3rd July 2007
Kalyanpur Police Station, Kanpur, U.P.
" Inspector Mayank Verma right? "
" Yes Sir..."
" Verma Ji, myself ADG Alok Singh, You are going to be in charge of Aniket Sharma's case.. High profile case hai, media ka poora dhyaan idhar hi laga hua hai, koi galti nahi honi chahiye.. or case se jude sabhi maamle ke liye aap sidhe mujhe report karenge.."
" Yes Sir, Body ko postmortem ke liye Kanpur bhej diya gaya hai, baaki Investigation jaise jaise aage badhti hai main aapko report kar dunga.."
" Ok, waise pahli inspection se kya lagta hai.. Open and Shut Suicide Case hai ya kuchh foul play ka andesha hai? "
" Sir, waise to ye case poori tarah se suicide ka hi hi lag raha, but ek mahine ke bhitar ek hi colony me do-do suicide case, ye hi baat mujhe khatak rahi hai.. "
" Dusra case kaun sa tha? "
" Sir, koi high profile case nahi tha, ek open and shut case tha isliye baat Headquater tak nahi gayi.. Aniket Sharma ke paas waale ghar me rahne waale ek doctor ki biwi ka case tha, lekin dono ke suicide ka tarika bilkul hi alag hai, Aniket Sharma ne khud ko shoot kiya hai, jabki us aurat ne faansi lagaayi thi.. us case me koi suicide note nahi tha, lekin is case me suicide note mila hai.."
"Ok if anything new comes up, inform me."
"Ok, sir.. "
Suicide Note
Mujhe maaf kar dena Sudha! Mujhse ek bahut hi ghinauna apraadh hua hai.. Maine bahut Koshish ki us sadme ko bhoolne ki, par us din ki yaadein mera pichha hi nahi chhod rahin.. Yahan tak ki ab to tumhare chehre me bhi uski chhavi najar aane lagi hai..
Is aatmglaani ne mera ek-ek pal jeena bhi mushkil kar diya hai.. ab is glaani bhaav se mukt hone ka ek hi upaay najar aa raha hai.. meri antaraatma har roj hi mujhe bhitar se kachotti hai.. Is apraadh bodh or aatmglani ke saath tumhaara har roj saamna karna behad hi mushkil hai.. Mujhe aisi ummid to nahi hai, par shayad ek din tum mere is kadam ke pichhe ki majboori samjhogi.. or shayad mujhe maaf kar dogi..
Aniket Sharma
----------------------------------
4th July 2007
Kanpur Headquarter
" Hello, Inspector Verma? kaisa chal raha hai case.."
" Hello sir, ek din kya hi hoga sir, Abhi to saare evidence wagaira hi jama kar rahe hain.. Sabhi taraf se maamla suicide ka hi lag raha hai.. Suicide Note se bhi yahi lag raha hai ki Victim ka kisi ke saath chakkar tha, or biwi ka saamna nahi kar paaya or isi aatmglaani me khud ko goli maar li... Baki sabhi details hamne check kiye hain sir, kuch gadbad ka andaaja to nahi lag raha.. "
" Biwi se tumne us suicide note ko lekar puchhtaach ki? kya reaction tha uska? "
" Sir, wo to sadme me hi dikh rahi thi, usne bataya ki use kuch andaaza nahi hai ki Lekhak Sahab kis ladki ki jikr kar ke gaye hain apne suicide note me.. Halanki sir, ek naya evidence saamne aaya hai.. Lash hamein ghar me bani library room me mili thi, hamne us kamre ki poori talaashi li hai.. waise to wahan kai kitaaben or diary mile hain, par ek diary bilkul kone me rakhi hui mili hai, aisa lag raha tha jaise ise saavdhaani ke saath chhupaane ki koshish ki gayi hai.."
"Kya hai is diary me?"
"Bas sir, aapne call kiya usi samay main us diary ko hi dekhne jaa raha tha.."
"Ok Verma, Keep up the good work, and mujhe inform karna kuchh nayi jaankaari mile to.. aaj ke akhbaar ki front headline to tumne dekhi hi hogi.. Sabhi ko jaanana hai ki Suicide hai ya Murder! "
"Haan Sir, dekha maine bhi.. Par abhi to Body ki postmortem report aane me bhi do-teen din ka samay lagega.."
"Achha main dekhta hun agar Postmortem me kuchh jaldi ki jaa sake to.."
"Ok Sir, Thank you!"
----------------------------------
3rd January, 2007
Mauritius ki haseen waadiyon me Christmas or New Year mana kar aaj hi main or Sudha wapas apne Ghar laute the.. 2 Mahine pahle hi hui hamaari Shaadi ke baad ye vacation hamaare liye ek Honeymoon Trip jaisa hi tha.. Ek lambi thaka dene waali yatra ke baad ham subah kareeb 7 baje apne ghar pahunche..
" Sudha ek cup masaaledaar chai mil jaati to maja aa jaata.. Rekha Kaam par to kal se hi aayegi, aaj ke din to hame hi saare kaam karne honge.." Trolly se sabhi saaman ko nikaal kar almaari me sajaati hui Sudha ko maine pichhe se pyaar se pakadte hue kaha..
" Ye kya kar rahe ho, chhodo... bilkul chhodo abhi.. Rekha nahi aane waali iska matlab samajh jaao ki aaj no touchy touchy.. or agar chaai pini hai to bahaar jao or doodh wagaira lekar aao.. or kuch naaste ke liye bhi le lena... Baki dopahar or shaam ke liye kuchh order kar lenge ya kahin bahar chalenge.."
" Waah waah... lagta hai Honeymoon ka khumaar utara nahi hai abhi... Bahar Romantic Dinner ka plan bana rahi ho.."
" Maine Romantic kab bola? Chalo chhodo baatein mat banaao or jao saamaan lekar aao.."
" Ok baba, ja raha hun.." Sudha ke gaalon par ek halki nakkaashi karke main market ko nikal gaya
Kabreeb 20-25 min me hi hue honge, main sabhi saamaan lekar ghar pahuncha, or ghar me daakhil hote hi mujhe do anjaan chehre hamaari Living Room me najar aaye..
" Hello, aap log kaun hain or mere ghar me kya kar rahe hain? "
Halanki, is se pahle ki saamne baithe aadmi ya aurat dono me si koi, mere sawaal ka jawab deta, bhitar Kitchen se baahar aati Sudha ne khud hi mujhe unka parichay bata diya..
" Aree, Aniket ye hamare naye padosi hain.. Pichhle hafte hi ye log wo hamaare saamne waale khaali makaan me shift hue hain.. laao saaman mujhe de do, tum inhen comapny do, main chai bana kar laati hun.."
" Hi, Dr. Hemant Sehgal, or ye meri patni Priya.. main aapki kitaabon ka bahut bada fan hun.. or mujhse bhi badi fan meri biwi hai.."
" Hello, I am very fortunate to meet you.." Priya ne pahli baar mushkuraate hue dheemi awaaj me ek angrejon ki bhaanti English bolte hue kaha..
" Maaf kijiye, lekin aapka accent bilkul British logon jaisa hai.."
" Haan wo meri or Priya ki mulaakaat London me hi hui thi, maine apni padhai or research wahi se kiya hai... Ab pichhle ek saal se ham India me hain.."
" Waise bade lucky ho aap log, is area me apna makaan milna bada mushkil hai.. mujhe khud bhi kaafi mushkilon ka saamna karna pada tha... jabki mere kaafi contacts hain idhar.."
Is se pahle ki Hemant kuch bolta Sudha chai lekar aa gayi..
" Kya aap bhi.. property ki dealing karni hai kya.. Wo sab chhodo aap sab or chai piyo.. or bataao Priya kaisa lag raha hai ye Sehar, isse pahle aap log kaha rahte the.."
" Forgive me, My Hindi is a little bit weak, I can understand, but not so fluent in speaking.. We were in Delhi last year.. The last couple of days have been good here, It's so much quiet out here and there's calmness and peace in nature.." Priya ne fir se dheme lahje me ruk-ruk kar bolte hue apni baat poori ki.. jaise use kisi baat ki jijhak si ho..
" Aree.. No worries. I am OK with it, We can talk in English if you have any issues, I was also in Delhi, I was Nurse at Max Hospital Delhi.. But after marriage, I have to shift here.. I am going to pursue my Nursing here, now. Hopefully pretty soon.."
" Wow, duniya bhi kitni chhoti hai na.. Main bhi Max Hospital me hi tha, You know as doctor's assistant, Wo Sameer Malhotra hain na, India ke top psychiatrist, unke hi under me tha main.. "
" Aap psychiatrist ho?" Maine apni chaai khatam karte hue Hemant ko beech me toka..
" Haan... London me bhi maine ek saal Training and research kiya, uske baad Delhi me, or ab Idhar Kanpur me ek Multi Hospital me apna department run karne ka mauka mila hai.. You know India me log mansik rog ko jyada seious nahi lete.. Bas koshish hai ki jyada se jyada logon ko in baaton ki jaankaari di jaaye.. Maybe aap is par apni ek kitaab likh sakte hain.." Hemant ne ek hasi bhare lahje me kaha.. isse pahle ki main uski baat ka jawab deta..
" Chaliyee.. koi na.. is baare me kabhi or baat karenge.. Hum chalte hain.. mujhe kuch kaam se Kanpur nikalna hai.."
----------------------------------
Agle ek mahine me hamari jindagi me kai badlaaw aa chuke the, Hemant or Priya ke saath hamaara mel-milaap bhi kaafi badh chuka tha, aksar hi shaam ke waqt Priya hamaare ghar hoti thi, or Sudha ke saath ek achhi dost ban gayi thi... Main bhi Hemant ke us din ki salaah ko maante hue maanshik rog or bhartiya samaj me uske prabhaav ko lekar apni nayi kitaab ke liye research karne laga..
Mera kaam aksar mere ghar me hi banaayi library me hota tha, halanki, jab bhi main free hota tha to Sudha or Priya ko comapny jaroor deta tha.. Is beech maine is baat ko gaur kiya ki Priya jyada baatein nahi karti, Shayad Hindi me utni fluent naa hone ke kaaran ya uska swabhaav hi shayad aisa tha.. wahin doosri or iske wiparit meri Sudha, se aap jitni baatein karaa lo..
----------------------------------
14th February, 2007
Valentine ka din tha, or main sudha ke saath ek romantic dinner or jabardast sex ke baad, baahon me baahen daale bistar me leta hua tha..
" Sudha, kya socha hai tumne bachchon ki plaaning ka, I know shaadi ke pahle tumne kaha tha kuch samay wait karne ko.."
" Main bhi tumse is baare me baat karne hi waali thi.. Mujhe Nursing ki job offer wapas se mili hai, wo Hemant jis hospital me hai usi me, usi ne baat ki thi or Gyno Department me ek jagah khaali hai.. Or main chahti hun ki 1-2 saal hum ruk jaate hain uske baad family planing karenge.. Tab tak main bhi achhe se settle ho jaungi idhar.. Mujhe yahan aaye hue lagbhag 2-3 mahine hi to hue hain.. "
"chalo thik hai, agar tumhe yahi sahi lagta hai to kar lo join.. main samajhta hun ki tum ye kaam paison ke liye nahi balki khud ko kaabil saabit karne ke liye karna chahti ho.. bas pareshaani ki baat ye hai ki din me hamara karykram ab nahi ho paayega.. tum to poora din duty par rahogi.." Maine Sudha ko apni oor khinchte hue halke lahje me kaha or ham wapas se apni kaam kridra me magan ho gaye,,,
-----------------------------------
Sudha ko apni job join kiye hue aaj ek hafte ho chuke the... Aise me main aksar ab ghar par akela rahne laga tha.. or is tanhaai ka istemaal maine apni nayi kahaaniyon ko bunne me lagayaa.. Is beech maine kai baar socha ki khaali samay me main Priya ke ghar chala jaun.. thoda time paas hi ho jayega baat chit me..
Halanki ghar me rah rahi ek akeli ladki ke yahan jaana... kuchh thik nahi hoga.. bas yahi soch kar main sankoch kar jaata.. Duvidha yah bhi thi ki unke ghar me koi naukar chakar bhi nahi rahte the.. Ek baar maine Hemant se is baare me kaha bhi tha ki agar unhen kisi naukar ki jarooart ho to Rekha unki madad kar sakti hai.. Halanki Hemant ko yah pasand nahi aaya tha, usne kaha ki nahi nahi.. unhen apne haathon se hi khana banana or ghar ke kaam khud karna pasand hai..
-----------------------------------
24th February, 2007
Subah ke naashte ke baad, main apni study table par rakhe us panne ko ghoor raha tha... Sudha bhi Hospital ko jaa chuki thi.. Kareeb 12 baje honge ki Sudha ki call mujhe aayi..
" Hello Aniket, wo jara Hemant ke ghar jaa kar dekh sakte ho kya, uske department mein badi line lagi hui hai or wo log mujhse uske baare me puchh rahe hain, shayad uska phone nahi lag raha.. pata nahi kahan gaayab hai.."
"Kya yaar.. Mujhe to laga tha meri biwi ka aaj mood badal gaya hai or wo chhutti lekar wapas aa rahi hai.. Mere to mann me ladoo futne hi waale the.."
"Jyada mann me ladoo na banaao or jaldi ja kar jara dekho to.."
"Ok baba.. jaata hun.."
Sudha k call cut kar main Hemant ke ghar pahuncha or door bell bajaayi.. lekin koi bhi nahin aaya.. aise me maine darwaaje par halki dastak di to wah khula hua hi tha.. Main andar daakhil hua or Hemant ko aawaj lagayi.. par koi jawaab nahi mila.. Maine fir Priya ko aawaaj di.. Fir bhi koi uttar nahi mila.. Aise me ek baar to maine socha ki ghar se baahar nikal jaaun.. halanki, unke living se sate hue kamre ke baahar padi chappal ne mera dhyaan khincha.. aisa laga jaise us kamre me koi to hai..
Maine ek baar fir Priya ko aawaj di.. par fir se koi uttar nahi mila.. aise me main us kamre ki oor chal pada.. kamre ka darwaaja khula tha, par parda laga hua tha.. maine aage badhte hue jaise hi parda ek taraf ko kiya... saamne ka drishy dekh kar mere hasoo hawaash udd gaye...
Kamre ki bhitar bed par Priya bilkul hi nagn awastha me leti hui thi.. or bina palke jhapkaaye ek tak darwaaje ki oor dekhe jaa rahi thi.. Is drishy ko dekh kar meri to sitti-pitti gum ho gayi thi.. Maine apne kapkapaati aawaaj me use fir se pukaara.. " Prrrriiii... Yaaa.. aaa.. "
Is baar bhi uski oor se koi uttar nahi aaya... Aise me mere jehan me ek hi sawaal aaya... " Kya wah mar gayi hai? " mann me aaye is sawaal ka uttar jaanne main thar-tharaate kadmon ke saath uske kareeb pahuncha.. main jaise hi use chhu kar dekhne hi waala tha, ki uski palkein jhapki.. or main darr ke maare do kadam pichhe ho gaya.. maine fir se use halke swar me aawaj di.. "Priyyaaaa".
Maine kai kahaaniyan likhi thi... kai daraawane kisse apne panne par utaare the.. Par saamne ka wo drishy meri hawaaiyaan udda raha tha.. Meri najar uske chehre se niche aate hue uski chhatiyon tak aayi jahan uski chhati par saje wo sudaul ubhaar behad hi halki gati ke saath upar niche ho rahe the.. jo is baat ka sabut the ki wah Zinda hai.. meri najrein ab seene se niche utarti hui ab uske mom se taraashe safed badan ko nihaar rahi thi.. jispar kisi bhi tarah se chot ke nishaan nahin the.. lekin fir wah kuch bol kyun nahi rahi thi?
main is sawaal ka uttar jaan paata usse pahle hi packet me pada mera phone baj utha.. Sudha ka khayaal aate hi maine jhat se phone packet se nikaala or power button daba kar call silent kiya... is dauraan kab mere kadam pichhe ki oor mudd chuke the or kab main Priya ke ghar se baahar aa chuka tha.. iska andaaja mujhe bhi nahi tha... baahar aate hi maine jhat se call uthaya..
" Heeee......llllll.....ooooo.... "
" Helloo.. aree kya hua.. Tumne Hemant ko bola.."
" Haaaa...nnnn.. Wo main unke ghar par gaya tha, maine door bell bhi bajaayi par kisi ne khola nahi.. aise lag raha Hemant or Priya dono hi kahin gaye hue hain..." Kaampti aawaaj ko sambhaalte hue maine Sudha se jhoot bola, iske alaawa koi chara bhi to nahi tha, kya bolta main Priya ke bedroom me tha, jahan wah nangi leti hui thi..?
" Tumhaari aawaj ko kya hua hai.. Ek min ruko.. lagta hai Hemant aa gaya hai.. Main phone rakhti hun.."
Iske baad ek baar to mera man wapas Priya ko dekhne ka hua, par maine apne ghar wapas jaana hi sahi samjha..
-----------------------------------
Us roj ki ghatna mere aakhon ke saamne aksar hi tair jaaya karti thi.. Khas taur par jab bhi Priya se mulaakat hoti thi.. Yahi kuch 2-3 hafte baad Holi ka tyohaar bhi aa gaya.. or is tyohaar ne ham chaaron ko thoda kareeb sa laa diya.. Hamne saath milkar hi Holi ka tyohaar manaaya.. Halanki, Hemant ne bataya ki Priya ko rangon se allergy hai, isliye wah hamare saath ek muk darshak bankar hi shaamil hui.. Sudha jo bachpan se hi ek bhare poore pariwaar me rahi thi.. usne jamkar Holi ka aanand uthaya..
Holi ke baad se main khud ke bhitar ek glaani bhaav bhi mehsoos karne laga tha us din ki ghatna ko lekar.. Kai baar mere mann me yah khayaal bhi aaya ki main Hemant se us baat ka jikr karun.. par kaise? Kya main usse ye kahun ki main tumhari biwi ke bedroom me tha, jab wah poori tarah se nagn thi? Kafi soch vichaar ke baad maine us baat ko bhulaana hi behtar samjha.. akhir jab Priya khud us baat ka koi jikr nahi kar rahi to main kyun karun?
Isi tarah din beete or ab aksar hi shaam ko Priya apne garden me hoti thi, or main bhi use company de diya karta tha.. Halanki, April ka mahina aate hi meri Pareshaani ke din shuru ho gaye.. Hua kuch yun ki Sudha ki ab Night Duty lagne lagi thi.. Ab wah raat ko Hospital me hi bitaati or din me apni neend poori karti.. Ek baar to mera mann hua ki main Priya ko is baat ke liye toku, par main kuchh kar nahi paaya.. aise me maine apna dhyaan apni kitaab par lagaaya or ek Novel poori ki..
-----------------------------------
21st May, 2007
Beete kuch mahinon me meri yah dincharya si ho gayi thi, har shaam main Priya ke saath Park me ya uske ghar ke garden me tahlta tha.. Halanki, is dauraan hamari jyada kuch baat nahi hoti thi, bus wahi roj ki dincharya ki baatein.. ya fir main use Hindi bolne ki training deta.. aaj ki shaam bhi har us shaam ke jaisi hi thi, Main park me Priya ke saath tehal raha tha.. isi beech mera phone baja or maine dekha to mere Publisher ka call aaya hua tha.. Pata chala ki Book successful rahi hai or unhone ek chhoti party ke liye ek hafte baad Delhi bulaaya hai.. Main is khabar se kaafi khush tha.. Priya ne mere chehre ki muskaan dekhte hue dheme lahje me puchha..
" Kya baat hai aap achanak se kaafi khus lag rahe ho.. Kaun si khuskhabri mil gayi.."
" Areee Priyaa.. Meri Novel successful rahi hai.. Unhone party ke liye agle hafte Delhi bulaaya hai.. Par mera to mann aaj hi Party karne ka hai.. main Sudha ko batata hun tum Hemant se puchho Kya wo aa sakta hai aaj.."
Maine turant hi Sudha ko call kiya or use khushkhabri bataayi or usse ghar aane ko kaha.. Halanki, Sudha ne mana kar diya, aaj uske department me 3 deliveries ke case the.. aise me uska aana possible nahi tha.. par usne kaha ki wah chhutti lekar mere saath Delhi ki party me jaroor chalegi.. Halanki, Hemant aane ko taiyaar ho gaya or usne mujhe uske ghar par drink karne ke liye aamantrit kiya.. Lekin sharaab laana meri jimmewaari thi..
Main park se laut kar taiyaar hua, fir market se ek achhi or mehangi sharab ki bottle ke saath Hemant ke ghar pahuncha.. Main door bell bajaaya, halanki, darwaja Hemant ki jagah Priya ne khola...
"Aree Priyaa.. Hemant nahi aaya kya abhi tak.."
"Ankiet Ji ek gadbad ho gayi hai.. darasal Hemant aaya tha, par achanak hi use kisi serious case ki wajah se Delhi nikalna pada.. wo abhi turant hi nikala hai.. Ab to wo kal subah hi aayega.."
"Aree yaar ye Doctor logon ka pesha bhi na.. ek pal bhi chain ki saans nahi lene deta.. Ab kya karein.. maine to bottle bhi le li hai.."
"Baahar kyun khade ho aap aao andar baitho thodi der baad chale jaana.." Main Living room me dhaakil hua or wah kitchen ki oor chali gayi.. or thodi hi der me kuch snacks ke saath lauti..
"Aniket ji.. aap chaho to apni drinks le sakte ho, but main Hemant ki absence me nahi pi sakti.."
"Aisa kyun? Hemant ne koi kathor niyam banaye hain kya?" meri is baat par wah bas halka sa muskuraayi..
Iske baad maine apni drink banaayi or pahla peg gatak gaya.. Tab tak wah paas ke dusre sofe par baithi TV dekh rahi thi..
" Yaar Priya... akele pine ka koi maja nahi hai.. Tum bhi ek chhota peg lo.. main Hemant ko nahi bataunga.. " Maine is baar do peg banaate hue hasi bhare lahje me kaha..
Maine use uska glass diya, kaafi aanaakaani ke baad usne bhi apna peg gatak hi liya.. Halanki iske baad maine use force nahi kiya or apne liye kuchh or peg banaye..
"Yaar Priya tumhara ghar kaafi sundar hai.." Daru ka asar dikha raha tha, main kab sofe se uth kar uske Living room me tahlne laga tha, iska hosh mujhe bhi nahi tha.. is beech wah bhi table ke bartan utha ka kitchen ki oor chali gayi thi..
" Yaar Priya.. Tumhaari Hindi ab to kaafi achhi ho gayi hai.. Meri sanagati ka kaafi asar hua hai tumpe.." Is beech meri najar Tv ke paas padi ek tasveer par padi jo ulti rakhi hui thi.. Maine use utha liya...
" Priyaa.... ye tasveer kiski hai.. kya ye tum ho?" Kitchen se baahar aa rahi Priya ki taraf maine wah tasveer mod diya..
Agle hi pal jaise hi maine apni nashe me bojhil palkein jhapka kar wapas se kholi.. mere saamne ek ajeeb sa najaara tha.. Meri najrein sharab ke nashein me band hona chah rahi thi par saamne ka wah najaara mujhe aankhein faad kar dekhne ko majboor kar raha tha..
Mere saamne Priya bilkul Nangi khadi thi.. Main bas use ek tak ghoore jaa raha tha, Wah apni jagah par bilkul putle ke saamaan khadi rahi.. Mere dimaag ne kaha shayad use bhi nasha ho gaya hai or wo bhi is raat ko aur bhi rangeen banana chahti hai.. Aise me kab mere kadam aage badhe.. kab maine use apne baahon me thaama or kab main use lekar uske bistar par pahunch gaya.. mujhe bilkul bhi pata nahi chala...
Raat ke kareeb 3 baje honge.. Sharaab ne dimaag par apna kamaal dikhaane ke baad mere pet me bhi apna kamaal dikha diya tha.. Mujhe joron se toilet lagi or meri neend khuli.. Halanki, aankhen khulte hi saamne ka najaara dekh ek baar ko to aisa laga jaise peshab pant me hi nikal jaayega..
Mere niche Priya bilkul nagn padi thi or main uske upar... Mere sharir par bhi ek dhaaga tak nahi tha.. Aise me raat ke apne krity ko yaad karte hi meri sitti pitti gum ho gayi.. aisa laga jaise mera peshaab bhi bhitar hi dar ke maare sookh gaya ho.. mujhe kuch nahi sujha to maine apne kapde uthaaye or teji ke saath uske ghar se baahar ki oor bhaaga.. or sidhaa apne ghar ke toilet me hi ruka...
----------------------------------
27th May, 2007, Saturday
Subah ke kareeb 9 baje the.. Main apne Bedroom ki khidki par khada baahar ki oor najrein gadaaye hue tha ki ghar ke mukhy darwaaje par dastak hui.. Sudha night duty ke baad ghar aa chuki thi..
"Rekha khana laga dena, main Fresh ho kar aati hun.."
"Ji madam.." is halki aawaj me sunaai diye sanwaad ke baad Sudha ke kadmon ki aahat meri or badh chali thi..
"Maine teen din ki chhutti le li hai.. Aaj shaam ko hum Delhi nikal sakte hain, or kal din me thoda ghoom lenge fir shaam ko party attend kar lenge.. Kaafi dinon baad kuch din ka aaram milega.."
"Chalo achha hua ki tumhe chhutti mil gayi.. warna mujhe akele hi jaana padta.." Maine khidki ke baahar najrein gadaaye hue hi jawab diya..
"Kahan khoye hue ho.. koi nayi kahaani mil gayi hai kya jo itni gehri soch me dube hue ho.." Sudha bhi ab mere vyahaar se bhali bhanti parichit ho chuki thi.. Halanki, is baar baat kahaani ki nahi vaastvikta ki thi..
Beete chaar dinon me kahaani likhna to door ab to aisa lag raha tha jaise meri kalam bhi mera saath chhod chuki hai.. Har safed panne me us raat ki ek dhundhli si yaad saamne aa jaati thi.. Meri or bina palkein jhapkaaye dekhti Priya ko wo dayniya chehra or uske nagn sharir ke upar chadhkar uskan mardan karta hua main..
Is beech maine kai baar khud ko dilaasha diya ki Priya ne apne kapde pahle utaare the, or jo hua uski marji ke saath hi hua hai.. Halanki, meri smriti me chhap gayi uski wo dhundhli si yaad, jahan wah ek tak meri or dayniya bhaav se dekh rahi thi, jaise cheekh rahi ho.. "Nahi ismen meri marji biklul bhi nahi thi.."
"Khana to nahi khaaya hoga tumne.. Chalo main fresh hokar aati hun to saath me khaayenge.." Sudha ki aawaj mujhe khayaalon se baahar le aayi..
"Haan thik hai.."
"Achha kya tum Priya se mile the? Kuch dinon se uski tabiyat kharab hai.. main kal shaam ko usse milne gayi thi, par baat nahi ho paayi.. so rahi thi wo.. Shaam ko jaane se pahle mil lenge ek baar.." Bathroom ki oor jaati hui Sudha ne ek saans me apni baat poori ki or mujhe wapas se us raat ki yaadon me doboo diya.. meri jubaan se bas itna hi nikal paaya ki..
"Tuuuummm... mil aana thodi der baad, main kya karunga wahan jaakar.. Ladies ka personal matter bhi kuch ho sakta hai.."
----------------------------------
28th May, 2007, Sunday, 04:00 A.M,
"Sudha... party achhi thi na..? Maine to khoob enjoy kiya.. khas taur par party ke baad Hotel room me hamaari party.."
"Haan, Haan... tumne party me bhi kam maje nahi kiye the.. Maine to socha tha, Kaafi time baad Hospital se chhutti li hai to aaraam karungi.. lekin nasha chadhne ke baad pata nahi tumpar kaun sa bhoot chadhta hai.."
"Anikeeeettttt.... Anikeeetttt.. Kahan kho gaye? Ham aage aa gaye, hamari colony ka mod wo pichhe raha.."
"Areeee yaar.. bas kuch baat dimag me aa gayi.. main wapas leta hun.."
"Oh noooo... Aniket.. Ye kya hua hai.. Hamaare ghar ke saamne Police kyon aayi hai.."
"Pata nahi yaar.. Aao dekhte hain.. baat kya hai.."
Saamne Police or ambulance dekhte hi maine apni gaadi side ki or main or Sudha teji se wahan pahunche.. Waha pahunch kar pata chala Police hamaare yahan nahi aayi hai, Balki Hemant ke ghar aayi hai.. Kyonki.. Priye ne khud ko faansi laga liya hai..
----------------------------------
10th July 2007
Kanpur Headquarters, U.P.
"May I come in sir? "
"Aaoo Mayank.. Kahan tak pahunchi tumhaari investigation?"
"Sir, usi silsilay me aapse milne aaya hun.. Postmortem ki report bhi aa gayi hai.."
"Or kya nirshkarsh nikla hai?"
"Sir, is baat ki confirmation ho gayi hai ki Aniket Sharma ka case Suicide ka hi hai.. uski body me halke matra me sharab ke ansh bhi mile hain, par yah itna nahi hai ki wyakti apna hosh kho baithe.. Aise me kisi foul play ka sawaal to nahi hai.."
"Chalo hamaare liye to yah achha hi hai.. Jaldi se case rafa dafa hoga or faltu ki Media ka Police ke upar se dhyaan hatega.."
"Sir, wo baat to thik hai.. Lekin victim ki us diary ne kuchh naye sawaal khade kar diye hain? Jo hamara dhyaan us Priya Sharma ke case ki oor khinchta hai.. Aapko is diary ko ek baar padhna chahiye.."
"Ok.. laoo mujhe do.. Main bhi dekhun aisi kaun si nayi baat saamne aa gayi hai? "
"Sir, Aniket ne Suicide pachhtaawe ke kaaran kiya hai.. Usne ek tarah se Priya ka rape kiya tha.. Bada aadmi tha, duniya me badnaami ka darr bhi kaafi raha hoga use.. Halanki, usne rape ek tarah se anjaane me kiya tha.. Sharaab ke nashe me.. Lekin sawaal yah bhi banta hai ki yadi Priya ne apne kapde pahle utaare the to fir case rape ka nahi ho sakta.. Fir baat aa jaati hai ki aisi ghatna do baar hui, jab Priya ne Aniket ke saamne khud ko nagn dikhaaya.. Yadi yah baat bhi maani jaaye ki Priya, Aniket ko apni taraf aakarshit karna chahti thi.. or isi wajah se wah Aniket ke saamne jaan bujh kar nangi hui thi, to fir Priya ne Suicide kyun kiya.."
"Yaar Mayank.. Is diary ko padhne ke baad main bhi uljhan me pad gaya hun... Kuch to hai in sab me jo sahi nahi baith raha.."
"Sir, Ye Priya ki postmortem report hai.. Ismen is baat ka jikr hai ki uski body me Lorazepam ki matra mili hai.. maine pata kiya tha yah ek tarah se bechaini ko door karne waala or insaan ko shaant rakhne wala drug hai.."
"Hmm.. to shayad isi wajah se wah Aniket ki kahaani me hamesha hi shaant rahti thi.. Shayad wah regularly yah drug leti ho.. Lekin yadi wah hamesha shaant rahti thi, tab usne Aniket ke saath aisi harkat kyun ki.. Tumne is baat ka jikr wo us Priya ke husband se kiya tha.. Usne kya bayaan diya tha ispar?"
"Yes Sir, Hamne Hemant ki statement li thi.. Usne bataya tha ki Priya ki tabiyat kuch dinon se sahi nahi thi, use bechaini mehsoos ho rahi thi.. isliye usi ne medication diya tha.. or bhi kuch baatein hain jo samajh nahi aa rahi hain.."
"Ek min ruko yaar Mayank.. Aisa to nahi hai hai ham log hi is Diary ko jyada importance de rahe hain.. Matlab likhne waala ek naami saahitykaar tha.. Kaisi bhi kahaani bun sakta hai.. Kya pata wo apni koi kahaani likh raha ho or ham log usi ko sach maan rahe hon.. Jabki case simple sa ho.. Aniket ne sharab ke nashe or tharak me us Ladki ka rape kiya ho.. or jab ladki ne us ghatna ki wajah se apni jaan le li tab Lekhak babu ko bhi apni galti par pachhtaava hua or isne bhi khud ko goli maar li..?"
"Possible to bilkul hai sir.. Uljhan to yahi hai ki ispar ab kiya kya jaaye? "
"Ek kaam karo, abhi kuch dinon tak is diary ke maamle ko media se door rakhte hain.. Tab tak tum Hemant or Sudha ko is diary ki kahaani bataao.. Dekho inka kya reaction rahta hai ispar.. Agar kuch naya nahi milta hai to Suicide due to marital problems bata kar case band kar denge.."
"Ok Sir, main aapko inform karta hun aage jaisa hota hai.."
----------------------------------
15th July 2007
Kanpur Headquarters, U.P.
"May I come in sir? "
"Aaree aao Mayank.. Baitho.. News dekhi aaj ki?"
"Haan sir dekhi.. Lagbhag do hafte ho chuke hain, fir bhi media waale isi case par dhayaan lagaye baithe hain.. "
"Kuch aur badi khabar unhen mil nahi rahi na... Waise mujhe isi baare me tumse baat karni thi.. yadi kuch naya saamne nahi aaya hai to case ko close kar sakte hain.. Tumne Aniket ki biwi or us Ladki ke husband se baat ki? Kuchh pata chala? "
"Haan sir, Maine Hemant or Sudha dono ka hi interrogation kiya tha.. Lekin kuch naya saamne nahi aaya.. dono ka hi kahna hai ki unhen bilkul bhi andaaza nahi ki Aniket or Priya ke beech aisa kuch hua tha.. Aniket ki biwi to yah sunkar sadme me chali gayi thi ki uske pati ne Priya ka rape kiya hai.. raha sawaal Priya ke shant vyahaar ka to dono ne hi yahi bataya ki Priya ka swabhaav hi aisa tha.. Hemant se hamne jab puchha ki kya priya ne use kuch bataya tha, ya koi sanket diye the ki Aniket ne uska rape kiya hai to usne saaf inkaar kar diya.. Maine Hemant se Priya ke medications ko lekar bhi puchha, uska bayaan wahi tha jo usne hame pahle bataya tha, yahi ki, Priya ko kuch dinon se bechaini ka ehsaas ho raha tha.. or usi wajah se usne khud hi use Lorazepam prescribe kiya tha.."
"Achha maine tumse kaha tha, us photo ke baare me Hemant se puchhne ko, jiska us diary me jikr hai.."
"Haan sir, maine puchha tha, Hemant ne hame photo bhi dikhaayi thi.. Simple si photo thi sir, Priya or uske maata-pita ki.. Kuch khas nahi tha.."
"Hmm.. Mayank, is case ke incharge tumhe diya gaya tha ab tumhi batao aage kya kiya jaaye.. Koi naya evidence to mil nahi raha.."
"Sir, Ab kya kar sakte hain, Suicide case bata kar close kar dete hain... Media ka pressure bhi bahut hai.."
"Ok, kal subah ek press conference rakh lete hain, Tab tak tum Body or personal belongings uski Biwi ko lauta do.. Subah Morning me Headquarter pahunch jaana.."
"Ok, Sir! "
----------------------------------
.
.
.
.
.
3 saal baad
.
.
.
.
.
----------------------------------
28th May, 2010
Mumbai
"Thank you so much Dr. Hemant for this exclusive Interview.. Aapki likhi hui novel itni famous ho gayi hai ki ab uspar ek movie banne waali hai, kaisa lag raha hai aapko.."
"Pleasure is all mine! kaafi achhi feeling hai, yah sabhi ke liye ek achha sandesh dene waali movie hogi.."
"Agar aap bura naa manein to is film ki kahaani se jude kuch sawaal main aapse puchhna chahungi.."
"Jaroor.. Puchhiye kya sawaal hain aapke.. Main jitna ho sakega utni jaankaari jaroor dunga.."
"Kahaani par main baad me aaungi.. Pahle aap hamen ye bataiye ki aapka ek Doctor hone ke baujood Mystery Novel likhne ke pichhe kya maksad hai.."
"Actually me yah ek Psychological Thriller hai.. jiske madhyam se maine logon ke beech mental problems ki samasya ke baare me bataane ki koshish ki hai.. Hamare desh me log is baat ko kaafi chhupaate hain.. or jo log apni pareshaani ko lekar saamne aate hain unka bhi majak udaya jaata hai.. Humlog yah jaan bhi nahi paate ki hamaare saath baitha vyakti bhi kisi manshik bimaari se peedit hai.. Mental problems ki wajah suicide ke cases bhi kaafi dekhne ko mile hain.."
"Aapki kitaab ka sirshak bada hi dilchasp hai Dead but Alive, iske pichhe ki kya kahaani hai..?"
" Asal me meri kitaab ka sirshak meri kahani ke ek kirdaar ki condition se judi hai.. London me rahne waali ek ameer khaandaan ki NRI ladki jiska jeevan ek accident ki wajah se poori tarah se badal jaata hai.. ek car accident me wah apne mata pita ko kho deti hai.. uski jaan to bach jaati hai, lekin wah kareeb 5 saal tak coma me padi rahti hai.. Jab use wapas hosh aata hai tab use ek nayi pareshaani ka saamna karna padta hai.. Use Cotard’s Syndrome naamak ek aisa dimaagi rog ho jaata hai, jismmen insaan khud ko mara hua maan leta hai.. Yah ek behad hi rare mental condition hai jismen patient ko mood disorders, psychotic disorders ke daure padte hai..
Us ladki ko kareeb 5 saal tak mental asaylum me admit rahna padta hai jahan uska ilaaj electroconvulsive treatment ke jariye kiya jaata hai.. tab jaakar uski sthiti me kuch sudhaar aata hai.. Halanki, jab bhi use apne puraane dinon ki yaad aati thi, use wapas se aise daure padte the.. Uski condition kuch aisi thi ki, Jab bhi use daude padte wah khaana pina, kapde, sab kuch tyaag deti thi.. Bilkul ek zinda laash ki tarah.. Ab aap samajh gayi hongi ki meri kitaab ka sirshak Dead but Alive! kyun hai.. "
" Woww! Kya baat hai.. maine to isse pahle aise kisi rog ka naam tak nahi suna tha.. behad hi dilchasp hai ye to.. Waise aapki kahani ki ending ko lekar sabhi ke beech kaafi charcha hai.. Social Media par log apni apni theory bana rahe hain.. Aap yadi iske baare me kuchh batana chahen to.. "
"Maine apni Kahani ko ek multiple ending dene ki koshish ki hai.. Ye padhne waale ke upar hai ki wo kis tarah se ise samajhna chahta hai.. Kahani ka ek sidha-sadha sa ant yah ho sakta hai ki aap Aniket ko kahani ka mukhy kirdaar maanen, jisne Priya ka rape kiya, or chaar zindagiyan barbaad kar di..
Is Kahani ka ek or ant yah ho sakta hai jab aap Dr. Hemant or Sudha ko is kahaani ka mukhy kirdaar maanein jinhone milkar plan banaya.. Jahan dono ne Priya ki condition ka fayda utha kar Aniket ko jaal me fasaya.. Aisi paristhitiyan banayi, jahan Aniket ko Priya ke us roop ka saamna karna pade.. Priya or Aniket ki pahli naked encounter ke liye Sudha ne Aniket ko call kar Priya ke ghar bheja, jahan Hemant ne Priya ko uske beete jeevan ki yaadein dila kar, ek zinda lash bana kar rakha hua tha.. Dusri baar jab Aniket ne priya ke saath sex kiya, Hemant ne jaanboojh kar Priya ki family ki photo baahar rakhi, unhen luck ka saath bhi mila... Priya ki maut ke baad Sudha Aniket ko baar baar uski yaad dilaati rahi.. uska jikr karke.. Sidha saadha Aniket har roj ki jillat nahi jhel paata or suicide kar leta hai.. Kahani ke is ant me Sudha ko Aniket ki poori Property mili, wahin doosri oor Hemant ko Priya ki saari sampatti, dono ne aage ka jeevan saath me gujara..
Usi tarah is kahani ka ek or ant yah ho sakta hai ki saara plan Dr. Hemant ka hi ho, Priya ki condition ki wajah se uska vyawahik jeevan sahi nahi chal raha ho.. Aise me use Sudha milti hai.. Wah sab kuch khud plan karta hai, or kuch use luck ka saath milta hai.. Priya or Aniket ki maut ke baad wah Sudha ke kareeb jaata hai.. Sudha jab yah jaanti hai ki Aniket ne priya ke saath rape jaisa ghinona kaam kiya tha, use apne mare hue pati se ghrina ho jati hai, aise me Hemant uska poora saath deta hai, dono samay ke saath kareeb aa jaate hain.. or Hemant ko Sudha bhi milti hai or aseem dhan sampatti bhi.. "
"Wow! This is really mind blowing! Waise film me kaun si ending dikhaayi jaayegi.. "
"Ye to Director par nirbhar karta hai... Ya ho sakta hai ki Director kisi or tarah ki ending dikha de.. Kahani ko to kai mood de sakte hain.."
"Aapne aisi kahani likhne ka kaise socha, matlab aapko iska idea kaise aaya.."
"Bas dimaag ki upaj hai, or kuch nahi.."
"Matlab aapki ye kahaani poori tarah se kaalpnik hai.. Lekin aapne kahani ke kirdaar ko apna naam naam diya hai.."
"Haan, kahaani bilkul kaalpnik hai, lekin mere dil ke behad kareeb hai.. Chaliye interview yahin khatm karte hain, mujhe apni patni ko pickup karne jaana hai.. Nayi shaadi hai, late hua to akele sona pad sakta hai.."
"Ok, sir Thank you for the interview.. main chalti hun.."
----------------------------------
"Hello Sudha! " (Ghar ke darwaaje se baahar nikalti Interviewer ke kaanon me ek dheemi aawaj aayi..)
----------------------------------****************************----------------------------------