- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 63
Kuch hi der me Divya Priya ke Papa ke saath aa gayi...Aaj Priya ki Papa ne sharaab nahi piya tha.
Jaise hi Priya ki Papa room me aaye wo Sameer ko dekh kar shocked ho gaye.
Priya's Dad:- Tum yaha kya kar rahe ho?
Priya ki Papa ne hairaani me kaha...Sameer ko samajh me nahi aa raha tha kya jawaab de...Wo kuch pal chup hi raha...Wo to itna sharminda ho gaya tha khud se ki kuch bol bhi nahi paa raha tha.
Priya's Dad:- Tum Priya ki shaadi dekhne aaye ho ya mujhse koi kaam tha?
Priya ki Papa ne fir se hairaani me pucha lekin iss baar Sameer ne socha ki aise chup rehne se kuch nahi hone wala...Thoda himmat ke saath usne kaha.
Sameer:- Aap ye shaadi rukwa dijiye.
Priya ki Papa ko yakin nahi hua jo Sameer ne kaha...Sameer ne hi unhe wo idea diya tha lekin aaj wo hi achanak iss tarah unke hi ghar me aa kar ekdam se shaadi rukwane ko keh raha hai ye baat par unhe aur hairaani hua.
Priya's Dad:- Ye tum kya keh rahe ho?
Sameer:- Sahi keh raha hu...Rok dijiye ye shaadi.
Sameer ne Priya ke papa ko bich me rok kar bina koi bhaaw ke kaha.
Priya's Dad:- Nahi abb nahi rok sakta...5 lakh mile hai mujhe iss shaadi se...Aur tumhe kya problem hai iss shadi se? Tum hote kaun ho mujhse ye sab kehne waale?
Priya ki Papa ki aawaj me iss baar gussa tha...Shaadi rukwa kar wo apna nukshaan nahi karwana chaahte the.
Sameer:- Aapke liye apni beti ki jindagi se jaruri paisa ho gaya...Aur aap 5 lakh me apni beti ka shauda kar rahe hai...Kaise ghatiya insaan hai aap?
Sameer ki aawaj me bhi gussa aa gaya tha...Priya ki Papa ki iss baat se wo ye bhi bhul gaya tha ki wo kuch der pehle khud se sharminda tha .
Aisa lag raha tha agar unhe nahi roka gaya to kuch der baad yuddh suru ho sakta tha.
Divya aur Priya ki Maa kabhi Sameer ko to kabhi Priya ki Papa ko dekh rahe the...Unhe kuch samajh me nahi aa raha tha ki aage kya hone wala hai.
Priya's Dad:- Aye ladke chup reh...Jubaan sambhaal kar baat kar...Meri beti hai mai jo marzi karu...Tu hota kaun hai mujhe samjhaane wala?
Aur waise bhi maine kabhi Priya ko apna beti nahi maana...5 lakh mil rahe hai mujhe iss shauda se...Aur waise bhi ye paisa kam hi hai...Usse palne me padhane me isse jyada kharcha laga hai.
Priya ki Papa gussa aur nafrat me ye sab bol gaye lekin unhe nahi pata tha ki paas khadi Priya ki Maa unhe nafrat bhari nigaaho se dekh rahi hai.
Sameer ne jaise hi ye baat suna gusse me usne apna mutthi bheench liya aur gusse me tej aawaj se bola.
Sameer:- Kaisa baap hai aap? Apni baccho ke baare me aisa soch bhi kaise sakte ho aap...Jindagi me aap jaisa ghatiya insaan nahi dekha.
Socha tha agar aapko samjha diya to aap jarur maanenge...Lekin aap jaise ghatiya insaan ko samjhaana to kya samjhaane ka sochna bhi bekaar hai.
Sameer ne bahut gusse me kaha.
Priya's Dad:- Abhi mujhe acchayi ki paath padha raha hai...Lekin bhul gaya wo tu hi tha jisne mujhe ye sab karne ke liye kaha tha...Tab kaha gaya tha tera ye acchayi?
Priya ki Papa ne nafrat aur gusse wala muskaan ke saath kaha.
Sameer:- Maine jo bhi kiya wo sab galatfehmi me kiya...Lekin abb apni galti sudhaar raha hu.
Aur aap mujhe dosh dena band kijiye...Priya se mera koi rishta nahi hai...Lekin aap baap hai uska...Apna aur paraye me bahut antar hota hai.
Paraaye insaan dhokha de ya dusro ko taklif pahunchaaye ye koi nayi baat nahi hai...Aaj kal chalta rehta hai ye sab...Lekin kam hi dekha jaata hai koi apno ko dhokha de...Jaise aap....Aur mere najar me aap jaisa ghatiya insaan koi nahi hai.
Sameer aur Priya ki Papa dono ki aawaj lagatar badh rahe thhe...Divya aur Priya ki Maa me se kisi ka bhi himmat nahi ho raha tha unhe rokne ka.
Sameer ki baat se Priya ke Papa ko gussa to bahut aaya lekin unhone bas itna hi kaha.
Priya's Dad:- Dekh ladke...Kuch der baad Priya ki shadi hone wala hai...Mai tujh par haath utha kar koi hangama khada nahi karna chahta.
Ye shaadi kisi bhi kimat me nahi rukne waala hai...Behtar yahi hai ki tu yaha se chup chaap nikal jaa.
Priya ki Papa Sameer ko gusse se dekhe jaa rahe the.
Sameer samajh gaya ki Priya ke Papa par paiso ki bhoot sawar hai...Unko kisi bhi haal me nahi samjhaaya jaa sakta hai.
Usse samajh me aa gaya abb usse kya karna chahiye aur der nahi karte hue Priya ki Papa se puccha.
Sameer:- Aapko ye shaadi ke liye ladke waale kitne paise de rahe hai?
Priya's Dad:- 5 lakh...Lekin tujhe iss se kya matlab? Itna paisa tune jindagi bhar nahi dekha hoga.
Priya ki Papa ne Sameer ka majaak udaate hue kaha...Lekin Sameer ne iss baat ko ignore karke kaha.
Sameer:- Ye shaadi rukwa dijiye...Mai aapko 10 lakh dunga.
Sameer ko majbur ho kar ye bolna hi pada.
Sameer ki baat par Priya ki Papa ko yakin nahi hua...Unhone hairan ho kar puccha.
Priya's Dad:- Tu paagal hai kya? Kaisi baat kar raha hai? 10 lakh tune apni jindagi me kabhi dekha hai kya jo dene ki baat kar raha hai? Uss din to tu keh raha tha tu bhi sharabi hai aur gareeb pariwar se hai.

Sameer:- Jhuth kaha tha maine...Baato me vakt kharab mat kijiye aur shadi rukwa dijiye...Cheque abhi mere paas nahi hai room me chhut gaya hai...Bahut jald 10 lakh ka cheque aapko dunga.
Sameer Priya ki Papa ke sath aur baat karna nahi chaahta tha...Wo jaldi se saara maamla khatm karna chaahta tha.
Priya's Dad:- Lekin mai kaise maan lu...Tu mujhe dhokha bhi to de sakta hai.

Sameer:- Ek baar Divya se ya fir Priya se puch lijiye kaun hu mai? 10 lakh mere liye koi badi baat nahi hai...Lekin please aap apni bakwas band karke jaa kar ladkewaalo ko mana kijiye.
Sameer ne frustrated ho kar kaha.
Sameer ki baat sun kar Priya ki Papa ne ek najar Divya ki taraf dekha aur aankho se hi sawal puccha ki kya Sameer sach keh raha hai...Divya ne bhi haa me sir hilaaya.
Issi bich Priya ki Papa ne pehli baar Priya ki Maa ko dekha...Unhe kuch samajh me nahi aaya ki kya react kare...Lekin agle hi pal unhone apni najar Priya ki Maa se hata kar Sameer ki taraf dekha aur gambhir aawaj me kaha.
Priya's Dad:- Accha thik hai...Lekin ek samasya aur hai?
Sameer ne Priya ki Papa ko ghur kar dekha aur kaha.
Sameer:- Paisa mil jaayega...Ab aapko kya samasya lag raha hai?

Priya's Dad:- Lekin mai ladke walo ko kya keh kar mana karu?
Sameer:- Aasan hai...Abb jaakar keh dijiye iss shaadi ke liye aap 5 lakh nahi 5 crore lenge...Wo log shaadi se jald hi inkaar kar denge...Agar kuch kaha panga hua to aap bhi koi hangama khada kar dijiye...Iss kaam me to aap maahir hai.
Sameer ne gusse me aur chhidhte hue jawaab diya.
Priya's Dad:- Accha thik hai...Lekin paisa jaldi se chaahiye mujhe.
Sameer ne abb jaa kar raahat ka saans liya...Abb usse Aatmaglaani se mukti mil gaya tha aur ek sukoon mila usse ki usne apni galti sudhar liya hai aur Priya aur uski Maa ki najron se girne se bach gaya.
Ek lambi saans lekar usne kaha.
Sameer:- Paise ke liye kuch bhi karne se piche nahi hat rahe...Paise hi aapke khusi, izzat aur sab kuch se bada hai...Bahut jald aapko pata chal jaayega kitna galat hai aap...Marne ke baad aap ye paisa apne saath nahi le jaa payenge...Kabhi jindagi ko acche se jeene ki koshish kijiye tab aap ko pata chal jaayega jindagi kitna hasin hai aur paise dhan daulat kuch bhi nahi hai iske saamne.
Khair chhodiye ye baat...Aap kabhi nahi samjhenge.
Itna keh kar Sameer ne Priya ki Papa ki taraf dekha jo kuch nahi bol rahe the...Unke chehre se aisa lag raha tha ki wo bahut khus hai...10 lakh milne ki khusi unke chehre se saaf jhalak raha tha...Saath hi wo kuch baat soch rahe the.
Sameer ne abb Priya ki Maa ki taraf najar ghuma kar kaha.
Sameer:- Aunty maine jo galti kiya hai usse sudhaar liya hai...Aur maine aap sab ko itne din jo dukh diya uske liye dil se maafi maangta hu.
Nafrat aur galatfehmi ne mujhe ye sab karne par majbur kar diya tha...Agar ho sake to please maaf kar dijiye.
Ek aur request hai aapse...Priya se keh dijiye ki abb meri life me kabhi nahi aane ke liye aur kabhi mai dikh bhi gaya to wo mujhe ignore kare.
Pehli baar Priya ki Maa ko raahat mila...Jis baat ka dar tha unhe aur wo parshaan thi wo abb thik ho chuka tha...Unhone bhi sir ko haa me hilaa kar Sameer se kaha ki unhone Sameer ko maaf kar diya hai.
Divya bhi bahut khus thi ki Priya ki jindagi barbaad hone se bach gaya.
Sameer:- Accha to abb mai chalta hu...Ek baar fir mafi maangta hu apni galti par.
Itna keh kar Sameer gate tak pahuncha hi tha ki Priya ki Papa ki piche se aa rahi aawaj ne usse rok diya.
Priya's Dad:- Ruko...Tum aise nahi jaa sakte ho.
Sameer ne gusse me picche mudaa aur kaha.
Sameer:- Ghar se baahar jaa raha hu...Gaanw se nahi...Mai apna vaada nibhaata hu...Aapko jald hi 10 lakh mil jayenge.
Priya's Dad:- 10 lakh to mujhe chahiye hi...Aur saath me tumhe Priya se shaadi bhi karna hoga.
Sameer ko to jhatka laga ye baat sunke.
Sameer:- Kya?

Divya aur Priya ki Maa bhi hairan ho gaye the ye baat sun kar.
Priya's Dad:- Sahi suna tumne...Bhulo mat ye gaanw hai...Yaha izzat aur maan maryada hi sab kuch hota hai.
Agar Priya ki shaadi tut jaayega tab kaun uska haath thaamega...Aur humaara izzat ka kya hoga? Agar tum ye shaadi rukwaana chaahte ho to tumhe ye shaadi karna hi hoga.
Priya ki Papa ko apne izzat, maan maryada ka koi parwah nahi tha...Tabhi se wo soch rahe the ki Sameer agar itni jaldi 10 lakh dene ko taiyaar ho gaya hai to iske paas bahut paisa hoga...Agar Priya ki shaadi Sameer se ho jaayega to unhe paise ki koi chinta nahi hoga baad me aur sukoon se baaki ki jindagi bita paayenge sharab me.
Priya ki Papa ne to apni baat Sameer ko keh diya lekin Sameer iss baat se bahut gusaa ho gaya aur gusse me kaha.
Sameer:- Iss se mujhe koi parwah nahi...Aapko 10 lakh de raha hu isse jyada kuch nahi...Aur aapka kya izzat hai hi kya gaanw me? Koi aapka izzat karta hai? Aap iss gaanw me sabse badnaam sharabi ke roop me jaane jaate hai.
Priya's Dad:- To fir kaun thaamega Priya ka haath...Kya usse jindagi bhar kunwari rehna padega...Agar tum ye shaadi nahi karoge to mai ye shaadi nahi rukwaunga.
Priya ki Papa ki baat se aisa lag raha tha ki wo apne faisle se picche nahi hatenge.

Sameer:- Karan...Priya usse pyaar karti hai aur Karan bhi usse...Aapko Priya ki shaadi ki chinta karne ki jarurat nahi hai...Karan kar lega shaadi Priya se.
Sameer ne behad gusse me kaha.
Priya ki Papa ko ek pal to jhatka laga Sameer ki baat sun kar...Unhe laga ki unka ye sapna adhura reh jaayega...Lekin agle hi pal wo jidd me add gaye.
Priya's Dad:- Nahi...Agar tum ye shaadi rukwaana chaahte ho to tumhe hi ye shaadi karna hoga...Gaanw waalo ke saamne aur beizzat nahi hona chahta.
Agar wo Karan usse sach me pyar karta to wo tumhaare jagah hota...Khair maine apna faisla suna diya hai...Aage tumhaara marzi.
Priya ki Papa ne pehle hi dekh liya tha Sameer kitna utawla ho raha hai ye shaadi rukwaane ke liye...Unhe pata tha ki Sameer ye shadi rukwane ke liye kuch bhi kar sakta hai...Issi liye wo kuch pal aur intejaar karna chahte the Sameer ko apne baat manwane ke liye.
Sameer:- To aap nahi maanne waale?

Priya's Dad:- Maine apna faisla pehle hi suna diya hai.
Abb Sameer aur bardasht nahi kar paaya aur gusse me Priya ki Papa ki taraf badhne laga.
Divya ko samajh me aa gaya ki agar abhi Sameer ko nahi roka gaya to maamla aur bigad sakta hai.
Wo teji se Sameer aur Priya ki Papa ke bich me aa gayi aur Sameer ke paas pahunch jar Sameer ka haath pakad kar usse room se baahar le gayi.
Sameer ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai...Bas Divya ke piche jaane laga ye soch kar ki Divya akele me usse kya bataane wali hai.
Lekin usse kya pata tha ki jo Divya kehne wali hai aur usse jo karwane wali hai uss se uski ki life me ek bahut bada tufaan aane wala hai.