• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI -- THE WARRIOR (Completed)

Aapko Kahani kese lag rahi hai...

  • very Good

    Votes: 46 92.0%
  • good

    Votes: 6 12.0%
  • not soo good

    Votes: 2 4.0%

  • Total voters
    50
  • Poll closed .

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,596
143
Bahoot badiya
Superb update
Mast update h Bhai
Maza aa gya
Waiting next
Very nice update bhai
Nice update bhai
Bahut hi lajwab update hai bhai
Keep writing keep posting
Thank you soo much to all my lovely friends.. for your love, support an valuable comments
:thankyou: :thankyou: :thankyou: :thankyou:
aise hi aapka saatha bana rahe

new update -20 posted...
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,062
188
Awesome update
 

Vickey1211

Well-Known Member
7,541
16,040
188
Update - 20

ab tak aapne dekhna R.V.S ne kuch raaj Abhi k saamne khole,
Aur Abhi bhi apni training mein laga hua hai.......
Rimpy k ander dikhi urja ka kya raaz hai ......yeh aage pata chalega

abhi toh Abhi ko bahut jannana hai ...sikhna hai
Abhi tak ki powers dono A1 aur Abhi jaldi isiliye sikh paaya kyu ki woh janm se hi isske ander thi .....( bahut kathin hai dagar panghat ki)
aage raaste mein bahut kathinayia aayengi....

khair ab dekhte hai A1 kaha hai .....


Mahaguru k aashram se nikal kar A1 nikal gaya gandhmadan parvat ki aur

yaha virajte hai Sakal jagat k paalanhaar Bhagwan Badrinath

Abhi apne vayu tatva ki shaki k dwara Yaha tak toh pahuch gaya.....lekin aage ki yaatra usse paidal hi jana tha
kyuki wohi shaktiya hume jeewan mein saath deti hai jo hume kathin parishram se prapt hui ho........
aur Mahaguru ka bhi yahi nirdesh tha,
apni shaktiyo ka prayog tabhi karna jab aur koi raasta na ho....


Gandhmaadan parvat mein Narayan parvat par Bhagwan Badrinath aur chaaro taraf Barf k parvat ...kal..kal behti hui maa alaknanda ....sab kuch itna sunder aur divya tha ki yaha pahunch kar Abhi ko apne bhiter ek nayi urja aur divyata ka anubhav hua...

Waha pahuch kar Garam paani k kund mein snan kiya Aur Phir darshan karke nikal gaya Aage ki yaatra par..

Aage jab mein ..Manda gaon pahucha
kar toh waha bane mitti k ghar dekhe aur sidhe saral log.... kuch log waha aane walo ko khanne pine ki chije de rahe the
( mazedar baat yeh hai ki itni shaktiya hasil karne k baad bhi...hero ka vyavharik gyan shunya tha, usse jab woh Mahaguru se aqgya lekar jaane laga tha toh unka bhi iss aur dhyan gaya, ...phir socha chalo bahari logo k sampark mein jab aayega toh apne aap hi sikh jaayega.....)

Abhi ko yeh bhi nahi pata tha ki yeh log khane ki chije aise hi nahi de rahe the bech rahe the....

aage ka haal A1 ki jubaani ...


ab muzhe bhi bhuk lagane lagi toh mein bhi ek jagah pahucha...

aur baithne k liye ek lakdi ka bench dekhkar baith gaya...

waha k log muzhe ghur ghur kar dekh rahe the ....muzhe kuch ajeeb bhi lag raha tha.....ki jab se mein yaha aaya hu aur jaha se bhi jaa raha hu log muzhe aise kyu dekh rahe hai....


maine socha ki chodo apna kaam karte hai.... maine jo admi sab ko khane pine ki chije de rqha tha

Maine waha khde aadmi se jo logo ko khanne pine ki chije de rha tha usko bola.....Bhaiya muzhe bhi kuch khanne ko do... meri baat sunkar woh meri taraf ghur kar dekhne laga.....
aur hasne laga..... waha khde log bhi hasne lage ....

kyu bhai kaha se aaye ho pahle yeh toh bataao tumhe dekhkar toh aisa lag raha hai k sidhe mahabharat kaal se yaha aaye ho ...itna kah kar phir hasne laga .......tabhi waha ek bujurg vyakti aaya .....aur usne uss vyakti ko ghur ke dekha ..toh woh chup hogaya..

bujurg (Manda Gaon k Mukhiya)
- kya baat hai shambhu yahi tarika hai tumhara yaha aanewale logo k saath

kya tum bhul gaye hamre gaon ki parampara ko .....aise majak ydate ho mehmano ka...

Shambhu - maaf karna Mukhiya ji lekin issne kapde hi .....

Mukhiya - bas chup ho jaao ......phir meri taraf ......aao beta mere saath aao ...
unke beta kahne mein muzhe bahut apnapan lagne laga tih chal diya mein unke saath....
ab saari baat muzhe samaj mein aagayi thi mere kapde wahi aashram k the aur baal bhi bade bade jo yaha k logo se kaafi alg the....

Mukhiya - Kaun ho beta tum ....kisi gaon ya shaher k toh lagte nahi ho,
dekho tum muzhe baata sakte ho ho sakta hai mein tumahri kuch madat kar saku.....

mein - Baba ...kya mein aapko baba kah sakta hu.....

mukhiya - kyu nahi bete jarur

mein - Baba jyada toh mein nahi bata sakta ...lekin itna hi ki mein apne Guru ki aagya se hi ...yaha par aaya hu aur muzhe aage nilkant parvat par jaana hai..

tab tak mukhiya ji ka ghar bhi aagaya tha ...jo purane jammane ka mitti se bana hua tha....

ghar mein pahuch kar unhone muzhe baithne k liye aasan diya......
arre Jaanki (mukhiya ki wife) jara dekho toh kaun aaya hai....aur haa pani aur gudh leta aana....
tabhi ek mahila paani aur gudh lekar waha aayi woh kuch udaas si lag rahi thi...
meine gudh khakar paani piya, ...
..dhnyawad maaji .....meri aawaj sunkar uhone ne meri traf dekha aur thoda muskuraya,.....maine unki aankhon mein ek alag hi udaasi dekhi

Mein - Baba maa ji ko kya hua ....yeh itni udaas kyu lag rahi hai....

Mukhiya ji - beta woh sab baad mein..

pahle tum muh haath dho lo aur apne kapde badal lo.... suno jaanki apne vishu k kapdo mein se kuch kapde le aao toh...ayr kuch khanne ka bhi prabandh ka do

Jaanki ji ne ek nazar mukiya k taraf dekha aur kuch bolna hi chaha rahi thi ki.....
mukhiya - arre aise kya dekh rahi ho jara isse dekho toh yeh bhi hamare vishu ki tarah lag raha hai...
tab unhone muzhe gaur se dekha toh unki aankhien chalak aayi....aur aage badhkar myzhe gale se lagaya ...haa ji yeh toh kcuh kuch hamre bete jaisa hi hi.....mere sir par pyar se haath pherte
hue....sirf isski naak aur aankhien kuch alag hai...aur baal bhi..

itna kahkar woh ander chali gayi

unka sneh paakar meri bhi aankhon mein aansoo aagaye kuch dhundli dhundli si tasveer dikhne lagi jasie koi mere sir par haath pherte hue sula raha hai .....tabhi mukhiya ji k awaaj se mera dhyan tuta.....
unke diye hue kapde meine pahen liye

mukhiya ji - Toh ab batao beta....tum kah rahe the ki tum apne guru ki aagya se aaye ho ....waise kya naam hai tumahare guru ka..

Mein - MAHAGURU YAGNESH

mukhiya ji ne jaise hi naam suna toh unke haath apne aap jud gaye...aur aankhol mein shradha suman aa gaye

Mukhiya --- Kya ....naam ...bataya..MAHAGURU YAGNESH....yani ki tum bhi mere guru ji k shishya ho...

mein - kya aap bhi Mahaguru ji k shishya ho...phir toh aapne unka aashram toh dekha bhi dekga hoga ...
mein wahi se aaya hu

mukhiya - nahi putra mera itna saubhagya kaha jo unka aasram dekh saku....woh toh yaha bahut pahele aaye the jad mein tumahari hi umar ka tha woh yaha kuch di vyas gufa k paas ruke toh tab unhone yogya paatra ja muzhe Aayruved ka gyan diya tha ..

agar tumhe uhone bheja hai toh jarur koi visheh prayogen hoga.....unhone iss baat ka sanket bhi diya tha

mein - sanket kaisa ...baba

mukhiya - beta unhone muzhe ek anguthi di thi aur kaha tha samay aane par meri yeh amanat koi tumse lene aayega .....phir ander pooja room se angoothi laakar muzhe dete hai




.

tmp-cam-2647879774429011638
woh anghuthi mere haath mein aakar chamkne lagi phir sadharan si ho gai

tab tak bhojan tayar ho chuka tha .phir hume bhojan kiya....

mukhiya ji - beta ab thoda aaram kar lo
mein - Mukhiya ji aapke Bete Vishu ka naam toh maine suna hai , lekin woh kahi dikha nahi , kaha hai woh

mukhiya ji (thoda udas hote hue)
beta muzhe kuch dawai baane k liye ek jadi ki jarurat padi thi toh kareeb ek mahine pahle neelkanth parvat ki aur gaya tha tab se lauta nahi hai...
maine usse savdhan bhi kiya tha ki Uss parvat k bhitar na jaaye...kyuki jo bhi ab tak uss parvat par gaya hai woh wapas nahi aaya...

mein - aap chinta na kare mukhiya ji aapka putr aap tak pahuch jaayega yeh mere mann kah raha hai.

phir woh din meine wahi gujara Vyas Gufa ,Bhimpul, aur Saraswati nadi k udgam sthan ka darshan karne k baad so gaya
phir subah 4 baje uthkar apna nitya kram kiya aur Mukhiya ji aur maaji ki aagya lekar chal pada apne lakshya ki taraf...
raaste k sunder najaare dekhkar aise lag raha tha ki swarg ki hi yatra kar raha hu.....aise hi chalte chalte vasudhara pahunch gaya jaha 8 jal ki dharao se niranter sheetal jal bethta rahta hai....kuch der waha vishraam kiya aur chal diya neelkanth parvat ki talhati par bada hi vishal barf se dhaka hua parvat abhi waha pahunchte pahunchte sham ho gayi thi toh wahi paas gufa mein raat ko aaram kiya ....suryaasta k samay ka adbhut nazaara pura parvat sone jaisa chamk raha tha.....
dusre din jaise hi suryodaya hua toh thodi der k liye phir woh parvat chamkne laga...aur maine pahla kadam raha parvat par , ...ki tabhi hawa tez chale lagi aur charo taraf jaise dhue ka badal ne muzhe gher liya aage ka raasta muzhe dikhna band ho gaya.....abhi mein soch hi raha tha ki kaise aage badu ki tabhi woh badal aur ghana hone laga... ki tabhi mere haath ki angoothi jo Mukhiya ji ne di thi chamakne lagi aur usme se ek tez neele rang ki roshni chamki ........aur dekhte hi dekhte saara dhua jaane kaha gyab ho gaya

phir maine jaise hi agla kadam uthaya
toh aise laga jaise kisi ne muzhe uthakar fek diya......mein phir uthkar aage badne laga .......
toh aayi ek aawaj.......Ruk jaao yaha se aage mat jaao laut jao jaha se aaye ho.....

abhi k liye itna hi....
agla update raat ko
Mast update h Bhai
Maza aa gya
 
Top