• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
ab rajesh aur mahesh se meeting karke dekho kya samajh pata hai sameer
aaj ke aur updates ka intzar hai
ye to solution nikalne ki bajay unta rajesh ke hi gale aafat pad gayi
aur idhar shruti kya jawab degi ab

dekhte hain
Thanks Kamdev bhai for your support and reviews...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Awesome updates champ Bhai,
Shruti ne apni taango par khud hi kulhari maar liya hai,
priya se badla lene ke plan ke kaaran vo khud hi Sameer se dur hoti jaa rahi hai,
Thanks Aman bhai for your support and review...Isse kehte hai khud ki hi pair par kulhaari maarna :D...Keep supporting bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 68

In Park


Sameer ne Mahesh ko thoda side karke Rajesh ki taraf aage badha...Wo Rajesh ke saamne pahuncha hi tha ki Rajesh ne achanak se uske gaal me ek jordaar thappad maar diya.

Sameer ko Rajesh ki thappad ki ummeed bilkul bhi nahi tha...Usne gusse se apna chehra utha kar Rajesh ko dekha aur kuch kehne hi wala tha ki Rajesh ki gusse se bhari aawaj uske kaan me pada.

Rajesh:- Tu paagal ho gaya hai...Pata nahi kya kya bakwas soche jaa raha hai.

Tu aisa soch bhi kaise sakta hai mere baare me aur Divya ke baare me...Tujhe ye jaana hai na ki maine jhuth kyu bola?

Agar ye jhuth nahi bolta aur kadwi baatein nahi bolta to tu mujh par yakin hi nahi karta...Paagal ho gaya tha tu apna badla lene ke liye...Jab Divya ne mujhe saari baat bataaya tab mai ekdam shocked ho gaya tha...Mujhe to vishwash bhi nahi ho raha tha ki tu apne badle ke liye itna paagal ho jaayega.

Divya ki baato me sachaayi tha ye mai abhi bhi vishwash ke saath keh sakta hu...Aur mujhe ye bhi vishwash hai ki Priya itna galat kaam nahi kar sakti...Aur mera accident to bilkul nahi...Mera uske saath kabhi jhagada hua nahi hai...Teri vajah se usse baat nahi kiya hai wo alag baat hai.

Tujhse jyada Priya ke baare me jaanta hu...Tu jitna galat samajhta hai usse wo utni hai nahi...Tu to hamesha uske saath ladta jhagadta rehta hai to tujhe uska acchaayi ka kaise pata chalega...Tere dimaag me uske liye negative image hai ye baat mai acche se jaanta hu.

Kabhi tujhe uske baare me bataya nahi kyu ki kabhi jaruri samjha bhi nahi...Tum dono jitna dur rehte the utna hi accha tha...Lekin abb haalaat aur paristhiti badal chuka hai...Iss liye batana pad raha hai...Isse jyada aur kuch bataunga nahi...Kuch dino baad tujhe khud pata chal jaayega wo kaisi hai.

Jis din tera shaadi hua uss din Divya ki baat sun kar mujhe itna to pata chal chuka tha ki Priya ki shaadi bahut jald hone waala hai...Agar jaldi se kuch nahi kiya to baat bahut bigad sakti thi...Tujhe samjhaana bhi bahut mushkil ho gaya tha uss vakt mere liye kyuki tu apne badle ki aag me jal raha tha.

Tujhe kisi bhi haal me yakin dilaana tha...Aur mujhe wo jhuth bolna pada.

Maanta hu maine ye jhuth jarur bola hai ki jisne mera accident kiya hai wo jail me hai...Lekin ye baat jhuth nahi hai ki Priya aur Divya ki iss accident se koi lena nahi hai aur usne tujhe fasaya hai...Ye baat mai yakin ke saath keh sakta hu.

Rajesh ne behad gusse ke saath kaha...Rajesh ki baat khatam hote hi Sameer ka gussa bhi shaant ho gaya...Wo kuch bolne hi wala tha ki fir se Rajesh ne pehle waale andaaj me usse kaha.

Rajesh:- Sameer tu bahut ajeeb insaan bahi yaar...Tujhe Divya li baato se aur Priya ki Maa ki wo dard bhari baato se aur unka apni beti ke liye fikar dekh kar bhi yakin nahi hua ki Priya galat nahi hai...Priya ki baato se bhi yakin nahi jo raha hai tujhe ki Priya galat nahi hai...Sach me tujh me koi feelings hai hi nahi. :sigh:

Abhi bhi tu apni galti maanne ki vajah khud ki galti ko chupaane ki koshish kar raha hai.

Itna keh kar Rajesh chup ho gaya aur Sameer ko gusse se ghurne laga...

Rajesh ki ye baat sun kar Sameer jaakar bench par waapas baith gaya aur apne sar ko jhuka kar apni hatheliyo par rakh liya...

Rajesh:- Abb aise chup kyu ho gaya...Kuch der pehle tak to bahut badi badi baatein kar raha tha...

Sameer:- Galti ho gaya yaar fir se.

Sameer ki aawaj me udaasi aur aatmaglani tha.

Rajesh:- Tu kehta hai galti ho gaya...Lekin tujhe pata hai tu kitna bada galti kar raha hai...Kabhi soch samakh kar kuch kaam nahi karta hai tu...Hamesha jaldbaazi me karta hai apni marzi se...Aur issi vajah se aaj iss mushibat me fasa hua hai.

Rajesh ki aawaj me abhi bhi gussa tha.

Sameer:- Pata nahi yaar aajkal mai kya kar raha hu mujhe hi samajh me nahi aa raha hai...Picchle kuch months se bahut pareshaan ho gaya hu...Andar hi andar bahut ghut raha hu...Kya karta hu kuch samajh me nahi aata hai...Kabhi dimaag shaant nahi rehta hai...Har pal dimaag me kuch na kuch tension rehta hai.

Jitna khud ko tension free karne ki koshish karta hu utna hi ulajh jaata hu...Aur issi vajah se mujhse itna bada bhool ho gaya jo maine bina kuch samjhe jaldbaazi me kar diya...Aur aaj bhi tujh par itna gussa ho gaya tea jhuth bolne ki vajah se...Na chaahte hue bhi bahut gussa aata hai kabhi khud par to kabhi saamne waale par.

Pata nahi kab tak aise hi ghut kar jeena hoga mujhe.

Sameer behad pareshaan ho kar bola.

Rajesh to abhi bahit kuch kehme waala tha Sameer ko...Lekin Sameer ki haalat dekh kar usne baad me kehne ka socha aur Sameer ko samjhaate hue kaha...

Rajesh:- Yaar jitna ghut kar jiyega utna hi depressed hota jaayega...Abb to tune aur Priya ne ye decide bhi kar liya hai ki aage kya karna hai tum dono ko...To sab kuch laghbhag thik ho chuka hai...Tu abb aur tension mat le...Kuch dino ke liye bhul jaa ki tune koi galti kiya hai...Aur kisi kaam me vyast ho jaa...

Isse tujhe inn saari baato ka tanaav khatam ho jaayega...Jitna tension lega utna hi depressed hota jaayega...Aur baad me bahut pareshaani hoga tujhe...Iss liye abhi vakt me hi sambhal jaa...Aur jitna ho sake utna Shruti se dur rehna iss vakt...

Sameer:- Lekin Shruti sekyu dur rahu?

Sameer ne hairaani ke saath puccha...

Rajesh:- Abhi iss vakt Shruti ke baare me mai koi baat nahi karna chaahta hu...Tera tension aur badh jaayega...Fir bhi kuch baatein bata deta hu...

Maine dekha hai tu college ki aakhiri vakt se hi iss tarah ghut ghut kar jee raha hai...Ussi vakt se maine mehsoos liya hai ki tu pareshaan hai...

Tu maan ya na maan iski vajah Shruti hi hai...Iss liye keh raha hu ki tujhe sabse jyada tension Shruti ki vajah se hai...Iss liye kuch dino tak usse ignore kar...Aur dekhna tu bahut jald normal ho jaayega...

Rajesh ne apni baat keh diya...Uski aawaj me Shruti ke liye nafrat bhara tha...Wo Shruti ke baare me Sameer se aur baat karna chaahta tha khaaskar casette ke baare me...Lekin Sameer ka pareshaani dekh usne baad me baat karne ka faisla kiya...

Sameer:- Shruti...

Sameer isse jyada kuch bolta Rajesh ne uske baat bich me hi kaat kar kaha...


Rajesh:- Nahi abhi iss baare me aur koi baat nahi karenge...


Iske baad Sameer ne Mahesh aur Rajesh ke saath kuch der baat kiya kisi dusre topic par...Rajesh aur Mahesh ne puri koshish kiya Sameer ko uski pareshaani se dur karne ka...Unse baat karke Sameer ka mood bhi thoda halka ho gaya...

In Sameer's Home



Priya:- Abb bolti kyu nahi...Sameer se tune yahi kaha tha na ki maine aur Karan ne Rajesh ka accident kiya tha aur tune proof ke roop me wo casette diya Sameer ko...

Priya ne iss baar aur bhi gusse me kaha...

Shruti:- Ha kaha tha maine...

Shruti iss baar chup nahi rahi...Aur gusse mwe usne bhi jawaab diya...

Priya:- Aur wo kyu?

Priya ki aawaj me hairani ke saath gussa bhi tha...

Priya ki iss sawaal par Shruti kuch der tak chup rahi aur fir gusse me boli...

Shruti:- Kyu ki mukhe tujhse badla lena tha...Meri birthday party me tune mera jo insult kiya tha usseai abb tak nahi bhooli hu..ai hi jaanta hu kis tarah se tune mera majaak udaaya tha aur mujhe kitna bura laga hai...

Birthday Party me hi nahi baar baar tune mera majaak udaaya hai...Iss baat ko itni aasani se bhool nahi sakti...Itna hi nahi tu baar baar mere Sameer se ladti rehti thi...Aur gusse me hi sahi Sameer ka dhyaan baar baar teri taraf chala jaata tha...

Ye sab mujhse bardaast nahi ho raha tha...Issliye ek plan banaya aur Sameer ka gusse ka istemaal karke apna badla le liya maine...

Teri jindagi barbaad kar diya maine...Tera pyar Karan ko tujhse dur kar diya...Abb maja aayega teri ankho me ansu dekh kar, tujhe tadapta dekh kar...Bahut jald tujhe iss ghar se nikal dungi...Uske baad tera buraa haal dekh kar khusiya manaunu mai...

Itna keh kar Shruti hasne lagi...

Priya ko Shruti ki baato par bahut gussa aa raha tha...Ek baar fir Karan ki baat se usko bahut taklif pahuncha...Lekin wo Shruti ke saamne kamjor dikhna nahi chaaahti thi...

Priya:- Tune mujhe barbaad karne ka socha...Lekin iss badle ki aag ne mujhse jyada tujhe nukshaan pahuchaaya...

Priya ne ek gussa bhari mushkaan ke saath kaha to Shruti Priya ki baat par hairaan ho gayi...

Priya:- Accha hi hua jo mujhe nakli rishte ke baare me pata chal gaya...Karan mujhse saccha pyar nahi karta tha ye baat to pata chal gaya...Ha bahut bura lag raha hai uska mujhe iss haal me chhod kar jaana...Dil tut gaya hai uski ye harkat se...

Agar meri shaadi usse ho jaati to bhi wo kabhi bhi mujhe chhod sakta tha...Aise me mera aur buraa haal ho jaata...Karan ki assliyat pata chal gaya iss shaadi se...Jo baat kal pata chalta wo aaj pata chal gaya...Shaayad abhi bahut der nahi hua tha issi tarah khud ko sambhaal paa rahi hu...

Papa ki assliyat ke baare me bhi pata chal gaya...Sabhi nakli rishte ke baare me pata chal gaya...

Maa ka pyar aur Divya ka saath ke baare me bhi pata chal gaya...Unhone mera iss haal me bhi saath diya ye baat jaankar mere dil me unke liye izzat aur badh gaya...

Iss shaadi se mera 1 saal barbaad ho gaya...Lekin baat jyada bigda nahi hai...1 saal baad Sameer se divorce lekar kahi aur chali jaaungi aur apni jindagi ka fir se nayi suruwaat karungi...Aur bach kar rahungi aise jhutthe rishte se jo sirf matlabi ho...

Tune bhi apna nukshaan karwa liya hai apni badle ki vajah se....Abb 1 saal tak to bhul jaa ki Sameer tera hoga...Divorce ke liye 1 saal ka vakt to lagega hi aur tab tak ke liye Sameer tera nahi hoga...Karte rehna 1 saal tak Sameer ka intejaar...

Priya ne Shruti ka majaak udaate hue kaha...

Shruti:- Tune accha nahi kiya Sameer ko fasa kar...Tujhe to mai nahi chhodungi...Pehle ye bata ki Sameer ne tujhse shaadi kyu kiya...

Priya:- Mere paas faaltu time nahi hai tujh jaise faaltu ladki ko ye sab bataane ki...Tera nafrat dekhkar bhi bahut ajeeb lagta hai...Tera jo nafrat hai mere liye usne tujh se tera pyar ko cheen liya...Aage mujhe aur taklif pahunchaane ki koshish kiya ya fir mere khilaaf koi saajish kiya to hamesha ke liye Sameer ko tujhse cheen lungi...

Priya ne firse Shruti ka majaak udaate hue kaha...

Shruti:- Kya...Kya karegi tu...Dhamki de rahi hai tu mujhe...Kya karegi tu? Bas tu yahi keh sakti hai Sameer se ki maine Rajesh ka accident karwaya aur Sameer ko kisi vajah se tujhse shaadi karna pada...

Lekin jab Sameer puchega to mai keh dungi ki maine aisa kuch nahi kiya...Aur mai jaanti hu Sameer meri baato ka bharosa karega...

Shruti ne darte darte kaha apni baatein...Usse dar lag raha tha ki kahi sach me Priya Sameer se ye saari batein na bata de...

Priya:- Nahi mai ye sab nahi kahungi Sameer se...Aur kahungi to bhi wo bishwaas nahi karega jaanti hu...

Mai to tujhse ye keh rahi thi ki mujhe tujh jaise faaltu ladkiyo se koi matlab nahi hai....Mai bas itna chaahti hu ki jab tak mai yaha rehti hu tu koi saajish nahi karegi mere khilaaf...Mujhe acche se rehne de jab tak mai yaha rehti hu...Uske baad tum dino ki lofe se chali jaaungi aur tum dono se koi matlab nahi rahega mera...

Agar mujhe laga ki tu mere khilaf koi saajish kar rahi hai to Sameer ko divorce hi nahi dungi...Sameer ne kaha tha mujhse ki agar mai uske saath hi rehna chaahu to reh sakti hu...Wo kuch vakt jarur lega adjust karne ke liye aur adjust kar lega...Uski vajah se hi mera ye haal hai...Ye baat usse pata hai...

Aur aise me agar maine kaha ki muuhe divorce nahi lena hai to wo kuch nahi kahega...Mera baat maanega...Abb faisla tere haath me hai...Tera chhota sa bhul Sameer ko tujhse cheen sakta hai...

Priya ne Shruti ki taraf gusse se dekhte hue ek muskaan ke saath kaha...

Shruti ne jaise ye suna uska dar aur bhi badh gaya...Usse Priya ki baato me sachaayi dikh rahi thi...Dar ke maare wo kuch bol nahi paa rahi thi...Priya ne jaise hi Shruti ke chehre me dar dikha uski chehre me muskaan aa gaya...

Priya:- Tera kaam ho gaya...Abb tu jaa yaha se...Tujhe bas ye warning dena tha iss liye bulaaya...

Shruti:- Ye Sameer ka room hai aur tu mujhe iss room se aise jaane ke liye kahegi...

Priya:- Ye Sameer ka nahi mera room hai agle 1 saal ke liye...Sameer alag room me shift ho vaya hai...

Jaate jaate ek baat sun le...Sameer tera tha...Lekin teri bewkoofi ki vajah se ek din Sameer tujhse cheen jaayega...Agar kisi din Sameer ko pata chala ki Rajesh ka accident tune karwaya hai ya fir tu uske peeth piche koi saajish kar rahi hai to wo apne aap hi tujhse dur ho jaayega...Fir pachtaate rehna jindagi bhar...

Tujhe samjhaane se koi faaidaa to hoga nahi...Maine apni baat keh diya hai...Abb maana ya nahi maana tere haath me hai...

Priya ne apni baat khatam karke mood kar bed ki taraf chali gayi...

Shruti bhi Priya ko gusse aur dar ke saath dekhti hui chali gayi....

In Evening


Shaam ke karib 6:00pm me Sameer apne ghar aa gaya...Wo apne room ki gate me pahuncha to gate me khadi Priya ko dekh hairaan ho gaya...Wo hairaani se Priya ko dekhta raha...

Priya:- Tumse ek bat pucchna tha...Tumne kaha tha ki Rajesh Divya se pyar karta hai?

Jaise hi Sameer ne Priya ki baat suna usko ek jhatka laga aur saath me dar bhi...Usse pata hi nahi chala ki usne Priya ko apni bhool ke baare me batate hue Priya ko Rajesh ki pyar ke baare me bhi keh diya tha...Rajesh ne usko iss pyar ke baare me kisi ko bhi kehne se mana kiya tha...Lekin Sameer ne anjaane me Priya ko sab kuch bata diya tha jitna wo Rajesh ke pyar ke baare me jaanta tha...

Abb Sameer ko dar lag raha tha ki kahi Rajesh ka pyar uski vajah se na tut jaaye.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 69


Sameer kuch der tak issi soch me vyast raha...Uska koi jawaab nahi aane se Priya ne fir se pucha.

Priya:- Kuch puch rahi hu tumse?

Priya ki iss sawal se Sameer apni soch se baahar nikla...Usse pata tha ki abb jhuth bolne se koi faaidaa nahi hai...Pehle hi usne sab kuch bata diya hai.

Sameer:- Ha karta hai.

Kuch der chup rehne ke baad Priya boli.

Priya:- Kab se?

Sameer:- Wo to pata nahi hai...Lekin usne ye baat khul kar mujhe uss din bataya jab uska accident hua tha.

Iske baad Priya kuch nahi boli...Kuch der tak intejaar karne ke baad bhi jab wo nahi boli tab Sameer ne kaha.

Sameer:- Please ye baat Divya ko mat bataana...Rajesh ne mujhe ye baat kisi ko nahi bataane ke liye kaha tha...Lekin galti se tumhe bata diya.

Abb dar lag raha hai ki kahi meri vajah se kahi kuch gadbad na ho jaaye.

Sameer ki baato me request aur dar dono tha.

Priya:- Fikr mat karo...Mai Divya ko iss baare me kuch nahi kahungi...Rajesh tum jaisa bura ladka nahi hai...Itna to mujhe yakin hai...Aur ye unn dono ka maamla hai...Mai koi dakhal nahi dungi.

Waise bhi mujhe tumhaari tarah rishto ko todna nahi aata aur kisi ka pyar ko todna to bilkul bhi nahi aata.

Priya ki iss baat ne Sameer ki dil ko bahut chot pahunchaya...Lekin iska jawaab usne muskuraa kar diya...Lekin muskuraahat me bhi wo apna dard chupa nahi paaya.

Kuch der chup rehne ke baad usne kaha.

Sameer:- Ha sahi kaha tumne...Rajesh mujh jaisa bura ladka nahi hai...Ussi ne mujhe sambhala hai...Warna mai aur buraa ban gaya hota.

Sameer ki iss baat par Priya ne kuch nahi kaha.

Kuch der ki khaamoshi ko firse Sameer ne hi toda.

Sameer:- Tumhe kya lagta hai Divya bhi Rajesh se pyar karti hai? Kabhi usne tumhe iss baare me kuch bataya?

Priya:- Nahi. Usne mujhe aisa kuch nahi bataya hai.

Priya itna keh kar apne room me chali gayi...Sameer bhi apne naye room me jaakar rest karne laga.

Dinner time


Raat me sabhi ne ek saath dinner kiya...Dinner ke time kisine kuch nahi kaha...Sabhi shaanti se dinner kar rahe the.

Sameer aaj bahut dhire khaa raha tha...Khaate vakt bhi uske dimaag me bahut saari baatein aa raha tha...Kuch der me dinner khatam karke Mr. Sharma aur Priya apne apne room me chale gaye.

Sameer ne bhi kuch der baad apna khana khatam karke uthne hi waala tha ki Mrs. Sharma ne usse pucha.

Mrs. Sharma:- Kya hua Sameer...Bahut pareshaan dikh raha hai?

Mrs. Sharma ne aaj pehli baar shaadi ke bad Sameer se khul kar kuch pucha tha.

Sameer:- Nahi Maa...Aisi koi baat nahi hai.

Mrs. Sharma:- Abb apni Maa se bhi tu baat chupaayega...Tere chehre me pareshaani saaf dilhaai de raha hai...Aisa lag raha hai bahut ghut ghut kar jee raha hai tu kuch dino se.

Mrs. Sharma ki baato me Sameer ke liye fikar tha...Lekin Sameer unki iss baat ka koi jawaab nahi de paaya...Wo chup hi raha.

Mrs. Sharma:- Accha thik hai tu bataana nahi chahta hai to mat bataa...Abb mai chalti hu...Bas iss baat ka dukh hai ki apne bete ko aise ghut ghut kar jeeta dekh rahi hu aur mai kuch nahi kar paa rahi hu.

Mrs Sharma ne niraash hokar kaha aur waha se utth kar apne room me jaane lagi.

Sameer abb bardast nahi kar paaya aur dard bhari aawaj me usne kaha.

Sameer:- Maa.

Sameer ki aawaj me itna dard tha ki Mrs. Sharma bhi ghabra kar picche mudd gayi...Jab unhone Sameer ko dekha tab Sameer ka chehra dekh kar hairaan reh gayi...Aaj unhone bahut dino baad Sameer ko rota hua dekha tha...Sameer ki aankh aansuon se bhar gaya tha aur kuch boond aansu uske gaalo me gir gaya tha.

Mrs. Sharma turant Sameer ke paas utth kar chali gayi...Ek chair utha kar wo Sameer ke paas hi baith gayi aur Sameer ka sar ko apne godd me rakh kar uske sar par haath ferte hue boli.

Mrs. Sharma:- Aise mat roo Sameer...Tujhe rota dekh kar aur pareahaan dekh kar mujhe bahut buraa lag raha hai...Nahi dekh paa rahi hu tujhe iss haal me.

Kya pareshaani hai tujhe mujhe bata...Mai sab thik kar dungi.

Sameer:- Mai kitna bura hu na Maa...Kisi ke saath accha nahi kiya...Aap logo se bina bataye shaadi kar liya wo bhi kisi ladki se uske marzi ki khilaaf.

Aap logo ka diya hua sanskar ka maan nahi rakh paaya...Bahut galat kaam kiya hai maine...

Papa ko kitna garv tha mujh par...Hamesha mera saath dete the aur hamesha vishwas tha unhe mujh par ki mai kabhi galat kaam nahi kar sakta...Kabhi kuch bhi karne se roka toka nahi unhone....Sabhi rishtedaaro ke saamne shaan se sar uthaa kar kehte the ki mai unka beta hu...Aur meri har acchi baatein ke baare me sabhi ko garv ke saath kehte the...Mujhe bhi bahut accha lagta tha ye sab...

Lekin mera ek bhool ne sab kuch khatam kar diya...Unka mujh par vishwas aur garv sab tut gaya...Unhone jyada kuch kaha nahi hai...Lekin mai jaanta hu wo mujhse kitne naraaj hai.

Mujhse itna pyar karne wali Shruti ko bhi mujhe na chaahte hue bhi dhokha dena pada...Kitna pyar karti thi wo mujhse aur shaadi ka kitna bada sapna sajaya tha...Lekin meri ek galti ne uska dil tod diya...Wo to abhi bhi mujhse pyar karti hai...Lekin maine uske saath itna galat kar diya aur abb kuch kar bhi nahi paa raha...

Meri galti ki vajah se aap dono ko Shruti ke parents aur Principal sir se kitna kuch sunna pada...Sab meri vajah se hua hai...

Meri galti ki vajah se Priya ki najaro me mujhe jhukna pada aur abb wo mujhe aur bhi jyada nafrat karti hai...Mai uska aur uski Maa ka gunehgaar hu.

Meri ek galti ki vajah se bahut kuch tabaah ho gaya...Sabhi mujhse naraaj hai..Papa aur Priya mera shakal dekhna nahi chaahte aur aap bhi baat nahi karna chahti hai.


Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Uske aawaj me bahut dard tha...Usne rote hue apna saara galti ke baare me keh diya...Mrs. Sharma ka bahut bura haal ho raha tha Sameer ko aise rota bha aur pachtate dekh kar...Unki aankho se bhi aansu ke kuch boond gaalo par gir gaya...

Unhone Sameer ko samjhaate hue kaha...

Mrs. Sharma:- Chup ho jaa Sameer...Aise rote nahi.

Galti to tune kiya hai...Wo bhi bahut bada galti...Lekin tune apna galti ka ehsas hone ke baad uss haalat me Priya se shaadi kiya aur apni badi galti hone se roka ye bahut accha kiya tune...Teri aankho ki aansu aur paschataap bata raha hai ki tujhe kitna afsos hai apni galti par.

Wo insaan mahan nahi hai jo kabhi galti na kare...Balki wo insaan mahan hota hai jo apni galti se kuch sikhte hai aur fir dobara wo galti nahi dohraate hai...

Abb jo ho gaya wo ho gaya...Abb ham isse badal to nahi sakte hai...Lekin itna jarur kar sakte hai ki aage aisi galti dobara na kare...

Tere Papa naraaj to hai tujhse...Aur wo apni jagah bilkul bhi galat nahi hai...Lekin bahut jald unka naraajgi khatam ho jaayega tujhse...Bas abb aisi koi galti mat karna ki fir wo naraaj ho jaaye...

Aur beta mai Priya ki haalat samajh sakti hu...Teri iss galti ki saza Priya ko bhugatna pad raha hai...Uska koi galti bhi nahi tha...Aise me uska naarajgi jaayaj hai...Agar wo gusse me kuch jyada bol bhi degi to sun lena...Ulta jawaab mat dena...


Itna keh kar Mrs. Sharma chup ho gayi...Sameer ko unki baato se bahut sukoon mila...Usse pata chal gaya ki uske dosto ke alawa uske Maa bhi uske saath hai...Jo uska dard samajhti hai aur unka kaha hua har baat Sameer ko sahi laga...Lekin usne kuch nahi kaha.

Mrs. Sharma:- Aur tujhe ye kisne kaha ki mai tujhse baat karna nahi chaahti hu...Mai soch rahi thi kuch vakt deti hu taaki tu iss pareshaani se nikal jaaye aur khud ko sambhaal le.

Lekin aisa nahi hua...Khud ko sambhalne ki jagah tu aur pareshaan hone laga iss liye tujhse aaj baat karna pada.

Sameer:- Maa kya karu...Haalat hi aise ho gaye hai...Jitna koshish karta hu koi tension nahi lene ka utna hi tension badhta jaa raha hai...Ek pal ke liye bhi chhain nahi mil raha hai...Priya ka gunehgaar maan raha hu mai khudko...Issi vajah se har pal ghut ghut kar jee raha hu...Priya ki kadwi baatein mujhe khudki najaro me aur sharminda kar raha hai.

Jab bhi aap dono ke baare me aur Shruti ke baare me sochta hu to aur pareshaan ho jaata hu...Pata nahi kab tak aise jeena hoga mujhe aur kab khud ki najaro me utth paaunga.

Kabhi galat kaam karne ka nahi socha...Lekin khud ki nafrat aur galatfehmi ne aisa karne par majboor kar diya...

Mrs. Sharma:- Tera ye galti vakt ke saath hi thik hoga...Tu kuch bhi nahi kar sakta sudhaarne ke liye...Bas vakt ke saath hi sab kuch thik hoga...Tune galti hi aisa kiya hai ki ye sab baato ka saamna ro karna hi padega.

Lekin tujhe khud ko sambhaalna hoga pehle aur dil aur dimaag se majboot banna hoga jaisa pehle tu tha...Tabhi tu inn sabhi cheejo ka saamna kar sakta hai.

Koi tujh par yakin kare ya na kare mai hamesha tere saath hu...Aur mujhe yakin hai ki tu khud ko sambhaal lega aur ek din sab kuch thik ho jaayega.

Mrs. Sharma ki baato ne Sameer ko hausla diya khud ko sambhaalne ka...Mrs. Sharma ki iss mental aur emotional support se Sameer ko bahut sukoon mila...Usne bhi wohi karne ka socha jo uske Maa ne usse kaha tha aur sab kuch vakt ke haath me chhod diya.

Kuch der aur aise baat karne ke baad dono apne room me chale gaye.

Sameer aur Mrs. Sharma dono ko aaj bahut raahat mila tha...Sameer iss vajah se khus tha ki uska Maa ne usko samjha aur ye bhi samjhaya ki usse aage kya karna hai...Mrs. Sharma iss vajah se khus thi ki unhone Sameer ko uski pareshaani se baahar nikaal diya...Abb unhe yakin tha ki Sameer pehle jaisa ghut ghut kar nahi jiyega.

Kuch der apne room me bitaane ke baad Sameer chhat (roof) me chala gaya kitchen ki refrigerator se ek coke ka bottle aur sise ka glass lekar.

Chhat me wo ek chair me baith kar thandi hawa me fresh ho raha tha...Wo iss vakt kuch soch nahi raha tha aur naahi kuch sochna chaahta tha...Wo jitna ho sake apne dimaag ko shaant rakhne ki koshish kar raha tha...Aise hi kuch der baithne ke baad usne coke ki bottle se glass bhara aur bottle ko niche rakh diya.

Ussi vakt Priya ne bhi chhat me apna kadam rakha aur saamne ka maahaul dekhkar laga ki Sameer fir se daru pee raha hai...Ye dekhte hi uska gussa ek dam badh gaya aur wo gusse me Sameer ki taraf aage badh gayi.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 70


Sameer ko laga ki piche se koi aa raha hai...Jab usne palat ka r dekha to Priya uske saamne aa gayi thi...Sameer ne ek najar Priya ki chehre ko dekha...Priya ki aankho me usse gussa dikh raha tha...Sameer ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki abb wo itna gussa kyu hai.

Priya:- Tum fir daru pee rahe ho?

Sameer Priya ki gusse ki vajah soch hi raha tha ki Priya ne gusse se Sameer se pucha.

Sameer:- Ye koi daru nahi hai...Coke hai.

Sameer ne bttle niche se utha kar dikhaya Priya ko...Bottle dikhaane ke baad Priya ka gussa shaant ho gaya lekin wo kuch nahi boli.

Sameer:- Mai koi bewda nahi hu jo har vakt sharab aur nasha me duba rahe...Jindagi me ek baar hi piya hai maine daru...Uss din tension bhulaane ke liye piya tha lekin tumne to bewda hi samajh liya mujhe.

Sameer ko Priya par gussa to bahut aa raha tha lekin usne apne gusse ko dabaa kar bola.

Priya:- To bhul gaye tum tension...Kuch nahi hota hai daru pine se...Ghar ki barbaadi ka sabse bada vajah yahi hai...Sharab ki aadat se hi ghar ki saari khusiyan khatam ho jaata hai aur baaki ke pariwar waalo ko saara mushibat jhelna pata hai.

Priya ki aawaj me ek dard tha jisse sun kar Sameer ko pata chal gaya ki Priya apni Papa ki sharab ki aadat ki vajah se dukhi hai.

Sameer:- Samajh sakta hu Priya tumhaari baat...Yakin karo Priya aaj se ek pehle bas ek baar piya tha aur aaj ke baad kabhi haath bhi nahi lagaunga.

Sameer ne Priya ki mood badalne ke liye kaha.

Priya:- Tum kisi ke baat samajhte bhi ho...Aur tumhaare andar koi feelings bhi hai...Ye baat aaj hi pata chala mujhe.

Priya ne gusse me Sameer ka majaak udaate hue kaha...Ek baar fir Priya ki baat ne Sameer ke dil ko bahut chot pahunchaya...Lekin Sameer iss baar bhi khaamos raha...Priya ko kuch jawaab nahi diya.

Priya:- Mujhe yakin karne ua nahi karne se kya hota hai...Tum chaahe jitna bhi piyo ya mat piyo mujhe koi fark nahi padta.

Bas tumhaare parents ke liye keh rahi thi...Unhe tum se kayi umeedein honge...Kuch soch rakha hoga unhone ki unka beta ye banega wo banega...Hamare liye kuch karega...Hamara sar uncha karega...

Tumne to pehle hi unhe itna bada jhatka de diya hai...Abb to kuch karo unke liye...Iss liye keh rahi thi jitna ho sake utna dur raho daru se...

Mera pariwaar to bahut pehle hi barbaad ho gaya tha mere Papa ki peene ki aadat se...Mai ye nahi chaahti ki tumhaari vajah se tumhare pariwar barbaad ho.

Priya ki aawaj me firse dard tha...Sameer ne iss baar bas uska dard hi mehsoos kiya...Kuch bola nahi.

Unn dono ki khaamoshi ko Sameer ke mobile me aa rahe phone call ne toda.

Sameer ne dekha Rajesh ka phone tha...Sameer ne call uthaya aur chala gaya chhat ke dusre kone me baat karne.

Sameer:- Ha bol.

Rajesh:- Kaisa hai abb...Abb kuch tension to nahi hai na tujhe...Ek jaroori baat karna tha.

Sameer:- Nahi hai abb koi tension...Chal bata kya kehna hai tujhe.

Rajesh:- Shruti ke baare me baat karna hai.

Shruti ka naam sun kar Sameer hairaan ho gaya ki Rajesh aakhir usse kehna kya chaahta hai.

Rajesh:- Yaad hai tune kaha tha ki mere accident ke baad Shruti ne hospital me aakar tujhe kaha tha ki Priya aur Karan ne mera accident kiya hai aur kisine usse casette diya hai.

Sameer:- Ha...Shruti ne yahi kaha tha lekin baat kya hai.

Rajesh:- Baat ye hai ki Shruti ko kisne wo casette diya tha.

Abb to mujhe lag raha hai ki mera accident me kisi ka saajish tha...Pehla shak mera Shruti par hai.

Rajesh ki aawaj me thoda gussa tha to Sameer ki chehre me hairaani.

Sameer:- Tu Shruti par kaise shak kar sakta hai yaar...Usne to wohi kaha jo usko uss casette dene waale ne kaha tha. Tera accident karke Shruti ko kya mikega...

Rajesh:- To fir Shruti ko pucch...Kisne diya tha wo casette...Chhodunga nahi jisne mera accident kiya hai aur tera aur Priya ka aisa haal bana diya.

Mujhe to Shruti par hi shak ho raha hai...Ya to usne mera accident karwaya hai ya fir mera accident ka faaidaa uthaa kar tujhe Priya aur Karan ke khilaaf bhadkaaya hai...Agar wo nirdosh hai to Shruti ko bol jisne usse casette diya hai usko mere saamne laane ke liye...

Agar kisi ne mera accident saajish ke roop me kiya hai to bilkul chhodunga nahi usse...Chaahe wo Shruti ho ya koi aur...Mera life ko majaak samjhaa hai kya.

Rajesh ne behad gusse me kaha...Usse shak tha ki Shruti ne Priya ke khilaaf saajish kiya hai...Ye baat wo Sameer se directly keh to nahi sakta tha aur usse pura bharosha bhi nahi tha iss baat par bas shak hi tha...Aise me usse yahi idea sahi laga aur usne Sameer ko bata diya.

Sameer:- Bahut jald baat karunga Shruti se 4 ya 5 din me...Agar abhi usse ye pucha to usko bura lagega ki mai uss par shak kar raha hu...

4 ya 5 din ruk uske baad mai uss casette waale ko nahi chhodunga...Usne do galti kiya hai...Ek tujhe maarne ki koshish aur dusra Priya aur Karan ke khilaaf saajish...Abb to mujhe bhi yakin hai ki Priya ka iss khel me koi haath nahi hai.

Rajesh:- Ok Sameer thik hai...Agar Shruti iss sajish ke piche to bilkul accha nahi hoga uske liye.

Sameer:- Accha thik hai.

Itna keh kar Sameer ne phone rakh diya...Aur gusse me sochne laga...

Sameer:- (In his mind) Pata nahi ye dono Shruti aur Rajesh kyu ek dusre se iss tarah bartaaw karte rehte hai...Hamesha ek dusre par shak karte rehte hai...Bahut baar samjhaaya dono ko lekin fir bhi koi fark nahi padta inhe...Inn dono ki ladaai me mai ghut ta jaa raha hu.

Itna sochne ke baad Sameer ne Priya ki taraf dekha jo kisi gehre soch me dubi hui thi...Sameer idhar udhar kuch der tehalne laga...Kareeb 10 minute baad usne fir Priya ko dekha...Priya abhi bhi gehri soch me dubi hui thi...Bilkul 10 minute pehle ki tarah.

Sameer Priya ke paas gaya aur hairaani se pucha.

Sameer:- Kya soch rahi ho?

Sameer ki baat se Priya wapas hosh me aayi lekin usne nahi suna Sameer ne kya pucha...Usne Sameer ko dekha aur aankhi se hi pucha usne kya kaha tha.

Sameer:- Kya soch rahi ho? Bahut der se gehri soch me dubi hui ho?

Priya:- Aane waale kal ke baare me...Kaise divorce tak ka time bitega...Bahut vakt hai divorce ke liye.

Abb apne room me hamesha kaid to nahi reh sakti...Baahar nikalte hi tumhaara manhoos chehre ka darshan hi hi jaayega...Issi liye soch rahi hu ki kaise bitega divorce tak ka ye mushkil vakt.

Priya ki iss baat ne bhi Sameer ko firse chot pahunchaaya...Hamesha ki tarah is baar bhi wo chup raha lekin khud par usse bahut gussa aaya.

Sameer:- (In his mind) Galti mera hi hai...Jo isse kuch puch liya...Shaant rehna hi mere liye accha hai...Aage bolne se pehle jaroor 10 baar sochunga.

Kuch der ki khaamoshi ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Itna bhi naalayak nahi hu mai...Study complete ho gaya hai...Ek job karne ka soch raha hu...Din bhar mere manhoos shakal nahi dekhna padega...Raat me dinner ke time hi dekhna padega...Usse jyada pareshan nahi karunga.

Itna keh kar Sameer ne apna chair aur coke ke bottle utha kar niche le jaane laga.

Priya bas Sameer ko jaate dekhti rahi...Wo Sameer me aaya badlaaw ko dekh rahi thi...Jo Sameer uski har choti choti baato par jawab deta tha aaj uska itna majaak udaane ke baad bhi chup hai...Lekin uske dhyan ko uske mobile me aa rahe phone call ne toda.

Mobile screen me dekha to Divya ka phone tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Friends aaj bhi 3 updates post kiya hai...Lekin time jyada nahi tha iss vajah se edit nahi kar paaya...Kahi kahi spelling mistakes bhi mil sakta hai...Aaj manage kar lijiye...Free time me kabhi edit kar dunga.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,786
37,593
219
bahut khoob........... ab sachchai ki partein khulne ka samay aa gaya hai...............
sameer shant hota ja raha hai........thande dimag se sochega to bahut kuchh samajh mein ayega
rajesh apne accident ke doshi ko dhoondh raha hai
mrs sharma sameer ko hi nahi poore ghar ke mahol ko shant karna chahti hain....pahal unhone sameer se ki.... agla number shayad priya ka ho
shruti ghabrahat aur gusse mein galtiyan kar sakti hai.... aur uski har galti uske gunah se parda uthayegi

dekhte hain abhi kitna waqt lagega
 
Last edited:

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,786
37,593
219
intzar hai champ bhai
 
Top