Sorry Brother... Kuchh kaarnon se har update ke oopar revo nahi de paaya par aage se har update par revo dene ki koshish rahegi... Kherr, ye ek koshish hai sameeksha karne ki iss behatreen kahani ki...
Kahani ka plot Odisha ke ird gird set kiya gaya hai aur achhi baat ye lagi ke sabhi kirdaaron ke naam wahaan se mel khaate hain... Saath hi sabhi drishyon aur scenes ko bahut hi khubsoorti se likha hai aapne jo darshaata hai ke aap ek bahut hi kaabil lekhak hain...
Baat karen kahani ki to nischit hi Vishwa Pratap Mahapatra urf Vishwaa kahani ka naayak hai aur uski seedhi takkar hone waali hai Bhairav Singh Kshetrapaal se jisse aaj ke zamaane ka Raakshas bhi kaha jaa sakta hai... Bhairav ke kirdaar ko bahut hi shaaleenta se likha hai aapne... Jab tak ke Villain aur Negative end strong na ho tab tak kahani mein Hero ki shaksiyat poori tarah nahi ubhar paati... Par aapki kahani mein kahin bhi iss cheez ki kami nahi lagi...
Baat ki jaaye Superintendent saahab aur unki biwi ki to lagta hai ke unhone apna beta khoya hai aur aaj tak uss gum ko apne seene mein liye huye hain... Aur ho bhi kyon naa jab Maa Baap ko apne bachon ki laash dekhne mile uss se bura manzar kya hi ho sakta hai sansaar mein... Kherr unhone VRS liya hai aur iska kaaran shayad Vishwa hi hai... Wo dono usse apna beta hi maante hain... Par fir jaisa ki Khan Saahab ko hawaldaar ne bataya ke Advocate Saahiba ne hi Vishwa ko jail karwayi thi uska matlab kya hai... Kya kaaran tha uske peechhe...
Vishwa ka past jaan na bhi kaafi rochak rehne waala hai aur dekhna hoga ke kya hua tha uske saath... Uske Mata Pita jo ab iss duniya mein nahi hain unki maut ka kaaran bhi kya Bhairav hi tha??
Vaidaihi iska kirdaar abhi tak mujhe sabse behatreen laga... Ek zinda dilli aur bahaduri ki misaal bankar ubhri hai ye naari jo Kshetrapaal jaise samaaj ke keedon ko door karna chahti hai... Par Update 7 mein jiss prakaar uss Sharaabi ne Vaidaihi ke liye apshabd istemaal kiye aur Rang Mahal se uska naata joda uss se to yahi lagta hai ke Vaidaihi ka ateet bhi kaafi dukh daayi raha hai... Usne kaha ke teen mahine baad koyi aane waala hai... Nischit hi wo Vishwa ki baat kar rahi thi...
Roop Kshetrapaal urf Nandini, ye apne baap aur bhaiyon se bilkul juda hai... Shayad ye wo panchhi banegi jo in logon ka banaya pinjra todkar khule aakash mein udd jaayegi... Par kya Nandini hi kahani ki heroine hai?? Idhar Rocky Kshetrapaal pariwaar ki taakat jaante huye bhi ek Jawalamukhi mein kood raha hai joki usse aage chalkar bahut mehenga pad sakta hai...
Shubhra ne kiya to prem vivaah tha par shayad usne apne liye galath saathi ko chun liya... Jo logon ki jaan ki koyi keemat nahi samajhta wo insaan hi nahi hai aur jo insaan hi nahi ho wo kya kisi se pyaar karega... Kherr, lagta to yahi hai ke Shubhra ke jeewan se jude bhi kuchh Raaz hain joki uski shaadishuda zindagi ke hi honge...
Ek sawaal tha Lekhak Saahab, Superintendent saahab ki biwi ne jail mein kisi ko Raakhi baandhi thi joki Vaidaihi ne bheji thi... Par wahaan shayad uss vyakti ka naam Pratap likha tha aapne... Wo koyi aur tha ya fir Vishwa hi tha... Meri ye shanka door kar dijiyega...
Bahut hi achhe dhang se aap kahani ko aage badha rahen hain... Kahani ki gati bhi bahut sahi hai... Naa to dheemi aur naa hi zyada tezz... Umeed hai ke aap aage bhi issi tarah behatreen updates dete rahenge aur ham paathakon ko iss VISHWAROOP ke darshan hote rahenge...
Outstanding Story Brother & Waiting For Next Update...