• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy दिव्यास्त्र.[The power of five elements](action,advanture,fantasy,magic,thriller) ( Completed )

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,007
173
UPDATE 88

Indradev dev ke pass aane ke liye nikal chuke the. Or bahi dev or baki sabhi filhaal vishram kar rahe the. Din bhar kafi mehnat jo ki thi sabhi ne. Isliye thoda thak se gaye the. Utne nahi mamuli se. Tabhi mujhe gurudev ki aawaj aai jo mujhe bula rahe the. To me bhag kar unke pass gya. Or me kya dekhta hu. Baha per gurudev ke sath koi or bhi the. Or me unhen dekhkar hi pehchan gya ki ye kon ho sakte hai. Kyuki unki chhabi or unka tez hi aisa tha jise dekhkar keval ek hi feeling aati hai. Ki ha yahi hai sare devtao ke raja DEVRAJ INDRA.

Unke sir ka mukut or sarir per kai prakaar kr aabhushan unki personality ka varnan kar rahe the.

( Sorry for English word. Mujhe hindi wala yaad nahi aaya is waqt isliye yahi likh diya)

Main unke sameep gya or unhe dandvat pranam kiya.

Main- dhanya bhag mere Jo aaj swayam devraj indra mujhe drashan dene aaye hai.pranam indradev.

Indradev ne mere pass akar mujhe apne hatho se uthaya or khada kiya.

Indradev- vijai bhav putra. Ham prasann hue. Or putra bhale hi ham aaj pehli baar mil rahe ho. Parantu meri najar hamesha tumper rehti thi. Or abhi tak tumne jis tarah se asuro ka vinash Kiya hai use dekhkar mujhe tumper kitna garv hota tha me use byakt nahi kar sakta.

Ye sab sunke me shok tha ki kya ye sach hai. Indradev mere uper najar jamaye rehte the.

Gurudev- vats indradev satya keh rahe hai. Kai baar inhone tumper aane wali musibato ko tala bhi tha. Ye ek tarah se tumhari raksha karte the. Taki koi asur tumhare karib na pahuch paye. Or tumhe yaad hoga. Jab pehli baar us jungle me tumhara samna un char asuro se hua tha. Tab tumhare man se jo aawaj aai thi vo Indradev ki hi thi. Unhi ne tumhara margdarshan kiya tha. Or is hisaab se ye tumhare pehle guru hai.

.ye sunke mere samne pura flashback chal gya jab mujhe vo aawaj aai thi jisne mujhe dhyan karne ko kaha tha. Mujhe laga tha ki vo aawaj mere antarman ki thi lekin aaj pata chala ki ye to jeete jagte devraj ki aawaj thi.

Main- aapne satya kaha gurudev us hissab se ye mere pehle guru hai jinhone mujhe apni shakti ka istemaal karna bataya or meri raksha bhi ki. Or aaj ye baat jaankar me bakai me dhanya ho gya gurudev.

Maine ye kehke unhe fir se pranaam Kiya to unhone mujhe rok liya or fir vo bole.

Indradev- putra me tumhare gurudev ka pad nahi le sakta. Maine jo bhi abhi tak kiya vo isliye kyuki mujhe tumme aone putra ki chhabi dikhai deti hai. Or usi rishte se maine ye sab Kiya. Tumhare asli gurudev to yahi hai. Jinke barabar mahan is samast brahmand me or koi nahi hai. Or satya kahi to ye gurudev wala patra mere liye hai hi nahi.

Ye kehke vo muskurane lage. Or me bhi.

Fir gurudev bole.

Gurudev- devraj aaj aapka yaha aagman kaise hua.

Indradev- ha in sab me mukhya baat to batani reh hi gyi. Darashal ek naya sakat aan pada hai. Shukracharya mahadev ke liye yagya kar rahe hai. Or agar vo yagya safal ho gya to vo mahadev se kuch bhi vardaan mang lenge. Or aap to jante hi hai ki unhe is samay kiski sabse adhik chah hai. Mujhe bas yahi dar Lag raha hai ki mahadev unhe dev ko parast karne ka koi achuk upaay na de de. Verna abhi tak ki sari mehnat per pani fir jayega. Ab aap hi koi upaay bataye guru persuram.

Ye sunkar to mere chehre ki hawaiya hi udd gyi. Ki aisa bhi sambhav hai.

Main- gurudev. Kya mahadev aise ek yagya se unhen darshan de dete hai.

Gurudev- ha vats. Bahut pehle unhone ye vardan liya tha mahadev se ki jab bhi unhe mahadev ki madad ki jarurat hogi. Tab be ek yagya karke mahadev ke darshan prapt kar lenge or unse Jo madad chahiye vo prapt kar lenge. Lekin is yagya ki kuch seemayen hai. Ye yagya pure kaal me keval ek baar hi kiya ja sakta hai. Hamare char kaal hai SATYUG, DWAPER, TRETA OR KALYUG. abhi tak teeno kaalo me jab bhi jarurat padi hai unhe tab unhone is yagya ko 1-1 baar sampann karke mahadev se sahayta prapt ki hai. Or ab unki ye aakhiri sahayta hogi mahadev se. Or manna padega unhone kya waqt chuna hai.

Indradev- or guruvar aapko ye bhi pata hoga ko ise khandit nahi kiya ja sakta hai.

Gurudev- ha mujhe gyat hai.
Parantu aapke yaha aane ka maksad me abhi bhi nahi samaj pa raha hu Devraj.

Indradev- gurudev darashal yahi samasya leke me narayan bhagwan ke pass gya tha. Or unhone meri samasya ko samjha or mujhe ek upaay bataya hai. Unhone kaha hai ki agar arnav ye kahe ki ja is yagya ko bifal kar do. To be swayam jakar is yagya ko bifal kar denge. Or uske sath unhone mujhe kuch or bate bhi batai jo me Aapko batata hu.

Uske baad baha ki puri varta indradev ne vigat baar suna di gurudev or mujhe. Jise sunne ke baad me itna to jaan gya tha ki is yagya ke sampann hote hi bahut hi bheesan sankat aayega mere uper.

Gurudev- unhone sahi kaha hai Indradev. To vats tum kya kahto ho. Kya hame unke yagya ko bifal karna chahiye. Ya nahi karna chahiye.

Main- gurudev ye faisla lene main saksham nahi hu. Parantu ek baat hai jo maine sabhi bed or purno me padi hai. Vo ye ki yagya ko bifal karna Tridevo ka apmaan karna jitna bada paap hai.

Or rahi baat is yagya ko bifal karne ki to me ise bifal karne ke liye na hi kisi se kahunga or na hi khud kosis karunga. Bhale hi iska parinaam meri mrityu hi kyu na ho.

Or vishnu bhagwan ne bhi sahi kaha hai. Shuru se lekar abhi tak vo mere samne jara bhi nahi tik paye hai. Or us hisaab se unhe ek mouka to milna hi chahiye. Jisme unka samna unke hi barabar shaktishali shatru se ho.

Or me aapki ye baat bhi manta hu ki agar unko aisa mouka milega to vo kabhi bhi is yagya ko purna nahi hone dete. Lekin narayan bhagwan ki baat bhi sahi hai. Agar hamne us yagya ko bifal Kiya to unme or hamme fark kya rahega.

Baise bhi ham sabhi ek hi panchtatvon se bane hai. Ham me jara bhi antar nahi hai. Ham sabhi ek hi hai. Hame dusro se koi baat alag karti hai. To vo hai hamara aacharan or hamare sanskaar. Agar aapka aacharan achha hai to aap Devta kehlayenge. Or agar bura hai to aap asur kehlayenge. Baki sab kuch ek jaisa hai ham sabhi me.

Ham swayam or apne pariwar ki raksha ke liye kisi bhi had se gujar jate hai. Maine bhi abhi tak kai asuro ka badh kiya hai. Or asuro ne bhi abhi tak kai yudh lade hai jinme kai hatyay ki hai. Is hisaab se ham dono ek jaise hai. Parantu fir bhi kuch aisa hai jo hame alag banata hai. Or vo hai hamara aacharan. Maine asuro ka vadh sabki raksha karne ke liye kiye hai samaj kalyan ke liye kiye. Or asuro ne jo bhi hatya ya vadh liye hai vo keval swayam ke fayede ke liye kiye hai.or sabhi per raaj karna or apna varchasp kayam karna. Agar me aisa hota to abhi tak samast sansaar mere samne ghutne teke deta. Lekin me aisa nahi hu. Or na hi kabhi aisa ho sakta hu.

Or is hissab se me yahi kahunga ki me nahi chahta ki unke yagya ko bifal kiya jaye. Fir bhale hi unko meri shaktiyo ka tod hi Kyu na mil jaye is yagya se. Fir bhi me is sansaar ki bhalai ke liye jo aavashyak hoga vahi karunga bhale isme mere pran hi Kyu na chale jaye.

Itna kehkar me shan't ho gya. Or ek lumbi saas li. Or tab mujhe ehsas hua ki maine abhi kisko bhasan suna raha tha. Jinke samne bade se bade gyani log bhi haar maan jate hai.

Main- mujhe shama kare gurudev or indradev. Me kuch jyada hi bol gya. Agar kisi baat ka bura laga ho to fir se me shama mangta hu.

Gurudev- vats Tumne jo bhi kaha hai.us baat ka hame jara bhi bura nahi laga. Balki Tumne to ek aisi sachai hamare samne rakhi hai. Jiske bare me aajkal koi sochata bhi nahi hai. Sab bahi karte hai jisme unka hit unhe dikhai deta hai. Or tumahare aise vacahn sunkar mujhe tumper kitna garv ho raha hai me vyakt nahi kar sakta. Jeete raho vats jeete raho.

Indradev- putra guruvar ka katha. Satya hai. Me keval is kiye chintit tha kyuki is yagya ke parinam ke rup me kahi ham sabhi tumhe kho na de. Or ye dar abhi bhi bana hua hai. Lekin tumne jo apna faisla sunaya hai use sunkar me atyadhik prasann hu. Or mujhe bhi garv hai tumper putra. Baki ab jo hoga achha hi hoga.

Gurudev- sahi kaha aapne devraj. Mahadev sab achha karenge.

Uske baad indradev baha se chale gye seedhe vaikuntha. Or me or baki sabhi bahi per reh gye.

Indradev ne baha pahuch kar unhe pranaam Kiya or arnav ka faisla unhe Bata diya. Jise sunkar vo bhi atyadhik prasann hue.

VISHNUJI- me janta tha ki arnav yahi faisla karega. Or usne bilkul sahi faisla kiya hai. Or ab mujhe lagta hai ki aapki samasya ka bhi nibaran kuch had tak ho gya hoga indra.

Indradev- prabhu samasya to bahi ki bahi hai. Ha lekin iska samna karne ki shakti jarur mujhme aagyi hai jo pehle nahi thi. Arnav ki bate sunkar mere andar ek naya josh aagya hai. Or me ise kayam rakhne ki puri kosis karunga.

VISHNUJI- bahut achhe indra. Ab sab kuch mahadev per chhod do. Jo ho raha hai use hone do. Sab achha hi hoga.

Indradev- jaisi Aapki aagya prabhu.

Ye kehke vo unhe pranam karke baha se chale gye. Or vishnu bhagwan fir se apne dhyan me baith gye.

Bahi shukracharya ka yagya ab samapti ko taraf bad gya tha bas kuch or aahuti daal kar ye yagya sampann ho jane wala tha. Or is samay ki pratiksha sabhi kar rahe the ki kya hoga kya kahenge shukracharya mahadev se.

Bahi dev ko bhi iski tension thi. Lekin vo is mamle me kuch bhi nahi karna chahta tha filhaal use bharosha tha ki mahadev Jo bhi karenge usme samast sansaar ki bhalai hi chhipi hui hogi.

Or akhir kaar vo samay aahi gya jab yagya sampann hua or yagya kund se saakshat mahadev pragat hue shukracharya ke samne.

Jinhe dekhkar shukracharya ne unhe dandvat pranaam kiya.

Mahadev- uthiye shukracharya or kahiye ki kis uddesya ke liye aapne mujhe bulaya hai.

Shukracharya- mahadev aap to sab jante hi hai. Aapke ans ne samast divyastra ko prapt kar liya hai. Or ab ham chah kar bhi uska mukabla nahi kar sakte hai.us Vishal shakti ke samne ham nahi tik sakte. To ham per kripa kare or mujhe koi aisa upaay ya marg bataye jisse ham dev ka samna bhi kar paye or us divystra ko punah prapt karne ka prayas bhi kar paye.aapki badi kripa hogi hamper.

Mahadev- shukracharya vo divystra aapko samarpit Kiya gya tha. Parantu aapne use galat hatho me de diya. Jiske paschat usne iska istemaal hamesha bure karyo ke liye hi kiya or yahi bajaj thi ko divystra aapse ruth gya. Or jab vo jaagrit hue to usne Aapko nahi arnav ko apna pata bataya. Jis bajah se arnav use prapt karne me safal raha. Jabki is douran apake pass bhi mouka tha use punah hasil karne ka. Or ab aap chahte hai ki aapko ek or mouka diya jaye. Parantu kyu? Aap mujhe ek bajah bataye ki ye divystra aapko kyu punah mil jaye.

Ye sunke shukracharya ek dum se samucha gaye.or sochne lage. Or fir bole.

Shukracharya- mahadev is baar me is divyastra ko kisi or ke hatho me nahi sopunga. Balki swayam hi iska istemaal karunga. Bhale hi asur mujhe priye hai lekin maine is astra ko Tarkasur ke hathon me dene ka parinaam dekha hai. Isliye abki baar me ise kisi ke bhi hatho me nahe dunga. Or rahi baat is baalak ki to. Bhale hi vo aapka ans hai. Parantu rehta kalyug me hai. Or is baat ki bhi sambhavna hai ki aage chalkar vo is divystra ka galat istemaal kare.

Mahadev- to kya aap iska istemaal sansaar ki bhalai ke liye karna chahte hai. Aapke sare vicharo se me bhali bhati parichit hu. Bhale hi aap ise kisi or hatho me na de parantu aap iska istemaal karenge asuro ki vijay ke liye hi. To fir kyu aapko ye divyastra diya jaye.

Ye sunke fir se shukracharya chup ho gye. Or kuch soch kar bole.

Shukracharya- mahadev me or koi baat is sandarv me nahi keh sakta hu. Bas itna hi kahunga ki aapne meri madad ka vardaan diya hai mujhe. Or me chahta hu ki aap meri madad kare us divystra ko punah prapt karne me. Bhale hi koi bhi rasta kyu na apnana pade.

Ye sunkar mahadev muskura gye. Or fir bole.

Mahadev- ham jante the tum akhir me yahi kahoga. Ab chuki vardaan diya hai to me ise nibhaunga bhi. To suno.

us divyastra ko prapt karne ka ek tarika hai ko arnav ise swayam Aapko soop de. Jo bo karega nahi. Aap kai varso tak usse yudh hi kyu na karte rahe.
Parantu vo kabhi bhi aapko ye divyastra nahi sopega.

Or aap ise jabardasti usse chhen bhi nahi sakte hai. Kyuki agar aisa kiya to divyastra punah arnav ke pass chala jayega or koi shakti use rok nahi payegi.

Lekin is sab me ek rasta hai. Vo ye ki agar arnav ki mrityu ho jati hai or divystra ke bibhajan hone se purva aapne use apne hatho me dharan kar liya to fir vo aapka ho jayega. Parantu ye yaad rakhe ki bibhajit hone me pal bhar ka samay lagega. Or isi pal bhar ke samay me aapko divystra ko apne hatho me dharan karna hoga. Agar aap chuk gye to fir me bhi kuch nahi kar paunga.

Or ye kaise hoga to me aapko bata deta hu. Me un punch tatvo ko apni shakti se rok lunga agar aap ne unhe dharan kiya to. Agar kisi or ne kiya to vo ans nahi rukenge. Keval aapke liye me us divystra ko vibhajit nahi hone dunga.

Ye sunkar shukracharya ek dum se kush ho gye. Parantu ek samsya abhi bhi unke samne thi. Jiske liye vo fir bole.

Shukracharya- prabhu ye sab to theek hai parantu ham use parajit kaise kare. Uske pass athah shaktiya hai. Or mera koi bhi asur Uska samna nahi kar sakta. Or me yudh karta nahi. To fir use ham parast kaise karenge. Taki uski mrityu ho sake. Or me use dharan kar saku.

Mahadev- vo mera ans hai isliye meri shaktiya use keval hani pahuncha sakti hai Uska vadh nahi kar sakti.

Na hi sansaar ki dusri koi or shakti. Jaha panchmahabhut upasthit rahenge baha arnav ka ant mumkin nahi hai. Or is brahamand me aisi keval ek hi jagah hai jahan ye punch tatva bahut hi alp matra me upasthit rehte hai. Us jagah per in punchtatvo ka nivaas hai lekin baha ke prabhav se vo tatva jyada shaktishali nahi rehte hai us jagah per. Or aap ye bhali bhati jante hai ki aisi konsi jagah hai.

Agar koi bhi arnav ko us jagah le jata hai or usse baha per yudh karta hai to arnav ki shaktiya us jagah ke prabhav se kamjor pad jayengi or fir aap aasani se use parast kar payenge. Or sayad uska vadh bhi.

Or iske aalwa koi shakti koi isthan nahi jo usko hani pahucha sake. Kaalkut bhi nahi. Ab aapko faisla karna hai.

Ye kehke mahadev antardhyan ho gye. Or shukracharya ne unhe pranaam Kiya or uske baad apni soch me doob gye ki akhir kaise dev ko us jagah lane per majbur Kiya jaye.

Baki dekhte hai ki ab kya hota hai….

To be countinue………………..
Dev ka vayktitatav hi aisha hai ki dushro ki bhalie karte woqt chahe pran bhi kue na nyochavar karne peechhe kadam nahi htayega Arnav, aishe Prabhu Vishnu bhagwan ne Devra ko samjhaya jo Dev aur Guru Parsuram v Devraj ki baato se satay sabit hua. Guru Shukracharya ke asur prem ke karan Prabhu Mahakaal se yuagouprant vardan me Divyastar ki mang v Dev ki mritu ka karan jaanne se to unke swayam ke punye karm nishfal bhi ho sakte hai. Saavdhan Ushka Kaal bhi kya bigadega jishke sar par hath ho Mahakaal ka. Bahut hi vayvasthit akshro se alnkrit ek sunder partchaya rekhankit ki gai hai mitre ne Sanehsahit.
 
u.sir.name

Hate girls, except the one reading this.
6,840
9,771
189

Behatareen update brother........
jo socha tha vahi hua dev ne parvarti nahi badli usne inderdev ko yagya vifal karne se mna kar diya.......pr guru shukracharya bhi apni dridta pe adig rahe or mahadev ke bhi kai samjhane par bhi unhone bhi apni parvarti nahi badli or dev ke khilaf ek tod nikal hi liya ab dekhte hai ki dev iska kaise samna karta hai......
keep writing....
keep posting.......
 
Last edited:

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
UPDATE 89

Shukracharya apni yojnao per kam kar rahe the. Unhe dev ki ek kamjor kadi mil chuki thi. Bahi Indradev apna sir pakad kar baithe the. Unhe Jo ummid thi mahadev se vo sab bekaar gyi. Kyuki unhone dev ki kamjori Jo batadi shukracharya ko.or Indradev jante the ki shukracharya kisi na kisi tarah dev ko us jagah le jane me kaamyab jarur ho jayenge.

Bahi gurudev bhi paresan the ki ab dev ko kaise bataya jaye. Lekin batana jaruri bhi tha. Isliye unhone sabhi ko apne pass bulaya.

Sabhi baha aaye or baith gye tab gurudev ne bolna suru kiya.

Gurudev- shukracharya ka yagya safal ho gya hai. Or na chahte hue bhi mahadev ko unki sahayta karni padi hai.

Main- kaisi sahayta gurudev.

Gurudev- mahadev ne unhe tumhari kamjor kadiyo ke bare me bata diya hai. Jo ki ek jagah hai. Jaha tumhari shaktiya kamjor pad jati hai.

Ye sunke ham sabhi chouk gye ki aisa kaise sambhav hai.

Main- gurudev ye kaise sambhav hai. Jaha tak me janta hu jaha bhi punchtatva rahenge baha divystra ki shaktiyo ko koi chhu nahi sakta. Or is brahamand me aisi jagah hai hi nahi jaha ye punchtatva nibaas nahi karte hai. Fir aisi konsi jagah ke bare mahadev ne bataya hai unhe.

Gurudev- tumhara kehna uchit hai vats. Aisi jagah is brahmand me koi nahi jaha ye tatva upasthit na rehte ho. Lekin aisi jagah jarur hai jaha ye tatva kam matra me upasthit rehte ho. Or us jagah ke prabhav se or shaktishali nahi ho pate hai. Vo jagah unhe kamjor banati hai. Or jitni be tatva us jagah per upasthit rehte hai vo shaitani shaktiyo me parivartit ho jate hai. Kyuki baha unhi ka varchasp hai. Agar tum us jagah per jate ho to baha ke prabhav se tumhari shaktiya kam hone lagegi. Or shaktiyo ka bura prabhav kisi or per nahi tumhare uper hi padega.

Ye sunke me chouka or agle hi pal mujhe ek baat yaad aai or mujhe laga ki kahi iska connection usi se to nahi hai.

Main- gurudev kya vo jagah pataal lok hai.

Ye sunke gurudev ke chehre per ek muskaan aagyi. Or fir vo bole.

Gurudev- bahut achhe vats. Bilkul sahi anumaan lagaya hai. Vo jagah pataal lok hi hai. Jaha achhai nivaas nahi karti hai. Baha jitni bhi shaktiya jati hai. Vo sabhi baha ke prabhav se buri ban jati hai. Or tumhare andar achhai kut kut kar bhari hai. Isliye tumhari shaktiya baha kamjor pad jayengi. Or yahi mahadev ne shukracharya ko bataya hai.

Main- to kya is liye baha ke asur mere suraksha kavach ko tod kar ghar me ghus gye the.kyuki unke andar baha ki shaktiya thi.

Gurudev- bilkul sahi kaha tumne. Isi liye unke uper tumhari shaktiyo ka jyada prabhav nahi pada or vo aasani se tumhare kavach me ghus pa rahe the.

Ye sunke mujhe sab samaj me aagya ki akhir baha ke asur kyu itne tez or shaktishali the or kyu adhira. Unhe leke aaya tha. Sayad vo ye baat jante the. Lekin itni achhi tarah se nahi. Or ab to unhe badiya confirmation bhi mil chuka hai. To ab vo apni sari yojna usi hisaab se aage badhayenge.

Main- ab mere liye kya aadesh hai guruvar.

Gurudev- bas itna ki. Us jagah per jitna ho sake khud ko jane se rokana.asur apna sampurna bal laga denge tumhe baha le jane ke liye. Or tumhe keval tab hi unke peeche baha tak jana hai jab tak uske aalwa koi or upaay na ho. Or ha ek or baat. Mahadev ne shukracharya ko ek or vardaan diya hai. Jiske tahat agar tumhari mrityu ho jati hai or uske agle hi pal shukracharya us divyastra ko bibhajit hone se purva apne hatho me dharan kar lete hai to fir divyastra unhi ka ho jayega or bibhajit nahi hoga. Isliye apne aap ko marne se bachana bhi tumhare liye ab jaruri hai. Fir chahe tumhare samne vo koi bhi chounuti kyu na pesh kare. Tum samaj rahe ho na meri baat ko.

Main- ha guruvar me achhe se samaj gya hu. Me puri kosis karunga ki aapke dwara kahe gye bachno per khara utar saku. Or is divystra ko unke hatho me na lagne du.

Gurudev- bahut achhe vats. Mujhe tumse yahi ummid hai. Vijayi bhav.

Ham sabhi ne gurudev ko pranaam Kiya or khade ho gye.

Gurudev- vats ab tum sabhi apne ghar jao.

Main- jaisa aap kahe guruvar.

Uske baad ham sabhi baha se udd gye Ghar ki taraf. Or hamare jate hi gurudev baha se nikal gye kailash pervat ke liye. Mahadev se baat karne. Or bahi Indradev bhi Kailash ke liye nikal chuke the.

Jaldi hi gurudev or baki ke devata kailash pahuch gye jaha mahadev apne dhyan me baithe hue the. Sabhi me unhe pranaam Kiya or unhe apni aankhe kholne ke liye vinti ki. To mahadev ne apni aankho ko khol liya. Or sabhi ko dekhkar bole.

Mahadev- kahiye aaplogo ka yaha kaise aana hua.

Indradev- mahadev ye kya kar diya aapne. Shukracharya ko sari kamjoriya Bata di or sath me ye bhi ki unke liye aap divystra ko bibhajit nahi hone denge. Aisa kyu kiya apane.

Mahadev- devraj ham vinash the hamne unhe vardaan diya tha or uski purti karna avashak tha. Or us hisaab se unhone Jo bhi Janna chaha mujhe vo batana pada unhe.

Gurudev- mahadev ab is samasya ka koi samadhan bhi bataiye hame. Taki ham aranav ki madad kar sake. Asur use kisi bhi tarah baha le jane me kaamyab ho jayenge ye aap bhi jante hai. Or fir baha kya hoga ye ham sabhi se behtar jante hai aap. Kripa kar is anarth ko hone se rokiye.

Mahadev- persuram ji iska koi upaay nahi hai. Ab sab kuch arnav per hi nirbhar karta hai. Agar vo us jagah jata hai to use apni shakti or chaturai se baha se bahar bhi nikalna hoga. Taki divyastra unke hatho me na lage.or aap mese koi bhi uski sahayta bhi nahi kar sakta hai. Use apni sahayta swayam hi karni padegi. Or yaad hai maine kaha tha ki aise karyo me kai balidaan dene padte hai. Or arnav ke balidaan dene ka samay ab aagya hai. Jald hi sabhi ye samaj jayenge.

Indradev- mahadev kis prakaar ka balidan dena hoga arnav ko.

Mahadev- hamne kaha na ki jald hi aap log jaan jayenge. Bas dekhte jaiye.

Gurudev- mahadev arnav ne abhi tak hame nirash nahi kiya hai. Usne har vo karya kiya jo use karna tha. Balki bahut achhi tarah se us karya ko sampann Kiya hai usne. To kya ye balidan den kya jaruri hai. Kya ham sabhi uski madad nahi kar sakte hai. Akhir ye hamara bhi kartavya banta hai. Vo jo bhi kar raha hai vo samaaj kalyaan ke liye hi kar raha hai apne swarth ke liye to nahi kar raha hai.

Mahadev- aapka kathan satya hai persuram. Or ham aapse sehmat bhi hai. Or rahi baat arnav ki sahayta karne ki to mat bhuliye ki vo shivansh hai.or punchtatvo ka raja bhi. Vo apni raksha karna swayam janta hai. Or apne shatru ko parast karna bhi. Aap hi ne use shikshit kiya hai. Or aap hi ka viswas dagmaga raha hai. Mujhe aise apeksha nahi hai aapse.

Gurudev- ye satya hai mahadev parantu kya kare ek lagav sa jo ho gya hai usse. Or ye sabhi devata bhi isi liye yaha aaye hai inhen divystra ki nahi balki arnav ki chinta hai.

Ye sunkar mahadev ke chehre per ek muskaan aagyi or usi muskaan ke sath vo bole.

Mahadev- aap sabhi ka lagav hi arnav ka asali kavach hai jo uski raksha abhi tak har khatre se karta aaya hai. Or aage bhi karta rahega. Baki bhavishya me jo hona hai use uske haal per chhod de. Arnav ke karm hi use vijayi ya avijayi ka rasta dikhayenge. Aap sabhi bas intjaar kare.

Itna kehkar mahadev ne apni aankhe punah band kar li. Vo bhi kya kare bahut kuch kehna chahte the lekin ye samay sahi nahi tha. Isliye apni aankho ko band karke dhyan me baith gye. Or baki sabhi unhe pranaam karke baha se chale gye.

Bahi main or baki sabhi ghar pahuch gye the. Jaha sabhi hame naye avtaar me dekhkar bahut kush the. Mom ne ham sabki Aarti utaari or bahut sari balaye ki hamari. Or uske baad hame ghar me pravesh karne diya. Andar aate hi ham sabhi apne normal kapdo me aagye or divystra antardhyan ho gya. Jab mujhe uski avashakta hogi tab vo aajayega bas yaad karne se.

Hame aane me raat ho gyi thi isliye hamne dinner finish Kiya or apne apne kamro me chale gye. Tab mujhe yaad aaya ki kal to rakshabandhan hai. Or maine abhi tak un dono ke liye koi gift bhi nahi liya hai. Or abhi kafi late ho gya hai sare mall bagera bhi band ho gye honge.

Ye sochkar mujhe samaj me aaya ki solid watt lagegi meri kal. Halaki me jadu se kuch bhi manga sakta tha lekin uski itni ehmiyat kaha. Jo khud Jake unke liye kharidne me hai.

Isliye maine socha kal hi Jake unke liye gifts le aaunga. Ab jo hoga so dekha jayega.

Yahi sochkar me so gya.

Bahi raat me shukracharya medhavi ke sath sari yojnaye bana rahe the ki kaise karna hai kab karna hai sari ranneeti tayyar kar rahe the. Unhone soch liya tha ki dev ko pataallok kaise laya ja sakta hai. Uska rasta unhe mil gya tha. Medhavi ne bhi sabhi asuro ko ekjut kar liya tha. Jinme agni Bayu jal or aaksh wale asur bhi shamil the. Unki mrityu divyastra se hi ho sakati hai ye baat sabhi jante the. Lekin chance sabhi ko lena tha. Kyuki unhe pata tha ki ek baar divystra gurudev ke hath me aagya fir gurudev unhe fir se jeevit kar sakte hai. Or baise bhi gurudev ke pass mrit sanjeevni bhi hai. Jisse vo jab chahe apne kisi bhi asur ko jeevandaan de sakte hai. Or yahi vo Maine takat hai jiske dum per asur itna uchhalte hai.

Lekin agar kisi tarah asuro ka sarur hi nast ho jaye to fir sanjeevni bhi unhe jeevit nahi kar sakti. Lekin is jagah divyastra kaam aata hai. Vo un sabhi punchtatvo se punah sarir ka nirmaan karke uski aatam ko usme dharan karwa kar jevit kar sakte hai. Or isi liye shukracharya hath dho kar is astra ke peeche pade hue hai. Kyuki ye shakti amarta ke vardaan se kam nahi hai.unke asuro ke liye. Or isi liye sare devta bhi dev ka pura sath de rahe the ab tak. Baki dekhte hai is sab me kiski vijai hoti hai or kaise.

Bahi next day dev apne routine se utha apni exercise ki dhyan lagaya or fir ready ho gya shopping per Jane ke liye. Bahi subah se ho ghar me chehal pehal suru ho gyi thi. Aaj rakshabandhan Jo tha. Dono bahne sajme me byast thi. Or Prachi or aalia apne bhaiyo ko miss kar rahi thi jo the hi nahi. Tabhi ghar ki doorbell baji or maine Jake darwaja khola to samne chirag or lucky khade hue the ek dum ready tip top bankar.

Maine dono ko gale lagaya or unke haalchal puchhe.
Or unhe andar le aaya.

Sabhi log ab neeche aachuke the. Subah ke 9 baje rahe the or rakhi bandhne ka time bhi jo gya tha to charo ledkiya neeche aachuki thi. Surbhi or renu ke hath me thali thi or aalia or prachi khali hath. Unke chehre per ek feeki muskaan thi jo ye bata rahi thi ko ye dono kitna miss kar rahi hai apne bhaiyo ko. Lekin inki kismat hi aisi ki dono ka koi bhai nahi tha. Or mom ye baat inhe dekhkar hi samaj gyi. To unhone chirag or lucky se is bare me baat ki. Or dono ko koi aitraj nahi tha. Pehle dono unki bhabiya banne wali thi or ab unki bahne. Or fir yahi baat mom ne sabke samne Aalia or Prachi se kahi. Jise sunkar un dono ki asli muskaan bahar nikal aayi. Or us muskaan me dono kitni pyari lag rahi thi ye batane ki mujhe jarurat bhi nahi hai. Just feel it.

Usme baad dono ne apni thaliya sazai or bahi per ek sath hamara rakhi ka program aage badhne laga. Mujhe lucky or chirag or mama. Ham charo ko hamari bahene rakhi bandh rahi thi.

Mujhe surbhi or renu ne. Or usi samay aalia ne chirag or prachi ne lucky ko or mom ne mama ko. Fir aalia ne lucky or prachi ne chirag ko. Or aakhir me renu or surbhi ne bhi un dono ko rakhi bandh di. Or mithai khila di. Or ab aai gift dene ki bari to. Mere pass to kuch bhi nahi tha. Isliye maine apne hath khade kar diye. Bahi chirag lucky or mama gift laye the. Lekin problem yaha Hui ki vo dono 2-2 gift hi laye the jo un dono ne Aalia or Prachi ko de diye. Jabki vo laye Renu or Surbhi ke liye the. Or ye baat jaankar un dono ne vo gifts Renu or Surbhi ko de diye. Or kaha ki hamara gift to yahi hai ki hame aaj ek sath 2-2 Bhai mil gye.

Main- I'm sorry me to kuch bhi nahi le paya tum dono ke liye. Lekin sham tak le aaunga

Isper un dono ne koi aitraj nahi jataya. Uske baad ham sabne milkar badiya khana khaya or apne day ko happy day me badla. Khane ke baad ham teeno yani ki me lucky or chirag teeno hi nikal gye mall ke liye. Taki kuch gifts leke aasake. In sabke liye. Mujhe keval 2 gifts lene the or in dono ko 2-2 matlab 4. Or 2 gifts ye already deke aai the. Matlab total hue 6. Bicharo ko sari pocketmoney isi me jane wali thi. Or achhi baat ye thi ki isme vo dono bahut kush the. Unhe pocket money Jane ka gum nahi balki 4 bahne milne ki kushi thi jo unke chehro per saaf jhalak rahi thi.kyuki ye bhi ikloute the. Inki koi bahene nahi thi.

Sham tak mathapachhi karne ke baad maine dono ke liye gifts le liye. Bakai me bahut mehnat Hui is kaam me. Or un dono ne bhi dono ke liye gifts le liye the. Hamne bahi restaurant me coffee bager pee or fir ghumte ghamte aaram se ghar pahuch gye. Or un sabhi ko unke gifts de diye. Jise dekhkar vo or bhi jyada kush ho gyi. Aise hi hamara time nikal gya. Uske baad hamne raat me dinner Kiya or dinner ke baad me dono ko unke ghar chhodne chala gya. Dono ko unke ghar chhoda dono aunty's se mila unka aasirbaad liya or ghar bapis lout aaya. Or aaj kafi thak gye the is liye bed per firte hi neend aagyi. Or isi tarah aane wale kuch din bahut hi shanti or prem se gujar gye. Hamare uper sankat Mandara raha tha jise ham mehsus kar sakte the. Lekin me isme apna keemti samay jaya nahi karna chahta tha. Ye samay dobara nahi aane wala tha isliye me use full enjoy kar raha tha. Or maine soch liya tha ki jab asur samne aayenge tab dekhunga ki kya karna hai kya nahi. Or maine ek antim faisla bhi kar liya tha. Jo meri aakhiri ummid tha. Divyastra ko asuro ke hatho me jane se rokne ke liye. Baki me soch raha tha ki ye karne ka mouka kabhi na aaye. Lekin aagar aagya to me peeche nahi hatunga.

Baki dekhte hai ki kya hota hai…..

To be countinue………………..
 
Last edited:

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Behatareen update brother........
jo socha tha vahi hua dev ne parvarti nahi badli usne inderdev ko yagya vifal karne se mna kar diya.......pr guru shukracharya bhi apni dridta pe adig rahe or mahadev ke bhi kai samjhane par bhi unhone bhi apni parvarti nahi badli or dev ke khilaf ek tod nikal hi liya ab dekhte hai ki dev iska kaise samna karta hai......
keep writing....
keep posting.......

Sahi kaha bhai.vinash kale vipreet budhi. Yahi haal ho raha hai shukracharya ka filhaal. Ab dekhna ye hai ki unke is karta ka kya parinaam nikal kar samne aata hai. Or dev per iska kya prabhav padta hai....

keep supporting..............
 
Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Dev ka vayktitatav hi aisha hai ki dushro ki bhalie karte woqt chahe pran bhi kue na nyochavar karne peechhe kadam nahi htayega Arnav, aishe Prabhu Vishnu bhagwan ne Devra ko samjhaya jo Dev aur Guru Parsuram v Devraj ki baato se satay sabit hua. Guru Shukracharya ke asur prem ke karan Prabhu Mahakaal se yuagouprant vardan me Divyastar ki mang v Dev ki mritu ka karan jaanne se to unke swayam ke punye karm nishfal bhi ho sakte hai. Saavdhan Ushka Kaal bhi kya bigadega jishke sar par hath ho Mahakaal ka. Bahut hi vayvasthit akshro se alnkrit ek sunder partchaya rekhankit ki gai hai mitre ne Sanehsahit.

Thanks bro.....

aapka explanation bakai me Kamaal ka lagta hai. Aisa lagta hai jaise Jo story me likh raha hu. Jo ki sach bhi hai. Or Uske bare mujhse jyada to aap jante hai. Ye jaankar bahut hi achha lagta hai. Ummid hai aage bhi aapka ye prem aise hi barasta rahega story per. Aage kya hota hai janne ke liye sath banaye rakhe......

keep supporting................
 
Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
zabardast
Nice update bro
Awesome updates
Bahut ho shandar update bhai
Maja aa gaya
Very nice update bhai maza aa gya
Amazing update
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Nice update bhai waiting for next update
Bare utar chadhav aa rahe hain story me.maja aa gaya padhakar.
Nice update

Thanks Bhai log apna sath banaye rakhne ke liye.........

aaj ka UPDATE post kar diya hai. Ummid hai sabhi ko pasand aayega. Isme dekhiye ki sari sachai dev ko pata chalne ke baad vo kya karta hai. Asuro ke khilaaf kya yojna tayyar karta hai. Karta hai bhi ya nahi....

keep supporting...............
 
Top