UPDATE 88
Indradev dev ke pass aane ke liye nikal chuke the. Or bahi dev or baki sabhi filhaal vishram kar rahe the. Din bhar kafi mehnat jo ki thi sabhi ne. Isliye thoda thak se gaye the. Utne nahi mamuli se. Tabhi mujhe gurudev ki aawaj aai jo mujhe bula rahe the. To me bhag kar unke pass gya. Or me kya dekhta hu. Baha per gurudev ke sath koi or bhi the. Or me unhen dekhkar hi pehchan gya ki ye kon ho sakte hai. Kyuki unki chhabi or unka tez hi aisa tha jise dekhkar keval ek hi feeling aati hai. Ki ha yahi hai sare devtao ke raja DEVRAJ INDRA.
Unke sir ka mukut or sarir per kai prakaar kr aabhushan unki personality ka varnan kar rahe the.
( Sorry for English word. Mujhe hindi wala yaad nahi aaya is waqt isliye yahi likh diya)
Main unke sameep gya or unhe dandvat pranam kiya.
Main- dhanya bhag mere Jo aaj swayam devraj indra mujhe drashan dene aaye hai.pranam indradev.
Indradev ne mere pass akar mujhe apne hatho se uthaya or khada kiya.
Indradev- vijai bhav putra. Ham prasann hue. Or putra bhale hi ham aaj pehli baar mil rahe ho. Parantu meri najar hamesha tumper rehti thi. Or abhi tak tumne jis tarah se asuro ka vinash Kiya hai use dekhkar mujhe tumper kitna garv hota tha me use byakt nahi kar sakta.
Ye sab sunke me shok tha ki kya ye sach hai. Indradev mere uper najar jamaye rehte the.
Gurudev- vats indradev satya keh rahe hai. Kai baar inhone tumper aane wali musibato ko tala bhi tha. Ye ek tarah se tumhari raksha karte the. Taki koi asur tumhare karib na pahuch paye. Or tumhe yaad hoga. Jab pehli baar us jungle me tumhara samna un char asuro se hua tha. Tab tumhare man se jo aawaj aai thi vo Indradev ki hi thi. Unhi ne tumhara margdarshan kiya tha. Or is hisaab se ye tumhare pehle guru hai.
.ye sunke mere samne pura flashback chal gya jab mujhe vo aawaj aai thi jisne mujhe dhyan karne ko kaha tha. Mujhe laga tha ki vo aawaj mere antarman ki thi lekin aaj pata chala ki ye to jeete jagte devraj ki aawaj thi.
Main- aapne satya kaha gurudev us hissab se ye mere pehle guru hai jinhone mujhe apni shakti ka istemaal karna bataya or meri raksha bhi ki. Or aaj ye baat jaankar me bakai me dhanya ho gya gurudev.
Maine ye kehke unhe fir se pranaam Kiya to unhone mujhe rok liya or fir vo bole.
Indradev- putra me tumhare gurudev ka pad nahi le sakta. Maine jo bhi abhi tak kiya vo isliye kyuki mujhe tumme aone putra ki chhabi dikhai deti hai. Or usi rishte se maine ye sab Kiya. Tumhare asli gurudev to yahi hai. Jinke barabar mahan is samast brahmand me or koi nahi hai. Or satya kahi to ye gurudev wala patra mere liye hai hi nahi.
Ye kehke vo muskurane lage. Or me bhi.
Fir gurudev bole.
Gurudev- devraj aaj aapka yaha aagman kaise hua.
Indradev- ha in sab me mukhya baat to batani reh hi gyi. Darashal ek naya sakat aan pada hai. Shukracharya mahadev ke liye yagya kar rahe hai. Or agar vo yagya safal ho gya to vo mahadev se kuch bhi vardaan mang lenge. Or aap to jante hi hai ki unhe is samay kiski sabse adhik chah hai. Mujhe bas yahi dar Lag raha hai ki mahadev unhe dev ko parast karne ka koi achuk upaay na de de. Verna abhi tak ki sari mehnat per pani fir jayega. Ab aap hi koi upaay bataye guru persuram.
Ye sunkar to mere chehre ki hawaiya hi udd gyi. Ki aisa bhi sambhav hai.
Main- gurudev. Kya mahadev aise ek yagya se unhen darshan de dete hai.
Gurudev- ha vats. Bahut pehle unhone ye vardan liya tha mahadev se ki jab bhi unhe mahadev ki madad ki jarurat hogi. Tab be ek yagya karke mahadev ke darshan prapt kar lenge or unse Jo madad chahiye vo prapt kar lenge. Lekin is yagya ki kuch seemayen hai. Ye yagya pure kaal me keval ek baar hi kiya ja sakta hai. Hamare char kaal hai SATYUG, DWAPER, TRETA OR KALYUG. abhi tak teeno kaalo me jab bhi jarurat padi hai unhe tab unhone is yagya ko 1-1 baar sampann karke mahadev se sahayta prapt ki hai. Or ab unki ye aakhiri sahayta hogi mahadev se. Or manna padega unhone kya waqt chuna hai.
Indradev- or guruvar aapko ye bhi pata hoga ko ise khandit nahi kiya ja sakta hai.
Gurudev- ha mujhe gyat hai.
Parantu aapke yaha aane ka maksad me abhi bhi nahi samaj pa raha hu Devraj.
Indradev- gurudev darashal yahi samasya leke me narayan bhagwan ke pass gya tha. Or unhone meri samasya ko samjha or mujhe ek upaay bataya hai. Unhone kaha hai ki agar arnav ye kahe ki ja is yagya ko bifal kar do. To be swayam jakar is yagya ko bifal kar denge. Or uske sath unhone mujhe kuch or bate bhi batai jo me Aapko batata hu.
Uske baad baha ki puri varta indradev ne vigat baar suna di gurudev or mujhe. Jise sunne ke baad me itna to jaan gya tha ki is yagya ke sampann hote hi bahut hi bheesan sankat aayega mere uper.
Gurudev- unhone sahi kaha hai Indradev. To vats tum kya kahto ho. Kya hame unke yagya ko bifal karna chahiye. Ya nahi karna chahiye.
Main- gurudev ye faisla lene main saksham nahi hu. Parantu ek baat hai jo maine sabhi bed or purno me padi hai. Vo ye ki yagya ko bifal karna Tridevo ka apmaan karna jitna bada paap hai.
Or rahi baat is yagya ko bifal karne ki to me ise bifal karne ke liye na hi kisi se kahunga or na hi khud kosis karunga. Bhale hi iska parinaam meri mrityu hi kyu na ho.
Or vishnu bhagwan ne bhi sahi kaha hai. Shuru se lekar abhi tak vo mere samne jara bhi nahi tik paye hai. Or us hisaab se unhe ek mouka to milna hi chahiye. Jisme unka samna unke hi barabar shaktishali shatru se ho.
Or me aapki ye baat bhi manta hu ki agar unko aisa mouka milega to vo kabhi bhi is yagya ko purna nahi hone dete. Lekin narayan bhagwan ki baat bhi sahi hai. Agar hamne us yagya ko bifal Kiya to unme or hamme fark kya rahega.
Baise bhi ham sabhi ek hi panchtatvon se bane hai. Ham me jara bhi antar nahi hai. Ham sabhi ek hi hai. Hame dusro se koi baat alag karti hai. To vo hai hamara aacharan or hamare sanskaar. Agar aapka aacharan achha hai to aap Devta kehlayenge. Or agar bura hai to aap asur kehlayenge. Baki sab kuch ek jaisa hai ham sabhi me.
Ham swayam or apne pariwar ki raksha ke liye kisi bhi had se gujar jate hai. Maine bhi abhi tak kai asuro ka badh kiya hai. Or asuro ne bhi abhi tak kai yudh lade hai jinme kai hatyay ki hai. Is hisaab se ham dono ek jaise hai. Parantu fir bhi kuch aisa hai jo hame alag banata hai. Or vo hai hamara aacharan. Maine asuro ka vadh sabki raksha karne ke liye kiye hai samaj kalyan ke liye kiye. Or asuro ne jo bhi hatya ya vadh liye hai vo keval swayam ke fayede ke liye kiye hai.or sabhi per raaj karna or apna varchasp kayam karna. Agar me aisa hota to abhi tak samast sansaar mere samne ghutne teke deta. Lekin me aisa nahi hu. Or na hi kabhi aisa ho sakta hu.
Or is hissab se me yahi kahunga ki me nahi chahta ki unke yagya ko bifal kiya jaye. Fir bhale hi unko meri shaktiyo ka tod hi Kyu na mil jaye is yagya se. Fir bhi me is sansaar ki bhalai ke liye jo aavashyak hoga vahi karunga bhale isme mere pran hi Kyu na chale jaye.
Itna kehkar me shan't ho gya. Or ek lumbi saas li. Or tab mujhe ehsas hua ki maine abhi kisko bhasan suna raha tha. Jinke samne bade se bade gyani log bhi haar maan jate hai.
Main- mujhe shama kare gurudev or indradev. Me kuch jyada hi bol gya. Agar kisi baat ka bura laga ho to fir se me shama mangta hu.
Gurudev- vats Tumne jo bhi kaha hai.us baat ka hame jara bhi bura nahi laga. Balki Tumne to ek aisi sachai hamare samne rakhi hai. Jiske bare me aajkal koi sochata bhi nahi hai. Sab bahi karte hai jisme unka hit unhe dikhai deta hai. Or tumahare aise vacahn sunkar mujhe tumper kitna garv ho raha hai me vyakt nahi kar sakta. Jeete raho vats jeete raho.
Indradev- putra guruvar ka katha. Satya hai. Me keval is kiye chintit tha kyuki is yagya ke parinam ke rup me kahi ham sabhi tumhe kho na de. Or ye dar abhi bhi bana hua hai. Lekin tumne jo apna faisla sunaya hai use sunkar me atyadhik prasann hu. Or mujhe bhi garv hai tumper putra. Baki ab jo hoga achha hi hoga.
Gurudev- sahi kaha aapne devraj. Mahadev sab achha karenge.
Uske baad indradev baha se chale gye seedhe vaikuntha. Or me or baki sabhi bahi per reh gye.
Indradev ne baha pahuch kar unhe pranaam Kiya or arnav ka faisla unhe Bata diya. Jise sunkar vo bhi atyadhik prasann hue.
VISHNUJI- me janta tha ki arnav yahi faisla karega. Or usne bilkul sahi faisla kiya hai. Or ab mujhe lagta hai ki aapki samasya ka bhi nibaran kuch had tak ho gya hoga indra.
Indradev- prabhu samasya to bahi ki bahi hai. Ha lekin iska samna karne ki shakti jarur mujhme aagyi hai jo pehle nahi thi. Arnav ki bate sunkar mere andar ek naya josh aagya hai. Or me ise kayam rakhne ki puri kosis karunga.
VISHNUJI- bahut achhe indra. Ab sab kuch mahadev per chhod do. Jo ho raha hai use hone do. Sab achha hi hoga.
Indradev- jaisi Aapki aagya prabhu.
Ye kehke vo unhe pranam karke baha se chale gye. Or vishnu bhagwan fir se apne dhyan me baith gye.
Bahi shukracharya ka yagya ab samapti ko taraf bad gya tha bas kuch or aahuti daal kar ye yagya sampann ho jane wala tha. Or is samay ki pratiksha sabhi kar rahe the ki kya hoga kya kahenge shukracharya mahadev se.
Bahi dev ko bhi iski tension thi. Lekin vo is mamle me kuch bhi nahi karna chahta tha filhaal use bharosha tha ki mahadev Jo bhi karenge usme samast sansaar ki bhalai hi chhipi hui hogi.
Or akhir kaar vo samay aahi gya jab yagya sampann hua or yagya kund se saakshat mahadev pragat hue shukracharya ke samne.
Jinhe dekhkar shukracharya ne unhe dandvat pranaam kiya.
Mahadev- uthiye shukracharya or kahiye ki kis uddesya ke liye aapne mujhe bulaya hai.
Shukracharya- mahadev aap to sab jante hi hai. Aapke ans ne samast divyastra ko prapt kar liya hai. Or ab ham chah kar bhi uska mukabla nahi kar sakte hai.us Vishal shakti ke samne ham nahi tik sakte. To ham per kripa kare or mujhe koi aisa upaay ya marg bataye jisse ham dev ka samna bhi kar paye or us divystra ko punah prapt karne ka prayas bhi kar paye.aapki badi kripa hogi hamper.
Mahadev- shukracharya vo divystra aapko samarpit Kiya gya tha. Parantu aapne use galat hatho me de diya. Jiske paschat usne iska istemaal hamesha bure karyo ke liye hi kiya or yahi bajaj thi ko divystra aapse ruth gya. Or jab vo jaagrit hue to usne Aapko nahi arnav ko apna pata bataya. Jis bajah se arnav use prapt karne me safal raha. Jabki is douran apake pass bhi mouka tha use punah hasil karne ka. Or ab aap chahte hai ki aapko ek or mouka diya jaye. Parantu kyu? Aap mujhe ek bajah bataye ki ye divystra aapko kyu punah mil jaye.
Ye sunke shukracharya ek dum se samucha gaye.or sochne lage. Or fir bole.
Shukracharya- mahadev is baar me is divyastra ko kisi or ke hatho me nahi sopunga. Balki swayam hi iska istemaal karunga. Bhale hi asur mujhe priye hai lekin maine is astra ko Tarkasur ke hathon me dene ka parinaam dekha hai. Isliye abki baar me ise kisi ke bhi hatho me nahe dunga. Or rahi baat is baalak ki to. Bhale hi vo aapka ans hai. Parantu rehta kalyug me hai. Or is baat ki bhi sambhavna hai ki aage chalkar vo is divystra ka galat istemaal kare.
Mahadev- to kya aap iska istemaal sansaar ki bhalai ke liye karna chahte hai. Aapke sare vicharo se me bhali bhati parichit hu. Bhale hi aap ise kisi or hatho me na de parantu aap iska istemaal karenge asuro ki vijay ke liye hi. To fir kyu aapko ye divyastra diya jaye.
Ye sunke fir se shukracharya chup ho gye. Or kuch soch kar bole.
Shukracharya- mahadev me or koi baat is sandarv me nahi keh sakta hu. Bas itna hi kahunga ki aapne meri madad ka vardaan diya hai mujhe. Or me chahta hu ki aap meri madad kare us divystra ko punah prapt karne me. Bhale hi koi bhi rasta kyu na apnana pade.
Ye sunkar mahadev muskura gye. Or fir bole.
Mahadev- ham jante the tum akhir me yahi kahoga. Ab chuki vardaan diya hai to me ise nibhaunga bhi. To suno.
us divyastra ko prapt karne ka ek tarika hai ko arnav ise swayam Aapko soop de. Jo bo karega nahi. Aap kai varso tak usse yudh hi kyu na karte rahe.
Parantu vo kabhi bhi aapko ye divyastra nahi sopega.
Or aap ise jabardasti usse chhen bhi nahi sakte hai. Kyuki agar aisa kiya to divyastra punah arnav ke pass chala jayega or koi shakti use rok nahi payegi.
Lekin is sab me ek rasta hai. Vo ye ki agar arnav ki mrityu ho jati hai or divystra ke bibhajan hone se purva aapne use apne hatho me dharan kar liya to fir vo aapka ho jayega. Parantu ye yaad rakhe ki bibhajit hone me pal bhar ka samay lagega. Or isi pal bhar ke samay me aapko divystra ko apne hatho me dharan karna hoga. Agar aap chuk gye to fir me bhi kuch nahi kar paunga.
Or ye kaise hoga to me aapko bata deta hu. Me un punch tatvo ko apni shakti se rok lunga agar aap ne unhe dharan kiya to. Agar kisi or ne kiya to vo ans nahi rukenge. Keval aapke liye me us divystra ko vibhajit nahi hone dunga.
Ye sunkar shukracharya ek dum se kush ho gye. Parantu ek samsya abhi bhi unke samne thi. Jiske liye vo fir bole.
Shukracharya- prabhu ye sab to theek hai parantu ham use parajit kaise kare. Uske pass athah shaktiya hai. Or mera koi bhi asur Uska samna nahi kar sakta. Or me yudh karta nahi. To fir use ham parast kaise karenge. Taki uski mrityu ho sake. Or me use dharan kar saku.
Mahadev- vo mera ans hai isliye meri shaktiya use keval hani pahuncha sakti hai Uska vadh nahi kar sakti.
Na hi sansaar ki dusri koi or shakti. Jaha panchmahabhut upasthit rahenge baha arnav ka ant mumkin nahi hai. Or is brahamand me aisi keval ek hi jagah hai jahan ye punch tatva upasthit nahi rehte hai. Or aap ye bhali bhati jante hai ki aisi konsi jagah hai.
Agar koi bhi arnav ko us jagah le jata hai or usse baha per yudh karta hai to arnav ki shaktiya us jagah ke prabhav se kamjor pad jayengi or fir aap aasani se use parast kar payenge. Or sayad uska vadh bhi.
Or iske aalwa koi shakti koi isthan nahi jo usko hani pahucha sake. Kaalkut bhi nahi. Ab aapko faisla karna hai.
Ye kehke mahadev antardhyan ho gye. Or shukracharya ne unhe pranaam Kiya or uske baad apni soch me doob gye ki akhir kaise dev ko us jagah lane per majbur Kiya jaye.
Baki dekhte hai ki ab kya hota hai….
To be countinue………………..