• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
:congrats: nain bhai purani story ko fir se start karne ke liye. wese mene aapki ye story pehle to nahi padhi thi par abhi 4 updates padh kar lag raha h ki story kafi kamal ki hone wali hai aur dusri baat ye hai ki likhne wale aap ho to uska to kuch kehna hi nahi.
:D .. kafi kamal ki hone wali nahi hai kafi kamal ki hai bindas bhai .. kyonki main ye lagbhag 60-70 update ka story likhne wala tha ... sabko pata tha story jaldi khatam hogi .. surwat se ye readers ke bich jagah banane me kamyab hui thi .. aur ye baat tab mujhe pata chali jab maine iske update hafte me 1 baar to 10 din me ek diya karta tha .. aur log jo silent padhne wale the unme se kayi log apni id bana kar violently mujhe pratar rahe the :D ..

khair just kidding .... purani baten .... aap apni pratikriya jaroor dete rahe .. ummid karunga meri fantasy aap ko bhi achi lage
 
nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
ye story chalu ho he gai.
par las time story ke main kirdar chirag ko bhut kam rol diya tha is baar ka kya irada hai.
chirag or uski gf ke kise vase he kam sune ko mile ge ki bechare ko aage bhi kuch role mile ga.
ab fear se shuru ki hai to aye se he comment mile ge.
kyu ki pahale pata nahi tha ki dono ko kam rol doya hai tum ne.
or haa jaldi ke chakar main tum ne story ko kaha se utha ke kaha pataka tha vo bhi yad hai.
chirag or uski gf ka kya huaa ye bataya he nhi or 2sal khani ko aage bhdha diya tha :bat:
fear uske baad kuch updates dene ke baad gayab ho gaye the :bat:
bach kar rahaba is baar kahe se bhi bicha main tapak kar aye se comment kar sakata hu main :D

Chirag ka role jyada nahi de sakta :( you and everyone know the reason .. aise mere bahut se cute kirdar dum tod chuke hain .. ab kya hi karen jab rule hi hai to :dazed: ... abe jaldi ka chakkar nahi tha .. ab 2 sal tak wahi wahi chijen reapet hui to kya main day ke hisab se sabkuch dun .... kosis karunga un 2 sal ko kuch fill up kar dun .. ab khush .. warna to tum sab ko pata tha .. main ye chhoti si kahani likh raha tha .. aur jahan tak likha tha shayad uske baad 5 se 10 update ka climax hi bacha hua tha.. fir bhi kosis karunga .. sabhi gape ko fill karne ka
 
nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Update:-5

Unhe dekhte he Jivisha ke muh se nikal gaya...... "Hey bhagwan"

Jivisha ko dekhte he wo lady..... "Tum kya pagal ho, akal-wakal hai ki nahi. Khud to bhag jati ho, aur kal se kah rahi ho mere pati kahin chale gaye hain. Tum kya isse chhor kar bhagna chahti ho, mamla kya hai batao. Do apne ghar walon ka number, main unse baat kar ke tumhari harkaten batati hun. Pata nahi aaj kal ki ladkiyon ke dimag me kya chalte rahta hai".

Non stop wo lday bolti he rahi. Mamla sambhalte huye Nandni bol pari..... "Mom, stop it. Jo muh me aaye wo bake ja rahi ho. Ye station par gum ho gayi thi, ro rahi thi isliye main isse yahan par le aayi. Aap to janti he ho, akeli ladki aur bara sahar".

Nandita ki Maa Durga devi..... "Tu jyada wakalat na kar, mujhe abhi iske ghar walon ka number chahiye, warna main police me report karti hun. Mujhe kuch thik nahi lag raha, jaroor koi baat hai. Crime petrol nahi dekhti kya. Ghatnayen aise he hoti hain"....

"Ye mother india to kafi chalu india lagti hai, jhanse me nahi aane wali. Hey bahgwan bacha lo, kal se kewal fasa he rahe ho".

Nandni, apni maa par chillati...... "Mom tumhara dimag kharab ho gaya hai. Ye crime scenes dekh-dekh ke aap har kisi ko criminal he samjhne lagti ho. Main isse bahut pahle se janti hun... ruko 2 min...

Nandni apne college ka album nikalti, apni maa ko dikhane lagi, jisme uski aur Jivisha ki tasveer thi. Uski maa har tasveer ko gaur se dekhne ke baad..... "Ye to samjh gayi ki ye teri dost hai, lekin tumhare har tasveer me ye ladka kaun hai"

Nandni, ghurti najron se Jivisha ko dekhi..... telepathy ke jariye jaise apna sandesh de rahi ho.... "Kamini tumhe bachane ke chakkar mein, main he na fas jaun, bhag yahan se"

Jivisha, minnat bhari najron se usse dekhti apne dono hath jor li... Durga devi ab bhi Nandni ko sawaliya najron se ghure ja rahi thi. Itne me Nandni ka bhai bolne laga.... "Mom, college hai… class me sath padhte honge. Inka apna group hoga.... chalo re sabha khatam karo. Sab safar se thak kar aaye hain jao sab fresh ho, khana khao... aaram se evening me baten karte hain".

Nandita ka bhai Ashis ne mamle ko rafa-dafa karte huye sab ko bhej diya. Nischal, wo to jaise wahan tha he nahi. Ashis usse apne sath apne kamre me le gaya, wahin fresh hone ke liye. Nischal bathroom me gaya he hoga ki uska device bajne laga..... Serin ka msg tha...

Wo samjh gaya yahan ki bhasha decode ho gayi hai. Language aur iss jagah ki sari information uplaod ho rahi thi.... Takriban aadhe ghantey me puri jankari uploaded thi..... Nischal jaldi se fresh hokar bahar nikla...

Idhar Jivisha, Nandni ke sath uske kamre me aa gayi...... "Kamini, to tu tab se meri he family ko pagal kah rahi thi. Tu bhag yahan se warna tere chakkar me main to pakka fasungi".

Jivisha..... Nandu, tu apni ekaluti dost ko bhaga rahi hai. Bhul gayi kitni madad ki thi tumhari maine. Meri sachi dosti ka aisa sila diya, mujhe he bhaga rahi hai....

Nandni.... Jisa jarra bataogi kis tarah ki madad ki thi mujh par. Main to aaj tak uss manhus ghadi ko kos rahi hun jab tu mujhe mili thi. Nahi chahiye tere jaise dost. Tujh se dosti nibhane se achha hai, main kisi kuyen me kud kar jaan de dun...

Jivisha..... Achhi baat hai Nandu, aaj mere bure waqt me tu bhi sath chhor de. Sach he kahte hain log, bure waqt me saya bhi sath chhor deta hai...

Nandni.... O madam ji, tujh par bura waqt nahi aata, balki tera sath jo deta hai uss par rahu, ketu aur sani teeno mandrane lagte hain. Bhul gayi ho to main yaad dila dun tumhe....

Jivisha.... Ye to sarasar ilzam hai my lord. Main to aap ki sachi sathi hun. Tu kya yaad dilayegi main batati hun... Bhul gayi jab wo ladkey aaye the tujhe chherne tab mere bhai ne tujhe bachaya tha. Wo professor wala case. Kitni jaldi bhul gayi tujhe uss Saroj ke chakkar se maine he nikala tha. Tere liya itna pain liya maine aur tu hai ki.... huhhhh !!!

Nandni.... Kya, kya, kya..... Sharm kar Jisa. Kaun se ladkey ke case me tere bhai ne mujhe bachaya tha. Ulta tera bhai mujh par line mar raha tha, aur college ke doston ne dekh liya tha to tere bhai ne ulta unhe pita. Huhhh ! Jab usse pata chala main teri dost hun to usne puri kahani he badal di. Professor ko challenge tune kiya, aur to aur mera, Saroj se break-up bhi karwa diya... Teri to, ek to sare kand tune mere he sath kee, uspar se mujhe ehsaan jata rahi hai. Ruk tere ghar abhi phone karti hun.....

Jivisha.... Bas baba samjh gayi, ab chhoro bhi purani baton ko Nandu. Bhul gayi we are friends till the end of life.

Nandni.... Tere sath deti rahi to waise bhi meri life ka jald hi the end ho jana hai. Chal bata tera ye drama ab aur kitne dino tak chalega...

Jivisha... What do you mean by drama Nandu...

Nandni.... Rahne de nautanki, teri ye bholi shurat aur jhoota expression kisi aur ko dikhana. 3 sal tujhe jhela hai, tere rag rag se wakif hun. Ab batayegi, tu yahan kitne din rahne wali hai taki main khud ko mentally prepare kar lun.

Jivisha.... Rahne de, lagta hai maine tujhe kuch jyada he pareshan kiya hai. Sorry Nandu, manf kar dena. Lekin haan jo bhi kee na wo jaan bujh kar nahi kee thi. Pune mein tujhe pahle hi bahut padeshan kiya hai, yahan bhi meri wajah se tum kyon paresan hogi.... main aaj he chali jaungi...

Nandni.... Tu seriously aaj he ja rahi hai....

Jivisha.... Haan Nandu... chal ab tu happy ho ja...

Nandni ko laga Jivisha fir se emotional hone ka natak kar rahi hai, par Jivisha ab usse sach me pareshan nahi karna chahti thi...

Iss baar Jivisha ne Nandni ko jarra bhi feel nahi hone diya ki wo uske ghar se ja rahi hai. Din ke waqt jab sab apne-apne kamron me the, Jivisha chupchap uss ghar se nikal gayi...

Thik ussi waqt Nischal, Ashis ke sath uske kamre me tha. Ashis apni gf se baat kar raha tha, aur Nischal khidki se bahar dekhte huye uski baat karne ka tarika samjh raha tha. Tabhi uski najar Jivisha par gayi, jo bari teji me gate se bahar ki ore ja rahi thi.

Nischal bhi uske pichhe-pichhe gaya. Jisvisha ghar se 10 kadam aage he gayi hogi ki uske samne Nischal khada tha...... "Ye bahar ghum raha tha.. pata nahi kaun se janam ka karj khayi hun, jo ye pichha he nahi chhorta. Iss se to kuch kahna he bekar hai"

Jivisha achanak se he bol pari..... "Chalo meri kismat, ab tumse to kah bhi nahi sakti ki please mera pichha chhod do.”

Nischal.... Tum har waqt mujh se aise kyon baat karti ho...

Jivisha shocked..... "Tum bol bhi sakte ho"

Nischal.... Haan, main to bol bhi sakta hun, aur tumhe samjh bhi sakta hun...

Jivisha, apne kadan ghar se dur badhati hui.... “To fir mera pichha kyon kar rahe ho. Tum se kaha na wo kiss maine tumse majboori me kiya tha. Tum kahin ke prince nahi jo main ek he jhalak dekh kar tum par mar mitun aur kiss kar dun...

Nischal.... Tu chilla kyon rahi hai. Ja kar apne ghar me chillana. Mujh par chillane walon ka main awaz band kar deta hun...

Jivisha... Badtamij, baat karne ka tarika nahi pata kya ? Kaise tu tarake se baat kar rahe ho. Mera chillana itna he bura lag raha hai tou bhago yahan se, kisne kaha meri awaz sun'ne ke liye. Jaan na pahchan main tera mehmaan. Kaminey tharki, shuru se sab kuch samajh rahe the, fir bhi situation ka maza liye ja rahe ho.

Nischal, Jivisha ka gala dabate..... "Jyada unchi awaz me baat ki tou fir kabhi baat karne ke layak nahi rahengi. Tum ho kaun jo main tumhe sunu.... tu bhag yahan se aur dobara kabhi apni shakal mat dikhana."

Cold war jaise dono me chhir gaya ho. Dono sadak par he jungli ki tarah larne lage. Fir kya tha wahin se dono ke raste alag aur dono chal diye alag-alag disha me. Kahani kismat ki bhi ajib hoti hai.... kismat ne milaya tha, apne jid aur pagalpan se alag huye.... Hay re kismat.....

Idhar ek din pahle jab Jivisha bhagi thi.....

Mate shree Priya ka ro-ro kar bura haal tha, aur wo Jivisha par puri tarah se gussayi hui thi. Ravi aur Avinash dono he Jivisha ke pichha karte Pune se Kalyan tak bhi aaye the, par Kalyan ke baad to jaise wo lapata ho gayi.

Ravi aur Avisnash apni family ka utra hua chehra dekh rahe the aur sage sambandhi dilasa dene ke sath-sath unke ghar me aag bhi laga raha the. Agle din saam ke waqt jab sare ristedar ja chuke the tab Himanshu apne pariwar ke sath apne dost Punya ke yahan pahuncha....

Apne dost se manfi mangte huye Himanshu kahne laga..... "Hume jarra bhi pata nahi tha ki Jivisha aisa kiuch karegi, warna main ye shadi kabhi fix nahi karta"

Shresh.... Uncle kya Jivisha kisi aur ladke ko pasand karti thi?...

Himanshu..... Nahi beta aisi baat nahi hai. Wo bas abhi shadi nahi karna chahti thi....

Punya.... Had hai jab wo shadi nahi karna chah rahi thi, fir bhi uss bachi ke sath tum sab ne jabardasti kiya. Yaar jab nahi karna chahti to nahi karte, kyon itni jaldi thi tumhe shadi ki....

Priya, achanak he bol pari.... "Kisne kaha wo shadi nahi karna chahti. Shadi to karna chahti hai, par ajib sa bhoot sawar hai uske sar par, wo apne sapney ke rajkumar ka intzar kar rahi hai, jo ghode par sawar hokar aaye aur hum sabke samne uaka hanth mang kar, usse byah kar le jaye.”

Shresh.... Ha ha ha, samjh gaya main. Ek baat bolun, aap log please uss par naraj mat hona. Ab to uski shadi uske rajkumar se he hogi, aur main banuga uske sapney ka rajkumar....

Himanshu.... Aaj mujhe mere faisle par garv ho raha hai. Thanks beta.... main to himmat he nahi juta pa raha tha yahan aane kee.

Shresh.... Koi baat nahi uncle, ab bas itna bata dijiye ki wo aap sab se chhip kar ja kahan sakti hai.

Himanshu.... Wo Mumbai ke taraf to gayi thi, lekin usse Mumbai bilkul pasand nahi, isliye wo wahan rukegi nahi. Pata nahi kahan gayi hogi. Uske jitne dost the sab se pata kar liya par kisi ko uske bare me kuch pata nahi....

Shresh..... Koi baat nahi uncle, yadi wo apna mobile chhor kar gayi hai to mujhe de do. Jivisha kahan ja sakti hai, main yun pata kar lunga...

Shresh ki iss baat par Chirag tapak se bol para..... "Meri bua ka mobile le kar jasusi karoge. Abhi to aap kah rahe the ki main banuga unka rajkumar... to jao apni rajkumari ko apne dum par dhundho. Bua ka mobile nahi milega.

Nandita, Chirag ko aakhen dikhati kahne lagi..... "Mobile deta hai ya lagaun ek chapet... chal mobile de abhi"

Chirag.... Chhota hun na sab hukum jhar lo. Abhi Di nahi to sab sher ban rahe ho. Aane do unko fir hum dono mil kar aap sab ko batate hain....

Nandita.... Jyada natak nahi, chal de mobile abhi....

Chirag, apne hathon se mobile aage badhate..... "Lo, le lo mobile... aaj jit jao aap sab kal mera bhi waqt aayega".....

Shresh ke hathon me mobile thi.... Shresh mobile pura check karne ke baad..... "Iss phone me to koi deta he nahi, phone reset kiya gaya hai"

Nandita aankhen dikhati Chirag se kahne lagi..... "Ye jaroor teri he kartut hogi, chal ghar tujhe aaj main babati hun"

Chirag.... Mamma… papa aap ke pass mein baithe hain. Ye papa wala dialogue mujhe kyon chipka rahi ho. Ab mobile me kuch nahi to uska bhi ilzam mujh par he laga do. Jarra bhi akal-wakal hai ki nahi, wo jaymala ke baad bhagi thi, to khud he reset karke gayi hongi na. Warna unke phone ka to lock he nahi khulta...

Chirag ki baten sun kar Ravi aur Nandita, aur wahan maujood sabhi log tahake laga kar hasne lage...

Himanshu.... Chalo chhoro bhi. Shresh, beta tum paresan na ho, hum dhund lenge, aur yadi Jivisha kee koi khabar mili to tumhe turant inform kar denge. Ek baar fir se dhanywaad aap sab ka aur Jivisha abhi bachi hai, uske galti ke liye ek baar fir main manfi mangta hun.

Do char line ki aur dialoguebaji chalti rahi, fir sab log wahan se chalte bane. Jate-jate sab ko Shresh ne kaha... "Aap sab Jivisha ke bagne ko jyada seriously na le, hum sab milkar dhundhege usse"....
 
nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Update:-6

After cold war :- Nischal aur Jivisha....

Dono alag-alag disha me nikal chuke the. Nischal jab Jivisha ko chhor kar aage badha to usse pata nahi kyon kuch achha nahi lag raha tha. Usse aisa laga jaise usne koi galti ki ho. Uske liye sayad zindgi me ye pahla ehsaas tha jab khud me wo kuch bura mehsus kar raha tha..... "Aakhir ye ladki hai kaun, iske liye mujhe kyon bura lag raha hai?"

Khair Nischal bhi aage chal diya. Idhar Jivisha bhi alag rasta pakar li. Wo bas chalti hui yahi soch rahi thi ki uske wajah se Nandni ka break-up ho gaya. Nandni ko kayi sari padesaniya uthani pari jab wo sath college me the.

Jivisha ko rah-rah kar ye feel hota raha. Tannnn.... jaise dimag ki batti jali ho. Turant cyber cafe me gayi aur fb account se Saroj ka number nikaal layi.... Jivisha, Saroj ko call lagati hui....

Saroj.... Hello kaun..

Jivisha..... Main hun Jivisha...

Saroj.... Jivishaaa !!! Tumhari himmat kaise hui mujhe call karne ki. Rakh phone...

Jivisha.... Wait, wait, wait... call disconnect mat karna. Ek jaroori information deni hai...

Saroj.... Jaldi bolo... mere pass time nahi...

"Kamina, samne se call kari to kitna bhaw kha raha hai".......... Jivisha.... "Nandu ab bhi tumhe chahti hai, aur tumhare liye usne aaj mujh se jhagra bhi kiya. Sorry meri bachkana harkaton se tum dono alag ho gaye.

Saroj.... Hmmm ! Iss baat ka ehsaas tumhe tab hua hota. Kash uss waqt tumhari buddhi itni bharsht na hoti, to aaj humari ek pyari si duniya hoti.

Jivisha.... Bas ussi pyari si duniya ke khatir call ki hun. Nandu ki shadi kal tay hone wali hai. Tum fatafat Indore aa jao aur bacha lo apne pyar ko. Tumhare bina to wo mar jayegi....

Saroj.... Nahi…. main aisa bilkul bhi nahi hone dunga. Tum fatafat adress likhwa do, main abhi Indore ke liye flight le raha hun.

Fir kya tha Jivisha ne Nandni ka adress likhwa diya, aur Saroj bhi Pune se Indore ke liye turant rawana ho gaya..... "Hmmm !! Chalo jo bigara tha, wo to sudhar diya, ab jarra main apne ghar ki bhi soch lun. Pata nahi wahan ka mamla kab tak sudhrega"...

Idhar Saam ko jab ghar me Nandni ne Jivisha ko dhundha to wo gayab thi. Nandni bahut jyada shocked thi, usse yakin nahi ho pa raha tha Jivisha ne bhi baton ko seriously lena sikh gayi hai. Usse rona aa gaya apni harkat par....

Wo apne kamre me baith kar ro rahi thi, tabhi uska bhai Ashis wahan aa pahuncha. Ashis ne Nandni ko rote dekh uss se puchh diya... Nandni ne bhi Jivisha ki tragic story roti hui suna di, kaise wo ghar se bhagi, fir Kalyan station ka har wakya.....

Ashish, usse dilasa dete huye kahne laga.... "Koi baat nahi abhi jyada waqt nahi hua hai, chal, chal kar dhundhte hain sayad Jivisha ab bhi Indore me he ho."....

Dono nikal gaye dhudhne un dono ko. Idhar Jivisha aur Nischal dono he bhatkte-bhatkte pahunch chuke the bus stand par. Bus stand k eek gate se Nischal to dusre gate se Jivisha nader ghus rahi thi. Dono lagbhag ek hi samay par alag-alag raste se bus stand mein kadam rakh rahe the, aur dono apne he dhun me chal rahe the...

Jisvisha ki wahi purani aadat, chal kahin aur rahi thi, dekh kahin aur... wahi haal Nischal ka bhi tha, wo chalet huye aas-pass ke logon ke baat karne ka tarika samjhte huye chala aa raha tha.... aur chalte huye fir se dono takra gaye...... Ek baar fir Jivisha, Nischal ke bahon me jhul rahi thi, aur Nischal uske kamar me hath dale usse thame hua tha.....

Jivisha.... Ab aise he pakre rahoge, ya main khadi ho jaun...

Nischal.... Pichhli baar aise situation me tumne mujhe kiss kiya tha, socha iss baar bhi kahin koi jugad lag jaye.

Jivisha..... Tum kyon mujhe itna paresan kar rahe ho. Kuch der pahle to kahe the ki tum meri shakal tak nahi dekhoge, aur mera pichha karte-karte yahan tak bhi pahunch gaye….

Nischal.... Tum ladkiyon ki problem kya hai, haan.... yahi baat main kahun to kaisa lagega... ki tum mera pichha kar rahi thi, main to apne raste tha...

Jivisha..... Tum itna akad kar mujh se kyon baat karte ho. Tumhe main pasand nahi aur mujhe tum, to baat he khatam karte hai na, baat badhane se kya fayda.

Nischal..... Mujhe aise he baat karni aati hai. Tumhe yadi problem hai to mujhe sikha do.

Jivisha..... Jab kah rahi hun ki baat badhane se koi fayada nahi, fir bhi jabardasti ka topic utha kar jabardasti lage pare ho. Main kyon tumhe kuch sikhaungi jungli. Wapas jao jis jungle se aaye ho. Chipku kahin ke, tum se to chillakar he baat karo to achha hai. Tabhi tum bhagoge.

Nischal.... Chilla kar to dekh, muh na tod dun tera...

Jivisha.... Sadak chhap kahin ke, bolne bhi nahi aata. Tamij he nahi ki khoobsurat ladkiyon se kaise baat karte hain.

Nischal.... Tujhe bahut tamij hai, isliye ladkon ki tarah chillati rahti hai. Tu ladki bhi hai kya ?

Jivisha.... Ab ek aur sabd bola to main tumhara khun pi jaungi....

Nischal.... Lagti he hai dayan ki tarah, tabhi to khun pine ki baat kar rahi ho... chudail kahin ki.

"Bas bahut hua band karo kutte-billi ki tarah ladna. Aise koi sadak par jhagra karta hai kya”. Nandni ko achanak hi bus-stand par dekh Jivisha soch me pad gayi…. “Ye achanak yahan kaise pahunch gayi, koi pir baba ka chamtkar hua tha kya".

Jivisha.... Bahut bara nautnaki hai ye Nandu. Ye bol bhi sakta hai aur sun bhi sakta hai, fir bhi situation ka maza utha raha tha. Mujhe to ye koi bahut bara fraud lagta hai.

Nischal.... Teri to, ye kya bakwas kiye ja rahi hai....

Itna kah kar Nischal ne to iss baar Jivisha ka collor he pakar liya. Sab shocked ho gaye... Public place upar se aisa tamasa, ek ladki ke kamij ka collar pakadna .... Ab to bhid ke sath-sath police bhi pahunchi wahan.

In dono ke jhagre me kai bus ruki pari thi. Sab ke nikalne ka time ho raha tha, par dono to uss jagah se hilne ka naam he nahi le rahe the. Upar se masaallah public, wo to chatkara maar kar iss jhagre ka luft utha rahe the.

Police bhid ko bhagati, dono ko apne sath le jane lagi. Ab to teeno ki he fat gayi.... Jivisha ne socha kahin police ne puchh-tachh aur I'D mangi to ghar par pata chal jayega... Jivisha turant he Nischal ke gale lagti, roni awaz me jor se chillane lagi....

"Hay daiyya, main lut gayi barbaad ho gayi... ek to mera pati mujhe chhor kar ja raha hai, upar se ye police wale, ye nahi ho raha ki mere pati ko samjhaye ki wo apni iss eklauti biwi ko chhor kar na jaye... to ulte hume he hawalat le jana chahte hain"

Bas fir kya tha, ladki ka rona dekh kar kai ladies ab Jivisha ke bachaw mein aa gayi. Haan fark itna tha ki police se sari ladies sirf itna kah rahi tui ki... "aise patiyon ki hawalat me le ja kar dande mar kar samjhana chahiye".

Kaun uljhe ladies se. Police bhi dono ko bhid se bahar la kar harkane lagi.... "Ghar ke jhagre ghar me kyon nahi suljhate. Chalo, tum dono ki baat main police station me he sunuga"....

Ashis..... Arre sir, kahan aap inhe hawalat me le jaoge. Ab aap ki bhi to shadi hui he hogi, to aap samjh he sakte ho, in patniyon ke jid. Bas issi baat par dono ki bahas hui, aur mera dost ruth kar bhagne laga.

Police.... Kamal ka banda hai ye to. Sach me daring wala hai. Biwi se ruth kar ja raha tha aur biwi yahan tak aayi manane ke liye. Wow yaar, iski ek photo lene do, main subah saam iss daringbaaz pati ki tasveer dekhunga. Lekin fir bhi, public place me humgama kiya hai to thane to le jana he hoga...

Ashish, 500 ka ek note badhate kahne laga .... "Sir ab to public place par humgame ka matter solve ho jayega na"...

Police..... Nah, manhgai badh gayi hai, itne se kya hoga. Par iss ladkey ki daring ke karan main itne paise me matter close karta hun. Jao sab ke sab ab bhago yahan se.

Sabhi bina ruke nikle wahan se. Charon ghar pahunche.... Nandni pure raste Jivisha ko bhrikuti (eyebrow) tane use ghurti hui aa rahi thi, mano kah rahi ho tug har chal tujhe main batati hun..... Lekin Nandni ke iss gusse par hall mein hi viram lag gaya jab uske mom-dad ne charon ko ek sath aate dekh liya…… "Tum sabhi kahan gaye the"

Iss sawal ke jawab me Nandni kuch bolti, uss se pahle he uske darwaja par knock hui.... Samne Saroj khara tha. Saroj ko dekh kar Nandni ki mano sasen he ruk gayi ho. Nandni shocked, ab ye yahan kaise tapak para. Nandni ki maa gate par khadey Saroj ko gaur se dekhti kahne lagi..... "Ye to wahi tasveer wala ladka hai"

Shock par shock.... Pune wale sare rahu-ketu ek sath ab Nandni ke ghar par the. Nandni bhrikuti tane, dono aakhen bari ki hui.... Jivisha ki taraf aise ghuri jaise wo abhi usse kha jayegi....

Idhar Nandni ki maa Durga devi Saroj ko gaur se dekhtey huye uske pass pahunch gayi.... Saroj ko ghurti hui kahne lagi.... "Tum Nandni ke sath padhte the na"

Nandni, Jivisha se fusfusate..... "Ye teri he harkat hai na duffer"

Jivisha, chhota sa muh banaye, haan me jor-jor se apna sir hila di. Mamala garbar hote dekh ek baar fir Jivisha ne dimag laga diya..... Teji se wo gate ke ore gayi aur Saroj ko dekh kar kahne lagi..... "Aunty ye mera bhai hai, aaj saam me jab baat hui to maine he isse bula liya"

Jivisha ki baat par Nandni ki maa kahne lagi...... "Tune saam ko bula liya aur ye urr kar yahan chala aaya. Tumhari koi gangue to nahi, jo ek-ek kar ke mere ghar pahunchoge aur loot kar nikal loge".

Jivisha.... Aap bhi na, achha mazak kar leti hain aunty ji.

Durga Devi.... Nahi main bilkul mazak nahi kar rahi. Tu gori chitti hai, aur ye sawla. Dono kahin se bhi dekhne me bhai bahan nahi lagte. Kal jab main tasveeren dekh rahi thi, tab to tumne nahi kaha ki ye tera bhai hai. Kuch to mujh se chhipaya ja raha hai. Ashis... Ashis....

Ashis..... Kya hua, chilla kyon rahi ho...

Durga devi.... Ashis jarra in dono ko dekh kar bata to, kya sakal se dono bhai-bahan lagte hain...

Ashis.... Ab isme bhai bahan nahi lagne jaisa kya hai. Sirf rang he nahi milta na, baki nain-naksh sab milte to hain. Chhote mamu to kitne kale lagte hain, to kya wo aap ke bhai nahi.... Aur Jivisha ko maine he kaha tha isse bula lene, bechari bahut miss kar rahi thi apne bhai ko.

Durga devi.... Mujhe sab garbar kyon lag raha hai. In dono ki shadi hui, aur pati-patni alag-alag the. Train me bhi iss ladki ko kai log dhundh rahe the, mujhe laga iski love marriage hui hai. Jab love marriage hui to ye apne bhai ko kaise bula sakti hai. Aur jab arrange marrige hui hai to ye dono bhag kyon rahe the.... Nah mujhe bilkul yakin nahi. Tum sab mile huye ho aur koi na koi khichdi pak jaroor rahi hai....

Ashis.... Haan khichdi pak rahi hai to aap usse pet bhar kar kha lo. Maa tum na budhape me sathiya gayi ho....

Durga devi.... Ab main he pagal ho gayi. Main he budhi ho gayi. Mujh par he chillayega....

Ashis.... Mom... mom... please mujhe 2 min do aur shanti se pahle baat sun lo... ye lo line par Jivisha ke papa hain...

Ashis ki baat sun kar sab shocked..... Idhar Nandni ki mom ne call pick kee .... udhar se...

"Sorry bahan ji mere wajah se aap sab ko taklif hui. Darasal meri beti ki jo shadi hui hai usse humare backward samaj walon ne kabool nahi kiya, aur wo un dono ko mar dena chahte hain. Isliye majboori me mujhe un dono ko bhagana para. Maine suna ki aap mujh se kuch baat karna chah rahi thi".....

Durga devi.... Haan, main baat karna chah rahi thi. Main bhi ek beti ki maa hun. Bache jab ghar se bhag jaye, upar se intne sandeh jab paida kar rahe ho to guardian se baat karna hi sab jyada sahi vikalp hai. Aap ko sunne ke baad mujhe bahut santusti mili, aur sare sandeh bhi dur ho gaye. Aap ke faisle par mujhe garv mehsus ho raha hai. Ek gunge-bahre ko aap ne apna jamai banaya, iss se bari insaniyan kya ho sakti hai.

Call disconnect aur Durga devi, Jivisha se hath jor kar manfi mangti hui kahne lagi....."Mujhe manf kar do beta, tum pahle se itni paresan thi aur maine tum par shaq kiya.... aao beta ander aao tum ab tak bahar kyon khare ho.... Jivisha beta tumhari shadi kal he hui hai na….. Jivisha "Haan" me sir hilane lagi....

Durga devi..... Haan to thik hai tumhare shadi ke baad ki rashmen hum yahan puri karenge. Yun samjho ki tum bhi meri he beti jaisi ho. Nandni, Ashis... Hum bahar ja rahe hain shadi ke baad ki rashmen jo hoti hai usse pura karne ke liye pandit ji ko bulane... dhyan rahe tab tak ye dono sath na rahe....

Durga devi apne pati ke sath ussi waqt market chali jati hai... idhar ghar me...

Ashis.... Koi batayega ye tum logon ka kya naya natak chal raha hai.. Nandni enough, main kab tak tumhe save karta rahunga..... hamesa tumhari he problem tumhari he tragedy... tumhare karan mujhe ghar me 100 jhoot bolne parte hain.

Nandni.... My sweet bhaiya, ab ek he to bahan hai tumhari to kya mujhe nahi bachaoge to apni gf ko bachaoge. Aur meri ek he to dost hai, haan thodi pagal hai par uske liye 7 khoon manf.

Ashis.... Aur in dono ladkon ka kya....

Saroj.... Mujhe to yahan Jivisha ne bulaya, kahi Nandni ki shadi tay ho rahi hai aur wo mere bina mar jayegi....

Ashis.... For your kind information Mr Saroj, Nandani ki shadi pahle se tay ho chuki hai, wo bhi ussi ke pasand ke ladkey se. Aur uske liye isne mujh se 100 tarah ke jhoot aur 200 tarah ke kukarm karwaye hain isne. Dusri baat ye ki tum ek bhai ke samne khade ho kar ye jata rahe ho ki tum uski bahan ko pasand karte ho. Tum ek reason batao ki main tumhara muh kyon na tod dun.

Jivisha, Ashish ki baten sunte he chupke se kadam badha kar wahan se khisakne lagi, tabhi wahan Ashis ki awaz gunji.... "Pichhe se aap kahan nikal rahi hain mohtarma"

Jivisha.... Maine socha aap ke aur Nandu ke bich baat chal rahi hai, bhala yahan mera kya kaam.

Nandni... Bhaiya, aap apna jarra sawal jabaw baad me karoge. Mujhe abhi thoda hisab kitab karna hai...

Ashis... Thik hai kar lo...

Nandni.... Jisa tu ghar se kyon gayi....

Jivisha.... Bas mujhe realise hua ki maine aaj tak tumhare liye kuch kiya nahi, ulte padesani khari karti aayi hun. Bas yahi soch kar chali gayi....

Nandni.... Jyada over smart ho gayi hai na... kuch bol diya mazak me to tere dil me chhed lag gaya.

Jivisha.... Bas baba sorry... ab to khush.. chal hans bhi de. Mujh se tu muh fula kar rahe ye mujhe achha nahi lagta....

Nandni.... Mera ego satisfy nahi hua, chal murgi ban fir mera ego satisfy hoga.

Jivisha charo ore najar ghumayi.... Ashis, Saroj, Nischal.. sab hall me he khadey the..... "Nandu, yahan sab ke samne"

Nandni.... Haan yahan, abhi... sab ke samne....

Jivisha.... Tu sach me serious hai....

Nandni.... Haan sach me serious hun, aur jis tarah se tune mera dil dukhaya hai, yadi murgi na bani to teri kasam main tere se baat nahi karungi.

Jivisha..... Huhh ! Aisa bhi kya ego... sab ke bich murgi ban'ne kah di... tumhe yahi achha lagega to yahi sahi...

Jivisha bhi tau me aati apne dono kaan pakar kar position me aane he wali thi ki tabhi Nandni ne usse roka..... "Bas baba, aur sorry jo tumhe uss waqt ulta bola aur abhi tumhe aisi saza di"

Jivisha.... Ab formality band bhi kar... aur mujhe ye bata ki teri shadi ho rahi aur tumne mujhe bataya bhi nahi....

Saroj, jo ab tak chup tha..... "Tum aise kaise kar sakti ho shadi, main tumhare liye he itni dur se aaya hun"

Ashish.... Tum dono ka bharat milap ho gaya ho to dono me se koi ye batayega ki ye ladka yahan kya kar raha hai....

Nandni, Jivisha ko aakhen dikhati.... "Ab tera ye kaun sa naya drama tha tu jarra samjhayegi. Subah tu aayi aur saam ko ye aa dhamka"

Jivisha.... Ab tune mujhe itna taunt kiya to mujhe laga mere wajah se tera pyar dur ho gaya, isliye maine Saroj ko call laga di. Kitna bhaw khaya ye jab maine isse call ki to. Lekin tere wajah se maine wo bhi sah liya....

Nandni apne hath jorti..... Sun meri maa aage se na tu meri yadi bhalai karna chahe to ek baar mujhe bata diya kar, ki main tere liye kuch achha karne ja rahi hun, taki main mentally prepare ho jaun ki mujh par koi bijli girne wali hai. Bhaiya iss namune ko kah do yahan se jaye.

Saroj.... Aisa to na kaho Nandni, tumhare liye main kitni dur se aaya hun.

Nandni.... Tumhe yahan aane ki jaroorat nahi thi Saroj, chup-chap wapas laut jao....

Saroj... Nandni ek baar meri baat to suno...

Ashis..... Suna na Nandni ne kya kaha, ab chup-chap bahar nikal jao....

Saroj.... Ye tum achha nahi kar rahi ho Nandni. Bilkul he galat ho raha hai ye....

Ashis usse ek thappad lagata...... Galat hai to galat he sahi, abhi tu nikal warna ab jute bhi parenge...

Saroj ko dhakke maar kar Ashis ne bahar kar diya. Nandni ke chehre par mayusi saaf najar aa rahi thi aur wo khud ke thake hone ka natak karti sidha sone chali gayi. Nischal bhi Ashis ke sath bahar nikal gaya, akeli bachi Jivisha...

Koi kaam nahi tha, Jivisha tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi bhayanak jungli janwar ke lagatar humle ho raha tha, jisme 2 dino me 2 lashen mili thi. News ke anushar ab tak janwar pakda nahi gaya tha aur logon ko raat ke sannate mein ya kisi sunshan jagah na jane ki salah di jar ahi thi.
 
nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Bechari jivisha kaha fas gayi,
Ye nischal to wakai peechhe pad gaya usake.
Ye hai to alien, aaya kaha se hai aur waha isako bhagoda kyo kah rahe hai?
Lagta hai koi bahut bada kand karke aaya hai yaha.

bahut maza aane wala hai chintu bhai ..... abhi to kahani shuru hi hui hai .. bilkul less rone dhone wale emotion ke sath likhi gayi ye ek fantasy romantic comedy action drama hai :D...
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,178
38,572
259
:bow: :bow: :bow: .. maine galtfehmi me nahi balki khinchai ke irade se likha tha.... man me koi galatfehmi ya 2 rai nahi hai ki aap meri kahani nahi padhte hain.. awashya padhte hain .. lekin kya kare .. aap 200 kahani me kyon na uljha lo ... hum us premika ki tarah hain jise khas dhyan ki jaroorat hoti hai .. aam logon se hat kar dekhne wali feeling :D .. aur aisi hi feeling apni bhi rahte hai.. ab ek premika ke vash me to nahi ki wo premi ko kahin aur tarne se rok paye .. lekin uska sthan upar hai ye sabse jyada khushi ki baat hoti hai... ;)

aap kitna bhi kah lijiye comment nahi kar pata .. lekin hum to tane denge hi.. rishta hi kuch aisa hai :D
nain11ster bhai aap aur RASCAL420 bhai.............aap dono hi hain..............jinki kahaniyon ne mujhe xossip............. kahaniyon ka mahasagar.....dikhaya.... isliye ap hamesha khas rahoge mere liye...............samay-samay par comment jarur mileinge..........
likhte rahein................naye updates ka bekarari se intzar hai
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,411
28,457
218
Awesome update...?

Aakash.

sᴡᴇᴇᴛ ᴀs ғᴜᴄᴋ
Staff member
Sr. Moderator
46,213
160,942
304
Ye Meri Aakhri Kahani Thi, Jo Main Xossip Par Likh Raha Tha....... Unfortunately XP Band Ho Gayi Aur Ye Kahani Bich Mein Hi Atak Gayi. Halanki mein bhi atak gaya tha fir, bhid-bhad me khoya sa aur likhna bhi bhul gaya tha....

Kuch kamine dost jo xp se mera picha nahi chhod rahe.... unhone fir mujhe bahut hadkaya aur wapas likhne ki zid par bhukh hartal ko baith gaye..... mein lagbhag 3 sal baad laut raha tha...... Apne chir parichit section Romance se fir maine Bhanwar likhna shuru kiya....

Mujhe ummid nahi thi ki, itne salon baad bhi wapas se likhne ke baad bhi readers ke bich Bhanwar ko itna pyara response milega...... Main yahan ke sabhi readers ko aabhar vyakt karna chahunga jinhone meri kahani ko saraha aur kahani ke sath bane huye hain....

Mujhe laga tha logon ne bhula diya hoga iss kahani ko ... lekin aisa nahi tha. Bahut sare readers ke jahan me ab bhi ye story apna chhap banaye huye the... Main naam likh kar yahan dusron ki bhawnao par koi aaghat to nahi karna cahhata.. lekin unhi readers ke bich ek reader ne mujhse itna aagrah ki ... ki main khud se hi sawal puchne laga.... Jinhone viswas kiya ek purn kahani ka.. kya unhe ek adhuri kahani dena jayaj hai...

khas dhanywad us pathika ko jisne mujhe ye sochne par majboor kiya aur is soch ke baad ab main bilkul taiyar hun "Ishq-Risk" ko uske anjam tak pahunchane ke liye.... So taiyar ho jaeye ek mindless fantasy ke liye..... jo sachai se koson dur hai aur main apeksha karunga ki aap ise matr ek fantasy love story ki tarah padhe jisme facts ko takh par rakh kar kahani ko enjoy kare....

Isi ke sath main apni baaten samapt karta hun... aur ummid karta hun ki aap readers ke bich ye kahani jagah bana sake.....

Dhanywaad....
I would like to thank and congratulate you for starting this story again. I am reading this story for the first time and I hope that everyone will like this story.
Thank You...

???
 
Top