• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller ATMAKAMI . . . . . . ability or disorder?

DARK WOLFKING

Supreme
15,584
32,053
259
Chapter-5 : Sharda Enterprises

UPDATE 9

“hello...”baye kaan se mobile satate hue maine jawab diya
“ji..kya meri Arman ji se baat ho rahi hai”kisi ladki ki aawaz ne dusari taraf se mera name pukara toh mujhe laga ki meri koyi lady fan hai…
“nahi…mera matlab haan…”mobile ko baaye kaan se daye kaan me shift karte hue maine bola….
“Arman ji,main Sharda Enterprise se call kar rahi hoon…aaj aapki joining date thi aur aapko PM kiye gaye call letter me humne saaf-saaf likha tha ki aaj ki date me aapko join karna hee hai…company koyi delay bardasht nahi karegi…am I right Mr. Arman…”
“hundred percent…”
“aur aapne aaj join nahi kiya…is-se hume yahi maloom hota hai ki company ke rules aur regulation ki aapko koyi parwah nahi…”
“mom…I mean , mam…actually baat ye hai ki ,parso girlfriend ke sath mera jhagda ho gaya tha toh maine socha ki kyun na use aaj date pe le jaun…mujhe ye khayal bhi aaya ki aaj toh mujhe company join karni hai…aur phhir maine socha…bahut socha…. toh samajh me aaya ki joining date delay ki ja sakti hai…main kal join kar lunga aur aap chahe toh main kal 20 ghante kaam karne ko taiyar hoon…aap chahe toh mujhe punish karne ke liye mere one week ki salary bhi kaat sakte hai…main mind nahi karunga…par sach manniye…meri girlfriend ko mannana jyada zaroori tha…hello…hello…………hellllllo…heeeello……….hello cut gaya kya…hello,janemann…bura maan gayi kya…tum chaho toh tumhe bhi date par le ja sakta hoon…ab toh reply de, ya lawda ghusau toh hee mannegi…lagta hai lawdi ne call disconnect kar di…gand maraye…talented launda hoon main…”
Maine jeb me ek cigarette sulgaya….matlab jeb me hee cigarette sulgaya…yani ki maine shirt ki jeb me hee cigarette sulgaya yani ki jeb ke andar cigarette sulgaya aur machis ki tilli jeb me hee fek di aur jaise hee mobile jeb me rakhne laga toh kisi ne mujhe call kiya lekin tabhi mujhe kuch bahut bura sa mahsoos hua…mujhe aisa laga jaise ki bata nahi sakta ki kaisa laga… aur jab meri nazar mere shirt ke jeb par gayi toh maine dekha ki waha se dhua nikal raha tha aur mere dekhte hee dekhte mere wo dhua aag ki chhoti-chhoti…nanhi-nanhi…pyari-pyari lapto me tabdil ho gaya
“iski maa ka…”
Maine mobile ek taraf feka aur apne doo hatho se shirt ki jeb me lage aag ko bujhane laga…jisme mujhe kuch hee seconds hee lage…lekin jab tak maine wo aag bujhayi meri wo shirt kharab ho chuki thi aur upar se mere seene ke paas ki thodi si chamdi bhi jal gayi thi…actually jaIi nahi thi bas kala sa nishan aa gaya tha aur jalan mahsoos ho raha tha…
“aur maro beta stunt…jal gaya na dil,ab kaun bharega iska bill….bill se yaad aaya mera mobile phone…”
Maine zamin se mobile phone uthaya aur ye dekhne laga ki call kiski thi…“Nisha call kar reli thi..par kyun…zaroor mujhse mafi magni hogi…rahne do…bahut uchak rahi thi…lekin kya ye sahi rahega…call kar hee leta hoon .afterall har kisi ka dil mere dil ki tarah bada nahi hota…”kahte hue maine Nisha ka number dial kiya….
“Arman…mujhe laga ki tum mera call hee receive nahi karoge…lekin dekho tumne toh return call bhi kar diya…”call uthate hee Nisha boli “kaash ki tum bhi mere sath aaye hote…main…David aur Shipra bahut enjoy kar rahe hai…yadi tum aaye hote toh tumhe bhi bahut maza aaya hota…”
“kya yahi batane ke liye mujhe call kiya tha…”apne jale hue seene aur shirt ko simultaneously sahlate hue maine puchha…
“I’m sorry ,Arman…ki maine tumhare sath thoda rude behave kiya…”
“thoda ?”
“actually , sach kahu toh sorry tumhe bolna chahiye,par tum toh sorry bolne se rahe toh maine socha ki main hee bol doon…I apologize”
“apology accepted…ouch..”
“kya hua Arman…”
“kuch nahi bas tumhare gham me apna dil jala raha hoon…”
“ok…bye…Arman. Shipra mujhe bula rahi hai…abhi hum horror house me jaane wale hai…”
“Shipra bhi hai…aaj kitne ka popcorn chaba gayi wo…”
“shut up,Arman…ok bye…”
“byyyeee….aish karo baap ke paiso par…I hope ki usne last line nahi suni hogi…Sali, KAPD(khade Armano par dhokha) karke sorry bolne ka natak karti hai….i just everyone……………hate…..”
.
Sach kahu toh kabhi-kabhi mujhe nafrat hoti hai un logo se jo mere aas-paas hai…main thak gaya hoon wahi life roj jeete hue…roj unhi jaane pahchane logo ko dekhna, unse milna aur ye dikhawa karna ki main kitna khush hoon…jo ki main nahi hoon…main thak gaya hoon har roj Varun ko dekhkar…har roj Nisha ko dekhkar…lekin ye baaten main unhe nahi bata sakta kyunki mujhe maloom hai ki wo mujhe nahi samajh payenge…matlab kya fayda aisi zindagi ka jisme ek saal tak sirf do logo ka chehra dekhna pade…sirf do logo se hee baat karna pade…isiliye jab kabhi bychance main kisi teesare vyakti se milta hoon toh mujhe aisa ahsaas hota hai jaise main insaan nahi balki koyi alien hoon ya phhir mujhe prithvi ke kisi nayi jaati ke samne lakar khada kar diya gaya ho…aur phhir log chahte hai ki main unse normal behave karu,lekin hota iske thik ulat hai…darasal main ye kahna chahta hoon main logo ke sath jaanbuchkar waisa bartav nahi karta, jaisa ki main karta hoon…wo toh bas apne aap ho jata hai…upar se bahut kam sone ki vazah se aajkal main thoda chidchida bhi rahta hoon…isliye jab bhi koyi jabarpeli ki hoshiyari karta hai toh main uski hoshiyari uske gand me ghused deta hoon…lekin jaha aap kaam karte hai waha aapki personal problems se koyi matlab nahi hota,waha aapko sabhya hee rahna padta hai,phhir chahe aap andar se kitne bhi bade tharki ya sanki kyun na ho…upar se jab aap apne office ke pahle din hee gayab rahe ho toh sabhya rahne ki jimmewari…yani ki jimmedari, thodi badh jati hai aur isi vazah se main agle din white shirt ,black trouser ke sath black tie me dress up hua aur paidal hee office ke liye nikal pada…pahle toh maine socha ki Varun ki car ya bike me se kuch utha loon ,lekin phhir mujhe khayal aaya ki yadi main auto se jata hoon toh auto me mujhe maal mil sakti hai,jinke sath seat share karte waqt unke shareer ke kuch private part mere shareer ke kuch parts se takrayenge…halaki iski probability 50 % thi, ya phhir usase bhi kam…lekin phhir bhi maine auto se jaane ka hee decision liya aur samne se aa rahe ek autowale ko hath dikhaya…
Autowale ne mujhe dekhkar jaha mai khada tha us-se se thodi door aage me auto roka aur apne muh ka gutkha thook kar bola “kaha…”
“sharda enterprise…”kahte hue maine auto ke andar nazar ghumayi “bc ek bhi maal nahi,yaha toh sab buddhi baithi hui hai…”
“25 lagega…”
“5 me chalna hai toh bol…main aaj pahli baar sharda enterprice nahi ja raha hoon…mera roj ka aana jana hai…”use talne ke liye maine jaanbuchkar aisa kaha…
Jiske jawab me autowale ne ek aur baar gutkha thooka aur auto ka handle samne ki taraf ghuma kar accelerator marte hue waha se nikal gaya….
“ek aur auto aa raha hai…ummid hai ki isme maal hongi…”ek aur autowale ko samne se aata dekh maine mann me kaha aur hath dekar use rukwaya…
“huhh…kohhaaa…”apna muh upar uthakar usne mujhse aise pucha taki uske muh me bhara gutkha uske muh me hee rahe…
“shordaaa…entorprise…”uski nakal utarte hue main bola…
“30 rupiyaa lagega…”
“30 rupiyaa..”
aur phhir meri nazar andar baithi do ladkiyo par gayi jinke chehra unhone scarf se thak rakhe the…aur unhe dekhte hee main us auto me jaane ke liye raji ho gaya lekin aaj meri kismet kharab nikli kyunki jaha se main baitha tha waha se thoodi doori par hee wo dono ladkiya utar gayi aur phhir pure raste bhar auto me koyi dusari ladki nahi aayi…
nice update ..gf. ko manana tha isliye pehle din hi job par nahi gaya 🤣🤣..
aur nisha bhi david aur shipra ke saath ghum rahi hai ..
saari duniya galat hai to ricshaw me maal dekhkar kyu baith gaya 😁..
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,584
32,053
259
UPDATE 10

sharda enterprises ka head office ek complex ke andar tha…complex ke bahar auto se utarkar maine autowale ko paisa diya aur upar ki taraf dekha…
“sharda complex…toh ye puri building hee sharda vihar walo ki hai…gazab,lawde logo ne acha business bana kar rakha hua hai…”
Pahle Main complex ke andar ghusa aur phhir complex ke andar bane sharda enterprises ke head office me…yaha aane se pahle maine socha tha ki meri pelam-pel insult ki jayegi…lekin jab main andar pahucha toh dekha ki kisi ne mujhe kuch nahi kaha aur ek letter dekar ek office me jane ke liye kaha…
“kamal hai…is letter par toh aaj ki joining date likhi hui hai”khud se baat karte hue main us office ki taraf badha jaha mujhe letter lekar jaane ke liye kaha gaya tha…
“may I come in…”
“who are you…”thoda strict aawaz me ,ek aurat ya phhir kahe ki ek ladki boli…jo ki us office ke main chair par sawar thi…
“I’m Arman…your new designer…I mean, your new machine designer…”thoda nervous hote hue main bola…
“Arman…come in.have a seat…”
“thank you….mam”uske samne ki ek chair par apna pichhwada tikate hue main bola…
“Arman…tumhari joining date kab ki hai…”
“is letter ke according toh aaj hee hai…”apne hath me rakhe letter ko dekhte hue main bola “par actual joining date kal ki thi…”
“toh phhir tumhe mere samne kal hona chahiye tha, aaj nahi…is delay ki koyi vazah…”
“wo main kal……kal isliye nahi aa paya…kyunki”
“kyunki tum apni girlfriend ke sath date par gaye the…am I right Mr.Arman…”
“aapko kaise pata”chauk kar maine pucha aur tab mujhe samajh aaya ki kal phone pe yahi lawdi thi…matlab yahi ladki thi…par is samay mere samne jo aham sawal tha wo ye ki main ise ladki kahu ya phhir aurat…kyunki wo ladki kahlane ke umra se adhik aur aurat kahlane ke umra se chhoti thi…matlab ladki aur aurat ke beech me jo phase hota hai , wo usme thi lekin phhir maine socha ki ise ,iske name se hee pukara jaye…wohi jyada better hai….. “Ms. Vandana Rathi…huh ,ghatiya name ”
“toh kya kal call aapne ne kiya tha…mam”Ms. Rathi ke toblerone nameplate ko dekhte hue maine pucha
“yes…give me your joining letter”
Iske baad Ms..Rathi ne mere letter pe sign kiya aur mujhe wo letter le jakar wahi wapas jama karne ko kaha,jaha se lekar main aaya tha…
Jaisa ki maine pahle bataya hai ki mujhe aksar chidh hoti hai kisi naye vyakti se baat-chit karne me aur yahi haal mera Sharda Vihar me bhi raha ,mujhse milne…mujhe assist karne ke liye do-char log mere paas bhi aaye lekin un sabse maine aisa bartaav kiya jaise ki wo mere office me kaam karne wale worker nahi balki Esha ke boyfriend Gautam ho…aur phhir sham ko 4 baje ke lagbhag mere computer ke bagal me rakha telephone baj utha…
“hello…”
“aadhe ghante pahle tumhare paas maine do files bhijwayi thi,uski report tumne abhi tak nahi di…”
Aawaz sunte hee main samajh gaya tha ki ye Ms. Rathi hai lekin phhir bhi maine pucha ki “kaun” pata nahi kyun par maine aise hee puch liya…
“your manager…”
“Rathi mam… ?”
“puch rahe ho ya bata rahe ho…”
“dono…”
“kya…”
“dono files maine dekh li…ek ko toh nipta bhi diya.i mean first wale ke andar jitney machine tools aur parts the unki design maine check kar li aur jinki dimensions galat thi usko correct karke…correct karke…Yogij…Yogijog…..kya nam hai iska….Yogijogi…Yogi-jogi ko bhej di hai…”
“and what about the second one…”
“I’ll finish it tomorrow….i mean today, at home”
“really…”
“yeah”
“ek file complete karne me tumne aaj ka pura din nikal diya aur yadi tumne dusari wali file ko ghar par complete kiya toh us par puri raat nikal jayegi…”
“ek engineer aur us engineer ki ek raat ki mehnat par kabhi shaq nahi karna chahiye mam…”thoda majakiya lahje me bolte hue maine apni ghadi me time dekha “abhi toh 4 baje hai aur yadi aap chahe toh kal office me aane se pahle tak main ek kya teen files ko check kar sakta hoon…”
“sach me…soch lo.yadi ek baar commitment kar di toh phhir ….”
“don’t worry mam,files bhijwa dijiye…kal aapke aane se pahle teeno files apki table par hongi…”
“ok…as your wish…”bolte hue Ms. Rathi ne phone rakh diya.
“BC ,randi…”
nice update ..job mil gayi aur ab 3 files complete karne ka vaada kiya hai mrs.rathi se 😅😅..
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,584
32,053
259
UPDATE 12

Chapter-6 : Upheaval
“chal be…”
“bhai ek kaam karna...eyedrop dal de”
“khud dal le”bolkar main wapas lappy me busy ho gaya
Mujhe toh aaj raat bhar jagna hai warna Rathi darling se kiya hua commitment toot jayega…aur waise bhi mujhe kaun sa neend aati hai…kabhi-kabhi toh lagta hai ki mujhe marne ke baad hee neend aayegi,khair usme abhi time hai…
Main raat bhar jaga aur Rathi mam ki di hui teeno files ko salta kar cigarette peete hue morning walk par nikal gaya…waise toh cigarette peena koyi badi baat nahi…jalao, dhua andar lo aur phhir bahar feko…lekin daudte waqt cigarette peena…ye badi baat hai….aur main yahi kar raha tha jiske karan park me mere aas-paas mauzood log mujhe thoda hairani se dekh rahe the…unme se kuch shayad mann me has bhi rahe honge aur kuch toh gali bhi de rahe honge…lekin mujhe kaunsa fark padta hai…main toh bas apne aap me mast cigarette peete hue daud raha tha aur park ke kuch chakkar katne ke baad maine pani ki bottle jisme main beer bharkar laya tha use kholkar peene laga….main tab tak beer peeta raha jab tak main ek saans me pee sakta tha aur phhir ek lambi saans chhodte hue park ki deewar par kood kar baith gaya…
“maza aa gaya, I love beer more than girls…”
“you’re Armaan…hai na”mere samne khade hokar ek shaks ne pucha
“Arman…not Armaaaaaaan…. only single ‘a’ between ‘m’ and ‘n’…samajh me aaya ya paper me likh kar dikhau…”bolte hue maine bottle ka dhakkan khola aur phhir beer peene laga….
Beer peete samay mujhe khayal aaya ki ye mujhse milne aaya hai toh zaroor mujhe janta hee hoga ya phhir mera fan hoga…mujhe ise beer offer karni chahiye…lekin phhir jab mujhe khayal aaya ki ye beer 760 ki hai toh maine apna ye irada badal diya
“I’m David…Nisha’s ”
“brother…”
“friend not brother…”
“kya fark padta hai dono same hee hote hai…Rakshabandhan me bach kar rahna”beer ki dhakkan band karte hue maine mann me kaha “acha hua sale ko beer offer nahi ki…ye toh David hai”
“tumse kuch baat karni thi…tumhare paas time hai…”
Maine apni ghadi me nazar mari aur phhir ghadi ki taraf hee dekhte hue kaha “tumhare paas char sau char…teen…do….ek…. seconds hai…jaldi bolo…”
“phhir kabhi…baat karenge…”achanak apna mood change karte hue David bola“main janta hoon ki tum ye soch rahe hoge ki main tumhe kaise janta hoon ,tumhari photo Nisha ne dikhayi thi aur aaj park me tahalte waqt maine tumhe jogging karte hue dekha toh….”
“chal, be ….kya bore kar raha hai”David ki baat ko unsuna karke main waha se utha aur room ki taraf chal diya….
David se meri koyi anban nahi thi kyunki afterall wo le deke Nisha ke liye uska sirf ek acha dost tha aur Nisha ke bare me main aaj tak jo chiz samajh paya hoon wo ye ki wo meri tarah tharki nahi hai aur wo kisi ke sath bhi kitni raat tak kyun na ghume…chudegi sirf mujhse hee…ye baat alag hai ki last time mujhe uspar thoda shaq hua tha ki kahi wo David se toh set nahi hone wali..par aaj David ko dekhkar main samajh gaya tha ki Nisha use is janam me toh kya agle sau janmo me bhi nahi milegi, Lekin phhir bhi mera bartaav David ke sath kuch acha nahi tha…jiska karan, as you know …ye tha ki mujhe nafrat hai naye logo se baat karne se…mujhe bilkul bhi pasand nahi ki jise main pasand nahi karta wo mere paas aakar mujhse mere ya Nisha ke bare me baat kare….i just…just hate everyone….
“Arman…”mere khayalo me vighn dalte hue ek aawaz mere kano me gunji aur main samajh gaya ki ye aawaz kiski thi…isliye is aawaz ko ansuna karke main room ki taraf aage badhta raha…
“Armaaaan….”ek baar phhir wahich aawaz mere kano ko cheerti hui nikli aur abki baar aawaz thodi tez thi aur thodi tez se mera matlab hai bahut tez….
“Nisha…mujhe room jana hai aur office ka kuch kaam hai usko khatm karna hai, isliye main tumse abhi nahi mil sakta…bye”bina peeche mude aage chalte hue hee main bola ….
“main Nisha nahi Aradhna hoon…”abki baar ye aawaz bahut jyada tez thi…itni tez …jaise kisi ne mere kaan ke paas jor se chillaya ho aur is aawaz ne mere badhte kadmo me jam sa laga diya….mera dil joro se dhadakne laga…hath-pair kanpne lage aur main man hee man me bhagwan se prathna karne laga ki maine jo kuch bhi suna hai…wo sirf mera vaham ho….
Mere andar itni himmat nahi thi ki main peechhe mudkar dekhu…jabki is samay full din ka samay tha…mere kadam aise jam ho gaye the jaise ki kisi ne bediyo se unhe bandh diya ho…matlab main unhe hila toh sakta tha lekin ek kadam bhi aage badhana mere liye doobhar tha…lekin main pura time toh yaha khada nahi rah sakta tha abhi nahi toh kabhi toh mujhe peeche dekhna hee hoga…isliye apni puri himmat jutakar main peechhe palta…par waha koyi nahi tha…
“fuck…ab ye bhi din dekhna padega…pahle toh sirf sapne me hee Aradhna ki aawaz sunayi deti thi ,par aaj toh haqiqat me bhi….ek minute, kahi ye sapna toh nahi…?”
Maine apne aaju baju dekha,sab kuch normal hee tha…main waha ke aas-paas ke environment ko dekha …sab kuch waisa hee tha jaisa ki haqiqat me hota hai…lekin yadi ye haqiqat hai toh phhir Aradhna ki aawaz mujhe kaise sunayi de sakti hai …kahi ye mera vaham toh nahi ya phhir sach me main koyi sapna dekh raha hoon…sapna ya haqiqat….? Ye Sapna hai…..nahi haqiqat…..nahi ye sapna hai…pagal hai kya bosedk, ye haqiqat hai…aur Jab bahut der tak mujhe samajh nahi aaya ki ye ek sapna hai ya haqiqat toh maine apna purana funda istemal kiya…jo main tab istemaal kiya karta tha…jab mere school ka ek marhoom dost mujhe sapne me daraya karta tha…sale ne bahut pareshan karke rakha tha,us-se main jitna dara tha utna toh main 8th Semester ke end me S.P. se nahi dara tha…
.
Main ek ghar ke samne gaya aur us ghar ki boundary par ek mukka marne ka socha kyunki yadi ye sapna hota toh phhir main jaha soya hua hu waha apne hath me uthe dard ke karan uth jata lekin yadi mukka marne ke baad main yahi rahta aur mujhe dard bhi hota toh ye haqiqat hai aur sath me wo aawaz bhi jiske karan main apna hath todne ka risk le raha hoon…maine apne hatheli ko kaskar bandha aur ek jordar punch deewar par mara….
“real hai, BC”dard se hath sahlate hue main cheekha aur hath sahlate hue hee room ki taraf badha…
.
Room pahuchkar maine fridge se barf nikala aur apne hath sekte hue Varun se kaha….
“Varun tu kisi ache doctor ko janta hai kya…matlab waisa doctor jo buddhijiviyo ka ilaaz karta hai…”
“buddhijiviyo se tera matlab mental log ?"
“apparently ”
“Neurologist ?”
“hao yar…abhi-abhi mujhe Aradhna ki aawaz sunayi di…”
“ye tere hath ko kya hua…”
“kuch nahi ,bas experiment kar raha tha deewar par mukka mar kar…tere jaan pahchan me hai kya koyi neurologist”
“dekhna padega”
“dekh lena…”apna laptop on karte hue main bola…aur apne kaam par lag gaya…
“ye bhi complete…ye bhi complete aur ye bhi complete…arey wah ,aaj toh Rathi darling bahut khush hogi…kamal kar diya apun ne…par kamal ki baat ye hai ki main puri raat jaga aur neend ab bhi meri aankho se koso door hai…ek jamhayi tak nahi…bolo Shri Arman ki……Jai”
nice update ..teeno file complete kar di ..aur david milne aaya tha arman se par usse baat nahi ki 🤔..aur ab dobara aradhna ki aawaj sunayi di 🤔..

us ladki ko achcha bhashan diya aur fatkara jo idiot boli thi arman ko 🤣🤣.par ye kaunsi ricksha hai jisme itne log baithe the 🤔..
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,996
42,934
354
nice update ..armaan ko sapne aate hai apne school life ke ki kaise usne apne bhai se panga liya ,,kaise uske bhai ne uska sar fod diya ..
aur ek sapna jisme armaan nisha ko goli maarta hai ,,kya hai in sapno ke pichhe ka matlab 🤔🤔..
Ye story aisi ki samjh bhi jaoge , aur samjh bhi nhi aayegi :lotpot:
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,584
32,053
259
UPDATE 13

Rathi mam ki fat ke char ho gayi,jab maine Sharda Vihar pahuchte hee teeno files uske table par fek di toh…matlab jab table par rakh di toh….usne apna spectacle uthaya aur aise muh banakar mujhe dekhne lagi jaise kisi ne uski choot marte waqt unexpectedly lawda uske gand me daal diya ho yani ki full shocked… bas fark itna tha ki Rathi mam ko is samay sirf dard nahi ho raha tha baki pura expression wahi unexpectedly gand me lawda dalne wala tha….
“Yogi se check karwaya….”files dekhte hue Rathi mam ne kaha aur files dekhte waqt wo beech-beech me apne hontho ko apne daanto se chaba rahi thi…jisase main samajh gaya ki Rathi mam ki fat ke char nahi balki aath ho gayi hai….
“bitch please…I’m Arman..Shri Arman”maine mann me kaha
“yogi se check karwaya ?”
“abhi nahi…”
“excellent job….it’s a pleasure to have you, Arman….”files me apni aankhe gadakar Vandana Rathi boli
“thannnkkk…..”bolte-bolte main achanak ruka kyunki files dekhte hue Rathi mam itna kho gayi thi ki wo apne neck ke thoda neeche scratch karne lagi aur main bhi gaur se unke neck ke neeche ke hisse ko dekhne laga….
“abhi iske upar mutth mar du to….maza aa jaye…suppose Arman, ki Rathi mam apna lawda… yani ki tera lawda choos rahi hai…yahi ,abhi…isi cabin me….phhir wo apne trouser ki zib kholte hue peechhe mudkar apni gand teri taraf kar deti hai….”aur mere aisa sochate hee waha ka drishya badalne laga….
maine dekha ki Rathi mam mujhe ungali se ishara karke apne paas bulati hai aur main unke paas jakar unke boobs ko jor-jor se masalne lagta hoon….Rathi mam ka ang-ang unke tight trouser aur shirt se bahar aane ko bekabu ho rahe the aur jor-jor se saans lete hue wo kabhi mere hontho ko chumti toh kabhi mere seene ko aur phhir usne apne hath se mere pant ki zib kholi aur apna hath mere underwear ke andar dalkar mere lund ko masalne lagi….Rathi mam ke mere lund chhune se utpanne uttejana ke karan maine uske sar ke baal ko kheenchkar uske hontho par apni ungaliya firayi aur phhir use neeche jhukakar uska muh apne zib tak le aaya….. meri is harqat par Rathi mam ne muskura kar meri taraf dekha aur mere lund ke bahar wale pant aur underwear ke hisso par apna muh ragadne lagi….maine apne dono hatho se uska sar pakda aur apne pant par ragadne laga….Rathi mam is kadar uttejana ke aagosh me thi ki usne mere pant aur underwear ko chus-chus kar geela kar diya tha aur phhir thodi der baad mere lund ko underwear se bahar nikal kar apni jeebh se halka sa sparsh kiya…..aaahhhh
“Arman….Arman….”
“haaann…yes mam…”sakpaka kar main jaise hosh me aaya aur hosh me aate hee apne zib ke paas apna hath le gaya… “ khayali pulav ”
“kaha ho mister…kaha kho gaye the…”
“darasal mam main soch raha tha…kya soch raha tha yes… I should use SkyCiv 3D to model and solve complex 3D structures…”
“as your wish…good luck”
“thank you….mam”
.
Aaj ka din mere liye office me thoda boring ho raha tha kyunki aaj mujhe koyi kaam nahi tha…isliye maine mann me Rathi mam ko chodne ke bare me socha…kyunki jo time mila hai uska use toh karna hee chahiye upar se Rathi mam bagal wale kamre me hai toh thodi feeling bhi aayegi aur yadi jyada mann kiya toh bathroom me jakar muthiya mar lunga afterall, jaisa mann…waisa karm…
.
Maine apne shoes utare aur chair peeche khiska-kar dono pair computer wali desk par rakhkar aaram se baitha aur ek lambi saans lekar aankh band ki…waise toh maine ye sab kuch Rathi mam ke liye kiya tha lekin aankh band karne ke baad mera mann sirf Rathi mam ke cabin tak hee pahuch paya tha ki ekdum se mere imagination ka scene hee change ho gaya….jaise kisi androoni taqat ne mere mann ko Rathi mam ke cabin ke bahar se dhar dabocha aur le jakar kisi andheri jagah par patak diya ho…yani ki charo taraf sirf andhera hee andhera tha…koyi insaan nahi , koyi aawaz nahi…charo taraf ghanghor shanti…kya main so raha hoon ? lekin yadi main so chuka hoon toh ye kaise mumkin hai ki main khud se baat kar raha hoon…par ye toh koyi sapna bhi nahi hai…toh phhir asal me main aur mera mann hai kaha ? kahi main neend aur sapne ke beech wali awastha me toh nahi hoon…? Wait, ye aawaz kaisi hai…ye toh…ye toh….mere school ki prayer hai…toh kya main……………………………………
.
“uth be ,so gaya tha kya prayer me….Arman, uth ja..wo dekh Bhaisa idhar hee raha hai…yadi usne prayer time me sote hue dekh liya to…tere pichhwade me seengh ghusa dega”
“Varun tu….”use school dress me dekhkar main chauka…
“aur nahi toh kya…Robert downey Jr. aakar tujhe uthayega…uth ja ab chal…”
“chal ab…ab chal…a bchal….abchal= 6 words yani inse 6! Words banaye ja sakte hai yani ki 720 words….Varun mujhe aisa kyun lag raha hai ki kisi subject ka test hai aaj…aaj test hone ki probability kya hai…?”
“zero bata sannata ”
Prayer khatm hone ke baad main…Varun ke sath kuch der School me idhar-udhar ghoomta raha …aur class teacher ke class me aane se pahle hum dono wapas aa gaye…
“Armaaaan…”
“present sir…”(kabhi toh actual name liya kar be Bulla…ladko ne tera name bhaisa sahi rakha hai…)
“wo dekh Reema…kitni achi lag rahi hai…”abhi attendance chal hee raha tha ki Varun apni adat anusar mujhse baat karne me lag gaya
“chal tujhe main kathin wale theorem explain kar deta hoon ,taki Reema se teri setting ho jaye...main pahle tujhe theorem samjha deta hoon jise tu dialogue bana kar ratt lena aur apne se koyi bhi…I repeat… apne se koyi bhi line mat add karna aur aakhiri me hence proved likhkar pen copy me halke se fekna, lekin pen copy se neeche nahi girna chahiye…I repeat ,pen copy ke neeche nahi girna chahiye warna ghamand wala expression hoga ….pen halke se copy par fekna..hmm… actually fekna mat…pen ko copy me rakhna aur jis side Reema hogi us side ungali se roll kar dena…roll matlab samajhta hai na…ye dekh aise…”apne pen ko desk par roll karke Varun ko dikhate hue main bola “toh ahiste se pen ko roll karna aur muskurate hue normal aawaz me Reema ki taraf dekhkar bolna ….Hence ( ½ second gap ) proved aur phhir waha se turant uthna aur meri taraf aana….turant uthna ,lekin aaram se uthna….hadbada kar nahi aur thank you…you’re so smart type ke words sunkar ansuna karna aur seedhe, bina peechhe mude meri taraf aana….chal ab bol ke dekha hence proved….”
“hence proved..”
“itni jaldi nahi…hence…half second gap….phhir proved….hence proved”
“hence proved…”
“exactly…”
“kaun nalayak peechhe se aawaz kar raha hai…khade ho ja…”humare class teacher shri…shriman Bulla ji ki moti aawaz class me gunj uthi…jise sunkar aadhe student toh aise hee has diye lekin main nahi hasa kyunki main…main toh uski nazar me is school ka sabse acha student tha….main toh apne school ka topper tha…toh phhir according to stupid teacher’s stupid logic…main toh halla kar hee nahi sakta tha….”
nice update ...rathi ko impress karne ki soch raha tha par ab dobara school time me pahuch gaya jaha wo apne dost ko reema ko patane ka idea de raha hai 😁..
par ye hence provided ko kuch jyada hi explain kar raha hai 🤣..
 

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,538
22,530
229
The Immortal isme kuch updates missing the shayad .. :hmm1:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

DARK WOLFKING

Supreme
15,584
32,053
259
UPDATE 14

“Arman…kaun halla kar raha hai ,name batao toh…”mujhe khada karke Bulla ne pucha…
“sir , ye Varun…Varun halla kar raha hai…”bina ek pal gawaye main bola…
“sir ,Arman jhooth bol raha hai…maine halla nahi kiya…”seena taankar Varun bhi bina ek pal gawaye mere virodh me uth khada hua…
“chup kar nalayak…Arman jhooth thodi bolega ,wo toh school ka sabse acha ladka hai…chal bahar ja class se…”
“kya sir, aap bhi…”
“jaata hai ya main aaun…nalayak…disturb karta hain attendance lete time…”aur phhir meri taraf dekhkar Bulla ne pucha “aur kaun-kaun halla kar raha tha Arman…”
“sir…ye Reema aur uske baju me baithi hai jo isi saal aayi hai…kya name hai uska…. Shweta…haan…Shweta….wo bhi halla kar rahi thi…”
“Sirrrrr…”bijali ki bhati Shweta uthi aur meri taraf dekhkar boli “sir, ye ladka jhooth bol raha hai…”
“Shweta…tum toh padhne me achi ho phhir kyun baat kar rahi thi…aur Arman kabhi jhooth nahi bolta kyunki wo toh…”
“School ka sabse acha ladka hai…”Bulla ki praising lekin boring line ko complete karte hue main bola aur Shweta gusse se mujhe ghurte hue baith gayi...
raha sawal Reema ka toh wo pichhale do saal se mere sath padh rahi thi…isliye wo janti thi ki Bulla ko ullu banana meri aadat hai aur ladkiyo ko warning dekar chhod dena…Bulla ki aadat hai…isliye wo kabhi react nahi karti thi balki andar hee andar ise enjoy karti thi…jiske karan kabhi-kabhi mujhe lagta tha ki shayad wo mujhse man hee man me pyar karti hai….lekin Varun ke karan maine use chhod rakha tha kyunki mera ek siddhant tha ki dost ki bahan aur dost ki maal ko kabhi line nahi marni chahiye….yani ki Varun ki maal Reema mere liye Varun ki bahan ki tarah thi yani ki meri bhi bahan….and this is the first law of friendynamic…..proposed by Sir Arman”
.
School me meri bahut jyada hee dhak thi jiske kayi karan the…pahla karan ye tha ki main School ka topper tha…Literally . last year maine jo marks score school kiye the utne pure school me kisi ne nahi kiye the, upar se mere school me aaj tak ka highest marks ka jo record tha use bhi maine 0.40 % adhik lakar tod diya tha…ye hua pahla karan. Dusara karan ye tha ki main cricket me apne school se state level ke do players me se ek tha aur aage sirf isliye khelne nahi ja paya kyunki mere gharwalo ko laga ki khel me jyada dhyan dene ki vazah se mere marks Pandey ji ki beti se kam aa jayenge…teesara karan ye tha ki main apne school ka president tha…yeah , main president tha…chautha karan ye tha ki mere father mere school ke trustee me se ek the….pachwa karan ye tha ki main apne school se is saal bhi top marne wala tha aur sixth reason ye tha ki main…main tha. Isliye sare teachers mujhe jante bhi the aur mante bhi the…halaki main thoda ghamandi bhi tha jiske chalte ek-do teacher mujh napasand bhi karte the lekin apun ne kabhi iski parvaah nahi ki….
.
Next period me Varun ne mere bataye anusar wo theorem Reema ko explain kiya aur plan ke according hence proved bolkar meri taraf aane laga….
“mujhe dekh rahi hai kya be…”
“hao,chup chap aaja…peechhe mat mudna…tujhe hee dekh rahi hai…”
“lagta hai pat gayi bhai…thank you …kya batau ,tujhe ki kitna khush hoon…”
“soch ,jab sirf mere sath class me baitkar tu itne jhande gaad raha hai toh , yadi exam me mere aage ya peechhe hota toh…mera matlab tera name ‘A’ se hona chahiye tha…”
“lekin mujhe mera name pasand hai…VARUN….VARUN DEV…sakshat bhagwan ke darshan hote hai tujhe roj…aur ab is-se jyada kya chahiye tujhe…”
“mera matlab completely change mat kar…bas samne ka V hata de…Run suffix me rakhe rakh….ARUN….Arun…Varun…Arun….dekh kitna acha name hai….Arun-Arman….jodi bhi jam rahi hai….”
“prabhu mujhe kshama karo …main Varun hee thik hoon…”
“jaisi teri marji…mera kya ,main toh tere hee fayde ki baat kar raha tha….”
.
“sir…Arman sir….”
“kaun hai be…”gusse se daant pees kar main bola aur samne Sharda Vihar me kaam karne wale peon ko dekhkar main apna pura gussa pee gaya,kyunki kisi mahan vyakti ne kaha tha ki yadi kisi shaks ka kirdar janna ho toh ye dekho ki uska bartaav uske neeche ohade me kaam karne walo ke sath kaisa hai…jitna acha bartaav, utna acha wo insaan….
“sorry yar…kal Rathi mam ne itna kaam de diya tha ki raat bhar nahi so paya aur jab tune uthaya toh tujh par chilla utha…sorry”
“koyi baat nahi..”khush hokar usne kaha
“jyada khush mat ho, main sorry isiliye nahi bolta kyunki main apne kiye par sharminda hoon,balki isliye taaki samne wale ko aur sharminda kar saku…ja chay le ke aa…”
“coffee ya chay”
“bidu ,I’m an Engineer…Mechanical Engineer….mujhe chay aur cigarette ki aadat hai…par tune mujhe chay ke liye nahi uthaya…toh phhir kisliye uthaya”
“arey wo toh main batana hee bhool gaya….Vandana mam bula rahi hai…”
“iski to…chain se jeene nahi deti toh kam se kam chain se sone toh de….waise kyun bulaya hai…tujhe koyi idea hai kya…”
“no idea…”
“chal ja phhir…kaha acha khasa main Shweta se milne wala tha, isne utha diya…par manna padega , past ke ek-ek events ko exactly itne detail me yaad karna kitna shandar hai…par kahi ye koyi bimari toh nahi ? kya fark padta hai, kaun sa main kisi ko jaan se maar raha hoon…main toh bas apne hee past events ko realize kar raha hoon….”sochate hue main utha aur jamhayi + angadayi , simultaneously lete hue apni garden chatkayi….
.
“itni der…dus minuts ho gaye tumhe bulaye hue aur tum intercom ka phone kyun nahi utha rahe the…”mere andar ghuste hee Rathi baras padi, iske bawzood ki maine teen din ka kaam ek din me kar diya tha….Sali, randi….isiliye main logo se nafrat karta hoon….kyunki wo hai hee isi ke kabil…
“kal raat ko soya nahi toh…yaha office me aankh lag gayi thi…”
“ye…tumhare late aane ka excuse hai…”phhir se mujhpar cheekhte hue wo boli aur mera matha thanakne laga….wo toh main sokar utha tha isliye thoda shant tha warna abhi tak toh Rathi ko chod ke zameen par bichha diya hota ….par main abhi shant tha…matlab gussa toh mujhe aa raha tha, par main shant tha….
“excuse nahi,mam…ye sach hai…”jamhayi lete hue main bola
Mera jawab sunkar Rathi mam ki jal gayi,wo mujhe pakka pel hee deti yadi main yaha ek engineer ki haisiyat se na hota toh….lekin wo aisa nahi kar saki aur table par rakhi do files ki taraf ishara karke boli….
“ye do files hai…inki report mujhe kal tak chahiye…”
“bas do…teen kar dijiye…teen kyun…char…abhi toh char ghante office me hee rahunga toh ek toh yahi complete kar dunga….”bolkar main muskura diya jis-se Rathi mam ke chehre ka rang thoda badalne laga ….
“nahi,bas do hee files hai…inhe complete kar dena”
“Madarchod…nahi, madarchod nahi….Madharchod….ye sahi rahega iske liye…thoda vazandar gali….lagta nahi ki main yaha jyada din tik paunga…ye chudail kha jayegi mujhe….BC kal puri raat nahi soya aur aaj bhi ab sona mushqil hai….mana ki main yugpurush hoon lekin lawda kya gand hee mar loge is yugpurush ki, jaga-jaga kar….waise bhi kam sone ki vazah se dimag mera hang marte rahta hai aur toh aur aaj Aradhna ki aawaz bhi sunayi di…yani ki aage bhi sunayi degi…upar se aaj main apne neend aur sapne ke beech me kahi phas gaya tha…wo toh bhala ho school life wale Varun ka jo usne mujhe kheechkar prayer hall me le gaya,warna mera coma me jana tay tha….khair isiliye toh main…main hoon…ek raat aur sahi…cigarette aur daru ke bharose toh main apni puri zindagi kaat doon …ye toh sirf ek raat katne ki baat hai…par kuch bhi ho, Rathi hai badi Madarchad…madarchod nahi…Madharchod….”
nice update ..6 wajah bata di ki arman school me famous hai ..
par ye madarchod aur .madharchod me kya fark hai 🤔🤔 samajh nahi aaya ..
waise varun ko arun banana chahta tha to college me arun mil hi gaya 😅..
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,584
32,053
259
UPDATE 16


Room me Varun ab tak so raha tha aur use sota hua dekh mera mann kiya ki uske pichhwade me ek kaskar laat maru…lekin phhir socha ki jane do yar…mujhe neend nahi aati iska matlab ye thode hee hai ki main dusaro ko bhi na sone du….:khushnaseeb hai wo log jinhe chain ki neend aati hai yaha toh BC aankh bhi band karo toh bhoot nazar aate hai:
.
“tu kitne din se nahi nahaya be….”Bathroom se nahakar nikalte waqt Varun ne pucha aur maine use completely ignore maar diya…matlab na toh uske sawal ka jawab diya aur na hee uski taraf dekha….main toh is waqt Rathi mam ki di hui do files ko complete karke facebook chala raha tha….
“tu fb bhi use karta hai…meri photo like kar dena phhir… jo kal maine Sonam ke sath mall me kheechi thi aur mann kare toh sweetest couple type ke kuch comment bhi kar dena…”
“done…”
“waise tu fb kyun chala raha hai…”
“ab lawda sab tumko bata du…”
“bata na bhai…”
“ajeeb jabarjasti hai…chal na, tera photo like kar dunga aur sweetest couple wala comment bhi thok dunga…”
“ye kaun hai…jiski tune profile khol rakhi hai…”
“ye aaya na tu point par….ye Rathi mam hai, Sharda Enterprises ke Nagpur branch ki manager….soch raha hu friend request bhej du…lekin Sali ne ignore kar diya toh bezzati ho jayegi…waise tana tann maal hai na…”
“hmmm…shadi ho gayi iski…”
“pata nahi…”
“name ke aage kya likhati hai…Miss ya Mrs.”
“Ms. ”
“dhat teri ki…”bolkar Varun mere paas se door chala gaya
tabhi mera mobile bajne laga….maine dekha call Nisha ki thi aur mere receive karte hee wo boli….
“ye kaise dialer tone hai….Rishte me toh hum tumhare baap lagte hai, name hai Arman….Amitabh Bachchan ke bade wale fan ho kya…”
“ringtone ho toh Shri Arman ke jaise,warna na ho…”BigB ka ek aur dialogue chipkate hue maine kaha “toh finally tumhe meri yaad aa hee gayi, do din baad…”
“toh tumne kyun phone nahi kiya…kya ye kahi ka rule hai ki main hee har baar phone karu…bhagwan ne tumhe bhi mobile diya hai, number dial karne ke liye hath diya hai aur abki baar toh maine soch liya tha ki main na toh tumse milungi aur na hee tumhe pahle se call karungi…but I lost once again…”
“so…”
“wo actually, main aur Varun aur Shipra aur Sonam….David ke sath sham ko dinner par ja rahe hai…toh socha ki tum bhi aana chaho…”
“main ye sab ochhe kaam nahi karta”
“please aa jao na…I love you..love you..love you”
“thik hai…venue sms kar dena…mood hoga toh aa jaunga,lekin phhir yadi mere se kuch ulta seedha ho gaya toh mujhe blame mat karna…aajkal mere andar koyi naya virus ghus gaya hai,jiska antivirus dhoondane me mujhe time lagega…”
“don’t worry, main tumhe sambhal lungi…ok bye and thank you…love you…”
“fuck you…”mobile bistar par fek-kar main bola “ye mujhe sambhal legi…huh…yaha main hee khud ko nahi sambhal pa raha hoon aur ye kahti hai ki ye mujhe sambhal legi aur BC ye kya chutiyapa laga rakha hai is David ne…lawde ko lund pakdana hee padega…jab se shahar me aaya hai, Nisha ko mujhse door kiye hue hai….rook beta tu aaj sham ko mil …itna chodunga ki body se paseena nahi balki khoon niklega…”
“kya boli Nisha…”Varun ne puchha
“acha toh tum bhi shamil ho…darasal ye tera hee plan raha hoga mujhe bahar le jane ka…tune socha hoga ki tere bolne se toh main jaunga nahi toh tune Nisha ko patti padha di…aur toh aur us popcorn killer Shipra aur Jhatu David ko bhi shamil kar liya…ye jante hue bhi ki mujhe naye logo ke contact me rahna bilkul bhi pasand nahi…”
“Shipra se toh tu mil chukka hai aur rahi baat David ki toh actually kal raat ko M.B.D. restaurant me meri aur Sonam ki mulaqat David se hui thi…wahi Sonam ne mujhe David ka introduction Nisha ke childhood friend ke taur par karaya…hum teeno phhir kafi der tak MBD Restaurant me baithkar idhar-udhar ki baate karte rahe….tabhi usne mujhe aaj ke dinner ke liye invite kiya toh main mana nahi kar paya…”
“toh phhir mujhe isme kyun shamil kiya…”
“Nisha ke kahne par…Nisha ne mujhe phone kiya tha ki main tujhe kah du…lekin main janta tha ki tu meri baat manega nahi, isliye maine ye kaam Nisha ko hee saunp diya…”
“aur ye bhi bata diya ki mujhe razi kaise karna hai….wah, badi achi dosti nibhayi tune”
“haan toh isme galat kya hai…tujhe problem kya hai Shipra aur David se….David ko toh tu janta bhi nahi…”
“asal me mujhe problem Shipra ya David se nahi balki…balki naye logo se milne me hai…mera matlab kaise log in bade-bade hotel me baithkar badi-badi baate karte hai…bewazah ek dusaro ko advice dete hai…kisi teesare ki peeth peeche burayi karte ya politics ka adhura gyan chodte hai….isme se kuch do kaudi ke log bhi hote hai jo bharat ke itihas ki charcha karte hai aur Mahatma Gandhi ko ulta seedha bolkar ye dikhate hai ki wo kitne joshile hai…kitni aag hai unke andar aur yadi paas me koyi unke aukat ka ya unse adhik aukat wala kuch galat kare toh unme ratti bhar bhi himat nahi hoti ki wo use jakar roke….dar-asal ye log jo ache ,sabhya hone ka dhong karte hai…wo isliye nahi ki kyunki wo aisa karna chahte hai balki isliye kyunki ye sab karne ka unke paas paisa aur power hai…lekin main aisa nahi hoon…main har situation…har temperature…har pressure par constant rahta hoon….na toh main change hota hoon aur na hee meri values….baki sab sale variable hai…. Upar se main thahra Mechanical department se …mujhe ghutan hoti hai itni sari ladkiyo ke beech aur jab wo apna muh pout karke selfie leti hai toh mera mann karta hai ki unke muh me mukka maar du…aur toh aur unke sath BC unke sath wale ladke bhi aise gand ke chhed jaisi shakl banakar photo khichwate hai , in short ….i Hate everyone….i…..i….just….hate
_____________________________
nice update ..arman jis ladke ko maar raha tha aur baadme uska pichha kiya uska chehra dekha ya nahi aur wo kaun tha 🤔🤔..
ab nisha ke saath jaana hai dekhte hai waha kya hota hai ..
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,584
32,053
259
UPDATE 18

River View colony ki taraf chalte hue maine apna mobile nikala aur whatsapp se jo gandi-gandi photos aur videos download hui thi unhe dekhne laga…. River View colony ,NH-6 ke thik bagal se laga hua tha lekin mujhe NH-6 se wo 200-250 meters ka rasta bahut akharta tha…mere mann me khayal bhi aaya tha ki main bike se Sharda Vihar aaun-jaun lekin meri tharak ne mere is khayal ko darashahi kar diya…. isliye main office se aate waqt pure raste kuch na kuch karte rahta tha….abhi main River View Colony ki taraf aate hue ek video hee dekh raha tha ki ek safed color ki Mercedes mere bagal se sansanate hui nikli aur phhir thoda aage jakar ruk gayi….lekin mera dhyan ab bhi mobile par tha….main is waqt mobile me ek desi hot video dekh raha tha aur wo video dekhne me main itna busy tha ki mujhe abhi mere aas-paas ho rahi ghatnao ki koyi jaankari nahi thi…bole toh ,Arjun drishti aur meri arjun drishti tab tak kayam rahi jab tak ki main khud us Mercedes ke pichhwade se nahi takra gaya….
.
“bc…kaise beech raste me car khadi kar rakhi hai…”car ke pichhwade se hui meri takkar ke baad sambhal kar khade hote hue main cheekha aur video ko wahi se chalu kiya jaha se mercedes ke sath collision ke karan main dekh nahi paya tha….
“kya chutiyapa kar raha hai lawda…chod na…BC…. ek toh camera jhat jagah set kiya hua hai…upar se sirf doodh dabaye ja raha hai.. chhote log abey,lawda chusa lawdi ko…”
“Arman….”
“ye kaun bola be…”aaju-baju nazar marker main dheere se bola aur jab mujhe koyi nahi dikha toh maine socha ki ye mera bhram hai….isliye apna lawda khujate hue aage badh gaya.
“Armaaaan….”abki baar thodi tez aawaz me kisi ne mera name pukara….
“Aradhna…? Lekin uski aawaz toh aisi nahi hai….phhir kaun sa naya character mere dimag me ghus gaya hai…ek toh lawda waise hee kal raat wala launda ,jise maine khoob mara…wo bolkar gaya hai ki wo phhir aayega…upar se Aradhna ki aawaz bhi mujhe aajkal sunayi dene lagi hai….uspar ab teesara kaun aa gayi….teesara matlab teesari…. matlab abki baar wali aawaz ek ladki ki thi aur yadi mera sixth sense sahi hai toh….BC kya khak sahi hai…din bhar uzool-fizool ki chize dikhate rahta hai….”
“Armaaaaaaaaan..”thoda aur intensity ke sath ye aawaz phhir mere kano me gunji…
.
Aur tab mujhe ahsaas hua ki ye aawaz na toh mere aaju se aa rahi hai… na toh baju se… aur na hee mere aage se….. darasal ye aawaz mere peechhe se aa rahi thi aur jab mujhe iska ahsaas hua toh main peeche palta
“iski maa ka ….Rathi Lund….ye yaha kya kar rahi hai…kahi ye mere 1400 gm ke dimag ki koyi ghinauni kartoot toh nahi…ya ye sach me yaha hai…let me think…Rathi mam ne mujhe teen baar bulaya aur teeno baar unki aawaz gradually badhi hui thi yani ki jab unhone second time mera name liya toh pahli baar se aawaz jyada tej thi aur jab teesari baar mera name liya toh pahle ke dono baar se jyada tej thi…yani ki normal human behaviour ?….wo mere taraf abhi thoda gusse se dekh rahi hai…ye bhi normal human behaviour ?…lekin jo sochane wali baat hai wo ye ki….ye is samay yaha kya kar rahi hai….ye toh meri fan bhi nahi hai…isliye yaha par mamla gadbadata hai…yani ki ye sirf meri thinking hai….actual me Rathi mam yaha hai hee nahi….toh kya karu…jaun uske paas ya yahi khade rahu….”
Main abhi isi soch me dooba hua tha ki Rathi mam ne mujhe apni taraf na aata dekh car start ki aur meri taraf aane lagi….aur main ab bhi isi confusion me tha ki Rathi mam yaha par haqiqat me hai ya ye sirf mera ek vaham hai….
“tumhe sunayi nahi deta …bahre ho gaye ho kya…kab se aawaz de rahi hoon…”mere thik bagal me car rok kar Rathi mam boli….
“dress toh wahi hai subah wali…toh kya ye sach me yaha hai…ek kaam karta hoon…chhu kar dekhta hoon…lekin kal raat jab main use maar raha tha tab bhi toh main use chhu hee raha tha…yani ki iski koyi guarantee nahi hai ki touch wali feeling se meri is samsya ka solution nikal jayega…lekin phhir bhi ek baar touch kar hee leta hoon… ”
maine car ke window par rakhe Rathi mam ke hath ko ek baar dheere se chhua aur jhatke se turant hata liya…. “real lag reli hai…” bolte hue maine dusari baar ahiste se Rathi mam ke hath ko chhua aur confirm karne ke liye teesari baar Rathi mam ke hath ko touch karke sahlane laga…
“tum ye kar kya rahe ho..tumhara dimag toh sahi hai na…”
“yes……..i mean, no….yes….actually main check kar raha tha ki aap haqiqat me ho ya ye sirf mera……you know”
“fallacy…”
“hmmm”
“tum psycho ho kya…”
“use hatao…aur mujhe batao ki yadi aap real ho toh aap yaha kya kar reli ho…”
“kar reli….”haste hue Rathi mam boli…
“ye le…iska toh itne me hee gand fat gaya…iska tab kya hoga jab main lambe-lambe dialogue marunga…tab toh has-has ke iske gand se pani nikal jayega…mera matlab choot se pani nikal jayega”
“tumne kuch kaha kya…tumhare honth silent mode me fadfada rahe hai…”
“mera lund ,jyada fadfada raha hai…”silent mode me hee apne honth fadfadate hue maine kaha…
“again…”
“aapne mere sawal ka jawab nahi diya ki aap yaha mere peechhe kyun aayi hai…”
“oh hello, main tumhare peeche nahi aayi hoon, River View Colony me mera flat hai, E-5 aur mujhe maloom hai ki tum yahi rahte ho….A-3 flat me….”
“ab fas gayi na,janeman…..tum haqiqat me nahi ho…ha…ha…ha…”daant fad ke haste hue main bola ,jiske baad Rathi mam bhi hasne lagi….lekin phhir haste hue achanak wo ruk gayi…
“ek minute….abhi kya bola tumne mujhe….”chehre ka rang laal karte hue usne meri taraf dekha
“chal na…jab tu yaha hai hee nahi toh main tujhse kyun daru…mere khud ke dimag me itna bhav kha rahi hai…chal nikal…”
“tumhari himmat kaise hui…”
“nahi toh kya karegi…ek-do files aur de degi….huh…Shri Arman ke liye wo punishment nahi balki baye hath ka khel hai….tu apne real version me sochati hogi ki tu dhada dhad files mujhe dekar mujhe pareshan kar rahi hai…bitch please....yadi dena hai toh 7-8 files de…ye teen-char files toh main mutth marte hue complete kar deta hoon….aur aise kya dekh rahi hai, maregi kya mujhe…le maar…ye tera office nahi hai jaha tu mujhpar raub jhadegi…ek ulte hath ki padegi na toh……...khair chhod”bolte hue maine apna wahi ek side se toota hua goggle lagaya aur phhir cigarette jalate hue bola “ab mujhe kya jhak reli hai…chal khisak le dabi me…”
.
Itna bolkar main waha se jaane laga lekin mujhe andar hee andar mahsoos hua ki maine Vandana Rathi ki insult karne me apna sau pratishat nahi diya hai, isliye main wapas Vandana Rathi ke paas jakar ek lamba kash kheencha aur dhua Vandana Rathi ke muh par fek kar bola “tu abhi tak idharich hai…chup chap nikal le…warna ek mukka marunga na toh ek mahine tak dard dega….”
______________________________
nice update ..ab ye chhukar dekhne se bhi pata nahi chalta ki sapna hai ya hakeekat 🤔🤔..par rathi mam ki insult jarur ho gayi hai real me aisa lagta hai 🤣🤣..

par arman ne ye kaise maan liya ki E5 me rehne ka bolne par rathi mam bas dimag ki soch hai 🤔🤔..
 
Top