UPDATE 8–14 REVO...
Sabse pehle Vaidaihi ki hi baat karna banta hai... Uski kahani aadhi hi pata chali hai abhi to lekin dil bhaav vibhor ho gaya utna padhne ke baad... Kshetrapaal parivaar ke wo log logon ko jaan se maarte hain... Sabpar apna Raaj chalate hain aur saath hi kayi gair kanooni kaam bhi karte hain... Yahaan iss moment tak main un logon ko shayad insaan kehkar sambodhit kar sakta hoon...
Lekin kisi ladki ya mahila ki izaat ke saath iss hadh tak khilwaad... Darindagi ki saari hadhein paar kar dene waali ghatna huyi Vaidaihi ke saath... Maa ki Mamta kabhi apne bache ya bachi ko iss prakaar ki haalat mein pahuncha degi... Ye uss Maa ke liye kitna dard aur peeda pahunchane waali baat hai... Kherr, Kshetrapaal pariwaar buri se buri saza deserve karta hai... Sirf maut kaafi naa hogi... Maut to antim sazaa honi chahiye, uss se pehle dharti par nark ki yaatna milni chahiye un darindon ko...
Jiss pal Vaidaihi ne apna ateet batana band kiya uss waqt flashback mein wo Vishwa ko Vishu kehkar pukaarti hai... Shayad tab Vishwa ne Kshetrapaal pariwaar ke khilaaf jung shuru kar di hogi jiske falswaroop wo aaj jail mein kaid hai lekin jab pankh failaane ki mansha ho to koyi bhi kaid baandh nahi sakti... Vishwa ne ye saabit kar diya hai...Usse Bar Council ka Member ka pad mil gaya hai... Jail mein rehte huye iss jagah par pahunchna hi saabit karta hai ke jab wo baahar aayega to Tandav macha dega... Aur Khan ko kahi gayi uski baat ke wo ab Shikaari ban chuka hai kaafi kuchh batati hai...
Idhar Nandini ko impress karne ki koshish mein Rocky kaamyab ho gaya hai... Aur ab wo aur uske dost apne agle plan par kaam karne waale hain... Rocky ka anjaam sochkar hi mujhe hasi aa rahi hai... Ek baar bas Veer aur Vikram ko uske baare mein bhanak lage aur wo to giyo...
Idhar Pinaak par hamla ho raha hai lekin kiske dwaara iski koyi khabar nahi hai... Kaafi romaanch bhari paristithi ban rahi hai iss kaaran aur thriller genre ko poori tarah justify bhi kar rahi hai story ...
Veer ka Anu ke liye jhukaav kahin naa kahin mujhe aesa lag raha hai ke shayad wo uss se sacha pyaar karne lage... Shayad... Waise uss jaise logon ke dil mein hawas hi bhari hoti hai par situations aesi bani hain ke mujhe lag raha hai ke ye aage chalkar pyaar bankar saamne aa sakta hai...
Overall sabhi updates behadh hi shaandar the... Jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hai... Jiss tarah Odisha ki jaghon ka varnan kiya hai aapne wo kaabil e taarif hai... Emotions, Eroticism, Revenge, Cruelty, Thrill aur shayad aage chalkar True Love bhi... Sab kuchh to hai iss kahani mein... Hats off Brother for writing such a masterpiece...
Outstanding Updates Brother & Waiting For Next...