Update 11
Dopaher ko Aarav time se pehle se college aajata hai aur parking mein hi wait karne lagta hai.
Thodi der baad college ki chutti hoti hai toh wohlog bahar aate hai.
Payal: Sonal di. Aap kaise jayengi.
Sonal: Woh Aarav ne bola tha woh aayega lene.
Payal: Kyaa aapne usske baato mein vishwaas karliya. Woh ek number ka jhootha hai.
Ishita: Nhii Payal aisa nhi hai pata nhi tum kyo unhe galat samajti ho.
Payal: Bekhayali mein. Ek time tha jab main bhi sahi samajti thi. Abhi bhi chahti hu bas unhe jo kaam diya hai woh kardee.
Ishita: Kyaa bole jaa rahi ho.
Payal: Nhi kuch nhi. Aap usko call karo dekho woh kaha hai.
Sonal Aarav ko call karti hai.
Aarav: Jii Sonal di boliye.
Sonal: Aarav mera college over hogya hai. Tum aane wale the naa.
Aarav: Jii di main toh kabse parking mein hi aapka wait kar raha hu. Aap aajaaiye.
Sonal: Ookk okk. Phir call cut hojaata hai.
Payal: Kyaa huaa nhi aaya naa.
Sonal: Nhiii woh kabse parking mein wait kar raha hai.
Ishita: Dekhaa maine kaha tha naa.
Payal ko yeh sunke achha lagta hai ke Aarav aaya hai.
Phir teeno waha se parking mein jaate hai. Jaha Aarav Car ke bonet pe baitha hua thaa.
Ishita: Hii bhaiyaa.
Aarav: Hii Ishu.
Ishita: Bhaiya aapko pata hai yeh Payal kabse bole jaarahi thi aap nhi aaoge. Aapko koi kaam bolna bekaar hai.
Aarav ekbaar Payal ko dekhta hai toh woh dusri taraf chehra kiye hue thi par uska dhyaan pura Aarav ke upar hi thaa. Aur woh yeh dekh kar halka sa has deta hai.
Aarav: Lekin ab aisa nhi hai. Mujhe jo bhi kaam diya hai woh pura karta hu. Aur jo pending hai usko jald se jald pura karne wala hu. Yeh usne Payal ko hi bola thaa.
Payal: Dheere se. Dekhte hai kitni himmat hai.
Aarav: Di chale.
Sonal: Chalo. Byee Payal Ishita.
Dono: Byee di.
Aarav: Byee Ishu.
Ishita: Byee bhaiyaa.
Aarav Payal ko bina kuch bole car mein baith jaata hai Payal ko bura lagta hai. Par woh kuch nhi bolti. Par tabhi uske mobile mein ek msg aata hai. Jisko dekhne ke baad uske chehre mein ek smile aajati hai aur woh Aarav ki taraf dekhti hai.
Msg Aarav ka hi tha aur usne likha thaa. Aaj bahot pyaari dikh rahi ho. I love you.
Payal koi reply toh nhi karti par Aarav ki taraf dekh kar ekbaar halka ka smile karti hai.
Phir Aarav Sonal ko leke nikal jaata hai.
Ishita: Yeh Aarav bhaiya ne tujhe byee nhi kaha.
Payal: Mann mein. Ab usko jo kehna tha usne toh woh keh hi diya hai. Phir jor se bolti hai. Chorr naa. Chal chalte hai.
Phir dono ghar ki taraf nikal jaate hai.
Idher Car mein Aarav Sonal se puchta hai.
Aarav: Kaisa raha hai aaj ka din. College mein koi problem toh nhi hui naa.
Sonal: Aajka din achha raha aur koi problem nhi hui. Btw Thank You.
Aarav: Yeh kisliye.
Sonal: Mujhe lene aane ke liye.
Aarav: Aree isme Thank You kaisaa.
Sonal: Tum mujhe apni behen maante ho naa.
Aarav: Aree behen bhi aur dost bhi. Par aisa kyo pucha.
Sonal: Agar behen bhi aur dost bhi maante ho toh ekbaat puchungi uska sach sach jawab doge.
Aarav: Puchiye naa.
Sonal: Tumhare aur Payal ke beech kuch hua hai kyaa.
Aarav yeh sunte hi jhatt se break marta hai.
Aarav: Hadbada ke. Yehh aap kyaa keh rahi hai. Aisaa kuch nhi haii.
Sonal: Toh tum itna ghabra kyo rahe ho. Jaise koi chori pakdi gayi ho.
Aarav: Nhiii aisaa kuchh nhi hai.
Sonal: Toh woh tumse aise kyo baat karti hai. Jaise kuch sunna rahi ho. I means jaise taunt mar rahi ho.
Aarav: Wohh wohh toh uski aadat hai.
Sonal: Main jyaada toh nhi jaanti par usko kisi se bhi waise baat karte nhi dekha jaise tumse dekha hai. Agar nhi batana chahte toh koi baat nhi.
Aarav: Aree nhi nhi di. Aisi baat nhi hai. Thikk hai aapko batata hu. Par promise karee kisi se bhi yeh baat nhi karengi. Kisi se bhi nhi matlab kisi se bhi nhiii.
Sonal: Aisi kyaa baat hai Aarav.
Aarav: Pehle aap promise kijiyee.
Sonal: Achha thikk hai promise.
Aarav: Wohhh actually main aur Payal actually hum ekdusre se pyaar karte hai aur shaadi karna chahte hai.
Sonal: Shock aur hairani se. Whattttttt.
Aarav: Haaa didi. Aur yeh aaj ya kal se nhi hai tab se hai jab se shayad bhaiya aur bhabhi bhi ekdusre ko nhi jaante. Actually hum ekhi school mein the aur wahi se hum ekdusre ko pasand karte hai. Phir jab bhaiya aur bhabhi ekdusre ko pasand karne lage toh hum bahot khush hue kyoki isse humara rasta clear hota gaya. Phir jab bhaiya aur bhabhi ki shaadi hogyi. Toh usne mujhse bola main apne ghar mein humare rishte ko leke baat karu. Par main darta hu iss mamle mein baat karne se. Aur maine usse bola meri shaadi mein time hai pehle didi aur Raj bhaiya ki hojayegi tabhi baat karunga. Par woh issbaat se gussa hogyi aur waisa behave karne lagi. Par aaj bhi bahot pyaar karti hai aur bas yeh shaitaani karti rehti hai.
Sonal: Oooo toh yeh baat hai. Toh tum ghar mein baat kyo nhi kar rahe ho. Shaadi baat mein hogi par baat toh karke rakho. Aur shayad isiliye tumne mujhe chorne aur laane ki baat ki taaki usse mil sako.
Aarav: Wahi toh darta hu didi pata nhi ghar mein sab kya sochenge aur kyaa bolenge aur jab tak didi aur bhaiya ki shaadi nhi hojati tab tak ke liye hi ruka hua hu. Didi ki toh samjho hogyi. Tension bas Bhaiya ka hai. Unka kuch samaj nhi aata. Jabse college complete hua hai unko toh jaise sirf business hi dikhta hai. Kai ladkiyon ne propose kiya. Par woh mana kardete hai. Pata nhi kya chahte hai woh. Aur yeh baat woh pagal samajna hi nhi chahti. Aur koi toh bahana chahiye naa. Aur bahana aapne saamne se laa diyaa. Yeh bol has deta hai.
Sonal jab sunti hai kai ladkiyon ne Raj ko propose kiya toh ekbaar toh usko bahot gussa aaya par baad mein shant bhi hogyaa.
Sonal: Dekho woh bas masti kar rahi hai. Ek kaam karo usko kahi milne bulao aur saath time spend karo. Dekhna shaitaani band hojayegi.
Aarav: Dekhte hai. Usdin ghar aayi thi kitni koshish ki baat karne ki par bahot bhao khaati hai.
Sonal: Yeh toh hum ladkiyon ki adaa hai. Isko toh jhelna hi padega. Yeh bol hasne lagti hai. Aur tum main baat kya hai jaante ho. Woh darti hai tumhe khone se. Usko darr hai kahi tumhari yaa uski shaadi kahi aur fix naa hojaaye isiliye woh tumhe baat karne ko kehti hai. Tum naa ek kaam karo bhabhi se bolke rakho toh woh sab sambhal lengi. Ab unki behen humesha unke paas rahegi isse jyaada khushi kisko hogi.
Aarav: Haaa yeh aapne thikk kaha. Main jald hi bhabhi se karungaa.
Phir dono ghar aate hai.
Nandini: Kyaa baat hai itna late kaise hogye. Yeh time se nhi pahoncha tha kyaa.
Sonal: Aree nhii bhabhi Aarav toh time se pehle hi aagaya tha woh raaste mein traffic milgaya tha isiliye late hogyi.
Nandini: Kyaa baat hai Aarav. Sudhar rahe ho.
Aarav: Main toh sudhra hua hi tha par kisi ko dikha hi nhi. Chaliye ab mujhe khana dijiye bahot bhukk lagi hai.
Nandini: Haa jaao fresh hojao lunch ready hai.
Phir dono apne apne kamre mein chale jaate hai aur fresh hoke lunch kar lete hai
Aarav: Bhabhi aapse kuch baat karni thi.
Nandini: Haa bolo.
Aarav: Aah abhi nhi baad mein. Main boldunga.
Nandini: Thikk hai.
Sonal lunch karke apne room mein aake rest karne lagti hai.
Raat ko Dinner table pe sab saath mein baith ke dinner kar rahe the.
Smita Raj ko serve karne aati hai toh woh mana kar deta hai.
Smita: Thoda sa le lo Raj. Maine khaash tumhare liye banaya hai.
Raj: Sorry mann nhi hai. Yeh bol woh apna khaana khane lagta hai.
Sonal yeh dekhti hai toh usko bahot ajeeb lagta hai. Itne din mein usko yeh toh pata chal chuka tha Raj apni maa se thik se baat nhi karta. Unko ignore karta hai. Par kyo yeh nhi pata tha.
Smita namm aankho se usko dekhti hai phir dusro ko serve karne lagti hai.
Smita jab khaane baithti hai toh woh sab leti hai par woh chiz nhi leti jo Raj ne nhi chuaa tha. Yeh roj ka tha. Raj jo jo khaata Smita bhi wahi sab khaati.
Thodi der mein sabka khaana hojaata hai. Phir sab apne apne room mein chale jaate hai.
Sonal: Yeh Raj apni mummy se aise kyo behave karte hai. Baaki sab se toh woh achhe se baat karte hai par unke saath hi aisa behave karte hai. Unko ignore karte hai. Aur maine dekha hai jab tak Raj naa khaa le woh nhi khaati. Aur jo jo chize Raj khaate hai woh bhi wahi sab chize khaati hai. Aakhir aisi kya baat hai jo Raj apni mummy se aisa behave karte hai. Pata lagana hoga.
Phir woh apne ghar call karti hai.
Meera: Sonal beta kaisi ho tum. Khaana khaaya naa thik se. Tumhe waha achha toh lag raha hai naa.
Sonal: Haa mummy main thik hu. Khaana bhi thik se khaaya hai aur mujhe yaha bahot achha lag raha hai. Yeh mujhe bilkul apni beti ki tarah pyaar karte hai. Aap tension mat lijiye.
Meera: Kaise tension naa lu. Pehli baar tumhe khud se durr kiya hai. Ek maa ke dil ka haal tum nhi samjhogi.
Sonal: Mummy agar aap aisa karengi toh main kal hi aajaungi.
Meera: Nhii Sonal. Tum apni padhai achhe se karke aana.
Sonal: Achha bataiye. Baaki sab kaise hai. Aap kaisi hai.
Meera: Main bhi achhi hu aur baaki sab bhi achhe hai. Bas tu jaldi se apni padhai khatam kar mere paas wapas aaja.
Sonal: Jii mummy. Achha mummy ab rakhti hu. Good night.
Meera: Good Night beta.
Phir call cut hojaata hai. Sonal ko neend nhi aarahi thi isiliye woh terrace pe chali jaati hai.
Kab Sonal terrace pe aati hai toh waha Raj pehle se tha.
Sonal: Hii Raj.
Raj: Oo. Hii Sonal. Soyi nhi abhi tak.
Sonal: Neend nhi aarahi thi. Isiliye socha thoda terrace pe ghum lu. Aapko bhi neend nhi aarahi hai.
Raj: Keh sakti ho. Aur batao kaisa gaya 1st day.
Sonal: Achha thaa. Aaj toh bas introduction hi hua. Padhai shayad kal se ho.
Raj: Hmmm achha hai.
Sonal: Raj jaipur chorne ke baad kya ekbaar bhi aapko meri I mean humari yaad nhi aayi.
Raj: Pehle pehle aati thi. Phir jaise jaise bade hote gaye waise waise apni life mein busy hote gaye aur yaad aani bhi kam hogyi.
Sonal: Waise aap kaafi badal gaye hai.
Raj: Aur aisa kyo laga.
Sonal: Bachpan mein aap hasi mazaak karte the par ab toh woh sab aap mein durr durr tak nhi dikhta.
Sonal: Kehte hai humhe humara bachpan kabhi nhi bhulna chahiye. Kyoki wohi ek pal sabse sachha aur achha hota hai.
Raj: Bahot gyaan bhari baate karna shikk gayi ho.
Sonal: Aap hi ne kaha naa jaise jaise bade hote hai sab kuch badalta hai.
Raj: Achhaa toh meri baat mujhpe hi.
Sonal has deti hai. Raj bhi thoda has deta hai.
Sonal: Aise hi haste raha kijiye Raj. Aap achhe dikhte hai haste hue.
Raj: Hmmm. Chalo ab so jaao. Phir kal subah nikalna hai.
Sonal: Jiii. Good night Raj.
Raj: Good Night.
Phir dono apne apne kamre mein aake sojaate hai.