- 5
- 15
- 3
Guilty or not?
“case number 380.. !”
Courtroom me ghoshna hui aur police ke sath hatho me hathkadi pehne Ramesh Dheere Dheere chalte huye andar aaya aur katghare me khada hua…
Ramesh ki laal aankhe saaf bata rahi thi ke wo kayi raato se soya nahi tha, ro ro kar aankhe suj chuki thi pichle 8 dino se sharir ke kapde bhi nahi badle the. Uske sharir par ab bhi wahi kapde the jo usne us din pehne the jab wo ghanta ghatit huyi thi, inpar ab bhi khun laga hua tha.. uska dost sujit mar chuka tha jiska iljam Ramesh par laga tha
Court me is waqt kafi jyada gardi thi, sujit ki biwi uske bete ko sath lekar waha baithi thi wahi uski maa uski beti ke sath court ke darwaje ke paas khadi thi taki agar wo bacchi roye to use lekar baahar ja sake lekin asal me to us bacchi se jyada pani uski maa ki aankho me tha, uski beti bhari jawani me vidhwa ho chuki thi aur ab unhe nyay chahiye tha…
Wahi defence lawyer ekdum confidence ke sath aaram se baithe the, unhe yakin tha ke wo apne client ko bacha lenge, Advocate Kulkarni Mumbai ke ek jane mane wakil the jinka kafi naam tha, unhone bade bade celebraties se leke netao ke case lade the aur sabhi case jite the, apni 40 saal ki umra aur 15 saal ke experience me advocate Kulkarni aaj tak koi case nahi hare the aur yahi kaaran tha ke Ramesh ke pitaji ne mum mangi fees dekar Ramesh ka case advocate Kulkarni ko saupa tha lekin ye case aasaan nahi tha, vaardaat ki jagah mile abhi sabut Ramesh ki or ishara kar rahe the fir bhi Kulkarni nischint the…
Wahi prosecutor lawyer pandey the jinki apne saamne itne bade wakil ko dekh kar hi haalat kharab ho gayi thi , apne ko advocate Kulkarni ke saamne case ladki hai ye soch kar hi unhe pasina aane lagaa tha, confidence down ho gaya tha, unhone jeb se rumaal nikaal kar pasina saaf kiya aur itne me judge sahab bole
“case ki karyawahi shuru ki jaye”
Sabse pehle advocate pandey apni jagah se uthe aur unhone bolna shuru kiya
“My lord aaropi ke katghare me khada ye vyakti jaisa dikhta hai waisa nahi hai, ramesh ne apne dost sujit ki behrehmi ke sath hatya ki hai.. us din….”
Jiske baad advocate pandey ne us din ki ghanta batana shuru ki
Ramesh aur sujit bahut acche dost the… Ramesh ek sampan pariwar se hai jinke paas paiso ki koi kami nahi thi wahi sujut middle class family tha, uske paas jyada paisa to nahi tha lekin ek sukhi jivan bita sake itna jarur tha, wo paas hi ke ek MIDC area me kaam par tha aur company ki taraf se use bahut si suvidhaye bhi milti thi jisme aane jane ke liye gadi, office me free canteen aur sath hi family ke liye health inshurance aur Sujith ke liye accidental inshurance bhi tha… kul mila ke kaha jaye too sujit ki acchi kat rahi thi
Abhi kuch samay pehle hi sujit ne ek jamin kharidi thi jiske liye usne Ramesh se kuch paise udhar liye the aur Ramesh ne diye bhi the lekin do saal baad bhi sujit ne use paise wapis nahi kiye the
Us din sham ko daru ki party ke liye dono sath me jame the, party matlab unka ek adda tha wahi wo dono baith kar piya karte the aur aaj bhi kuch waisa hi mahol tha, dono aaram se baith kar beer ka maja le rahe the, adde par pahuchte sath hi waha rim jhim baarish shuru ho gayi thi fir bhi dono par uska koi asar nahi pad raha tha, Ramesh ek patthar par baith kar beer pi raha tha wahi sujit niche baitha chakhne ke sath beer ka maja le raha tha baat chit chal rahi thi aur achanak dono me paiso ki baat ko lekar jhagda hone laga
Badhte badhte baat itni badh gayi ke ke ab dono me hathapai tak baat aa chuki thi aur aise me Ramesh me apne hath me hi beer ki botthe fodi aur hath me ke bottle ke kaanch ke tukde se sujit ke gale par vaar kar diya, wo vaar itna bhayankar tha ke sujit ke gale ki nas kat chuki thi aur usme se ab khun aane laga tha aur ye dekh Ramesh ghabraya aur sujit kandhe par utha kar bhagne laga use shayad galti samajh aa agyi hogi lekin afsos khun jyada beh jane se sujit bach nahi saka aur uski maut ho gayi
Itni baat batane ke baas advocate pandey ruke aur fir bole
“Ramesh ne paiso ke len den ke chakkar me jaan bujh kar sujit ka khun kiya hai aur use iski saja milni hi chahiye, we demand a death penalty.. that’s all” itna bol kar advocate pandey apni jagah par jaakar baith gaye
Court room me ekdum shanti ho gayi thi
Court me hi dusri taraf Ramesh ki wife uske bete ke sath thi jo abhi chota tha, usne kayi baar rash ko samjhane ki koshish ki thi ke paiso ka vyahar thoda sambhal kar kiya kare, lekin Ramesh ne kabhi bhi uski koi baat nahi maani thi, uske paas koi bhi kabhi bhi kisi bi tarah ki madad mangne aata to Ramesh use use mana nhi karta tha, khule hath se paiso ki madad kar diya karta tha, kayi baar to uske dost jhuth bol kar usse paisa le jate the aur wapis bhi nahi karte the lekin Ramesh kabhi kisi ko paise wapis nahi mangta tha jisne wapis kar diye rakh leta tha
Sujit ne bhi usse aise hi paise liye the aur wapis nahi kiye the lekin paiso ke liye Ramesh sujit ka khoon karega ye Ramesh ki biwi manne ko hi tayar nahi thi uska Ramesh par pura bharosa tha aur ab court ke faisle se uske aur uske bacche ke bhavishya ka faisla hone walaa tha aur nyay to use bhi chahiye tha
Ab itni der se chup advocate Kulkarni apni jagah se uthe, court ne is waqt jitne bhi log maujud the un sab ki najar Kulkarni par thi ke wo kya bolega, kaise bachayega Ramesh ko, kaunsi dalil pesh karega wahi advocate Kulkarni ne apni case file kholi aur usme se ek envelope nikala aur waha baithe cleark ko diya jisne wo envelope aage judge ko diya aur fir advocate Kulkarni ne apne Gambhir awaj me apna paksh yaki Ramesh ka paksh rakhna shuru kiya, unhone ek najar sare court par dali aur aage bole
“my lord us di us sham kya kya kaise hua Ramesh ne kathit rup se sujit ko kaise mara aisa varnan mere kabil dost ne bahut hi acche se kiya hai, itna ache se ke mano wo khud waha ghanta ki jagah maujud ho, mujhe lagta hai unhe wakili chhod filmo me kahani likhni chahiye wo acche writer banenge”
Kulkarni ki baat kar court room me hasi gunj gayi jise judne ne ek baar apna lakdi ka hathoda peet ke shant karaya
“Mr. Kulkarni aap mudde ki baat kare to behtar hoga” judge sahab ne kaha
“sorry my lord, to mudde par aate hai, is waqt aapke sath me ek envelope hai usme kuch documents hai, meri aapse darkhawst hai ke please aap use ek baar dekhiye, us envelope me ek affidavit hai aur us affidavit ne sujit ki biwi ke ye saaf saaf likh kar diya hai ke sujit ki maut accidental hai, usme mere client ka koi hath nahi hai aur ye unhone sujit ke office me bhi jama kiya hai jisse ab unhe sujit ke inshurance ke takriban 40 lakh milne wale hai ya shayad ab tak mil bhi chuke honge
Kulkarni ne bolte huye sujit ki wife ki or dekha
Ab sujit ki patni ko dhyan me aaya ke usne apne bhai ke kehne par jisme sujit ki company me baat ki thi uske kehne par apne apne apne bacho ka bhavishya surakshit karne ke liye ye affidavit tayar karke diya tha taki insurance company ki or se jo claim mile usse unka kaam chale, isme sujit ki maut ek accident tha aisa likh kar uski wife ne uspar sign kiye the aur kal hi uske bank account me paise jama ho chuke the
Advocate Kulkarni ke kiye is naye khulase se case ka rukh hi badal gaya tha, jab khud procesution ye maan raha tha ke maut accident se huyi hai to Ramesh par mukadma chalne ki koi wajah hi nahi thi aur isiliye court ne Ramesh ko baijjat bari kar diya tha
Advocate kulkarni kuch ghanto ke liye lakho rupaye kyu leke hai ye Ramesh ke pita ko samajh aa gaya tha, unhone bade chalaki se insurance company se wo affidavit nikalwaya tha aur apne kaam karke waha se chale gaye the
Court ke baahar aate hi Ramesh ki biwi uske gale lag gayi thi use nyay mil chuka tha lekin Ramesh ab bhi nirash tha, uski najar saamne gayi to waha sujit ki biwi uske dono bacho ke sath khadi thi
Ramesh unke samne jakar khada hua aur usne apne hath jod liye, uski aankho me pani tha aur wo bola
“Bhabhi, court ne bhale mujhe chhod diya hai lekin jab tak main aapki najro me doshi hu tab tak mujhe chain nahi mil sakta, aapko puri baat pata honi chahiye ke kya hua tha , main apne bacche ki kasam kha kar kehta hu ke us din jab ham beer pi rahe the tab hamare beech paiso ki koi baat nahi huyi thi, sujit ne khud beer ki botthle patthar pr fodi thi jiska kaanch uske gale me laga tha aur fir usme se khun pehne laga, main to use kandhe par utha kar doctor ke paas bhaga tha lekin main use nahi bacha paya”
Bolte bolte Ramesh rone laga tha wahi sujit ki wife ke aankho me bhi pani tha, wo bhi Ramesh ko acche se jaanti thi unki shadi se lekar ghar lene tak hamesha Ramesh un logo ke sath tha aur Ramesh sujit ko marega ye baat use bhi nahi jam rahi thi lekin gharwale aur rishtedaro ke kehne par usne ye case file ki thi lekin ab use yakin ho gaya thga ke is sab me Ramesh ki galti nahi thi, sujit ki maut bas ek accident thi
Kabhi kabhi dosh bas haalato ka hota hai jispar kisi ka koi bas nahi chalta aur yahi yaha hua tha…
The End.