• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy दिव्यास्त्र.[The power of five elements](action,advanture,fantasy,magic,thriller) ( Completed )

u.sir.name

Hate girls, except the one reading this.
6,840
9,771
189
UPDATE 92















Medhavi ki mout dekhkar shukracharya ko behad gussa aane laga tha. Or unhone usi gusse se jal nikala or usper matra jaap karke chhod diya. Or aisa karte hi jo jal baha jameen per gira vo achanak se ek rup lene lag gya. Kisi vishal jeev ka rup. Jo pehle to samaj me nahi aaya lekin jab ban kar ready ho gya tab samaj me aaya. Ye ek dragon tha. Bahut hi vishal or udne wala dragon or muh se jwala nikalne wala bhi. Uski chamdi itni sakht thi ki meri talvar ko tut jayegi lekin iss kharoch tak nahi aayegi.ise shaktiyo se hi harana padega. Isliye meri talvar ko maine divyastra me badla or baha se udd gya.




Shukracharya- jao or servnash kar do uska.



Ye sunte hi dragon ne ek bahut hi bhayankar dahad mari or aone muh se itni bhayankar jwala nikali jisme pressure se me or dur ko udd gya. Maine peeche palat kar dekha to vo bhi ud kar mere pechhe aane laga tha. Isliye maine apni gati badai. To uski raftaar bhi tez hi gyi. Or hogi bhi kyu nahi. Mayabi ho tehra. Vo baar baar mujhper aag ugal raha tha. Or divystra mujhe us aag se theek samay per bacha le raha tha.




Maine peeche dekha to vo mere bahut karib aagya tha or apana muh pura khol kar mujhe nigalne ko kosis kar raha tha. Tabhi maine divyastra ka mukh uski taraf kiya or shakti ka prayog kiya jo seedhe uske khule mukh se uske dill me jake lagi. Or aisa hote hi Uska dill ka dhadakna kuch der ke liye ruk gya. Or vo jhatpatata hue neeche girne laga. Or isi mouke ka fayeda utha kar maine ruka or divyastra ko ek aisi talvar me badalne ko kaha jo aasani se iski chamdi ko cheer sake.




Mera aisa kehte hi divyastra baisi hi talvar me badal gya. Or me use leke neeche ki taraf tezi se jane laga. Ham kafi unchai per the isliye neeche jane me hame waqt lag raha tha. Dragon abhi bhi jhatpata raha tha. Isi mouke ka fayeda utha kar me tezi se uske bagal me gya. Or talval uske pet me ghusa di. Or bahi per ruk gya. Mere rukne se talvar bhi ruk gyi. Lekin dragon tezi se neeche hi ja raha tha. Or aise hi meri talvar use neeche se uper cheerti Hui nikal gyi. Or dragon ka kaam tamam hogya. Or me is baat ki kushi mana hi raha tha ki peeche se mere uper hamla hua or me tezi se udta hua thoda dur ja pahuncha or par kate pakshi ki tarah neeche gir gya. Jo ek khali maidan tha. Mere girte hi. Baha per charo taraf gehra gadda ban gya.





Me thodi der ke liye ek dum sunn ho gya. Mujhe kuch samaj me nahi aaya ki kya hua or kaise hua.



Or achanak se me hila. Jaise me ekdum neend se jaag gya hu. Or jaagne ke baad maine aaju baju dekha to me ek gadde me pada tha. Halat kharab ho gyi thi. Maine karbat badli or hatho ka prayog karke apne ghutno per aaya or baju me pade divystra ko utha liya. Tabhi mere kano me kuch aawaj padi. Jo kadmo ki thi bahut sare kadmo ki. Puri jameen hil rahi thi. Unke kadmo se. Bhayankar kampann utpann ho raha tha. Or ye aawaje mere right side se aarahi thi. Isliye maine us taraf mundi ko ghuma kar dekha. To me hairan reh gya. Mere samne karib 1 lakh se bhi jyada asur chale aarahe the. Kuch bahut hi bhadde the. Or kuch bahut hi bekaar. Dekhkar mujhe to ulti hone lagi thi. Or un sabke aage chal raha tha medhavi. Jise maine abhi kuch der pehle hi maar diya tha. Ek pal ko to mujhe Yakeen hi nahi hua ki ye jinda kaise ho gya. Fir mujhe yaad aaya ki mrit sanjeevni vidya.




Shukracharya ke pass ye vidya thi or vo kisi ko bhi jeevit kar sakte the. Jiska sarir sahi salamat bacha hai.





Ye yaad aate hi maine apna matha peet liya. Or socha iska ant kabhi hoga bhi ya nahi. Me soch raha tha or vo mere karib aate ja rahe the. Tabhi maine socha ki ye sab chhodo or khade ho. Inka mukabla karo. Inka ant ab alag tarike se karna padega. Jaise abhi tak karte aaya hu.




Ye sochkar me fir se khada hua or gadde se bahar nikla.



Me akela or mere samne lakho ki bheed. Soch hi sakte ho iska kya parinaam hone wala tha.





Tabhi mere peeche se aawaj aai.




Madad chahiye.




Ye aawaj sunke mere chehre per hasi aagyi. Kyuki ye aawaj Renu ki thi. Or me sure tha ki uske sathi baki sabhi bhi yaha aai hongi. Isliye me peeche muda jaha vo charo apne asli avtar me khadi hui thi hatho me hathiyar liye.





Prachi- tumhari halat to bakai me kharab ho gyi hai.




Main- ha mamla thoda hath se nikal gya tha. Verna Maine sab sambhal liya tha.




Aalia- vo to dikh hi raha hai. Ab ye batao ki hame bina sath liye tum yaha akele kyu aaye.





Main- filhaal ye matter chhod de to kaisa rahega. Kyuki samne bahut hi badi samasya hai.





Surbhi- isko baad me dekh lenge. Aalia. Don't worry pura hissab lenge ham.





Tabhi mujhe samne se medhavi ki aawaj aai.




Medhavi- abhi bhi mouka hai haar manlo or hame vo astra de do.




Main- ye sawal tab puchhna tha jab maine tujhe do hisso me baat diya tha abhi kuch der pehle.




Medhavi- dhoke se.





Prachi- kya ise maar diya tha tumne. Fir ye jinda kaise hua.




Main- sanjeevni vidya se kar diya hoga shukracharya ne.or samaj ko kisi ka bhi sarir salamat mat chhodna.




Renu- ok captain.



Main- bakwas band karo.



Vo charo mere bagal me aagyi.



Main- medhavi me tumhe ek aakhiri mouka deta hu. Chale jao apni sena ko leke. Verna iske baad jo anjaam hoga uske jimmedar tum khud hoge.





Medhavi- me tayyar hu anjaam bhugatne ko. Kya tum ho.




Main- hamesha se.




Ye kehke medhavi ne apni sena ko hamla karne ka aadesh de diya or vo sabhi jaanvar chillate hue hamari taraf badne lagi. Or yaha hamne bhi unki taraf Doud laga di.



Or jaise hi ham karib pahuche ham sabhi ek sath uchhal gye. Or dhadam se unki sena ke beech gire or hamari shaktiyo ka beg itna jyada tha ki aas pass ke asur to usi beg se udd gye. Tabhi Prachi ne Bayu ka bawandar banaya bahut hi tez. Or renu to apni talvar jisko bhi laga rahi thi vo usi samay rakh me badalta ja raha tha. Bahi aalia bhi apni chhadi ki shaktiyo ka bakhubi istemal kar rahi thi. Or surbhi apni talvar se barf nikaal kar jama rahi thi sabhi ko. Or aalia un jame hue logo ke tukde kar rahi thi. Prachi ka bawandar asuro ko apni chapet me lene laga tha. Tabhi maine divyastra ka istemaal karke us bawandar me bhayankar bijli utpann kar di. Or ab vo bawandar sabhi ko bhasm karta ja raha tha.



Bahi me apni shaktiyo ka kam or apne hatho ka istemaal jyada kar raha tha. Divyastra ko talvar me badal kar.


Tabhi medhavi me kuch kiya jisse vo bawandar turant hi band ho gya lekin usme se keval rakh hi nikli.uski sena ki.


Or isi gusse se vo meri taraf bada or me uski taraf.



Or vo uchhal gya or me bhi or hamari shaktiya hawa me takra gyi. Or aisa hote hi hawa me bhayankar beg utpann ho gya.



Medhavi- tera ant me karke hi rahunga.




Main- lekin aaj nahi.



Ye kehke maine apne hatho se aag nikalna suru kiya or maine jaha uska hath pakda hua tha baha use jalan hone lagi.



Medhavi- ye chal achhi hai lekin kaam ki nahi hai.



Main- to fir ye kaise hai.



Ye kehke maine hath ko thanda kar diya or jaha use pakda hua tha. Baha se use me barf me jamane laga. Barf kafi tezi se uske sarir per Chad gyi or vo bahi jam gya. Or uske jamte hi maine use neeche chhod diya. Or vo tezi se neeche girne laga. Mujhe laga girte hi ye tut jayega. Lekin sala girne se ek sec. Pehle hi pata nahi kaise uske sarir per jami barf pighal gyi. Or vi sahi salamat neeche gira. Ye dekhkar me tezi se neeche gya. Apni talvar ko seedha karke. Jo seedhe uske seene me dhasne wali thi. Lekin sala fir bach gya. Baju hat gya. Lekin ye dotarfa hamla tha. Jameen per talvaar lagte hi. Takvar se bhayankar bijli nikli like bahut hi bhayankar. Or charo taraf fail gyi. Medhavi ne khud ko kaise bachaya pata nahi. Lekin baki jitne bhi asur uski chapet me aaye vo nahi bacha paye khud ko Or jal kar rakh ho gye.





Ye dekhkar medhavi ka gussa bad gya. Or usne apna aakaar bada kar liya. Itna ki mujhe aasani se kuchal sake. Ye dekhkar ham sabki aankhe fati ki fati reh gyi.




Aalia- ye kya karne ko soch raha hai.




Main- sayad hame kuchalne ki.baise ye hamare kiye mouka hai.




Renu- me samaj gyi.



Ye kehke Renu speed se uski taraf badi or jor se talvaar uske pair me ghusa di. Tabhi main or Prachi udte hue gye or ek ek punch uske thobde per jad diya. Jisse vo neeche girne laga. Vo bhi usi ki sena per.




Main- hoshiyar hai per hai to bacha hi.




Surbhi- sahi kaha. Lekin yaha isi sena bache nahi hai. Ye khatm hone ka naam hi nahi le rahe hai.




Renu- dev kuch bada try karna chahiye. Taki ye sab jaldi khatm ho sake. Kyuki ham aise hi mahino tak lage rahenge tab bhi ye aise hi ladte rahenge.





Main- baise me bhi kuch aisa hi soch raha tha. Ek kaam karo tum sabhi mere peechhe aajao. Jara inko apni asli takat ka namuna dikhate hai.





Prachi- badiya hai.




Ye kehke sabhi mere peeche aagyi. Or maine apni aankho ko band kiy apne hatho ko joda or man me apne mantra ka jaap Kiya. Or aisa karte hi thirdeye khul gyi. Or ab samay tha inko batane ka ki meri takat ye divyastra se nahi hai.





Maine thirdeye se sabhi ko dekha lagbhag 50000 asuro ko jo is waqt baha ladai karne hamari taraf hi bad rahe the.


Aisa samajhiye ki me ek sath sabhi ko nishana bana raha tha. Ek hi baar me sari sena ko khatm karne ka plan. Or jaise hi sabhi per nishan lag gye. Maine apni aankh se bhayankar jwala nikali. Or jwala nikalte hi. Use matra kuch sec. Lage honge or hamare samne moujud sare asur pal bhar me rakh me badal gye.vo bhi ek sath.


Surbhi- agli baar isi se shuruwat karna. Khamakha itni energy waste karwa di.



Main- ha kyu nahi.

Or isi ke sath medhavi ki sari sena ka ant ho gya. Or ye seen dekhkar medhavi ki to halat hi kharab ho gyi use samaj me nahi aaya ki akhir ye konsi shakti hai. Kyuki ye thirdeye har kisi ko nahi dikhti hai. Medhavi ko jara bhi andaja nahi tha ki abhi yaha per kya hua. Use to bas itna pata tha ki meri shaktiyo ne ek hi baar me uski sena ka ant kar diya. Par kaise kiya iska pata keval shukracharya ko laga hoga baki kisi ko nahi.







Aisa karne ke baad maine apni aankho ko bapis se khol liya. Or samne ka najara bakai kafi darane wala tha. Dusro ko.



Or fir me medhavi ke pass gya.




Main- ab bhi ladna chahte ho.




Medhavi- ye kaise kiya tumne.




Main- bahut kuch hai jo tum abhi nahi jante ho. Or janne ki jarurat bhi nahi hai. Tum ek achhe insan ban sakte ho. Agar banna chahte ho to. Tumhare pass abhi samay hai.




Medhavi- me ye achhe se janta hu. Lekin me aisa nahi kar sakta. Is janm me to bilkul nahi.



Ye kehke usne talvar mere pair me ghusa di. Jisse mujhe bakai me dard hua.




Or ye sab dekhkar um charo ko gussa aagya. Or vo charo ek sath medhavi per tut padi. Vo pehle se thoda ghayal tha. Uske pair me chot lagi thi. Mere kai prahar usne sehan kare the. Lekin vo itna kamjor nahi tha ki itni jaldi haar maan jaye. Par
Mere samne Jo ho raha tha use bhi jhutlaya nahi ja sakta tha. Kyuki vo kisi bhi hamle ko rok nahi raha tha. Bas apne uper hone de raha tha. Or isi beeche Prachi ne uski garden ko uda diya Renu ne usi samay uske sarir me aag laga di or bas uska kaam ho gya.


Abki baar sachme ho gya iska kaam tamam.





Ab keval shukracharya bache hue the. Baki koi nahi kam se kam mujhe to yahi lag raha hai. Shaktiya kamjor hone ke bawajud kisi ne mujhe abhi tak marne ka prayas nahi kiya tha. Matlab ki aisi shakti ka prayog jisse bakai meri mout ho sake. Ye baat mujhe kuch ajeeb se lag rahi thi. Ye sena leke aana yudh karna. Ye sab alag baat hai lekin pran ghatak hamla abhi tak nahi hua tha mujhper. Isliye mujhe kuch doubt sa ho raha tha ki ye sab akhir kyu ho raha hai………….














To be countinue………………….
Behatareen jabardast romanchak update brother......
yeh sab ek prakar ka chal shadiyantra hai shukracharya ke dwara...... dragon ka Lana kafi acha laga..... medhavi ka vapis ana mujhe pehle se lga aisa kuch hoga kyonki shukracharya ke pass sanjivani vidya jo hai.... medhavi ka akhir mein is trh yu itni aasani se mar jana yeh shayad shukracharya ke shadiyantra ka hissa ho.....kyonki abhi tak voh patal lok wale asur bhi nhi aaye.....or dev par koi jaanleva hamla bhi nhi hua.... shayad woh dev ki saari takat ko prakhna chahte ho....
keep writing...
keep posting.....
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,007
173
UPDATE 91















Gurudev ki aawaj sunkar me ruk gya. To unhone mujhe peeche mudne ko kaha or jab me muda to vo mere samane khade hue the. Maine unhe bahi per pranaam Kiya.





Gurudev- vijai bhav vats. Safalta tumhare kadam chume. Tumhe koi bhi parast nahi kar paye.





Main- dhanyabaad gurudev. Aapke aasirbaad ki mujhe sakht jarurat thi





Gurudev- me janta tha isiliye to yaha aaya hu.




Main- gurudev meri mom mami or baki ka kya hoga. Kya vo jeevit ho sakte hai ab





Gurudev- tum apni taraf se jitni kosis kar sakte the tumne ki hai vats. Ab nirash mat ho. Mahadev per bharosa rakho vo jo bhi karenge vo achha hi hoga.





Main- isi ke bharose to me abhi tak jeevit khada hua hu. Verna mere pran to kabke nikal gye hote.





Gurudev- aisa nahi kehte Bache. Sab theek ho jayega.





Main- me bas yahi sunna chahta tha. Ab mujhe Jana hoga gurudev. Shukracharya ke pass.





Gurudev- me tumse kuch mangna chahta hu vats.




Ye sunke mere kaan ek dum se khade ho gye. Or maine gurudev ki taraf dekha.




Main apne ghutno per apne hatho ko jod kar baith gya.



Main- aagya kare gurudev.




Gurudev- vats me chahta hu tum kisi bhi halat me is divystra ko shukracharya ke hath nahi lagne do. Fir chahe iske liye tumhe kuch bhi Kyu na karna pade. Tum vo karo. Parantu ye divystra unke hatho me nahi lagna chahiye. Or ho sake to jeevit loutne ka prayas karna vats.mujhe vacahn do vats ki tum mere bachno ka palan karoge. Me tumse apni gurudakshina me ye vachan chahta hu.







Ye sunke maine unki taraf dekha to unka chehra ek dum sakht bana hua tha. Jaise vo jaan gye the ki mere baha Jane per kya hone wala hai.




Maine apni aankho ko band kiya or ek lumbi saas chhodi or fir aankho ko khol kar unhe dekha or fir bolna suru kiya.




Main- gurudev aapke dwara kahe gye har vachan ka me palan karunga. Ye mera vachan hai aapko.me divystra ko shukracharya ke hatho me nahi lagne dunga fir chahe iske liye mujhe apne prano ka balidaan hi kyu na dena pade. Ye divystra ya to mere pass hi rahega ya fir se is brahamand me vileen ho jayega.






Gurudev- mujhe tumse yahi ummid hai vats. Agar Tumne apna ye vachan nibhaya to tum guru dakshina ke bandhan se mukt ho jaoge. Ab utho or vinash kar do un sabhi asuro ka jo aapne aap ko bhagwan se bada samajhne lage hai. Or apni keerti ko visv me faila do.



Vijayi bhav vats………..





Ye kehke vo gayab ho gye me apni mundi ko neeche hi karke baitha raha. Or fir mundi ko uper karke me khada hua. Or apne divyastra ko apne hatho me pakda or use gour se dekha or usse mujhe pataal lok le chalne ko kaha.



Or aisa kehte hi me baha se gayab ho gya. Or seedha nikla pataallok me. Jaha ka vatavaran bakai me kafi bhayanak tha. Charo taraf se manhusiyat ki gandh aarahi thi. Deewaro per ajeeb se jaanwar chipke hue the jo mujhe apna khana banane ke liye bekrar dikh rahe the. Lekin me unse bina dare aage badta gya. Or thoda aage chalne per mujhe do asur dikhai diye Jo mujhe dekhkar khade ho gye. Or fir haste hue meri taraf aaye.






A1- to ye vo bacha hai. Bichara aaj moksh ko prapt ho jayega. Aap bache hamare sath. Gurudev tumhara intjaar kar rahe hai.




Ye kehke vo aage chalne lage or me unke peeche peeche.



Me charo taraf ka mahol dekh raha tha. Jaha sabhi asuro ke muh se kaar tapak rahi thi mujhe dekhkar. Pata nahi ye yaha kaise rehte hai. Achha hai ki ye prithvi per nahi hai. Verna ek raat me hi prithvi ko pataallok bana denge.


KHair vo dono mujhe ek mehal ke andar le gye jiske bahar bhari matra me asur khade hue the. Aone hathiyaro ke sath. Or mehal kr andar ek bacha singhasan per baitha hua tha. Jise dekhkar hi me samaj gya ki ye medhavi hi ho sakta hai. Or usi ke baju me shukracharya baithe hue the. Jinke chehre per ek vijayi muskaan thi. Or aisi hi muskaan baha moujud har kisi ke mukh per bani hui thi.




Brahamin hone ke nate Maine shukracharya ko pranaam Kiya.




Shukracharya- bahut hi achha nirnay liya hai tumne dev yaha aakar. Ab bina samay ko barbaad kiye divystra ko mere hawale kar do. Or me tumhe vo ausdhi ka naam bataunga jisse tum apne pariwar ko punah jeevit kar sakte ho. Unke sarir se zehar to tum nikaal hi chuke ho. Jise dekhkar bakai me mujhe bahut hairani Hui thi. Ki itna zehar grahan karne ke baad bhi tum jeevit bach gye. Lekin kaise bache ye mujhse behtar tum jante hi ho. Or agar maine or jyada matra me zehar faila diya to tum bhi use nahi rok paoge.





Ye sunke mere chehre per ek muskaan aagyi. Or me bola unhe.




Main- aap ek guru hai or ek brahmin bhi. Fir bhi asatya bolte hue aapko jara bhi lajja nahi aati. Aayegi bhi kaise. Jab sangat hi kharab ho to bache ko dosh dena agyanta hoti hai. Aap asuro ke guru nahi. Balki asur aapke guru ban gye hai. Aapko inhe siksha deni thi lekin ab ye aapko sikhsha dete hai. Aapko inhe badalna tha lekin unhone aapko badal diya. Or aaj sara sansaar aapko smaran bhi nahi karta hai. Keval aapke is faisle ki bajah se.





Ye sunke unka chehra ek dum se utar gya. Or unke chehre per gusse ke bhav aane lage. Jo aaj fatne wala tha.




Shukracharya- ha tumhari bato me bahut sachhai hai dev. Asur hi ab meri pehchan hai. Lekin maine ye khud nahi chuni thi. Balki mujhe chunne per majbut kiya tha. Un DEVTAO ne. Jinhone mujhe nahi mere bhai ko apna guru bana liya tha. Or mujhe dar dar ki thokar khane ko vivas kar diya tha. Us samay asuro ne mera sath diya tha. Or fir maine pran liya tha ki inke liye jo bhi sahi hoga me vo karunga me fir chahe vo swayam bhagwan ke khilaaf hi kyu na ho.or mujhe garv hai ki maine apne pran ko bakhubi nibhaya hai abhi tak.





Main- gusse or jalan ne apko andha bana diya hai. Aap dev guru isliye nahi chune gaye the Kyuki aap uske kabil nahi the. Aap me kuch kamiya thi jo aaj sabke samne hai swayam aapke bhi. Fir bhi aapne abhi tak satya ko swikaar nahi kiya hai.




Ye sab sunke medhavi ko mirchi lag gyi or vo apne singhsan se khada ho gya or bola.




Medhavi- saavdhan dev. Tum hamare Guru ka apmaan kar rahe ho. Jo ham katai vardast nahi karenge. Ye meri antim chetavni hai tumhare liye. Isliye achha hoga ki chupchap divystra ko gurudev ko sonp do or nikal jao yahan se. Verna me bhi fir kuch nahi kar paunga. Kyuki yaha moujud har sakhs tumhara khoon peene ke liye bekabu ho raha hai.





Main- ha me janta hu ye baat bahut achhe se. Lekin afsos lagta nahi ki aaj inme se kisi ka bhi ye swapn sach hoga. Or rahi baat divyastra ko sopne ki to bhul jao ise. Me yaha ise sopne nahi aaya hu. Balki ek antim chetavni dene aaya hu sabhi ko. Ki abhi samay hai sudhar jao. Verna baad me mujhe nahi lagta ki me kuch kar paunga tum sabki bhalai ke liye.





Ye sunkar shukracharya ka chehra gusse se lal hone laga or baki ke asur hasne lage vo bhi jor jor se. Jaise maine koi joke sunaya ho unhe.






Tabhi shukracharya ne jor se chilla kar sabhi ko shan't karwaya or mujhse bole.





Shukracharya- kya ye tumhara aakhiri faisla hai.





Main- ha




Shukracharya- soch lo.





Main- soch liya. Me janta hu aapke pass ab kaalkut nahi bacha hai. Jitna tha vo sab aap mere pariwar ke uper istemaal kar chuke ho. Or ab aapke pass keval ek hi rasta hai mujhe yaha se jane do. Verna yaha tandav suru ho jayega. Jisme kisi or ka nahi balki aapka or aapke priye in asuro ka vinash hi hoga.




.ye sunke unke chehre per ek muskaan aagyi or fir vo aone sabhi asuro se bole.




Shukracharya- mere Sisyo jara is balak ko batao ki asuro se takrane ka kya anjaam hota hai. Ise asuro ki asli takat ko dikhao.





Ye sunte hi baha moujud asur mujhe serious dekhne lage or meri taraf badne kage charo taraf se. Mujhe ek ghere me band kar liya tha un sabhi ne.


Or me janta tha ki ab mujhe kya karna hai. Maine divystra ka abahan kiya or aisa karte hi mere hatho me vo aagya or aate hi itni bhayankar roshni paida ki jisme lagbhag sabhi andhe hi ho gye. Or yahi vo mouka tha jiska mujhe laabh uthana tha. Kisi ko kych bhi nahi dikh raha tha. Or isi mouke ka fayeda utha kar maine divyastra ki vinash kari shaktiyo ka aavhan Kiya or baha moujud har asur ke uper unka prayog. Divystra ne apne andar se aag ka aisa mixer nikala jisme pura ka pura mehal hi pighalne laga. Or baha moujud sare asur is agni me jalne lage. Charo taraf se cheekho ke siva kuch sunai nahi de raha tha. Tabhi shukracharya ne apne kamandal se jal nikaal kar usper koi mantra pada or use mahel me chhod diya. Or aisa karte hi jo roshni utpann hui thi vo nahi per samapt ho gyi. Or ab sabhi asuro ko dikhne laga ki ye agni kaha se aarahi hai. Or vo uski ulti disha me bhagne lage. Or tabhi shukracharya ne apne hatho se ek pani ki lehar ko nikalna suru kiya or pani padte hi aag thandi padne lagi. Ye sab is jagah ka asar tha jo unke jadu is astra per bhari pad rahe the. Ye baat sabhi achhe se jante the.




Jaise hi aag nikalna band hua to baha per asuro ki sankhya aadhi se bhi kam Reh gyi thi. Or ye dekhkar medhavi ko gussa aagya or or vo bahi se udta hua mere taraf aaya uske hatho me ek talvar thi. Or usne mujhe per uska vaar kar diya. Lekin astra ne use rok diya. Uske baad maine astra se ek talavar banne ko kaha or aisa kehte hi vo ek talvar me badal gya. Or fir shuru hua mera or medhavi ka yudh. Baki sabhi keval tamasha dekh rahe the. Medhavi ek chapal talvar baaz tha. Mere har war ko vo achhe se janta tha. Isliye use rok de raha tha. Or usme waro ko me. Lekin vo baht tezi se hamla kar raha tha. Meri najar yaha ke prabhav se kamjor padne lagi thi. Or meri speed bhi. Jiski bajah se vo mujhper bhari padne laga tha. Na chahte hue bhi. Or yahi mouka dekhkar medhavi ne badi hoshiyari se
Mere sarir per kuch khas jagaho per talvar chala di. Jis bajah se mera khoon nikalne laga. Or mera sarir or kamjor padne laga. Ek baar mere right hand per tha jis bajah se mera hath aap aasani se move nahi kar pa raha tha. Or medhavi ek ke baad ek war mujhoer karte hi ja raha tha. Or baar baar adhira ka naam le raha tha. Or keh raha tha ki ye unke liye hi hai. Baki bache asur ye sab tamasha dekh kar kushi mana rahe the. Or shukracharya ke chehre per bhi ek kutil muskaan aa gyi thi meri haar dekh kar.



Tabhi mouka dekhkar medhavi ne mujhe ek kick mari jisse me thodi dur Jake gira. Or mujhe sambhalne ka thoda mouka mil gya.




Main- karahte hue. Aahhhh apne baap ka badla le rahe ho. Bichara use pata bhi nahi chala ki kab uska sarir rakh me badal gya. Or mujhe ummid hai tumne unki asthiya utha li hogi baha se. Verna bechare ko shanti nahi milegi. Kyu utha li thi na.




Ye sunke uska chehra dekhne layak tha. Kisi rote hue bache ki tarah ho gya tha. Or ye sab sunke vo or bhadak gya Jo me chahta tha. Or vo tezi se meri taraf doudte hue aaya. Or jaise hi usne meri garden per talvar chalane ke liye uthai usi samay me ghum gya or uska nishana chuk gya. Or vo kuch karta uske pehle hi meri talvar uske seene me ghus gyi or aar paar nikal gyi. Or aage koi or kuch samajhta usse pehle hi maine talvar ko uper ki taraf sarka diya. Vo bhi puri takat se. Jisse seene se lekar uski khopdi tak ka hissa do bhago me bat gya. Or ye sab itni jaldi hua ki kisi ko kuch samajhne ka mouka hi nahi mila. Or sabhi ko dikha to bas medhavi ka sarir jo jameen per bejaan pada hua tha. Or itna khoon baha raha tha jitna koi soch bhi nahi sakta tha.




Baha moujud sabhi ki anakhe fati ki fati reh gyi. Kisi ko viswas nahi ho raha tha ki unka raha itni buri mout mara jayega. Or itna waqt kafi tha mere jakhmo ko bharne ke liye. Shukracharya ki aankho se aasu nikal aaye the ye seen dekhkar. Or baki sabhi ki fat kar hath me aagyi thi. Ki ab kya hone wala hai ye soch kar hi sabki dhadkane badne lagi thi.











To be countinue……………….
Asurraj Medhavi ke ant se sayad asuro ko sadbudhi ayye per lagta nahi aisha ho kyon ki kutte ki punch tedhi hi rhegi. Aur Dev apne guru ke vachno per kharaniklte hue yeh pariksha bhi uttirane kar lega. Bahut hi sunder shabdrekha banai hai bandhu.
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
UPDATE 93















Me yahi soch raha tha ki Prachi ne mujhe toka.




Prachi- kya hua kya soch me dub gye.




Main- yaar sochne ki baat hai. Abhi tak kisi bhi asur ne is prakar ka hamla nahi kiya mujhper jisse bakai meri jaan per ban aaye. Jabki ye baat jante hue bhi ki yaha meri jaan ja sakti hai. Sochne wali baat hai na. Ye sena ye sabki jarurat hi nahi padti.





Ye sunkar sabhi ke dimaag ki ghanti baji.



Prachi- achha hi hua na ki unhone aisa hamla nahi kiya or ham unhe parast karne me safal rahe.




Main- ye baat bhi theek hai lekin sochne wali Baat hai. Kahi koi or khichdi to nahi Pak rahi hai andar




Maine ye kaha hi tha ki pata nahi kya hua achanak se hamare charo taraf ek ghera sa ban gya. Jaise koi kavach. Or ham abhi soch hi rahe the ki ye kya hai tabhi shukracharya ki aawaj aai.




Shukracharya- bahut khub achha dimaag ladaya lekin afsos ki thodi der ho gyi ye samajhne me. Abhi tak hamne tumper kisi bhi ghatak shakti ka prayog is liye nahi kiya kyuki ye tumhare sathi tumhare sath nahi the. Ye seniko ko bhejna to bas ik chara tha in sabhi ko yaha bulane ka. Or dekho sabhi aagye yaha per. Or maine aisa isliye Kiya kyuki tum sabki shaktiya judi hui hai. Or tum yaha the lekin tumhare sathi nahi. Isliye meri shaktiyo ka asar tumper jyada nahi ho raha tha. Kyuki ye charo ek santulit vatavarn me upasthit thi. Or ab ye yaha aachuki hai jaha tum sabki shaktiya kamjor ho gyi hai. Isliye mere har prahaar ka tum sabhi per asar padega. Agar me yaha dev ko hani bhi pahuchata tab bhi ye aasani se bach nikalta. Kyuki tum charo ki shaktiya iski raksha kar deti. Lekin ab jab sab sath me ho to sabhi ko ek sath khatm karunga me.kyuki tum charo iski takat bhi ho or kamjori bhi.





Main- bahut khub lekin ab bacha kon hai. Ye shakti ka prayog kiske liye karoge. Tumhara raja tumhari sena sabhi to samapt ho chuke hai.





Shukracharya- ho jane do. Is astra se me sabhi ko punah jeevit kar lunga. Bas fir dekhna tum asuro ka qehar.





Main- aap abhi tak nahi sudhre. Jab shiv ji ne aapko nigal liya tha tab aapka hriday parivartit ho gya tha. Lekin kehte hai na. Ki bura insan chahe kitna hi Kyu na sudhar jaye. Burai ek na ek din use bapis apni taraf kheech hi leti hai.





Shukracharya- tumhe jo samaj na hai samaj lo.



Ye kehkar unhone mantra fook kar hamare uper chhod diya. Or aisa karte hi kuch bahut hi ghatak kala dhua us chakra me fail gya. Or chakra puri tarah se band ho gya. Is dhue me ham saas bhi nahi le pa rahe the.




Shukracharya- jante ho ye kya hai. Ye kaalkut se bhi jyada ghatak zehar hai. Jise maine khud banaya hai. Or iska parikshan bhi kiya hai. Me janta hu tumhare andar kaalkut hai. Lekin kaalkut is zehar ko katega nahi. Balki isme milke or zehreela ho jayega or jo pran tumhare bach gye the ab nahi bachenge. Or agar kisi tarah tum bach bhi gaye. Tab bhi tumhare ye sathi nahi bachenge.





Ye sunte hi mere kaam khade ho gye. Maine un charo ko dekha to vo lagbhag behsoh hone ki kagaar per hi thi. Or ye sab dekhkar mujhe lagne laga ki aaj ham sabhi ka antim samay aa hi gya hai. Me inhe kaise bacha paunga. Mom mami dadu or mama ko bhi nahi bacha paya me to. Tabhi mujhe divystra ka khayal aaya Maine socha ek baar try karke dekhta hi sayad kaam ban jaye.





Maine divyastra ko in charo ki raksha karne ko kaha. Inhe jeevit rakhne ko kaha.



Mere aisa kehte hi divyastra se ek roshni nikali or ek ek karke in charo ke sarir me sama gyi. Or fir vo baha kya karne lagi pata nahi. Lekin thodi hi der me vo roshni bilkul kali hole bahar nikal gyi. Halaki ham kavach me the iiye vo roshni bhi kavach me hi reh gyi. Uske baad maine khud ko bachane ko kaha. To divyastra ne fir se bahi kiya or roshni mere andar sama gyi. Or sayad vo sare zehar ko apne andar leke bahar nikaal rahi thi. Or unhi ke jaise mere andar se bhi vo roshni thodi hi der me bilkul kali hoke bahar nikal gyi.




Vo charo filhaal behosh hi thi. Lekin unki sase chal rahi thi. Jo achhi baat thi mere liye. Me bhi ek dum se dheela sa pad gya tha.




Shukracharya- kamal kar diya. Dekha ye hai divyastra ki asli takat. Ye sab dekhkar meri ikchha or bad gyi hai ise pane ki. Or ab sambhalo mere is baar ko.



Unhone fir se koi mantra pad ke us kavach me chhod diya. Or aisa karte hi.kavach le charo taraf se bhayankar bijli ke jhatke lagne lage.ham sabhi ko. Or isi jhatke ko bajah se roshni ne jo zehar hamare sarir se bahar nikala tha. Vo fir se aazad ho gya. Divyastra ki shaktiya kamjor hone ke kaaran. Or fir se vo hamare sarir me jane laga.



Maine socha aisa kaam nahi banega mujhe kuch or try karna hoga.


Yahi sochkar me bahi baith gya. Apni aankho ko band kiya or mantra ka jaap karne laga. Jaise hi thirdeye khuli Maine seedha prahaar Kiya unke kavach per. Meri sari shaktiya unke kavach se takra rahi thi jis bajah se unka kavach kamjor padne laga tha or vo khulne laga tha. Jaise kavach khula. Maine apni shakti ka prayog seedha is zehar per Kiya. Or ek chhote se hisse per prahar hote hi pura zehar uski madad karne ke liye ek sath aagya. Jaise ye jeevit ho or sab samajh raha hai. Zehar meri shaktiyo se ladne ki puri kosis kar raha tha. Lekin nakaam raha or bahi per uska bhi ant ho gya.




Ye sab dekhkar shukracharya ka dimaag fir gya. Unhe samaj me nahi aaya ki ab vo or kya prayog kare.



Me unhi ko dekh raha tha.



To unhone bhi apni anakho ko band kiya or pata nahi kya karne lage. Tabhi achanak se charo taraf se kaali shaktiya udd udd kar unke samne aane lagi vo bhi ekatha hone lagi. Sari shaktiya milkar ek jut hokar hamla karne ka plan tha shukracharya ka.




Jo pura bhi nahi hone diya maine. Or fir se thirdeye se hamla kiya unke us Kaali shakti ke ghere per. Or aisa hote hi vo shaktiya chillane lagi. Vo nark ki us aag me jalne lagi. Jiski kalpana bhi koi nahi karna chahta. Jitni bhi shaktiya baha aati ja rahi thi. Sabhi ko ye peeda hona start ho gya tha. Sayad shukracharya ko iska pata nahi chala or vo sari shaktiyo ko ikathha karne me lage hue the. Or yaha kaala dhua badta hi ja raha tha. Meri shaktiya unhe jalane ki kosis kar rahi thi. Lekin jaise jaise or shaktiya unke sath jud rahi thi. Meri shaktiyo ka asar unper kam hone laga tha. Fir bhi maine shakti ka prahaar jari rakha. Or dusre hath me divyastra ko uthaya or usko bhi bhayankar shakti prahaar karne ko kaha us kaale dhue per. Or maine use unki taraf kar diya. Divyastra ne bhi apni shaktiyo se usper prahaar karna suru kar diya.







Thodi der tak fir vo kamjor padne lagi. Lekin hairani ki baat thi Inka ant nahi ho raha tha. Meri dono shaktiya milkar bhi unko kam nahi kar pa rahi thi. Unki shaktiya badti hi ja rahi thi. Mere force me koi kami nahi thi lekin baha ka force out of control hota ja raha tha. Tabhi achanak se mere mathe per char hatheli rakha gyi. Jo kisi or ki un charo ki thi. Or aisa karte hi unki shaktiya bhi meri shaktiyo se mil gyi. Or ab pure force se ek baar fir hamla shuru hua. Or fir se vo kamjor padne lagi. Lekin again unka ant nahi ho raha tha. Me to ye dekhkar hairan tha ki aisi or kitni shaktiya hai jo khatm hone ka naam hi nahi le rahi hai. Sayad anginat.





Ham sabko shaktiya milkar bhi unko jara si chot nahi pahucha pa rahi thi. Jo bakai me chinta ka vishay tha.



Isliye maine filhaal shaktiyo ka istemaal karna band kar diya.



Renu- ye akhir konsi shakti hai jo khatm hi nahi ho rahi hai.





Main- ye vo burai hai jo har kisi ke andar kahi na kahi nibaas karti hi hai. Chahe vo kitna hi sajjan kyu na ho. Lekin ye burai uske andar bhi rehti hi hai. Kisi na kisi rup me. Jaise lalach jalan, hawas, etc. Shukracharya isi ko ek sath kar rahe hai. Or isi liye shaktiyo ka jyad asr in per nahi ho raha hai. Kyuki ye amar hai. Hamesha jeevit rehti hi hai. Inko keval bhagaya ja sakta hai. Vo bhi achhai se.





Aalia- ye kaise hoga.




Main- sabhi ek dusre ka hath pakad lo or ghera bana kar baith jao. Or mere sath dhyan lagao or gurudev ke dwara diye gye mantra ka puri bhakti se jaap karo.





Renu- isse kaam banega.




Main- viswas rakho. Sab kuch bhul jao. Khud ko bhi. Bas mantra ko yaad rakho or mahadev ke aakar ko. Baki sab bhula do.




Aisa kehke ham sabhi ne apni aankhe band kar li. Or mahadev ka naam lekar mantra ka uchharan suru kar diya hamne. Vo bhi jor jor se. Taki aathon dishao me is mantra ki gunj fail jaye. Ham sabhi coras me uchharan kar rahe the. Man me mahadev ka murti virajman thi. Or bahar unke naam ka mantra.


OM NAMAH SIVAAY………





ab hua ye ki ye mantra ki gunj charo taraf failne lagi. Or jab shukracharya ke kanon me baar inki gunj sunai di to unka dhyan tut gya. Or unhone dekha ki dev and parti hi mantra ka uchharan kar rahi hai. Or unke uchharan se unke uper hi ek safed roshni failti ja rahi hai. Or is roshni ko dekhte hi vo kala dhuan peeche hatne laga. Jaise dar kar sher ka sikaar peeche ko hota hai. sher ke badte har kadam ke sath.


Baise hi ye dhua bhi peeche ko hone laga. Or shukracharya ne ye dekhkar fir se dhayn lagane ki kosis ki lekin ab vo safal hi nahi ho pa rahe the. Isliye unhone in pancho ka dhyan todne ka faisla kiya or inke uper ek ke baad ek kai mantro ka jaap karke chhoda lekin kisi ka koi bhi asar nahi hai. Vo safed roshni unke har war ko nakam kar rahi thi. Jo haalat kuch der pehle dev ki thi. Ki unki shaktiya kaale dhue per asar nahi kar rahi thi. Baise hi halat ab shukracharya ki thi. Unka har war nakam ho raha tha. Roshni unhe hamare karib bhi nahi aane de rahi thi.




Or aise hi dekhte hi dekhte vo safed roshni us kaale dhue ko nigal gyi. Or baha per ab uska jara sa bhi ans na bacha. Or iske sath ek or achhi ghatna ye hui ki. Safed roshni ke padne se. Pataallok ka mahol ek dum se badal gya tha. Jaha pehle manhusiyat ki badbu aati thi charo taraf se. Bahi ab ek ummid ki nai kiran najar aane lagi thi. Aisa lag raha tha jaise is roshni ne yaha ki sari manhusiyat ka nash kar diya ho. Or ye dekhkar shukracharya ke dimaag ne kaam karna band kar diya. Unhe abhi bhi samaj nahi aaraha tha ki ise kaise roka jaye.





Tabhi unke dimaag ki batti jali or unhone apna rup badal liya. Or vo ban gye bhagwan persuram.




Puri tarah se. Inke pass ye kala bhi. Jisse ye kisi ka bhi rup le sakte the.



Guru persuram banne ke baad inhone jor se aawaj lagai


VATS AANKHE KHOLO.




ye aawaj mere kano se takrai. Or me ise pehchan gya vo bhi achhe se. Kam se kam mujhe to yahi lagta tha. Or bakio ko bhi.




Ye aawaj sunkar ham sabhi ne mantra ka ucharan band kar diya or apni aankho ko khol liya. To hamare samne gurudev khade hue the.



Ham sabhi ne unhe pranam Kiya.




Main- aap yaha gurudev. Or shukracharya kaha gye.




Gurudev- vats ye yudh samapt ho chuka hai. Or vo haar maan kar yaha se chale gye hai. Isiliye mujhe yaha ana pada tumhe badhai dene ke liye.





Main- ye sab to aapke aasirbaad se hi sambhav hua hai gurudev. Aapki hi di hui siksha hamare kaam aai hai.




Gurudev- me janta hu vats. Isiliye me tum sabhi ko ek ek tohfa dena chahta hu. Kyuki me bahut kush hu tum sabke koushal se.





Main- kya gurudev.




Gurudev- abhi batata hu.




Ye kehke unhone apna hath aage kiya or kuch karne lage. Or thodi hi der me unke hatho me koi astra jaisa kuch aagya. Jiska prabhav bahut hi tez tha. Aate charo taraf ka mahol badal sa gya tha.



Or tabhi mere man se aawaj aai.




Gurudev- vats vo me nahi hu. Balki ek chhal hai shukracharya ka. Bacho usse jaldi. Vo tum sabhi per brahmastra ka prayog karne ja rahe hai.




Ye sunte hi. Meri aankhe Chad gyi. Or mujhe khud per itni hairani Hui ki me samaj kyu nahi paya. Or maine bina koi samay gabaye divyastra ko hatho me le liya. Lekin bahut der ho gyi. Or unhone brahmastra ko hamper chhod diya. Aisa hote hi maine sabhi ko kaha ki apne hatho ko jod kar ise pranaam karo jaldi. Aone astra tyag do.

Maine to aisa turant hi kar liya. Lekin vo charo kuch samaj hi nahi pai. Or agle hi pal un per brahmastra ka bhayankar prahaar ho gya. Or pal bhar me hi un charo ke pran nikal gye. Or baha per ek visfot jaisa bhi hua jiske prabhav se me udta hua dur ja gira.




Vahi brahmastra apana karya karke bapis chala gya. Or baha per chhod gya un charo ki lasho ko. Jo puri Kaali pad gyi thi. Inke sarir nahi bhasm hue kyuki inke pass divyastra ki shaktiya moujud thi. Baki Jo sabse main cheez hoti hai vo jarur chali gyi thi. In sabhi ke pran.





Is dhamake me mere kaan ek dum se sunn ho gye the. Mujhe kuch bhi samaj me nahi aaraha tha ki kya hua abhi. Jo bhi hua kya vo satya tha. Ya koi sapna.




Tabhi shukracharya apne asli rup me aagye or meri taraf badne lage.


Mere hatho me divyastra nahi tha. Or mujhe uski jarurat thi jaise hi maine ye smaran Kiya vo turant hi mere hatho me aagya. Or me hilta dulta apne ghutno per baith gya. Mere samne shukracharya aachuke the.





Shukracharya- ab kya karoge tum vats. Tumhare sathi ab mare gaye hai or tumhari shaktiya pehle se bhi or kamjor ho gyi hai. Abhi bhi samay hai mujhe ye sop do. Ya fir apni mrityu ko swikaar karo. Uske baad bhi ye hoga to mera hi.





Main- aapne Mera sab kuch cheen liya mujhse. Or ab meri bari hai.


Ye kehke maine ek jordaar prahar Kiya divyastra se un per. Or vo uske prahar se thode dur ja gire.



Or maine apne dono hatho ko joda or bolna suru kiya.




Main- aap ek brahmin hai guru hai isliye me aapki hatya nahi karunga. Kyuki mujhe mere sir per aisa kalank nahi chahiye hai. Lekin aapko saza jarur dunga. Aapne jis shakti ko prapt karne ke liye ye sab Kiya hai. Ab vo aapki kabhi nahi ho payegi. Janna chahte hai kaise. To dekhiye.




Maine apni aankho ko band kiya or divyastra se baat karna shuru kiya.




Main- hey divyastra hey punchmahabhuto ke prateek. Unki sari shaktiyo ko aone andar samane wale hey pavitra divystra. Is samay me aapka swami hu or us hisaab se aapko mere har aadesh ka palan karna hi hoga. Or me aapko aadesh deta hu. Ki apne aap ko hamesha ke liye is brahmand me vileen kar leejiye sari shaktiyo ke sath. Or fir kabhi bhi jaagrit mat hoiyega. Chahe koi bhi aapka smaran kare. Kabhi bhi kisi ke bhi samne mat aaiyega. Aapane aap ko vibhajit kar leejiye. Or vileen ho jaiye is brahmand me.





Bahi ye sunke shukracharya ko aisa jhatka laga jiski kalpana bhi unhone nahi ki hogi. Or vo hor se nahi chilla uthe. Or khade hoke divyastra ki taraf doudne lage. Tabhi Divyastra me itna bhayankar visfot hua ki sara patalok usse kamp gya. Or me or shukracharya us dhamake se or dur Jake gire. Meri halat to baise hi kharab thi. Is dhamake ke baad or jyada kharab ho gyi. Bahi shukracharya bhi kuch der ke liye ek dum sunn ho gye.



Or divystra is dhamake se pancho anso me bat gya or dekhte hi dekhte baha se gayab ho gya. Or apne sath apni shaktiya bhi le gya Jo mere andar thi or un charo ke sarir me thi.



Or yaha divyastra ka ant ho gya. Or yahi vo plan tha jo dev sabse ant me karne wala tha jab sab uske hatho se nikal jane wala tha. Ha agar aisa kuch nahi hota to divyastra bhi salamat rehta.




Bahi shukracharya is jhatke ko sambhal hi nahi paye. Or dev ko kosne lage ki ye kya kar diya usne. Unke liye vo kahabat sahi ho gyi thi hath ko aaya parantu muh na laga.



Or is baat se jo gussa aaraha tha use nikalna bhi jaruri tha. Isliye vo khade hue or apne hatho me ek talvar le li. Or dev ki taraf bad gye. Bahi dev behosh ho chuka tha. Uska sarir ab pehle se bahut kamjor ho gya. In shaktiyo se jo sarir bajr ke saman tha ab vo ek aam insan ke sharir me badal gya tha. Shukracharya dev ke karib pahunche or talvar ko hawa me uthaya or jaise hi hamla kiya tabhi dev or un charo ke sarir baha se gayab ho gye. Or ye dekhkar shukracharya fir se apna matha pakad kar baith gye. Unke hath se ye mouka bhi chala gya. Or ab unke hath kuch nahi tha. Itna sab khone ke baad bhi. Unhone itne balidaan diye us astra ko prapt karne ke liye. Lekin un sabhi ke balidan bekar chale gye. Or divystra bhi hath nahi laga. Ye vo dard tha jo is samay keval shukracharya hi mehsus kar pa rahe the.



Isme dev ki jeet bhi hui or haar bhi. Usne divyastra ko galat hatho me nahi padne diya. Isse uski jeet hui. Lekin vo apno ko nahi bacha saka or is prakar uski haar hui.


Bahi shukracharya ke hatho me keval haar hi lagi. Unhone har tarah ke sadyantra rache lekin unka koi bhi sadyantra unhe divyastra nahi dila saka. Jis bajah se unka maansik aaghat pahucha tha. Or is aaghat ke sath vo jeevit hi nahi rehna chahte the. Isiliye unhone usi samay yogagni se khud ke pran le liye. Or ab unki rakh baha per padi hui thi. Jise hawa apne sath uda le ja rahi thi.

Baki


Ab dekhte hai ki kya hota hai…..dev or baki sabhi kaha gayab hue hai. Or is atra ke samapt hona per koi dusparinaam to nahi nikalte hai.












To be countinue………………….














 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
UPDATE 94















Shukracharya or unke asuro kaam ho gya tha. Halaki sare asur samapt nahi hue the. Parantu shukracharya ke jane ke baad unhone apni haar swikaar kar li thi. Or patallok ka vatavarn bhi in pancho ki shaktiyo se badal gya tha. Jis bajah se jo burai baha nivaas karti thi vo ab kam ho gyi thi.





And dev or uska pariwar is waqt gehri neend me so rahe the. Sirf dev hi jeevit tha. Lekin vo koma me tha. Or vo koma se uthna hi nahi chahta tha.gurudev ne tamam kosis karke dekh li lekin dev hai ki uthne ka naam hi nahi le raha tha.






Bahi man me dev ki aatma bahut takleef me thi. Uske sab apne ja chuke the. Jis bajah se vo brih ki peeda se gujar raha tha. Tabhi uski antaraatma me swayam mahadev ne use darshan diye. Jinhe dekhkar dev ne unhe pranaam kiya.




Mahadev- putra mujhe tumper bahut garv ho raha hai. Tumne jo karya kiya hai vo bakai me sadharan nahi hai.
Me bahut prasann hu tumse. Parantu tum jaag kyu nahi rahe ho.







Main- mahadev aap to jante hi hai. Bhale hi me apne karya me safal raha hu. Parantu me apna sab kuch kho chuka hu.or aise akele mujhe nahi jeena hai. Isliye me vinti karta hu Aapse ki mere prano ko har leejiye.






Mahadev- putra tumhare pariwar ka antim samay yahi tha. Unki kismat me jo likha tha vo hua. Parantu tum aise haar nahi maan sakte tumhe jeena hoga putra





Main- mahadev mujhe itni badi saja mat deejiye. Me nahi jee paunga. Kam se kam aise to bilkul nahi. Mera pariwar hi meri pehchan hai. Unke moh se me bimukh nahi ho sakta. Mujhe unki jarurat hai.






Mahadev- me samjhta hu putra tumhari manodasha.




Main- kya un sabhi ko bapis lane ka koi marg nahi hai. Me har sambhav chounotiyo ko paar kar jaunga. Bas aap unhen Jeevan daan de dijiye. Chahiye to mere pran le lijiye. Parantu un sabhi ko jeevan de dijiye prabhu.






Ye sunkar mahadev soch me pad gye. Vo aisa kar sakte the. Parantu isse prakriti ke chakra me badlav ho jayega ye baat bhi vo achhe se jante the. Filhal jo hua hai vo badal sakta tha. Parantu ek satya ye bhi tha ki vo ye sab swayam hi karna chahte the. Arnav unhi ka ans tha or vo usi ko itne dukh me nahi dekh sakte the. Abhi tak Hui sari parikshao me vo utrin raha hai. Usne apni sujh bujh ka badiya pradarshan kiya hai jis bajah se mahadev usper ati prasann the. Isliye unhone faisla kar liya dev or baki sabhi ko Jeevan daan dene ka.





Mahadev- putra tumhare dukh ne mujhe vivas kar diya hai. Tum mere ans ho or me tumhe dukh me kadapi nahi dekh sakta. Isliye tumhare ab tak ke liye gaye karyo ka fal me tumhe avashya hi dunga. Parantu aisa karne se kai badalav bhi aayenge prakriti me. Jinhe tumhe hi fir se vyavasthit karna hoga. Kya tum aisa karne ko tatpar ho.





Ye sunte hi dev ke chehre ki hasi bapis aagyi. Use aisa anubhav pehle kabhi nahi hua tha. Vo turant hi dandvat ho gya or mahadev ki istuti karne laga.




नमामीशमीशान निर्वाणरूपं । विभुं व्यापकं ब्रह्मवेदस्वरूपम् ॥

निजं निर्गुणं निर्विकल्पं निरीहं । चिदाकाशमाकाशवासं भजेऽहम् ॥


निराकारमोङ्कारमूलं तुरीयं । गिराज्ञानगोतीतमीशं गिरीशम् ।

करालं महाकालकालं कृपालं । गुणागारसंसारपारं नतोऽहम् ॥


तुषाराद्रिसंकाशगौरं गभीरं । मनोभूतकोटिप्रभाश्री शरीरम् ॥

स्फुरन्मौलिकल्लोलिनी चारुगङ्गा । लसद्भालबालेन्दु कण्ठे भुजङ्गा ॥


चलत्कुण्डलं भ्रूसुनेत्रं विशालं । प्रसन्नाननं नीलकण्ठं दयालम् ॥

मृगाधीशचर्माम्बरं मुण्डमालं । प्रियं शङ्करं सर्वनाथं भजामि ॥


प्रचण्डं प्रकृष्टं प्रगल्भं परेशं । अखण्डं अजं भानुकोटिप्रकाशं ॥

त्रय: शूलनिर्मूलनं शूलपाणिं । भजेऽहं भवानीपतिं भावगम्यम् ॥


कलातीतकल्याण कल्पान्तकारी । सदा सज्जनानन्ददाता पुरारी ॥

चिदानन्दसंदोह मोहापहारी । प्रसीद प्रसीद प्रभो मन्मथारी ॥


न यावद् उमानाथपादारविन्दं । भजन्तीह लोके परे वा नराणाम् ।

न तावत्सुखं शान्ति सन्तापनाशं । प्रसीद प्रभो सर्वभूताधिवासं ॥


न जानामि योगं जपं नैव पूजां । नतोऽहं सदा सर्वदा शम्भुतुभ्यम् ॥

जराजन्मदुःखौघ तातप्यमानं । प्रभो पाहि आपन्नमामीश शंभो ॥


रुद्राष्टकमिदं प्रोक्तं विप्रेण हरतोषये ॥।

ये पठन्ति नरा भक्त्या तेषां शम्भुः प्रसीदति ॥






Ye pura kehne ke baad fir se dev ne unhe pranaam Kiya. Or ye sampurn श्रीरुद्राष्टकं sunne ke baad mahadev ati prasann ho gye.




Mahadev- putra tumhari is stuti se me bahut prasann hua hu. Tumhari is bhakti or shraddha ke fal ke rup me tumhe vardaan swarup tumhe or tumhare pariwar ko jeevan pradaan karta hu. Parantu vats meri baat yaad rakhna tumhe is sansaar ka santulan fir se banana hoga.





Main- prabhu aapke aadesh ka me puri nistha se palan karunga. Jo bhi mere vash me hoga me use avashya hi karunga. Kripa kar mujhe bataye ki kis prakaar ke badlav honge.





Mahadev- putra ye tumhe jab sahi samay aayega tab tumhare gurudev tumhe avgat kara denge. Tab tak apna jeevan sadhram dhang se jeete raho or bhakti ke marg per chalte raho. Mera aasirbaad hai tumhare sath hai hamesha.





Main- ye sunkar me dhanya ho gya prabhu. Aapki kripa samast sansaar per banaye rakhe.





Ye sunne ke baad mahadev ne Tathastu bola or bo antardhyan ho gye. Bahi iske baad dev or uska samast parivar nidra se jaag gya. Unhe sab kuch yaad tha. Unhe aisa laga jaise vo so rahe the or pratah hote hi jaag gye.




Dev Prachi aalia Renu or Surbhi gurudev ke aashram me the or baki log ghar per.



Gurudev ne jab sabhi ko sahi salamat dekha to go mahadev ki leela samajh gye or unhe koti koti dhanyabaad diya. Bahi dev ke is kaarname per samast devtao ne un sabhi per phulo ki varsha ki or apne apne aasirbaad in sabhi ko pradaan kiye.



Bahi dev ne gurudev ko mahadev ke dwara kahe gye vachan sunaye ye bhi ki vo prakriti me badalaav ki baat kar rahe the.



Tab gurudev ne dev ki bato ko samjha or usse kaha.




Gurudev- vats. Mahadev ne kaha hai to satya hi hoga. Parantu abhi uska samay nahi aaya hai. Jab vo samay aayega tab me swayam hi tumhe iski suchna de dunga. Tab tak ke liye apna karm karte raho.



Or gurudev ne use aasirbaad diya.


Vo din nikal jane ke baad dev and party sabhi ko pranaam karke apne ghar lout gyi. In charo ko kuch pata hi nahi tha ki unhe kya hua tha. Tab dev ne unhe sari ghatna bigatbaar suna di. Or jab unhe pata chala ki divyastra fir se vilupt ho gya hai to sabhi ko tagda jhatka laga. Khaskar renu or surbhi ko. Kyuki unki vo shaktiya ja chuki Jo divyastra se unhe mili thi. Sirf unki hi nahi baki sabhi ki bhi divyastra wali shaktiya ja chuki thi. Lekin dev ke pass janm se mili shaktiya thi. Bahi aalia ek pari thi to uske pass bhi shaktiya thi. Prachi ko dev se virasat me shaktiya mili thi. Vo uske pass thi. Or rahi baat Renu or Surbhi ki to unke pass gurudev ke dwara diye gye mantra abhi bhi the. Jo unki soi hui janm se mili shaktiyo ko jaga dete the. Is prakaar sabhi ke pass unke janm se mili shaktiya already thi. Or yahi baat dev ne un charo ko batai to vo sabhi samaj gyi. Or kush bhi ho gyi.



Bahi ghar pahuchne per sabhi apne gharwalo se mile. Unhe dekhkar aisa laga jaise varso ke bichde aaj mil rahe ho. Or aisa swabhavik bhi tha. Aakhir apni mrityu ko parast karke jo aaye the sabhi. Uske baad sari kahani gharwalo ko sunai gyi. Jise suke sabhi dhanya ho gye. Or sabhi ne agle hi din ghar me ek badi puja ka aayojan Kiya. Samast devi devtao ko dhanyabaad dene ke liye.or ye puja swayam gurudev ne sampann karwai. Tridev or samast devi devtao ka aasirbaad baras pada iske baad sabhi per.



Or fir aise hi inki jindagi chalti rahi. Clg pura hone ke baad gurudev ne Renu or Surbhi ke liye shadi ke prastaav ko bheja un dono ke liye unhone bahut hi sundar or susil ladko ka chayan Kiya jise ek hi najar me dono pariwar ki majuri mil gyi. Akhir gurudev ke chayan kiye hue ladke the. Unme mana karne jaisa kuch tha hi nahi. Or badi Dhoom dham se un dono ka vivah sampann kara diya gya. Vo bhi gurudev ke dwara. Ye unhi ka farz tha. Jo unhone bakubhi nibhaya. Or dono ka vivah sampann ho gya. Jaha Renu pahuchi nasik or Surbhi pahuchi ujjain. Dono hi mahadev ki sharan me thi. Jaha unka sundar bhavisya unke liye tayyar baitha tha.




Bahi dev or Prachi ke clg hojane ke baad inke vivah ki baat chali. Or sabko keval ek hi tension thi ki Prachi ke perants kaise react karenge. Parantu mahadev or gurudev ke aasirbaad se aisa kuch nahi hua jo nahi hona tha. Prachi ke maa papa is shadi ko razi ho gye. Or unhe Aalia se koi aitraj bhi nahi tha. Unhe bas beti ki kushi pyari thi. Jab khud Prachi ne kaha ki use koi problem nahi hai tab unke liye koi prashn bacha hi nahi karne ko. Or bahi aalia ke maa papa ko bhi Aalia ne prithvi per bulaya or fir sabki sehmati or mujudgi me in teeno ka vivah bhi sampann karaya gya. Sabhi bahut kush the. Khaskar bade log. Kyuki unke bache ab settle Jo ho gye the.




Vivah ke baad kuch rashmi ko pura karne ke liye ye teeno Parilok gaye. Jaha ranipari ne apne jamai ka bahut hi bhavya swagat kiya. Or fir baha ke reeti ribazo karaye gaye teeno ko. Jise unhone puri shraddha se sampann kiya. Or fir kuch din vahi ruke or fir bapis prithvi loute aaye.




Bahi inki shaktiyo ke liye ye teeno roj hi dhyan lagate the. Or unhe jaagrit karte the. Halaki unke istemaal ka mouka inhe nahi milta tha. Parantu dev samaj ki burai ko saaf karne ke liye Inka istemaal karta rehta tha. Gunde badmasho ke safaye me. Police or kanun ki madad vo chhipkar karta tha.




Bahi chirag or lucky bhi settle the apni life me. Clg ke baad dono ne apni apni pasand se shadi kar li. Jise ye log clg me hi mile the. Or ye raaj aaj bhi unke seene me dafn hai ki dev or bakio ke pass powers hai. Or achhi baat ye thi ki lucky police me chala gya tha. Or kai mouko per vo dev ko suchana deta rehta tha madad ke liye. Khaskar bahut hi kathin paristhitiyon me. Jaha police jyada kuch nahi kar sakti thi.

Or chirag vo business minded tha isliye usne dev ki madad se ek chhota sa business shuru kar diya. Or dheere dheere vo patri per bhi chalne laga. Jisse in sabhi ki life's set ho chuki thi.





Bahi jaisa mahadev ne kaha tha kuch badlab honge prakriti me. Or aisa samay bhi najdeek aane laga tha. Jab kuch bhayankar sankat samast brahmand per aane ke aasar banne lage the. Jiske liye gurudev ne dev ko sachet kar diya tha.


Baki ab agle part me dekhenge ki ye sankat akhir kya hai. Or dev inse kaise niptega. Apni seemit shaktiyo ke sath……….


Tab tak ke liye…..


RADHE RADHE

TO ALL MY READERS……...





AND MAT BHULIYE….




IT'S JUST A BEGINNING……….





 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Asurraj Medhavi ke ant se sayad asuro ko sadbudhi ayye per lagta nahi aisha ho kyon ki kutte ki punch tedhi hi rhegi. Aur Dev apne guru ke vachno per kharaniklte hue yeh pariksha bhi uttirane kar lega. Bahut hi sunder shabdrekha banai hai bandhu.

Thanks bro.....




aap sabhi ka sath milta gya or ye story apne mukaam tak pahuch gyi. Ab dekhiye ki kya hota hai aage...





keep supporting......
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Behatareen jabardast romanchak update brother......
yeh sab ek prakar ka chal shadiyantra hai shukracharya ke dwara...... dragon ka Lana kafi acha laga..... medhavi ka vapis ana mujhe pehle se lga aisa kuch hoga kyonki shukracharya ke pass sanjivani vidya jo hai.... medhavi ka akhir mein is trh yu itni aasani se mar jana yeh shayad shukracharya ke shadiyantra ka hissa ho.....kyonki abhi tak voh patal lok wale asur bhi nhi aaye.....or dev par koi jaanleva hamla bhi nhi hua.... shayad woh dev ki saari takat ko prakhna chahte ho....
keep writing...
keep posting.....

Aapka kehna sahi hai Bro. Ho sakta hai ye koi mayajaal ho ya fir kuch or kaaran bhi iske peeche ho sakta hai. Jo shukracharya ko dev per ghatak shaktiyo ka prayog karne se rok raha hai. Ye sab janiye is update me....





keep supporting......
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
excellent brilliant fantastic good update

hamesha ki trha behad shandar soooper lajawab

Thanks bro.



aaj ke updates post kar diye hai. Ummid hai sabhi ko pasand aayenge.. dekhiye ki ab aage kya hota hai...




keep supporting.......
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Lajawab shandaar dhasu update
Mast update 1 no
Nice update bhai waiting for next update
Awesome update bro
Bhai kl story kaha thi abhi wahi hai isme naya sirf Pancho ka saath hona hai still waiting for new
Lajabaab update bhai
Superb Update Bro...
Waiting For Next
mast update sir jee

Thanks Bhai log apna sath banaye rakhne ke liye......




is story ke last update post kar diye hai ummid hai sabhi ko pasand aayenge. Inme dekhiye ki is story ka ant akhir kaise hota hai...






keep supporting........
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Awesome updates
बहुत ही खूबसूरत अपडेट भाई
super fantastic update bhai maza aa gya ab dekhte hai ki aage kya hota hai... Dev kya karta hai.... Sukrachariya kya karte hai
Ye shukracharya ki Maya Ka Kamal hai pkki baat hai USS jaal main phas gya dev
Mast update aakir me suspence me rekh diya

Thanks Bhai log apna sath banaye rakhne ke liye.....




aaj ke updates post kar diye hai ummid hai pasand aayenge sabhi ko. Inme dekhiye ki ab aage kya hota hai dev aane wale sankato ka kaise samna karta hai. Janne ke liye sath bane rahe...






keep supporting........
 
Top