaar maine zor se nahi mara... Ye Mard ke bhes me hai hi nazuk kali... Koi Kabir Sigh Rathod hai... IPS batch 2017... Smriti ke 3 bodygurds me se ek"

"Ohh... To ye wo hai... Yaar dekh na... Kitna handsome hai... Iski bajuyein... Uff jaise faulad ki bani hai... Chehra... Ahhh... Man karta hai chhum loon..."

"Haan to chhum le na... Kisne mana kiya hai"

Hosh to mujhe 10 15 minute pehle hi aa gaya tha... Par mai chup chap bed pe pada pada in do ladkiyon ki baatein sun raha tha... Ek ka nam Yasmeen hai ye mujhe pata chal gaya...

"Yasmeen, Suman idhar aao... Shoiab ko hosh aa raha hai..."

Maine dono ladkiyon ko kamre ke dusri taraf jate huye mehsoos kiya... Maine ankhon ko adhkhula karte huye apna mooh dusri taraf kiya to Shoiab adha leta hua tha... Sab log use ghere khade the... Ek pregnant aurat jo shayad apne akhri mahine me thi usse lipat kar ro rahi thi...

Kya isi liye Smriti Shoiab ko bachane ke liye itni pagal thi... Najane kyun meri ankhein chalakna chahti thi... Mai Shoiab ka koi nahi... Wo mera akru boss aur mai uska izzat na karne wala junior hoon... Par aj use apno ke sath dekh kar mera dil khushi se bhar gaya... Kya ye Smriti janti thi... Ki mai Shoiab ko bacha lunga...

Par Smriti... Uska kya... Mujhe uske pass jana hai... Jana hi hoga... Uski... Uski jaan khatre me hai...

Maine apne ap ko bistar se uthane ki koshish ki to poora sharir bohot bhari lag raha tha... Sir chakra raha tha... Sirf chont ki wajah se nahi... Lagta hai kuch dawaiyon ka bhi asar tha...

Mai uth khada hua... Par apne kadmo par nahi tik paya... Bed par baith gaya... Maine pas hi apni shirt tangi huyi dekhi... Mai uthakar pehenne laga...

Mai chahta tha ki yahan se chup chap nikal jaun... Maine kamre ke charon taraf dekha to kamra thoda purana sa laga... Aur sabse hairani ki baat to ye thi kamre me mujhe kahi darwaza nazar nahi aya...

"Sit down young man... Yahan tum surakshit ho... Aur tumhe aram ki sakht zaroorat hai!!!"
Superb Update

Toh aakhir shoaib bach gaya. Par Smriti ka kyaa hua. Kyaa woh zinda bachi yaa nhi.

Aur yeh dono ladkiyan kaun hai. Woh pregnent aurat jarur Shoaib ki wife hogi.
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 4


Maine mud ke dekha to samne ek lamba chauda admi khada tha... Kad me shayad mujhse bhi thoda lamba... Par umar ki wajah se sharir thoda jhuk gaya tha... Par fir bhi takriban 60 65 ki umar me bhi wo kafi taqatwaar maloom par rahe the...


"With due respect to your concern sir... Mai aur nahi ruk paunga... Mujhe is waqt bohot zaroori kaam hai... Mujhe Smriti ke pass jana hai".


"Smriti ko hospital le gaye hai... Waha uska ilaj ho raha hai... Tum koi doctor to nahi... Ki uske liye is waqt dua se jyada kuvh kar paoge... Aur dua tum yahan ruk kar bhi kar sakte ho..."


Wo admi mujhse baat kar hi raha tha ki wo do ladkiyan jisme se ek kanam Yasmeen aur ek ka nam Suman tha... Aur sath hi ek ladka... Mere aas pass akar khade ho gaye... Maine gaur kiya ki sab ke pass bandookein thi aur mai is waqt khali hath tha... Mai bed par pair chadha kar baith gaya...


"Everyone Relax... Ye bhi ek officer hai... Acche se pesh aao inke sath..."


Us admi ki baat par wo teeno idhar udhar rakhe chair aur sofe par baith gaye...


"Kya mai jan sakta hoon... Ki yahan kya ho raha hai? Aur ap log kaun hai?"


Maine shant tarike se pucha...


"Mera nam Sanjeev Kelkar hai... Mai ek Retired judge hoon... Aur ye Suman meri beti aur Sameer mera beta... Aur ye Yasmeen hai... Smriti ki school friend... Aur Shoiab se to tum mil hi chuke ho... Aur wo Shoiab ki patni Afreen"


Maine sab par nazar ghumai... Par abhi bhi mai kuch thik se samajh nahi paa raha tha...


"Dekho Kabir... Ye to hume bhi thik se nahi pata ki kya hua... Kyun hua aur kaise hua... Ye baat to mujhe bhi abhi tak sahi se nahi pata...


Tell me Kabir... Kya tumhe kabhi is baat ki hairani nahi hui... Ki sirf Smriti ki suraksha ke liye itni security kyun?"


"Sawal to uthe man me... Par..."


"Par tumne kabhi pucha nahi... hai na?"


"Dekho Kabir mai aj tumhe kuch baatein batana chahunga... Kyun ki Shoiab ki jo halat hai... Uske baad tumhe hi Smriti ki security ka zimma uthana hoga..."


Mai gaur se Sanjeev ji baatein sunne laga...


"Smriti ki maa matlab Annu meri chacheri behen hai aur uske pita mere acche dost... Isi silsile me mai use janta hoon...


Karib 3 mahine pehle... Ek din Smriti ne mujhe call kiya... Uski posting pehle Madhyapradesh me hui thi... Shayad tum jante hoge..."


Maine haan me sir hilaya...


"Wo call par mujhe thodi ghabrayi hui lagi... Aur wo jitna ho sake utna us ghabarahat ko chupane ki koshish kar rahi thi... Usne meri madad mangi... Kaha meri posting Maharashtra me specially Mumbai ya Thane me karwa dijiye...


Mere kuch connections the... Maine uski posting hone me madad ki... Par sirf meri madad se ye samvab nahi tha...


Is mamle me Aditya... Politician... Jante to hoge use..."


Maine haan me sir hilaya...


"Usne Smriti ki bohot madad ki"


Maine bohot koshish ki... Mere dil ka toofan chupa loon... Par Aditya ka nam sunte hi mai khud ko rok nahi paya... Mere chehre ke bhav dekh kar Sanjeev ji ko ye shayad ab tak pata chal gaya hoga ki mai Aditya ko bilkul pasand nahi karta...


"Smriti ki posting par kayi sawal uthe... Use Executive Officer ki post mili... Lekin is post ke liye aur experienced log tak lagaye baithe the... Par Smriti ne aesa kyun kiya mujhe aj tak pata nahi chala...


Yahan ane ke baad Smriti ne apni team banani shuru kar di... Suman, Sameer, Yasmeen, Ek lawyer hai Sugandha aur Shoiab... Ye sabhi log kisi mamle me Intel jama kar rahe the... Par kisi ko bhi nahi pata ki poora mamla kya hai..."


"Dekhiye Sanjeev ji..."


Maine apni baat shuru ki...


"Aj Smriti ne Shoiab ko bachane ke liye apni jaan dao pe laga di... Kuch log itne beparwah hai ki wo is district ke Executive Officer par hamla kiya wo bhi ek high profile party me... Ap mujhe jitna bata rahe hai usse kayi jyada pechida hai ye mamla... Ab pata nahi Smriti kis halat me hai...


To mai ab apki izazat chahta hoon..."


"Haan jaroor... Mera beta tumhe ghar chhod dega... Ye lo... Ye pendrive rakho... Isme hume jo kuch bhi pata hai... Wo sari jankari hai... Use it well young man"


"Waese ye jagah hai kya"


Maine Sanjeev ji se pucha...


"Haha... Ye jagah... Ye ek safe house hai... World war one me ise pehli baar banaya gaya tha... Uske baad freedom fighters ne ise use kiya... Ye jagah mujhe pariwarik virasat ke roop me mili hai..."


"Par yaha se nikal ne ka raasta?"


"Come with me..."


Sameer ne mujhe apne sath ane ko kaha...


"Kabir..."


Mai is jagah ko chhodne ko taiyaar tha hi ke Shoiab ne mujhe oiche se awaz lagai... Wo bed par adha leta hua tha aur uske pet par patti bandhi hui thi... Mai uski taraf age badh gaya...


"Thank you... Aj tum aur Smriti nahi hote... To mai baap banne ki khushi milne se pehle hi is duniya se jaa chuka hota"


"Are sir please... Ye to mera farz tha"


Shoiab ne mujhe achanak gale laga liya... Pehle mujhe laga shayad bhabhuk hokar... Par fir usne sabse chupa kar mere kan me fusfusaya...


"Packet tumne ek baar kho diya... Dobara mat khona... And remember do not trust anyone"


Maine us lifafe ko seedha meri shirt ke andar sarakte huye mehsoos kiya... Sabse chupa kar Shoiab ne us pagal se admi ke diye packet ko mujhe saunp diya... Mai itni afra tafri me is packet ke baare me bhool hi gaya tha... Pata nahi kaise Shoiab ne ise apne pass chupa liya... Aur yahan use mujhe ye packet chupa kar dene ki kya zaroorat hai... Kya ye sab uske dost nahi?


Mera dimag charon taraf kam karne laga... Jo ab tak mujhe bataya gaya wo sach hai?? Kya wakai mai yahan se aj zinda nikal paunga?


Mai dhere dhere Sameer ki taraf age badh gaya... Wo bhi mujhe raasta dikha kar ek sink ki taraf le gaya... Wahan usne meri taraf muskura kar ek tile ko piche ki taraf sarkata to pass hi ek khufiya darwaza sarak kar khul gaya... Mai ek pal ke liye hairan ho gaya...


Sameer ke piche piche mai us darwaze se hote huye pharmacy tak aa pohcha... Sameer ne bahar khadi bike start ki aur mai uske piche baith gaya...


Maine raaste me ek collegue ko message karke pucha ki Smriti ko kis hospital me le gaye hai... Maine Sameer ko wahi le chalne ko kaha...


Aj ki raat ne meri zindegi ko ulat palat kar rakh diya... Lekin jo bhi kuch hua... Usme sabse zaroori is waqt yahi tha ki mai Smriti ke pass pohoch paun... Use ek jhalak dekh lun... Wo thik to hai na... Mujhe ye tak pata nahi ki use goli kahan lagi... Mai isi kashmakash me gum tha ki hospital aa gaya...


Sameer ne mujhe utara aur bina kuch bole bike ghuma kar chala gaya... Mai daudta hua andar gaya... Maine reception par Smriti ka nam bola to bataya ki patient critical hai aur use ICCU me rakkha gaya hai...


Mera dil baith gaya... Mai Smriti ki is halat ke liye baar baar khud ko dosh de raha tha... Uski hifazat meri zimmedari thi jise mai nibha nahi paya... Maine itna bebas aj tak khud ko kabhi mehsoos nahi kiya jitna aj kar raha hoon... Man kar raha tha... Use gale laga lun... Ek baar wo mujhe tham le... Aur mai ek baar usse maafi mang lun...


Mai daudta hua ICCU ke bahar pohcha... Mai use ekbaar bas dekhna chahta tha par wo bhi aj mumkin na ho saka...


ICCU ke bahar Aditya khada tha... Sath hi uske admi uske body guards aur bohot sare policewale... Aditya ka chasma uske hath me tha... Wo ek tak cabin ke andar dekh raha tha... Uske ankhon me nami thi... Smriti ko khone ke dar se bhi bar kar ek aur dar mujhe satane laga... Kya rishta hai in dono ka?


Mai dheme kadmo se age badha... Lekin jaise hi Aditya ki nazar mujh par padi... Uski ankhein gusse se jal uthi...


"Giraftar kar lo ise... Yehi hai culprit... Isiki wajah se Smriti ki aj ye halat hai... Arrest him"


Saari ungliyan mujh par uth rahi thi... Mai kuch samajh pata... Apna bachao kar pata... Usse pehle hi mere department ke log... Mere juniors ne mujhe hatkari pehna di!!!
Superb Update

Aakhir yeh group kis mission pe kaam kar raha hai. Aur Smriti ne apna transfer mumbai kyo karwaya aur yeh group kyo banayi. Sawaal bahot se hai par jawaab jaldi milega aisi umeed karta hu.

Aur yeh aditya ne Kabir ko kyo arrest karwaya. Kyaa woh khud ke aur smriti ke beech se usko hata raha hai ya koi aur matter hai.
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 5




"Sir mai samajh sakta hoon ki mamla thoda critical hai... Par ap bhi samajhne ki koshish kijiye... Kabir bhi ek reputed officer hai use mai aese bina karan bandi bana kar nahi rakh sakta...

Use arrest kiye 22 ghante ho chuke hai... Aur mai use 24 ghante se jyada apni hirasat me nahi rak sakta..."

"To kis kaam ke ho tum DGP??"

Aditya se chikhte huye table par apna hath de mara...

"Maine apse kaha tha na... Smriti ki suraksha kitni zaroori hai... Apne team banate waqt sare afsaron ki tarifon ke pul bandh diye the... Aj jab Smriti par hamla hua... Kaha the apke ye afsab bataiye...

Ek wo... Wo Shoiab... Jo farar hai... Ek wo sub inspector Amith... Jo baatein aesi kar raha hai jaise aj hi pehli baar duty join ki ho... Aur ye... Apka honhar officer Kabir... Isko kuch maloom hi nahi...

Kya hua kab hua kaise hua... Kuch pata nahi... Tabse ek hi raag alap raha hai... Ki Smriti ne khud chhutti de di... Bola jao maze karo...

Kya isme apko koi conspiracy nahi dikhti?? Jisdin Smriti par hamla hua usi din uski team ke sabhi log gayab ho gaye... Just like that?"

"Mai apki baat samajh raha hoon sir... Par Kabir ke khilaf koi pukhta saboot bhi to hone chahiye mere pass...

24 ghante poore hote hi mujhe Kabir ko special court ke samne pesh karna hoga... Aur mere pass uske khilaf case banane ko... Ya use aur kuch din hirasat me rakhne ki appeal karne ke liye koi valid reason nahi hai...

Haan ap politician hai... Powerful hai... Agar ap chahe to... Mai jhuthe saboot plant kar sakta hoon... Agar apki usse koi purani dushmani ya aesa kuch..."

DGP ne apni awaz dheme karte huye bola...

"Pagal ho kya DGP? Kisiko fasa kar kaunsa tum hamla karne walon ko dhund loge batao... Mauka mila nahi ki chaplusi shuru..."

"To sir mai chhod du Kabir ko? Warna mujh par bhi disciplinary action ho sakta hai..."

"Haan chhod do... Par case nahi bana sakte to kya hua... Use suspend to kar sakte ho na?"

"Ji sir bilkul... Apni duty sahi tarike se na nibhane ke jurm me... Kar sakta hun..."

"To kar do..."



"22 ghante 45 minute

22 ghante 52 minute

23 ghante 16 minute

23 ghante 56 minute

"Aaa... Chalo utho... Tumhe sir ne bulaya hai..."

Meri jaan me jaan ayi... Halan ki mai janta tha mujhe 24 ghante se jyada rok kar rakhne ka koi haq nahi inhe par politicians ki chaplusi karne walon ki is system me upar se niche tak koi kami nahi thi...

Mera dimag is waqt buri tarah bhanna raha hai... Mai pichle karib 2 dino se nahi soya hoon... Aur filhal sahi galat me farq karna mushkil ho raha hai... Aese me mai kya karun kya na karun kuch samajh nahi paa raha... Bas baitha baitha waqt ginne ki koshish kar raha hoon


"Are chal yaar kyun time khoti kar raha hai..."

Constable ne mujhe awaz lagai... Mai apni chair se utha aur uske sath chalne laga... Wo mujhe DCP ke room ke bahar intezar karne ka bolkar andar gaya... Aur thodi der baad mujhe andar jane ko kaha...

"May I come in sir"

"Yes Kabir... Aao... Baitho... Mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai"

Mai unke samne chair par baith gaya...

"Dekho Kabir... Maine man liya ki tum kisi conspiracy me shamil nahi ho... Tum ek sacche policewale ho... Par..."

"Par kya sir..." Mai bechain ho gaya...

"Mai tumhe Smriti ke "Attempt to murder" case me to bari kar sakta hoon... Par mujhe tumhe suspend karna hoga"

"What?!"

Mere hosh ud gaye... Ek ye naukri hi to thi jo is zindegi me mera maqsad ban chuki thi... Aur aj ye naukri hi zindegi ne mujhse chhin li...

"Dekho Kabir... Smriti ek high profile case par kaam kar rahi thi... Is district ki Executive Commissioner thi... Aur jisdin uspar hamla hua... Uska koi bodyguard maujood nahi tha?

Jante ho is wajah se mujhe kitna pressure sehna pad raha hai... Isliye sirf tumhe nahi... Shoiab Amith, tum sab ko mai suspend karta hoon...

Tum chaho to apna case special court me le ja sakte ho... Koi accha wakil dhund lo... Department change ho sakta hai... Par shayad naukri bach jaye...

You may go now!"

"Sir bas ek sawal..." Maine behad shant tarike se kaha...

"Kahi ap mujhe suspend kisi political pressure... Ya fir kisi politician ke pressure me ake to nahi kar rahe... Agar kar rahe hai... To aj ke baad mujhe apko dene ke liye izzat nahi bachi sir.

Jai hind!"

Mai utha aur wahan se nikal gaya... Piche se mujhe DCP sir "get out" bolte huye sunai diye par ab kya farak padta hai... Jo hona tha ho hi chuka hai... Ab mere report me wo wahi baatein likhega jo Aditya use likhne ko bolega...

Mai man hi man aag babula hote huye police headquarters se nikal hi raha tha ki meri ek jod ki takkar ho gayi... Mai bhi lad khadaya aur mujhse takrane wala bhi... Mai mud kar dekha to wo Anubhav tha...

Mera gussa achanak se shant par gaya... Par wo ab bhi mujhe behad gusse me dekh raha tha... Haan uske liye mai hi to gunehgaar tha... Wo mud kar andar jane laga ...

"Anubhav... Please... Meri ek baat suno... Please mujhe batao Smriti kaisi hai... Wo thik hai na?"

"Kabir bhai... Apko sharam nahi aa rahi ye puchte huye... Ki Smriti kaisi hai..."

"Dekho mai janta hoon ki tumhari nazron me mai kasoorwaar hoon par mujhe bhi to apna paksh rakhne ka mauka do!"

"Kaunsa mauka... Mauka ap tabhi kho chuke the jab 6 saal pehle apne Smriti ka dil tod diya... Uske baad bacha hi kya uske pass...

Jaise wo jee rahi thi... Kya use jeena kehte hai? Bas apne kam ko zindegi ka ek matra laksh bana kar khud ko jhonkti chali gayi...

Aj bed par padi hai to apko badi fikr ho rahi hai?

Rehne do... Apne ye magarmach ke asu apne pass rakho aur humari Smriti se dur raho... Mai apke age hath jodta hoon..."

Toota hua to mai tha hi... Anhbhav ki baaton se bikhar gaya... Uski kahi haar baat sach thi... Haan mujhse galti huyi... Us galti ki saza Smriti ne bhukti... Aur mai... Kya mai khush tha... Mai bhi to 6 saal se is paap ka bojh apne seene me liye ghum raha hoon...

Mai auto me baitha aur ghar ke liye rawana ho gaya... Raaste me mujhe 6 saal pehle ki haar baat yaad aane lagi... Wo yaadein jo badi mushkil se maine apne andar daba kar rakkhi thi...

Uska hasna uska rona... Uska bachpana... Uski baatein... Uska neend na ana aur fir baat karte karte meri baahon me so jana... Mai kya kya apne gusse aur narazgi ke piche chupa kar baitha tha aur zindegi ke ek hadse ne saare parde hata kar sacchai se rubaru karwa diya!!!
Superb Updatee

Saare Politician aise hi hote hai. Bina kisi valid reason ke Kabir ko suspend karwa diya aur woh DGP bhi saala politicians ka chamcha uski haa mein haa milata gaya.

Aur yeh kyaa laga tha Kabir Smriti se pyaar karta hai aur propose baaki hai. Par yaha toh kuch aur hi dekhne ko mila. 6 saal ka pyaar aur breakup. Par breakup hua kyo.
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 6


Mai apne Apartment me ghuste hi kitchen ki taraf badh gaya... Cabinet khola daru ki bottle nikali... Use kuch der ghurta raha.. ek toota sa adhmara wada yaad ane laga...

Maine sochna band kiya aur bottle se hi tab tak daru pita raha jab tak mujhe seene me jalan nahi hone lagi... Mai sofe par baith gaya... Kayi saalon baad kayi zakhm taaza ho gaye the...

Itna bura to mujhe tab bhi nahi laga tha jab 7 din pehle maine duty join ki... Balki mai hairan tha ki Smriti ke aas pass hone ke bawajood to dard jo mujhe hamesha apne dil me mehsoos hoti hai... Wo thoda kam sa hone laga tha... Mai khush? Haan shayad khush tha...

Mai kamre me gaya... Almari ke ek drawer se wo chota sa box nikala jo Smriti ka tha... Aur mere pass hi reh gaya... Maine bohot koshish ki ise fenk du... Age badh jaun... Par nahi kar paya... Box me ek lifafe me band kuch tasweerein thi... Maine us lifafe ko khola to wo zamana ankhon se rubaroo ho gaya jise mai piche chhod aya tha... Us lifafe me meri aur Smriti ki pehli tasweer thi... Is din ki jab mai usse pehli baar mila tha...

Mai us waqt Delhi University me Mechanical engineering ka chhatra tha... Meri zindegi waesi hi thi jaisi har engineering chhatra ki hoti hai... Books mujhe tabhi yaad ate jab exam pass ane lagte the... 12wi ke baad ghar se chhut mili to mai Delhi aa gaya... Aur Delhi ate hi mujhe har wo adat lag gayi jo maa baap lagne nahi dena chahte...

Daru, nashe dosti yaari... Meri acchi kat rahi thi... Zindegi ne mauka diya jeene ka aur mai jee raha tha... Nauki... Wo to koi na koi mil hi jayegi... Thodi si padhai se bohot sare number lane wala bewakoof tha mai...

Par us din... Jis din ki ye photo hai... Wo din meri zindegi ka ek yaadgar din ban kar reh gaya...

College me mere ek senior hua karte the... Shekhar bhai... Wo mere pass wale gaon ke the aur mujhe bigadta dekh ek din unhone zabardasti mera nam ek social work ke liye volunteers ki group me likha diya... Mai unhe naa nahi kar paya...

Kaam ye tha ki Delhi ke bahar kisi rural area me jake waha kuch khana aur dawaiyan baatni thi... Wahan ke rural health center me kuch madad karni thi... Thalasamia awareness ka kaam bhi tha...

Maine socha chalo thim hai... Bhaiya ke liye ek Sunday kharab kar hi leta hoon...

Maine Smriti ko pehli baar usi din gaon me dekha tha... Wo ek 30 35 saal ki aurat ko bohot der se kuch samjha rahi thi... Mai survey wale group me bohot der se sabke piche khada tha... Mechanical me hone ki wajah se ladkiyon ke mamle me mera hath thoda taang tha...

Uski pith meri taraf thi... Uske gehre bhure baal uski kamar ko paar kar janghon tak aa rahe the... Upar se niche tak uske ghungrale baal itne akarshak lag rahe the... Maine dekha to dekhta hi reh gaya...

Kafi der samjhane ke baad wo mata ji ko lekar health center ki taraf jane lagi... Maine dekha unke pair me ek bada sa ghav tha jisme sadan hone lagi thi...

Jab wo health center se bahar ayi uske chehre ki khushi dekhne layak thi... Uska gol chehra khushi se chamak raha tha... Use lambi baaliyon ke prati hamehsa se hi ek lagav tha... Usdin diamond ki to nahi par ek chamkali baali usne usdin bhi pehni thi...

Mai kafi der se use ghur raha tha... Shayad ab usne bhi ye notice kiya... Ladkiyon ki ye baat badi ajeeb hai... Unke prati kiski kya mansha hai... Wo ek nazar me bata deti hai...

Ekbaar to usne mujhe ghurte huye pakad liya... Maine nazre ghuma li par pata to use bhi chal gaya tha... Wo mere baare me kuch apni saheli se kehne lagi... Uski saheli meri taraf dekh kar khil khila kar has rahi thi... Mai sharam se laal peela hone laga... "Shakht launda" banne ki maine bohot koshish ki par man nahi mana...

Agle sunday mai fir Shekhar bhaiya ke pass pohoch gaya volunteer banne... Silsila aese hi gae badhta raha... Mai use dekhta... To dekhta hi rehta...


Is dauran mujhe ek baat pata chali... Kisiki madad karna itna asan kaam nahi... Humara diya khane ka saman lene walon ko baad me taane milte the... Khai hum ilaj ki, siksha ki baat aurton ko samjhane lage is dar se har sunday ghar ke mard bahar nahi jate... Kuch gine chune log the jo khushi khushi humara sahyog karte... Yahan tak panch pradhan bhi beman se humari madad karta...

Baat asal me ye thi ki hum unki madad karte the... Jab ki ye sab haq tha unka... Aur madad dene wala chahe kitna bhi mahan kehlaye... Lene wala hamesha chhota hi ban jata hai...

Par in sab ke bawajood Smriti ka in sab kaamo me utsah dekhne layak tha... Ek sadharan volunteer se wo dhere dhere kab female section ki head ban gayi... Pata hi nahi chala... Log uske mooh par na bol dete usse dur bhagte... Par fir bhi wo samjhati... Koi bhi darwaza tab tak khat khatati jab tak log uski baat sunne ko razi na ho jaye... Mai dur se use dekhta aur uski chabi apne ankhon me bhar leta... Darte darte maine ek din use facebook par friend request bheja... Usne accept kar liya... Par mai sala fattu... Himmat hi nahi hui ki message karke baat kar sakun...

Isi dauran ek sunday humne ek natak ka ayojan kiya jo ki "beti bachao beti padhao" ki theme par adharit tha... Gaon ke kuch asamajik tatwon ne humare khilaf morcha khol diya... Ki hum gaon ki aurton ko pariwar ke khilaf bharka rahe hai...

Maine usdin pehli baar Smriti ki asli taqat ko mehsoos kiya... Wo un hamla karne walon se apne har team member ko bachane ki koshish kar rahi thi... Pata nahi itna junoon kyun tha usme ye sab karne ka... Bas tha... Wo kuch accha karna chahti thi...

"Dhadh dhadh dhadh dhadh... Are koi hai... Darwaza kholo..."

Mujhe achanak se kuch awazein ani shuru ho gayi pata nahi kahan se wo mere kano me gunjne lagi... Maine jyada dhyan nahi diya... Mere khayalon me to bas Smriti thi us waqt...

Ek badmash ne uspar lathi barsane ki koshish ki... Mai daud kar gaya aur use seene se laga liya... Pata nahi mujhme itni himmat kaha se gayi usdin... Jis ladki ke meri taraf dekhne se mere paseene chhut jate hai... Use maine bahon me bhar liya... Maine us afra tafri me pehli baar uski akhon me jhank kar dekha... Uski ghani palkon ke bich gheri bhuri ankhein... Nazar aesi ki dil ke aar paar ho jaye... Mai itna kho gaya ki pith par barasti lathi ko mehsoos hi nahi kar paya...

"Abe ruk bhagta kahan hai..."

Smriti ne khud ko meri bahon se chhuda liya aur us badmash ke piche bhagne lagi... Use piche se pakad kar zor zor se ghuse barsa rahi thi... Mujhe pata nahi kyun itni hasi aayi...

"Di dekho... Lagta hai darwaza khula hai..."

Pata nahi kahan se kuch log darwaze ke baare me mujhe baat karte huye sunai de rahe the...

Mai age badha aur bina kuch bole Smriti ka hath pakad kar use bus ki taraf le jane laga...

"Chhodo ... Chhodo mujhe... Maar dalungi mai inko"

Wo jungli billi ki tarah gurrah rahi thi... Maine apna poora zor lagaya aur uske khinch kar le gaya... Tab tak bus me lagbhag sabhi log baith gaye the...

"Bus bhagao..." Shekhar bhaiya ne driver se kaha...

Mai aur Smriti dono buri tarah hanf rahe the... Par dekhne wali baat ye thi ki Smriti ka hath ab bhi meri haathon me tha...

"Di... Kahi ye... Mar to nahi gaya?"

"Dawling... Mare huye log muskurate nahi... Dekh kaise neend me muskura raha hai...

Aye mister... Tum Kabir ho kya... Sala talli hokar pada hai... Suman... Ja jakar paani lekar aa kitchen se... Abhi layi di..."

Mai Smriti ki taraf dekh raha tha tabhi achanak se mere upar kisine thanda paani daal diya... Mai chaunk kar utha aur uth te hi pet aur seene me ajeeb sa hone laga... Maine floor par ulti kar di...

"Fuck dude... Are you out of your mind!!!"

Kisi ladki ne chhidhte huye kaha... Maine dekha mere ghar me do ladkiyan mere sir par khadi thi... Ek ko to mai janta tha... Suman... Dusri ladki kaale suit boot me mujhe nafrat bhari nazron se dekh rahi thi... Kyunki meri ulti se thodi der pehle uske joote kharab ho gaye the!!!
Awesome Updatee

Toh yeh thi Kabir aur Smriti ki pehli mulakat aur pyaar ki raah pe chalne ka kadam. Achha hai padh ke maza aayaa.
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 7


"Bloody Moron!!! Mere Prada ke joote... Huh! Idiot... Oh my god ab mai inhe kaise pehnungi..."

Wo ladki jo Suman ke sath ayi hai wo washroom me apne joote saaf karte huye mujhe jee bhar ke khari khoti suna rahi thi...

Ek to sir itni buri tarah dard kar raha tha upar se ye ladki kachar kachar... Kachar kachar kare jaa rahi thi... Suman jo mere samne wali sofe par baithi hui thi... Mujhe batak jaisa mooh bana kar dekh rahi thi... Jaise mai koi insaan nahi... Zoo ka janwar hoon...

"Huh!! I can't take it anymore... Oh my god!!"

Wo ladki washroom se nikal kar apne hath paon hilakar aesi nautanki karne lagi... Mujhe laga uspar koi adrisha makri ne hamla kar diya hai...

"Aye Mister... Koi bhi baat karne se pehle... I need tissues... Suman sanitizer ka bottle nikal ASAP... Oh gwad I cant take it anymore..."

Usme mujhe raub jharte huye kaha... Maine use kitchen ki taraf ishara karte huye tissue box dikha diya... Par itni nautanki se ab mera dimag kharab ho chuka tha...

"Oh madam... Apni bakwas band karo aur ye batao tum ho kaun..."

Wo ladki tissue se apne hath poch rahi thi... Meri baat sunkar wo aese chauki jaise pata nahi usne koi bhut dekh liya ho...

"Huh! Oh my gwad... Dawling... Tum... Mujhe nahi jante??"

Mai abhi bhi uski taraf utni hi narazgi se dekh raha tha jitna thodi der pehle...

"No doubt tum is shahar me naye aye ho... Warna is shahar ka har policewala... Ya to mujhse darta hai... Ya to mere liye kaam karta hai...

Let me introduce myself... Myself... Sugandha Malhotra... Malhotra Law firm ki malkin... Aur tumhari nayi lawyer..."

Mai samajh nahi pata raha tha ki kaise react karu... Lawyer... Sugandha... Haan Sanjeev ji ne kisi Sugandha ka zikr kiya to tha... Aur mujhe is waqt lawyer ki sakht zaroorat bhi thi... Maine apne chehre se narazgi ke bhav hataye aur use sofe par baithne ka ishara kiya...

Par mujhe uski chal dhal se wo lawyer kam aur heroine jyada lag rahi thi... Dikhne me sundar thi... Straight baal... Lamba kaad... Aur aur lambe heels... Wo ek fool patti ki design wali top aur formal pants me thi... Aur jo baat uske aju baju se guzarne wale har admi ko pareshan kar de wo thi uski perfune ki khushbu... Aesa lag raha tha ki usne bhool se poori bottle hi apne upar gira li ho... Aese hi mere sir me dard tha upar se ye tez gandh mujhe aur jyada pareshan kar rahi thi...

"So... Let me tell you... Kal subah tumhari Court me peshi hogi... Um you know na special court and all... Tum par show cause notice lagaya gaya hai... Jiska matlab tumhe batana hoga ki us raat jab Smriti par hamla hua... Tum kyun gayab the...

But don't you worry dear... When Sugandha is here no fear..."

Usne apne baalon ko jhatakte huye apni hi tarif ke pool bandh diye...

"Par tum meri madad kyun karna chahti ho?"

Mera sawal sunkar Sugandha apna sir dono taraf hilane lagi... Jaise maine koi bohot galat baat keh di ho...

"Dekho boss... Sanjeev uncle ne mujhe bataya... Kaise tumne Shoiab ko bachaya... Tumhara aur Smriti ka mamla bhi mujhe maloom hai... Is hisab se tum meri family huye yaar..."

Sugandha ne meri pith jor jor se thap thapate huye kaha... Mai abhi bhi hairan nazron se use dekh raha tha... Aur Suman abhi bhi batak jaise mooh bana kar mujhe dekh rahi thi...

"DCP mujhe kabhi is case ke dal dal se nahi nikalne dega"

Maine dheme awaz me kaha...

"Are uski tension tum mat lo dawling... Ye dekho... Uski MMS... Ek farm house par banwayi thi... Socha tha kisi bade mauke par use karungi... Bas aj wo mauka aa gaya..."

Sugandhe ne mujhe laptop diya... Mai video ka thumbnail dekh kar hi samajh gaya ki uske pass blackmailing ka sara saman ready hai...

"Ab ye mat samajh lena ki ye MMS uski aur uski biwi ka hai... Lallu ram"

Sugandha aur Suman zor zor se thahake laga kar hasne lage...

"Are kya hua hero... Ab to kuch bol do..."

"Kya... Kya tum mujhe bata sakti ho... Ki Smriti kaisi hai?"

Mera gala bhar aya ye sawal karte huye... Aesa lag raha tha sare zasbaat mere seene se ubhar kar awaz me aa there hai... Meri baat sunkar un dono ki hasi bhi ruk gayi...

"Wo abhi bhi ICCU me hai... Ek goli uski baju me lagi hai aur ek pith par... Uske vitals stable hai... Par dawaiyon ke asar se use coma me rakha gaya hai... Uske jyada hilne dulne se nayi muscle ki tissues banne me dikkat aa sakti hai... Aur permanent damage ho sakta hai..."

Sugandha jo ab tak bohot jolly ladki lag rahi thi... Achanak kafi emotional hoti nazar ayi... Jab mai aur Smriti sath the tab Sugandha ke baare me kabhi uske mooh se suna nahi... Shayad ho sakta hai dosti baad me huyi ho... Par pata chal raha tha ki Sungandha bhi Smriti ki is halat ki wajah se kafi pareshan hai...

"Kya tum... Tum bhi... Mujhe Smriti ka kasoorwar manti ho..."

Mujhe nahi pata ki maine ye sawal kyun pucha... Par puch liya...

"Huh! Wo decide karne ka haq mujhe nahi... Wo Smriti jane... Mera farz hai tumhari help karna wo mai karungi... Kal pohoch jana 10 baje... The game will be on..."

Wo fir se apne tewar me wapas aa gayi... Apne baalon ko piche jhatka aur adha chehra dhakne wale kaale chashme laga kar kamre se jane lagi...

"Are... Tumne kuch khaya ke nahi... Suman... Jaldi jaa... Iske liye kuch le aa niche se.."

"Are nahi... Mai manage kar lunga..."

Sugandha ne mera jawab sune bina hi Suman ko kuch paise dekar niche bhej diya... Aur jab tak wo corridor se hokar seediyan na utarne lagi tab tak use dekhti rahi...

"Kabir... Where is the packet..."

Suman ke jate hi Sugandha ne mujhse pucha...

"Packet... Are yaar packet... Shit fuck!!!"

"Tumne khho diya packet... Yaar Kabir... Kya Shoiab ne tumhe bataya nahi ki wo packet sambhal kar rakhna hai... Usme Zaroori documents hai yaar!!!

Sara disaster us doctor ne kiya... Usne tumhe Shoiab samajh liya... Aur packet tumhe de diya... Shit yaar!!"

"Are tum bataogi ki ye sab kya ho raha hai? Smriti par hamla hua akhir kyun?"

"Dekho mai tumhe bas itna bata sakti hoon ki ye ek cult ka kaam hai... Wo log... Wo log insaan ko insaan nahi samjhte... Balki apne fayde ke liye human body ka har part kharid aur bechte hai...

Ye sab Smriti ko MP ki posting ke dauran pata chala... Wahan ki kuch ladkiyon ko Smriti ne bachaya tha... Uske baad hi wo Mumbai aa gayi...

Aur tab se hum is uljhe huye case ko suljhane ki koshish kar rahe hai ki is racket ka main mohra hai kaun..."

Mai Sugandha ki baat par kuch sochne laga...

"Kabir those documents are very important... Wo kaha hai... Batao mujhe..."

"Tum tension mat lo... Documents maine hi chhupa kar rakhe hai... Bas in sab afra tafri me wo mere dhyan se nikal gaya..."

"Thik hai... Tum... Ye lo mera card rakho... Call me if you need anything..."

"Di ye lo..."

Suman tab tak kuch khane ka saman le kar aa gayi thi...

"Waese tumhari fees..." Sugandha aur Suman jane lage to maine use rok kar pucha...

"Do not worry hero... Kaam hone par you will get my bill... Byee!!!"

Ye do anjan ladkiyan jinse mai ghante bhar pehle hi mila hoon... Unke apnepan ne mere dukhte dil ko thoda hi sahi par dilasa to diya... Par ab mere dimag me yehi baat ghumne lagi ki packet jaha maine rakha tha waha hoga ya nahi... Aur hoga bhi to mai kisi ki nazro me aye bina use nikal paunga ya nahi!!!
Superb Updatee

Yeh DCP toh kuch jyaada hi rangeen mizaaz ka nikla. Ab shayad Sugandha iss rangeen mizaaz ko safhed karegi.
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 8



Sungandha aur Suman ke jaate hi maine apne kapde badle... Mujhse khud se hi itni ajeeb badboo aa rahi thi ke mai khud usse bimar pad jaun... Par apni Axe ki bottle hai na... Sab sambhal legi...

Mai khud ko positive rakhne ke liye na jane kya kya soch raha tha... Par dil-o-dimaag me bas Smriti ki fikr chayi hui thi... Man bar bar keh raha tha ki hospital jaa hi raha hoon to use bhi ek jhalak dekh aaun...

Mai yehi sab sochte sochte flat se niche aya aur apni bike start ki aur uske sath hi barish shuru ho gayi... Mera mood bigada huya hi tha aur bigad gaya... Mai hospital ki taraf badh gaya...

Barish ki boondein tirchi hokar mere badan me chhubhne lagi... Aur sath hi kuch yaadon par jami dhul ko saaf karne lagi... Aur sath hi ek gana jo mujhe behad pasand tha... Mere dimaag me replay hone laga

"Ye Yeh mausam ki baarish, Yeh baarish ka paani
Yeh paani ki boondein, Tujhe hi toh dhoondhe"






"Are Mohit bike ki chabi de..."

"Kyun be... Mai nahi deta bhag yahan se..."

"Are yaar de na..."

"Pehle bata kyun chahiye..."

Ye Mohit to zid pe hi aad gaya... Bike dene ko razi hi nahi... Are aese kalmuhe dost ho to dushmano ki kya zaroorat...

"Are samajh na bhai..."

Wo kehte hai na... Waqt ane par gadhe ko bhi baap banana padta hai... Aj meri halat bhi kuch aesi hi thi... Maine ishare se raaste ke ulti taraf wale tea stall ki taraf ishara kiya... Mohit kuch taaka jhanki ke baad samjha ki mai use kya samjhana chah raha hoon...

"Oh... To ye baat hai... Jaa... Le jaa.. tu bhi kya yaad rakhega be... Par sun... Jaldi ana samjha"

"Ek bike bas dila de pita ji... Fir bataunga is Mohit ko mai"

Man to kiya Mohit ki bike ki chhabi usiki no entry me ghusa dun lekin maine khud ko samjhaya...

"Concentrate on Paneer Kabir... Concentrate on Paneer"

Maine bike start ki aur us chai ke dukan ke samne jakar khada ho gaya aur utar kar chai ka order dene laga...

Mai pichele adhe ghante se Smriti aur uski ek don ko sath khade dekh raha tha... Kuch der pehle ek ladka aya... Aur wo ladki us ladke ke sath chali gayi... Smriti ne apni pareshani chhupa kar use bye to bola par ab use chain nahi pad raha...

Kabhi wo ghadi dekhe... Kabhi wo mobile me dekhe... Kabhi wo call kare... Mai samajh raha tha ki use ghar jana hai... Par koi sadhan nahi mil raha... August ka mahina tha... Is mahine Delhi me khub barish ho rahi thi... Aur usdin to kuch jyada hi meherban thi...

Waese to mujhe aese achanak dukan par ata dekh wo bhi samajh gayi hogi ki mai kyun aya hoon... Kyun ki barish itni ho rahi thi ki chaiwala bhi apni dukan ab band karna chahta tha...

Waese ab mera aur Smriti ka rishta us din ke baad se kafi age badh gaya tha... Pehle mai Smriti ki taraf dekhta to wo muh fer leti... Par ab thoda muskura deti hai... Haan thoda sa hi muskurati hai... Par muskurati to hai na...

"Ap... Tum... Chai nahi piyogi?"

Maine badi mushkil se alfazon ko sanjote huye kaha...

"Nahi... Mai pi chuki hoon... Bas... Meri UBER aa jaye... Niklungi..."

Bijli karki to asmaan me par giri mere dil par... Hey bhagwan... Itna accha mauka dekar bhi chhin mat lena mujhse... Kyun kabab me haddi bana kar is UBER wale ko meri jaan khane bhej rahe ho...

Thik tabhi Smriti ke phone me koi notification ki ghanti baji... Maine chor nazro se dekha booking cancel ho gayi...

"Tum... Bura na mano to... Mai chhod dun?"

Wo us waqt bohot chidhi huyi thi... Itna ki gusse me ekbaar pair bhi patak chuki thi... Maine jaan hatheli me lekar... Darte darte keh hi dali apne man ki baat... Wo mujhe kuch der ghurti rahi... Mujhe pakka lag raha tha ki ye maregi thappad... Mare to mar de... Kha lunga... Par pyar thode hi kam hoga mera...

"Wo mere bag me... Laptop hai... Bheeg jayega to kharab hone ke chances hai... Bag full waterproof nahi hai..."

Nahi maara... Are nahi maara thappad... Balki apni pareshani batayi... Mera dil aese uchla... Itna to All India Engineering Entrance Exam me 135 rank ane par bhi nahi uchla tha....

"Are tum tension kyun leti ho mai karta hoon na kuch..."

Maine chai wale bhiya se kuch plastich wrappers mange... Aur unhe 20 rupay thama diye... Smriti meri taraf hairani se dekh rahi thi...

Maine uska laptop liya aur use acche se wrap kiya... Aur bag me laptop rakhne ki jagah par andar daal diya... Wo hairani se mujhe dekhti rahi... Mai 100% sure hoon ki use bilkul biswas nahi tha ki uska laptop bach jayega... Mujhe bhi nahi tha... Par koshish karne me koi harz nahi...

"Tumhara ghar kaha hai..."

"Jyada dur nahi... Idhar se bas 10 min lagenge..."

"Thik hai... Bag ko samne ki taraf le lo aur dupatte se dhak kar baitho..."

Smriti ne usdin ek gulabi colour ki kurti aur leggings pehni hui thi... Sath me dupatta gale me lapeta tha... Maine use jitni baar bhi dekha tha wo aese hi shalin kapdon me dikhti thi... Delhi ki dusri ladkiyon se kafi alag... Is wajah se wo mujhe hamesha aur akarshak lagti thi...

Akhir kar wo pal aa hi gaya jab Smriti mere piche baith gayi... Aur maine bike start ki... Us din bhi thik aese hi hawa ke jhokon ne baarish ki boondon ko awara kar diya... Ek baar bijli jor se karki... aur Smriti ne dono hath mere kadhon par rakh diye... Mera dil... Bas mat pucho ki kaise bhag raha tha... Wo to mai hi janta hoon ki maine usdin bike kaise sambhali... Poore raste usne mujhse koi baat nahi ki... Mai bhi chup tha... Par us barsat ke mausam me uska mujhse kuch inchon ka fasla mujhe har pal thoda aur bechain kar raha tha...

Karib 10 12 minute baad uska ghar aa gaya... Wo utar kar ghar ki chaukath kar jakar khadi ho gayi... Aj wo mujhe dekh kar thoda sa nahi... Khul kar muskurayi...

"Andar aao... Thoda wait karo... Toofan kam ho jaye to chale jana.."

Man to mera bohot tha... Par itni barish me bhi mai mehsoos kar raha tha ki jeb me mera phone lagataar baje jaa raha hai... Mai bina dekhe bhi bata sakta tha ki ye Mohit hai... Usse aur sabar nahi ho raha... Pata nahi mai kya kar raha hoon... Is chinta me uske pichwade ka tempareture is waqt 3200 ℃ ho chuka hoga...




Par wo din meri zindegi ka ek yaadgar din ban gaya... Mai jab bhi us din ko apne man me sochta... Muskurane lagta... Smriti se dur hokar bhi mai us din ko nahi bhula paya...

Barish se bheege uske chere par lipti baalon ki lat... Hothon ke gulabi rang ko ubharti barish ki boondein... Uska mere piche baithne ki wajah se saason ka tezz chalna... Aur mere kandhe par uska hath... Ab tak mai yakin se nahi keh sakta tha... Par us din ke baad ye baat pakki ho gayi ki mujhe Smriti se pyar ho gaya tha...


Mai aese hi ourani yaadon ko sochta sochta Hospital pohcha... Ab mere samne ek chunauti aa khadi thi jise mujhe niptana tha... Mera us packet ko hasil karna aj poori tarah se kismat par nirbhar karta tha... Aur meri kismat pichle 3 din se bohot buri chal rahi thi!!!
Nice Updatee


Bahot hi romantic update tha. Baarish mein apni crush ke saath bike mein kahi jaana is the best moment that you never forgot.

Toh packet Kabir ne Hospital mein chupaya par kab chupaya.
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Update 9



Usdin Smriti ke Cabin tak jane se pehle maine packet Hospital me hi chhupa diya tha... Mujhe ye to maloom nahi tha ki mujhe giraftaar kiya jayega... Par is baat ka andaza mujhe tha ki bahar guards honge aur Smriti se milne se pehle meri checking zaroor hogi...

Smriti ka cabin ICCU ward me tha aur corridor us taraf mudne se pehle bayi taraf ke bada waiting room banaya gaya tha taki jo paitients critical hai unke pariwaar wale yaha raat me intezar kar sake...

Waiting room me steel ki bani chairs thi jo aksar hospital ya kisi aur jagah ki waiting room me dekhi jati hai...

"Dusri row me tisri chair..."

Mai us ek chair ki taraf age badh gaya... Ye chairs charon deewaron ke sath parallel thi... Meri chair darwaze ki ulti taraf wali row me thi...

Mai dhere se jakar us chair par baith gaya... Maine chair ke niche ki taraf hath age badhaya...

Thank god!!!"

Meri jaan me jaan ayi... Maine is din packet ko is chair me hi chupa diya tha... Asal me seat thodi ubhri hui thi aur seats ke niche ek lohe ki dandi thi jo seat ka structure bana rahi thi... Dono cheezon me halki si jagah thi aur maine packet wahi sarka diya...

Mai packet ko nikalne hi jaa raha tha ki rukna pada... Ek aurat jo ki pregnent thi aur unke pati waiting room me akar meri ulti taraf wali row me baith gaye... Shayad unki delivery ka time aa gaya tha...

Mere pass intezar karne ke alwa aur koi raasta nahi tha... Mai idhar udhar dekhne laga... Achanak dekha ki wo aurat room ke bahar kisiko dekh kar ekdum se dar gayi aur apne pati ka hath kas ke tham liya...

Maine mur kar dekha to ek hatta katta lamba admi... Mooh par doctor ka mask aur safed coat me har room me jhankte huye age badh raha tha... Pehle maine itna dhyan nahi diya... Aurtein aese waqt me dar jati hai kabhi kabhi unki motherly instinct ki wajah se...

Lekin achanak se mera dimag thanka...

"Smriti ka cabin bhi to... Isi raaste me age ki taraf hai..."

Mere hath paon thande ho gaye... shukr hai upar wale ka ek nurse akar us aurat ko wheel chair par bithakar unki cabin ki taraf le gayi... Maine jaldi se packet sarkai aur apni tshirt ke andar ghusa li aur upar jumper chadha liya...

Mai Smriti ki cabin ki taraf age badh gaya...

"Ye kya... Uske kamre ke bahar... Koi guard nahi"

Mera shaq gehra ho gaya... Mai tez kadmo se charon taraf nazar rakhte huye age badha... Maine Smriti ke cabin ka darwaza kholne ki koshish ki... Par nahi khol paya...

"Mai kya karun... Kya karun mai..."

Maine deewar ki ulti taraf fire alarm dekha to use shuru kar diya... Poore hospital me shor hone laga... Aur dusri taraf mai Smriti ke cabin ka darwaza todne ki poori koshish kar raha tha...

Achanak darwaza andar se ek jhatke me khula aur mai uske dhakke se niche gir gaya... Maine us admi ko apni ek ankh par hath rakh kar bhagte huye dekha... Uska hath khun se sana hua tha aur wo dard me cheekh raha tha... Wo charon taraf ki afra tafri me bahar ki taraf bhaga... Mai uska pucha karna chahta tha par is waqt Smriti ko bachana jyada zaroori tha...

Mai cabin ke andar ghusa to mujhe koi nahi dikha... Achanak kisine mujh par hamla karne ki koshi ki to maine uska hath pakad liya...

Wo Smriti thi... Aur badi hairani se mujhe dekh rahi thi... Uske hath me ek patli si khun se sani hui churi thi jo aksar doctors issemal karte hai...

"Tum thik to ho na... Pata hai mai kitna dar gaya tha..."

Maine use khinch kar gale laga liya... Meri jaan me jaan ayi... Wo kuch der sakpakai par fir shant ho gayi aur sisak sisak kar rone lagi... Usme khade hone ki taqat nahi thi... Usne apna badan meri baahon ne dheela chhod diya...

"Please Kabir... Mujhe yahan se le chalo kabir... Please le chalo... Mai yahan rahi... To zinda nahi bachungi... Wo kaam bhi pura nahi kar paungi jo maine shuru kiya hai... Please mujhe yahan se le chalo..."

Uski awaz aj itna dard bhara hua tha ki meri ankhein nam hone ko thi... Par maine gaur kiya... Pith ke nichle hisse jahan use goli lagi thi wahan se thodi bleeding ho rahi thi...

"Lekin Smriti tumhe is waqt doctor ki zaroorat hai..."

"Kabir... Tum yahan se mujhe le chalo... Yahan rahi to is ghav se maru ya na marun... Par wo log mujhe maar denge... Please..."

Maine uski ankhon me dekha... Mai kya karun kuch samajh nahi aa raha tha... Maine uske mathe par chum liya aur use utha kar bed par bithaya...

"Tum yahi ruko mai ata hoon..."

Mai bahar gaya to ab tak sabko pata chal chuka tha ki false alarm hai... Maine as pass dekha to mujhe ek wheel chair mili... Mai use lekar andar aya to Smriti ek syring ko hath me lekar dekh rahi thi... Usne mujhe dekh kar khade hone ki koshish ki...

Maine uski madad ki aur wheel chair par bitha diya...

"Tumhe thodi dikkat hogi par... Kya ye takiya tum pet ke age rakh paogi... Taki... Tum... Pregnent dikho..."

Maine rukte rukte apni baat keh hi di... Wo thoda sa muskurai aur apne hospital gown ko upar utha kar takiye ko pet age rakh liya... Wo thoda dhela sa lag raha tha to usne gown ki side wali rassi thodi si kat kar use apne ap ke charon taraf bandh liya... Maine uski madad ki aur ye sab karte huye use kitni taqleef ho rahi thi ye bhi gaur kiya par is waqt koi aur rasta nahi tha...

Ab wo wheel chair par baithi huyi thik us pregnent aurat ki tarah dikh rahi thi jise maine waiting room me dekha tha...

Maine uske wheel chair ko dhakka diya aur lift ki taraf badh gaya... dard ke maare use bohot paseena aa raha tha... Mai bar bar uska chehra apne rumal se poch raha tha...
Lift me kuch logon ko aesa laga ki uski delivery hone wali hai... Ek nurse ne puch liya to maine bata ki nahi ultrasonography karwane le jaa raha hoon... Maine ate waqt uska room niche dekha tha...

Smriti ne mera hath kas ke pakda hua tha ki jaise is waqt hum dono ek taraf aur ye puri duniya humari dushman ho...

Maine use lift se bahar nikala aur ultrasonography wale room ke bahar jake khada ho gaya... Meri dayi taraf reception tha aur bayi taraf emergency exit ka darwaza... Mai Smriti ko usi darwaze se bahar le jana chahta tha...

Mai man hi man upar wale ko yaad karne laga... Smriti mera hath aur zor se daba rahi thi... Uske honth dard se kanp rahe the... Par mai majboor tha... Meri ek harqat Smriti ki jaan ko fir se khatre me dal sakti hai iska andaza mujhe bakhubi tha...

Akhir kar reception par ek emergency patient aya... Sab log usi taraf busy ho gaye... Maine kadam age badhaya aur use emergency exit se bahar le aya... Darwaze ki cc tv ke age aese khada ho gaya taki mere samne jo bhi kuch ho raha hai wo camera me na aa paye...

Maine Smriti ko khada kiya aur usne kayde se wo takiya khinch kar gira diya...

"Aahhhhhh..." Wo dard se karah uthi...

"Mai abhi taxi lata hun..."

"Nahi... Nahi... Bike..."

"Par aesi halat me tum..."

"Please... Kabir... Please..."

Mai samajh raha tha ki wo apne piche koi clue nahi chhodna chahti... Isiliye meri bike par jana chahti hai... Maine apni jacket utari aur use pehna di aur hoodie upar kar di...

"Tum baith paogi na..."

Maine bike nikalte huye kaha...

"Always"

Wo kaise taise bike par chadi aur mujhe piche se kas kar pakad liya.. mera dil ekbaar phir se utni hi tezi se bhaga jitna pehli baar bhaga tha... Maine ek aur pal ki der na karte huye bike bhagayi aur Smriti ko apne sath le aya!!!
Nice Updateee

Ab yeh Aditya kaha gaya ab usko fikar nhi ke hospital mein bhi smriti pe attack hosakta tha. Aur uske room ke bahar koi guard nhi. Kahi yeh Aditya bhi unnlogo se mila hua toh nhi jo Smriti ko maarna chahte hai.

Aur yeh log hospital se nikalke kaha gaye. Kahi ussi pharmacy mein toh nhi.
 
Status
Not open for further replies.
Top