Chapter-4:Esha...
Update-13
College ka pahla din kisi bhi hisab se mere liye thik nahi raha, pahle-pahal to CS wali mam ne mujhe bahar bhaga diya aur baad me Canteen wala lafda...College ke pure periods attend karne ke baad aisa lag raha tha ,jaise kisi ne sari energy chus li ho,...
"thak gaya yar..."room me ghuste hee maine apna bag ek taraf pheka aur bistar par ludhak gaya,
"chal ground chalte hai, Shaam ke waqt hostel me rahne wali girls aati hai udhar..."
"gand maraye girls...mujhe to neend aa rahi hai..."
"thik hai tu so, main aata hoon..."
Main jyada thaka hua tha, isliye turant neend aa gayi, aur jab meri neend khuli to Arun mujhe utha raha tha....
"kya hua be..."
"abey raat ke 8 baj gaye..."
"to..."maine socha kuch kaam hoga.
"to kya..... raat ke 8 baje koyi sota hai kya..."
"ab tu decide karega ki mujhe kitne baje kya karna hai..."
"time pass nahi ho raha tha, to socha ujhe uthakar gappe-shappe maar loon...."
"time pass nahi ho raha hai to jakar muth maar..."aur main wapas chadar odhkar gahri neend me chala gaya.....
.
purani adat itani jaldi nahi badalti, jab main school me tha tab aksar subah 4 baje uthkar padhayi shuru kar deta tha, aur usi ki badaulat first attempt me hee mujhe bahut hee achchha college mila tha...us din bhi maine 4 baje ka alarm set kiya aur jaisa ki pahle hota tha , dusare din meri aankh alarm ki vajah se subah 4 baje khul gayi, light on ki aur Arun ki taraf dekha...Arun aadha bistar par tha aur aadha bistar ke bahar hee jhool raha tha....
"kya khak padhu...kal to sab sar ke upar se paar ho gaya tha..."books aur notebook kholkar maine dher sari galiya di....
kuch der tak try karne ke baad bhi jab koyi fayda nahi hua to , maine lights off ki aur chadar taan kar let gaya....Meri purani adat ke anusar neend to aane se rahi , isliye main kuch sochane laga...jaise ki kis time par kis subject ko uthakar dimag ki dahi karni hai, phhir jaise hee mere dimag me CS subject ka khayal aaya to sabse pahle meri band aankho ke samne deepika mam ka haseen chehra aur uska haseen jism chha gaya....wo mere samne nahi thi, lekin main use pura dekh sakta tha,...aur isi khayalat me gote lagate hue mera hath mere paint ki taraf badha aur subah subah hee kaam ho gaya , uske baad jo neend lagi wo seedhe subah ke 8 baje khuli....
.
Aaj ke din college me koyi aisa aane wali thi, jise nahi aana chahiye tha, us din bhi main aur Arun college ke peechhe wale gate se andar gaye aur seedhe apni class ke andar dastak di....Naveen pahle se hee aa chuka tha...
"chal bahar se aate hai..."main apni seat par baitha hee tha ki Naveen ne apne bag me kuch tatolate hue mujhse bola....
"kyun....kya hua ? "
"lagta hai, bike ki chabi bike me hee lagi rah gayi..."usne ghabrahat me jawab diya...
Maine socha,Arun ko iske sath bhej du, lekin Arun to peechhe kisi se jaan pahchan bana raha tha isliye mujhe hee uske sath jana pada....
"bike me lagi hai chabi..."bike me chabi lagi dekhkar Naveen ne rahat ki saans li...
hum dono abhi bike stand par hee khade the ki ek teji se aati hui ek car ne waha khade sabhi logo ka dhyan kheencha....Car dekhkar hee andaza lagaya ja sakta tha ki andar baitha hua shaks ki hasiyat kitni jyada hai....
"koyi rahis baap ka launda hoga..."maine socha, lekin meri soch mujhe tab dhoka de gayi, jab us chamchamati Car se ladke ki jagah ek ladki bahar aayi,...ladki kya puri modern apsara thi wo, earring se lekar uske sandal tak uski rahisi aur uski modern jamane ke rang me rangi uski shaksiyat ki pahchan kara rahi thi....pahle to maine us ladki ko pura upar se lekar neeche tak dekha aur baad me mere nazar apne aap us jagah par atak gaye, jo ek ladki me mujhe sabse adhik pasand tha,...aur aisi harkat karne wala main waha akela nahi tha, waha khade lagbhag sabhi ladko ka yahi haal tha, sab apni paseendada jagah dekh kar lalcha rahe the.....
"ye kaun hai..."maine Naveen se puchha to usne jawab me kandhe uchkakar mana kar diya....
Waise to us college me bahut sari khubsurat ladkiya thi,lekin wo ladki jo abhi-abhi Car se bahar aayi thi ,wo unme se sabse alag lagi mujhe...aisa mujhe kyun laga iska reason aaj tak main nahi jaan paya......use dekhkar main aur Naveen wahi khade rah gaye, humare kadam zameen par aur aankhe us ladki par hee jami hui thi....Uske sath Car se ek aur bhi ladki bahar nikli, jo uski karibi friend hogi, aisa maine maan liya....
"Esha...."us ladki ki friend ne pahli baar us modern apsara ka naam pukara.....

Last edited: