• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 1
Thand ke mausam tha. Par iss waqt bhi jorr se baarish horahi thi. Kapoor Group Of Companies mein ek cabin ke window mein ek ladka khada hoke baarish ki boondo ko mehsoos kar raha tha. Jaise woh isme sama jaana chahta ho. Woh apni aankhe band karke iss pal ko apni rooh mein utar raha tha. Par iss waqt uski band aankho se bhi aansu beh rahe the.

Tabhi uss cabin ke door se koi andar aata hai aur pure cabin mein nazar ghumata hai toh window ke paas kisiko khada paata hai. Toh woh bhi window ke paas chala jaata hai.

Ladka1: Aaj kitni joro ki baarish horahi hai naa. Aur mausam bhi kitna suhana hai. Aur aise mausam mein kaun kaam karega.

Iss ladke ki baat sunke dusra ladka kuch nhi bolta woh waise hi aankhe band ke khada tha.

Ladka1 dekhta hai dusre ladke ki aankh mein aansu hai toh woh samaj jaata hai woh dukhi hai aur uske dukh ka reason kya hai.

Ladka1: Tu phir se roh raha hai. Tujhe kitni baar kaha hai mat roya kar.

Ladka2: Tujhe yaad hai jab jab baarish hoti thi woh kaise khushi se naach uthti thi. Jaise yeh baarish uske liye hi hoti thi.

Ladka1: Haa pata hai. Baarish mein bhigna usko bahot pasand tha.

Ladka2: Par aaj baarish toh hai par woh nhi hai. Yeh bolte hue uss ladke ki aankho se aur jyaada aansu beh jaate hai.

Ladka1: Mat ro yaar. Mat ro. Tu usme kuch nhi karsakta tha. Aur tujhe yaad hai naa usne aakhri baar kya kaha tha.

Ladka2 jab yeh baat sunta hai toh usko kuch yaad aata hai aur woh apne aansu poch leta hai aur aankhe kholta hai.

Ladka2: Mujhe yaad hai. Uski kahi har ek baat mujhe yaad hai. Aur jisne kahi thi woh bhi yaad hai.

Ladka1: Toh tu kyo ro raha hai. Tujhe aise rote dekh kar usko bhi takleef horahi hogi. Kya tu usse takleef dega.

Ladka2: Main kaise usse takleef de sakta hu. Usko takleef dene ke baare mein toh main sapne mein bhi nhi soch sakta. Par woh mujhe jo aise akela chorr ke chali gayi. Chorr gayi mujhe akele jeene ke liye.

Ladka1: Kya tu rokk sakta tha woh. Nhi naa. Tu nhi rokk sakta tha woh.

Ladka2 kuch nhi bolta bas phir se aankhe band karke kisiko yaad karne lagta hai.

Ladka1: Bhul jaa usse aur apni life mein ab aage badh. Aur usne bhi toh yehi kaha tha naa tujhse.

Ladka2: Main chahke ke usee nhi bhula sakta Yash. Nhi bhula sakta.

Yeh dono ladke Yash aur Raj hi hai.

Yash: Rajjj. Kab tak aakhir kab takk tu aise rahega. Uske jaane ke baad toh jaise teri zindagi thamm si gayi hai. Tu zinda toh hai tujh mein jaise jaan hi nhi bachi hai.

Raj: Main zinda hu toh sirf uske kehne ki wajah se. Usne jaate jaate meri zindagi apni jaan bhi legayi hai.

Yash: Aakhir kab tak aisa chalega Raj 3 saal se dekh raha hu. Tu sirf apni family ke liye jee raha hai. Tu woh Raj nhi hai jo college mein hua tha.

Raj: Woh Raj ussi din margaya tha jisdin woh gayi thi.

Yeh bol Raj aake apne desk mein baith jaata hai aur kaam karne lagta hai.

Yash iske aage kuch nhi bol saka woh bas Raj ko dekhta hi raha.

Yash(Mann mein): Heyy bhagwaan. Please Raj ko pehle jaisa kardo nhi dekhi jaati uski aisi halat. Uske baad toh isne jeena hi chorr diya hai. Pleaseee isko wapas jeena sikha do.

Raj: Ab waha pe khada rehna hai yaa kaam bhi karna hai.
Yash kuch nhi bolta jaake uske saamne baith jaata hai aur kaam karne lagta hai.

Rajasthan Raja Maharajao ka sthan. Iss rajya mein bahot se Raja Maharajao ne raaj kiya hai. Aur isi rajya ka ek khubsoorat sehar Jaipur jise Pink City bhi kaha jaata hai. Kaha jaata hai ke 1876 mein Rajasthan ke Maharaja Maharaj Sawai Ram Singh ne Queen Victoria ke husband Prince Albert jab India tour mein aaye the tab unko khush karne ke liye pure Jaipur ko pink colour se rangwaya tha isiliye Jaipur ko Pink City kaha jaata hai.

Toh issi khubsoorat sehar ke ek ghar mein ek ladki jo dikhne mein 22 se 23 saal ki hogi woh apne dressing table ke saamne baithke taiyaar horahi thi. Uske masoom aur khubsoorat se chehre pe ek darr tha. Aur isi darr ke wajah se woh kuch soche jaa rahi thi. Tabhi uske room mein ek ladki enter karti hai.

Ladki1: Tu abhi tak ready nhi hui. Kitna time lagayegi.

Ladk2 kuch nhi bolti bas soche jaarahi thi.

Ladki1: Kitna sochegi. Itna mat soch. Sab achha hi hoga. Aur itna tension lene se kya jo tere kismat mein hai woh badal jayega nhi naa.

Ladki2: Agar kuch garbar hogyi toh.

Ladki1: Kuch nhi hoga. Mujhe pata hai meri behen bahot hoshiyaar hai. Chal ab jaldi se neeche aa aur breakfast karle.

Ladki2: Chaliye.

Phir dono ladkiyan neeche aati hai. Jaha pehle se hi unke parents baithe the.

Aurat: Kitna time lagati ho tumdono. Pura breakfast thanda hogya.

Ladki1: Mujhe nhi isse boliye. Kitna tension kar rahi thi. Isse samjhane mein late hogya.

Aurat: Ab tension karke kya hoga. Jo hoga woh dekha jayega. Tumne jitni mehnat ki hai tumhe uske hisaab se fal milega. Isiliye ab tension choro aur baitho.

Dono ladkiyan jaake baith jaati hai.

Aadmi: Humhe 1 hafte baad Mumbai jaana hai.

Ladki1: Kisliye Papa.

Aadmi: Shruti ki engagement hai. Toh humhe jaana hoga.

Ladki2: Whattttt. Shruti Di ki engagement fix hogyi.

Aurat: Haaa. Ab ghar mein sabse badi hai woh aur ek na ek din toh yeh karna hi tha unhe. Ladka bhi jaan pehchan ka hai. Smita keh rahi thi unke mumbai mein shift hone ke baad woh unke padoshi the.

Ladki1: Yaani Arrange Marriage horahi hai Shruti di ki.

Aurat: Nhiii. Dono padoshi the. Saath school kiya aur saath college gaye jaha unhe pyaar hua aur ab shaadi.

Ladki2: How Sweet. Waise kaise hai wohlog.

Aurat: Sab thik hai woh log. Bachho ke college khatam hogye hai. Aarav ne abhi kaam karna start nhi kiya hai. Raj hi sab dekhta hai.

Ladki2: Rajjjjj. Hmm. Bahot saal hogye unse milee hue. Ab toh bahot badal gaye honge woh.

Aadmi: Achha chalo ab jaldi se breakfast karo. Swati tum office aarahi ho.

Swati: Yes Papa.

Aadmi: Meera yeh Samar kaha hai. Abhi tak so raha hai kyaa.

Tabhi ek awaaz aati hai.

No Papa. I am here. Sab uss awaaz ka pichha karte hai toh dekhte hai Samar khada hai ready hoke.

Meera: Badi jaldi aagaya. Aaj tumhara bhi result hai naa. But tumhe dekh kar toh lag raha hai jaise tumhe koi tension hi nhi hai.

Samar: Ab main Sonal di ki tarah tension mein nhi jeeta. Jo hoga dekh jayega. Waise bhi mere paas 1 saal aur bacha hai. Par Sonal di ka toh yeh final hai.

Meera: Yeh bhi thik hai. Chalo aao nashta karlo.

Phir sab nashta karne lagte hai. Thodi der baad sabka nashta khatam hojaata hai. Swati apne papa Deepak ke saath office chale jaati hai.

Samar: Sonal Di chaliye aap mere saath chaliye.

Sonal: Nhi Samar tum jao. Waise bhi aaj Tuesday hai mujhe mandir jaana hai.

Samar: Okkk.

Phir Samar aur Sonal bhi alag alag nikal jaate hai.

Deepak Singh- Yeh Jaipur ke ek jaane maane businessman hai. Yeh aur Ashok bahot achhe dost hai. Ashok mumbai shift hogya. Par yeh yahi rehgaye aur yehi pe apna business settle kiya.

Meera Singh: Yeh ek housewife hai. Inko ghar ke kaam mein hi jyaada mann lagta hai. Apni bachho se bahot pyaar karti hai. Samar sabse chota hai aur inka laadla hai.

Inki 2 betiyan aur 1 beta hai.

Swati Singh- Inki badi beti. Padhai complete hochuki hai aur apna family business hi join kiya hai. Apni behen Sonal se bahot jyaada attach hai.

Samar Singh: Inki sabse chota beta. Ghar mein sabse chota hai isiliye sabka laadla hai. Bahot jyaada badmaash hai. Humesha masti mazaak karne ki aadat hai. Par dil ka bahot achha hai. Apni didi Sonal ko bahot maanta hai.


Sonal Singh(Heroine)- Yeh hai iss kahani ki heroine. Inki dusri beti. College se aaj graduate hongi. Apni behen se jyaada khubsoorat aur masoom hai. Jyaadatar apne padhai se matlab rakhti hai. Interior Designer banne ka shock hai aur usi ki padhai ki hai.
Jabardast update 🔥 👍🏻
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 2
Toh yaha Sonal ghar se mandir aati hai. Yaha woh har Tuesday aati hai.

Sonal: Bhagwaan ji. Aaj mera result hai. Maine pure saal bahot mehnat ki hai aur aaj mujhe uss mehnat ka fal milega. Please dekh lena bhagwaan ji.

Pandit: Chinta mat karo Sonal. Tum achhe number se pass hojaogi.

Sonal: Thank You Pandit ji.

Phir Sonal Pandit aashirwaad aur prasad leke college ke liye nikal jaati hai.

Thodi der baad woh college aati hai toh waha Samar pehle se hi khada tha.

Sonal: Kya hua yaha aise kyo khada hai. Result out nhi hua kyaa.

Samar: Result out toh kabka hochuka hai.

Sonal: Hogyaaaaa.

Samar: Haaa.

Sonal: Tera kyaa aaya.

Samar: Mujhe toh distinction ke upar mila hai.

Sonal: Samar ke gale lagte hue. Congrats bhai. Mujhe pata tha tujhe achhe numbers aayenge.

Samar: Thank You Di.

Sonal: Meraa dekhaa.

Samar: Haaa dekha.

Sonal: Kitna aaya.

Samar apna sir jhuka leta hai. Jisse dekh Sonal ko tension hojaati hai.

Sonal: Bata naa. Kitna mila hai. Aur aise sir kyo jhuka liya.

Samar: Wohh dii. Actuallyy aap. Wohhh.

Sonal: Bol naa bhai kyoo mujhee tension de raha hai.
Samar: Wohh di actually aap Failll hogyi hai. Aapko 35% mila hai.

Sonal ke liye yeh news kisi jhatke se kamm nhi thaaa. Uske aankho se aansu nikal gayee thee.

Sonal: Rote hue. Kyaaaaaaaaa. Nhii yehhh sachh nhiii haiii tu tuu mazaak kar raha haii naa.

Samar: I Am Sorry di. Par yeh sach hai.

Sonal toh jaise wahi jamm gayi thi. Usko yakeen hi nhi horaha tha ke woh faill hogyi hai. Woh bhi itni buri tarah se. Woh waha bench pe baith ke rone lagti hai.
Sonal ko aisee rote dekh Samar sochta hai.

Samar(Mann mein): Betaa Samar lagtaa hai tera mazaak jyaada hogyaa.

Samar: Diii. Yeh aap kyaa kar rahii haiii.

Sonal: Toh aur kyaa karuu Samar. Meri itni mehnat ke baad mein main faill hogyi aur woh bhi itni buri tarah. Ab main papa aur mummy ko kaisee facee karungi.

Samar: Areee diii. Aap chupp hojaiyeee. Pleaseee roiyee mattt. Aurrr aisaaa kuchh nhii huaa hai.
Sonal: Matlabbbbb.

Samar: Wohh wohh diii actuallyyy mainn mazaakk kar raha thaa. Aapne pure college meinn topp kiyaa hai.

Sonal: Kyaaaaaaaaaaa. Kyaaaa kahaa tuneee. Phirrr see bolll.

Samar: Aapne puree college mein topp kiya hai. Aur woh faill wali baat mazaak thii. Yeh bol Samar waha se bhagg jaata hai.

Sonal: Samarrrrr. Aaj tujheee mainn nhiii chorungiiii. Yeh bol Sonal bhi uskee pichhe pichhe bhagnee lagti hai.

Samar: Sorry Sorry diii. Galtii hogyiii. Aage se aisaa nhii karungaaa. Sorryyy.

Sonal: Sorryy ke bachhe rukhhh tuuu. Idherrr aaa. Aaj tujhee chorungii nhiii. Teriii wajahh seee merii kyaa halatt hogyii thiii. Tujhee pata haiii. Mainn kehtiii huuu rukhhh.
Thodi der bhagne ke baad Sonal ne Samar ko pakad liyaa.
Sonal: Abb kaha bhagegaaa.

Samar: Sorry Sorry diii. Mujheee nhii pata thaa aapko mere mazaak se itnaa shockk lagegaa.

Sonal: Shockkk. Meri kyaa halat hui thi yeh tujhe pata nhi hai. Mera pata nhi kya kya karne ko dill kar raha tha.

Samar: Sorry Diii. Buttt I am so happy for youu. Congratss diii. Yeh bol uske gale lag jaata hai.

Sonal: Thankk youuu. Mujhe toh abb bhi yakeen nhi horaha ke maine pure college mein top kiya hai.

Samar: Yeh sach hai didi. Chaliye jaldi se jaake marksheet aur certificate lete hai. Aapka toh principal ke paas se hi milega.

Sonal: Haa Chall.

Phir yeh dono principal ke paas aate hai.

Sonal: Main I come in Ma’am.

Principal: Yess yess Sonal come in.

Sonal: Ma’am woh mera marksheet and Certificate.

Principal: First of all congratulations Sonal. Tumne puri college mein top kiya hai. Aisii hi apna aur apne parents ka nam roshan karti raho.

Sonal: Thank you Ma’am. Mujhe toh ab bhi yakeen nhi horaha hai.

Principal: Yeh sab tumhare hardwork ka fal hai. Yeh raha tumhara Marksheet Certificate aur yeh tumhare liye ek gift. .

Sonal: Gift.

Principal: Haaa gift. Tumne puri college mein top kiya hai isiliye tumhe India mein no. 1 interior designing college mein aage padhne ke liye scholorship mili hai. Jo mumbai mein hai.

Sonal yeh sunn ke bahot khush hojaati hai.

Sonal: Sachhh.

Principal: Yess Sonal. Aur yeh tumhara scholorship. Tumhe 1 hafte baad jab marzi join karna hai par 2 weeks ke andar. Once again congrats.

Sonal: Thank you so much Ma’am.

Phir Sonal apna Marksheet Certificate aur scholorship leke bahar aajati hai yaha Samar uska wait kar raha thi.
Sonal bahar aake Samar ke gale lag jaati hai.

Samar: Kya hua di.

Sonal: Mujhe college mein top karne ke liye India ke no. 1 interior designing college mein aage padhne ke scholorship mili hai.

Samar: Kyaaaaaa. Congratssss diiii. I am so happy for youuu.

Sonal: Thank Youuuu. Par woh mumbai mein hai. Shayad mummy papa nhi maanenge.

Samar: Aree main aur didi hai hum mananyenge. Aap chinta naa karee. Ab jaldi chaliye chalke mummy papa di ko yeh news dete hai.

Sonal: Haaa challl.

Abhi yehlog jaa hi rahe the ke tabhi ek ladka waha aata hai.

Ladka: Kyaaa baat hai bhaiii. Ab topper bangayi toh dosto se milne ka bhi time nhi hai. Achha hai.

Sonal: Areeee aisaa kuchhh nhii hai. Waise tumhara kyaa huaa.

Ladka: Hona kya hai. Hum toh ab tumhari tarah topper toh nhi hai. Humhe bas passing marks mil jaaye woh hi bahot hai. Jo mil gaya hai.

Sonal: Congratsss Vicky.

Vicky: Congratulations to you too. Aakhir tumne pure college mein top kiya hai. Yeh bol Sonal ko gale milne aata hai toh Samar beech mein aajata hai.

Samar: Vicky Bhaiya. Hum bhi yaha hai. Humne bhi distinction ke upar laaya hai. Humhe congratulate nhi karenge.

Samar ke aise beech mein aane se Vicky ka muhh utar jaata hai par woh dikhata nhi.

Vicky: Areee aisi baat nhi hai. Tumhe bhi congrats Samar.

Sonal: Achha Vicky. Abhi hum chalte hai. Mummy humara wait kar rahi hongi. Tum ghar aana waha baith ke baat karenge. Chall Samar.

Phir Samar aur Sonal waha se nikal jaate hai aur Vicky unhe jaata hua dekhta rehta hai.

Vicky: Pata nhi aur kitna wait karna hoga iske liye. Yeh bol Vicky bhi apna utra hua muh leke waha se nikal jaata hai.

Vicky Khanna- Sonal ka school and college friend. Sonal ko school time se pyaar karta hai par aaj tak bol nhi paaya. Bigada hua ladka hai. Mann mein kuch chal raha hoga par chehre mein kuch dikhega. Sonal isko koi bhav nhi deti. Bas dost hi maanti hai. Bahot baar yeh Sonal ko touch karne ki koshish karta hai par harbaar muh ki khaata hai.
Idher Samar aur Sonal ghar ki taraf jaate waqt.

Sonal: Thank You Samar.

Samar: Kisliyee di.

Sonal: Woh uss waqt Vicky ke saamne achanak se aane ke liye.

Samar: Come on di. Bhai hu aapka. Bhai ka farz hota hai behen ki raksha karna. Isme kaise Thank You. Par woh aapko pasand karta hai. School se jaante hai hum.

Sonal: Par mujhe woh pasand nhi. Har waqt mujhe chune ki firaak mein rehta hai. Usko pyaar nhi kuch aur bolte hai.

Samar: Toh aapko kaisa ladka pasand hai.

Sonal: Jo mere jism se nhi mere dil se pyaar kare. Jo mujhse mere pyaar se loyal ho. Bado ko respect kare. Choto se pyaar kare. Mujhe respect kare. Mere pyaar ko respect kare. Aur sabse important mujhe itna pyaar kare ke puri zindagi kam padh jaaye.

Samar: How Romantic Di. Toh aapki nazar mein aisa kaun hai jo mera jiju ban sake.

Sonal: Abhi tak toh aisa koi dikha nhi. Par itna pata hai jo bhi hoga bahot khash hogaa. Chal ab baate band kar aur ghar chal.


Phir yeh dono waha se ghar aajaate hai.
LaJawaab update 🔥 👍🏻
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 3
Idher Mumbai mein Raj apne kaam mein itna busy hogya tha ke usko dhyaan hi nhi raha ke office hours khatam hogye hai. Aur uske chakar mein Yash ki bhi baithna padha tha.

Yash: Areee O Workaholic Mr. Raj Kapoor. Aur kitna kaam karega. Chalnaaa. Dekh kitna time hogya hai. Bhukk lag rahi hai.

Raj: Bas hogaya hai.

Yash: Kitna bola tha bhaiya ne mat jaa Raj ke saath par main bewakoof hi nhi maana aur fhass gaya tere saath.

Raj: Chal chal nautanki mat kar. Chal ghar chal.

Yash: Dhanya ho prabhu. Aakhir iska kaam khatam hua.
Phir yeh dono ghar ke liye nikal jaate hai.

Yash apne ghar ki taraf nikal jaata hai aur Raj apne ghar ki taraf.

Raj jab ghar aata hai toh sab sochuke the bas uski maa hi jaag rahi thi aur Raj ka wait kar rahi thi.

Smita: Aaj itna late kardiya Raj. Jao jaldi jao fresh hojao phir dinner karlo.

Raj: Maine dinner karliya hai. Yeh bol woh apne room mein jaane lagta hai.

Smita: Kya apni mummy ko kabhi maaf nhi karega Raj.
Raj bina kuch bole apne room mein chala jaata hai aur pichhe Smita apne aankho mein aansu liye khadi rahi.

Tabhi waha ghar mein kaam karne wala aadmi aata hai.
Aadmi: Malkin khaana lag du. Aapne dopahar se kuch nhi khaya hai.

Smita: Mujhe bhuk nhi hai. Yeh bol rote hue apne room mein aajati hai.

Smita jab apne room mein aati hai toh dekhti hai Ashok jaga hua hai.

Ashok: Aagaya Raj.

Smita: Jiii.

Ashok: Kyaa baat hai.

Smita: Rote hue. Kya main itni buri hu ke mera beta mere se baat tak nhi karta. Kya woh mujhe kabhi maaf nhi karegaa.

Ashok: Usse thoda time do Smita. Woh jarur tumhe maaf karegaa. Usko uss baat se bahot takleef hui thi.

Smita: Mujhse nhi raha jaata. Woh sabse baat karta hai sabko pyaar jatata hai. Bas mujhse hi.... Yeh bol woh rone lagti hai.

Ashok: Sab thik hojayegaa Smitaa. Bhagwaan sab thik karengeee. Woh ekdin tumse jarur baat karega woh tumhe jarur apna pyaar jatayega. Jaise bachpan mein jatata thaa.

Smita kuch nhi bolti aur so jaati hai.

Idher Samar aur Sonal jab ghar wapas aaye toh woh bahot khush the.

Meera: Kyaaa baat hai. Jab yaha se gayi thi toh shakal pe 12 baje hue the. Aur ab dekho. Aisaa kyaa hogyaa.
Sonal apni maa ke gale lag jaati hai.

Sonal: Mummy Mummy Mummy aaj mein bahott khush hu. Bahot bahot khush.

Meera: Areee aree aisaa kyaa hogyaa.

Samar: Mummy Di ne puri college mein top kiya hai.

Meera: Sachhhhhhhhh.

Sonal: Haaa Mummy. Mainee puri college mein top kiya hai.

Meera: Sonal ke gale lagte hue. Maine kaha thaa naa sab achha hogaa. I am proud of you betaa. Congrats.

Sonal: Thank You Mummy.

Meera: Tumhara kyaa huaa.

Samar: Mummy maine distinction ke upar number laaya hai.

Meera: Congrats betaaa. Main bahot khush hu tumdono ke liyee. Tum dono fresh hojao. Main tumdono ka favourite khana banati hu.

Dono waha se apne room mein chale jaati hai.

Raat ko jab Deepak aur Swati aate hai toh unko bhi yeh khushkhabri sunayi jaati hai toh woh bhi bahot khush hote hai.

Sonal: Mummy Papa aaplogo se ek baat karni hai.

Deepak: Bolo.

Sonal: Woh actually college mein top karne ke liye mujhe India ke no. 1 interior designing college mein aage padhne ke liye scholorship mili hai.

Ashok: Areee waaahh yeh toh bahottt achhi baat hai.

Meera: Haaaa. Sahi kaha aapne.

Sonal: Par woh mumbai mein hai.

Ashok aur Meera: Kyaaaa mumbai. Itni durrr.

Sonal: Haaa.

Meera: Tum yehi koi college dekhlo. Yaha bhi achhe colleges hai.

Swati: Mummy Papa Sonal ko aisa mauka baar baar nhi milega. Isse jaane dijiye. Isse Sonal ko bahot kuch sikhne ko milega. Maine sunna hai uss college se pass out har student ne apni ek alag pehchan banayi hai. Sonal kitne waqt ke kiye jaana hai.

Sonal: 2 saal.

Meera: Kyaaa 2 saal ke liye. Nhi nhi. 2 saal ke liye tum dusre sehar mein akeli rahogi. Bilkul bhi nhi.

Sonal: Mummy Papa pleaseee maan jaiye. Mera bahot mann hai. Papa pleaseeee.

Meera: Par Sonal tumhe pure 2 saal ke liye Mumbai mein rehna hoga. Kaha rahogi kaise rahogi.

Sonal: Main Hostel ya PG mein rehlungi. Par please maan jaiyee.

Meera: Hostel mein toh kabhi nhii. Mujhe pata hai akeli ladki ke saath hostel mein kya kya hota hai. Aur PG bhi pata nhi kaisa milega.

Sonal: Papa.

Deepak: Main Ashok se baat karta hu uske dhyaan mein jarur kuch hoga.

Meera: Haa aap unse baat kijiye.

Sonal: Thank You Mummy Papa.

Meera: Abhi tak haa nhi ki hai. Agar mujhe sab thikk laga toh hi tum jaogi.

Deepak: Kal subah karta hu baat. Chalo ab sab sone jao.
Phir sab sone chale jaate hai.

Idher Raj apne room mein aata aur wapas window ke paas khada hojata hai uske aankho mein aansu the aur aankh band karke kuch soch raha hota hai. Phir apni aankhe kholta hai aur aasman mein chand ko dekh kar bolta hai.

Raj: Dekh rahi ho naa kitna akela hogya hu. Kehne ko toh sabkoi hai mere paas. Dadi Badi Mummy bade papa didi bhai papa aur shayad mummy bhi. Par phir bhi akela hogya hu.

Tabhi uske kandhe mein koi haath rakhta hai. Woh pichhe ghum ke dekhta hai toh waha uski bhabhi Nandini khadi thi.

Raj apne aansu pochta hai aur bolta hai.

Raj: Bhabhi aap. Abhi tak soyi nhi aap.

Nandini: Mera bhai aur dost dukhi hai aur main so jau. Phir uski yaad aarahi hai naa.

Raj kuch nhi bolta bas apna chehra dusri taraf karleta hai.

Nandini: 3 saal hogye hai Raj. Kab tak aise hi rahoge.

Raj: Main kya karu bhabhi. Mujhse nhi raha jaata.

Nandini: Kya woh tumhe iss haal mein dekh kar khush hogi.

Raj apni gardan naa mein hilata hai.

Nandini: Tum chahte ho naa woh khush rahe.

Raj nods in yes.

Nandini: Toh kyaa tumhare aisa karne se woh khush rahegi. Kabhi nhi Raj. Kabhi nhi. Woh tabhi khush rahegi jab tum khush rahoge. Kya tum chahte ho woh dukhi rahe.

Raj: Yeh toh main kabhi nhi chahunga bhabhi ke woh dukhi rahe.

Nandini: Toh uski khushi ke liye hi sahi tum aisa mat karo Raj. Tumhe aise dekh kar humhe bahot takleef hoti hai.

Raj kuch nhi bolta bas sunta raha.

Nandini: Raj kya mujhe mera woh dost kabhi nhi milega jo college mein tha. Kya tumhari bhabhi kabhi apne uss dost ko nhi dekh payegi jisne uski zindagi khushiyon se bhari.

Raj: Main koshish karunga bhabhi.

Nandini: Mujhe mere dost cum bhai ka intezaar rahega Raj. Chalo ab so jao. Good night.

Raj: Good night bhabhi.

Phir Nandini apne room mein chali jaati aur Raj bhi fresh hoke so jaata hai.

Karan: Aagaya Raj.

Nandini: Haa aagaya. Takleef mein hai. Uski yaad aarahi thi.

Karan: Raj kabhi usse bhul nhi payega. Raj kya hum bhi usse kabhi nhi bhul payenge. Hum jo aaj saath hai woh sirf aur sirf unndono ki wajah se hai.

Nandini: Haaa. Dekhiye naa humhe milane wale khud kabhi naa mil paaye. Mujhse Raj ki yeh halat nhi dekhi jaati Karan.

Karan: Dekhi toh mujhse bhi nhi jaati Nandini. Par Raj ka yeh dukh hum kam ya durr nhi kar sakte.

Nandini: Hmmm. Chaliye so jaaiye. Subah aapko duty pe bhi jaana hai.

Agli Subah Smita sabhi bachho ke kamre mein jaake sabko uthati hai par jab woh Raj ke kamre mein jaati hai toh dekhti woh bekhabar soraha hai. Woh bas uske chehre ko dekhti rehti hai.

Smita Raj ko sote dekh uske paas jaake uske sir ko sehlaati hai uske aankhe num hojaati hai.

Smita: Kya tu kabhi bhi apni maa ko maaf nhi karega Raj. Taras gayi hu tere muh se Mummy sunne ke liye. Uss ek galti ki itni badi saza mat de apni maa ko Raj. Main maanti hu mujhse galti hui hai Raj. Uss waqt mujhe jo dikha uspe hi bharosa kiya teri baat tak nhi sunni thi maine aur tujhe bina wajah maara bhi tha. Par please mujhe maaf karde Raj maaf kardee. Yeh bolte uske aankho se aansu beh gayee.

Tabhi koi Raj ke kamre mein aata hai.

Sab thik hojayega Smita. Raj jarur tumhe maaf karega.

Smita: Mujhse iski berukhi sehan nhi hoti hai didi. Pata nhi uss waqt kyo maine apne bete pe bharosa nhi kiya. Isne mujhse kaha tha woh jhoot hai par maine ispe bharosa naa karke unpe kiya.

Ragini: Mat ro Smita. Mat ro. Sab thik hojayega. Dekhna ekdin Raj phir se tumse pehle jaise behave karega.

Smita kuch nhi bolti. Tabhi woh dekhti hai Raj ki neend toot rahi hai.

Raj aankhe kholta hai saamne apni dono maa ko khada pata hai woh bed se utarta hai.

Raj: Good Morning Badi Mummy.

Ragini: Good Morning Raj.

Smita: Good Morning Raj.

Raj: Badi Mummy aap mera breakfast ready kardijiye. Mujhe aaj jaldi office jaana hai. Yeh bol woh washroom chala jaata hai.

Smita waha khadi rehke rone lagti hai.

Smita: Dekha na didi aapne kaise woh ab mujhe ignore karta hai.

Ragini kya bole usko samaj nhi aata woh bas Smita ko gale laga leti hai.

Ragini: Raj ko bahot takleef hui thi Smita. Uski yeh takleef dheere dheere durr hogi Smita. Tumhe koshish karte rehni hogi. Chalo ab neeche chalo. Breakfast ready karte hai.

Smita: Raj ka breakfast aap hi banana didi. Agar maine banaya toh shayad woh nhi khayega. Usne kal raat ko bhi kuch nhi khaya tha.

Ragini: Iska matlab tumne bhi kuch nhi khaya kal.

Smita: Mera beta bhuka rahe aur main khaa lu yeh nhi hosakta didi.

Ragini: Thikk hai chalo.


Phir dono neeche aake breakfast banate hai.
Awesome update
Raj aisa kyu ker raha hai ,wo apni maa se baat hi nahi ker Raha hai ,
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 4
Thodi der baad sab breakfast ke liye dining table pe baithe hue the.

Smita Raj ko breakfast serve karne aati hai toh Raj bolta hai.

Raj: Badi Mummy jaldi se mujhe breakfast de dijiye. Mujhe office jaldi jaana hai aaj.

Smita ke aansu nikal jaate hai. Woh wapas Ragini ke paas jaake khadi hojaati hai.

Raj ke aise behave karne se sabko bura lagta hai par woh kuch nhi bol paate.

Ragini Raj ko breakfast serve karti hai. Raj khaane lagta hai. Usko khaate dekh Smita bhi khana start karti hai.

Thodi der mein sabka breakfast hojaata hai.

Ashok: Kuch baat karni hai sabse.

Vijay: Bolo kyaa baat karni hai.

Ashok: Maa Rajasthan se Deepak ka call aaya tha abhi thodi der pehle.

Savitri: Achha kaise hai wohlog. Bahot din hogye unse mile hue. Bachhe bhi toh ab bade hogaye honge. Vijay Shruti ki sagai ka nyota bheja ki nhi unhe Karan ki shaadi mein toh woh nhi aa paaye the.

Vijay: Haa maa sabse pehle usse hi bheja hai.

Savitri: Achha hai. Bahot saal baad sab saath honge isi bahane.

Ashok: Maa woh Deepak ki majhli beti hai naa Sonal uska kal result aaya hai. Pure college mein top kiya hai usne.

Savitri: Areee waaah bahot achhi baat hai. Bachpan mein bhi bahot hoshiyaar thi.

Ashok: Haaa Maa. Aur usko apne college ki taraf India ke no. 1 interior designing college jo yehi mumbai mein hai usme aage padhne ke liye scholorship mili hai. Toh woh chahta hai koi achha sa flat ya PG ho toh bata du.

Savitri: Woh kyaa pagal hogya hai. Meri poti hai woh. Yaha uska ghar hote hue woh flat ya PG mein rahegi. Kabhi nhi. Nandini beta phone lagao jara Jaipur.

Nandini: Jii dadi.

Phir Nandini Jaipur call lagati hai toh Meera call uthati hai.

Meera: Hello.

Nandini: Hello.

Meera: Kaun.

Nandini: Meera chachi main Nandini bol rahi hu.

Meera: Aree Nandini beta tum. Kaisi hai tum. Ghar mein sab kaise hai. Maa ji kaisi hai. Tumhari saas kaisi hai. Devar nanad sab kaise hai.

Nandini: Main achhi hu. Ghar mein sab achhe hai. Mummy bhi achhi hai dadi bhi achhi hai. Devar aur nanad bhi achhe hai. Aaplog kaise hai.

Meera: Hum bhi achhe hai.

Nandini: Lijiye dadi baat karna chahti hai.

Savitri: Kaisi ho Meera.

Meera: Pranam Maa ji. Main achhi hu. Aap kaisi hai. Shruti ki sagai ki badhai ho.

Savitri: Shukriya aur main bhi achhi hu. Woh nalayak kaha hai phone de usse.

Meera: Jii Maa ji.

Phir Meera Deepak ke paas aati hai.

Meera: Mumbai se maa ji ka call hai aapse baat karna chahti hai.

Deepak: Maa ka call hai do jaldi.

Deepak: Pranam Maa. Kaisi hai aap.

Savitri: Main thikk hu. Par shayad tu sirf mujhe bolne ke liye hi Maa bolta hai. Dil se Maa nhi maanta.

Deepak: Yeh kaisi baat kar rahi hai aap Maa. Mere liye toh aap hi meri maa hai. Kya mujhse koi galti hui hai.

Savitri: Haa hui hai. Tune yeh socha bhi kaise meri poti yaha kisi flat ya PG mein rahegi. Uski dadi zinda hai abhi. Yaha mumbai mein ghar hai uska aur woh flat ya PG mein rahegi.

Deepak: Nhii Maa. Aisi baat nhi hai. Usko pure 2 saal ke liye jaana hai. Aaplogo ko pareshani hoti isiliye maine aisa kaha.

Savitri: Lagta hai itne saal se tujhe maar nhi padhi hai isiliye teri budhi bhrast hochuki hai. Sonal Savitri Kapoor ki poti hai. Aur meri poti 2 saal kya jitne din chahe yaha rahegi. Agar tune kuch bhi kaha toh mujhse bura koi nhi hoga.

Deepak: Jii Maa.

Savitri: Toh yeh tai raha Sonal yaha pe hi rahegi. Aur khabardaar aage se aisa kabhi socha toh. Mere liye tu waisa hi hai jaise Vijay aur Ashok hai samjha.

Deepak: Jii Maa.

Savitri: Ab yeh bata yaha kab aaraha hai.

Deepak: 1 hafte baad Shruti ki sagai hai tabhi aarahe hai.

Savitri: Thikk hai. Chal ab rakhti hu aur sagai mein aana jarur Karan ki shaadi mein tu nhi aaya tha.

Deepak: Jii Maaa.

Phir call cut hojaata hai.

Meera: Kyaa kaha Maa ji ne.

Deepak: Keh rahi thi Sonal unke saath rahegi naaki flat ya PG mein.

Meera: Yeh achha kiya Maa ji ne. Mera bhi mann nhi maan raha tha Sonal ka flat ya PG mein rehne ke liye.

Deepak: Hmmm. Sonal ko bulao usse baat karni hai.

Meera Sonal ko bula laati hai.

Meera: Tum kya sach mein waha padhna chahti ho.
Sonal: Ji Mummy.

Meera: Bags pack karlo. Tum 2 saal ke liye mumbai jaa rahi ho.

Sonal sunke bahot khush hoti hai. Woh apni maa ke gale lag jaati hai. Thank You Mummy. Thank You so much.

Deepak: Tum mumbai mein Flat ya PG mein nhi rahogi.
Swati: Toh Sonal kaha rahegi Papa.

Deepak: Sonal Kapoor House mein rahegi. Abhi Maa ka call aaya tha unhone kaha hai Sonal unke saath rahegi.
Sonal: Par papa unhe pareshani hosakti hai.

Deepak: Yeh tumhari dadi ka hukum hai. Aur unki baat manni hi padegi. Isiliye hum jab Shruti ki sagai ke kiye jayenge tab tum apna samaan bhi sang le lena.

Sonal: Jii Papa.

Savitri: Lo baat hogayi hai. Ab Sonal yahi pe rahegi.
Smita: Yeh bahot achha kiya aapne Maa ji.

Raj: Papa main office jaa raha hu. Aap aur bade papa aarahe hai naa aajki meeting ke liye.

Vijay: Haa Raj. Hum thodi der mein pahonchte hai.

Phir Raj waha se nikal jaata hai.

Savitri: Choti Bahu kya tere aur Raj ke beech abhi bhi kuch thik nhi hua.

Smita: Aankho mein aansu liye. Nhi Maa ji. Raj toh mujhse baat tak nhi karta. Agar main baat karu toh sidhe muh jawaab bhi nhi deta. Usne kaha tha mujhse ekdin aisa aayega jab mujhe apni galti ka pachtava hoga par uss waqt iska koi matlab nhi hoga. Dekhiye naa ab wahi horaha hai.

Savitri: Uss waqt Raj ko sabse jyaada dukh issliye nhi hua tha tune usse maara tha balki issliye hua tha ke uski maa ne uspe yakeen nhi kiya. Aur woh jhakham bahot gehra hai aur waqt ke saath bharega. Sabar kar sab thik hogaa.

Smita: Itne mahino se sabar hi toh kar rahi hu. Naajane kab mera Raj mujhe Mummy kehke bulayega.

Nandini: Aap mat roiye choti Mummy. Raj jaldi hi aapko maaf karega.

Swati: Haaa Mummy. Humsab mein se aapko sabse jyaada pyaar Raj hi karta hai. Woh aapse jyaada din naraz nhi reh sakta.

Aarav: Didi ne thik kaha mummy. Dekhiyega jald hi bhai aapse wapas pehle ke jaise behave karenge.

Smita kuch nhi bolti bas apni ki hui galti ko yaad karne lagti hai.

Thodi der baad Ashok aur Vijay bhi waha se nikal jaate hai. Karan bhi apni duty pe chala jaata hai.

Aarav apne dosto se milne chale jaate hai.

Idher Vicky subah subah Sonal ke ghar aa pahonchta hai.
Vicky: Good Morning Aunty.

Meera: Aree Vicky. Good Morning aao aao. Aaj subah subah yaha ka raasta kaise bhul gaye.

Vicky: Bas aunty yaha se guzar raha tha toh socha aaplogo se milte chalun.

Meera: Achha kiyaa aao baitho. Waise kal tumhara bhi result tha naa. Kaise hua.

Vicky: Maine Sonal ko bataya tha usne nhi bataya.
Meera: Naa maine pucha aur naa usne bataya.

Vicky: Kal se jo bhi mil raha hai yehi puch raha hai aur koi sawaal hi nhi hai kisi ke paas.

Meera: Haste hue. Aree kal hi toh result nikla hai aur tum graduate hue ho. Abhi toh sab yehi puchenge.

Vicky: Bas gharwale ghar se nikalne se chuk gaye. Warna taiyaari puri karli thi unhone. Jab ghar gaya toh papa mera samaan darwaze pe leke hi khade the.

Meera yeh sunte hi jor jor se hasne lagti hai.

Meera: Yaani pass hogayee. Chalo achha hai. Ab aage kyaa.

Vicky: Bas college se jo job offer hua hai usme join karna hai. Waise Sonal kaha hai.

Meera: Achhi baat hai. Sonal apne room mein hai tum baitho main bulati hu.

Vicky: Jii.

Phir Meera Sonal ke room mein aati hai jaha Sonal apna favourite kaam kar rahi thi matlab apni diary likh rahi thi. Jo Sonal ki bachpan ki aadat hai.

Meera: Sonal Vicky aaya hai. Niche baitha hai.

Sonal: Abb yeh kyo aaya hai yaha. College mein bhi pichhe padha rehta tha ab college ke baad bhi pichhe padha hai.

Meera: Aisa nhi bolte. Dost hai naa woh tumhara. Jao niche jao.

Sonal: Samar kaha hai.

Meera: Apne room mein hai.

Sonal: Okkk.

Phir Sonal waha se uske room mein jaati hai.

Sonal: Mera pyaara bhai mujhe kal ki tarah bacha le.

Samar: Kya hua di.

Sonal: Woh Vicky niche baitha hua hai.

Samar: Ooo. Toh isme main kya karu. Aapka aashiq aapse milne aaya hai. Jaiye uske saath time spend kijiye.

Sonal: Gusse se. Aashiq my foot. Iske saath rishte mein rehne se achha hai main suicide attempt karu.

Samar jor jor se hasne lagta hai.

Samar: Chill di. Chaliye chalke dekhte hai aapke aashiq ko. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal usko kandhe pe maarti hai.

Phir dono niche aate hai jaha Vicky baitha hua tha.

Vicky jab Sonal ko dekhta hai toh usko ghurne hi lagta hai. Jo Sonal notice karleti hai aur usko gussa chadne lagta hai.

Samar: Good Morning Vicky bhaiya. Aaj subah subah idhar kaise. Uncle aunty ne bina khana diye ghar se nikal diya kya.

Samar ki yeh baat sunn Vicky chidd jaata hai toh Sonal ko hasi aajati hai.

Vicky: Ji nhi itne bhi bure din nhi aaye hai. Main toh bas Sonal se milne aagaya.

Samar: Kyo di kya koi celebrity hai jo usse milne aagaye.

Vicky: Aree pure college mein top kiya hai. Is waqt kisi celebrity se kam thodi na hai. Aao Sonal baitho naa khadi kyo ho.

Samar: Sorry bhaiya. But humhe abhi ek friend ke ghar jaana hai toh baithne ka time nhi hai. Aap aaye toh bas milne aagye.

Vicky: Yeh kya Sonal main milne aaya aur tum kahi jaa rahi ho.

Sonal: Humhe pata nhi tha naa ke tum aarahe ho. Isiliye yeh plan banaya. Agar pata rehta toh aisa nhi karte.

Vicky: Thikk hai. Thodi der baith jao.

Sonal: Sorry Vicky. But humhe ready bhi hona hai aur uska ghar bhi durr hai toh humhe thodi der mein nikalna hai.

Vicky: Apna thaga hua chehra leke. Ooo. Thik hai koi baat nhi. Chalo main drop kardunga.

Samar: No thanks. Hum apni car se chale jayenge. Aapko takleef lene ki jarurat nhi.

Vicky aage kuch bolta tabhi Samar wapas bolta hai.
Samar: Chaliye di.

Sonal: Chalo. Sorry Vicky.

Phir yehlog Vicky ka reply sunee bina hi chale jaate hai.

Vicky bhi apna thaga sa chehra leke waha se chala jaata hai.

Sonal aur Samar usko chupke jaate hue dekhte hai.

Sonal: Thank You Samar. Thank You so much. Agar aaj tu naa hota toh yeh mujhe bahot pareshan karta.

Samar: Anytime di. But di iska kuch permanent ilaaz karna hoga. Kahi aisa naa ho yeh kisi din apne parents ko leke yaha aajaye.

Sonal: Sahi kaha. Waise bhi iska koi bharosa nhi. Dekha nhi kaisee ghurr raha tha. Loafer kahi ka.

Samar: Haa dekha tha. Woh toh jaise jaana hi nhi chahta tha.

Sonal: Hmmm. Chorr sochenge kuch. 2 saal ke liye toh iski shakal nhi dekhni padegi.

Samar: Haa sahi kaha. Waise mere paas ek idea hai jisse saari zindagi phir isse nhi dekhna hoga.

Sonal: Kya kya bolna.

Samar: Aap 2 saal ke liye mumbai mein rahengi.
Sonal: Haaa.

Samar: Toh inn 2 saalo mein waha pe hi mere liye koi jijaji khoj lo. Phir humesha ke liye iski shakal se durr.

Sonal: Samar ko maarte hue. Tuuuu kabhi nhi sudhrega. Humesha masti.

Samar: Isme galat kya kaha di. Waise mere paas ek option bhi hai. Raj bhaiya.

Sonal: Kyaaaa Rajjjj.

Samar: Haa Raj bhaiya. Aapki jodi unke saath mast lagegi.

Sonal: Tu naa pagal hogya hai kuch bhi bolta hai. Chal chalke meri packing mein madad kar. Warna kuch bhul jaungi.

Samar: Sochna haa di mere option ke baare mein.

Sonal: Tu chalega ke maar khayega.

Samar: Chal raha hu chal raha hu. Bhalai ka jamana hi nhi hai.


Phir yeh dono jaake packing karne lagte hai.
Jabardast update 🔥 👍🏻
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 5
Idher Raj office mein apni meeting complete karke apni cabin mein aake baith jaata hai. Tabhi waha Yash aajata hai.

Yash: Kya baat hai bhai yeh project toh tujhe hi milega. Kya presentation diya hai tune.

Raj kuch nhi kehta bas baitha rehta hai.

Tabhi Yash ke mobile mein call aata hai.

Yash: Haa bhabhi boliye.

Shruti: Meeting khatam hogyi.

Yash: Haa bhabhi bas abhi abhi khatam hui hai.

Shruti: Great. Toh kya tum apni bhabhi ka ek kaam karoge.

Yash: Order dijiye bhabhi. Aakhir mujhe bhi raat ko ghar mein rehna hai. Yeh bol haste lagta hai.

Shruti: Very funny. Toh ab suno. Tumhe Raj ko lunch karana hai. Dekhna woh bhukha naa rahe. Kal bhi usne kuch naa khaya tha raat mein.

Yash: Ji bhabhi. Aap tension naa lo.

Shruti: Good. Toh ab main rakhti hu.

Yash: Ji bhabhi.

Phir call cut hojaata hai.

Yash: Chal bhai chalke lunch karte hai.

Raj: Nhii mann nhi kar raha hai.

Yash: Bhai kyo mujh gareeb ko ghar se nikalwane pe tula hua hai. Agar tu nhi khayega toh main ghar nhi jaa paunga.

Raj: Kyo tujhe kisne roka hai.

Yash: Bhai meri bhabhi yaani teri didi. Ghar mein unka order chalta hai. Agar unhone boldiya ke main ghar mein nhi rahunga toh koi kuch nhi karsakta. Isiliye chal bhai chalke khaa le. Yeh teri didi ka order hai.

Raj aage kuch nhi bol paata. Woh uth ke canteen mein chal deta hai jisse dekh kar Yash ke chehre mein muskurahat aajati hai.

Yash Shruti ko done ka msg kardeta hai phir dono canteen mein aake lunch karne lagte hai.

Idher ghar mein. Shruti apni maa se.

Shruti: Lijiye mummy. Raj ne lunch karliya. Ab aap bhi kuch khaa le.

Smita: Sach mein Raj ne khaaya hai naa.

Shruti: Haa Mummy. Dekhiye Yash ne done ka msg kiya hai. Ab aap kuch khaa lijiye.

Phir Smita bhi khaane lagti hai.

Shruti(Mann mein): Pata nhi kab Raj aur Mummy ke beech sab thik hoga. Bhagwaan please inke beech sab jaldi se thik kardo.

Idher Jaipur mein raat ko Deepak ghar aata hai aur bolta hai.

Deepak: Tum sab ki packing hogayi.

Sab: Haaa bas ho hi gayi hai. Ab bas sabke liye gifts lene hai.

Deepak: Toh tumlog kal jaake shopping karlo. Kyoki parso dopahar ki flight hai humari.

Sab: Thikkk hai.

Raat ko jab Raj office se wapas aata hai toh Smita uska wait karrahi thi. Par issbaar Smita ke saath Ragini aur Nandini bhi the.

Nandini: Aaj jaldi aagaye Raj.

Raj: Haa bhabhi aaj kaam jaldi khatam hogya.
Ragini: Achha hai. Jao jaldi se fresh hojao phir dinner karte hai.

Raj: Jii Badi Mummy.

Phir Raj jaldi se jaake fresh hota hai aur dinner karne nichhe aata hai. Aaj ka saara khana Smita ne banaya tha khash kar Raj ke liye. Yeh baat sab jaante the bas Raj nhi jaanta tha.

Ragini aur Nandini ne milke Raj ko serve kiya.

Raj khana ka first bite leta hai toh aankhe band karleta hai aur swaad ko mehsoos karne lagta hai.

Raj: Khana bahot achha bana hai kisne banaya hai.

Ragini: Khana Nandini ne banaya hai. Tumhe pasand aaya.

Raj: Jii Badi Mummy. Khana bahot achha bana hai.

Raj ke muh se khaane ki tareef sunke Smita bahot khush hojaati hai. Woh Raj ko khaate hue dekhti rehti hai. Uski bhook usko khaate dekh kar hi shant hochuki thi.

Thodi der baad Raj khaana khaa ke apne room mein chala jaata hai.

Nandini: Choti mummy ab aap bhi khaa lijiye.

Smita: Meri bhook toh tabhi mitt gayi jab mere Raj ko khaana pasand aaya.

Ragini: Nandini Smita ke kiye serve karo.

Phir Smita bhi khaana khaa ke apne room chali jaati hai.

Jaipur mein agle din sablog apne kaam khatam karke sham ko shopping ke liye nikal jaate hai. Swati aaj office naa jaake inke saath shopping pe aayi thi.

Meera: Toh bolo kisko kya lena hai.

Swati: Mummy pehle Shruti di ke liye shopping karlete hai. Phir Karan bhaiya Nandini bhabhi Raj Aarav ke liye. Phir Ishant Jiju ke liye aur unke bhai behen ke liye.

Meera: Thik hai phir. Tum Shruti aur uske sasuraal walo ke liye dekho. Sonal Main aur Samar baaki sabke liye dekhte hai.

Swati: Thikkk hai.

Samar: Dheere se Sonal ke kaan mein. Di aap naa Raj bhaiya ki shopping karna.

Sonal: Aankhe dikha ke. Tu phir suru hogya. Chal jaldi dekh Mummy aur di aage chale gayee.

Samar: Haa toh maine kaha roka hai. Aap hi toh Raj bhaiya ki baat leke baith gayi. Yeh bol woh waha se bhagg jaata hai.

Sonal: Kyaaa. Main unki baat kar rahi hu. Tuu rukk aaj toh tujhe chorungi nhi. Yeh bol Sonal bhi uske pichhe bhagti hai.

Samar bhagg kar Meera ke paas aake khada hojaata hai.
Samar: Mummy dekho na Sonal di maar rahi hai bina wajah.

Sonal: Main bina wajah maar rahi hu. Aur tu jo kalse mujhe unka naam leke pareshan kiye jaa raha hai.

Samar: Unkeeeeeeeee.

Meera: Areee kyaa huaa. Yaha mall mein bhi tum dono ki badmaashi chalu hai.

Sonal: Mummy yeh Samar kabse mujhe pareshan kar raha hai.

Samar: Main kaha pareshan kar raha hu.

Meera: Kyaa hua puri baat batao.

Samar: Main batata hu.

Sonal: Nhii rehne de. Tu phir kuch ulta fhulta batayega.

Samar: Haaa unkeeeeeeee baare mein.

Meera: Ab bas karo aur jaldi se shopping karo.

Phir Meera ek taraf chali jaati hai.

Samar: Tohhh diii unkeeeeee.

Sonal: Tu chup karnaa. Woh age mein mere se badee hai isiliye kaha unkee.

Samar: Haa toh main kaha koi explaination maang raha hu.

Sonal: Tuuu.

Samar: Chaliye ab chalke shopping karte hai. Dheere se. Unkee liyeee.

Sonal sunn toh leti hai par kuch nhi bolti.

Phir yeh log shopping karna start kardete hai.

Inko shopping karte hue kuch time hi hua tha tabhi kisi ne Sonal ki aankho mein haath rakh diya.

Sonal ke saath achanak aise hone se usko bahot bada jhatka lagta hai. Woh haath ko chuu ke pehchane ki koshish karti hai. Par jab woh pehchan nhi paati aur upar se ladke ka haath tha toh apne sir ko pichhe ki taraf dhakelti hai jisse uske aankho ko dhakne wale ke naak se takrata hai aur uska haath Sonal ke aankho se hatt jaata hai aur Sonal ne ghum ke usko ek thappad laga diya.

Sonal thappad lagane ke baad jab uska chehra dekhti hai toh usko shock lagta hai kyoki woh koi aur nhi Vicky thaa.

Sonal: Vickyyy tummmm.

Vicky: Apni naak ko pakde hueee. Haaa mainnn. Aur aisa kaun karta hai yaarr.

Sonal: Galti tumhari hai. Tumhe aise pichhe se meri aankhe band karne ko kisne kaha tha.

Vicky: Yaar main toh masti kar raha tha. Yaha shopping pe aaya tha tumhe dekha toh waisa kiya. Par tumne toh meri naak todd di aur thappad laga diya woh alag.

Sonal: Toh tumhe kisne kaha tha aise karne ko.

Vicky: Toh kya tum kisi ko bhi aise hi marogi.

Sonal: Jii haa. Kyoki maine koi dost banaya nhi hai jo mere saath mazaak karee. Aur maine kisi ko permission nhi diya hai mujhe touch karne kaa. Tumne bina permission ke touch kiya isiliye maara. Aur tum jaan pehchan wale ho isiliye koi scene create nhi hua.

Vicky: Par dekhna toh chahiye tha naa aur tumne toh chuu ke dekha thaa naa.

Sonal: Haaa chuu ke dekha tha ladka tha isiliye attack kiya.

Vicky: Toh kyaa tumne chuu ke pehchana nhi mujhe.

Sonal: Tum koi khaash nhi jisse main chuu ke pehchan lu. Aur ab tum jaa sakte ho. Shopping karne aaye ho toh jao aur shopping karo.

Vicky: Aisee kyo bol rahi ho. We are friends.

Sonal: Friend ho isiliye salinta se bolrahi hu. Warna tumne abhi jo kiya hai uske baad toh baat karne ki bhi ichha nhi hai. Yeh bol Sonal waha se nikal jaati hai Samar ke paas. Jo thodi durr khadi hoke dekh raha tha.

Samar: Kyaa huaa di. Itne gusse mein kyo ho.

Sonal: Uski himmat kaise hui mujhe chune ki. Mujhe chune ka haq sirf usse hoga jisse main pyaar karungi jisse mujhe chune ka permission hogaa.

Samar: Aapne usko maarke baat khatam ki naa. Ab shant hojaiye. Dekhiye humhe kaise dekh rahe hai kuch log.

Sonal charo taraf nazar ghumati hai toh dekhti hai kuch log ghurr rahe hai usse aur Vicky ko jo waha se jaa raha thaa.

Samar: Waise aapne solid chipka diya usko. Maza aagaya dekh kar.

Sonal: Woh isike layak tha. Bahot din se pareshan kiye jaa raha tha. Shayad isse uski akal thikane aajaye.

Samar: Hmm sahi kaha. Chaliye ab apna mood thik karee. Aur baaki ki shopping karle.

Phir yeh dono apne shopping karne lagte hai.

Idher Vicky gusse mein waha se nikal gaya apni beizaati karake. Jaha bahar uska ek dost khada tha jisne Sonal ko mall mein dekha toh Vicky ko call karke bata diya tha.

Dost: Kyaa hua bhai baat bani. Aur tu apni naak pakadke kyo khada hai.

Vicky: Pure shop mein meri beizaati kardi usne.

Dost: Kyaaa. Par kyo. Tu toh pyaar karta hai naa usse. Aur woh toh ladke ke naam pe sirf tujhse baat karti hai aur shayad woh bhi tujhse...

Vicky: Woh mujhe sirf ek Comman friend maanti hai usse jyaada kuch nhi. Maine uski pichhe se aankhe band kardi toh apne sir mere naak mein maarke mujhe thappad mardiya.

Dost: Kyaa. Par kyooo. Dost ke naate toh yeh comman baat hai.

Vicky: Dost hu. Lekin sirf durr reh sakta hu. Usko touch ka permission nhi hai. Saala usse pyaar karta hu isiliye chup kargaya. Warna batata main kya chiz hu.

Dost: Toh ab.

Vicky: Ab kyaa. Ab usse jaise bhi karke shaadi karunga aur apni iss beizaati ka badla lunga. Woh sirf meri hogi aur kisi ki bhi nhi.

Dost: Aisa hi hoga. Uski parents ki nazar mein bhi toh tu hai. Unko impress kar. Main toh kehta hu. Unko aur apne parents ko mila de aur shaadi ki baat karde.

Vicky: Sahi keh raha hai jaldi hi yeh karunga.

Phir woh dono ghar ki taraf nikal jaate hai.

Idher thodi der baad inki shopping bhi khatam hogyi thi aur yehlog bhi ghar jaane ke liye nikal jaate hai.

Inko shopping karke ghar pahonchte hue raat hojaati hai.

Dinner bahar hi karliya tha. Isiliye ghar aake apni baaki ki packing karke so jaate hai.

Idher Kapoor House mein subah breakfast table mein Vijay sabse bolta hai.

Vijay: Aaj sham ko Deepak aur uski family aajayengi.

Shruti: Yeh toh achhi baat hai. Bahot waqt hogye hai Swati Sonal aur Samar se mile hue.

Vijay: Rajjj.

Raj: Ji bade papa.

Vijay: Kyaaa tum jaake unko Airport se receive karloge.
Raj: Par bade papa office.

Ashok: Agar ek din office se jaldi nikal jaoge toh koi bahot bada loss nhi hogaa.

Raj: Thikk hai Papa main receive karlungaa. Mujhe flight details msg kardijiye.

Vijay: Thikk hai main kardunga.

Phir sab office nikal jaate hai.

Savitri: Badi bahu choti bahu Nandini beta tumlog Hari(ghar mein kaam karne wala aadmi no important role kabhi kabhi naam aayega)se bolke kuch kamre saaf karwa do.

Shruti: Dadi Swati mere saath rahegi. Sonal ko Raj ke bagal wala room de dete hai woh thoda bada bhi hai toh woh waha rehlegi. Aur Samar Aarav ke saath rehlega. Aur uncle aunty ke liye guest room khulwa dete hai.

Nandini: Haa yeh thik rahega. Phir ab jab Sonal 2 saal yehi rahegi toh usi room mein rehlegi.

Savitri: Thikk hai toh aisa karlo.

Smita: Tumlogo ki shopping hogyi.

Nandini: Nhi choti mummy. Kal jayenge.

Shruti: Haaa. Ab toh Sonal Swati aur Samar bhi join karlenge Ishita ke saath.

Ragini: Dekhlo jyaada time nhi hai.

Nandini: Jii.

Phir yeh log bhi apne apne kaam mein lag jaate hai.

Idher Jaipur mein sablog ekbaar phirse sab check karlete hai phir Airport ke liye nikal jaate hai.

Swati: Papa aapne unhe flight details msg kardi thi naa.

Deepak: Haaa maine Vijay bhaiya ko msg kardiya tha aur unka msg aaya hai ke Raj aayega humhe recieve karne.

Samar: Sonal ke kaan mein dheere se. Rajj bhaiyaa aayenge didi humhe lene.

Sonal: Haaa sunaa maine.

Samar: Aap excited ho.

Sonal: Kyoo Shahrukh Khan aaraha hai kya humhe lene jo excited rahu. Ab chup chap khada rahe.

Samar hasne lagta hai.

Thodi der baad inki flight ki announcement hoti hai toh yeh check-in karke flight mein baith jaate hai.

Kuch der baad flight takeoff karjaati hai mumbai ke liye.

Idher Raj jab office aata hai toh Yash nhi aaya hua hota hai.

Raj apna kaam karne lagta hai. Thodi der baad Yash aajata hai. Aur kaam karne lagta hai.

Aise hi kaam karne ke baad Yash bolta hai.

Yash: Aur kitna kaam karega bhai. Chal na ek ek coffee lete hai neend aarahi hai.

Raj: Kitna soyega. Raat bhar kya karta hai.

Yash: Ek toh teri wajah se mujhe jaldi uthna padhta hai. Isiliye meri neend puri nhi hoti.

Raj: Kumbhkaran.

Yash: Ab main teri tarah workaholic nhi. Aur mere se subah jaldi nhi utha jaata.

Raj: Aalsi. Tera suru se aisa hi hai. College mein bhi 1st lecture humesha miss hota tha tera. Sudhar jaa. Kuch waqt baad teri bhi shaadi hogi. Warna biwi aake dande maar maar ke uthayegi.

Yash: Aree aane toh de pehle. Main toh kab se wait kar raha hu. Par aati hi nhi. Waise mere saath tu bhi ghodi chadegaa. Main akele thodi chadungaa.

Raj: Tu kisliye ghodi chadega. Tu toh gadhi chadega naa. Shaadi bhi toh gadhe ki hogi. Ghodi toh main chadunga.

Yash: Bekhayali mein. Haa sahi kaha.

Raj yeh sunke hasne lagta hai. Idher Yash ko jab khayal aata hai Raj ne kya bola tha toh gusse se bolta hai.

Yash: Main gadha hu.

Raj: Isme bolne ka kya hai yeh toh mujhe pata hai. Kuch naya bol. Yeh bol woh hasne lagta hai.

Yash kuch bolta par Raj ko hasta dekh woh rukh jaata hai. Aaj bahot waqt ke baad woh Raj ko haste hue dekh raha thaa.

Raj: Kyaa huaa aise kyaa dekh raha hai.

Yash: Kuchh nhii. Waise tu kiske liye ghodi chadegaa.

Raj: Aree isme bolna kya hai. Main toh apni M......

Raj abhi aage par bolta par uski jubaan aage nhi khulti. Aur isike saath uski hasi gayab hojaati hai.

Yash jo itne waqt baad Raj ko khush dekh ke khush tha par apni bewakoofi bhari sawaal se usse wapas dukhi kardeta hai.

Yash: Rajjj I am sorry yaarr. Maine wapas tujhee.....

Raj: Nhii yaar isme teri koi galti nhi hai. Yeh meri kismat hai. Main chah ke bhi isse kabhi nhi badal sakta. Waise woh pal bhi kitna achha thaa naa. Jab hum eksaath the. Masti mazaak karte. Ghumne jaate. Par phir woh din aaya jo sabkuch ujaad gaya. Yeh bolte waqt uske aankh se aansu ke do boond nikal jaate hai.

Yash: Main jaanta hu Raj yeh chiz tu kabhi nhi bhul sakta.
Tu kya hum mein se koi nhi bhul sakta jisse pata hai. Par kab tak aise hi rahega. Ab tujhe apni life mein aage badhna chahiye. Usne bhi toh yehi kaha tha naa.

Raj: Hmmmm. Koshish kar raha hu Yash. Par jaise hi ek kadam aage badhata hu kisi na kisi tarah se uske saath bitaya hua waqt yaad aajata hai.

Yash kya bolta kyoki woh jaanta tha yeh bahot mushkil tha.

Raj: Chorr. Chal kaam karte hai. Phir mujhe Airport bhi jaana hai.

Yash: Kisliyee.

Raj: Di ki sagai ke liye Jaipur se thode relatives aarahe hai unhe receive karne ke liye.

Yash: Kab jaana hai.

Raj: 5 bajee.

Yash: Abee 4:30 baj gaye hai. Kab jayegaa.

Raj: Whatttt. Abee bade papa ka kaam tha. Jaldi chal warna meri khairr nhii.

Phir Yash aur Raj Airport ke liye nikal jaate hai.

Idher inki flight time se land karjaati hai. Yeh checkout karke bahar aate hai toh waha Raj nhi tha.

Sonal: Papa hum Raj ko pehchange kaise. Aur koi humare naam ka board leke bhi nhi khada hai.

Deepak: Vijay bhaiya ne uska number diya tha. Ruko call karta hu.

Deepak Raj ko call lagata hai. Raj toh drive kar raha tha aur Yash bagal mein baitha tha.

Yash: Abee tera phone baj raha hai.

Raj: Tu utha dekh kiska hai.

Yash: Unknown number hai. Uthau.

Raj: Utha.

Yash: Hello. Kaun.

Deepak: Hello Raj. Main Deepak bolraha hu. Hum Airport pe khade hai tum kaha ho.

Yash: Hello uncle. Actually main Raj nhi uska dost Yash hu. Raj Drive kar raha hai. Hum Airport hi aarahe hai. Par traffic ke wajah se late hogaye hai.

Deepak: Oooo. Kitna time lagega.

Yash: Uncle aur shayad 10 minutes lagega. Aaplog waiting room mein wait kijiye.

Deepak: Thikkk haii tumlog aaram se aao.

Yash: Abee jaldi chal woh log pahonch gaye hai wait kar rahe hai.

Swati: Kya hua Dad. Kaha hai Raj.

Deepak: Woh aaraha hai. Actually traffic ki wajah se late hogya hai. 10 mins lagega. Chalo waiting room mein wait karte hai.

Phir yehlog waiting room mein aajate hai.

10 mins baad Raj aur Yash Airport aate hai.

Raj: Tu baith main aata hu.

Phir Raj sidha waiting room ki taraf daud laga deta hai. Jab woh waiting room mein aata hai toh waha 5 log baithe hue the.

Sonal ki nazar sabse pehle Raj pe padhti hai toh woh dekhti reh jaati hai. Woh palke jhapkana bhul jaati hai bas ektak Raj ke chehre ko dekhti hai. Uski chehre ko jaise apni aankho mein basa rahi thi.

Formal shirt aur pant uski body mein puri tarah fit thaa. Hair style bhi mast tha. Aankho mein ek stylish chashmah jisse dekh kar Sonal puri tarah se ghayal hochuki thi. Pehli baar kisi ko dekh kar Sonal ke dil mein pyaar ka aihsaas hua tha.

Raj: Deepak Uncle.

Deepak: Rajjj.

Raj aage badh ke Deepak aur Meera ke pairr chutaa hai.

Raj: Sorry woh traffic ki wajah se late hogya aur aaplogo intezaar karna padha.

Meera: Koi baat nhi beta. Humhe pata hai mumbai ke heavy traffic ke baare mein. Kaise ho tum.

Raj: Jii thik hu. Aaplog kaise hai. Aane mein koi takleef toh nhi hui naa.

Deepak: Humlog bhi thik hai aur aane mein koi takleef nhi hui.

Raj: Chaliye chalte hai.

Phir Raj Deepak ke haath se uska luggage leke aage badh jaata hai.

Sonal abhi bhi usse ek tak dekhe jaa rahi thi.

Samar: Kyaa huaa di. Aisee kyaa dekh rahi ho. Chalooo.

Sonal: Hadbada ke. Haa challl.

Samar: Waise kitna handsome hai naa Raj.

Sonal: Bahotttt.

Samar: Kyaa baat hai di. Pehli baar kisi ladke ko dekh kar aapne aisa kaha. Kahi dil toh nhi aagaya.

Sonal: Chupp karr. Kuch bhi bolta hai. Yeh bol Sonal aage nikal jaati hai aur thoda sharmaa jaati hai.

Phir sab car ke paas aate hai. Yash Car se bahar aata hai.

Raj: Uncle yeh mera dost cum bhai Yash. Isike bhaiya se di ki shaadi horahi hai.

Yash aage badh ke Deepak aur Meera ke pairr chutaa hai.

Yash: Aane mein koi takleef toh nhi hui na.

Deepak: Nhi beta.

Phir Yash ki nazar Swati pe jaati hai toh woh dekhta hi reh jaata hai. Uske dil ki dhadkan badh jaati hai. White suit mein jaise koi pari utar aati hai uske saamne. Woh bas ek tak usko dekhta rehta hai. Par jab usko khayal aata hai ke woh kaha hai toh apni nazre hata leta hai.

Par yaha yehi haal Swati ka bhi tha. Woh bhi Yash ko dekh kar attract hui thi. Aur usko aise ghurte dekh sharma rahi thi.

Raj: Aaiye uncle baithiye.

Raj aur Yash ne milke saara luggage rakhdiya tha.

Phir sablog car mein baith jaate hai. Sonal aise baithi thi ke usko drive karta hua Raj saaf dikh raha tha aur woh bas usko hi dekhe jaarahi thi sabki nazre bacha ke.

Yash bhi rear view se Swati ko hi dekh raha tha jo Swati ko pata tha isiliye woh sharma ke window se bahar dekh rahi thi.

Meera: Waise Raj ab toh tum bahot bade hogaye ho. Bachpan mein dekha tha tumhe.

Raj: Jii aunty. Par mujhe yaad nhi.

Meera: Jaahir si baat hai uss waqt toh tum 9 saal ke the. Ghar mein sab kaise hai.

Raj: Jii sab achhe hai. Waise aapke bagal mein jo baitha hai woh Samar hai naa.

Meera: Haa yeh Samar hai. Aur yeh Sonal hai. Aur woh hai Swati.

Raj: Hiiii.

Samar aur Swati: Hii.

Sonal: Dheere se. Hii Rajjj.

Raj: Hii Sonal. Kaisi ho tum.

Sonal: Main achhi hu. Aap kaise hai.

Raj: Main bhi achha hu. Yeh bol ekbaar Sonal ko pichhe ghum ke dekhta hai toh pata hai Sonal usko hi dekh rahi hai. Phir woh aage dekh kar drive karne lagta hai.


Thodi der baad yehlog Kapoor House pahoch jaate hai.
Awesome update
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 6
Savitri Ragini aur Smita gate pe hi khade the. Nandini aarti ki thali liye khadi thi.

Savitri: Wahi ruko tum sab. Nandini beta.

Nandini: Jiii dadi. Phir Nandini inn 5 jan ki aarti utarti hai.
Phir yehlog andar aate hai.

Meera aur Deepak jaake pehle Savitri Vijay aur Ragini ke pairr chutee hai. Swati Sonal aur Samar bhi sabke paire chutee hai. Nandini Aarav Karan aur Shruti Deepak aur Meera ke pairr chute hai.

Savitri: Toh ab yaad aayi tumlogo ko humari.

Deepak: Kaisi ho Maa. Kyaa kare maa. Inn kuch saalo mein kaam ke chakar mein aisa busy hogya tha ke bachho ko aur Meera ko bhi samay nhi de paaraha tha. Par ab aisa kuch nhi hai.

Savitri: Hmm. Aa baith. Meera bahu kaisi ho.

Meera: Thikk hu Maa ji. Par aapki tabiyat shayad thik nhi lagrahi hai.

Deepak: Haa Maa. Meera sahi bol rahi hai.

Savitri: Ab umar bhi toh dekh. Tere bauji ke paas jaane ka waqt hogya hai. Bas ekbaar apne sabhi pote potiyon ke bachho ka muh dekhlu. Phir aankhe band karlungi.

Meera: Aree Maa ji. Kaisi baate kar rahi hai aap. Abhi toh aapko inke bachho ke bachho ka muh bhi dekhna hai. Waise Shruti ki sagai ki bahot bahot badhai ho.

Aarav jab yeh sunta hai toh woh paani pi raha tha toh usko thaska lag jaata hai.

Savitri: Tujhe kyaa huaa.

Aarav: Kuch nhi daadi. Dheere se. Abhi tak humari shaadi hui nhi aur inko humare bachho ke bachho ka muh dekhna hai. Aree pehle humari toh hone do. Pata nhi kab aayegi woh.

Savitri: Meri pote aur potiyan kaisi hai. Kaun hai Swati Sonal. Ab toh pehchan mein hi nhi aarahi .

Deepak: Yeh Swati yeh Sonal aur yeh hai Samar. Swati ki padhai puri hochuki hai mere saath office aati hai. Sonal ka graduation 2 din pehle puri hui hai. Aur Samar ka aakhri saal hai.

Ragini: Bahot bahot mubarak ho Sonal college mein top karne ke liye.

Sonal: Thank You.

Meera: Raj se hum mil liye. Baakiyon se bhi mil le.
Ragini: Yeh hai Karan aur yeh hai Nandini ghar ki badi bahu. Yeh Shruti yeh Aarav.

Meera: Kyaa baat hai didi bahu toh bahot pyaari laayi ho.

Ragini: Karan hi pasand karke le aaya. Dono ko college padhne bheja tha par yeh dono padhai chorke kuch aur karne gaye the.

Nandini sharma jaati hai. Aur Ragini Karan ke kaan pakad leti hai.

Nandini: Main chai nashta leke aati hu. Yeh bol woh kitchen mein bhagg jaati hai.

Sab hasne lagte hai.

Meera: Aajkal ke bachhe sab aise hi hai. Kya inn dono ne bhi aisa hi koi khoj rakha hai.

Meera ki baat sunke Sonal Raj ki taraf dekhti hai toh usko uski aankho mein beintehan dard dikhai deta hai. Jisse Sonal ko bhi takleef hoti hai.

Ragini: Aarav ka nhi bol sakti. Par Raj aisa nhi hai. Woh agar kisi ladki ko pasand karta toh ab tak bolchuka hota. Aur phir usko college se nikle bhi toh 3 saal hogye hai.

Raj aankhe band karleta hai par uski aankho se aansu nikal jaate hai. Jinhe woh badi safai se poch leta hai. Par Sonal jo tabse usiko dekh rahi thi yeh dekh leti hai. Sonal Raj ke chehre pe jo dard tha takleef thi woh pehchan leti hai aur uski aankho se behte hue aansu bhi. Yeh sab dekh kar Sonal ko bhi bahot takleef hoti hai.

Karan: Mummy. Inhe abhi rest karne dijiye. Itni durr se journey karke aaye hai. Raj jaa jaake change karle.

Raj bina kuch bole jaldi se waha se nikal jaata hai.

Ragini: Aree haa. Shruti tum Swati ko lejao.

Karan: Yash tu Sonal ko Raj ke bagal wale room dikha de Samar ko Aarav ka aur....

Yash: Samaj gaya bhaiyaa. Aao Sonal Samar.

Phir Ragini Deepak aur Meera ko guest room mein lejati hai. Shruti Swati ko apne saath lejaati hai.

Yash Sonal aur Samar ko jaldi se Raj ke bagal wale room mein aur Aarav ke room mein pahoncha ka Raj ke room mein jaata hai jaha Raj apne wardrobe ke paas ek photo haath mein leke khada rehta hai.

Yash: Rajjjj. Yeh bol uske kandhe mein haath rakhta hai.

Raj : Thik hu Yash. Nhi rounga aur naahi dukhi hounga.

Yash: Teri aankhe teri tadap saaf bayan kar rahi hai.

Nandini: Yash thik keh raha hai Raj. Aur tum usse kiya wada bhi todd rahe ho. Tumne usse wada kiya tha naa ke tum aisa kabhi nhi karoge.

Raj: Main kyaa karu bhabhi. Bahot yaad aati hai. Har ek pal uski yaad aati hai. Par ab thik hai bhabhi.

Nandini: Kya humhe uski yaad nhi aati. Meri behen thi woh. Kya mujhe uski yaad nhi aati. Par kya hum aisa karte hai. Nhi naa. Aisa mat karo Raj. Tumhe aise dekh kar usko bhi takleef horahi hogi.

Raj apne aapko shant karta hai. Aur woh photo wapas wardrobe mein rakh deta hai. Phir kuch der woh log baat karte hai. Phir neeche aajate hai aur Raj fresh hone chala jaata hai.

Yash apne ghar chala jaata hai.

Thodi der aaram karne ke baad sablog dinner ke liye neeche aate hai.

Sablog ekdusre se hasi mazaak kar rahe the. Par Sonal ki nazre kahi aur thi aur Raj chup chaap apna dinner kar raha tha.

Raj ne sabko kehne ke liye toh apna dukh chupa liya tha par uski aankho mein woh saaf nazar aaraha tha jo Sonal saaf dekh paarahi thi. Kyoki Sonal ki nazre sirf aur sirf Raj par hi thi.

Sonal(Mann mein): Raj sham se hi dukhi hai. Jab se Ragini Chachi ne woh ladki waali baat chedi hai. Aur tab unki aankho mein aansu bhi aagaye the. Aur abhi bhi woh sabko dikhane ke liye hi khush hai par unki aankhe saaf bata rahi hai ke woh andar se bahot jyaada takleef mein hai. Aakhir aisi kya wajah hai. Kyaaa woh kisi se pyaarrrr... Nhii nhii aisaa nhii hosaktaaa. Agar aisaa huaa tohhh. Zindagi mein pehli baar kisi ko dekh kar pyaar ka aihsaas hua hai. Agar jo main soch rahi hu waisaa huaa toh meraaa kyaaa hogaaa.

Samar: Diii kyaaa soch rahii hoo. Khana khaiyee.

Sonal: Hmm Haaa.

Smita: Aur batao Sonal aage kyaa karne ka socha hai.

Sonal: Padhai ke baad interior designing ke saath fashion design bhi karna hai.

Smita: Bahot achhi baat hai. Swati tumne aage ka kya socha hai.

Swati: Maine toh papa ke saath office join kiya hai padhai ke baad aur aage bhi wahi karna chahti hu.

Smita: Aree waah achha hai. Mere Raj ne bhi padhai ke baad business hi join karliya tha. Aur ab toh sab wahi sambhalta hai.

Raj: Bhabhi mera hogyaa. Main apne room mein jaa raha hu. Yeh bol woh waha se apne room mein aajata hai.
Koi usse kuch bolta yaa karta uske pehle hi woh jaa chuka tha.

Uske aise jaane ka karan Deepak and family ko chorke sabko pata tha. Usne khaana bhi thik se nhi khaaya tha. Aur uske aise jaane se Smita ka chehra murjhaa gaya jo Sonal ne dekh liyaa. Aur usko Raj ka aise jaana bhi ajeeb laga.

Meera: Aree Raj ne toh kuch khaaya hi nhi. Puri plate waise hi padhi hai.

Nandini: Wohh actually aaj usne lunch late se hi kiya tha aur mujhe bola tha ke dinner nhi karega par maine hi jabardasti bulaya tha.

Meera: Ooo.

Smita ka ab khaane ka mann bilkul nhi tha. Uske gale ke neeche ab niwala nhi utar raha tha aur ab woh bilkul chupp hogyi thi. Sonal yeh sab chiz notice kar rahi thi.

Thodi der baad sabne apna dinner complete kiya phir baith kar baate karne lage par Smita toh jaise waha hokar bhi nhi thi.

Shruti Swati Nandini Karan Samar Aarav Sonal sab ek room mein baith kar baate kar rahe the par Raj innsab mein nhi thaa.

Sonal: Hum sab yaha hai par Raj nhi hai.

Karan: Woh Raj ko akele rehna jyaada pasand hai. Woh kisi se jyaada ghulta milta nhi hai.

Samar: Par Raj bhaiya ki personality dekh kar aisa lagta nhi hai.

Aarav: Haaa par college ke baad se hi woh aise hogye hai.

Sonal: Aisa kyooo.

Aarav: Yeh toh kisi ko nhi pata.

Shruti: Aree kyaa baate lekar baith gaye. Yeh batao tumlogo ka college life kaisa hai. Koi boyfriend banaya ya nhii. Aur Samar koi girlfriend.

Samar: Mera toh bahot mann hota hai. Par Sonal di ki wajah se nhi kar paata.

Swati: Tu college padhne jaata hai yaa girlfriend banane. Ghar chal tu mummy papa se teri shikayat naa ki toh dekhna.

Nandini: Oo come on Swati. Yehi toh umar hai abhi yeh sab karne ki. Aur Samar Sonal ki wajah kyo nhi kar paate.

Samar: Kyoki inko aisa kuch pasand nhi hai.

Sonal: Maine tujhe kab roka hai jo mujhe blame kar raha hai. Bhabhi yeh jhootha hai ek number ka.

Samar hasne lagta hai.

Shruti: Achha. Toh Sonal tum batao.

Sonal: Kabhi koi aisa mila hi nhi jisse pyaar ho. Jisse dekh kar dil kahe ke yehi hai woh jiska mujhe intezaar hai.

Nandini: How sweet.

Karan: Chalo yaar ab inhe sone do. Thake hue honge.

Samar: Nhi bhaiyaa baithye naa. Maza aaraha hai.

Karan: Nhii Samar. Mujhe kal subah duty pe bhi jaana hai so main nhi jaag sakta. Tumlog baate karo.

Swati: Nhi nhj bhaiya. Humlog bhi sote hai ab.

Phir sab apne apne room mein jaane lagte hai par Sonal apne hi khayalo mein gumm thi.

Swati: Sonal kyaa thodi der baat hosakti hai.

Sonal: Haa di boliye.

Swati: Kya hua hai Sonal. Main kabse dekh rahi hu tum kuch pareshan ho.

Sonal: Nhii di. Aisi koi baat nhi hai.

Swati: Tum bhul rahi ho. Hum best friend hai. Tum mujhse kuch nhi chipaa sakti. Chalo bolo kyaa baat hai.

Sonal: Dii woh Rajjjj.

Swati: Kyaa huaaa Rajj ko.

Sonal: Dii maine unki aankho mein dekha hai woh bahot takleef mein hai. Aur unki yeh takleef mujhse nhi dekhi jaa rahi hai.

Swati: Aur tujhe kyo aisa lag raha hai. Aur tujhse unki takleef kyo nhi dekhi jaa rahi hai.

Sonal: Wohh dii wohhh. Actually wohhh.

Swati: Bollll.

Sonal: Bas di. Aisee hi.

Swati: Meri taraf dekhhhh.

Sonal naa mein gardan hilati hai.

Swati Sonal ki chehra apni taraf karti hai toh uska chehra sharam se laal hochuka thaa.

Swati: Sonal kyaa jo main soch rahi hu wohh....

Sonal jhatt se Swati ke gale lag jaati hai.

Swati: Areee waaahh. Meriii behen ko pyaarr hogyaaa haiiiii. Sonalllll. Kabbbb huaaaa.

Sonal bas uske gale lagi rehti hai. Uski himmat nhi horahi thi ke woh kuch bolee.

Swati: Chall mere saathhh.

Swati Sonal ko leke terrace pe aati hai.

Swati: Sonalllll.

Sonal: I am sorry diii. Par aaj jab maine unko Airport pe dekha tha tabhi se shayad main unse.....

Swati: Areee isme sorry kyo bol rahi ho. Main bahott khushh hu tere liyee. Zindagi mein pehli baar tujhe koi pasand aaya. Aur woh bhi Rajjj. Tere liye wohhh besttt haiii. Teri jodi uski saath khubb jamegiii.

Sonal sharmaa jaati hai aur Swati ke gale lag jaati hai.

Sonal: Please dii yeh baat kisi ko mat bataiyegaa. Khash karke Samar ko.

Swati: Thikkk haiii nhii bataungii. Par meri taraf dekhh.

Sonal Swati ki taraf dekhti hai par abhi bhi woh sharma rahi thi.

Swati: Tere liyee mainn bahott khushh hu. Par agar uski life mein koi pehle se huii tohhh.

Sonal jab yeh sunti hai toh ekpal ke liye uski aankho mein aansu aajate hai.

Swati: Aree Sonalll yehhh kyaaa. Aaj pehli baar tumne usse dekha abhi sirf tumhe pyaar ka aihsaas hua hai abhi se yeh halat. Itni possessiveness.

Sonal: Pehli nazar mein hi main unse bahot pyaar kar baithi hu di. Mujhe nhi pata jo aapne kaha hai agar woh hota hai toh kyaa hogaa. Zindagi mein pehli baar kisi ko dekh kar pyaar hua hai.

Swati: Chup hojao Sonal. Aisa kuch nhi hogaa. Achaa ab yeh batao uss waqt kyaa soch rahi thi.

Sonal: Dii jab sham ko Ragini Chachi ne ladki ki baat ki thi tabse main dekh rahi hu Raj bahot takleef mein hai aur tab maine unki aankho mein aansu bhi dekhe thee.

Swati: Sonallll main issbaare mein kuch nhi kahungi. Tu khud samajdaar hai. Phir bhi tu usse pyaar kar baithi.
Sonal sir jhuka leti hai.

Swati: Sonal main nhi chahti ke meri behen ko takleef ho. Isiliye jo bhi karna soch samaj kar karna. Kahi baad mein tujhe koi takleef naa ho.

Sonal bas haa mein gardan hila deti hai.

Swati: Chal ab chalke sojaa. Aur iske baare mein itna naa soch. Sab kuch achha hogaa.

Sonal: Good Night di.

Swati: Good Nightt.


Phir dono nichhe aake apne apne room mein chale jaate hai.
Awesome update
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 7
Shruti: Kyaa hua Swati kaha gayi thi.

Swati: Kuch nhi di. Bas Sonal se baate kar rahi thi. Aap kuch batao jiju ke baare mein.

Shruti: Main kya batau. Mil lena kal aarahe hai.

Swati: Kyaa baat hai di. Yaani kal aapdono ki mulakat hogi.

Shruti: Haaa pure 10 din baad milenge. Aise toh video call mein baat hoti rehti hai.

Swati: How sweet. Waise mujhe jiju ki pic toh dikhaiye.

Phir Shruti Swati ko Ishant ki pic dikhate hai.

Swati: Wow di. Jiju toh bahot handsome hai. Aapki jodi mast lagegi.

Shruti: Thank You.

Swati: Inke family mein aur kaun kaun hai.

Shruti: Bas yeh mera devar aur meri ek nanad hai. Bilkul Samar ki tarah hai. Aur woh bhi Sonal ke saath usi ke college mein jayegi.

Swati: Waah yeh achhi baat hai. Sonal ko ek friend mil jayegi.

Shruti: Haa sahi kaha.

Swati: Inke parents.

Shruti: Kuch saal pehle chardhaam ki yatra pe gaye the tab accident mein woh chal base. Tabse Ishant hi sab sambhalte hai.

Swati: Ooo. Aapka devar wahi hai naa jo Raj ke saath Airport pe aaya thaa.

Shruti: Haaa. Yashhh. Mere liye bilkul Raj Aarav aur Bhaiya ki tarah hai. Abhi bhi bachpana hai. Par Raj ke liye kuch bhi kar sakta hai. Jabse hum Mumbai aaye hai yeh dono saath hai. School College sab saath kiya. Khud ka business hai phir bhi Raj ke sang hai. Iske liye Ishant aur Raj mein Raj pehle aata hai.

Swati: Greatttt. Bahot kam dekhne ko milti hai aisi dosti.

Shruti: Yeh saath rehta hai isiliye mujhe Raj ki tension nhi hoti.

Swati: Kaisi tension.

Shruti: Woh woh actually Raj kaam mein itna busy hojaata hai ke usko khaane ka dhyaan tak nhi rehta. Yeh toh Yash hai jo Raj ko lunch karwata hai.

Swati: Oooo. Achhi baat hai.

Phir dono aise hi baate karte hue so jaate hai.

Idher Raj apne kamre mein aake apni aankho mein gussa takleef aur aansu liye bed mein sojaata hai.

Smita bhi jab apne room mein jaati hai toh rone lagti hai.

Ashok: Chup hojao Smita chup hojao. Mat roo.

Smita: Kaise chupp hojau. Meri wajah se aaj mere bete ne khaana tak nhi khaaya. Woh bhuka so gaya. Ek maa kaise apne bachhe ko bhuka dekh sakti hai.

Ashok: Tumhari koi galti nhi thi Smita chup hojao.

Smita: Galti toh meri hi thi. Agar main woh galti nhi karti toh aaj Raj mere paas hota. Woh iss tarah mujhse naraz nhi hota.

Ashok kuch nhi bolta. Thodi der baad Smita kamre ke bahar jaane lagti hai.

Ashok: Kaha jaa rahi ho.

Smita: Mere Raj ke paas. Yeh bol woh Raj ke kamre mein aajati hai. Jaha Raj sogaya tha.

Smita dheere dheere uske room mein aati hai aur Raj ke chehre ko dekh kar rone lagti hai. Woh uske sir ko sehlaane lagti hai.

Thodi der baad woh bhi apne room mein aake sojaati hai.

Agli subah sab apne time pe uthke breakfast table pe aajate hai.

Ragini: Shruti aaj tumlog shopping pe jaa rahi ho naa.

Shruti: Haa Badi mummy. Swati Sonal Samar tumlog bhi chalo humare saath.

Samar: Haa haa kyo nhi. Isi bahane humara bhi mumbai darshan hojayegaa.

Smita: Toh kaun kaun jaaraha hai.

Shruti: Mummy main bhabhi Swati Sonal Samar aur Ishita.

Ragini: Thikk hai dhyaan se jaana.

Tabhi door bell bajti hai. Hari jaake darwaza kholta hai toh Ishant aur Ishita andar aate hai.

Ishita: Good Morning bhabhiii. Good Morning everyone.

Shruti: Good Morning Ishu. Aao baitho nashta karo.

Ishita: No bhabhi. Hum karke aaye hai.

Ishant aage badh ke sabhi badho ke pairr chuta hai. Saath mein Ishita bhi.

Vijay: Kaise ho Ishant.

Ishant: Achha hu bade papa. Bas Ishita ko chorne aaya tha.

Nandini: Kyoo Shruti se nhi milna.

Shruti sharma jaati hai aur Ishant jhepp jaata hai.

Ashok: Ishant inse milo. Yeh hai mera dost cum bhai Deepak. Yeh iski patni Meera. Aur yeh teen inke bachhe Swati Sonal aur Samar.

Ishant sabko pranaam karta hai.

Ishant: Achha toh main chalta hu. Yeh isne Shruti ko dekh kar bola tha.

Smita: Aree baitho naa. Nashta karke jaana.

Ishant: Nhi mummy already late hogya hai. Phir kabhi.

Smita: Thik hai. Shruti jaao Ishant ko bahar tak chorr aao.
Phir Shruti aur Ishant bahar aate hai.

Ishant: Toh chalu.

Shruti: Mujhse puchke aaye the jo mujhe bolke jaa rahe ho.

Ishant: Lagta hai Madam naraz hai. Kya main Mallika-e-husn ke naraz hone ka karan jaan sakta hu.

Shruti: Aapko kya fark padhta hai mere naraz hone ka. Main aapki hoti kaun hu.

Ishant: Aree aree aisa mat bolo. Tum toh meri zindagi ho. Tumhare hone se hi toh main hu.

Shruti: Yeh sirf kehne ki baate hai. Agar sach mein aisa hota toh 10 din baad nhi mil rahe hote.

Ishant: Shruti ko baahon mein bharke. Achha toh yeh hai humari jaan ke naraz hone ka reason.

Shruti: Jiii haaa.

Ishant: I am sorry. Par kya karu jaan. Humari engagement aarahi hai uske liye jyaada se jyaada kaam khatam kar raha hu taaki engagement ke baad tumhare sath time bita saku.

Shruti: Achhaaa.

Ishant: Haaaa.

Shruti: Achha ab choro. Ab late nhi horaha hai tumhe.

Ishant: Late toh horaha hai par tumhe chorne ka mann nhi karraha hai.

Shruti: Jyaada romantic hone ki jarurat nhi hai. Jao office jao. Sham ko baat karenge.

Ishant: I Love You.

Shruti: I Love You Too.

Ishant: Waise Raj kaisa hai. Yash bata raha tha thoda dukhi hai.

Shruti: Dukhi toh hai. Par sambhal bhi raha hai. Usne jo khoya hai uski bharpai honi toh mushkil hai par phir bhi sambhal raha hai.

Ishant: Hmmm. Thikk hai chalo main chalta hu. Byee. Phir ek kiss hontho mein kar deta hai.

Shruti: Byeee.

Phir Shruti andar aajati hai aur Ishant chala jata hai.

Shruti jab andar aati hai toh sabka khana hochuka tha.

Nandini: Kyaa baat hai Shruti. Badi jaldi aagayi. Humhe toh laga tha tum aaogi hi nhi.

Shruti sharma jaati hai. Kyaa bhabhi aap bhi.

Swati: Dekho toh kaise sharma rahi hai.

Ishita: Waise bhabhi humhe kab nikalna hai shopping ke liye.

Shruti: Bas hum sab ready hojaaye phir nikalte hai.
Ishita: Thikk hai.

Shruti: Ishuu tum Emperial College se interior designing mein ho naa.

Ishita: Haaa Bhabhi.

Shruti: Greatt. Toh yeh hal Sonal. Meri behen. Yeh bhi usi college mein padhegi schlorship ke through. Aur yeh bhi usi course mein masters mein hai.

Ishita: Greatttt. Schlorship matlab topper. Chalo mera kaam toh hogyaa. Ab pura saal padhna nhi padegaa. Sonal di hai naa mujhe pass karwane ke liye. Yeh bol hasne lagti hai.

Shruti: Lo Sonal. College ke pehle ek dost mil gayi. Ishu iska khayal rakhna. Pehli baar mumbai aayi hai.

Sonal: Thanks Di.

Ishita: Yes Bhabhi. Aap chinta naa karee.

Shruti: Chalo sab jaldi se ready hojao. Bhabhi aap bhi ready hojaiye.

Ishita: Bhabhi shopping bags uthane ke liye bhi toh koi chahiye naa. Toh Aarav bhaiya ko bhi saath le chalte hai aur Samar toh hai hi.

Aarav aur Samar: Hum kya coolie hai. Hum nhi jayenge. Tumlogo ke saath shopping jaana matlab pure din ki wattt lagana. Humhe maaf karo. Yeh bol Aarav waha se bhagg jaata hai.

Sab hasne lagte hai.

Phir sab ready hoke shopping ke liye nikal jaate hai.

Nandini: Shruti tumne sagai ke liye apna dress aaj hi select karna hoga.

Shruti: Jii bhabhi.

Swati: Bhabhi chinta mat kijiye. Humare sath humari personal designer hai woh hum sabke dress select karegi.

Shruti: Aree haa. Sahi kaha. Sonal hai naa. Woh madad karegi. Aur waise bhi Raj aur Karan bhaiya ke liye dress lene hue nhi hai. Toh unke liye bhi aaj hi le lenge. Sonal tum unke liye dress select kardena.

Sonal: Jii didi.

Swati: Dheere dheere se Sonal ke kaan mein. Haa haa achhe se select karna. Shayad phir puri zindagi teri pasand ke kapde hi pehne.

Sonal sharma jaati hai.

Thodi der baad sablog mall aate hai aur shopping start karte hai.

Sonal sabse pehle gents section mein jaake Raj ke liye dress select karne lagti hai. Jisme uske saath Nandini bhi thi jo Karan ke liye dress select kar rahi thi.

Sonal aur Nandini apni apni pasand ke dress select kar rahe the. Tabhi Sonal ko ek sherwani dikhi jo ek statue pe thaa. Sonal uss statue mein Raj ko imagine karne lagi.

Sonal: Bhabhii yeh sherwani kaisi lagegi Raj ke liye. Unpe achhi lagegi.

Nandini dekhti hai toh usko bhi woh bahot pasand aati hai.

Nandini: Kyaa baat hai Sonal. Bahot achhe. Bahot achhi choice hai tumhari. Yeh Raj ke upar bahot achha lagega. Ekdum uski fitting ka hi lag raha hai.

Sonal: Khush hote hue. Thank You bhabhi.

Nandini: Chalo pehle woh le lete hai. Phir Karan ka dekhenge.

Phir yeh dono jaake woh sherwani pack karwate hai.

Nandini: Chalo Raj ka toh hogya. Ab Karan ka dekhte hai.

Sonal: Bhabhi ek baat puchu. Bura toh nhi manengi naa aap.

Nandini: Aree tum toh meri behen ho. Tumhari baato ka kaisa bura manna. Pucho kya puchna hai.

Sonal: Aap dono ki love marriage thi ya arrange marriage.

Nandini Sonal ki yeh baat sunke hasne lagti hai.

Nandini: Tum yeh puchne ke liye itna ghabra rahi thi.

Sonal thoda sa smile karti hai.

Nandini: Tum bilkul pagal ho.

Sonal: Bataiye na bhabhi.

Nandini: Meri aur Karan ki love marriage hai. Hum college mein saath padhte the. College ke baad Karan IPS ki training ke liye chale gaye. Phir unke wapis aane ke baad humne shaadi ki.

Sonal: Waaaahh. Toh aaplog kaise mile.

Nandini: Pyaar toh hum ekdusre se karte the par sharmate the. Aur humari iss sharmahat ko durr karke humhe eksaath laaye the 2 jan.

Sonal: Ooo. Aapke friends.

Nandini: Usse bhi badhke. Humare bhai behen ki tarah the.

Sonal: Waaah. Toh kya naam hai unke.

Nandini: Rajjj aur ......

Abhi Nandini aage kuch bolti ke usko kuch yaad aajata hai jiske wajah se uski aankhe num hojaati hai.

Sonal: Rajjj. Matlab ghar wale Rajjj.

Nandini: Haaa.

Sonal: Aur....

Nandini: Areee kyaa tum bhi abhi yeh leke baith gayi. Tum toh ab 2 saal yehi hona. Aaram se baate karenge. Filhal shopping pe dhyaan dete hai bahot baaki hai. Tum shopping karo main washroom jaake aati hu. Yeh bol Nandini num aankhe liye waha se chali jaati hai.

Sonal: Yeh bhabhi ko achanak kyaa hogyaa. Woh bolte bolte rukh kyo gayi. Itna toh pakka hai Raj ke saath koi ladki thi. Par bhabhi ne jaanmuzz ke aage nhi bola. Kahi Raj aur woh ladki. Nhi nhiii aisa nhi hai. Main kuch jyaada hi soch rahi hu. Par agar aisa hua toh. Mujhe confirm karna hogaa.

Idher Nandini waha se nikal ke washroom aati hai aur waha num aankho se.

Nandini: Aaj pata chala kyo Raj chah ke bhi tumhare baare mein sochna nhi chorr sakta. Tum har jagah bas chuki hai. Chah ke bhi nhi bhula sakte tumhe. Tumhari yaad aane se humhe itna dukh hota hai. Toh Raj kaise jee raha hai. Iska toh andaza bhi nhi laga sakte. Yeh bolte waqt uski aankho se aansu beh jaate hai.

Tabhi waha Shruti aajati hai.

Shruti: Bhabhi kyaa hua. Aap iss tarah kyo ro rahi hai. Kyaa huaa bhabhi.

Nandini: Sonal ne pucha tha humari shaadi kaise hui.

Shruti: Tohhh.

Nandini: Toh usse bataya hum college mein mile. Aur hum kaise mile.

Shruti samaj jaati hai.

Nandini: Uski bahot yaad aati hai Shruti. Hum toh sirf dost the. Tab bhi humari yeh halat hai. Par Rajjj. Uski kya halat hoti hogi.

Shruti: Jaanti hu bhabhi. Yaad toh humhe bhi bahot aati hai. Aaj subah hi Ishant bolrahe the. Par hum kuch nhi karsakte bhabhi.

Nandini: Hmmmm. Kuch waqt mein hi woh humare itne kareeb aagayi thi ke hum ab usse chah ke bhi nhi bhula sakte.

Shruti: Chup hojaiye bhabhi jitna sochenge utni takleef hogi. Chaliye bahar woh wait kar rahe honge.

Phir dono fresh hoke bahar aate hai.

Nandini jab Sonal ke paas aati hai toh Karan ke liye dress le rahi thi.

Sonal: Aree bhabhi aagayi aap. Yeh dekhiye yeh maine Karan bhaiya ke liye select kiya hai.

Nandini: Kyaa baat hai Sonal. Bahot achhe. Karan ko bahot pasand aayega yeh. Aur yeh toh unka favourite colour hai. Chalo yehi lete hai unke liye. Chalo ab humare liye shopping karte hai.

Sonal: Aree nhi bhabhi. Humari shopping toh jaipur mein hi hogyi thi.

Nandini: Aree aise kaisee chalo humare saath.

Nandini Sonal ko jabardasti ladies section mein lejaati hai aur shopping karwati hai.

Sonal: Bhabhi Shruti didi ki tarah Raj Aarav ne bhi apne liye koi select kar rakha hai kyaa. Kyoki inke baad toh unka hi number hai.

Nandini: Yehh do sabse alag hai. Aarav ka toh pata nhi par Raj ne aisa nhi kiya hai. Agar karega toh sabse pehle humhe jarur batayega.

Sonal yeh sunte hi bahot khush hojaati hai uski saari tension khatam hojaati hai.

Sonal: Kyaa bhabhi aap bhi. Rajj kitne good looking hai unhone toh jarur koi select kar rakhi hogi.

Nandini: Nhiii Raj aisa nhi karega. Main usse jaanti hu.

Sonal ab double sure hogayi thi aur uski khushi kam hi nhi horahi thi.

Nandini: Chalo chalke Shruti ki help karte hai.

Phir yehdono Shruti Swati aur Samar ke paas aate hai.
Swati dekhti hai Sonal kuch jyaada hi khush lag rahi hai.
Swati Sonal ke paas aake dheere se.

Swati: Kyaa baat hai Sonal kuch jyaada hi khush lag rahi ho.

Sonal: Nhi di bas aise hi.

Swati: Ab mujhse chipayegi.

Sonal: Diii actually woh Single hai. Yeh bol sharma jaati hai.

Swati: Masti karte hue. Kaun Single hai Sonal. Kiski baat kar rahi ho.

Sonal: Diii. Samajiye naa. Main kaise kahu. Mujhe sharm aarahi hai.

Swati: Haste hue. Aree meri behen ko sharm aarahi hai yeh bolne mein mein Raj single hai matlab khudki line clear hai.

Sonal chehkne lagti hai.

Swati: Yeh bahot achhi baat hai Sonal. Main bahot khush hu tere liye. Ab toh tu 2 saal yehi rahegi. Dekhna Jaipur wapas naa aana padhe tujhe phir. Yehi rehjaana humesha ke liye.

Sonal sharmake apna chehra ghuma leti hai.

Swati hasne lagti hai.

Shruti: Aree Sonal yaha aao naa meri madad karo naa.

Sonal: Haa di abhi aayi.

Phir Sonal jaake Shruti ki help karne lagti hai.

Thodi der baad inki shopping complete hojaati hai.

Nandini: Chalo shopping toh complete hogyi. Ab kuch khaa lete hai. Phir ghar chalenge.


Phir yehlog food court mein jaake khaana khaate hai phir ghar aajate hai.
Jabardast update 🔥 👍🏻
Raj ke past me sayad kuch hua tha jisse sabhi(Nandani ,Yash, Karan,shruti) ko dukh hai
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 8
Aarav: Achha hua main nhi gaya. Warna yeh toh mere haath aur pairon ko todd deti.

Samar: Sahi kaha bhai aapne. Dekho pura mall utha laayi aur mere haath pair ka band baja diya.

Shruti: Chinta mat kar beta. Shaadi ki shopping baaki hai. Tab chaloge tum.

Aarav: Dekhte hai.

Phir yehlog sabko apni shopping dikhane lagte hai.

Smita: Rajj ki sherwani toh bahott achhi hui hai. Kisne select ki.

Aarav: Sahi kaha Mummy. Bhaiya ki sherwani sach mein sabse best hai.

Nandini: Choti mummy yeh Sonal ne select ki hai. Sirf Raj ki nhi Karan aur iski bhi isne hi select ki hai.

Aarav: Mere liye. Kaha hai dikhaiye. Maine toh pehle hi le li thi par koi nhi.

Nandini: Yeh rahi.

Aarav: Kyaa baat hai Sonal di. Bahott achhi choice hai aapki. Mujhe bahot pasand aaya. Thank you.

Smita: Sach mein beta. Bahot achhi choice hai tumhari. Humhe bhi bahot pasand aayi yeh sherwani.

Sonal: Khush hoke. Thank You.

Ragini: Nandini innteeno ne kuch nhi liyaa.

Nandini: Liya hai Mummy. Yeh log toh bahot mana kar rahi thi. Par humne jabardasti dilaya.

Smita: Bahot achha kiya.

Meera: Aree humari shopping toh Jaipur mein hi hogyi thi. Bekaar mein dilaya.

Ragini: Koi bekaar mein nhi hai. Aree yeh humare bachhe hai.

Savitri: Chalo ab tumlog jao aaram karo.

Phir yehlog apne apne kamre mein aajate hai.

Sonal room mein aate hi dance karne lagti hai khushi mein.

Sonal: Jab se bhabhi ne bola hai Rajjj single hai tabse mujhe naachne ka mann kar raha tha. Aaj main bahot khush hu. Bahotttt.

Ab toh main Rajjj se aur bhi jyaada pyaar karne lagi hui. Bahot jald unko bhi mujhse pyaar hojayega. Main apni taraf se puri koshish karungi. Inn 2 saalo mein mujhe har koshish karni hogi.


Idher Jaipur mein Vicky roj Sonal ke ghar ka chakkar lagata par waha ghar band milta.

Vicky: Yehlog kaha chale gaye. Sonal ko call karta hu toh busy hi aata hai.(Kyoki Sonal ne Vicky ka number block kardiya thaa). Tabhi waha se unka padosi jaaraha hota hai.

Vicky: Hello Uncle. Main Samar ka dost hu. Uske saath college mein padhta hu. Kyaa aap bata sakte hai wohlog kaha gaye hai.

Aadmi: Aree wohlog toh mumbai gaye hai kisi relative ke yaha.

Vicky: Ooo. Kab tak aayenge.

Aadmi: Yeh toh nhi pata. Phir woh aadmi waha se chala jaata hai.

Vicky: Ooo. Toh yehlog ghumne gaye hai. Dekhte hai kab tak aate hai. Inke aate hi gharwalo se baat karta hu rishte ki.

Aise hi din gujarne lagee dekhte dekhte Sagai ka din aagaya.

Uske ek din pehle Nandini ke ghar wale bhi aagaye. Jisme uski maa papa aur uski behen Payal thi.

Nandini: Mummy Papa Payal kaise hai aaplog.

Nandini Mummy: Hum achhe hai meri bachhi. Tu kaisi hai. Khush toh hai naa.

Nandini: Main yaha bahot khush hu mummy. Mujhe lagta hi nhi hai ke yeh mera sasuraal hai. Mujhe lagta hai main maayke mein hi hu. Yaha sab mujhse bahot pyaar karte hai. Harchiz ko pyaar se samjhane wali dadi hai. 2 maa papa jaise saas sasur behen jaisi nanad hai bhai jaise devar hai.

Nandini mummy: Khushi toh tere chehre se hi jhalak rahi hai. Tu khush hai toh hum bhi khush hai.

Ragini: Aaiye aaiye Samdhi ji Samdhan ji. Kaise hai aap.
Nandini Mummy: Hum achhe hai aap kaisi hai.

Ragini: Hum bhi achhe hai. Jab se yeh pagal yaha aayi hai koi kaam karne hi nhi deti. Sirf aaram karwati hai. Payal kaisi ho tum.

Payal: Achhi hu Aunty. Shruti didi kaha hai.

Nandini: Choti woh toh apne room mein hai chal wahi chalte hai. Mummy Papa aaplog baate kariye.

Yeh bol Nandini Payal ko leke waha se nikal jaati hai.

Nandini ke maa baap usko khush dekh kar bahot khush the aur unke aankho mein khushi ke aansu aagaye.

Nandini Payal ko leke shruti ke paas aati hai jaha pehle se hi sab baithe hue the.

Shruti: Payal tum aagayi. Kaisii hooo.

Payal: Achhi hu. Didi. Aap kaisi hai. Btw congratss. Aakhir aapko aapka pyaar mil raha hai. Yeh baat usne kisi ko dekh kar boli thi. Warna kuch log toh aise hote hai jo itna darte hai ke ghar mein bol hi nhi sakte.

Aarav: Ab unki bhi koi majburi hogi. Jiske wajah se wah darte honge.

Shruti: Areee Payal aisi baat kyo kar rahi ho. Koi pasand aagaya hai kyaa.

Payal: Nhii didi. Mujhe toh aisa koi naa dikha ab tak.

Shruti: Aao baitho. Aur inse milo. Yeh hai Swati yeh Sonal aur yeh Samar. Jaipur se aaye hai.

Payal: Hello.

Teeno: Hiii.

Shruti: Aur yeh hai Payal. Nandini bhabhi ki behen. Aur batao Payal kyaa kar rahi ho aajkal.

Payal: Bas B. Tech final year chal raha hai didi.
Shruti: Waahh. Kaunsi college se.

Payal: Emperial College. Ishu ko pata hai toh.

Nandini: Areee waah. Chalo yeh achha hua. Lo Sonal tumko ek aur saathi mil gayi. Payal Sonal usi college se Interior designing ke upar masters kar rahi hai.

Payal: Ooo. Achhi baat hai.

Nandini: Toh tumko aur Ishu ko iske saath rehna hoga. College mein isko koi problem nhi honi chahiye.

Payal: Don’t worry didi. Hum pura khayal rakhenge.

Aarav: Chaliye bahot kaam hai. Kal sagai hai. Baate karne se kaam nhi hoga.

Payal: Aap jao naa. Aapko kisne roka hai. Jo kaam karne ka hota hai woh toh hota nhi aur badi badi baate.

Nandini: Tum dono aate hi start hogye. Jao tum jaake fresh hojao. Phir baate karna.

Phir Payal chali jaati hai fresh hone.

Phir sagai ka din aajata hai sablog kisi na kisi taiyaari mein lage hue theee.

Beauticians ko ghar hi bula liya gaya tha sabko ready karwane ke liye.

Savitri: Aree abhi tak sagai ki angoothi nhi aayi.

Ragini: Aree haa maa ji. Sabse jaruri chiz hi nhi aayi. Ab kyaa karee.

Savitri: Rajjjj.

Raj: Ji dadi.

Savitri: Raj beta Sagai ki angoothi abhi tak nhi aayi. Tu jaake le aayega.

Raj: Jii dadi. Main abhi le aata hu. Kaunsi shop pe jaana hai.

Ragini: Yeh toh Nandini ko pata hai. Nandini yaha aana.

Nandini: Ji mummy.

Ragini: Beta abhi tak sagai ki angoothi nhi aayi. Tum Raj ko jaldi se address de do. Woh le aayega.

Nandini: Aree mummy angoothi thodi der pehle hi aagayi hai. Mere paas hi hai.

Raj: Lo hogyaa phir toh.

Ragini: Areee. Achhaa huaa. Warna bekaar mein Raj ko jaana hota.

Thodi der baad Ishant Yash aur Ishita aajate hai.

Ishant ko stage pe baithaya jaata hai Ishita upar ladkiyon ke paas chali jaati hai. Yash Raj ke paas aajata hai.

Raj: Aur thoda late se aajata.

Yash: Bhai bhul mat. Main ladke walo ki taraf se hu. Bhaiya ke saath hi naa aunga. Aur dulhe ka bhai hu so give respect. Yeh bol hasne lagta hai.

Raj: Ha ha pata hai. Aur Respect usse di jaati hai jo uske layak ho. Yeh bol Raj hasne lagta hai aur Yash muh bana leta hai.

Thodi der mein saari ladkiyan Shruti ko leke aajati hai.

Guests mein jitne bhi bachelor ladke the sab ladkiyon ko hi dekh rahe theee. Sabki nazre inpe hi tiki hui thi.

Ishant ki nazar Shruti se hatt hi nhi rahi thi. Woh muh khole usko hi dekh raha tha.

Tabhi bagal se Ishita bolti hai.

Ishita: Bhaiya aise kyaa dekh rahe ho. Aapki hi hai.

Ishita ke aise bolne se Ishant jhepp jaata hai aur Shruti sharma jaati hai.

Idher Raj ki nazar jab Sonal pe girti hai toh woh bhi usko hi dekhte rehta hai. Raj toh ek pal ke liye palke jhapkana hi bhul jaata hai.

Sonal lag bhi bahot khubsoorat rahi thi. Silver White colour ka lehengha pehna tha. Ek toh woh pehle se hi gori thi aur upar se ab beauticians ke haath se makeup. Jo uski khubsoorati mein chaar chand laga raha tha.

Sonal jabse neeche aayi thi tabse uski nazar Raj pe hi thi. Jab woh dekhti hai Raj usko hi dekhe jaaraha hai toh woh sharmaa jaati hai.

Usko aisa lag raha tha usko Raj ki nazre chuu rahi hai isiliye woh sharma ke Samar ke pichhe chup jaati hai.
Idher Samar Ishita ko hi dekhe jaa raha tha. Usne bhi yeh notice kiya par kuch bola nhi.

Raj ke nazar se jab Sonal gayab hui tab usko khayal aaya woh abhi kya kar raha tha. Jo Raj ko kaafi ajeeb lagta hai. Isiliye woh waha se apni nazar hata leta hai par Sonal ki nazar Raj ke upar hi thi.

Idher Swati aur Yash ki nazar ekdusre ke upar hi thi. Dono hi jaante the dono ekdusre ko dekh rahe hai. Swati toh sharma ki apni nazre neeche karleti hai par chor nazro se woh Yash ko hi dekh rahi thi. Aur Yash toh bas usko hi ghurr hi raha tha.

Aarav aur Payal ka bhi yehi haal tha. Par Payal ne usko completely ignore kiya hua tha.

Aise hi thodi der mein Sagai ki rashm start hoti hai. Ishant aur Shruti ekdusre ko angoothi pehnaate hai. Aur unko stage pe hi baitha diya jaata hai.

Shruti: Karan bhaiya Raj Yash Aarav. Aaj meri sagai hai. Aaplog dance nhi karenge. Bhabhi Swati Sonal Samar Ishita jao aaplog bhi.

Yash: Aree jarur karenge. Kyo Raj Aarav Samar.

Raj: Nhi mere se nhi hoga. Tumlog karo.

Shruti: Rajj mere liyee. College mein tu kitna achha dance karta tha aur gaata tha. Kya mera bhai mere liye yeh nhi karega.

Aarav: Chaliye naa bhaiyaa.

Raj: Thikkk hai.

Phir yehlog dance karte hai. Raj gaana gaata hai. Swati ne Shruti aur Ishant ko bhi join karwaya.

Smita Raj ko naachta gaata dekh bahot khush thi.

Sirf Smita hi nhi Yash Karan Nandini Shruti Ishant sab Raj ko aise enjoy karte dekh bahot khush thee. Sonal bhi Raj ko hi dekhe jaa rahi thi. Aur usko aise dance aur gaate dekh woh bhi bahot khush thi.

Dekhte dekhte sham khatam hoti hai. Saare guest Shruti aur Ishant ko congratulate kar chale jaate hai.

Ab sirf ghar ke members hi reh gaye the.

Yash: Aaj bahot maza aaya hai naa Rajj.

Raj: Haaa bahot maza aaya. Bahot waqt ke baad itna enjoy kiya hai.

Nandini: Isiliye toh kehti hu Raj. Aise hi apni life enjoy karo.

Raj: Jii bhabhi. Koshish karunga ab aise rehne ki.

Ishant: Achha Papa ab hum chalte hai.

Ashok: Thikk hai beta. Sambhal ke jaana.

Phir Yash Ishant aur Ishita sabka aashirwaad leke nikal jaate hai.

Ragini: Chalo ab tumlog bhi change karlo aur sone jao. Saara din bahot thakawat hui hai.

Phir sab apne apne kamre mein jaake change karke sojaate hai.

Par kuch jan ko neend nhi aayi thi.

Sonal apne bed mein lete hue Raj ke baare mein hi soch rahi thi.

Sonal: Aaj Raj mujhe kaise dekh rahe the. Kitni sharm aarahi thi mujhe. Mera yeh sajna sawarna success raha. Main toh Raj ke liye hi itna ready hui thi taaki woh mujhe dekhe. Aur mera ready hona success raha. Mujhe toh aisa lag raha hai jaise abhi bhi Raj ki nazar mujhe dekh rahi hai.

Yeh sochte hue woh sharma jaati hai. Aur aankhe band karleti hai. Par apni jab apni aankhe band karti hai toh usse Raj dikhai deta hai.

Sonal: Yeh Raj toh mujhe sone hi nhi de rahe hai. Aankhe band karne se hi unka chehra dikh raha hai. Ufff Rajjjj yeh kyaa kardiyaa aapnee.

Phir woh aankhe band karke sone ki koshish karti hai. Thodi der baad usko neend aajati hai.

Idher Raj bhi apni apne bed mein lete hue soch raha tha.

Raj: Yeh aaj kya hua thaa. Main aaj Sonal ko iss tarah kyo dekh raha tha. Kyaa soch rahi hogi woh mere baare mein. Mujhe khud kitna ajeeb lag raha hai. Maine aajtak kisi aur aisa nhi dekha sivaay uske. Phir aaj Sonal ko main aise kyoo dekh raha tha. Nhii yeh galat hai. Mujhe aisa nhi karna chahiye thaa. Raj bhi yehi aab sochte hue so jaata hai.

Idher Shruti toh sogayi thi par uske bagal mein leti Swati ki neend udhh chuki thi.

Swati: Kaisee ghurrr tha woh mujheee. Aur main bhi toh usko hi dekh rahi thi. Dikh bhi toh kitna smart and handsome raha tha. Aur ussdin gaadi mein bhi mujhe hi dekh raha tha. Pehli baar kisi ko dekh kar dil mein aisi feeling aayi hai. Par jo bhi kaho ladka hai bada smart.
Swati bhi Yash ko sochte hue so jaati hai.

Idher 4 jan apni socho mein gumm the.

Ishita: Kaisee ghurr raha thaa woh mujhe. Jab se aayi hu tabse hi mere pichhe hai baat karne ke sirf bahane khoj raha hai. Par kitna cute dikh raha tha.

Payal: Kaise baat karne ke liye pagal hua jaaraha hai. Par main koi baat mhi karungi.

Samar: Yaar kitni sundar thi woh. Aur kitni nautanki karti hai. Baat baat mein masti. Jaise main karta hu. Usko toh dekhte hi dil de baitha. Ab toh usko aur kareeb se janna hai.

Aarav: Abhi bhi bilkul waisi hai jaisa last time dekha tha. Bilkul bhi nhi badli. Jab pehli baar dekha tha tabhi mujhe ghayal kargayi thi. Aur aaj toh jaise maar hi diya aur jabse aayi hai ignore hi kiye jaarahi hai. Ab usko kaun samjhaye. Jab tak Raj bhaiya aur shruti didi ka clear nhi hota main kuch nhi karsakta. Pata nhi kab samjhegi.


Yeh chaar apne socho mein ghumm rehte hue hi so jaate hai.
Jabardast update 🔥 👍🏻

Aarav to payal ke peeche hai aur samar to Ishita ke peeche hai aur charo ke dil me ek dusre ke liye kuch na kuch feeling hai
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 9
Agle din breakfast table mein sab baithe hue the. Sonal bhi Rajj ko dekh rahi thi jo aaj normal dikh raha tha sabse baat kar raha tha has raha tha.

Raj ek baar Sonal ko dekhta hai phir khaane lagta hai.

Deepak: Maaa ab humhe bhi jaana hoga. Jyaada din kaam nhi chorr saktaa.

Meera: Haaa Maa ji. Samar ka college bhi start hochuka hai. Ab humhe jaana chahiye.

Savitri: Thikk hai waise bhi 1 mahine baad Shaadi hai tab toh tumsab ko aana hi hai. Par Sonal nhi jayegi. Woh yehi rahegi.

Deepak: Jaisa aap kahe maa.

Savitri: Toh kabki flight hai.

Deepak: Aaj sham ki hai maa.

Savitri: Thikk hai Raj Airport chorne jayegaa. Rajjj.

Raj: Thikk hai dadi.

Phir Deepak Meera Swati aur Samar apni packing mein lag jaate hai.

Swati: Sonal tu ab yaha 2 saal rahegi. Koshish karna Raj ke dil mein tere liye jagah banjaaye. Inn 2 saal ka achhe se use karna. Aur Roj call karna.

Sonal: Jiii diii. Aap bhi apna mummy papa aur Samar ka khayal rakhna.

Sham ko yehlog jaane ke liye ready the.

Meera: Sonal apna dhyaan rakhna. Aur jyaada pareshan mat karna. Aur mann laga ke apni padhai karna. Thikk hai naa.

Sonal: Jiii Mummy. Aap bhi apna aur baaki sabka dhyaan rakhna. Main Roj phone karungi.

Deepak: Apna khayal rakhna Sonal. Vijay bhaiya Ashok bolna toh nhi chahiye par iska dhyaan rakhiyega.

Ashok: Kaise baate kar rahe ho Deepak yeh humari beti hai.

Meera: Smita Ragini didi. Agar isse koi galti hojaaye toh maaf kardena.

Smita: Tum bilkuk chinta mat karo. Humari Sonal bahot samajdar hai. Aur yeh lo isme raat ka khaana hai. Tum ghar pahonch ke khane ki tension nhi hogi.

Meera: Iski kya jarurat thi.

Ragini: Bilkul jarurat thi. Tum kya jaake khana banati. Bilkul nhi.

Sonal: Rajjj. Kya main bhi aapke saath Airport chalu.

Raj: Kyo nhi. Chalo.

Phir Raj Sonal Swati Samar Deepak aur Meera Airport nikal jaate hai.

Swati(Mann mein): Kaash ekbaar usse milsakti. Par usko toh shayad pata bhi nhi hoga. Koi naa shaadi mein mil lenge.

Thodi der mein yehlog Airport aajate hai. Jaha Yash ke saath Ishita pehle se hi khade the.

Swati Yash ko dekh kar bahot khush hoti hai. Toh Samar Ishita ko dekh kar.

Deepak: Aree Yash beta Ishita beti tum yaha.

Yash: Haa uncle. Rajj ne bataya aaplog jaa rahe hai. Bhaiya toh kisi kaam ke wajah se aa nahi paaye. Isiliye hum aagaye.

Phir Yash aur Ishita Deepak aur Meera ke pairr chute hai.
Meera ko Yash ka behaviour bahot pasand aaya.

Swati Yash ko hi dekhe jaa rahi thi. Woh Yash ko yaha dekh kar bahot khush hui thi uski mann ki murad jo puri hui thi.

Phir Yash Samar ke paas jaake usse haath milata hai.

Ishita bhi Samar ke paas aake usse haath milati hai. Samar bhi usse haath milate waqt uski aankho mein dekh raha tha. Ishita ki aankhe bhi ekbaar Samar ki aankho se ladh gayi Par dono ne hi kuch naa bola.

Yash aakhir mein Swati ke paas jaata hai.

Yash: Byeee.

Swati: Byeeee.

Yash: Shaadi ka intezaar rahega.

Swati: Mujhee bhiii. Jiiii.

Yash: Mera matlab hai bhaiya ki shaadi mein phir se mulakat hogi.

Swati: Jiiii.

Phir dono haath milate hai toh Yash ek kagaj Swati ko chupke se pakda deta hai. Swati bhi chup chap woh le leti hai.

Raj: Uncle flight ka time hogya hai. Check in start hogya hai.

Phir sab Sonal se gale milte hai aur Airport ke andar chale jaate hai. Sonal ki aankhe thodi num thi. Kyoki pehli baar woh apne family se durr rehne wali thi.

Swati aur Samar baar baar pichhe mudd ke dekh rahe the. Sonal ko laga usko dekh rahe hai.

Phir wohlog nikal chale jaate hai.

Raj: Tu nikal. Main bhi nikalta hu. Kal office mein milte hai.

Yash: Thikk hai. Byee Sonal.

Sonal: Byeee. Yash Ishita

Ishita: Byee.

Raj: Sonal chalee.

Sonal: Jiii.

Phir dono car mein baith jaate hai aur ghar ki taraf aane lagte hai.

Raj: Aur batao Sonal aage kya karne ka socha hai.

Sonal: Bas apni padhai complete karke ghar ka interior aur fashion design karne ka soch rahi hu.

Raj: Ooo. Acchi baat hai. Par tum toh interior designing kar rahi ho naa phir fashion designing.

Sonal: Jiii. Woh mujhe fashion designing ka bhi thoda shock hai.

Raj: Achha hai. Aah by the way congrats tumne apni college mein top kiya hai naa.

Sonal: Thank You.

Thodi der dono ke beech shanti rehti hai. Phir iss shanti ko Sonal hi todti hai.

Sonal: Ek baat puchu.

Raj: Hmm bolo.

Sonal: Aap itna chup chup kyo rehte hai. Jaha tak mujhe yaad aaraha hai Bachpan mein toh aise nhi the aap.

Raj: Bachpan ki baat alag thi. Par ab mujhe akele rehne mein jyaada achha lagta hai.

Sonal: Aisa kyo.

Raj: Yeh toh mujhe bhi nhi pata. Bas jaise jaise time bitta gaya mujhe akele rehne mein achha lagne laga.

Sonal: Ek baat kahu.

Raj: Hmm.

Raj: Aap haste hue achhe lagte hai. Sagai mein jaise enjoy kiya waise enjoy karte hue bahot achhe lagte hai. Meri maane toh aapko waise hi rehne chahiye. Yeh chup rehna akele rehna. Aapki personality ko suit nhi karta.

Raj bas ek tak Sonal ko dekhte rehta hai.

Sonal: Kyaa hua. Maine kuch galat kaha kyaa. Agar bura laga ho toh Sorry.

Raj: Nhi nhi. Aisi koi baat nhi hai. Koshish karunga waise rehne ki.

Sonal: Thank You.

Yehlog raaste mein hi the tabhi Sonal bolti hai.

Sonal: Raj please gaadi rokiyeee.

Raj car ko side mein rokhta hai aur puchta hai.

Raj: Kyaa huaa.

Sonal: Woh mujhe naa khulfi khaani hai.

Raj ko khulfi sunke kuch yaad aajata hai toh ekpal ke liye woh usme khoo jata hai.

Sonal: Rajjj.

Raj: Haaa. Par abhi kaha milegi khulfi.

Sonal: Woh dekhiye waha khulfi wala khada hai. Aapko pata hai mujhe khulfi bahot pasand hai. Chaliye naa Raj.

Raj: Nhi Sonal tum jao. Mujhe nhi jaaana.

Sonal: Toh phir rehne dijiye. Mujhe bhi nhi khana.

Raj: Aree tumhe mann hai toh khaa lo.

Sonal: Aap nhi khayenge aur main khaa lu. Not possible. Aapko pata hai thand ke mausam mein khulfi khaane ka ek alag hi maza aata hai. Thanda mausam aur saath thandi thandi khulfi.

Raj Sonal ka chehra dekhne lagta hai. Sonal bhi khulfi ko leke bilkul waisa hi behave kar rahi thi.

Raj: Chalo.

Sonal khush hoke nichhe utar jati hai aur daud ke khulfi wale ke paas aati hai. Raj bhi Sonal ke paas aata hai.
Dono khulfi lete hai aur khaane lagte hai.

Raj toh khulfi ko kaat ke khane lagta hai.

Sonal: Aree aree yeh kya kar rahe hai. Aisa khulfi kaun khaata hai.

Raj: Toh aur kaise khaate hai.

Sonal: Khulfi ko maze se dheere dheere chus ke khaane chahiye. Phir woh Raj ko dikhati hai. Dekhiye aisee.

Raj Sonal ko khulfi khaate hue dekhne lagta hai. Jaise waha Sonal naa hoke koi aur ho.

Sonal: Aise kya dekh rahe hai.

Raj: Tumhe aise khulfi khaata dekh kisi ki yaad aagayi. Woh bhi aise hi khulfi ke liye pagal thi aur aise hi khulfi khaati thi. Yeh bolte Raj ki aankho mein dukh bhar jaata hai. Jo Sonal dekh leti hai.

Sonal: Kaun hai woh.

Raj: Choro. Chalo ab chalte hai.

Sonal ko janna toh tha par usne force nhi kiya.

Phir dono car mein baith ke ghar ki taraf aajate hai.
Raat ko dinner ke waqt Ashok Sonal se puchta hai.

Ashok: Sonal beta tumhe achha toh lag raha hai naa. Koi bhi pareshani ho toh Nandini ya Shruti se bolnaa.

Sonal: Jiii.

Ashok: Tumhara college kabse hai.

Sonal: Jii Kalse hai. Mujhe kal join karna hai.

Ashok: Ookkk. Toh pata hai kaise jaana hai.

Sonal: Nhiiii. Mujhe issbaare mein hi baat karni thi.

Ashok: Chinta mat karo. Raj iska college toh humare office ke raaste mein hi padhta hai. Tum kalse roj drop karoge.

Sonal: Nhii nhii Chacha ji. Iski koi jarurat nhi hai. Bas kal raasta dikha denge toh phir main chali jaungi.

Savitri: Bilkul bhi nhiii. Raj tune suna na tere papa ne kya kaha.

Raj: Ji dadi. Main drop kardiya karunga.

Sonal: Par Dadi.

Savitri: Maine bola naa. Aur tumhare wapas aane ka intezaam bhi kardiya jayega. Tumhara kaam kab khatam hoga.

Sonal: Jii 2 baje.

Savitri: Yeh toh problem hogyi.

Sonal: Par main akele karlungi.

Savitri: Maine kaha naa.

Shruti: No Problem main le aaungi. Mera bhi bahar nikala hojayega.

Aarav: Dheere se. Aur Jija ji se milna bhi hojayega.

Aarav ne jo kaha woh kisi aur ne toh nhi par Sonal aur Shruti ne sun liya tha kyoki woh uske bagal mein hi baithe thee.

Shruti ghurr ke Aarav ko dekhti hai toh woh jhepp jaata hai.

Shruti: Lo Sonal hogya.

Sonal: Thank Youuu.

Shruti: Isme Thank You kaisa.

Aarav: Areee didi aap kyo pareshan horahi hai. Main toh saara din free hi rehta hu toh main le aaya karungaa. Sirf le hi kya main chorr bhi aaunga.

Aarav ke aisa bolne se Shruti Nandini Smita Karan aur Ragini usko hi ghurr ke dekhte hai.

Aarav: Kyaaa huaa sab aise kyo ghurr rahe hai.

Smita: Nandini jaldi jao aur iski nazar utaro. Pata nhi kisne ispar jadu tona kiya hai.

Aarav: Kyaa bol rahi ho aap.

Shruti: Mummy thikk bol rahi hai. Humara toh ek kaam tu nhi kartaa aur yaha itna bada kaam karne ke liye tu ready hogya aur woh bhi apne aap.

Aarav: Mann mein. Ab aapko kaise batau. Sonal di ko chorne aur laane ke chakar mein usse jo milna hogaa. Aur milne ka ek solid bahana bhi mil jayegaa.

Nandini: Kyaa baat hai kis soch mein dubb gayee.

Aarav: Aree nhii bhabhi. Aisaa kuch nhi hai. Woh toh Raj bhaiya busy rehte hai. Isiliye unka kaam maine le liyaa.

Shruti: Bhabhi kuch toh garbar hai. Ispe nazar rakhni padegi.

Aarav: Koi garbar nhi hai. Sonal di aapko kal lene aajunga. Good Night. Yeh bol apne room mein chala jaata hai.


Phir sab dinner karke apne room mein chale jaate hai.
Nice update

Aarav. To payal se milne ke liye sonal ko college chorne jaane ke liye bol rha hai
 

ellysperry

Humko jante ho ya hum bhi de apna introduction
3,338
13,659
144
Update 10
Sonal apne room mein aake Swati ko call karti hai aur apne gharwalo se baat karti hai. Thodi der unse baat karne ke baad woh so jaati hai.

Idher Swati jab apne room mein akele hoti hai toh woh Yash ka diya hua kagaj dekhti hai toh usme Yash ka number tha.

Number dekh kar Swati ke chehre mein ek muskurahat aajati hai.

Swati: Yeh toh bade tezz nikle. Sidha apna number pakda diya. Kya karu abhi call karu ya nhiii. Kar hi leti hu.

Phir Swati Yash ko call lagati hai. 2 ring hone ke baad call uthta hai.

Swati kuch bolti uske pehle hi udher se ladki ki awaaz aati hai.

Swati(Mann mein): Yeh ladki kaun hai jo is waqt iske paas hai. Jarur Ishita hogi.

Udher se Ishita Hello Hello karti rehti hai.

Yash: Kiska call hai Ishu.

Ishita: Pata nhi bhai. Koi bol hi nhi raha hai.

Yash: Dikhaa mujhe.

Phir Ishita phone deke waha se chali jaati hai.

Yash: Hello.

Swati: Hello.

Yash: Kaun.

Swati: Kisko kisko apna number diya hai jo pehchan bhi nhi paaye.

Yash Swati ke aise bolne se pehchan jaata hai.

Yash: Ooo. Hiiiiii. Sorry phone mein pehli baar awaaz suni na isiliye pehchan nhi paaya.

Swati: Thikkk hai.

Yash: Pahonch gayi tum.

Swati: Haaaaa.

Yash: Okkk.

Swati: Apna number kisliye diya thaa.

Yash: Woh toh aise hi de diya thaa. Bura laga.

Swati: Agar bura lagta toh call karti.

Yash: Kyaa kar rahi ho.

Swati: Kuch nhi bas sone jaa rahi hu. Okk Good Night.

Yash: Itni jaldi bhi kyaa hai.

Swati: Sorry mujhe neend aarahi hai. Byeee.

Yash kuch bolta uske pehle hi Swati call cut kardeti hai aur hasne lagti hai.

Udher Yash apna thaga sa chehra leke baith jaata hai par phir achanak uske chehre mein muskurahat aajati hai.

Woh ek Good Night ka msg kardeta hai. Jiska reply bhi sang sang aajata hai.

Agle din Sonal subah jaldi ready hoke nichhe aajati hai.

Usne ek white suit pehna tha jo uspe bahot hi jyaada achha lag raha tha.

Smita: Toh aaj pehla din hai college ka. Achhe se jaana thik hai. Aur koi problem ho toh Ishita Payal ko boldena woh dekh lengi.

Sonal: Jiii.

Thodi der mein Raj bhi aajata hai. Woh ek nazar Sonal ko dekhta hai phir bolta hai.

Raj: Sonal tum ready hona.

Sonal: Jii. Aap breakfast karlijiye phir chalte hai.

Raj: Okkk.

Phir sab breakfast karne lagte hai. Thodi der mein unka breakfast khatam hojaata hai.

Ashok: Raj Sonal ko dhyaan se le jaana.

Raj: Jiii papa. Chalee.

Sonal: Jiii.

Phir Raj aur Sonal car mein baithke jaane lagte hai.

Raj: Apne documents scholorship letter admission letter leliya naa.

Sonal: Jiii. Aapse kuch bolna thaa.

Raj: Bolo.

Sonal: Kya mujhe leke mandir chalenge. Aaj first day hai naa toh mandir mein bhagwan ke darshan karlu.

Raj: Thikk hai chalo.

Phir Raj Sonal ko leke ek mandir mein jaata hai.

Sonal: Aap nhi chalenge.

Raj: Nhii tum ho aao.

Sonal: Chaliye naa. Mandir mein aake bhagwan ke darshan naa karna bura hota hai.

Raj: Thikk hai chalo.

Phir dono Mandir mein jaate hai.

Sonal darshan karti hai aur Raj bas haath jor leta hai.

Raj: Hogyaaa.

Sonal: Jiii chaliye.

Phir dono Emperial College aajaate hai. College ke bahar hi Ishita aur Payal khadi thi.

Ishita aur Payal: Good Morning Raj Bhaiya. Good Morning Sonal di.

Raj: Good Morning Ishu Payal.

Sonal: Good Morning.

Raj: Sonal main chalta hu. Tum dono isko principal office lejao.

Sonal: Andar chaliye naa.

Raj: Tum jao naa. Koi problem ho toh call karlena.

Sonal: Jiii.

Phir Raj waha se chala jaata hai apne office aur yaha Sonal College ke bahar khadi rehti hai.

Ishita: Chale Sonal di.

Sonal: Haa chalo. Pehle mujhe principal ke office le chalo.

Payal: Chaliyee.

Phir teeno principal ke office aate hai.

Sonal: May I come in Sir.

Principal: Yess.

Sonal andar aati hai toh saamne ek 50+ aged aadmi baithi thi.

Sonal: Good Morning Sir. I am Sonal Singh from Jaipur.

Principal: Oo. The college topper. Tumhare previous college ke principal ka call aaya thaa she is my college friend. Unhone tumhari bahot tareef ki hai. Umeed hai jo performance tumne waha kiya hai woh yaha bhi dikhaogi.

Sonal: I will try my best sir.

Principal: Good. Toh tumhare paas scholorship letter hai.

Sonal: Yes Sir. Phir Sonal apna letter principal ko deti hai toh woh peon ko bulata hai.

Principal: Yeh lejao aur inka admission interior designing ke masters wale course mein kardo.

Peon: Yes Sir. Peon waha se chala jaata hai.

Principal: So Sonal. Tum yaha kisi flat PG ya hostel mein rehti ho.

Sonal: No Sir. Actually mere relatives yaha rehte hai so unke saath. Shayad aapne Kapoor Group of Companies ka naam suna hai.

Principal: Yes Yes. Toh kya woh tumhare relatives hai.

Sonal: Yes Sir.

Principal: Great. Main personally toh nhi jaanta par bahot suna hai unke baare mein. Anyways Best of luck for your new journey.

Sonal: Thank You sir. Phir Sonal waha se bahar aajati hai jaha pehle se hi Ishita aur Payal baithe hue the.

Dono: Hogyaaa.

Sonal: Haaaa. Kya mujhe mera class dikha dogi.

Payal: Di. Abhi class mein time hai. Chaliye tab tak aapko college ghuma dete hai. Usme aapka class bhi aajayega.

Sonal: Okk.

Phir Sonal unndono ke saath college ghumti hai jisme unndono ki aur 2 friends bhi join karti hai.

Idher Raj jab office jaata hai toh Yash waha pehle se baitha hua thaa.

Raj: Tu kaun hai aur yaha kya kar raha hai. Aur Yash kaha hai.

Yash: Subah subah nasha kiya hai yaa neend puri nhi hui hai. Tere saamne hi toh baitha hua hu.

Raj: Tu Yash nhi hosakta. Kyoki jo time pe yaa time se pehle kahi pe aajaye woh Yash nhi hosakta. Yeh bol hasne lagta hai.

Yash: Hasle beta hasle. Par abse roj time pe aaungaa.
Raj: Aur itni meharbaani ka karan.

Yash: Ab kalko shaadi hogi meri. Agar time pe sab naa kiya toh biwi naraz hojayegi. Isiliye abhi se practice kar raha hu.

Raj: Waahh kyaa baat hai. Aur achanak yeh khayal kyo aaya.

Yash: Bass ab bhaiya ki sagai hogyi. 1 mahine baad shaadi hai uske baad toh mera hi number hai na.

Raj: Ladki kaun hai.

Yash: Kya bol raha hai. Kaisi ladki kaunsi ladki.

Raj: Wahi ladki jiske pichhe tu yeh sab kar raha hai. Tujhe achhe se jaanta hu. Chal bata.

Yash: Hadbada ke. Nhiii bhaiii aisi koi baat nhi hai. Agar koi hogi toh sabse pehle tujhe hi bataunga promiseee. Waisee Workaholic Raj Kapoor aa late kaise.

Raj: Wohhh Sonal ko uske college chorne gaya tha usi mein late hogyaa.

Yash: Kyaa baat hai. The Raj Kapoor ek driver ki duty kar raha hai.

Raj: Koi driver ki duty nhi hai. Woh yaha pe nayi hai. Isiliye dadi ne order diya hai usko college chorne kaa.

Yash: Isko ek tarah se driver hi bolte hai. Lage raho. Achhi baat hai. Waise sirf chorne ke liye bola laane ke liye nhi.

Raj: Hogyaa teraa. Ab kaam karle thoda. Aur laane ke liye Aarav ke haa bola hai.

Yash: Jii driver ji. Chaliye. Yeh bol hasne lagta hai. Raj bhi has deta hai.


Yash ko Raj ka yeh change bahot achha lag raha tha woh bahot khush thaa.
Shandaar update
 
Top