Rbcl.007
Active Member
- 591
- 1,425
- 123
Bohat bohat shukriya MEHAR jiBohat hi emotional story thi
I have no words to explain this story
Bohat bohat shukriya MEHAR jiBohat hi emotional story thi
I have no words to explain this story
Really a nice story lekin jaise sab kehte hai Adultery itni achi nahi lagti wo he main kahu ga lekin achi story thi word mistake bhi kam thi wo police wala scene bohat acha laga I give you 10/7 ratingBhikmanga pagal
bro alfaz khatam ho jate hai aisi story parh ker bus ek cheez kaho ga Awesome storyTITLE : ISHQ WALA LOVELANGUAGE: HINGLISH
Date 25/12/2017
Shaam 5 baje
Neher pe bane hue pul pe woh khadi gehri soch main doobi hui uchalte hue paani ko tiktiki laga dekh rahi thi. Uske daayen aur chota khaali box parha tha. Aisa lagta tha jaise uski aankhen kisi ko dhoondh rahi ho. Shayad kuch bahut keemti kho gaya tha uska. Ankhon main lagataar tapakte aansu is baat ko phukta kar rahe the.
Wo neher aur uske aas paas ka area sheher se thora hat ke hone ke kaaran hamesha sunsaan rehta tha. Koi kabhi kabaar hi udhar se guzarta tha jisne kacche raaste se short cut jana ho. Par pata nahin wo konsa raasta dhoondh rahi thi.
Pehrawa dekh andaza hota tha ki woh kisi acche ghar se thi. Bikhri zulfen, black color ka punjabi suit, black heels, neeli ankhen aur unme main daala hua kajal. Yeh sabh to uski khoobsoorti ki shoti si misaal thi. Us khoobsoorti ko lafzon main kaid karne ka dawa karna bahut badi ghustakhi thi.
Asmaan se utri hoor keh sakte the usko. Par shayad aj us hoor ka noor kahin neher ke kinaare kho gaya tha. Upar-niche ho rahi paani ki lehren ko dekhti hui jane kyun woh school time ki yaadon main kho gayi.....
Kya din the woh. Jab pehli baar meri aur uski nazar takrayi thi. Pyaar shabad ka matlab bhi pehli baar usne samjaya tha. Shayad bhagwaan ne hume ekdoosre ke liye banaya tha. Same age, Same sheher, Same school, Same class aur Same Ishq Wala Love . Hamara pyaar poora filmy tha. Jaise film ke hero-heroine pehli baar ekdoosre ko dekhte aur bas dekhte hi reh jaate. It was like that only. It was " Love at first sight". Dono ne pehli baar ghar ki shat pe ekdoosre ko dekha tha. Main geele kapre sukhane aayi, wo patang urra raha tha. Hamari aankhon ka aisa milaap hua jaise saat janmo ki bichri hui jodi mili ho. Mujhe aisa laga wo patang ki door nahin meri rooh ki door pakre hue hain. Us din ke baad ghar ki shat se hum dono ki dosti ho gayi. Kya din- Kya raat...Bas ekdoosre ki aisi aadat parh gayi jo saari zindagi nahin shootne wali thi.
Mulaqaton ka aisa silsila chala, Woh hawa ban gaya aur main chiriya ban urti gayi..urti gayi. Bahut baar mulaqat hoti jab cricket ball mere ghar girti. Ya aisa kahun ki fenki jaati. Mere se ball ke baare main poochne par bhi uski zubaan kaampne lagti. Par kehte hain naa...Ishq main jo zubaan se nahin keh hota, Wo ankhen keh diti hain. Ekdoosre ki ankhon main hume apni zindagi nazar aane lagi thi.
School main mere liye uska chocolates lekar aana, Badle main mera uska homework aur assignments banana. Boys se mere liye larna, mera uski aur dekh rahi girls se jealousy karna. Assembly main khari hui ko hamesha dekhte rehna. Cycle pe jaate hue mera peesha karna. Aur bhi pata nahin kitna kujh. Ishq bhi kitna haseen baccha hota hain, choti-choti baatein badi-badi khushian deti hain.
First kiss bhi hamari badi anokhi thi. Main principal ke room main books rakhne aayi thi jahan woh hands up karke khada tha. Shararat ki saza jo mili thi usko. Pata nahin pyaar ka asar tha jo himmat karke maine uske honthon pe honth rakh diye. Kiss karni toh aati nahin thi, par uske honthon ke sparsh ne poore shareer main goosebumps bhar diye the.
Kahin bhi mujhe akeli ko dekh woh mere paas baith jaata tha. Hamesha fikar rehti thi usko. Tabh Facebook, Orkut, Whatsapp toh door ki baat hain, mobile phones hona bhi ameer ki nishaani maane jaate they. Aisa kuch bhi nahin tha humare paas. Par in sabke bina bhi hamara pyaar 4G ki speed jaise tezi se badta gaya.
Khair yaadein ton yaadein hi hain.
Ek toofani leher ki zordaar aawaz ne usko sapno se bahar nikala. Aaj bhi woh akeli baithi thi. Par paas usko kahin bhi wo baitha nazar nahin aaya. Pata nahin konsi khata ki saza de raha tha. Shayad koi galti hui thi, agar hui hain to maafi maangne ke liye tayaar hai woh....par......
Badal garajne ki aawaz aayi. Bhagwaan baarish ke saath yaadon ko bhighona chahta hain. December ke mahine main baarish kabhi-kabhi hi hoti hain. Khair bhagwaan ki marzi bhagwaan hi jaane. Usko bahut darr lagta tha bijli se. Par aaj woh tass se mass nahi hui. Badal aur bijli ki karakti aawaz phir usko puraani yaadon main le gayi.
Kya din the woh. Baarish wale mausam main college se bunk maarna, canteen main jaakar samose khaane, Bahar movie dekhne jana. Cinema hall ke andhere main ek doosre ki baahon ki roshni main lipte rehna. Movie ki story yaad nahin rehti thi, par kitni kiss karin hain woh pakka yaad rehta tha.
Haha. Are woh din toh bhool gayi jab pehli baar humne pyaar ka jhoola jhoola tha. Haath-Pair darr ke maare kaamp rahe the dono ke. Pehli baar jabh koi aapko bina kapron ke dekhe toh aisa hi lagega naa. Us din baarish ke paani se bheege hue dono Ishq ki aag main jal gaye the. Us din tan-man se ekdoosre ke ho gaye the. Pyaar ka meetha dard maine himmat karke sehen kar liya. Karti bhi kyun nahin, Jawani ki jism ki aag shaant jo karni thi. Charti jawani ke saroor saamne woh dard feeka bahut feeka lag raha tha.
Par woh behek ke kiya gaya sex nahin tha. Jismon ki bhookh mitane se upar do roohon ka milan tha. Us din ke baad do jism pooran taur se ek ho gaye.
Zindagi ka vo haseen pal
Teri baahon mai tham gya tha
Alfazon mai beyan na ho ske
Aisa ishq junoon bn gya tha
Par kehte hain yeh sabh kitaabi baatein hain. Asal main sacche pyaar ko koi nahin samajta. MBA ki degree bhi poori ho gayi, Abh pyaar poora karne ki tayaari reh gayi thi. Par bhagwaan ko shayad kuch aur manzoor tha.
Main kayi din use nahin mili. Main ghar main kaid kar di gayi thi. Mujhe pata tha ki usko bhi meri fikar jaroor hui hogi . Wo shat par bhi aaya hoga. Aam taur pe main raat main jaagti hoti thi. Mujhe yakeen tha ki woh ekdin kisi tarah mujhe jaroor milne aayega. Phir achanak ek din woh choro ke jaise shupta hua mere ghar daakhil ho gaya. Woh cricket ball lene ke liye bahut baar ghar aaya tha, isliye usko mera room maloom tha. Mere room ke door ka lock aisa tha jo bahar se button dabane par khul jata tha. Yeh usko pata tha. Usne lock khol diya . Mujhe abh woh saamne nazar aa raha tha, woh bhi kitne dino baad. Main hairaan thi ki usme itni himmat kaisi aa gayi thi. Par aisa lag raha tha jaise kitne varsho baad mere sookhe aangan ko barsaat naseeb hui ho.. Main uske paas gayi aur seene se lipat gayi. Rooh ke andar dabe hue jazbaat jawalamukhi ki tarah fatt kar bahar aa gaye.
" Papa ko sabh pata chal geya" Main ek saans main boli. " Bhaiya ne hume park main milte dekh liya tha. Ghar sabko bata diya".
" Tumne samjaya nahin unko" Wo kehne laga. " Bataya nahin kitna pyaar karte hain hum ekdoosre ko"
" Bataya....maine bahut manane ki koshish ki, par unhone kaha ki dobara tumse naa milun. Aur wo meri shaadi jaldi kahin aur karva rahen hain" . Main roti hui uske gale lag sabh bata rahi thi.
" Maine bhi apne gharwalon se baat ki thi, Woh bhi maan nahin rahe hain.." Usne kaha. " Mujhe laga tha shayad tumahre parents agar maan gaye toh woh baat kar lenge. Par idhar toh..."
" Maine bhi jitna ho saka kiya, Bahut manaya yaar bahut, Unki maar bhi khaayi. Lagta hai hamara pyaar adhoora reh jayega". Mera khud pe kaabu na raha. Main uski shaati se lipat kar rone lagi.
" Adhoora nahin rehne deta main. Mere hote hue koi door nahin kar sakta hume" Usne meri aankhon ke aansu poonchte hue kaha. " Mai tera hun aur tera hi rahuga."
"Zindagi swarg hai to apsara hai ishq
Rooh samandar ha to paani hai ishq
Sama berukh ha to dariya-dil hai ishq
Zamana tanashah ha to bagawat hai ishq"
" peeen... Peeeeeeeennnnn" Zordaar horn ki aawaz ne uske sapno ko phir toda.
Side pe khari uski car ka horn baja tha.
" Kya hua rahul?" Usne pyaar se poocha.
" Driver seat pe niche coke ki bottle gir gayi thi. Usko uthate hue horn back se touch ho gaya. " Rahul ne kaha.
" Its ok baby. Carry on..Enjoy the food..." Maine smile ki. " Are neeche chaddar jaroor beesha lena, Keere-makore se bach ke..."
Rahul ko dekh hamesha woh sama yaad aa jata hai jab maine marriage karwa li thi. Gharwalon ki pasand se nahin, balki apni pasand se. Marriage karwane ke baad hum punjab se kahin door uske mama ji ke ghar jaake rehne lage. Socha tha jabh tak job nahin milti , Tabh tak wahan rehke guzara kar lenge.
" Kya humne theek kiya?" Suhagraat pe maine usko poocha tha.
Na koi naach gaana, na baraati, na khushion ki shehnaia, Na card pe golden ink main likha hua " Rahul Weds Ishika", na maa-bap ka hasta chehra, thi to bas sunsaan khamoshi . Mundap ki jagah court kacheri ne li thi aur pandit ka kaam government ke offficer ne kiya tha.
" pata nhi. Par jeete ji main tumhe kisi aur ke saath nahin dekh sakta" Usne meri dono cheeks haath se pakar li. " Tum meri ho, meri hi rhogi".
Haan usne sach hi kaha tha. Main uski hoon , aur uski hi rahungi.
Main aaj bhi uski hoon aur hamesha rahungi. Yeh baat ka mujhe hamesha garv rahega. Par jis baat ka afsoos hai. Woh...toh....!!
" mom..." Aaayo chalen nahin toh raat ho jayegi, Aur baarish shuru hone waali hai. " Rahul ne use soch se nikala. Usne baaju pe bandhi hui watch ko dekha. 6 baj rahe the.
" Har saal aaniversary pe yahan aate ho. Main akela baitha bore hota rehta hun. Udhar aap paani main fishes ko khana khilate rehte ho. Yeh fishes kya kuch special hain? " Rahul ne car ki aur jaate hue saawal kiya. Usne paas parha khaali box uthaya aur uske saath-saath chal parhi."
" Bahut special hain. Khushi milti hain, Jo bahut saal pehle kahin kho gayi thi" Usne kaha. Dono car main baithe. Rahul ko is baat ki gehrayi samaj nahin aayi par ek din aage jaaakar shayad samaj jayega.
Car start hone ki aawaz aayi. Bridge se utarke car sadak pe aa gayi aur dheere dheere ankhon se ohjal ho gayi. Shayad woh apne dil main dafan raaz ko abhi kholna nahin chahti thi.
Date 25/12/1999
Shaam 6 baje
Woh aur rahul vivah ke ek saal baad apni aniversary pe picnic manane ja rahe they. Hansi majaak karte hue dono ki jodi bhavren aur fool jaise lag rahi thi. Jaldi pahunchne ke liye unhone shortcut le liya. Neher ke bridge ke paas pahunche toh sadak ke beecho beech ek car khadi thi jis kaaran raasta block ho gaya tha.
Rahul ne zor se brake pe paanv rakha. Badi mushkil se car ruki. Saamne teen aadmi nazar aaye. Do ke haathon main kisi kisam ka hathyaar tha. Ek khaali haath khara tha.
" Please back kro..jaldi" Woh cheekhi. Woh pehchaan gayi thi apne bhaiya aur papa ko.
" Yeh kaise aaye yahan?" Rahul ko kuch samaj nahi aaya. " Inhe kaise pata chala?"
Rahul ne car back karne ki koshish toh ki par woh kaafi nazdeek pahunch gaye the. Jis karan kacche raaste pe car daalni parhi. Pata ni bhawaan ko kya manzoor tha ki car achanak ruk gai. Shayad jaldi main rahul se clutch shoot gyaa. Aisa laga jaise zindagi bhi shoot gayi.
" bahar nikal saale" haath main talvaar pakde uska bada bhai car ka sheesha torta hua bola. " behenchod bahar aa". Sab kuch itna jaldi hua ki rahul ko kuch bhi samaj nahin aaya.
" Chor do bhaiya, please chor do..." Kaampte shareer main woh bahut girgirayi. Par tabh tak uska bhai khidki se rahul ko bahar nikal uske pet main laate-ghoonse maar raha tha.
" Shorna mat sale ko, bada inquilabi banta hai, hamare dharam ko brasht kiya" kehke uske papa ne rahul ke sar main danda de maara. Chot itni zor ki lagi ki rahul zameen pe mooh ke bal gir para. " Saale poore ek saal se dhoondh rahe they tujhe. Sala delhi main shup kar baitha tha. Tere mama pe talvaar rakhi toh tote ki tarah sabh bak diya kutte ne.."
" Haye mat karo, Please somebody help us...Please......somebody......please...for gods sake....." Woh car ki khidki kholte hue rahul ki taraf bhaagi. Uske shote bhai ne kalayion se pakar usko rok liya. " Bhaiya mat karo...papa ruk jao....please....rahul ko chor do please....main haath jorti hun.....no....please..."
Rahul ko sambhlne ka mauka bhi nahin diya gaya. Uska bhai aur baap andha-dhundh uspe vaar karte gaye. Baap ne danda maar-maar rahul ka sar khol diya. Bhai ne talvaar maar-maar peeth ki haddi chaknachoor kar di. Har taraf khoon hi khoon fail gaya. Uska baap aur bhai jaanwar ban gaye the.
" Ahh....meri amanat ka khayaal rakhna..." Yeh words rahul ke mooh se nikle aakhiri words the. Iske baad woh sada ke liye khamoosh ho gaya. Woh samaj gayi ki uski duniya tabah ho gayi hai. " Kya kar diya tha humne? Kya kasoor tha hamara? Kya Pyaar karna gunah hai? Kya Doosre dharam main shaadi karna gunah hai? Kya iski saza maut hain?" Woh rahul ki laash dekh baukhla uthi.
Uske bhai aur baap ne rahul ko uthaya aur bridge ke neeche neher main fenk diya. Paani main laash girne ki zordaar aawaz aayi. Rahul ka be-jaan jism neher ke paani main kahin kho gaya.
" iska kya karen? " shote bhai ne poocha.
" kaat do isko bhi.. haramzaadi.... hamari izzzat mitti main mila di" baap chillaya.
" Doosre dharam main vivah karwane walon ka yehi haal hona chahiye. " Kehke uska bhai talvaar hawa main lehrata hua uski aur barha " Ghar se jabh bhaagi thi tabhi mar gayi tu her thaamare liye."
Woh maut ko saamne dekh sakti thi. Lakin usko rahul ka khoon se lathpath chehra yaad aa raha tha. Woh apni jagah se hili bhi nahin. Bhai ke paas aate usne ankhen band kar di.
"Thishhhhhhh" Zordaar goli ki aawaz sunai di. Uska bhai wahin ruk gaya.
"Hands up. sabh apni-apni jagah pe khare raho. nahi tan goli maar dunga" Ek police wala revolver pakar bhaag ke aaya. Uske peeche teen policewale aur the. Peeche unki jeep sadak pe khari nazar aa rahi thi. Sabh ke haathon main revolver tha. Shayad unhone sabh kuch dekh liya tha . Uske bhai aur baap ko giraftaar kar liya gaya. Kismat thi ya saccha pyaar, Woh aur uski kookh main pal rahi amanat bach gayi thi.
Baad main pata chala ki police us area main patroling ke liye nikli thi. Yeh kismat ka sanjog hi tha ki unhone shortcut liya aur sadak ke beech car khadi hone ki wajah se jeep rokni parhi aur sabh kuch dekh liya aur usko bacha liya. Agar police ki jagah koi aur hota toh shayad is chakkar main naa parta.
Rahul ki laash kabhi bhi nahin mili. Shayad tez paani ka bhav rahul ko hamesha ke liye door le gaya. Peeche reh gayi toh unki amanat. Usne amanat ka naam " Rahul " hi rakha. Woh sabse door chali gayi. Kabhi bhi apno ya rahul ke gharwalon se nahin mili. Doosra vivah bhi usne nahin karwaya kyunki uska kehna tha woh uski hai aur uski hi rahegi.
"Samajti nahi hai ye bekhabar dunia
Ishq Jaat-paat aur dharam ki deewaren nahi dekhta
Kurbaan ho jayega, Mar mit kaega is jahan se
Ishq kbhi rasmo-rivaazon ke aage maatha nahi tekta."
18 saal beet chuke hain. Har saal is din woh apne 18 saal ke bete rahul ke saath yahan kuch sama guzaarti hai aur mashliyon ko khana khilati hai is umeed main ki....
Kaash koi paani main se aawaz lagaye..." Tum meri ho, aur meri hi rahogi.."
________________________________________THE END_____________________________
Thnkyou for rating and readingReally a nice story lekin jaise sab kehte hai Adultery itni achi nahi lagti wo he main kahu ga lekin achi story thi word mistake bhi kam thi wo police wala scene bohat acha laga I give you 10/7 rating
mere dimag ka to dahi ho gaya yar par story badhiya thiREALITY?
Language - HinglishMera naam Ridhi Singh...aaj me aap logo ko jo mere saat bit rha hai sabkuch shuru se btati hu...me baiscally Chandigarh se belong karti hu...aur abhi Mumbai me job karti thi...
Chaliye aap logo ko shuru se sab btati hu...
EXT. CHHATRAPATI SHIVAJI TERMINUS - JUNE 2019
Meri train station par ruki...brake ke jhatke se meri aankh khul gyi...side wali seat ki ek aunty se pucha to mumbai aa gya tha...mene jhat-pat apna saman sameta aur train se utr gyi...platform par hazaro ki sankhya me log the...sab ek dusre ke uper chade ja rhe the...me bhi un logo ki bheed ko cheerti hui bhar exit ki aur badh gyi...exit ki aur jane wale ek bridge se jaise me jugar rhi thi ki meri ek ladke se takar ho gyi aur mera handbag gir gya us ladke ne use jhukkar utha diya
LADKA:
Sorry...kya aap theek hai
Mene us ladke ki aur dekha jo mera handbag hath me liye mera haal-chaal puch rha tha...wo ek lamba tagda ladka tha jiski ankhe halki neeli thi aur unme ek ajeeb sa akarshan tha...jaise wo mujhe apni aur keech rhi ho...mene bhi uski aur muskura diya...
ME:
Yea I am fine...thank you
Us ladke ne muskurate hue mere handbag mujhe wapas kiya aur aage badh gya...me bhi handbag lekar aage chal di...me ye smajne ki koshis karne lgi ki akhir kyu me uski ankho ki traf itna attract ho gyi thi...par kuch smaj na aaya...
mene waise hi peeche mud kar ek bar aur us ladke ko dekhna chaha to wo ladka wha mojood nhi tha... mujhe ye baat at-pti si lgi kyoki me sirf 5-7 kadam hi aage badhi thi aur itni jaldi wo ladka khi ja bhi nhi sakta tha kyuki us bridge par kafi dur tak koi exit point nhi tha... par fir mene uspar jada dhyan nhi diya aur socha shayad wo ladka teji se aage badh gya ho aur waise bhi bridge par kafi bheed thi... bherhal me jaise-taise station se bhar aa gyi...
Mene apna phone nikala aur whatsapp par aaya hua ek location dekha jo meri company ne mujhe bheja tha... wo mere apartment ka address tha...mene us location ke liye ek UBER book ki... thodi der baad me uber cab me bethi aur apne naye ghar ki aur chal di...cab ki khidki se me mumbai ka nzara le rhi thi...uchi-uchi buildings...tez raftar zindagi... thodi der bad meri aankh lag gyi... aur cab ke driver ki awaz se khuli...
CAB DRIVER:
Mam apki destination aa gyi hai...
Mene apni aankhe kholkar uski aur dekha to wo apni bati si dekhakar muskura rha tha...
ME:
Oh...acha kitne paise hue
CAB DRIVER:
Mam 178...
Mene apne handbag se use 200 ka note diya...aur usne difference mujhe wapas kiya...paise dete hue wo bola...
CAB DRIVER:
Shukriya mam...waise aap mumbai me nyi lagti hai...
ME:
Ha me aaj hi yha aai hu...
CAB DRIVER:
Acha agr kabhi cab ki jarurat ho to mujhe yaad jarur kijiye ga...ye he mera number...
Pehle to mene socha wo kuch jaza friendly ho rha hai...to mene use ignore karne ki sochi...par fir kuch soch kar uska number le liya... aur me cab se utarkar ek society ke main gate ke samne khadi ho gyi...gate se ander jate hue mujhe ek guard ne rok liya...
GUARD:
Ha ji kise milna hai?
ME:
Asal me me yha new hu aur mujhe meri company ne ye address diya tha mere rented apartment ka...
Mene use wo address dikhaya...us guard ne address dhyan se dekha...
GUARD:
Oh to aap apartment no. 35 me rehne aai hai...
Mujhe koi idea nhi tha konsa apartment no.hai to mene bhi bas "ha" khe diya aur us guard ne mujhe ander aane diya aur saat hi ek key bhi de di jo ki shayad apartment ki thi... society ke compound ko par karte hue jab me lift ki aur badh rhi thi...to thodi duri par ek bacha muh me lolipop diya jhula jhul rha tha...mene uski aur jada dhyan na diya aur lift ki aur badh gyi... guard se pta chala mere apartment 5th floor par tha... mene lift ke ander aai aur 5th floor ka button push kiya... lift ne uper jana shuru kiya me uske button jo har floor par blink kar rhe the dekh rhi...1st...2nd... 3rd...aur achanak meri aankh lag gyi aur tab khuli jab lift 5th floor par ruk kar darwaze khul gaye...me hadbadat me use bahar nikli...aur soche lgi aaj mujhe kuch jada neend aa rhi hai...shayad safar ki thakan ho...
Me lift se aage badhkar left mudi to samne hi mera apartment tha...mene jakar doorbell bajai to ek ladki ne door khola...
LADKI:
Yes?
ME:
Hi I am Ridhi Singh my company has...
Me aage kuch bolti use pehli hi wo ladki bol pdi...
LADKI:
Oh hi Ridhi...I know...I know mujhe tumhare aane ka phele hi malum tha...please come inside
Me bhi muskurati hui ander aa gyi...aur wo ladki kitchen me pani lene chali gyi...mene pani lete hue use bola...
ME:
Are iski kya jarurat thi tumne kha-ma-kha pareshani ki.
LADKI:
Are isme pareshani ki kya baat hai...hum dono ko yha saat hi to rehna hai to just chilax...
Uski baat sunkar me muskura di...
ME:
Ok...waise tumne apna naam nhi bataya...
LADKI:
Mera naam Sneha hai aur me mumbai me ek ad agency ke liye kaam karti hu...
Is trah mere aur Sneha me bat-chit hoti rhi...mujhe aese lga hi nhi me Sneha se pehli bar mil rhi hu... tabhi Sneha nhane ka bolkar ander apne room me chali gyi... aur darwaje ki ghanti baji... mene uthkar gate khola to samne ek 45-50 saal ki aurat khadi thi...aur usne aate hi mujhe mere naam se pukara...
AURAT:
Oh Ridhi tum aa gai chalo acha hai... mujhe lga hi tha mujhe der ho jayegi... isliye mene guard ko chabi pehle hi de di thi...waise safar me koi pareshani to nhi hui?
ME:
Ji nhi safar acha rha...waise mene apko pehchana nhi?
AURAT:
Oh maaf karna mene apna introduction to tumhe diya hi nhi...mera naam Sharmila Lokhande hai...me tumhari land owner hu... aur mujhe tumhari company walo ne tumhare aane ki jankari pehle hi de di thi...
ME:
Oh ok.. ap bethiye na...
SHARMILA AUNTY:
Nahi abhi me chalti hu...tum aaram karo...agr kuch chahiye ho to kitchen me guard ka number hai wo la dega...
Aur fir Sharmila aunty wapas chali...aur me sofe par beth gyi... aur dhere-dhere meri ankhe band hoti chali gyi aur me neend ki gheraiyo me kho gyi...
meri neend kisi ke hilane se khuli wo Sneha thi...
SNEHA:
Are madam yha kyu so gyi...chalo pehle kuch kha ke aate hai fir apne room me aaram se sona...
Me beman se muskurati hui uthi aur hat-muh dhokar Sneha ke saat bhar khane aa gyi...usne mujhe aas-pados ki sari cheeze batai...jaise market, restaurant etc... khana kha ke hum dono raat ke karib 10 bje wapas aa gye...aur aate hi me apne room me aai...aur apne kapde change karkar...chit so gyi...
EXT. OUTSIDE SOCIETY GATE - MORNING
Me office ke liye let ho gyi thi...kyuki neend der se khuli...mene socha "wah Ridhi pehle hi din let ponche gi tu Shabash"... aur upr se dikat ye thi wha uber app koi cab bhi show nhi kar rha tha...tabhi mujhe kal wale cab driver ki yaad aai...me use call to nhi karna chati thi... par deri ke karan karni pdi... wo cab driver 2 minute ke ander hi wha ponch gya aur me cab me bethkar apne office ki aur chalne lgi...
INT. OFFICE - MORNING
Me office ke gate ke ander aati hui...seedha reception table par ponchi...wha ek ladki bethi thi...
ME:
Hi I am Ridhi Singh...I am new here...and here's my appointmnet letter...
Mene uski aur letter bdha diya...usne ek nazar letter par dali...aur apni nazre meri aur karti hue muskurati hui boli...
RECEPTION GIRL:
Please go to chamber 2 you will find there Mrs. Ankita she will guide you further.
Mene bhi smile ke saat uske response ko accept kiya...aur chal di chamber 2 ki aur...wha jakar mene knock kiya...to ander se lady ki awaz aai...
LADY:
Come in
Me door kholkar andar aa gyi...wha saree me ek lady bethi thi
ME:
Good morning Mam...I am Ridhi Singh...new appointment
Us lady ne apni nazar meri aur uthai...aur apni watch me time dekhne lgi
LADY:
Hi Ridhi I am Ankita your project head...you are quite late...please have a seat
Me bhi unke samne beth gyi...Mrs.Ankita ne mujhe project ke baare me thoda guide kiya aur mujhe apne cabin dikhakar wapas apne chamber me chali gyi...me apne naye cabin me bethkar kafi khush thi kyuki is company ke liye kaam karna hamesha se mera dream tha jo aaj finally pura ho gya tha...
Me Mrs.Ankita ke btaye hue guidilines ke anurup kam me lag gyi...kafi der kaam karne ke bad me ek problem me fas gyi jo mujse solve bhi ho rhi thi...ki tabhi mere peeche se ek ladke ki awaz aai...
LADKA:
Can I help you with this miss?
Mene peeche mud kar dekha to wo wohi ladka tha jo train station par mujse takraya tha... uski ankhe aaj bhi waise hi neeli thi jinki aur me fir se attract ho rhi thi...
ME:
Actually yes...I am not able to solve this issue
Wo ladka muskurate hue mere paas aaya aur jhukkar computer me kaam karne lga...me tirchi ankho se use dekh rhi thi... thodi der baad usne wo issue solve kar diya...
LADKA:
Lijiye miss apki problem solve ho gyi...
ME:
Oh thank you so much...waise mera naam miss nhi Ridhi Singh hai...aur mene aaj yha new join kiya hai...waise ham pehle mil chuke hai train station par agr aapko yaad ho to.
Aur ye kehte hue mene apna haat handshake ke liye aage badha diya...us ladke ne bhi haat badha kar handshake kiya aur bola...
LADKA:
Hi Ridhi...My name is Karan Rathore nice to meet you...mujhe umeed hai apko wha acha lag rha hoga...
Hum dono me thodi der aesi hi batchit hoti rhi...aur usne mujhe lunch par invite kiya jo mene bhi khusi-khusi accept kar liya...
Lunch par Karan aur me company ke paas hi ek mobile food joint par gaye... aur lunch enjoy karte idhar-udhar ki bate karne lge...mujhe Karan bhot pasand aaya...uski bate na jane kyu sune ka dil karta tha... shaam ko jab me ghar aai to Sneha wha pehle se mojood thi...
SNEHA:
Aai gai madam...kaise rha pehla din
ME:
Mast
Aur mene use sare din aur kaskar karan ke bare me bta diya... jise sunkar wo kafi excited ho gyi aur bhot se swal karne lgi...jese mene bhi haskar unka jwab diya....
Aese hi time bitta gaya aur mumbai me aaye hue mujhe pura 1.5 mahine ho gya tha...Sneha meri best friend ban gyi thi... aur Karan se bhi ek acha relation ban gya tha... kabhi-kabhi Sharmila aunty bhi milne aa jaya karti thi... aur us uber cab wale driver ko mene permanent hire kar liya tha pickup-drop ke liye... kyuki shakal bhale hi kharab thi par banda dil ka acha tha...aur whi Mrs. Ankita bhi project me mera pura support karti thi aur me bhi khub mehnet karti thi... aur isi wjah se company me meri thodi respect bhi badh gyi thi... kulmilakar sab mast chal rha tha...
Ek din ki baat hai me lunch time me karan ke saat usi mobile joint par lunch kar rhi thi... ki ek haat mere kandhe par pada... mene peeche mud kar dekha to wha ek aurat khadi thi jo ki us food joint ke malik ki biwi thi jo uske saat hi wha kaam krati thi...mene uski taf muh karke pucha...
ME:
Ji?
AURAT:
Madam ji me pehle din se dekh rhi hu aap yha akele khade hue kisi se bate karti hai...akhir aap kisi baate karti hai?
Uske swal mujhe at-pta sa lga...jise me thodi frustate ho gyi...
ME:
(frustration me)
Kise mtlb? Dikhai nhi deta mere saat jo ye ladka khada hai...
Usne meri aur ankhe fad kar dekha...
AURAT:
(chokte hue)
Kon madam?
ME:
Are ye
Aur me peeche mudi wha koi nhi tha...sirf tabel par meri plate rakhi thi...meri kamar se lekar gardan tak ke rongte khade ho gye... mujhe kuch smaj nhi aa rha tha ki Karan kha gayab ho gya...mene gardan ghumakar charo aur dekha par wha dur tak bhi Karan mujhe dikhai nhi diya... mene peeche mudkar us aurat ki aur dekha...jo vismit bhav se mujhe hi dekh rhi thi...mene use kuch na bola aur bhagti hui office me aa gai...me dodte hue Karan ki desk par gyi... par wha sirf kude ka ek dher tha...mera dimag ekdum chakra gya...kuch smaj na aa rha tha...me bhagti hui us desk ke side me jo ladki bethti thi uske pas ponchi...
ME:
Excuse me Simran...kya tumne karan ko dekha hai...mujhe use milna hai
Simran ne meri aur dekha...
SIMRAN:
Karan?...par Karan naam ka to koi bhi ladka hamare saat kaam nhi karta...
Simran ki baat se mera dimag chakra gya...meri smaj me ye nhi aa rha tha agr Karan naam ka ladka yha kaam nhi karta to me pechle 1.5 mahine se kise baate kar rhi thi... me dhadam se paas ki kursi par gir padi... Simran dodte hue mere paas aai...
SIMRAN:
Ridhi? Are you allright?
Me bilkul theek nhi thi mene bas gardan hilai aur halfday leave lekar cab se wapas ghar aa gai...ghar me Sneha ne meri aesi halat dekhi to wo bhi tension me aa gai... usne mujhe wajah puchi to me ne use sab kuch bta diya jo mere saat hua aaj...jise sunkar wo bhi achraz me thi...
SNEHA:
Par..par aesa kaise ho sakta hai
ME:
Wohi to meri smaj me nhi aa rha...
Hum dono aese hi bhot der tak chup-chap bethe rhe koi kuch nhi bol rha tha...ki tabhi Sneha bol pdi...
SNEHA:
Yar kahi tujhe alzimer to nhi... mere dadaji ko bhi hua tha...wo bhi cheezo ko bhul jate the...
ME:
Par me kuch bhuli thode hi hu...
SNEHA:
Ha wo bhi hai...
Aur Sneha chup ho gyi...wo bechari bhi kya karti uske paas bhi mere is swaal ka koi jwab nhi tha... kher jaise tese wo din beet gya...aur next day mene chuti le li kyuki meri himat nhi pad rhi thi office jane ki... agla din bhi theek se beet gya...aur agle 2 din weekend ki chuti thi...
to mene aur Sneha ne saturday night ko multiplex me ek movie dekhi... ab tak me bhi Karan wale hadse ko ek bura sapna sochkar bhulne lgi thi... movie dekhkar aur Sneha se bate karkar me bilkul fresh ho gyi thi...
Sunday afternoon ko me lounge me bethi TV dekh rhi thi aur Sneha room me so rhi thi ki mujhe kuch saman lana yaad aaya aur me paas wale market chali gyi... jab compound se me wapas aa rhi thi...mujhe wohi chota bacha lolipop chuste hue jhula jhulte hue dekha...wo meri hi aur dekh rha tha... mujhe wo bhot pyara lga...to mene use baat karni chahi... me uske paas chali gyi...
ME:
Hello...kaise ho aap
BACHA:
Me theek hu didi...
ME:
Apka naam kya hai?
BACHA:
Mera naam Rahul hai...
ME:
Are wah ye to bhot pyara naam hai...
Aur aese hi me us bache Rahul se kafi der baat karti rhi...usne bhi mujhe kafi saari baat batai...thodi der bad me use bye karke wapas lift ki aur chal di...ki tabhi wo guard ne mujhe rok liya...
GUARD:
Madam aap wha kise baat kar rhi thi?
Guard ke swal ne mujhe ek baar aur choka diya aur mere ander ek anjane beh ne pav pasar liye... mene apni garden halke-halke peeche ghumai par ankhe band rakhi...kyuki me us sachai ko dekhna nhi cha rhi thi... par fir majboot dil karke mene ankhe kholi...aur mera dil dhak se beth gya... kyuki wha jhule par koi nhi tha... mere mathe se pasine ki boond tapak pdi...dil ki dhadkan bhot tez ho gyi thi...me bhagti hui apne apartment ki aur dodi... aur ponch kar dham se darwaja band kar liya... mere charo tarf ek ajeeb sa sannata fela hua tha...ki "dhaam" "dhaam" darwaza peetne ki awaz aai... me bhot zada dar gyi thi ki darwaze ke bhar se Sneha ki awaz aai...
SNEHA:
Ridhi kya hua darwaza khol
Sneha ki awaz sunte hi mene jhat se darwaza khol diya...kas ke uske gle lagkar rone lgi...
SNEHA:
Kya hua Ridhi bta to
Aur mene Sneha ko saari baat btai...mere bate se wo bhi chintit ho gyi thi...
SNEHA:
Yaar Ridhi bura mat mana par shayad tujhe ek docter ki counseling ki zarurat hai
Mene ankhe uthakar uski aur dekha...
SNEHA:
Yaar mujhe 100% yakin hai tu ek dum normal hai...par ek bar docter se mil lene me koi harz to nai...
Mujhe bhi Sneha ki baat theek lgi to mene ek famous doctor ka 1 week baad ka appointment le liya...Monday morning mere office jane ka bilkul man nhi tha... par fir bhi me bujhe man ke saat gyi...wo pura hafta meri productivity bilkul zero rhi...
jha me ek smay 2 din ka kaam bhi adhe din me khatam kar deti thi... wahi ab 1 din ka kaam bhi 1 hafte me nhi kar payi...mere is behaviour ko Mrs. Ankita ne bhi notice kiya...unhone mujhe pucha bhi iska karan par me unhe kuch na bol payi... yehi nhi es week me meri sehat bhi kharab rehne lgi...me ekdum isolated si ho gyi na kisi se baat karna na kisi ki aur dekhna... agr koi mujse baat karne aata tha to me unhe chu kar dekti paglo ke jaise...mano check kar rhi hi ye asli hai ke nahi...
Agle hafte Monday ko afternoon me mere appointment tha docter ke saat...subha jor se barish ho rhi thi...me apne jism ko ghasitti hui cab ke ander dala... kyuki office jane ka bilkul man nhi tha... jab cab office gate par ponchi to me usme se utar gyi aur gate ki aur badhne lgi... ki peeche bhot jor se break lagne ki awaz aai...mene mudkar dekha to wha ek Fortunar car ne brake lgaye the... par ye kya me jis cab se aai thi wo to wha thi hi nhi... mere sar me bhot tez dard hona chalu ho gya... aur me paglo ki trah barish me road par bhagne lgi us cab ko dhundne ke liye par wo dur-dur tak mujhe na dikhi... me bhegi hui bhagti us reception wali ladki ke paas ponchi... kyuki wo roz wha bethti thi to use zarur pta hoga cab ka...
ME:
Are suno tumne wo cab dekhi kidhar gyi hai jise me aai thi...
Us ladki ne hairani se meri aur dekha...
RECEPTION GIRL:
Cab?...par mam aap to roz paidal aati hai
Uski is baat ne mere dimag ke saare dhage udhed diya...mene uska colar pakad liya...
ME:
(guse me chilate hue)
Pagal ladki tera dimag kharab ho gya hai...tujhe wha itni badi gadi nhi dikhti jise me roz aati hu...
Mere aese chilane se kuch employees bhi wha aa gye...us ladki ne apna colar mujse chudaya...
RECEPTION GIRL:
Mam pagal me nhi aap ho...pta nhi roz kise baat karti ho aate aur jate waqt...apke dimag ke kuch pench dheele hai...
Usne bhi ye sab chila kar kha tha...jise aas paas ke sabhi employees ne suna...aur wo log khusar pusar karne lge... sab log mujhe aese dekh rhe the jaise me koi pagal hu...un logo ki ye nazar me bardast nhi kar paayi... aur office se bhag gyi...pta nhi kitni der bhagti rhi... par jab hosh aaya to khudko ek park ki bench par paya... mene turant Sneha ko call ki...
SNEHA:
Hello Ridhi?
Mene rote-rote Sneha ko sara haal btaya...jiske jwab me usne mujhe turant docter ke paas jane ko kha... mene bhi uski slah mante hue docter ke pass jana hi theek samjha...
INT. DOCTOR'S CLINIC - AFTERNOON
Clinic par kuch log apni bari ka intzar kar rhe the me bhi jakar beth gyi... samne ek compounder bari-bari logo ko ander bhej rha tha... fir meri bari aai me docter chamber me gyi...wha par Dr. Rajeev bethe hue the...me jake side stool par beth gyi...
DR. RAJEEV:
Btaiye aapko kya problem hai
Mene apne saat beet rha sara haal unko btaya...unhone ne bhi mujhe bhot dhyaan se suna...aur sune ke baad bole...
DR. RAJEEV:
Kya aapko kabhi stress feel hota hai job par?
ME:
Ji kabhi-kabhi
DR. RAJEEV:
To isme koi ghabrahat wali baat nhi kabhi-kabhi extra stress ke karan aesa hota hai...me ye anti-stress aur saat hi sleeping pill likh rha hu ye lijiye aapko acha lagega...
Dawaiya likhkar Dr. Rajeev mujhe wait karne ka bolkar bhar chale gye...tabhi thodi der bad doctor chamber ka door open hua aur ek lady ander aa gyi...
LADY:
Sorry to keep you waiting
ME:
Ji aap kon
LADY:
Mere saat aapka appointment hai me Dr. Shalini...
Mere dimag ke nase mano phatne ko ho gyi...mujhe kuch smaj nhi aa rha tha ki kya asli hai ya kya nakli...Dr. Shalini ab aakar whi beth gyi jha thodi der pehle Dr. Rajeev bethe the...mne unhe bhi wohi sab btaya jo Dr. Rajeev ko btaya tha swiye Dr. Rajeev wale incidence ko chodkar... kyuki me nhi chati thi ki wo mujhe pagal samjhe...Dr. Shalini ne bhi ise sirf stress btaya aur anti-stress aur sleeping pills di... me wo dwaiye lekar chup-chap ghar ki aur chal di ab mujhe apne aas-paas sabsi cheezo par doubt hone lga tha ki kya wo sab asli hai bhi ya nhi...
Ghar par Sneha ne mere se pucha kya hua...to mene use aaj ka sara incidence btaya...jise sunkar use bhi kafi dhaka lga...
par wo bechari bhi kya karti siwaye mujhe shanubhuti dene k ki sab theek hojaye ga...
Us pure hafte me job par nhi gyi kyuki mujhe dar tha ki agr me ghar se bhar jaungi to mujhe koi imaginary person na dikh jaye...isliye mene ghar me hi rehna behter samjha...saat hi me logo ka phone uthane se bhi katrane lgi... gharwalo aur Mrs. Ankita ne kafi bar phone kiya par mene kisi ka phone pick nhi kiya... us hafte ek-do bar Sharmila aunty mujse milna aai thi...
Next week Monday morning me tyar hokar office ke liye nikal gyi job karne nhi resignation dene... kyuki mujhe ab khud par doubt tha ki me job kar bhi paungi ya nhi... aur ise pehle company mujhe suspend kre me khud hi job chodna behter samjha...me jakar Mrs. Ankita ko apna formal resignation diya jiske dwab me unhone mujhe khub samjhaya ki me ek honar ladki hu mujhe job nhi chodni chahiye...life me sabhi ke saat problems aati hai...hame unka dat ke saamna karna chahiye...aur bhi bhot kuch... par me chup rhi kya bolti unko jo bhi mere saat ho rha ye koi life struggle nhi kuch aur hi hai jo mujhe kuhd smaj nhi aa rha...mera irada na bdalte dekh unhone resignation accept kar liya...
Me ghar aakar sofe par beth gyi...tabhi door bell baji mene khola to dekha Sharmila aunty hai...
SHARMILA AUNTY:
Are Ridhi tum yha aaj office nhi gayi?
ME:
Nhi aunty aaj man nhi tha...aayiye ander
SHARMILA AUNTY:
Me to aa jaungi par tum kuch theek nahi lag rhi...
ME:
(jhuta has kar)
Nhi aesi koi baat nhi me theek hu
Sharmila aunty ander aa gyi...aur me or wo bate karne lge... thodi der baad doorbell fir bji mene darwaja khola to wo Sneha thi... wo ander aate hi sedha bathroom me chali gyi...aur me fir se Sharmila aunty se baat karne lgi... tabhi Sneha drawing room me aa gyi... mene uski aur muskurake dekha wo bhi meri aur ek nervous si muskun de rhi thi... Sneha ne mere paas aakar mere kandhe ko halke se pakda...
SNEHA:
Kisi baat kar rhi hai?
Uske is swal ne muhje hila diya...mene uski aur ascharye se nazre uthai...
ME:
Ki..kise mtlb?...Sharmila aunty se hamari land owner hai jo...
Mene nazre samne ki jha abhi Sharmila aunty bethi thi...par wha ab koi nhi tha...me achanak sofe se khadi hui aur peeche diwar se ja lgi...ab mere budhi ne mera saat chod diya tha... mujhe kuch smaj nhi aa rha tha kya real hai aur kya nhi... me paglo ke bhati jor-jor se hasne lgi...apne sar ke baal nochne lgi...Sneha ne aake mujhe kisi trah sambhala... me use pakadke haste-haste rone lgi...bhot royi jab tak ansu nhi sukh gye...jab me shant hui to Sneha boli...
SNEHA:
Chup ho ja Ridhi me hu na tere saath...tune apni dawaiya li...
ME:
Nhi...par me pagal nhi hu to kyu dawaiya lu...
SNEHA:
Ha meri behen mujhe pta hai tu pagal nhi hai...par fir bhi jab doctor ne kha hai to le le...
Mujhe bhi Sneha ki slah theek lgi to mene bhi ek anti-stress pill aur saath hi ek sleeping pill bhi le li...
jiske karan mera dimag sant hone lga aur me waise hi Sneha ki godi me sar rakhkar so gyi...
Aese hi din katne lge...na me khi bhaar jati thi...na hi kisi ka phone uthati thi...aur agr kabhi bhar jana hota to aese time nikalti jab koi na ho sabkuch bilkul sunsan ho... kabhi-kabhi society ka guard mujse hal-chal puch leta par me uska jwab na deti kyuki mujhe pta tha ye bhi imaginary hai...
Aese hi ek roz me sab khidki darwaje band kiya chup-chap sofe par bethi thi ki...Kithchen se Karan coffee banake le aaya...use dekhte hi mere ander ka gussa phut pda...
ME:
(chekte hue)
Tum asli nhi ho bhag jao yha se...mujhe akela chod do...jaoo...
KARAN:
Are Ridhi meri baat to suno...
ME:
Nhi mujhe kuch nhi suna...
Aur mene ek flower wass uthakar Karan ke uper fek diya...aur jab udhar dekha to wo wass jakar Sneha ke sar me lga...uske sar se khoon nikal rha tha... me bhagte hue uske paas gyi aur rote hue use sorry bolne lgi...
SNEHA:
(smile se)
Are kuch nhi hua Ridhi mamuli si chot hai...me theek ho jaungi...
ME:
(rote hue)
Sorry Sneha me sach much pagal ho gyi hu...mujhe tu na room me band rakha kar...
SNEHA:
Chup tu bilkul theek hai...age se kabhi mat bolna tu pagal hai OK
ME:
Ok...are tere sar se to khoon nikal rha hai...me teri first aid karti hu...
Mene first aid ka dabba open kiya par usme koi sman nhi tha...
ME:
Are isme to kuch nhi hai...me market se lekar aati hu tu beth...
SNEHA:
Nhi tu ruk me khud jati hu...mujhe pta hai tujhe bhar jana pasand nhi
ME:
Par...
SNEHA:
Par war kuch nhi tu beth...me abhi aai
Aur ise ke saath Sneha apartment ka door kholkar bhar chali gyi...aur me uske saat ise karne ke ke liya khud ko kosne lgi ek wohi to thi jo mera saath de rhi thi...tabhi door ko koi jor-jor se peetne lga...me dar gyi ki ab kon aa gya... me Sneha-Sneha chilane lgi...ki apartment ka door todkar kuch police wale aur wo society ka guard ander aa gaye...
ME:
(chilate hue)
Kon ho tum log jao yha se mujhe tum logo se nhi milna...Sneha kha hai mujhe sirf use milna hai...
Tabhi wo guard bol pda...
GUARD:
Kon Sneha madam ji...
ME:
Pagal admi tu Sneha ko nhi janta...meri flatmate Sneha or kon
GUARD:
Par madam aap to shuru se is flat me akeli rehti ho...aur is colony me bhi Sneha naam ki koi ladki nhi rehti...
Uske aesa bolna tha ki me jor-jor se hasti beshosh ho gyi...aur behosh hote hue soche lgi SNEHA BHI!!!
INT. MENTAL ASYLUM - NOVEMBER 2019
Me is waqt ye khani aapko ek mental asylum se bta rhi hu...ye log sochte hai ise me theek ho jaungi...par inko kya pta Sneha abhi bhi mere side me bethi rehti hai...
SMAPT...
To Dosto...
WHAT IS REALITY?????