Reviews posted on or before 12th March 2022 11:59 PM will be considered for Best Supporting Reader
Bhai story ka gist ye hai ke ham log dhyan nahi dete aur crime ka shikaar ho jaate hain. Jab vo aadmi dopahar me paani maangne aata hai to uska saathi lift ke paas khada hota hai. Jab Rashmi paani dene jaati hai to vo ja chuka hota hai. Lekin ye Rashmi ka sochna hota hai. Uske kitchen se paani laane tak vo unke ghar me ghus kar chhip chuka hota hai. Romance waale scene me jav Rashmi thoda uth kar Naveen ki help kar rahi hoti hai tab uski nazar almaari par chuppe aadmi par padti hai. “usne dhadakte dil se Naveen ko thaam liya”. But uska presence of mind kaam kar jata hai aur vo chillati nahi. Balki Naveen ko room se bahar bhejne ka bahana karti hai. Isme bhi vo apni jaan se pehle apne pati ki safety ka sochti hai. Aur jaise hi vo room se bahar jata hai uske peeche peeche bahar aakar gate band kar deti hai. Thodi pechida kahani hai. Ek do line edit kar sakta to behtar samajh aati logo ko. Lekin one go me likhi aur fir post kardi. USC me edit nahi kar sakte so aapki baat sahi hai ke kuch halka fulka explanation daalna behter hota. Maine jyada visualize karke likh di.प्रत्युत्पन्नमतिस्व ~ Lews Therin Telamon
dude WHAAT THEE FUCKKKK!!
matlab ekdum se waqt badal diya jazbaat badal diya..
abe ye hua kya.. kaha ekdum mast romance chal raha tha achanak wo chaku wala kaha se ghus gaya wo bhi almari pe kaise chadh baita...
ending kya huyi kyu huyi kuch nahi samjha..
aisa laga mano sidhi ja rahi kahani ko ekdum rok diya, chalti gadi ko achanak break maar diya..
mereko kahani do baar padhna pada lawda tab main ending sahi se samjha...
theme jabardast choose liya tha bhai aapke but ending me bahut jyada hi jaldi kar di isko aur bhi ache tarike se likha ja sakta tha starting me kahani me ek lay bana hua tha aage kya hoga iska exitement bhi sahi lag raha tha but ending was too rushed, matlab achanak romance ke beech me rashmi ke dimag me darwaje ka khayal aana navin ka room ke bahar aana fir rashmi ka ghabra ke bahar aana behosh hona,
kahani sahi hai but ending aur sahi ki ja sakti thi...
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय इस खूबसूरत समीक्षा के लिए।साजिश ~ Mahi Maurya
well ye kahani purane thriller novels ki yaad dilati hai full suspense,
apne title ko justify karti ek murder mystery story jiski kahani ek raees patrakar avam samajsevi mahila ke khoon ke ird gird ghumti hai jiska investigation khud Commissioner kar rahe hai,
it is starnge kyuki Commissioner aise direct investigation me involve nahi hote sath hi crime branch ke do inspector ko bhi is khoon ki gutthi suljhane ke kaam par lagaya gaya hai,
chaitanya aur aditya ka chitran bahut hi kabil officers ke roop me kiya gaya hai aur jab reader ko lagta hai ab ye dono is case ko suljha lenge tabhi writer sahiba kahani me ek twist daal deti hai jo ki kahani ke hisab se ekdum gajab hai,
koi nahi soch payega ke ritika khanna ke khoon me agneya tripathi aur aditya ka hath ho sakta hai..
kahani ke twists ne kahani ko kafi rochak banaye rakha hai par mujhe kahani ki raftaar kuch jyada tej lagi aur kahi kahi kuch baate samajh nahi aayi kaise aditya ne pehle kaha ke wo us shahar me aane ke baad chaitanya se mila lekin dusre ek scene me bataya ke chaitanya ne uski pehle bahut madad ki hai, ek aur baat jab Commissioner aditya ko pehle se suyas ke roop me jaanta tha to usne ye baat pehle hi kyu nahi kahii...
well story is well written but agar ye long story ke roop me likhi jati to iska aur bhi tagda impact padta, aisi kahaniyo ko kam shabdo me seemit karna mushkil kaam hai lekin maji ji ne use bakhubi kiya hai..
it was an amazing experience reading this.
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय इस कहानी को पसंद करने के लिए और इतनी खूबसूरत समीक्षा देने के लिए।कर्मों का फल ~ Mahi Maurya
well it is not a unique concept but the way it is presented is unique..
apni jawani me ki agyi galtiyo ka pachtawa aksar budhape me hi hota hai jo ki jaha jagdish ke sath hua hai..
usne jawani me kabhi kisi ko apne se upar nahi mana kisi rishte ki kadra nahi ki, apni patni ko kabhi sanman nahi diya aur wahi aaj uska beta uski bahu ke sath kar raha hai aur wo bas muk darshak bana hua hai.. aur atmaglani se bhar kar apne kiye karmo par pachta raha hai
kahani ka title kahani ko sahi se justify karta hai, karmo ka fal..
ye kahani mahi ji ki is contest ki dusri kahani hai jo pehli kahani se bilkul alag hai, aur mere hisab se ye kahani pehli kahani se kayi guna behtar hai.. jo chize pehli kahani me mujhe missing lagi un sab ki kasar writer sahiba ne is kahani se puri kar di,
character arch, dialogues, emotions everything was perfect in this story aur mere liye ye kahani is contest ki sabse behtarin kahaniyo me se ek hai,
great story.
बहुत बहुत धन्यवाद आपका इस खूबसूरत समीक्षा के लिए।Story : कर्मों का फल by Mahi Maurya
Kahani gharelu hinsha se related hai jisme Jagdish apne bete ko bahu ke sath maar peet Karne se Mana karne aata hai par uska beta usko hi khari khoti suna deta hai
fir story flashback me Chali jati hai jisme pata chalta hai ki Jagdish to apne jamane me apne bete se bhi kahi jyada wahsi aur hawashi tha wo na sirf apni biwi par atyachar karta that balki uske bahut sari ladkiyo ke sath najayaz tallukat bhi the .. jab uski biwi ko uske kukarmo ka pata chalta hai to Ghar me ek bhuchal sa aa jata hai jisme wo pregnant awastha me hi suicide Kar leti hai aur peeche apne bete jatin ko chhod jati hai .. par uske marne ke baad bhi Jagdish nahi sudharta hai aur uske kukarmo ke wajah se uska Ghar tabah ho jata hai
Present me Jagdish ko apni patni puja ka ek dard bhara letter milta hai jisme wo sirf apne bete jatin ko acha insan banane ki khwahish jatati hai
Aur fir kuch utar chadhaw ke baad finally jatin apni patni ko pyar Karne lag jata hai aur unki life ache se chalne lagti hai
Story kafi emotional thi aur writer ne iske har character ko jivant Karne ki bharshak kosis ki hai
All the best mahi ji for the contest
Rating : 8/10
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय इस कहानी को पसंद करने के लिए।Story : साजिश written by Mahi Maurya
As the name suggests ye ek thriller story hai jisme writer sahiba suspence ne kut kut Kar bhara hai
story me ek raees mahila ritika ki hatya ho jati hai jisme case ko investigate kar rahe commissioner aur crime branch ke officer hi involved the .... Ritika ek psycho type ki ladki this jiske commissioner ke sath najayaz tallukat the aur wo Aditya se bhi pyar karti thi
murder ke 2 saboot mile ek dairy aur ek kagaz is tukda jise writer expert ko dikhane ke baad guthi suljhi jisme Aditya ko khooni karar Diya Gaya aur commissioner ko hatya ki saajis rachne ke liye 5 saal ki saja sunayi gayi
Story ke aakhir me aditya me apna jurm Kabul karte huye Jo bhi kaha hai usse ye samajhna mushkil ho Gaya hai ki asli gunehgar kaun hai aur yehi writer ki khasiyat hai ki inhone sari Kahani Bata Kar bhi readers ko sochne ke liye chhod Diya hai ki wo khud hi decide kare ki unke anusar story ka main villain kaun hai
All the best mahi ji for the contest you have written such a masterpiece
rating : 8.5/10
Thank you Bhai. Main soch raha tha ki aakhir kya baat ho gayi jo abhi tak Death king ka review nahi aaya. Akhir kaha busy ho gaye !ये कैसी बिदाई । By SANJU ( V. R. )
An outstanding creation Sanju bhai. Ek aisi kahani jiski Mujhe bilkul bhi umeed nahi thi ke XF par padhne ko milegi. Maa, isi shabd ke chaaron taraf ghoomti dikhayi di ye kahani. Ek maa ki bhavnaye, uski soch, uska apne bachon ke liye Nischal prem aur wo tyaag jo ek Maa apne poore jeevan karti hi rehti hai, sab kuchh tha iss kahani mein.
Jahaan Xf par log apni hi Maa ko khud bhi aur doosron ke saath sexually fantasize kar rahen hain, wahin ek iss tarah ki kahani ki maujoodgi sachmuch mein dil ko chhoo leti hai. Wo Maa jisne sadaiv apne bachon ki bhalayi aur unke behtar jeevan ke liye mehnat ki, ant mein uski aakhiri saanson ke chlate waqt uske paas koyi naa tha.
Kahani bhale hi Sanju ke nazariye se chali, par asal mein is kahani ki ek maatra naayak aur naayika kewal aur kewal wo Maa hi thi. Haalanki Sanju ka shehar jaakar aage padhne ka sochna kahin se bhi galat naa tha par wahaan jaakar apni Maa aur Behen ko bhool hi jaana, ye kahin se bhi jaayaz naa tha. Uske bade bhai ke to kya hi kehne, satya hi hai Paisa gehre se gehre rishte ko jalakar raakh kar deta hai, uske saath bhi yahi hua.
Par iss beech Gudiya ke saath jo hua wo sachmuch bahut dardnaak tha. Ek ladki ke liye uski asmat se khilwaad hone se adhik kasht kaarak kya hi ho sakta hai, par jahaan burayi hai wahin achayi bhi maujood hoti hai. Aur Hari Kaka ke bete ne isi baat ka parichay diya. Gudiya se shaadi ke liye khud hi prastav rakhna darshata hai ke insaniyat yunhi khatam nahi ho jaati.
Par jab tak Sanju apni galti samajh paata, tab tak bahut derr ho chuki thi, apni Maa ke aakhiri waqt mein wo unke saath naa tha, aur ye baat jeevan bhar, uske dil ko jhakjhorti rahegi, aakhir Maa to Maa hoti hai.
Kahani ka concept jitna badhiya tha uss se bhi behatreen tha uska presentation. Sahi shabdon ka chunaav kiya gaya lekhak dwara aur bhavnao par bahut hi badhiya niyantran dikhayi diya. Ab iss kahani ko rating dena iske saath anyaya hoga, bas yahi kahunga ke ye story top 3 mein apni jagah bana hi legi, ismein koyi shakh nahi.
Outstanding Story bhai! Jagmag Jagmag .
Bahut hi badhiya likha tha aapne par last scene me readers confused ho gaye the ki akhir hua kya !Bhai story ka gist ye hai ke ham log dhyan nahi dete aur crime ka shikaar ho jaate hain. Jab vo aadmi dopahar me paani maangne aata hai to uska saathi lift ke paas khada hota hai. Jab Rashmi paani dene jaati hai to vo ja chuka hota hai. Lekin ye Rashmi ka sochna hota hai. Uske kitchen se paani laane tak vo unke ghar me ghus kar chhip chuka hota hai. Romance waale scene me jav Rashmi thoda uth kar Naveen ki help kar rahi hoti hai tab uski nazar almaari par chuppe aadmi par padti hai. “usne dhadakte dil se Naveen ko thaam liya”. But uska presence of mind kaam kar jata hai aur vo chillati nahi. Balki Naveen ko room se bahar bhejne ka bahana karti hai. Isme bhi vo apni jaan se pehle apne pati ki safety ka sochti hai. Aur jaise hi vo room se bahar jata hai uske peeche peeche bahar aakar gate band kar deti hai. Thodi pechida kahani hai. Ek do line edit kar sakta to behtar samajh aati logo ko. Lekin one go me likhi aur fir post kardi. USC me edit nahi kar sakte so aapki baat sahi hai ke kuch halka fulka explanation daalna behter hota. Maine jyada visualize karke likh di.
मुझे पहली कहानी " साजिश " कहीं ज्यादा बेहतर लगा था आप की दूसरी कहानी से । सस्पेंस क्रिएट करना बहुत मुश्किल होता है । एक एक एक्टिविटी पर ध्यान देना पड़ता है । बहुत ज्यादा जटिल होता है यह । फिर भी आप ने बेहतरीन कोशिश की माही जी ।बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय इस कहानी को पसंद करने के लिए और इतनी खूबसूरत समीक्षा देने के लिए।
मुझे बिल्कुल भी नहीं पता था कि बेमन से लिखी गई ये कहानी लोगों को साजिश से ज्यादा पसंद आएगी जिसे हमने पूरे मन से लिखा था। अगर ये बात पहले पता होती तो इसको और ज्यादा मन लगाकर लिखते।
ये कहानी सच्ची घटना पर आधारित है। जिसको हमने कहानी का रूप दिया है। तो ऐसा तो नहीं है कि इस कहानी को कॉपी पेस्ट मान लिया जाएगा।
Pichhle 10 – 15 dinon se kaafi problems mein fansa hua tha jis kaaran kuchh hi stories par review de paaya. Par achha hi hua ke aaj maine padh li ye story warna ek shaandar rachna ko miss kar deta.Thank you Bhai. Main soch raha tha ki aakhir kya baat ho gayi jo abhi tak Death king ka review nahi aaya. Akhir kaha busy ho gaye !
Achche reviewer ko sabhi chahte hai ki wo unke story par apni baat kahe.
Once again thank you so much bhai.
Aur aap ka review bhi " Jagmag Jagmag "