nain11ster
Prime
Story :- परा विद्या
Writer :- nain11ster
Link :-
nain ji aapki story ke to hum pehle hi khayal hai..
aur ab aapne short story bhi aisi likhi hai ki koi baat batane ki gunzaish
hi reh gayi hai.. :d
sahi kadiyon ko bahut hi achi tarah se pesh kiya hai..
story padhte waqt laga hi nahi ki ab story mein kuch kami reh gayi hai..
story mein samjane jaisa bahut kuch hai lekin mujhe to jyada sawal hi najar aaye.. :lol
jis ne upar upar se padha wo story bas acha bolenga
bas mujhe story mein kuch word bahut hi kathin lage jo specially mujhe padhne mein bahut alag lage
aur sach kahu to acha bhi laga ki koi writer in baton ko tawwaju bhi deta hai
ye to thi narration aur storyline ki batein ab aate hai story par
story bahut hi achi hai..specially character ki baat karu to mujhe sabhi ache lage
shobha ko chod kar..
waise nain ji aap harry potter ke fan ho kya
jo uske words chura liye
pehli jab half story read kiya to mujhe laga sandip hi alpsar honga lekin baadmein jo mithilesh ko alpsar dikhaya bahut acha laga
kyu humne jo socha wahi hota to story mein maza na ke barabar milta..
kalika ko shobha par hua us waqt aapne face expression kyu nahi likha hai..
sandip aur kalika ke ghar walon ka shadi ke mamle mein tu-tu main-main bahut acha hai..
aur jo us waqt dono romance kar rahe the sach kahu to paun ka bhi aisi hi kuch fantasy hai..
sobha aur mathur ek dusre ko jante hai kya ?
alpsar ne to sehri ilako mein humla nahi kiya tha to shobha ne humla kis buniyat par kiya ,
kya sobha ne iski chanbin na ki ?
alpsar aur sobha ko kyu ladwaya mithlesh ne ?
kalika ke pass kali devi ki panchbhut ki shakti hai to ye baat mithilesh ko pata na thi kya ?
mithlesh ke past ke barmein na bataya ?
sammohan mantr , shamy mantr aur disha ka use kaise hota hai aur wo kya kar sakta hai?
samaj sakta hu ki itne kam words aapke liye kam pad gaye hai
lekin mere kuch sawalo ke jawab dijiye nain ji
best of luck for contest
Rating :- 4.5/5 stars
Aap ka bahut bahut dhanywad .. itne pyare review ke liye ....
aap ke sawalon par jane se pahle main ek chhoti si baat batata chalun, ye kahani suddh hindi me nahi likhi gayi thi, balki mantro ke kuch uccharan ke shabd sanskrit aur hindi ke prayaywachi shabdon se liye gaye the... jaise ki "bijli" ka prayaywachi tha "ati megh garjan"... aate hain sawalon par ...
1) waise nain ji aap harry potter ke fan ho kya jo uske words chura liye
ji iska jawab haan hai.. main harry potter ka die hard fan hun... aur jahan tak words churane ki baat hai to main kewal itna hi kahunga ki "sammohanam" "bhramit" kuch aise shabd hain jo humare matribhasha ke mul shabd hain. ab unhone dubbing me bhi wahi istamal kiya jo maine ... ye churana kaise ho gaya .. yadi kisi mul shabd ko main apni kahani me dikhane ki kosis kar raha hun aur wahi shabd kisi dubbing me istamal huye.. aise to duniya ke sre word copy ho hi lagenge.
2) alpsar ne to sehri ilako mein humla nahi kiya tha to shobha ne humla kis buniyat par kiya ,
kya sobha ne iski chanbin na ki ?
iska jawab wahin kahani me hi hai. main jin baton ko bindu karta hun bas unhe dhyan me rakh kar aap dobara padhenge to jawab wahin kahani me hi milega... 1) alpsar ne hi sahri ilaka me humla kiya tha, lekin wo humla jungle me rah rahe apsar samuday ne nahi kiya.... 2)baat agar sobha ki kare.... to iska jawab aakhri ke lines me thi jab Kalika aur Sobha ka samwad chalta hai... wahin par to sobha kahti hai "2 magus mare gaye the, aur badla to lena tha hi".... aur rahi baat chhanbin ki to humle ke tarike se to sab ko pata hi tha ki ye kisi alpsar ka kaam hai .... to sobha apne logon ke sath mil kar wahan humla karne chali jati hai.
aur yahin chhipi hai kahani ke ek vises bhag ke sawal ka jawab, ki kaise mithlesh ladwa raha tha aur sobha apni beti se kya chhipa rahi hai .... mithlesh ek vises alpsar ... mara usne .. aur sobha badla lene usi ke pass gayi jise janti thi, yani ki jungle wala alpsar samuday"....
3) alpsar aur sobha ko kyu ladwaya mithlesh ne ?
is kyu ka jawab maine reader ke dwara banayi gayi theory par chhoda tha, baki apne sare pahlu maine kahani me rakh diye the.. jaise ki shakti ki talash aur shakti ka pradarshan, shakti ka pass me hona aur uska istamal... ladai karwane ki piche ki wajah bhi thoda- thoda highligted hai ... jaise ki kalika aur MLA ke samwad .... fir Kalika aur alpsar ke bich ek shakti pradarshan ke baad kalika ki hunkar ... aap is baat se bhi andaza laga sakte hain ki kalika kyon akele hi apna shakti pradarshan karti un sabhi alpsar ko ghutne par le aayi... aur aakhie ka agrjan ka bhi wo samwad ki "lagta hai sabhi mugus us vises alpsar ke gulam ban gaye".. itne sare facts kewal isliye chhode ki aap tay kar sako ki kya wajah rahi hogi ladai karwane ki ... ye kuch is tarah tha ki marval walon ne apni movie me dono facts rakh diye the.. 1) time travel kar ke past me ho rahi ghatna me fer badal kar ke kisi badi ghatna ko roka ja sakta hai logon ko wapas laya ja sakta hai.. 2) dr strange ne kai carore baar bhawishya me ja kar dekha lekin kewal ek sambhawna thi jit ke liye thanos se ... ab aap theory banate raho .. ironman wapas aayega ki nahi ...
4) mithlesh ke past ke barmein na bataya ?
mithlesh ka past Voldemort ke past jaisa hai .. kahani me current hi dikhayenge ki abhi kya kar raha .. origin ke bare me detailed story aur uske prequel me charcha hogi.
5) sammohan mantr , shamy mantr aur disha ka use kaise hota hai aur wo kya kar sakta hai?
mantr ke istamal se aap ko nahi samjh me aaya to lagta hai mujhe index bana kar dena padega .. fala mantr .. fala use... kuch to nam se samjh me aa jata hai.. jaise ki "smmohan" .. matlab sammohit karna.... bhramit.. matlab bharm me dalna.. disha vighn.. matlab disha me badha dalna... kshmy mantr ka to istmal jadu karne wale jadugar ka pata lagane ke liye karte hain .. ye to likha bhi hai.. aap ne esscape kiya kahan se samjh me aayega
6)samaj sakta hu ki itne kam words aapke liye kam pad gaye hai
lekin mere kuch sawalo ke jawab dijiye nain ji
ji aap ke sare sawalon ke jawab kahani me the .. mujhe nahi lagta ki unhe darshane ke liye mujhe adhik shabdon ki aawasykta thi... ummid hai aap ko sare jawab mil gaye honge .. ab is jawab ke baad ja kar ek bar aur story padhiye .. is bar padhne se kahani se pyar ho jayega....