• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BESHARAM (Completed)

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 39


Divya: chalo fir jaldi se baitho aur khana khao…

Fir wo teeno dinning table par baithe…Divya ka khana khane ka bilkul mood nahi tha…isliye usne bola k wo kha kar ayi hai…

Khair uske baad teeno apne apne kamre mein ja kar so gaye…par Divya ki raat badi bhari aur lambi hone wali thi…

Ab age…

Divya ko puri raat neend nahi ayi…wo bas Sam ke bare mein hi sochti rahi…wo apne kamre mein idhar se udhar ghumti rahi…

Hospital mein Seema ki halat bhi kus aisi hi thi…wo pareshan thi k ek baar fir Sam aur Divya ka rishta fail raha…

Aur ab use is rishte ka bajood hi khatre mein lag raha tha…kionk ab use yeh lag raha tha k jab Sam ke parents ko pata chalega k Divya ki galti se Sam ki aisi halat ho gayi hai toh wo log na jane kya sochenge…

Ab puri tarah se baat Sam ke mom dad ke upar hi depend karti thi…ab intzar tha toh sirf un ke ane ka…khair Simran ka phone aya tha k wo aj der raat tak pahunch jayenge…

Seema bas ICU ke bahar baith kar is baat ka intzar kar rahi thi k koi use akar bol de k Sam bilkul thik hai…

Par Sam ki abhi tak halat koi jyada thik nahi thi…adhi raat hone ko thi…Seema chup chap gehri soch mein khoyi baithi thi…

Tabhi Simran aur Rajeev Tej kadmon ke sath hospital mein enter huye aur Seema ko dekh uske paas chale gaye...

Seema bhi Simran ko dekh bench se uthi aur uske gale lag gayi…apni saheli ko lagbhag ek saal baad mil kar uski ankhon mein ansoo a gaye…par use samjh nahi a raha tha k wo uske ane par khus ho yah fir ane ke karan par dukhi ho…

Simran(Seema se alag ho kar): yeh sab kaise ho gaya…aur kahan hai mera bacha…

Seema ne ICU ki taraf ishara kiya…Simran daudti huyi ICU ki taraf gayi aur usne apne bete ko dekhne ki kosish ki par dekh nahi payi…

Seema ki ankhon mein ansoo the…Simran ne toh rona hi shuru kar diya tha…Rajeev uske paas gaya aur use hausla dene ke liye hug kiya…

Rajeev: Kus nahi hoga hamare bete ko sab thik ho jayega…tum himmat se kaam lo...

Simran(rote huye): kya ho gaya yeh sab…mere ko agar kus ho gaya toh main kaise jinda rahungi kiske bharose jinda rahungi…

Rajeev: kus nahi hoga use…sher beta hai wo mera…dekhna jaldi hi thik ho jayega…fir mere sath ladna bhi toh hoga na use…

Rajeev ki baat sun kar Simran ke face par halki si smile a gayi par ek maa ka dil itni asani se nahi manta toh uske dimag mein yeh baat bar bar a rahi thi k uska beta ICU mein jindagi aur maut ke beech lad raha hai…

Khair ab wo log kus kar toh nahi sakte the sirf prey karne ke ilawa…Simran aur Rajeev bhi wahin jakar baith gaye yahan Seema baithi thi…

Simran(bench par baithte huye): Divya kahan hai…

Seema: wo Riya aur Sahil baar baar phone kar rahe the…isliye Maine use ghar bejh diya…

Seema ne Simran ko sach nahi bataya kionk abhi wo kus nahi bolna chahti thi aur Sam ke theek hone ke baad hi baat karna chahti thi…

Simran: acha kiya nahi toh bache ghar par akele reh jate…

Seema: han yeh toh hai…vaise tumne ane ke baad btaya nahi main gadi bhej deti…

Simran: nahi wo inhone(Rajeev) ghar phone kar ke driver ko car lane ko bol diya tha…

Seema: fir thik hai…

Abhi wo log baat kar hi rahe the k itne mein doctor bahar aya…Doctor ko dekhte hi Rajeev uth kar uske paas gaya…

Rajeev: doctor mera beta kaisa hai…

Doctor: ji ap patient ke pita ho…

Rajeev: ji…

Doctor: toh plz ap mere sath chaliye mujhe apse kus baat karni hai…

Rajeev: ji thik hai…

Fir Rajeev us doctor ke sath uske cabin mein chala gaya…Doctor apni chair par baitha aur Rajeev ko bhi baithne ko kaha…

Rajeev(baith kar): ji boliye kya baat karni hai…sab thik toh hai na…

Doctor: ji mujhe apke bete ke bare mein baat karni hai…

Rajeev: ji boliye…

Doctor: dekhiye patient ki halat mein kus improvement toh huyi hai par sir mein kayi injuries hain…toh

Rajeev(ghabra kar): toh kya doctor… wo thik toh ho jayega na…

Doctor: han thik toh ho jayega…par agar jaldi hosh na aya toh coma mein bhi ja Sakta hai…aur yah fir yaadast bhi ja sakti hai…

Doctor ki baat sun kar Rajeev ko kafi bada jhatka laga use laga jaise uske pairon ke tale se jameen khisak gayi ho…

Wo kus bol bhi nahi pa raha tha…khair usne doctor se ijajat li aur bahar chala aya…Uske chehre se hi pata chal raha tha k wo kafi pareshan hai…

Simran: kya huya apko aur ap doctor ke sath kahan gaye the….kya bola doctor…sab thik toh hai na…

Rajeev ne puri baat in dono ko bhi bata di aur ab unki halat bhi Rajeev jaisi yah sayad usse bhi buri thi…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 40


Wo kus bol bhi nahi pa raha tha…khair usne doctor se ijajat li aur bahar chala aya…Uske chehre se hi pata chal raha tha k wo kafi pareshan hai…

Simran: kya huya apko aur ap doctor ke sath kahan gaye the….kya bola doctor…sab thik toh hai na…

Rajeev ne puri baat in dono ko bhi bata di aur ab unki halat bhi Rajeev jaisi yah sayad usse bhi buri thi…

Ab age…

Simran(rote huye): ab kya hoga mere bache ka…

Rajeev: kus nahi hoga…hum ache se ache doctor ko dikhayenge…jitna paisa lagega laga denge…par mera beta bilkul thik hoga…

Simran(ansoo pochte huye): han bilkul sahi kaha apne…hamare bête ko hum kus nahi hone denge…

Rajeev: toh fir shant ho jao aur hausla rakho…

Simran: ab main nahi roungi…

Fir Simran Seema ke pas ja kar baith gayi…udhar ghar par Divya boht pareshan thi…use bilkul bhi andaza nahi tha k Sam ki condition an kaisi hai…

Divya(khud se): najane kaisa hoga wo…hosh aya hai yah nahi…abhi toh mom bhi naraz hain nahi toh unse puch leti…

Divya aise hi tension mein rahi…aur puri raat room mein idhar se udhar ghum kar nikali…

Subah tak Sam ko hosh nahi aya…puri family pareshan thi…hospital mein teeno hi mojud the…

Ghar par Divya ne dono bachon ko nashta karne ke baad school bheja aur khud bina kus khaye piye hospital ke liye nikal gayi…

Hospital pahunchte hi uski mulakat Rajeev aur simran se huyi…Divya ne un dono ke pair chuye…

Simran: kaisi ho beta…

Divya: thik hun aunty…ab kab aye…

Simran: kal raat ko hi a Gaye the…tab tak tum ghar ja chuki thi…

Divya: aunty ab Sam kaisa hai…

Abhi Rajeev uski baat ka jwab Dene hi wala tha k ek nurse bhagti huyi seema ke paas ayi aur un teeno ka dhyan bhi us taraf gaya…

Nusre: mam patient ko hosh a gaya hai…

Nurse ki baat sun kar Sab khus ho Gaye…

Rajeev: wo ab bilkul thik hai kya…

Nurse: ji han par ap ek baar doctor se mil lijiye…unhone ne kaha tha…

Rajeev(halki santusti ke sath): sure…

Yeh bol kar Rajeev doctor ke cabin ki taraf chala gaya…Usne doctor se ander ane ki permission li aur chair par ja kar baith gaya…

Rajeev: ji boliye doctor…

Doctor: asal mein mujhe apko kus btana hai…

Yeh sun kar Rajeev ko thodi fikar hone lagi…

Rajeev: ji Sab thik toh hai na…

Doctor: WO baat yeh hai k apke bete ke brain ko chhot ke karan jyada toh nahi par thoda boht nuksan pahuncha hai…

Rajeev: kya matlab…

Doctor: Matlab yeh k uski memory gayi toh nahi par sayad WO kus incident yah fir kisi person ko bhool gaya ho…

Rajeev yeh baat sun kar gehri chinta mein dub gaya…

Rajeev: iska koi ilaj?

Doctor: ilaj toh dhire dhire hi hoga par ap logon ko thoda dhyan rakhna padega…agar wo kisi shakhs ko na pehchane toh use yaad dilane ki kosish mat kariyega…

Rajeev: par yeh kaise pata chalega…wo kya bhul gaya hai aur kya yaad hai…

Doctor: ab yeh toh wahi bata Sakta hai…

Rajeev: par kya ab hum usse mil sakte hain…

Doctor: han jarur par meri baat ka dhyan rakhiyega nahi toh uski Jaan ko khatra ho Sakta hai…

Fir Rajeev bahar chala gaya aur puri baat baki sab ko bhi bata di…sab kafi pareshan huye…par is baat ki khusi bhi thi k ab wo log Sam ko mil sakte hain…

Sab ander Sam ke paas gaye toh wo leta huya tha…uske sir par patiyan bandhi huyi thin…aisa lag raha tha jaise wo confuse sa leta huya ho…

Rajeev(Sam ke paas pahunch kar): kaisa hai beta ab…

Sam(halki awaj mein): thik hun dad…

Simran Sam ke paas gayi aur uske chehre par hath fera…Simran ki ankhon mein ansoo the…

Sam: are mom ro kion rahi ho…main thik hun na ab…

Itne mein Divya bol padi…

Divya: Sam ab tum thik ho na…

Sam ek bar Divya ki taraf dekha…fir thode upari man se bola…

Sam: ji thik hun…par sorry Maine apko pehchana nahi…ap kon ho…

Sam ki baat sun kar ek baar sab shock reh gaye…Divya ki toh mano duniya hi lut gayi ho…use sab khatam hota najar a raha tha…

Divya ka chehra ek dum se utar gaya tha…Sam ne bhi yeh notice kiya…par agle hi pal usne apne dimag par thoda jor dala…

Sam: sayad Maine apko kahin dekha hai…par yaad nahi a raha…aur pata nahi kion koi incident mere dimag mein clear nahi hi…jaise adhi chijein bhul gaya hun…

Simran: beta dimag par jyada pressure mat daal…wo chhot ki wajah se ho gaya hoga…sab thik ho jayega…aur yeh meri childhood friend ki beti hai…isi ne tumhari jaan bachayi hai…wo(seema ki taraf ishara karke) meri friend hai

Sam: oh thanks…apne meri jaan bachayi…aur namaste aunty apko toh main mila hun par kab yeh yaad nahi…

Ab Sam ko baki sab toh yaad the par Divya nahi aur uski life ke kua important incidents bhi…ab age wo kis kis ko pehchanega yeh toh baad mein hi pata chalega…

Sam: mom mere sath huya kya tha main yahan kaise pahuncha…yeh chhot kaise lagi kus bhi yaad nahi a raha…

Simran: beta Maine kaha na jyada soch mat aram kar…aur ab hum log bahar jate hain tu shant ho kar let ja jaldi aram milega…

Yeh bol kar sab bahar chale Gaye taki Sam aram kar sake…

To be continued
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 41


Sam: mom mere sath huya kya tha main yahan kaise pahuncha…yeh chhot kaise lagi kus bhi yaad nahi a raha…

Simran: beta Maine kaha na jyada soch mat aram kar…aur ab hum log bahar jate hain tu shant ho kar let ja jaldi aram milega…

Yeh bol kar sab bahar chale Gaye taki Sam aram kar sake…

Ab age…


Sam ko wahan aram ke liye chhod kar sab bahar chale gaye…Rajeev Doctor ke paas gaya…

Doctor: kya patient ne kus alag behavior kiya…

Rajeev: han…par iska ilaj kaise hoga…

Doctor: vaise toh kus khas nahi kar sakte…kus dwayian aur thoda dhyan rakhna hoga…

Rajeev: usko ghar kab leja sakte hain…

Doctor: abhi wo puri tarah se thik nahi hai…1-2 din aur rakhna hoga…uske baad wo ghar ja Sakta hai…

Rajeev: OK…

Fir Rajeev bahar chala gaya…aur bahar ja kar yahi baat baki Sab ko bhi bata di…

Simran: par ab kya karenge…wo toh Divya ko bhi nahi pehchan raha…

Rajeev: yahi toh problem hai…par kar bhi kya sakte…

Divya: koi baat nahi aunty…main usse dur reh sakti hun par uske bina nahi…

Yeh bol kar Divya ki ankho mein ansoo a gaye…aur wo wahan se chali gayi…

Simran(Divya ko rokne ke liye): are beta kahan ja rahi ho…

Seema(berukhi se): kus nahi hoga use Jane do…

Seema ke bolne ka tarika Simran ko thoda ajeeb laga…par usne koi jyada dhyan nahi diya…

Divya wahan se bahar chali gayi…wo wahan aur jyada time nahi ruk sakti thi…isliye usne apni car uthayi aur ghar ki taraf chal padi…

Ab wo ruk kar karti hi kya…jiske liye gayi thi wo toh pehchan hi nahi raha tha…Divya aj boht jyada dukhi thi…uske dil par jo beet rahi thi use wo khud hi samaj sakti thi…

Sayad is sab ke liye wo khud hi jimedar thi…wo kehte hain na jab koi cheej ap se cheen jati hai uske baad hi apko uski keemat ka andaza hota hai…yahi Divya ke sath bhi huya…jab tak Sam uske paas tha toh use uske pyar ki kadar nahi thi…aur aj jab Sam use aur uske pyar ko bhul chuka tha toh use uski kami mehsus ho rahi thi…

Khair Divya ghar chali gayi…wo bilkul tut chuki thi…aj jab Riya aur Sahil ghar aye toh un dono ko bhi sach bata diya gaya…

Wo dono bhi Sam se milne hospital gaye…Sam ne un dono ko bhi nahi pehchana aur Simran ne unka intro Sam ko diya…

Kus dino ke baad Sam ko ghar le jaya gaya…Sabhi Dosto ko jab is bare mein khabar mili toh wo bhi Sam ka haal chaal puchne aye…

Sam ne apne dosto ko badi asani se pehchan liya tha…Neha ko chhod kar…

Sab Sam ka pata lene ate par Divya kabhi nahi gayi thi…wo bas apne kamre mein baithi roti rehti thi…office bhi kam hi jati thi…wo puri tarah se tut chuki thi…

Sam ke accident ko 15-16 din ho gaye the…ab Sam bilkul thik ho gaya tha…physically toh thik tha par memory abhi bhi vaisi hi thi…

Ek din Simran Sam ke bedroom mein uske paas baithi thi…tabhi Sam ke deemag mein ek baat ayi…

Sam: mom wo Seema aunty ki beti ka kya naam hai…

Simran: Riya…

Sam: are mom wo toh mujhe pata hai…main toh badi ka puch raha hun…

Simran(halka sa muskura kar): acha Divya…par tu kion puch raha hai…

Sam: mom wo toh main soch raha tha k sab mujhse milne ate hain par wo kabhi nahi ayi…aisa kion?

Sam ki baat sunte hi Simran ka dimag soch mein pad gaya k wo kya jwaab de…simran ko pata tha k Divya kion nahi ati…par yeh baat wo sam ko nahi bata sakti thi…

Simran(jhuth bolte huye): beta wo kaam mein busy rehti hogi…

Sam: han yeh bhi hai…par mom usne meri jaan bachayi hai…main usse ek baar milna chahta hun…

Simran: beta koi baat nahi mil lena…main use bata dungi wo yahan a jayegi…

Sam: nahi mom use kus mat batana…hum uske ghar jayenge…isse use jyada acha lagega…

Simran(kus soch kar): han thik hai…hum jayenge uske ghar…ab khus…

Sam(simran ke gale lag kar): han mom…thanks…

Simran: ok ok…par jana kab hai yeh bhi toh batao…

Sam: dekhte hain…kal ko chalein kya…

Simran: chal thik hai…vaise bhi kal ko Sunday hai…

Sam: ok fir done…Dad ko bhi leke chalenge…Teeno jayenge ek sath…

Simran: han pakka…ab ok bye mujhe kaam karna hai…

To be continued….
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 42


Sam: dekhte hain…kal ko chalein kya…

Simran: chal thik hai…vaise bhi kal ko Sunday hai…

Sam: ok fir done…Dad ko bhi leke chalenge…Teeno jayenge ek sath…

Simran: han pakka…ab ok bye mujhe kaam karna hai…

Ab age…


Toh Sunday wale din Sam apne mom Dad ke sath Divya ke ghar jane ko tyar tha…wo tyar hokar bahar nikla toh uske mom Dad uska hi wait kar rahe the…

Rajeev: toh chalein beta…

Sam: han dad chaliye…

Fir wo teeno car se Divya ke ghar ki taraf chal pade…Simran ne yeh baat seema ko bata di thi k wo log uske ghar ane wale hain…

Divya ko Seema ne nahi bataya tha…kionk wo usse baat hi nahi karti thi…

Lagbhag 9:30 baje wo log Divya ke ghar pahunch gaye…Baki sab toh Unke welcome ke liye bahar a gaye…par Divya ko koi khabar sar nahi thi…

Seema(khus hote huye): are acha huya tum logon ko bhi hamare ghar ane ka time mila…

Simran: yaar aisi baat nahi hai…tumhe pata toh hai ghar ke kamon se fursat Hi kahan milti hai…

Seema: han yeh toh hai…toh Sam beta tumhari tabiyat ab kaisi hai…

Sam: aunty ab pehle se better hun…Riya aur Sahil tum dono kaise ho…

Riya: ek dum thik bhaiya…ap toh humein bhul ho gaye…

Sahil: sahi kaha Riya…yeh toh hamare ghar ate hi nahi hain…

Riya aur Sahil ne bhale hi normally bola ho…par Sam ko laga mano yeh sab uske sath pehle bhi ho chuka hai…par kab aur kahan yeh use nahi pata tha…aur isi baat ki soch mein wo kho sa gaya tha…tabhi use is tarah soch mein dube dekh kar Simran ne uska dhyan hatane ke liye bola…

Simran: toh kya ab hum log ander chalein…

Sam: han han chaliye…

Fir sabhi ander aye…Seema ne un logon ko hall mein baithne ko kaha aur naukar ko pani lane ko bola…

Simran(idhar udhar dekh kar): Seema kya baat hai Divya kahin najar nahi a rahi…

Seema: wo ander hai apne room mein…

Simran: toh fir use bulao na…hum log usi ko toh milne aye hain…

Seema: Riya jao di ko bula kar lao…

Riya: Ok mom….

itna bol kar Riya wahan se chali gayi…Divya apne room mein roj ki tarah gum sum si baithi thi…

Riya(divya ke paas ja kar): di mom ne apko niche bulaya hai…

Divya(Riya ki taraf dekh kar)kion kya huya…

Riya: Di simran aunty aur Rajeev uncle aye hain…

Divya(beman se): chalo thik hai toh main ati hun…

Itna bol kar Riya wahan se chali gayi…Riya ne Sam ke bare mein nahi bataya…kionk wo Divya ko surprise dena chahti thi…

Divya utra sa munh leke bahar hall mein gayi aur bina kisi ki taraf dhyan diye…Simran se boli…

Divya: hlo aunty…

Simran: hlo beta…kaisi ho…

Divya: thik hun aunty…ap…

Abhi Divya isse age kus bolti uska dhyan ek dum se samne baithe Sam ki taraf gaya…uski jaise sansein ruk si gayin…

Divya ko samjh nahi a raha tha k wo ab kya kare…kya bole…ek pal ke liye toh use aisa laga mano…sare jahan ki khusiyan uske angan mein a giri hon…

Par agle hi pal use yaad aya k Sam toh use bhul chuka hai…yeh baat dimag mein ate hi…uske chehre ka rang ek dum se ud sa gaya…mano pura sareer bejaan sa pad gaya ho…wo fir se udaasi ke us gehre andhere mein kho si gayi…

Simran: beta kahan kho gayi ho…

Simran ki baat ne mano Divya ko neend se jaga diya ho…aur wo ek dum se apni sochon se bahar ayi…

Divya(hadbada kar): kus nahi aunty…

Simran: chal koi baat nahi…vaise hum log tumse hi Milne aye the…

Divya(hairani se): mujhe par kion…

Simran: wo asal mein Sam tumhe thanks bolna chahta hai…

Rajeev: are bhai kya fajool ki baton mein ulajh rahe ho…Divya beta tum Sam ko apne sath leke jao…aur ghar dikhao…

Divya(nervous hokar): chalo Sam…

Sam bhi chup chap Divya ke sath uth kar chal pada…

Seema(un dono ke jate hi): kya jiju...apne Sam ko Divya ke sath kion bhej diya…agar wo uski wajah se kisi musibat mein pad gaya toh…

Rajeev: uski wajah se wo kion kisi musibat mein padega…

Seema(thoda haklate huye): nahi mera matlab hai k agar Divya ke sath rehne se use koi baat yaad ane lagi toh uske dimag par pressure padega…aur yeh uske liye thik nahi hai…

Simran: kus nahi hoga tum faltu ki tension mat lo…

Vaise Simran ko Seema ka behavior thoda ajeeb sa lag raha tha…wo kahin khoyi khoyi si lag rahi thi…

Khair Seema ne jaise taise apni baat ko cover-up kar hi liya…

To be continued….
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 43


Seema(thoda haklate huye): nahi mera matlab hai k agar Divya ke sath rehne se use koi baat yaad ane lagi toh uske dimag par pressure padega…aur yeh uske liye thik nahi hai…

Simran: kus nahi hoga tum faltu ki tension mat lo…

Vaise Simran ko Seema ka behavior thoda ajeeb sa lag raha tha…wo kahin khoyi khoyi si lag rahi thi…

Khair Seema ne jaise taise apni baat ko cover-up kar hi liya…

Ab age…


Udhar Divya Sam ko sath lekar use apna ghar dikhane lagi….par wo usse jyada baat nahi kar rahi thi…aur thoda nervous bhi lag rahi thi…

Sam: kya huya ap comfortable toh hain na…

Divya(haklate huye): han han bilkul…aur yeh mera room hai…

Divya ne apne room ki taraf ishara karke kaha…

Sam: Ander nahi leke chaleingi…

Divya: han chaliye…

Yeh bol kar Divya ne room ka door khola aur Sam us room mein chala gaya…

Divya: ap baithiye na…

Sam bed par baith gaya…sam as paas har chij ko badi gaur se dekh raha tha mano sab usne pehle bhi Dekhi…par ek baar fir se uska dimag in tasweeron ko saaf nahi kar pa raha tha…


Divya: kya soch rahe ho Sam…

Sam: yaar kus nahi soch raha…pata nahi aisa Kion lag raha hai jaise main pehle bhi yahan a chuka hun…

Divya Sam ki baat sun kar chup ho gayi…use samjh nahi a raha tha k wo kya jwaab de Sam ko…

Sam: ab tum kahan kho gayi…

Divya: nahi kus nahi…

Iske baad Divya chup chap baith gayi…Sam kus Der baad bola…

Sam: asal mein main tumhe thanks kehne aya tha…

Divya: koi baat nahi maine aisa kus khas nahi kiya…

Sam: nahi agar tum time par na ati toh sayad mar…

Abhi Sam itna hi bola tha k Divya ne achanak uske Munh par hath rakh diya…Sam Divya ki is harkat par hairan sa reh gaya…par Divya ka use chuna use acha bhi laga…

Sam ne koi reaction nahi diya…wo toh Bas Divya ki taraf dekhne laga aur uski khubsurati mein kho sa gaya…

Kus der baad jab Divya ko dhyan aya k Sam ab pehle wala nahi raha wo uske liye ab ajnabi hai toh usne ek dum se apna hath piche khinch liya…

Divya(sir niche jhuka kar): sorry wo mujhe tumhare sath aisi harkat nahi karni chahiye thi…

Sam: its OK yaar…

Divya: wo kya hai na mujhe aisi negative batein pasand nahi hain…par fir bhi mujhe bina permission ke is tarah tumhe touch nahi karna chahiye tha…

Sam: yaar ab itna formal hone ki koi jarurat nahi hai…chal chhod is baat ko…

Divya: chalo chhod diya…ab bahar chalein sab wait kar rahe honge…

Sam(majak mein): Kion mere sath rehna acha nahi lag raha…

Divya: maine aisa kab kaha…par bahar toh Jana hi padega nahi toh sab pata nahi kya sochenge…

Sam: acha kya sochenge…

Divya: mujhe nahi pata…chalo ab bahar…

Yeh bol kar Divya bahar ki taraf Jane lagi…tabhi Sam ne use awaj di…

Sam: ek mint…

Divya: han kya huya…

Sam: kya tum meri dost banogi…

Yeh bol kar Sam ne apna hath age bdaya…Divya ne bhi kus soch kar usse hath milaya…

Divya: friends…

Divya ke chehre par na Jane kitne dino baad smile wapis lauti…Sam ko bhi acha lag raha tha…usne bhi Divya ka hath nahi chhoda aur na Jane kahan kho sa gaya…

Divya(ankh se ishara karke): mera hath…

Sam(ek dum se hath chhod kar): han tumhara hi hai…

Divya is baat par has padi aur sath mein Sam bhi…

Divya: toh ab chalien sab ke pas…

Sam: han chalo…boht jaldi hai Jane ki tumhe…

Fir wo dono wahan se bahar chale aur sab logon ke paas ja kar baith gaye…

Simran ache se samjh gayi k Divya ka chehra ek dum se Kion khil gaya…use itna toh pata chal hi gaya k jarur uske aur Sam ke beech kus huya…aur wo is baat se khus thi…

Toh fir kus Der sab ne batein ki aur fir Sam aur uske mom dad apne ghar ke liye nikal gaye…

To be continued…
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 44


Sam: han chalo…boht jaldi hai Jane ki tumhe…

Fir wo dono wahan se bahar chale aur sab logon ke paas ja kar baith gaye…

Simran ache se samjh gayi k Divya ka chehra ek dum se Kion khil gaya…use itna toh pata chal hi gaya k jarur uske aur Sam ke beech kus huya…aur wo is baat se khus thi…

Toh fir kus Der sab ne batein ki aur fir Sam aur uske mom dad apne ghar ke liye nikal gaye…

Ab age…

Sam ghar ane ke baad bhi lagatar Divya ke bare mein hi sochta raha uska wo masoom chehra Sam ki ankhon mein Bas gaya tha…

Udhar divya bhi khus thi k anjane mein hi sahi par use Sam ke sath batein karne ka time mila tha…Wo aj kafi dino baad khus thi…uske chehre par wo mayusi kahin najar nahi a rahi thi…uske chehre par sirf khusi hi thi…

Seema ko is baat ki fikar thi k kahin Divya apni bewkufion se Sam ki jaan dobara khatre mein na daal de….

Khair kus din bite aur Sam puri tarah se thik bhi ho gaya…Aj Sam ghar mein bore ho raha tha…halanki uske dost use milne ke liye ate the par use jyada acha nahi lagta tha…uska man hamesha Divya se milne ko karta tha…

Divya ko Seema ne kabhi Sam ke ghar jane hi nahi diya aur wo use Sam se dur rehne ko bolti thi…

Par aj Sam ne khud divya ko call kiya…aur divya ne bhi khusi khusi pick kar liya…

Sam: hlo kaisi ho…

Divya: thik hun aur tum…

Sam: main bhi bilkul thik hun…acha ek baat batao…

Divya: pucho…

Sam: mujhse kabhi milne kion nahi ati ho…

Sam ke sawal se Divya soch mein pad gayi k wo kya jawab de…use kus samajh nahi a raha tha…

Divya(soch soch kar): yaar wo kya hai na main office ke kaam mein boht busy rehti hun…kahin ane jane ka time hi nahi milta…

Sam: chalo koi baat nahi…aj kahin ghumne chalein…

Divya(apni mom ko pata lagne ke dar se): nahi nahi main aj office mein hun…boht kaam hai…

Sam(mayus ho kar): thik hai…ok toh main phone rakhta hun…

Sam ki awaj mein yeh mayusi Divya bardast nahi kar payi…wo yeh nahi dekh payi k Sam uski wajah se Sad hai…

Divya(jaldi se): ek mint phone mat rakhna…meri baat suno…

Sam: han bolo kya baat hai…

Divya: yaar aise sad mat ho…thik hai ghumne chalenge par aj nahi…kal ko…par plz ghar par mat batana…na apne na mere ghar par…

Sam(hairani se): kion hum konsa ghar se bhag rahein hain…

Divya: yaar tumse jitna kaha hai utna karo na plz…nahi toh hum nahi ja payenge…

Sam: ok thik hai baba…toh kal ka pakka na…

Divya: han bilkul pakka…

Sam(khusi se): thanks yaar…love you…ab main phone rakhta hun…

Yeh bol kar Sam ne bina der kiye phone rakh diya…Sam bhale hi love you normally aur friendly way mein kaha tha par divya ko boht acha laga…

Divya toh mano wahin atak si gayi…uske dimag mein baar baar Sam ki kahi huyi wahi line ghumti rahi…

Agle din Sam tyar huya…usko Divya ne bata diya tha k kahan milna hai…Sam tyar hokar apne kamre bahar nikla aur bahar jane laga…tabhi Simran ne use awaj di…

Simran: beta kahan ja rahe ho…

Sam: mom deepak se milne ja raha hun…

Simran: thik hai beta dhyan se jana…

Fir Sam wahan se apni car lekar nikla aur Divya ki batayi huyi jagah par pahuncha…usne car ek coffee shop ke age roki…

Wahan Divya pehle se majood thi…aur ek table par baithi Sam ka wait kar rahi thi…sam ko ate dekh wo kafi khus ho gayi….

Divya: hii sam…kaise ho…

Sam: thik hun yaar tum batao….

Divya: main toh ek dum thik hun…

Sam: toh main baithun…

Divya: han baitho…

Fir wo dono batein karne lage…Sam ne do coffee order ki …kafi der coffee pite huye dono batein karte rahe…par tabhi Sam ki najar ek table par padi…

Divya(Sam ka dhyan kahin aur dekh kar): Kya huya kahan dekh rahe ho…

Sam: wo ashu hai na…

Divya: han lag toh wahi raha hai…par kya huya aise kion puch rahe ho…

Sam: uske sath kon hai…

Divya: wo toh neha hai uski gf…

Sam: yaar use toh main janta hun par wo ladka kon hai sath mein…

Divya: pata nahi uska munh toh dusri taraf hai…par tumhe kya ho gaya achanak…

Sam: yaar maine use pehle bhi kahin dekha hai…kam se kam is angel se toh aisa hi lag raha hai…

Divya: chodo na yaar…

Par jyada sochne ke karan Sam ke sir mein dard hone laga…uske dimag ke wo hisse jo Accident ke time harm huye the un par jor padne ke karan Sam ko boht pain ho raha tha aur kafi gabhrahat bhi ho rahi thi…

Divya yeh sab dekh kar boht dar gayi par wo kya kare use samajh nahi a raha tha…uska deemag kaam karna band kar chuka tha…use kus deemag mein nahi aya toh usne Sam ko apni taraf khincha aur uske hontho ko apne hontho mein jakad liya...

Wo paglon ki tarah Sam ke honthon ko kiss karne lagi…wo thoda sa piche ko huyi…bhale hi usne Sam ka dhyan hilane ke liye aisa kiya tha par wo pyar toh karti hi thi na sam se…toh use kus galat nahi laga kiss karne mein…

Divya(ankhon mein pyar liye Sam ke chehre se halka sa dur apna chehra karke): I love you sam…I love you so much…kabhi bol nahi payi par jab se tumhe pehli baar dekha hai tab se mar miti hun tum par…

Sam toh jaise sun sa pad gaya par achi baat yeh huyi k Sam us admi ki taraf se dhyan hatane mein kamzab raha…

Divya ne fir se apne honth bina logon ki fikar kiye jo un dono ki taraf dekh rahe the, sam ke hontho ki taraf badha diye…par tabhi Sam ne apna hath beech mein kiya…aur Divya ko rok diya…

Sam: Divya tum janti ho na main boht kus bhul chuka hun…par pata nahi kion mujhe aisa lagta hai k main tumhare bina adhura sa hun…tumse dur rehne ka man nahi karta tumhare sath rehna acha lagta hai…main nahi janta k main kya kya bhul gaya hun…par sayad main pehle bhi tumse pyar karta tha aur aj bhi karta hun…I love you too Divya…

Sam ke itna bolte hi Divya ne sam ke honthon ko fir se apne hontho mein bhar liya aur paglon ki tarah chusne lagi…

Khair kus der baad jab dono hosh mein aye toh dekha k kafi log un dono ki taraf dekh rahe hain…is liye Divya toh sharama kar bahar hi chali gayi aur Sam bhi bill pay karke bahar chala gaya…

Divya: Sam ab main office jaun…

Sam: han jao yaar…nahi toh tumhara kaam nahi ho payega…

Divya: I love you Sam…main tumhe miss karungi…

Sam: I love you too…Main bhi miss karunga tumhe…

Fir divya ne sam ko hug kiya aur bye bol kar wahan se chala gayi…Aur Sam bhi apne ghar chala gaya…

To be continued….
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 45


Sam: han jao yaar…nahi toh tumhara kaam nahi ho payega…

Divya: I love you Sam…main tumhe miss karungi…

Sam: I love you too…Main bhi miss karunga tumhe…

Fir divya ne sam ko hug kiya aur bye bol kar wahan se chali gayi…Aur Sam bhi apne ghar chala gaya…

Ab age…

Sam wahan se apne ghar chala gaya…wo boht khus tha…uske dil ko ek ajeeb sa sukoon mila tha…use samaj nahi a raha tha k yeh sab itna jaldi kaise ho gaya…

Sam(apne man mein): yeh sab itna jaldi kaise ho gaya…achanak yeh divya ka is tarah kiss karna aur propose karna…aur maine bhi itni jaldi han keh di…yaar yeh accident ke baad se mere sath ho kya raha hai…kahin main aur divya pehle se hi toh pyar nahi karte…par kisi ne itni badi baat mujhe batayi kion nahi…mom se puchunga toh wo pareshan hongi…kya karun…

Sam bas in sab sochon mein duba huya tha…use nahi pata tha k sab kya ho raha hai kion ho raha hai…par itna jarur pata tha k acha ho raha hai…

Udhar office mein Divya bilkul tension free thi aur khus thi…use pata tha k Sam Ko is waqt kus chijein yaad nahi hain…par yeh pata tha k wo bilkul hosh mein hai...isliye aj jo kus bhi huya aisa nahi tha k Sam use bhul jayega…is liye Divya boht khus thi....

Usne aj akhirkar apne pyar ka izhar kar hi diya…par jis andaz mein kiya use soch kar ab use khud se hi sharam a rahi thi…

Par han use ek baat ki fikar jarur thi k wo shakas kon hai jise dekh kar Sam itna upset ho gaya tha…aur wo Ashu ke sath kya kar raha tha…

Khair main ap logon ko bata dun k Ashu aur Neha ab Divya ki company mein job nahi karte the…balki Neha ke bhai ki company mein uski help karte the…kionk Neha ne apni family se Ashu ko milwa diya tha…aur sab ne use pasand bhi kar liya tha…

Chalo main bhi kahan ki baat ko kahan le gaya…toh yeh din Sam aur divya ka udhed bun mein hi nikal gaya…dono ko raat ko bhi dhang se neend nahi a rahi thi…

Divya(apne ap se): kya karun Sam ko phone karun yah na karun…agar wo so gaya hoga…1:00 baj raha hai…ek baar call karti hun agar utha liya toh thik hai nahi toh rehne dungi…

Yeh soch kar divya ne sam ko call kiya…aur Sam ne bina koi deri kiye…jhat se call pick kiya…

Divya: toh janab ap bhi meri hi call ka wait kar rahe the…

Sam: yaar wo main kab se tumhe phone karne ki soch raha tha par socha tum so gayi hogi toh nahi ki…itne mein tumne khud hi phone kar liya…

Divya: kamaal ki baat hai na main bhi yahi soch rahi thi…par socha karke dekh Lun…toh fir tumhe bhi neend nahi a rahi…

Sam(sad si tone mein): nahi a rahi yaar…

Divya(pyar se): acha kion nahi a rahi neend…kus huya hai kya…

Sam: han pyar ho gaya hai…

Divya: kisse…

Sam: hai koi pari…

Divya: praion se pyar nahi karte…ud jati hain…

Sam: main udne dunga tab na…

Sam ki baat par Divya hans padi aur sath mein sam bhi hans pada…aise hi kus der baatein karne ke baad dono so gaye….

Agli subaj jab Sam ki neend khuli toh wo kafi better feel kar raha tha…use aisa lag raha tha jaise aj ka din kus khas hone wala hai…khair sam washroom mein gaya aur brush bghera karke bahar aya…uski najar phone par padi toh Divya ka morning wish ka msg tha… use dekhte hi Sam ke chehre par muskan fail gayi…

Sam ne jhat se Divya ko call lagayi…Par dusri taraf Divya ki mom Divya se apni galatfehmi ko suljhane mein lagi thi…

Seema(serious hokar): beta tum janti ho na main tumse boht pyar karti hun…par pichle kus waqt se humare beech kus bhi normal nahi hai…Beta kya tum is bare mein mere sath thoda time baat kar sakti ho…

Divya(pyar se): mom apko meri kisi permission ki kabhi jarurat nahi hai…apko jo baat karni hai khul kar kariye…

Seema(Divya ka hath apne hath mein pakad kar): beta sabse pehle toh sorry…maine tumhare sath kitna bura behaviour kiya…

Divya(apni ke hath ko press karke): mom koi baat nahi…ap pareshan thi…aur vaise bhi galti toh meri hi thi na…

Seema: thanks beta…aur main…

Itne mein Divya ka phone baj utha…kionk unke piya ne unko yaad jo kiya tha…aur ekdum se Divya ke khile huye chehre ka rang ud gaya…use samaj nahi aya k kya kare…

Seema(Divya ko aise tension mein dekh kar): beta kya baat hai pareshan lag rahi ho…kiska phone hai utha kion nahi rahi…

Divya(haklate huye): mom wo kisi ka nahi hai…bas aise hi hoga koi…ap apni baat puri kijiye…

Divya ki baat sun kar aur uski shakal dekh kar Seema ki hansi nikal gayi…Divya confusion ke sath apni mom ki taraf dekhti rahi…itne mein seema kus aisa bol kar chali gayi jisse Divya ki khusi aur hairani ka koi thikana hi na raha…

Seema(hanste huye Divya ke gaal par hath rakh kar): beta phone utha Lo JAMAI RAJA naraz ho jayenge…

Yeh bol kar Seema uth kar bahar jane lagi aur Divya hairani se munh fade uski taraf dekhti rahi…Seema door tak jake ruki…

Seema: beta main naraz thi… par tum dono se pyar boht karti hun…mujhe tumhare aur Sam ke milne aur whatever jo tum log karte ho…koi gussa nahi hai…ulta main boht khus hun ab main jati hun ache se baat karna…

Yeh bol kar Seema ne door band kiya aur chali gayi…kus pal ke liye toh use kus samajh hi nahi aya…fir wo ekdum se uthi aur khusi ke mare nachne lagi…

Phone toh kab ka cut ho gaya tha aur Sam ka munh bhi utar chuka tha…par Divya ko ab na toh phone ki fikar thi aur nahi jarurat…use mom se license jo mil gaya tha…

Usne phone uthaya aur car ki keys uthayi…aur seedha Sam ke ghar ki taraf chal padi…Wo jaldi hi uske ghar pahunchi aur parking mein car khadi karke…pagalon ki tarah khusi se nachte huye Sam ke kamre mein ja ghusi…

Wo toh acha huya kisi ne use dekha nahi tha…kionk madam itni jyada khus thi k wo raat ko pehne huye dheele se top aur ek lower mein hi daudi chali ayi…

Sam udas sa chhat ki taraf munh karke apne bed par ankhein band karke leta huya tha…Divya seedha bed par gayi aur Sam ke upar ulti let gayi…

Sam ne jhat se ankhein kholi toh dekha k uske samne Divya ka chehra tha aur wo uske upar leti huyi thi…Sam ko laga wo koi sapna dekh raha hai…toh usne socha k wo apne chimti kaat kar dekhe…par iski jarurat hi nahi padi…

Kionk agle hi pal Divya ne apne gulabi aur naram honth Sam ke honthon par rakh diye…aur uske upar wale honth ko apni grifat mein le liya…

Sam ke hath khud wa khud Divya ki peeth par kaste chale gaya…Sam ne puri tarah se Divya ko apni bahon mein bhar liya aur kiss mein uska sath dene laga…

Dhire dhire dono ki kiss ne passionate roop le liye aur Divya ne apni jeebh Sam ke munh mein dakhil karwa di…ab Sam Divya ki jeebh se apni jeebh ke sath khelne laga…

Jab dono ko saans lena muskil ho gaya toh dono alag huye aur Sam ne Divya ko apne sath leta liya…Divya bhi uski taraf munh karke uske sath chipak kar let gayi…

Divya(Sam ke gaal par kiss karke): good morning babu…

Sam: isse achi morning kabhi nahi ho sakti…

Divya: jaan ab toh hamari subah roj aise hi hogi…ek dusre ki bahon mein…par shadi tak ka wait karna padega…

Sam: acha fir age ka kya irada hai…

Divya: boht hi nek irade hain…tumhe shadi karke puri umar ke liye kaid karne ke…

Sam(Divya ko aur apne se chipka kar): aj kya huya…itni jyada excited kion ho gayi ho…

Divya: kus nahi bas samjh lo k meri life mein aj se jyada khusi kabhi nahi ayi…Jaan kya aj tum mere liye time nikal sakte ho…

Divya ne yeh baat Sam ko bade pyar se kahi…uski ankhon mein sirf pyar tha sirf beinteha pyar…

Sam(divya ke honthon par halki si kiss karke): yaar tum kya puch rahi ho…meri puri life tumhari hai toh ek din ki kya khas baat hai…aj ka pura din tum jo kahogi wahi karenge…

Divya khus ho kar Sam ko fir se kiss karne Lagi…Usne blanket dono ke upar khincha aur khud Sam Ke upar sawar ho gayi…ab ander kya ho raha tha yeh toh main nahi keh sakta…par limit mein hi ho raha tha…

Yaar jyada dimag mat lagao sirf kiss yah kahe toh passionate kiss ho rahi thi…par itne mein Sam ke room ka door khula aur Simran ander ayi…

Usne bed ki taraf dekha toh use laga Sam so raha hai…kionk ander dono is tarah ek dusre mein ghuse pade the…k bahar se lag raha tha…koi do char pillow ko hug karke so raha hai…aur upar se koi movement bhi nahi ho rahi thi…

Simran ne apne mathe par hath mara aur blanket ekdum se utha di…blanket uthte hi teeno ke hosh bhi ud gaye…jab simran ne blanket uthayi toh Divya sam ke upar thi aur Sam niche se use hug karke leta huya tha…wo dono kiss kar rahe the…wo bhi kafi ap samaj hi gaye honge khair scene par ate hain…

Simran ko pehle toh embarrassment feel huyi…par kionk Sam aur Divya ki family open hai khas kar Sam aur Divya ke case mein…Toh wo gayi nahi…

Divya uth kar bed par hi khadi thi…aur Sam abhi bhi lete Huye hi idhar udhar dekh raha Tha…

Simran(Divya ke kapde dekh kar): Divya beta tum yahan raat mein kisi ko bina bataye?

Divya ki toh buri halat ho gayi thi…wo yeh bhi nahi bol payi k main abhi subah hi ayi hun…par uske bachaw ke liye uske piya ji jo the…

Sam(dari dabi si awaj mein): mom wo main…

Simran(halke gusse se): tum toh chup hi raho…mujhe tum dono se baat karni hai…par pehle jao tum dono washroom se munh dho kar ao…main yahin baithi hun…

Simran ki baat sunte hi Divya toh chali gayi par Sam wahin khada raha…Simran ne Sam ki taraf gusse se dekha toh sam bhi ander chala gaya…

Ander dono ek dusre se ankhein nahi mila pa rahe the…aur jab mirror mein dono ne khud ka chehra dekha toh unhein samajh a gaya k Simran ne unhein munh dhone ko kion kaha…kionk dono ne itni kisses barsa di k unke faces par har jagah thuk lag chuki thi…aur khud ko aise dekh kar dono ko aur jyada sharam ane lagi…

Khair dono ne munh dhoya aur bahar akar kisi murjim ki tarah Simran ke samne a kar khade Ho gaye…

Simran(un dono ki taraf dekh kar): toh Divya tum yahan sari raat iske sath thi…kisi ko pata tak nahi…yeh baat Seema ko pata hai…

Divya(ghabra kar): nahi aunty…

Simran(divya ki puri baat sune bina): beta aise nahi karte…hum logon ne kabhi tum dono ko roka nahi hai…par aisa bhi nahi hai k tum dono apni hi marji karte raho…seema ko agar pata chala toh use kitna bura lagega…

Simran ki baat se Sam ko laga k jarur uska aur Divya ka relation pehle se hai…par situation ko dekh kar usne abhi is baat par jyada gaur nahi kiya…

Divya: aunty main subah hi ayi thi…main toh abhi abhi ayi thi…but jo bhi apne dekha uske liye sorry…humein khud ko control karna chahiye tha…

Yeh bol kar Divya ki ankhon mein ansoo a gaye…simran se yeh kaise bardast hota usne Divya ko apne paas bithaya aur Sam ko bahar jane ke liye Ishara kiya…jise sam jaldi hi samjh gaya…

Simran(Divya ke ansoo ponch kar): beta sorry feel karne ki jarurat nahi hai…wo hamesha se tera hai aur tera ho rahega…par beta main sirf itna kehna chahti hun k…

Divya bhi ab rona chhod kar simran ke taraf dhyan se dekhne lagi…aur use bhi laga k Aunty ki advise leni chahiye…

Divya(apne ansoo poch kar): aunty ap jo kahengi main wo karungi…

Simran(ek lambi sans chhod kar): main bas itna kehna chahti hun k yeh sab door lock karke karna chahiye aur ek dusre ka face kam ganda karna chahiye…

Simran yeh bol kar jor jor se hasne lagi aur Divya bhi apna sir niche karke sharmate huye hasne lagi…

Simran: ok sorry beta…but koi baat nahi mujhe tum dono par pura trust hai...ab chalein nasta kar lete hain…

Divya(simran ke gale lag kar): ji aunty…and thanks…

Fir dono bahar chali gayin…ab Divya pehle se better feel kar rahi thi…aur wo dono breakfast ke liye Sam ko awaj dene lagi…par Sam wahan nahi tha…pure ghar mein dhundha par kahin nahi mila…Rajeev ne bhi use bahar dhundha garden backyard garage gym sab jagah par wo kahin nahi mila…

Ab yeh kahan gaya yeh toh baad mein hi pata chalega…

To be continued
 
  • Like
Reactions: DINNA

Spider-Man

New Member
88
116
18
Update 46


Divya(simran ke gale lag kar): ji aunty…and thanks…

Fir dono bahar chali gayin…ab Divya pehle se better feel kar rahi thi…aur wo dono breakfast ke liye Sam ko awaj dene lagi…par Sam wahan nahi tha…pure ghar mein dhundha par kahin nahi mila…Rajeev ne bhi use bahar dhundha garden backyard garage gym sab jagah par wo kahin nahi mila…

Ab age…

In logon ko toh nahi pata par main bata deta hun k akhir huya kya aur Sam kahan chala gaya…

Simran ke bahar bhejne par jab Sam bahar aya toh wo hall mein sofe par baith gaya aur newspaper padhne laga…Lekin tabhi uski najar Front page par hi ek badhi photo aur Headline par padhi…

Headline: MP Balbir Chaudry ke bete Rajesh Chaudry ne behan ke Mangetar Mr. Ashish Sharma ko apna bussiness partner banaya…unhone Apni company ke 50% shares Apni Behan Neha aur uske hone wale pati ke naam kar diye…

Yeh khabar padh kar Sam ko jhatka laga…use Rajesh ka naam sun kar kus yaad ane laga…par jaise hi usne Ashu aur Rajesh(saand college wala update 6) ki ek sath tasweer dekhi toh waqt ka chakkar badi teji ke sath ghuma…

Sam ki ankhon ke samne us din ka pura scene dobara ghumne laga jab uska accident huya tha…uske dimag ki nasein fatne ko hone lagin...uske bhule huye past ka har ek panna ek ek karke khulne laga…

Sam jaise hi thoda sambhla toh Uska chehra gusse aur dard se laal ho chuka tha…wo teji se bina kisi ko bataye wahan se car lekar nikal pada Ashu ke ghar ki taraf…

Toh jara hum bhi jaan lein k akhir us din huya kya tha…

Us din jab Sam Divya se jhagda karke use car ki keys dekar…paidal chala ja raha tha toh kus age jane ke baad…ek gadi teji se badhti huyi uske piche se ayi aur ek dum se footpath par chal rahe Sam ke beech takra gayi…

Sam us gadi ke kareeb ane par palat ke us taraf dekha tha toh usmein Ashu driver seat par tha aur Wo mota saand Rajesh uske sath wali seat par baitha tha…Un dono ke chehre par ek kamini muskaan thi…

Toh aj bas Sam usi baat ka jawab lene Ashu ke ghar ja raha tha…Ashu ke ghar pahunchte hi wo car se nikla aur door bell bajane laga…

Ashu ki mom ne door khola…

Ashu's mom(ek smile ke sath): beta Sam tum itne dino baad…aur tumhari tabiyat kaisi hai…

Sam(gusse ko control karke): aunty thik hun…Ashu kahan hai…

Itne mein bahar se awajein sun kar ashu bhi apne kamre se nikal aya…

Ashu: are bhai tu yahan…mujhe bata diya hota…tune khamkha takleef li…

Sam(ek muskan ke sath): bhai takleef toh huyi hai…par tujhse milna bhi toh jaruri tha…

Ashu(Sam ke kareeb a kar): bhai koi kaam tha kya…

Sam: yaar tune itne ache se dosti nibhayi hai toh main tumhare liye ek gift laya tha...

Sam ki baat Ashu ke sir ke upar se bouncer ki tarah gayi…aur Ashu ki mom bhi Sam ki taraf gaur se dekh rahi thi…

Agle hi pal Sam ne ek jordar thapad Ashu ke gaal par de mara…thapad itna jordar tha k uski awaj pure ghar mein gunj uthi Aur Ashu aur uski mom munh fade hairani ke sath Sam ki taraf dekhne lage…Sam ki ankhon mein gusse ke sath ansoo bhi the…

Sam(Ashu ke collar pakad kar): sale kya kami reh gayi thi meri dosti mein…tune apne hi dost ko jaan se marne ki kosish ki…kion kiya tune aisa…

Ashu(niche garden karke): kus nahi kiya maine…tujhe koi galatfehmi huyi hai…

Sam: sale itna bhi bhola nahi hun…aur ek baar meri ankhon mein dekh kar bol k sach kya hai aur jhuth kya hai…

Ashu ne kus nahi bola bas niche ki taraf mundi karke khada raha…Sam ka gussa aur badh gaya…wo gusse se lal hota ja raha tha…

Sam(Ashu ki mom se): aunty ise boliye k sab bata de nahi toh main dosti ka lihaj bhul kar ise police ke hawale kar dunga…

Ashu'mom: Ashu bol tune kya kiya hai…

Ashu(rondi awaj mein hath jod kar): bhai maaf karde maine kus nahi kiya hai…main lalach mein a gaya tha…usne mujhe bola k wo Neha se meri shadi karwa dega…

Sam(halka sa hans kar): wah bhai kya dosti nibhayi hai…kamal kar diya tune toh…do din ke pyar ke liye apne bachpan ke yaar ko bhul gaya…wo yaar jisne har sukh dukh mein tumhara sath diya…aur tujhe kya laga k wo saand tujhe aur Neha ko mere hote alag kar sakta hai…

Sam ki baat sun kar Ashu apni garden sharam ke mare niche jhuka kar khada tha…aur uski maa ki ankhon mein apne bete ke kiye ki sharmindgi aur ansoo the…

Sam(apne hath uske collar se hata kar uske kandhe par rakh kar): bhai tu fikar mat kar bas uske khilaf gawahi de dena baki sab main sambhal lunga…

Ashu ne halki si himmat ki aur apni garden uper uthayi…usne dekha k Sam uski taraf dekh raha tha jaise uske hi jwaab ka wait kar raha ho…

Ashu ne ek lambi saans ki aur bolna shuru kiya…

Ashu: bhai main pagal ho gaya tha main sirf apne bare mein soch raha tha…usne mujhe jab yeh offer diya toh apne pyar ke liye main apni bachpan ki dosti daaw par laga baitha…par bhai tune meri ankhein khol di hain…ab main wahi karunga jo mujhe karna chahiye tha…main tere sath ja kar us pagal saand ke against gawahi dunga…par bhai yeh sab Neha ko mat batana wo tujhe boht pyar karti hai aur teri sachi dost hai…agar use sab pata chal gaya toh wo mujhe kabhi nahi apnayegi…

Sam: Ashu usse kus mat chipana…wo tujhe maaf kar degi…agar na mani toh main usse baat karunga…par agar use kahin aur se pata chala toh boht dukh hoga…aur agar humne Rajesh ko arrest karwa diya toh wo Neha ko toh jarur bata dega…

Ashu: thik hai bhai jaisa tu sahi samjhe…

Sam: toh fir chal mere sath police station…

Fir Ashu Sam ke sath police station chala gaya…aur Rajesh ke khilaf complaint likhwa di aur Ashu ka byan bhi le liya…

Police Rajesh ko Arrest karne ke liye chali gayi…usne boht hath pair mare par use pakad hi liya…upar se Sam ne apne dad ko puri baat bata kar CM ko phone karwa diya…aur usi party ka MP Rajesh ka baap Balweer Chaudry tha…toh uske baap ki bhi puri power khatam ho gayi…

Balveer ko khud bhi Rajesh ke kaam pasand nahi the wo acha admi tha…Rajeev ki bhi wo kafi izat karta tha…toh kul mila kar Rajesh ka jail mein jana final tha…

Neha ko jab puri baat pata chali toh wo Ashu se naraj ho gayi aur apne bhai se toh wo nafrat karne lagi…

Par Sam ne use samjhaya k Ashu usse boht pyar karta hai…is tarah wo bhi maan gayi…

Yeh bhi sabko pata chal gaya k Sam ke sath bachelors party ko jo huya wo sab Rajesh ka hi kiya huya tha par yeh baat Ashu ko nahi pata thi…

Khair ant mein sab thik ho hi gaya…sabki problems solve ho gayi…hamare besharam ko uski manjil mil hi gayi…galatfemion ke badal hat gaye…

Divya aur Sam ke sache pyar ko Vishwas ki ek nayi takat mil gayi…

***************THE END*****************

Toh dosto jyada batein nahi karunga…ek shandar safar ka ant itni jaldi aur aise majburi mein karna padega kabhi socha nahi tha…par kus problems ke karan jo gap pada uske baad story se mera connection tut sa gaya… rhythm break ho gaya…par jo socha tha wahi likha han thoda jaldi likha…par umeed karta hun ek nayi shuruwat ke sath hi fir se milenge…tab tak ke liye Sat shri akal…take care dosto…aur is khubsurat safar mein mera hausla badhane ke liye shukriya…


 
  • Like
Reactions: DINNA and Deep ak

Spider-Man

New Member
88
116
18
Top