• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Update 15

"Nahi... Nahi... Mujhe kuch karna hoga... Situation sambhalni hogi..."

Maine chehre par hath fira kar paseena pocha aur hath me phone leke sochne laga ki kya karna hai... Tabhi mera phone dobara baja usi private number se...

Maine phone hath me liya aur apartment se niche bhaga... Sugandha aur Anubhav meri taraf hairani se dekhte rahe...

"Hello... Hello Sir..."

"Kabir... What Nonsense... Mai kabse tumhe phone mila raha hoon... Phone kyun nahi utha rahe ho tum..."

"Sir wo mai... Mai ek musibat me fans gaya hoon... Mere upar..."

"Haan I know... Mai usi silsile me tumse baat karna chahta hoon... Kya tum itni jaldi bhul gaye ki timhe kis kaam se humne Mumbai bheja hai?"

"Nahi sir... Mai... Mujhe arrest kar liya gaya tha... Abhi chhuta hoon... Kal Special Court me peshi hai meri... Sir mujhe kuch samajh nahi aa raha ki mai kya karun... Kahi in logon ko ye to nahi pata chal gaya ki mai ap ke liye..."

Maine jaan bujh kar is baat ko kaha taki mera senior jo mujhe dhamka raha tha wo khub bhi thoda soch me par jade...

"Listen Kabir... Pehle mujhe ye batao akhir ye sab hua kya... Jo news media me faili hai kya wo sach hai... Ya fir ye koi cover up hai Aditya aur uske DCP ka?"

"Nahi sir... Ye koi cover up nahi... Party me Drug Mafia ne hi hamla kiya tha... Anubhav ne bodies identify ki hai... Opposition leader ne unse apna koi bond tod liya isi khunnas me un logon ne..."

"Kabir... Careful... Kya tum humse kuch chhupa rahe ho?"

"Nahi sir bilkul nahi... Mai apse kyun kuch chupaunga..."

"Nahi mujhe laga kahi hawa pani badalne se tumhare andar desh bhakti to nahi jag gayi..."

"Are nahi sir kya baat kar rahe hai ap... Mai sach keh raha hoon sir... Mujhe jo bhi information milti hai mai apko deta rehta hoon... Par pata nahi kab tak... Kal shayad mera transfer ho jaye..."

"Don't worry Kabir... Tum uski tension mujh par chhod do... Tum to bas apne kaam par dhyan do... Tumhara case mai withdraw karwa dunga..."

"Ok sir... Thank you sir... Mai poori imandari se apna kaam karunga"

Maine phone rakha aur ek gehri saans chhodi... Mere pass yehi ek option tha... Agar mujhe job par bane rehna hai to mujhe Raghuvansh aur uske chamche ka sath chaiye tha... Kyunki is naukri ke bina mai Smriti ke liye kuch nahi kar paunga...

Aur agar Smriti ke liye kuch karna hai... To uske bhai ka uske doston ka sath chahiye... Aur Aditya ka bhi...

"Ahingsa Paramo Dharma"

Mai yehi dohrata hua upar gaya aur sidhe us bedroom me ghus gaya...

"Are tum kaha chale gaye the..."

Sugandha ne awaz lagayi...

"Maa se baat kar raha tha... Mere liye pareshan hai..."

Mai itna keh kar har kitab ko chhan kar dekhne laga... Khas kar un kitabon ko jo Gandhiji ki hai ya un par adharit hai... Par kahi kuch hath nahi laga...

Mai almari ki taraf gaya aur uske shelfs me dekhne laga... Maine ek shelf ko hilaya to piche ki deewar me ek chaukon lakri ka hissa sarak gaya... Maine usme hath dala to wahan mujhe ek "Geeta" mili... Use hath me lete hi mujhe uski binding me kuch mehsoos hua... Maine binding se kitab panno ko alag kiya to mujhe andar wo pendrive mili jiske piche itna bawal ho raha tha...

"Sugandha... Laptop lao..."

Mai kamre se bahar aya aur wo packet nikalte huye kaha... Sugandha mere hath me pendrive dekh kar samajh gayi aur ekdum se niche bhagi...

Maine kuch documents Anubhav ko thama diye aur kuch documents mai khud khangalne laga... Mere hisse jo documents aye the unme page der page bas codes numbers aur location ke coordinates the...

Anubhav jin panno ko dekh raha tha unme se kuch par Medical procedures likhe huye the... Kuch human body parts ki photo thi... Kuch machinery ki photos aur ek letter...

Sugandha itne me laptop le ayi... Maine usme pendrive dala... Mai thoda hairan tha ki usme koi password nahi tha... Pendrive ke folders pe bhi waese hi numbers se marking ki gayi thi... Maine ek file kholni chahi to password mangne laga...

"I think ye codes password hai in folders ko kholne ke liye... Sugandha... Please tum try karo..."

Sugandha ne ek pal me mujhse computer chheen liya aur codes try karne lagi...

"Sugandha criminal cases ke sath sath taxation me bhi bohot mahir hai... Codes numbers in sab me use bohot ruchi hai... Ek baar agar koi number dekh le use ampne dimag me chhap leti hai... She never forgets a number... Puri contact list mooh zabani yaad hai..."

"Kya ye ladkiyon me aam baat hai?"

"Kya?"

"Yahi... Cheezein yaad rakhna... Smriti ko incidents yaad rehte hai... Wo bhi hubahu... Ditto... Kaha kisne kaise kya kaha kya suna..."

"Fir to tum bari musibaat me fans jate hoge nahi..."

Pata nhi kyun mai itni mushkil situation me bhi hans para...

"Chup chap reh sakte ho to raho warna nikal jao idhar se..."

Sugandha ki dant se maine aur Anubhav ne fus fusana band kar diya...

Wo codes identify karke folders to khol rahi thi... Magar jyadatar unme se aur files aur un files me junk codes ke alawa aur kuch nahi mil raha tha...

Karib 2 ghante koshish karne ke baad hume ek video mila... Sugandha ne video on kiya... Video ki shurwat me ek medical room dikh raha tha... Kuch doctors aur nurses operation room me khade the... Unka chehre par mask tha... Ek ladki ko operation bed par bandha hua tha... Wo behosh thi aur zakhmi bhi... Ek doctor ne pass rakhe ek chart ko uthaya aur uski information padhne laga...

"Specimen No: 2363AD456
State: Rajastha
Taken: By Boyfriend on the way to School
Status: Virgin
Requirements: Homonal Treatment
Remarks: To be sold in 6 Months!!!"

Maine video me us ladki ki taraf dekha... Mushkil se 18 saal ki hogi... Gaal par ek kaala neela nishan tha... Aur kayi kafi kamjor dikh rahi thi... Mera dil paseech gaya...

Us doctor ne ek nurse ko ishara kiya... Nurse ne us ladki ko injection diya... Ladki ko dhere dhere hosh ane laga... Jaise hi uski ankh khuli wo chhutne ke liye chatfatane lagi... Uske hath aur paon strecher pe bandhe huye the aur mooh par bhi patta lagaya hua tha...

Mujhe najane kyun sara gussa us nurse par aa raha tha... Ek aurat ho kar dusri aurat ke sath aesa kaise kar sakti hai ye...

Us nurse ne ek tattoo gun hath me liya... Wo ladki aur buri tarah chatfatane lagi... Uski awaz uske galae me hi dabi reh gayi par mere kano me uski cheekhin gunjne lagi...

Wo nurse uski kalayi pe koi tattoo banane lagi... Karib 20 minutes tak wo ladki dard me chatfatati rahi... Sugandha aur dekh nahi payi aur Anubhav ke gale lag kar rone lagi...

Wo ladki rote rote firse behosh hone lagi... Tabhi dusre admi ne ek dusri gun nikali... Ye tatoo karne wali gun se thodi alag thi... Mai dhyan se video me dekhne laga... Us admi ne ladki ke gown ko kandhe se utar diya aur gale ke nichle hisse jahan se kandha shuru hota hai... Wahan alcohol se saaf karne laga...

Wo ladki chhune se fir se darne lagi aur chatfatane lagi... Do aur admiyon ne use bed se daba diya taki wo hil na paye... Aur us gun wale admi ne uski garden me kuch push kiya...

"Tracker... Wo ladkiyon body me tracker dalte hai!!!"
Jabardust update
 
  • Like
Reactions: Sasha! and mashish

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Sasha! and mashish

aalu

Well-Known Member
3,073
13,048
143
bechare ko smrit na mili toh central minister se hi tanka bhira liya... ek ke pyar ke liye dooje se dhokha.. ab dhokha deta kisko hain smriti ko ya mantri jee ko ... iski loyalti kitni teji se badalti hain samajh na aata hain... iska charachter strong na hain bole toh hero maafik... khair apna chomu hain...

waise paise ka lalach isme bhara para hain... jeevan bhar aabhaw mein jiya hain baap ne kabhi na maa ke na hi iski parwah kee... sala ussi liye desh ko bech kar apna abhaw pura kar raha hain... ideological difference hi honge jo smriti aur kabeer ko alag kiye honge.. yeh money minded khud ke liye post ka use karna chahta tha aur smriti ko logo kee parwah thee...

yeh poori immandari se beimmani kar raha hain... where the fuck smriti ke liye kuchh karna aa gaya... he is cheating her since the first day... well double cross karega lagta hain... lekin iss halat mein launde ko dono taraf se lagni hain idhar se bhi aur udhar se bhi.. sunanda ko maloom chala toh saare prada ke brands ghusa degi...

akhir pen drive mil hi gaya... dekhte hain kaun sa gyan wardhak churan nikalta hain....

ek akeli sugandha in do lampato pe bhaari hain... waise yeh lampat abhi tak toh shatir hi nikla... shabko nachate aaya hain... mantri se le ke santri tak... aksar log kehte hain ek ladki ho ke doosri ladki ke saath kaise kar shakti hain... jaise duniya mein saare bure kaamo ka theka mardo ne hi le rakha hain... khair tracker dala gaya hain aur no. wise sabko identify kiya jata hain... toh jaroor kaheen toh database hoga aur un tracking device kee info....

agar yeh videos jyada purani na hui toh aise kitni ladkio tak pahuncha jaa shakta hain... mostly dhandha human organ ke trafficking ka lagta hain ya phir prostitution mein dhakelne ka... khair yeh harami mantri ko in mamlo mein interest kahe hain... political rivalry ya phir personal business interest...
 
Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Update 16

Maine video ko baar baar rewind karke dekha... Har ek detail par gaur karne ki koshish ki par har baar us larki ki bebasi ne meri sochne samjhne ki shakti ko dhundla kar diya...

"Shayad ye tracker ki banawat hai..."

Anubhav ne packet se nikle ek document ko gaur se dekhte huye kaha...

"Oh my god"

Us document par tracker ka takniki naksha bana hua tha... Uski design uski karigari... Mujhe is mamle me jankari thi kyunki maine engineering ki padhai ki thi...

"Ye tracker is tarah se bana hua hai ki ye humare gale ke pass "Jugular" nas par jakar baith jati hai... Aur wahan par ye tracker is tarike se baith jata hai ki nikalne par us nas me cheed ho jaye aur khun nikalne ki wajah se insaan ki 30 second ke andar jaan chali jaye..."

Sugandha aur Anubhav ke chehre par dar aur hairani ke bhav jhalak rahe the... Mai dhere dhere samajh raha tha ki Smriti aur Shoiab kis daldal me khud ko fasa chuke hai...

"Mujhe lagta hai ye Pendrive kisi agent ka hai..."

Anubhav ne kuch sochte huye kaha... Aur pendrive ki files ko chhanne laga...

"Mujhe lagta hai ye pendrive Shoiab ko kisi aesi admi se mili hai jo kuch ladkiyon ko sambhalta hoga... I mean unki kharid bechi... Ek jagah se dusri jagah le jana..."

"To fir is pendrive me aesi koi aplication bhi hogi jisse trackers ko track kiya jaa sake"

Maine Anubhav ko shabashi dete huye kaha...

"Par agar kisine access band kar di hogi to pata nahi..."

Anubhav ne chinta jatate huye kaha...

"Suno... Mujhe lagta hai hume Sameer ko bulana chahiye... Wo in hacking wale mamlon me expert hai... Wo is tracking ke mamle me madad kar sakta hai..."

Mai Sugandha ki baat par hairan reh gaya...

"Pagal mat bano Sugandha... Wo ek civillian hai... Use in sab me mat ghasito..."

"Use nahi ghasitun to kya karun... Hath pe hath dhare baithi rahun? Hum log bohot waqr already barbad kar chuke hain... Ab aur nahi... Bhulo mat Smriti ne in ladkiyon ko bachane ke liye apni jaan dao pe laga di... Kamse kam uske baare me to socho..."

"Soch kar hi keh raha hoon Sugandha... Kya Mai ya Anubhav Smriti ko bacha paye? Party me Hospital me... Smriti 2 baar marte marte bachi hai... Aur tum keh rahi ho ke mai ek aur insaan ki jaan....."

Sugandha ne meri baat poori hone se pehle hi call mila diya... Mai use rokna chahta tha par Anubhav ne ishare se mujhe mana kar diya...

"Maine Sameer ko isliye ane ko kaha hai kyunki usne pehle bhi Smriti ki kuch mamlon me help ki hai... Mai pagal nahi hoon jo kisi ki bhi jaan khatre me daal dun"

Sugandha ne phone rakh kar mujhe gussese ghurti rahi...

Sameer ne Smriti ki madad ki hai... Har kisine Smriti ki madad ki hai mai hi bas piche reh gaya... Mai abhi bhi apne dimag me apne gunahon ka hisab laga raha tha...

Sameer jald hi aa gaya... Aur ate hi kam par lag gaya...

"Ap logon ne mujhe pehle kyun nahi bataya... Ye system thoda upgraded hai... Isse pehle wale thode simple the... Track karna asan tha..."

Sameer ne computer ko ghurte huye kaha...

"Kya tumne pehle bhi track kiya hai?" Maine chaunkte huye pucha...

"Haan... 3 baar... Mai Suman ko khabar karke aya hoon... Wo sara saman lekar ati hogi..."

"Suman... Suman kyun" Suman ka nam sunkar mai thoda pareshan ho gaya...

"Wo Tracker nikal sakti hai Kabir Sir..."

"What???" Maine aur Anubhav ne chaukte huye kaha... Par Sugandha chup chap side me khadi thi...

"Isse pehle jin 3 locations se ladkiyon ko bachaya gaya hai unka tracker bhi Suman ne hi nikala hai... Par use kahan se pata chala... Ye baat na usne na Smriti ji ne mujhe batayi... Unka kuch rule wule hai... Sabko sari information nahi milni chahiye..."

"To kya tumhare pass bhi kuch aesi information hai?" Maine Sameer se pucha par usne koi jawab nahi diya aur kaam karta raha...

"Got it" Sameer kuch der baad apni chair par uchal utha...

"Kya location mil gayi?" Maine Computer screen ki taraf ghurte huye pucha... Usme Maharashtra ka hi map dikhai par raha tha...

Sameer use focus karta raha to wo pass hi ek samundar ke kinare kisi bandargah ka location bata rahi thi...

"Kitni ladkiyan hai Sameer..." Anubhav ne pucha...

"3... Pehle rescue operation Shoiab sir lead karte the... Ek baar 3 aur ek baar 2 aur ekbaar 1 ladki mili thi... Jisme se bas 2 hi bach payi hai... Tracker nikalne ke baad bhi unhe bacha nahi paye... Drug aur dawaiyon ka itna overdose tha ki..." Sameer kehte kehte ruk gaya...

"Tumhare pass ek team hai right?" Maine Anubhav se pucha...

"Mere pass nahi... Wo team Shoiab sir ki hai... Party me jisdin hamla hua usdin unhone hi mujhe mauka diya us team ko lead karne ka..."

"Kya tum unhe bula sakte ho? Kya wo tumhe follow karenge?"

"Tum kya karna chah rahe ho Kabir?"

"Wahi... Jo Smriti chahti hai ki ho... Jo Shoiab karta aa raha hai wo... Hum in 3 ladkiyon ko Rescue karenge"

Anubhav kuch der meri taraf hairani se dekta raha... par mera irada aj pakka hai... aj wo mera sath nahi bhi dega to bhi mai un ladkiyon ko bachane jaunga... Agar aj koi bhi mera sath nahi dega to bhi jaunga...

"Thik hai..." Anubhav ne kamre me chhayi khamoshi ko todte huye kaha... "Mai team ko contact karta hoon... Wo log mana nahi karenge..."

"Great... Sameer... Tum Sugandha ke sath yahi raho aur location ke baare me hume batate rehna...

Sugandha... Tum Suman ko sab kuch samjha do... Keh do ki wo taiyaar rahe... Mai 2 officers ko use lene bhejunga... Tracker jitni jaldi ho nikalna hoga...

Par Smriti... Wo akeli to nahi reh jayegi... Uske pass bhi to koi hona chahiye..."

"Tum chinta mat karo Kabir... Mai Yasmeen se keh dungi... Wo chali jayegi Smriti ke pass... Everything will be all right... Tum log jao... Baki sab kuch tum mujh par chhod do..."

"Ok... Sameer... Kya tum mujhe us location ka koi map de sate ho... Detailed map ya aesa kuch..."

"Abhi to nahi... Par ports ke aas pass cctv cameras honge... Mai apko device deta hoon... Ap use laga dena... Mai cctv ki footage hack kar lunga aur ap logon ko guide karta rahunga..."

"Ok... Anubhav... Mujhe ek gun do... Suspension ke waqt service revolver jama kar di..."

"Ye lo... Meri le jao..."

Sugandha ne mujhe apne purse se revolver nikal kar thama diya... Mai kya kahun mujhe kuch samajh nahi aa raha tha...

"Kya... Mai criminal lawyer hoon... Licence hai mere pass..."

"Pagal mat bano Sugandha... Mai Kabir ko Revolver de dunga... Tum ye apne pass rakho aur koi bhi dikkat ho to is number pe call karna... Ok?"

Anubhav ne age badh kar Sugandha ke mathe ko chhum liya... Ek pal ke liye aesa laga ki Sugandha ro degi... Par agle hi pal usne khud ko sambhal liya... Maine apna phone nikala aur Smriti aur meri wo purani tasweer jo mai hamesha apne pass rakhta tha use dekhne laga...

"Smriti... Tum jaisa chahti ho... Waesa hi hoga... I promise!!!"

"Things We Do For Love :heart:"
 
mashish

BHARAT
8,032
25,909
218

amazing update
 
Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244

Awesome Updateee

Toh ab Kabir smriti ka mission continue karne jaa raha hai.

Dekhte hai yeh successful hota hai yaa nhi
 
  • Like
Reactions: mashish

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
  • Like
Reactions: mashish
Status
Not open for further replies.
Top