Rbcl.007
Active Member
- 591
- 1,425
- 123
Bohat bohot shukriya DR sahab. Mujhe bohat khusi hui ye jaan ke ki aapko ye kahani pasand aaye... Bastabik Maine hamare samaj aaj aisa ban chuka hai ki log Sare realtion ko ek hi naam de dete hai.. Phir kuch log chahe ya na chahe ya to unko iss duniya se hi hamesha ke liye rista aur sansen chodna padta hai ya phir ek aisa mukhota pehn na padta hai jo samaj ko acha lage... Par iss mukhota ko sambhalte sambhalte bohat si kahani aur kitne jindegi ghoot ghoot ke dam tod deti hai....REVIEW
STORY - DOSTI , PYAR AUR JINDEGI
WRITER- Rbcl.007
LINK – https://xforum.live/threads/★☆★-xforum-ultimate-story-contest-2019-entry-thread-★☆★.6804/page-4#post-728788
PLOT – “EK LADKA AUR EK LADKI KABHI DOST NAHI HOTE”
Maine pyar kiya me mohnish bahal ka ye dialog aaj bhi famous hai ,lekin isi film ke end hote tak film walo ne ise hame manwa bhi kar diya ki mohnish bahal sahi tha..
Bollywood masala filmo ne is bat ko aur bhi jyda badha diya ,aur sath hi samaj me logo ne ise reality bhi bana di ,log pyar ki shuruwat hi dosti se karte hai ,chalo thik hai lekin ager do dost agaer dost hi hai to bhi is chij ki ijjat karni chahiye…
Hamara samaj asal me confusion me ji raha hai use payr aur dosti ke bich ka confusion hi nahi pata hota,aur yahi chij yuwao ko preshan karti rahti hai ,isliye acid attak jaisi ghatnaye janm leti hai kyoki ladko ko samjh hi nahi aata ki asal me ladki ke dil me unke liye kuch nhi hai ,aur unhe bhi naa bolne ka hak hai …ladko ko bas ye lagta hai ki ager ladki usse bat bhi karti hai to usse payr karti hai …..
Khair mamlaa ab badalne laga hai ,realistic cinema aur web series ka dour hai aur ab ladka aur ladki dost bhi hote hai ,to mind set me dheere dheere hi sahi change dekhne ko mil rha hai …![]()
Ab story par aaye to plot bahut hi achha choose kiya hai jo samny love story se is story ko alag banati hai,last tak writer ne apne theam ko bhatkne nhi diya,ho sakta tha ki last me vikas aur sonali ke bich pyar dikha diya jata ,lekin writer ne is chij ko maintain kiya ye mujhe sabse jyada achcha laga …
Naraation achcha tha ek flow me story chalti hai aur end tak involve hi rakhti hai …
NOTE FOR WRITER – rbcl bro sabse pahle to is unchhuye se topic par bat karne ke liye aapka dhanywad ,story aapne bahut achchi likhi aur plot aapne hatkar chuna ye apke story ko khas bana deta hai ..
Best of luck for contest….