Update 20
“tum aksar shant kyun ho jate ho…kahi tumhe aisa toh nahi lagta ki main tumhara Mazak uda raha hoon ,actually main aisa hee hoon….main dil ki baat jubaan par le hee aata hoon….tum chaho toh Sharda Enterprise chhodkar ,mere sath meri company me kaam kar sakte ho….aur tumhari salary hogi 30000 per month….mujhe nahi lagta ki Sharda Enterprise tumhe isase jyada salary degi”
“thirty thousands per month….yuck….itne me tohmeri naukrani bhi kaam na kare”bolkar Shipra has padi aur main khud ko control karne laga ki nahi beta Arman…nahi…in logo ke muh nahi lagna inhe kya pata teri mahanta ke bare me….
.
Maine us waqt jab Shipra mujhpar has rahi thi toh gaur kiya ki Varun ne mera hath chhod diya tha yani ki wo ab chahta tha ki main un sabko jawab du…lekin maine apne mann ko bhatkaya aur apne hee khayalo me kho gaya…is beech Varun bahana markar waha se jana bhi chaha lekin Sonam ne use apni kasam dekar use rok liya….pata nahi wo log Varun ko kyun rok rahe the…kyunki khushi toh unhe meri bezzati karne se mil rahi thi….
“Arman tumne jawab nahi diya ki…tum meri company join karoge ya nahi….”
“done…tees hazar me done…thank you…
yugpurush_arman@india.com me call letter bhej dena… ab khush”
“peon ki post hai….manzoor hai kya”kahte hue David has diya….Sonam aur Shipra bhi hasi lekin main sirf Nisha ko dekh raha tha….wo bhi is samay mand-mand muskura rahi thi....wo kayi baar toh apni hasi rok leti lekin kayi baar uski hasi aisi mand-mand muskano ke roop me samne aa jati thi….jise dekhkar main bhi muskura deta tha….
“toh tum taiyar ho meri company me subah-sham jhadu marne ke liye…”
“sorry…darsal baato hee baato me main kahi aur khoya hua tha , you know… ek busy person ke paas faltu logo ki baato ko sunne ka time nahi hota lekin phhir bhi wo faltu tuchiye log bakar-bakar karte rahte hai toh mujhe unki haan me haan milana padta hai…abhi tak main wahi kar raha tha lekin ab main pure tarike se yahi hoon aur kuch der rahunga bhi toh jo puchhna hai ab puchho….chalo start karo puchhna”
“tum jhooth bol rahe ho…tumne humari sari baate dhyan se suni aur uska jawab bhi diya lekin ab bol rahe ho ki tum kahi khoye hue the….ye kaise mumkin hai”Shipra boli
“MTL hoon main yani ki multi talented ladka…ye toh kuch bhi nahi main toh khoye-khoye tujhe ek jhapad bhi maar sakta hoon , jiske baad tu bhi kho jayegi… try karegi”
“Shipra ko chhodo ,mujhse baat karo…..newton ka third law lagao aur humne tum par jo action liya hai uska reaction do…newton ka third law…jante bhi ho ya nahi…kamal hai…science ke student hokar third law of newton nahi jante….main batata hoon every action has equal and opposite reaction….”
“wow David…. You are so smart…mujhe ye rule likh kar do na…taki main bhi Arman ko ye rule bol saku”David ki taraf dekhkar Shipra boli
“actually, main khoya hua tha ek facebook post me….maine kal facebpook me ek post dekha tha… ek image….koyi jpeg file thi shayad…jo ki kisi nami page ne post kiya tha...jisme do image ko combine kiya gaya tha….ek image thi om sybol ki…om matlab om…shankar bhagwan wala om”hawa me om banate hue maine kaha“aur dusari image par number likha gaya tha 786….aur us image ke upar likha gaya tha ki om ke liye like kare aur allah ke liye comment…dekhte hai kaun jeet-ta hai…yakin nahi manoge us page par barah lakh logo ne like kiya tha aur shayad itne hee logo ne comment…. Maine us pic ko dekha aur usme like aur comment ho rahi sankhya ko dekhkar mere mann me vichar aaya ki kitna free time hai logo ke paas….upar se yadi comment section me jao toh aise aise shabd ek dusare ke religion par kiye hote hai ki unhe main bata nahi sakta…bata nahi sakta kya…main toh soch bhi nahi sakta….bas isi vazah se mujhe socially hona pasand nahi hai kyunki main aksar logo se disappoint ho jata hoon… ab aaj ke dinner ko dekh lo, main jab se aaya hua hoon tab se tum log mera Mazak uda rahe ho, lekin maine kuch kaha….nahi na ….kyunki main janta hoon ki tum logo ki aukat hee yahi hai…group me baithkar kisi ki hooting karna….i just hate everyone…aur David , tu mujhe Shri newton ka third law padha raha hai…abey ullu yadi tune apne 8th semester ki book….sorry 8th semester kaha se aa gaya, teri toh aukat hee nahi ki tu Engineering ke 8th semester tak pahuch paye…yadi tune apne school ki class 8th ki science ki book ko thik dhang se padha hota toh tujhe samajh aata ki newton ke third law me action aur reaction alag-alag body par hota hai lekin tu….tune toh naya rule hee nikal diya…action aur reaction ko ek hee body par thok kar…tujhe toh award milna chahiye…chutiya award…ya phhir ghanta award…ye hua first point….aur dusara point ye ki tune newton ke third rule ke base par mujhse kya bola ki main tujhe apna reaction doon….abey gandul, newton chacha ne kaha tha ki action aur reaction alag-alag time par nahi…usi samay hota hai….toh yadi maine usi samay , jab tum log mera Mazak uda rahe the ya Mazak udane ki koshish kar rahe the toh yadi usi samay main tumlogo ko ek-do mukka mashak deta ya phhir tum logo ke muh me thook deta tab wo hota newton ke third law wala reaction….isliye agali baar se ye rule kahi ghusadne se pahle yaad rakhna ki Shri Arman ne kya kaha tha….BC tum jaise log hee ,bachpan me 2+2 ke jawab me 6,7 likhkar aksar murga bana karte ho….aur Shipra tujhe newton ka third rule chahiye….taki tu mujhe bata sake….tujhe pata hai, tum jaisi ladkiyo ko dekhkar main kya sochta hoon….main sochta hoon ki….tumlog is duniya me kyun aayi…matlab koyi career nahi…koyi knowledge nahi…tum jaise…tum jaisi se matlab tum teeno jaisi ladkiya bas baap ke paise ke dum par 23-24 saal tak aish karti hai phhir shadi kar leti hai….bas life khatm….BC isase achchhi life toh River View Colony ka kutta-Bisleri jeeta hai…kyunki afterall uski koyi respect hai…uska koyi role hai…tum logo ka kya role hai ?…baap ke paise par aish karna…? Tum logo ko zara sa bhi andaza hai ki tum logo ko dekhkar tumhare maa-baap kya sochte honge ? apne dosto ke samne kitni sharam aati hogi unhe ye bolne me ki…meri beti, kuch nahi karti…wo toh bas chhachhundar ke mafiq idhar se udhar din bhar ghumte rahti hai….shame on you, girls….shame on you….”kahkar maine ek lambi saans li aur pani peene laga….paani peene ke baad maine ek Dakar mari aur Shipra ki taraf dekhkar bola“aur janeman, kya haal hai….aglI baar kisi padhe likhe ko le aana mujhse muqabala karne ke liye…toh main chalu, ya kisi aur ko koyi aur baat karni hai…Nisha…?Sonam….?Shipra…..? itni shant kyun ho tum teeno…lagta hai mere baaton ko tumne dil pe le liya…dil pe hee lena warna kahi aur logi toh kahi aur se baat bahar niklegi…badi aayi, third law of newton explain karne wali…. toh main chalu….David bhaiya ? main jaun ya aap mujhe koyi aur naya offer denge ya koyi science ke rule samjhana chahe toh main ruk sakta hoon…basharte aapne un rules ko ek anpadh…bepakal insaan ki tarah na padha ho….”
.
Meri baat ka waha baithe sabhi logo ne bur maan liya tha aur Varun ke reaction ko dekh-kar mujhe ahsas hua ki maine jyada bol diya hai….Shipra ki halat toh rone jaisi ho gayi thi…Sonam aur Nisha bhi gumsum gumsum thi….
“dekha ho gaya na kabada…mujhe chhedte hee kyun ho, phhir..mana ki currently main version 3.0 par chal raha hoon…lekin iska matlab ye thodi hai ki Version 2.0 ke ek bhi features nahi honge…mere dimag me version 1.0 aur 2.0 ka backup hai…jise main jab chahu tab install karke tum sabki fad sakta hoon..that’s Shri Arman for you…bitches”
“main soch raha tha ki ” un sabka kaam tamaam karne ke baad main waha se jaane ke liye khada hee hua tha ki David bol pada“Arman tum baat kar rahe the kisi fb pic ki, jisme kisi famous page ne kuch objectionable material post kiya tha ,jiske karan tumne us post ko like karne wale ,us post me comment karne wale lakho logo ko galat samajh liya….ye kis hadd tak sahi hai…kya yahi tumhari aukat hai….kya tumhari thinking itni giri hui hai ki tumne us page par like,comment karne wale sabhi logo ko galat maan liya…jabki galti sirf us pic ko post karne wale ki thi…tumhe pata hai humare uchi society me log tum jaise insaan ko kya kahte hai…narrow minded…iska matlab bhi pata hai tumhe…narrow minded…”
“abhi tune thodi der pahle science ka rule mujhse pucha tha, usase santusti nahi hui kya…jo tu ab science se koodkar English me aa gaya….abey tune mujhe samajh kya rakha hai…khair jaane do…”
“ok leave it…lekin tu ye toh zaroor manega na ki tu narrow minded hai… tum jaise log hee terriorist jaisi chizo ko badhawa dete hai”
“lol…gay please”
“let me finish… tum ek baar socho aur phhir mujhe batao ki galti kiski thi…us fb post me…use post karne wale ki ya use like/comment karne wale ki”
“dono ki… darasal mera aisa manna hai ki….chutiya banana buri baat nahi hai, chutiya banna buri baat hai….sorry lesbians for my foul language… kya karu, dialogue book me yahi likha tha ”
“toh tum ye kahna chah rahe ho ki us pic ko like karne wala har shaks chahe wo chhota ho ya bada…chahe wo nasamajh hee kyun na ho…wo sab bure hai…ab ye mat kahna ki unme se koyi innocent nahi raha hoga…”
“bahut ho gaya,ye vad-vivad…main chalta hoon”ghadi me time dekhte hue maine kaha…
“toh tum haar gaye…”
“nahi”
“toh phhir ise complete karke jao….jise tumne shuru kiya hai…warna apni haar swikar karo aur hum sabse dus-dus baar sorry bolo”
______________________________