• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

park

Well-Known Member
11,088
13,347
228
Update 135
Raj: Mummy sab thikk hogaa naa.

Smita: Haa Raj sab thikk hogaa. Tu chinta mat kar. Bas kuch hi der mein nurse bahar aake khushkhabri degi.

Kuch 15-20 mins baad Nurse bahar aati hai toh sab usko gher lete hai aur sawaal puchne lagte hai.

Nurse: Shant hojaiye aaplog pehle. Mujhe kuch bolne denge tab naa main kuch bolungi.

Nurse ke bolne ke baad sablog shant hojaate hai toh Raj bolta hai.

Raj: Sister please bataiye naa meri Sonal aur mera bachha kaisa hai.

Nurse: Aapki patni bilkul thikk hai. Aur aapke bachhe bhi bilkul swastha hai. Congratulations aapko twins hue hai. 1 beta aur 1 beti.

Nurse ki baat sunke sablog bahot jyaada khush hojaate hai. Raj ki aankhon se toh khushi ke aansu nikalne lagte hai.

Raj: Mummy sunaa aapne main 2 bachhon ka baap bangaya. Mujhe 2 bachhe hue hai.

Smita: Haa Rajj sunaa mainee. Main bhi toh 2 bachhon ki dadi bangayi.

Nandini: Sister hum kab tak mil sakte hai.

Nurse: Filhal toh woh behosh hai. Kuch der humlog unhe ward mein shift kar rahe hai uske baad aaplog mil sakte hai. Phir Nurse andar chali jaati hai.

Bahar sablog ekdusre ke gale lag ekdusre ko congratulate kar rahe the. Swati ne call karke Shruti ko aur Jaipur mein bhi bata diya tha. Wohlog bhi bahot hi jyaada khush thee.

Kuch der baad doctor bahar aata hai aur bolta hai.

Doctor: Congratulations Mr. Kapoor.

Raj: Thank You Doctor. Kyaa hum unse mil sakte hai.

Doctor: Bas unhe ward mein shift kiya jaa raha hai phir mil sakte hai.

Ragini: Doctor bachhe aur Maa swastha toh hai naa.

Doctor: Haaa bachhe ekdum swastha hai aur rahi baat maa ki toh bhi swastha hai par filhal thodi kamzori hai.

Smita: Doctor dono bachhon mein bada kaun hai.

Doctor: Ladki ka janam 1 min pehle hua hai. Phir doctor waha se chala jaata hai.

Kuch der ke baad Sonal aur bachhon ko ward mein shift kardiya jaata hai. Sonal kamzoori ki wajah se abhi bhi behosh hi thi.

Ward mein shift karne ke baad sablog Sonal aur bachhe ke paas jaate hai. Smita aur Ragini toh jaate hi ek ek bachhe ko apni godd mein utha leti hai.

Ragini: Kitni pyaari hai.

Smita: Haa didi. Dekhiye ladke ki aankhe bilkul Sonal ki tarah hai.

Ragini: Aur ladki ki naak Raj ki tarah.

Nandini: Mummy mujhe bhi toh milne dijiye. Aakhir main inki badi mummy hu.

Payal: Aur main chachi hu. Mujhe bhi milne dijiyee.

Phir ek ek karke sablog bachhon se milte hai. Par Raj toh Sonal ke paas baitha tha aur durr se hi apne bachhon ko dekh raha tha.

Ashok: Aree bachhon ke pita ko bhi dekhne do. Tumsab toh usse bhul hi gaye ho.

Ashok ke bolne ke baad bachhon ko Raj ke bagal mein rakhe palne mein sula diya jaata hai. Jiske baad Raj bas ek tak apne dono bachhon ko dekhne lagta hai. Usse toh jaise aur koi sudh budh hi nhi thi.

Abhi Raj bachhon mein khoya hua tha ke tabhi Nandini ka phone baj uthta hai. Woh dekhti hai ke Shruti ka video call aaya hua hai.

Nandini: Haaa Shruti bolo.

Shruti: Bolna sunna baad mein. Pehle mujhe mere bhatije aur bhatiji se milwao. Kabse wait kar rahi hu.

Phir Nandini palne ke paas aake apne mobile se bachhon ko dikhati hai.

Shruti: Kitnee pyaare hai bhabhi. Pure Raj aur Sonal ki tarah dikhte hai.

Nandini: Haa ekdumm. Bahott pyaare hai.

Shruti: Bhabhi Swati ko bolo ghar aajaye. Ansh baar baar neend se uth raha hai aur ro raha hai.

Swati jo bagal mein thi woh sunn leti hai.

Swati: Bas didi aarahi hu.

Phir call cut hojaata hai.

Raj: Mummy aaplog ab ghar jaaiye. Waha dadi akeli hai.

Smita: Hmm Thikk hai. Main aur tu yahi rukhte hai baaki sab ghar jao. Subah aajana.

Phir sab ekbaar aur bachhe ko dekh kar ghar ki taraf nikal jaate hai.

Unnsab ke jaane ke thodi der baad hi Sonal ko hosh aane lagta hai. Hosh mein aate hi woh sabse pehle ek hi chiz bolti hai.

Sonal: Mere bachheee.

Raj: Sonalll.

Sonal: Rajjjj mere bachhe kaha hai. Mujhee dekhna hai mere bachhon ko. Kaha hai woh.

Raj: Shant hojao Sonal. Humare bachhe ekdum thikk hai. Woh dekho tumhare bagal mein hi so rahe hai.

Sonal jhatt se apne bagal mein dekhti hai toh paati ke hai palne mein uske dono bachhe so rahe the jinhe dekh kar hi Sonal ki aankhon mein aansu aajate hai.

Sonal: Aankhon mein aansu liyee. Rajjj humare bachhe. Yehh humaree bachhe haii.

Raj: Haa Sonall yeh humare hi bachhe hai. Aaj main bahott khushh hu. Tumne mujhee 2 bachhon ka baap bana diyaa. Main bahott khushh hu.

Sonal: Aaj main puri hogyi Raj. Aaj main puri hogyi. Ab mujhee aur kuchh nhii chahiyeee. Kuchh nhii.

Smita: Sonalll.

Sonal: Mummyyy. Mainn maa bangayi Mummy. Yehh mere bachhe hai.

Smita: Haa Sonall. Bahott bahott badhaii ho. Tumne aaj humhe bahott badi khushi di hai.

Sonal bas apne bachhon ko dekhe jaa rahi thi. Tabhi waha Nurse aati hai aur bolti hai.

Nurse: Chaliye ab aaplog bahar jaaiye. Ab bachhon ke feeding ka time hogya hai.


Phir Raj aur Smita bahar chale jaate hai aur Sonal apne bachhon ko feed karne lagti hai.
Nice and superb update....
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,552
244
वाह ! क्या बात है । कहानी बहुत ही फास्ट ट्रैक पर चल रही है । सोनल और राज के जुड़वां बच्चे भी पैदा हो गए । और इशिका और समर की भी शादी हो गई । यही नहीं बल्कि आरव और पायल की शादी भी हो गई ।
सभी लड़के गैर जिम्मेदारी से जिम्मेदारी के आंगन में प्रवेश कर गए । सबसे अच्छी बात कि सभी को अपना प्यार हासिल हो गया ।
एक और काम भी बेहद अच्छा हुआ कि विक्की भी अब अपने माता-पिता के साथ जल्दी ही खुशी खुशी अपनी लाइफ व्यतित करने लगेगा । एक्चुअली मुझे विक्की से ज्यादा उसके माता-पिता की फिकर थी । एक ही संतान और वो भी यदि नालायक निकल जाएं एवं जेल के सलाखों के पीछे पहुंच जाए तो भला कौन मां बाप खुशी से रह सकेगा ! मुझे विश्वास है विक्की अब एक अच्छा इंसान बन कर अपने मां बाप का नाम रोशन करेगा ।

सभी अपडेट्स बेहद ही खूबसूरत थे जगूआर भाई । सही मायने में यह कहानी एक्चुअली सोनल की ही थी । उसके निस्वार्थ प्रेम और कष्टों की थी । उसके बदलते चरित्र की थी । राज के लिए उसकी प्रेम भावना एवं उसके परिवार के लिए अटूट श्रद्धा , सच में काबिले तारीफ थी ।
यही नहीं बल्कि उन लोगों के लिए भी जिन्होंने उसे हमेशा कष्ट पहुंचाने की कोशिश की , उन्हें भी जरूरत पड़ने पर मदद ही करती रही । चाहे विक्की हो या फिर नेहा , किसी के प्रति उसके मन में मैल रहा ही नहीं ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट जगुआर भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
Thank you

Ab kahani apne anth ki taraf hai toh sabko sabke pyaar se mila diyaa. Sabhi gairr jimmedaar ko akal deke jimmedari de di.

Aur aapne sahi kaha yeh kahani ek tarah se Sonal ke bepanaah ishq ki hi hai. Jis tarah se usne Raj se pyaar kiya. Uske liye apni zindagi daao pe laga di par kabhi bhi usse kuch maang nhi kiya. Humesha apne niswarth prem ka parichay diya hai.
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,340
56,418
304
Update 130
Agli subah jab Sonal ki neend khulti hai woh dekhti hai ke woh Raj se chipak ke sorahi thi. Phir woh jaldi se uthti hai Raj ko ek kiss karke washroom chali jaati hai.

Jab woh bahar aati hai toh dekhti hai ke Raj bhi uth gaya hai.

Sonal: Kyaa baat hai aaj mere patidev jaldi uth gaye.

Raj: Bas neend khul gayi. Tum kidher chali subah subah.

Sonal: Main chali nichhe kitchen mein bhabhi ki help karne. Aap jaiye fresh hojaiye. Yeh bol woh wardrobe ki taraf jaati hai aur Raj ke kapde nikal ke bed mein rakh deti hai aur phir nichhe chali jaati hai.

Sonal kitchen mein aake Nandini ki help karne lagti hai. Thodi der mein sablog nichhe hall mein breakfast ke liye baithe hue the toh Raj bolta hai.

Raj: Mummy Badi Mummy woh mujhe aur Sonal ko aapsab se kuch kehna hai.

Ragini: Hmm bolo.

Raj Sonal ki taraf dekhta hai woh sharma jaati hai.

Raj: Woh actually woh...

Smita: Ab bolo bhii. Kyaa woh woh kar rahe ho. Sonall betaa tum bolo kyaa baat hai.

Sonal: Wohh Mummy actually mein aap woh aap Dadi banne wali hai. Yeh bol apna chehra apni hatheliyon mein chipa leti hai.

Smita: Bas itni si baat. Kyaaaaaa kahaaa tumneeeee phirrr seee kehnaaaaaa. Rajjjjjjjj.

Raj: Haa Mummy yehhh sachhhh haiii. Sonalll pregnanttt haiii.

Smita: Sachhhhhhhhh. Mainnn Dadiii banneee waliiii huuu. Didi sunaaa aapneee mainn Dadiii bannee walii huu.

Ragini: Areee mainn bhiii tohhh phirr see dadiii banne walii huuu.

Dono jaldi se Sonal ke paas jaake usse galee laga lete hai. Karan Aarav Ashok Vijay Raj ko galee laga lete hai aur sab congratulate karnee lagte hai.

Smita: Aajjj mainn bahott khushh hu. Nandini jaldi se meethaii laao. Sabka muh meetha karwaoo. Aakhirr mainn Dadii banne waali hu.

Nandini: Bilkull chottii mummy. Main bhii tohh Badi Mummy Banne wali hu. Yehh bol woh bhaag ke jaati hai aur Meethai leke aati aur sabka muh meetha karwati hai.

Ragini: Sonall betaa kitna waqtt hua haii.

Sonal: Mujhee toh kal subah pata chala hai. 1 month hua hai abhiii.

Nandini: Mummy yaani ab se Sonal ki kitchen mein entryyy bandd.

Sonal: Areee aisaa kyoo.

Nandini: Achhaa jii aisaa kyooo. Bhul gayi mere timee pe kyaa kiyaa tha tumnee. Ginn ginn ke badla lungii. Chorungii nhii tumhee.

Sonal masoom sa muh banake khadi rehti hai.

Smita: Aree koi jaldi se Jaipur call lagao waha bhi toh yeh khush khabri do. Unhe bhi toh pata chalee.

Raj: Main lagata hu. Phir Raj Jaipur call lagata hai.

Meera: Hello.

Smita: Helloo main Smitaa bol rahi hu.

Meera: Haa Smitaaa boloo. Aaj subah subah kaise yaad kiyaa. Sab thikk hai naa.

Smita: Haa yaha sab thikk haii. Tumhe ek khush khabri dene ke liye call kiyaa. Tum phirr se Nani banne walii hooo.

Meera: Kyaaaaaaaa. Sachhhhhh meinnnn. Matlabbbb meriii Sonallll.

Smita: Haaaaa sahiii samjhaaaa. Mainnn dadiii banne walii huuu.

Meera: Kyaaaa khabarr sunayii haiii. Dill khushhh kardiyaaa. Sonalll kaha haiii. Usse baat karwaoo.

Smita: Lo baat karoo apnii mummy see.

Sonal: Mummyy.

Meera: Sonallll betaaaa. Bahot bahott badhaii hoo. Tumnee aaj humhe bahott badii khushii dii haii.

Sonal: Aapko bhii badhaiii hoo Mummy.

Meera: Tumm thikk hoo naa betaaa. Kitnaa waqtt huaa haiii.

Sonal: Mainn bilkull thikk huuu. 1 monthh huaa haii.

Meera: Humm jaldd hii Mumbaii aarahee haii. Tumnee Swati ko batayaa.

Sonal: Nhii Mummyy. Bataungii abhii.

Meera: Thikk haii. Tum apna ab khayall rakhnaaa. Humm jalddd aayengee.

Sonal: Jiii.

Phirrr call cutt hojaata hai.

Vijay: Aaj office mein sabko bonus. Aakhir itni badi khushi ki baat hai.

Ashok: Bilkulll. Raj office jaate waqt pure office ke liye meethai le lena.

Raj: Jii Bilkulll.

Phir sablogg apne apne office chalee jaate hai. Raaste se Raj sabke liyee meethai ke boxes le leta hai.

Idher Sonal apne room mein chali jaati hai aur sidha Swati ko call karti hai.

Swati: Mainn tujheee hii call karnee walii thiii. Congratsssss Sonalll. Bahott bahottt badhaii hoo. Mainn Masiii banne walii huu.

Sonal: Aapko bhi badhai ho Diii. Par aapko kisne kaha.

Swati: Abhi abhi Shruti Didi ne kaha. Unhe Nandini bhabhi ka phone aaya thaa. Mainn tujhee bata nhii saktii mainn tere liyee kitnii khushh huu.

Sonal: Mainnn bhii bahott khushh huu didi. Mainn aapko bata nhii saktii mainn kaisaa feel kar rahii huu.

Swati: Mainn jaantii huu Sonall. Mainee woh stagee cross kiyaa hai. Rajj khushh hai naa.

Sonal: Wohh tohh bahott jyaada khushh hai. Purii raat issbaare meinn hi baat kar rahe the. Unhone toh naajaane kyaa kyaa soch liya hai. Wohh bahott khushh hai.

Phir dono aise hi kuch derr baat karke call kar dete hai.

Raat ko kapoor house mein Swati Yash Ishant Shurti Ansh Shristi Ishita Payal sab Sonal ko milne aaye hue thee. Sablog bahott hii jyaada khushh thee aur bachhe ko lekar hi baat kiye jaa rahe thee.

Kuch der baad sablog baith ke dinner karne lagte hai par Sonal ko special treatment dena start hogya tha. Jisme Nandini ka thoda jyaada haath thaa.

Dinner karne baad sablog ekbaar phir se Raj aur Sonal ko congratulate karke apne apne ghar chale jaate hai.

Ragini: Sonalll abse tum koii kaam nhii karogii.

Sonal: Par badi mummy. Itni jaldiii. Abhi toh sirf 1 month hua hai. Bhabhi ke waqt toh 5th month se yeh rule start hua tha.

Ragini: Baat toh sahii haii. Thik haii parr jyaada kaam nhii karogii. Mujhe pata hai tum maanogi nhi.

Sonal bas muskura detii hai. Phir sablog apne apne kamre mein chale jaate hai.

Kamre mein aate hi Raj Sonal ko godd mein utha ke uchalne lagta hai.

Sonal: Rajjj kyaa kar rahe haii aap. Mainn girr jaungii. Mujhee nichhe utariyee

Raj: Sonal ko nichhe utarr ke. Mainn bahott khushh huu. Bahottt jyaadaa. Thankk Youuu sooo muchhh. Yeh bol uske honthon ko chumm leta hai.

Sonal bas uske seene se lagg jaati hai.

Phir dono ekdusre ki baahon mein hi so jaate hai.

Agle din Sonal ke Mummy Papa aur bhai bhi aajate hai. Meera ki khushi toh jaise kam hi nhi horahi thi. Phir se Nani banne ki khushi uske chehre pe saaf samaj aarahi thi. Aakhir uski sabse jyaada laad pyaar mein pali beti maa banne wali thi.


Samar bhi bahot khush thaa. Aakhir uski Shinchan ko itni badi khushi mili thi. Usne toh apni Shinchan ko bol diya tha ke usse bhanji hi chahiyee.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

सोनल ने अपने माँ बनने की खुशखबरी सभी को दे दी। सभी बहुत ही खुश हुए। आखिर खुश क्यों न हों।। सोनल ने और राज ने कितना संघर्ष किया है अपनी जिंदगी को सुधारने के लिए।।

ये माँ बनने की खुशी हर लड़की के लिए बहुत ही खास होती है। क्योंकि एक लड़की तभी पूरी होती है जब वो मां बने।।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,340
56,418
304
Update 131
Dheere dheere time guzarne lagta hai. Aur guzarte time ke saath Sonal ki delivery ka time bhi najdeek aane lagta hai.

Raj Sonal ka dhyaan ab thoda jyaada hi rakhne laga tha. Sonal ko ghumane le jaana usse uski pasand ka khaana khilana. Sonal ki bachhon wali jidd ko pura karna sabkuch Raj bahot hi achhe se kar raha tha.

Sonal ko toh ab kitchen ko dekhna bhi mana kardiya gaya tha. Usko bas ek jagah baitha diya jaata tha aur uska saara kaam Nandini Smita Ragini milke kardiya karte the.

Par jaise jaise delivery ka time najdeek aaraha tha waise waise Sonal ka mood Swing bhi horaha tha jisme woh sabse jyaada pareshan Raj ko hi karti thi.

Ekdin raat ko Raj aur Sonal dono aaram se so rahe the. Par tabhi achanak se Sonal ki neend khul jaati hai aur woh uthke baith jaati hai aur bagal mein soye Raj ko dekhne lagti hai.

Phir achanak se rone lagti hai. Uska rona sunn Raj jhatt se uth jaata hai.

Raj: Areee kyaaa huaaa. Ro kyoo rahii hoo. Kuchh huaa kyaaa.

Sonal bas royee jaa rahi thi jisse Raj tension mein aajata hai.

Raj: Sonal ko apni baahon mein leke. Kyaa huaa meri Sonu ko kyoo ro rahi hai. Koi bura sapna dekha kyaa. Bolo mujhe kyaa huaa.

Sonal: Sisakte hue. Wohh mujhee naa bhukk lag rahi hai. Mujhe abhii chocolate Milkshake peena hai.

Sonal ki baat sunke Raj ka dimaag hi kharab hojaata hai. Usse samaj nhi aata woh kyaa karee. Sonal ko daant nhi sakta tha aur chup bhi nhi raha jaa raha thaa.

Raj: Tum pagal hogyi ho kyaa. Itni si baat ke liyee tumne rona start kardiyaa. Aur baat bhi kyaa thi. Chocolate milkshake peena hai. Kuchh nhii milegaa. Chup chap so jaao.

Sonal: Rotee huee. Aap humse pyaar nhii kartee. Mujhe aur mere bachhe ko bhukk lagi hai. Humhe Chocolate Milkshake peena hai.

Raj: Apna sir pitt ke. Aree merii jaan main tumse aur humare bachhe se bahott pyaar karta hu. Par itni raat ko Milkshake kaha se laau.

Sonal: Kitchen se. Mujheee kuch nhi pata humhe milkshake peena hai. Jaldii jaaiyee leke aaiyeee.

Raj: Kyaaa musibat haii.

Sonal: Rotee huee. Aapne humhe musibat kaha. Aap humse pyaar nhi karte. Bechara meraa bachhaa. Hum kal hi Jaipur chale jaayengee. Nhii rahengee yaha parr.

Raj: Ayeee chupp karoo. Laata huu Milkshake. Jab dekho Jaipur jaane ki dhamki. Laata hu tumhara Milkshake. Pareshan karke rakh diya hai.

Sonal: Jaldi laana aur sang Chips bhi lete aana.

Raj: Aur kuchh chahiyee madam.

Sonal: Nhii filhall itna hi. Aur jaldi.

Raj apne mein hi badbadata hua room se nikal jaata hai aur kitchen mein jaake Sonal ke liye Milkshake banane lagta hai.

Thodi der baad Raj room mein aata hai uske haath mein ek tray hota hai jisme ek glass mein Chocolate milkshake aur chips ka packet hota hai.

Raj: Lo thuso aur shanti do.

Sonal: Kyaa kaha aapne.

Raj: Kyaa kaha. Maine toh kaha lo peeyo aur so jao.

Sonal Raj ko ghurte hue glass apne haath mein leke peene lagti hai aur chips khaane lagti hai. Woh jaanmuzz ke ekdum dheere dheere pee rahi thi. Jisse Raj ko chidd horahi thi.

Raj: Thoda jaldi pee lo naa. Mujhe neend aarahi hai.

Sonal: Pee rahi hu naa. Shaanti se peene bhi nhi dete aap toh.

Raj bebas hoke Sonal ko ghurne lagta hai. Kyoki usse Karan aur Yash ne pehle hi warn kardiya tha ke aisa kuch hoga. Par tab usne yakeen nhi kiya tha.

Khairr thodi der mein Sonal apna Milkshake aur Chips khatam kardeti hai aur chup chaap glass table mein rakhke so jaati hai.

Raj bas thaga sa usko dekhne lagta hai. Sonal ne usko aise ignore kiya jaise woh waha hai hi nhi.

Raj: Yehh kyaa thaa.

Sonal: Kyaaa huaaa. Lights kyo on karke rakhi hai aapne. So jaaiye naa. Mujhe bahot neend aarahi hai.

Raj: Achhaa betaaa. Maine lights onn rakhi hai. Aur yeh kyaa naa. Naa koi Thank You naa kuch.

Sonal: Thank You kisliyee.

Raj: Kisliye matlab. Ek toh itni raat ko tumhare liye yeh Milkshake aur chips laya tumne mujhe jaanmuzz ke itna pareshan kiya.

Sonal: Masoom sa face banake. Mainee aapko pareshan kiya. Aap mere aur mere bachhe ke liye itna nhi karsakte. Aap humse pyaar nhi karte naa.

Raj: Pleaseee Sonu ab yeh nautanki start mat karo. Mujhe pata hai tum yeh jaanmuzz ke bolti ho. Aur yeh jaipur chale jaane ki dhamki bhi jaanmuzz ke deti ho. Tumhe pata hai tumhare bina main ek pal nhi rehsakta isiliye tum mujhe darati ho.

Sonal ishare se Raj ko kareeb bulati hai aur uska coller pakad ke ekdum apne chehre ke paas karke bolti hai. Jab aapko sab pata hai toh chup chaap darr jaaya kijiye. Aur aapko pata hai jab aap aise mere liye karte hai naa toh mujhe aapke upar bahott pyaar aata hai. Yeh bol uske honthon ko chum leti hai.

Raj: Tumhare isi adaa pe toh main ghayal hu. Tumhe achhe se pata hai mujhe kaise manaya jaata hai.

Sonal: Aapki biwi hu lover hu dost hu ab yeh baat mujhe nhi pata rahega toh kisse rahega.

Raj: Chalo ab so jaao. Kuch der mein hi Subah hojayegi.

Phir Raj lights aur gate band kardeta hai aur Sonal ke bagal mein aake let jaata hai. Sonal Raj ko kash ke pakad leti hai.

Sonal: Thankk youu so muchh. Aur Sorry bhii.

Raj: Tumhe pata hai tum kitni badi Pagal hoo.

Sonal: Sirf aapke liyee.

Raj: Aur mujhe bhi iss pagal se iske pagalpan se bahott pyaar hai. Yeh bol uske maathe ko chum leta hai aur usse pakad ke so jaata hai.

Agle din dining table pe Raj baithe baithe jamayi le raha tha. Uski neend puri jo nhi hui thi.

Smita: Kyaa baat hai Raj. Puri raat soya nhi kyaa jo abhi bhi neend aarahi hai.

Raj: Kaha Mummy. Aadhi raat ko uth gaya tha aur uske baad bahot late se neend aayi aur abhi subah jaldi utha diya.

Ragini: Aadhi raat ko uthke kyaa kar raha tha.

Ragini ki baat sunke Raj Sonal mi taraf dekh raha tha toh Sonal usse ishaare se kuch naa kehne ko bolti hai.

Raj: Sonal ko ghurte hue. Kuchh nhii badi mummy. Bas achanak se neend khul gayi thi.

Nandini: Yehh raat ko kisi ne Milkshake piya thaa kya aur Kartik ke liye chips ka packet tha woh nhi khaali dustbin mein padha hua hai.

Nandini ki baat sunke Raj khaashne lagta hai aur Sonal apni nazre ghuma ke dusri taraf dekhne lagti hai.

Smita: Aree kyaa hogyaa. Le paani pee. Milkshake ki baat sunke tujhe khaashi ko aagayi. Kahi raat ko tune hi toh nhi pi.

Apni maa ki baat sun Raj Sonal ko ghurne lagta hai par Sonal toh uski taraf dekhti bhi nhi hai.

Smita: Sonal ko kyaa ghurr raha hai. Boll.

Raj: Jii Mummy. Woh neend toot gayi thi aur thodi bhukk bhi lag rahi thi toh maine hi piya tha aur woh chips bhi maine hi khaaya tha. Mann mein. Kyaa zindagi hai karee koi bharee koi. Aadhi raat ko mujhe pareshan karke khudne Milkshake piya aur ilzaam mere pe aagaya.

Ragini: Choro ab pi liya toh pi liya. Chalo sab nashta karlo.

Phir sab nashta karne lagte hai aur uske baad sab apne apne kaam mein chale jaate hai.

Dopahar ke waqt achanak se Meera Deepak aur Samar Kapoor house aajate hai. Unhe aise achanak waha dekh sab hairaan hojaate hai.

Sonal: Mummy Papa aaplog yaha achanak. Sabb thikk hai naa.

Deepak: Haa betaa sab thikk hai. Swati ka call aaya tha kal usne bola ke humlog jaldi se Mumbai aajaye.

Sonal: Par didi ne mujhe toh aisa kuch nhi bola. Aur yeh bandar itna dara hua kyo hai.

Meera: Pata nhii. Kal jab se Swati ne call karke bulaya hai tab se hi yeh dara hua hai. Yeh toh aana hi nhi chahta tha hum jabardasti leke aaye hai.

Sonal: Samar kyaa kiya hai tune jo didi ne sabko yaha bulaya. Aur tu itna dara hua kyo hai.

Samar: Mujhe nhii pata didi. Aur main kaha dara hua hu. Main bilkul thikk hu.

Sonal: Toh Mummy kyaa bol rahi hai.

Samar: Mujhe nhi pata. Woh toh office mein bahot kaam tha isiliye main nhi aana chahta tha.


Sonal: Tujhe nhi pata toh thikk hai. Didi aayegi tabhi sab pata chal jayega.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

ये लड़कियां और उनकी नौटंकी।
भगवान ही बचाए इनसे।
समर दर हुआ इसलिए होगा क्योंकि स्वाति को समर और इशिता के प्यार के बारे में पता चल गया होगा। अब आया ऊंट पहाड़ के नीचे।।😂
 

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,671
144
Update 134
Raj jab apne room mein aata hai toh Sonal khidki ke paas khadi thi. Raj Sonal ke paas aake usko apni baahon mein le leta hai aur bolta hai.

Raj: Humare bachhe ne aisa kaun si galti kardi jo tum usse aise khadi rehke saza de rahi ho.

Sonal: Aisi koi baat nhi hai Raj. Main bas kuch soch rahi thi.

Raj: Achhhaa. Toh kyaa soch hai mere pyaari si biwi.

Sonal: Agar main aapse kuch maangu toh kyaa aap mujhe dengee.

Raj: Tumhe maangne ki koi jarurat nhi hai tum bas order diya karo.

Sonal: Kyaa aap Karan Bhaiya ko bolke Vicky ki saza kam nhi karwa sakte. Aaj Uncle Aunty aaye the toh unse baat karne pe unhone bola ke usse apni galti ka aihsaas hogya hai. Aur maafi bhi maang raha tha. Isiliye please uski saza kam karwa dijiye. Mujhse Uncle Aunty ka dukh dekha nhi gaya.

Raj: Tumhe pata hai tumhari isi achhai ka faiyda log uthate hai.

Sonal: Pleasee maan jaaiye naa. Kyaa aap apni biwi ki itni si baat nhi maanenge. Pleasee.

Raj: Achha thikk hai. Main karta hu bhaiya se baat. Khushhh.

Sonal: Thankkk youuu. Aap bahott achhe hai. I Lovee Youuu.

Raj: I Love You Too. Par agar usne bahar aake phir se kuch kiya toh main usse nhi chorungaa.

Sonal: Thikk hai.

Phir dono so jaate hai.

Agle din subah Ishita jaha Samar ke saath apne ghar aati hai wahi Payal bhi Aarav ke saath apne ghar jaati hai pagfhere ki rashm ke liye. Sham ko Samar aur Ishita apne parivaar ke saath Jaipur chale jaate hai. Jaipur jaate waqt bhi Ishita khub roti hai.

Dekhte dekhte inki shaadi ko bhi kuch mahine guzar jaate hai aur Sonal ki delivery date bhi bahot hi jyaada najdeek aajati hai. Kisi bhi din usko admit karna padh sakta tha. Raj ne Karan se baat karke Vicky ki saza bhi kam karwa di thi.

Ek din raat ko sablog aaram se so rahe the. Par tabhi achanak se Sonal ki neend toot jaati hai uske pet mein dard bhi hone lagta hai.

Sonal: Rajjjjjj Rajjjjj uthiyeeeee.

Par Raj gehri neend mein so raha thaa isiliye uske bulane ke baad bhi nhi uth raha tha.

Sonal: Dard se chillate hue. Rajjjjjjjjj. Uthiyeeeeeee.

Sonal ke aise chillane se Raj ki neend toot jaati hai aur woh jhatt se uthke baith jaata hai.

Raj: Kyaaa huaaa chilla kyo rahi ho.

Sonal: Timeee aagya haii meraaa. Jaldi se Mummy ko bulaiyeee. Aaaahhhhhhh Mummyyyyyyyyy.

Sonal ki baat sunke Raj jhatt se bhaagta hai aur apni maa ke kamre ke paas aake jorr jorr se darwaaza khatkaane lagta hai.

Kuch der mein Smita darwaza kholti hai aur Raj ko waha dekh kar woh samaj jaati hai kyaa hua hai.

Smita: Jaldi se sabko utha. Main Sonal ko sambhalti hu. Yeh bol woh Sonal ke paas bhaagti hai.

Raj jaldi se Ragini Nandini Payal sabko uthata hai aur Sonal ke paas bhaagta hai.

Smita: Raj jaldi se gaadi nikal. Nandini Sonal ke doctor ko call karo aur bolo hospital aajaye. Aarav Swati ko bhi call karke bolde.

Sonal: Rote hue. Aaaahhhhhh Mummmyyy bahottt darddd horaha haiiii. Kuchhh kijiyeee naaaaa. Aaaahhhhhhhh.

Ragini: Bas bas Sonal. Thodi der hum hospital jaa rahe hai naa. Rajj jaldi karrr.

Karan: Main gaadi nikalta hu. Raj tu Sonal ko leke aa. Yeh bol woh bahar bhaag jaata hai.

Raj jaldi se Sonal ke paas aata hai aur usse godd mein uthake nichhe jaane lagta hai.

Smita: Rajj sambhal kee.

Raj Sonal ko leke bahar aata hai aur usko gaadi ke backseat mein sula deta hai. Smita Sonal ka sir apni god mein le leti hai aur Ragini uske pairon ko. Karan Car drive karne lagta hai aur Raj uske paas baith jaata hai.

Payal: Bhaiyaa yeh bhabhi ka bag le lijiye. Isme sab jarurat ka samaan hai.

Raj woh bag le leta hai aur Karan gaadi ko hospital ki taraf bhaga deta hai. Aarav bhi Payal aur Nandini ko leke pichhe pichhe nikal jaata hai.

Udher Swati ko jab Aarav call karke bolta hai toh woh bhi Yash ko saath nikal jaati hai. Ishant aur Shruti ghar mein hi rehte hai bachhon ke saath.

Thodi der mein Sonal ko leke hospital pahonch jaate hai aur Sonal ko OT mein lejaaya jaata hai. Thodi der baad sablog aajate hai. Raj toh tension mein idher udher ghume jaa raha tha.

Smita: Raj ek jagah baith jaa. Kyo aise ghum raha hai.

Raj: Mummy Sonal ko kitna dard horaha tha. Woh thikk toh hogi naa. Mujhe bahot tension horahi hai.

Smita: Aree kuch nhi hogaa usse. Aur yeh dard toh har aurat ko sehna hi padhta hai.

Nandini: Aur nhi toh kyaa. Tumlogo ko kyaa lagta hai bachhe ko janam dena aasan hota hai. Bachhe ko janam dete waqt jo dard hota hai naa uss dard ko sehne ki himmat aur taqat sirf hum aurato ke paas hoti hai. Aur tum chinta mat karo. Sonal bilkul thikk hai. Bas kuch hi der mein bachhe ki awaaz sunayi degi.

Sablog Raj ko samjhane lagte hai par Raj ka tension kam hi nhi horaha tha woh bas OT ke saamne idher udher chal raha thaa. Tabhi waha ek nurse aati hai aur bolti hai aap mein se OT mein jo patient se unka family member kaun hai.

Raj: Kya hua sister. Sab thik hai naa. Main uska pati hu. Sonal thikk hai naa.

Nurse: Jii aap tension naa le. Woh thikk hai. Abhi delivery mein time hai aur doctor aagaye hai. Tab tak aap yeh admission form bhar dijiye.

Aarav: Aap form mujhe dijiye. Main fill kar deta hu. Yeh bol Aarav form leke reception pe chala jaata hai.

Nandini: Swati tumne Jaipur call karke bataya yaa nhi.

Swati: Oo sorry bhabhi main bhul gayi. Mujhe jaise hi pata chala main turant aagayi. Main abhi kardeti hu. Yeh bol Swati thoda durr jaake Ishita ko call karti hai.

Ishita: Kyaa huaa bhabhi itni raat ko call kiya sab thikk hai naa.

Swati: Haa sab thikk hai. Samar kaha hai.

Ishita: Samar toh so rahe hai. Unhe uthau kyaa.

Swati: Tum baad mein utha dena. Maine bas yeh bolne ke liye call kiya hai ke Sonal ko hospital mein admit kardiya hai. Tumlog kal aajana.

Ishita: Kyaaa. Admit kardiya. Matlab main phir se bua ban gayi. Aur Mami bhi.

Swati: Bani nhi ho banogi. Tum Mummy Papa ko boldena.

Ishita: Thik hai. Hum kal subah tak aajayengee. Yeh bol call cut kardeti hai aur jaake Samar ko uthati hai.

Ishita: Samar Samar uthiyeee. Samarrrr.

Samar: Kyaa hai Ishu. Sone do na.

Ishita: Aree Sonal bhabhi ko Hospital mein admit kardiya hai. Swati bhabhi ka call aaya tha. Uthiyee naa.

Samar: Jhatt se uthke. Kyaaa Shinchan hospital mein.

Ishita: Haaa. Aap uthiye aur tickets dekhiye Main Mummy Papa ko batati hu. Yeh bol woh Meera ke kamre ki taraf bhaagti hai.

Ishita Meera ke kamre mein aake darwaaza knock karti hai toh kuch der baad Meera darwaaza kholti hai aur saamne Ishita ko dekh hairan hoti hai.

Meera: Aree Ishu beta kyaa baat hai itni raat ko. Sab thikk hai naa.

Ishita: Mummy woh Mumbai se call aaya tha. Sonal bhabhi ko admit kardiya hai. Kal chalna hai waha.

Meera: Sachhhh. Bhagwaan karee sab achha ho.

Ishita: Jiii. Kal subah subah hi nikalna hai toh samaan pack karlijiye. Samar tickets check kar rahe honge.

Meera: Thikk hai.

Idher Hospital mein Sonal ka dard badhta jaaraha tha doctor uske reports ko ekbaar phir se recheck kar raha tha. Reports check karne ke baad woh bahar aata hai aur bolta hai.

Doctor: Dekhiye delivery mein thoda time baaki hai. Par Patient ki body mein khoon ki thodi kami hai. Toh humhe khoon chadana hoga.

Raj: Doctor Meri Sonal aur mera bachha toh thikk hai naa.

Doctor: Haa Patient aur bachha bilkul thikk hai. Aaplog jaldi se khoon ka intezaam kardiye.

Raj: Kis group ka khoon chahiye doctor.

Doctor: B+.

Raj: Mera bhi yehi group hai. Aap mera khoon le lijiye.

Doctoe: Sister inko le jao aur blood check karke khoon le lo aur patient ko chada do.

Nurse: Yes Doctor. Phir Raj Nurse ke saath chala jaata hai.


Thodi der baad Sonal ki delivery time hojaata hai toh Doctor bhi apne kaam mein lag jaata hai. Bahar ab sabko thodi tension horahi thi.

आखिर सोनल ने मन की बात राज से कह ही दिया राज का कहना भी सही हैं विक्की बाहर आकार कुछ गलत किया तो राज विक्की के साथ कुछ भी करेगा।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
28,340
56,418
304
Update 132
Raat ke waqt Ishant Shruti Yash Swati Ansh Shristi Ishita sab kapoor house mein baithe hue the. Samar ki tarah Ishita bhi darii hui thi.

Meera: Swati kyaa baat hai tumne achanak se humsab ko yaha kyo bulaya woh bhi jaldi mein. Sab thikk hai naa.

Swati: Yehh tohh aap iss Samar se puchiyee. Iski wajah se hi maine aapko yaha bulaya hai.

Shruti: Sirf Samar se nhii Swati. Ishita se bhi. Jitni galti Samar ki hai utni hi galti Ishita ki bhi hai. Humne kabhi nhi socha tha yeh aisa karengee.

Ishita: Nam aankhon se. I am sorry bhabhii. Galti hogyii.

Shruti: Thoda gusse mein. Galti hogyi. Kyaa matlab galti hogyi.

Smita: Shrutiiii. Yeh kyaa baat hui. Tumhe koi haq nhi ke tum aise meri bachhi ko daanto. Aakhir inndono ne kyaa kiya hai. Ishu beta yaha aa.

Ishita daud ke aati hai aur Smita ke gale lag jaati hai uski aankhon mein aansu tak aagaye thee. Aakhir pehli baar kisi ne uspe gussa kiya thaa.

Smita: Shrutii dekho kaise meri ful si bachhi ki aankhon mein aansu aagaye hai.

Shruti ko bhi yeh dekh kar hairaani hoti hai. Woh uth ke Ishita ke paas aati hai aur bolti hai.

Shurti: Areee Ishu aise rote nhii. I am Sorryyyy. Pleasee aisee matt roo tum toh meri gudiyaa ho naa. Chupp hojaaooo.

Ishita: Shruti ke gale lag ke. I am sorry bhabhiii. Galtii hogyiii.

Meera: Shrutii Swatii ab bahott hogyaa tumlogo ka mazaak. Dekho tumhare mazaak ne humari beti ko rulaa diyaa. Ishita beta rona band ko aur tumne koi galti nhii ki. Chupp ho jaooo.

Swati: Haa Ishitaa. Hum toh bas mazaak kar rahe thee. Humhe nhi pata tha tum rona start kardogi. Chupp hojaaoo.

Sonal: Areee koii humhe bhi batayegaa aakhir baat kyaa hai.

Swati: Inn madam ka aur humare uss bandar ka pyaar ka chakar chal raha hai. Dono ne humari naak ke nichhe itna bada game khel diya aur humhe pata tak nhi chala.

Sonal: Kyaaaaaa. Samar aur Ishitaaaaa. Kabseeee.

Swati: Humari shaadi ke baad se hi hi chal raha hai. Yeh toh Shruti didi ne inki baate sunn li warna yeh toh batate hi nhi kabhii.

Meera: Aur inndono ne humhe yaha bulaya hai. Rishte ki baat karne ke liye. Par sabko pareshan karne wali ko inhone pareshan karne ka plan banaya thaa aur yeh usi plan ka hissa tha. Par Ishita ne ro diya.

Ishita aur Samar rishte ki baat sunke hairaan hojaate hai. Ishita ka rona toh rukh chuka tha wahi ab uske chehre pe sharm aur khushi aagayi thi.

Ishant: Uncle Aunty aaplog toh sab jaante hai ke maine aur Yash ne kabhi bhi Ishita ko maa baap ki kami mehsus nhi hone di. Isse humne bade hi pyaar se pala hai. Iski har jidd ko humne pura kiya hai.

Shruti aur Swati ke aane ke baad isko ek maa ka aur dost ka pyaar bhi mil gaya. Humne humesha iski har baat maani hai. Aur aaj hum apni iss beti ke liye aapke bete ka haath maang rahe hai.

Meera: Ishant beta Swati ne humhe sab pehle se hi phone pe batadiya hai. Aur tum bilkul bhi chinta mat karo. Ishita jaise yaha rehti hai waha bhi bilkul waisi hi rahegi. Yeh yaha pe Rajkumari ki tarah rahi hai toh waha bhi yeh ekdum rajkumari ki tarah hi rahegi.

Shruti: Ab toh khush hai naa humari gudiyaa.

Ishita: Thankkk Youu bhabhiii. Thankk youuu so muchhh.

Shruti: Aree aisa kabhi hua hai ke tumne kuch maanga ho aur humne tumhe naa diya ho.

Swati: Aur phir yeh toh tumhari zindagi ka sawaal hai. Aur agar yeh bandar kuch nautanki karta hai toh uske liye hum hai.

Ragini: Nandini meethai leke aao. Humari beti ka rishta tay hogya hai.

Shruti: Rukiye bhabhi. Hum meethai leke aaye hai. Yash meethai ka box do.

Phir Shruti sabko meethai khilati hai. Phir sab baithke shaadi ki baat karne lagte hai.

Ragini: Meri maano toh Aarav aur Samar dono ki shaadi ek hi din mein kardete hai. Lage haath dono kaam ek saath hojayengee.

Smita: Haa. Main bhi yeh chahti hu.

Vijay: Thikk hai toh kal hi hum pandit ji ko bula lete hai aur saari baat kar lete hai.

Ishant: Haa yehi thikk rahega.

Shruti: Thikk hai toh kal pandit ji ke aane ke baad hi aage ki baat karte hai.

Phir Ishant and family apne ghar chale jaate hai aur baaki sab apne apne kamre mein chale jaate hai.

Agle din sham ko Nandini ke maa baap Payal Ishant and Family sab Kapoor House mein baithe hue the. Pandit bhi aachuka thaa.

Vijay: Pandit ji humare do bachhon ki shaadi karni hai. Koi achha sa muhurat bataiyee.

Pandit thodi der tak apne saath laayi panjika mein dekhne me baad bolna start karta hai.

Pandit: Dekhiye abhi yeh pura mahina hi subh hai aaplog jab chahe tab shaadi karwa sakte hai. Par iss mahine ke baad agle 6-7 mahine tak koi achha muhurat nhi hogaa.

Nandini Mummy: Aree yeh toh bahot hi kam time hai. Itne kam samay mein kaise hogaa. Mere khayal se toh 6-7 mahine ke baad hi thikk rahegaa.

Nandini ki maa baat sunke Payal aur Ishita ka chehra thoda utar jaata hai. Par woh dikhate nhi hai.

Nandini: Aree Mummy hojayegaa. Humne Yash aur Raj ki shaadi bhi toh aise hi ki thi. Aur 6-7 mahine ke baad thikk rahega but woh late bhi hojaa raha hai.

Ragini: Thikk hai naa humlog 1 mahine mein hi shaadi ka kaam kardete hai.

Smita: Par Sonal ki haalat abhi thikk nhi hai. Abhi kaise kar sakte hai.

Nandini: Choti Mummy aap bilkul bhi chinta mat kijiye. Iska pura dhyaan hum rakh lenge.

Sonal: Haa haa hum abhi hi karte hai.

Meera: Tum toh chup hi raho. Humhe pata hai tum shant baithne walo mein se nhi honaa.

Sonal apna muh banake baith jaai hai.


Kuch der ke baat chitt ke baad yehi decide hota hai ke 1 mahine mein hi shaadi hogi. Yeh decision ke Payal aur Ishita bahott khushh thi jo unke chehre pe bhi dekhi jaa sakti thi.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

तो आखिरकार इशिता और समर का रिश्ता भी पक्का हो गया।।
एक बात समझ मे नहीं आता कि पंडित हमेशा ऐसा मुहूर्त क्यों बताता है जिसमे या तो समय नहीं रहता या फिर समय इतना ज्यादा रहता है कि लोग प्रतीक्षा नहीं कर पाते।😀
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,552
244
बहुत ही बेहतरीन महोदय।।

सोनल ने अपने माँ बनने की खुशखबरी सभी को दे दी। सभी बहुत ही खुश हुए। आखिर खुश क्यों न हों।। सोनल ने और राज ने कितना संघर्ष किया है अपनी जिंदगी को सुधारने के लिए।।

ये माँ बनने की खुशी हर लड़की के लिए बहुत ही खास होती है। क्योंकि एक लड़की तभी पूरी होती है जब वो मां बने।।।
Thank you
 

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,552
244
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

ये लड़कियां और उनकी नौटंकी।
भगवान ही बचाए इनसे।
समर दर हुआ इसलिए होगा क्योंकि स्वाति को समर और इशिता के प्यार के बारे में पता चल गया होगा। अब आया ऊंट पहाड़ के नीचे।।😂
Thank you

Ek ladki ko bhagwan hi ladki ki nautanki se bachaye :lol1: :lol1:
 
  • Haha
Reactions: Mahi Maurya
Top