• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
intzar hai champ bhai
Kal post karunga bhai...Bahut thak gaya hun aaj...Study pressure bhi bahut hai...Abhi tak padh hi raha tha aur kal subah jald uthna bhi hai...Kal 4 updates post karunga shaam me.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,786
37,589
219
Kal post karunga bhai...Bahut thak gaya hun aaj...Study pressure bhi bahut hai...Abhi tak padh hi raha tha aur kal subah jald uthna bhi hai...Kal 4 updates post karunga shaam me.
ok bhai.... koi baat nahi.....rest bhi jaruri hai.........
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
bahut khoob........... ab sachchai ki partein khulne ka samay aa gaya hai...............
sameer shant hota ja raha hai........thande dimag se sochega to bahut kuchh samajh mein ayega
rajesh apne accident ke doshi ko dhoondh raha hai
mrs sharma sameer ko hi nahi poore ghar ke mahol ko shant karna chahti hain....pahal unhone sameer se ki.... agla number shayad priya ka ho
shruti ghabrahat aur gusse mein galtiyan kar sakti hai.... aur uski har galti uske gunah se parda uthayegi

dekhte hain abhi kitna waqt lagega
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Amazing updates champ bhai
Thanks Aman bhai for your support and comment...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 71


Divya:- Kaisi hai Priya?

Phone uthaate hi Divya ne Priya se pucha.

Priya:- Thik hi hu abhi tak.

Priya ki aawaj me koi bhaaw nahi tha...Divya ko laga ye accha mauka hai usse baat karne ka...Aaj Priya Divya se gussa nahi thi.

Divya:- Waha par maahaul kaisa hai...Sameer ke parents ne kuch kaha tujhse? Sameer kaisa behave kar raha hai tere saath? Sab kuch thik to hai na waha?

Divya ne fikar ke saath pucha.

Priya:- Koi taklif nahi hai rehne me...Sameer ke parents ne mujhe to kuch nahi kaha...Lekin Sameer se bahut naraaj hai.

Sameer ne mujhe bata diya kis vajah se usse ye shaadi karna pada...Usse pata chal gaya hai usne kitna bada bhool kiya hai...Khud se sharminda hai wo...Bahut baar maafi bhi maang liya mujhse lekin mai usse maaf nahi karungi...Usne maafi laayak galti nahi kiya hai.

Priya ne gusse me jawaab diya.

Divya:- Wo itna bhi bura nahi hai yaar...Jitna tu samajh rahi hai...Usse apna bhool pata chal gaya hai aur sharminda bhi hai to tujhe maaf kar dena chaahiye usse.

Divya ne Priya ko samjhaane ki koshish kiya.

Priya:- Jaanti hu wo dil ka bura ladka nahi hai...Lekin fir bhi mai usse maaf nahi kar paaungi...Mai usse iss galti to kya kisi galti ke liye bhi maaf nahi karungi.

Divya:- Accha thik hai...Tera life hai jo marzi decision le...Abb aage kya karegi tu? Mera matlab aage kya socha hai tune?

Priya:- Sameer se divorce ke liye kaha aur wo bhi maan gaya...Bas kisi tarah divorce tak ka vakt nikal jaaye uske baad nayi jindagi ka suruwaat karungi.

Divya:- Divorce...Itna jaldi ye faisla le liya tune.

Divya Priya ki iss divorce wali baat se shocked ho gayi thi.

Priya:- Haan...Aur bahut sahi decision hai...Iss shaadi se koi khus nahi hai to kya matlab iss shaadi ka...Ham dono ka alag ho jaana hi accha rahega...Issi me sabhi ka khushi hai.

Divya:- Mai bhi yahi chaahti hu ki tu khus rahe...Mujhe to Karan par bahut gussa aa raha hai...Kaisa pyar hai uska...Jo tujhe aisi haalat me chhod kar kisi aur se shaadi kar liya...Mujhe to uss par pehle se hi shak tha ki wo tujhse saccha pyar nahi karta hai.

Karan ka naam sun kar Priya ko bahut bura laga...Usko ek dard uske dil me mehsoos hua aur aankho ke saamne Karan ka chehra ghum gaya...Ek baar fir Karan ka bewafayi se Priya ki aankho me aansu aa gaya.

Priya:- Please Karan ke baare me baat mat kar...Usse yaad karke sirf dard hi milega...Bahut galat insaan se pyar kar liya yaar maine...Kitna ghatiya soch aur pyar hai uska.

Itna keh kar Priya chup ho gayi aur apni aankho ke aansu poncha...Divya ko laga usne galat baat galat vakt me keh diya.

Divya:- Sorry yaar...Mujhe nahi pata tha uska naam lete hi tujhe itna bura lagega.

Priya:- Maafi mat maang yaar tu...Tune koi galti nahi kiya hai...Mera kismat hi aisa hai to kya kar sakti hu...Abhi abhi pyar tuta hai...Bahut bura lagega...Khud ko sambhalna bhi kaafi mushkil hai...Lekin vakt ke saath sab kuch thik ho jaayega.

Waise bhi acha hi hua ki galat insaan ka niyat vakt rehte pata chal gaya.

Priya ne khud ko sambhaal kar kaha...Divya ne iss baat ka koi jawaab nahi diya.

Kuch der chup rehne ke baad fir Priya ne kaha.

Priya:- Sorry Divya...Baato baato me bhul hi gayi tujhe thanks bolna...Thanks a lot Divya...Jo tune mere liye itna kuch kiya...Tune aur Maa ne mere liye jo kuch bhi kiya usse mai kabhi nahi bhula paaungi...Ek saccha dost ka farz nibhaaya hai tune aur meri jindagi ko bacha liya barbaad hone se.

Priya ki baato me Divya aur apni Maa ke liye bahut izzat tha.

Divya:- Ye sab maine apna farz nibhaaya hai...Mujhe afsosh hai ki Karan ke baare me apna shak pehle nahi bataya...Agar bataati to aaj tera dil nahi tut ta.

Priya:- Maa kaisi hai abb? Maine bahut galat behave kiya unke saath vidaayi ka vakt me..Mujhe aisa nahi karna chahiye tha.

Priya ne baat ko badalte hue kaha.

Divya:- Dekhne me to thik hai...Bas andar hi andat unhe tera fikar hai...Tere baare me hi puchti rehti hai...Tera unse naraajgi se wo bahut pareshaan hai...Bas ek baar unse baat karle aur keh de ki sab kuch thik hai...Unka ye tension dur ho jayega aur khus ho jaayengi ye jaan kar ki tujhe koi taklif nahi hai.

Priya:- Karti hu thodi der me...Baat kiye hue bhi bahut din ho gaya Maa se aur unke saath bahut galat kiya iss baat ki sharmindagi bhi hai mujhe.

Divya:- Accha chal abb rakhti hu phone. Koi taklif to nahi hai na Sameer se...Mera matlab Sameer kaisa behave karta hai tujhse.

Divya phone rakhne hi wali thi ki usse Sameer ki baat yaad aa gaya.

Priya:- Jyada kuch nahi bolta hai...Kabhi kabhi maafi maang leta hai...Aur abb kuch bhi baato ka jawaab bhi nahi deta hai...Ekdam shaant ho gaya hai...Apni galti ka ehsaas hote hi saara ghamand toot gaya hai uska.

Priya ki aawaj me abhi bhi Sameer ke liye nafrat aur gussa tha...Aisa lag raha tha ye nafrat gussa itni jaldi khatam nahi hone wala hai jab tak koi chamatkaar na ho jaaye.

Divya:- Pata nahi yaar tu aur Sameer kyu ek dusre se itna nafrat karte ho...Tum dono me se koi galat nahi hai fir bhi chhoti baato ne tum dono ko ek dusre ka dushman bana diya.

Priya:- Jaanti hu wo dil ka bura nahi hai...Lekin mujhe uska ghamand, gussa aur mere saath jaisa behave karta hai wo mujhe bilkul pasand nahi hai...College me chhoti chhoti baato ke liye kitna ladta tha mujhse aur sabke saamne majaak bana deta tha...Aur usne jo mere khilaaf saajish kiya hai jisme wo khud fas gaya iske baad to shayad hi mai usse maaf kar paaungi.

Divya:- Accha accha thik hai...Shaant ho jaa...Itna gussa ho kar apna mood kharab mat kar...Jaisa tujhe thik lagta hai waisa kar...Aur haan abb divorce ke baad sab kuch thik hone wala hai.

Bas Sameer se pyar mat kar lena...Warna bahut pachtaayegi...Wo tere liye nahi hai.

Divya ne last ki line hass kar kaha...Priya bhi samajh gayi ki Divya majaak kar rahi hai.

Priya:- Impossible.

Itna keh kar Priya ne phone kaat diya.

Dono saheli ke bich ka relation fir thik ho gaya tha...Divya ko Priya ki baat sun kar bahut accha laga ki wo sahi salamat hai apne sasuraal me.

Iske baad Priya ne lagh bhag aadha ghante tak apne Maa se baat kiya...Dono hi Maa Beti ko bahut sukoon mila ek dusre se baat karke...Priya ki Maa ko bhi bahut khushi hui ye jaan kar ki unki beti abb unse naraaj nahi hai aur wo sahi salaamat hai.

Priya ko bhi apne Maa aur Divya se baat karne ke baad bahut sukoon mila aur usne ghadi dekha...Raat ka 11:00pm baj raha tha...Iske baad wo bhi sone bed me chali gayi.


Next Day At Lunch


Lunch karne ke liye Mr and Mrs. Sharma pehle se hi baithe the table me...Priya bhi waha maujood thi...Bas Sameer hi aana baaki tha waha...Sabhi Sameer ka wait kar rahe the.

Kuch der baad Sameer aaya ready ho kar...Usne ek suit pehna tha aur acche se taiyaar hua tha...Wo aaj apne job dhundne jaa raha tha lekin iss baare me kisi se baat nahi kiya tha usne.

Mr. Sharma ko kuch samajh nahi aa raha tha ki Sameer kyu iss tarah se taiyar hua hai aur kaha jaane ka soch raha hai.

Sameer bhi lunch karne ke liye table ki taraf badha...Sabhi ki aankho me hairaani dekh kar usse samajh nahi aa raha tha ki kis tarah se wo apni baat kehna shuru kare.

Wo kuch bolne hi wala tha ki Mr. Sharma par uska najar chala gaya...Jo usse ghur kar hairaani se dekh rahe the...Sameer ko laga ki wo gussa hai aur Sameer ne jo bhi himmat kiya tha bolne ka wo ek pal me gaayab ho gaya.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 72


Sameer kuch der apne Papa ko dekhta hai...Lekin Mr. Sharma kuch nahi kehte hai...Bas Sameer ko dekhte rehte hai aur Sameer ki get up ke baare me sochte hai...Sameer bhi chair me baith kar lunch karne lagta hai.

Sameer ko khud par hi bahut gussa aa raha tha...Bas kuch din pehle hi ki to baat tha jab wo apne Papa se dost jaise baat karta tha...Jo bhi baat ho wo khul kar apni Papa se kehta tha.

Uska Papa bhi uska har baat me saath dete the...Wo bhi Sameer par utna hi bharosha karte the jitna har baap apne beta par...Sameer ne bhi bahut kam shikayat ke mauka diya tha unhe.

Lekin Sameer ki iss ek badi galti ne baap aur beta ke rishte me bahut bada duriyan badha diya...Life me pehli baar aisa hua ki Sameer ko apne Papa se baat karne me itna dar laga ho.

Sameer sharm aur dar se apne Papa se kuch nahi keh paata tha to Mr. Sharma Sameer ko uski galti ka ehsaas dilaane ke liye kuch dino tak usse acche se baat nahi karne ka soch rahe the...Unhe pata tha ki agar kuch din tak wo Sameer se issi tarah se berukhi se baat karenge ya baat nahi karenge tab Sameer ko pata chal jaayega kitna bada galti kiya hai usne.


Sameer:- Papa...Mai office join karne ka soch raha hu aaj se.

Kuch der ki khaamoshi ko tod kar Sameer ne kaha...Usne bahut bechaini ke saath Mr. Sharma se najar churaate hue kaha...Wo Mr. Sharma ke jawaab ka bechaini se intejaar kar raha tha.

Mr. Sharma:- Acchi baat hai...Mai bhi tujh se issi baare me baat karne wala tha...Abb office jaane lagega to jimmedaariyon ka ehsaas hoga tujhe aur tera dhyan kisi se badla lene ki jagah kaam par lagega.

Mr. Sharma ka ye baat sun kar Sameer ko bahut buraa laga lekin usne khud ko majbut bana liya aur apna dard chupa liya.

Sameer ne jaldi se apna lunch kiya aur apne room me wapas chala gaya.

Mr. Sharma ko laga shaayad unhone kuch jyada hi keh diya Sameer ko...Unhe bhi bahut bura lag raha tha Sameer ko iss tarah udaas jaate dekh kar.

Apna lunch karke Priya bhi chup chaap apne room ki taraf nikal gayi...Usse bhi Sameer ke liye bahut bura lag raha tha...Wo bhi apne room me jaa kar abhi kuch der pehle hua lunch time ki baatein yaad karne lagi.

Usse bhi laga shaayad Sameer ko jarurat se jyada sazaa mil raha hai...Usne dekha tha Sameer ko shaadi ke baad kaise wo ghut ghut kar jee raha hai...Har pal usne Sameer ko pareshaan dekha tha...Khud ki najro me girta hua dekha tha.

Wo Sameer se nafrat to karti thi lekin aaj Sameer ka chehre me jo dard dekha tha usse dekh kar wo bhi sochne par majbur ho gayi ki kya sach me Sameer ko jo sajaa mil raha hai wo uski bhool ke barabar hai ya usse jyada.

Kuch der sochne ke baad usne khud se hi kaha.

Priya:- Haan galti to usne kiya hai...Jis ka shaayad koi maafi nahi hai...Aur shaayad hi mai kabhi usse maaf kar paau...Lekin usne jo kiya anjaane me kiya...Nafrat me aa kar usne aisa kiya...Nafrat to insaan se kuch bhi karwa sakta hai...Aur Shruti ne bhi koi kami nahi chhoda usko aur bhadkaane me.

Jo bhi hua Shruti ki vajah se hua...Uska chaal ka ek mohra hai Sameer...Lekin Sameer itna bhi buraa nahi hai...Jab usko apni galti ka ehsaas hua khud ko fasaa liya usne apni galti ko sudharne ke liye.

Usse apni galti ka ehsaas ho gaya aur pacchta bhi raha hai...Kabhi palat kar mujhe aur apne Papa ko jawaab nahi diya...Apna galti maan raha hai.

Insaan bura nahi hai Sameer...Bura banaya hai usko Shruti ne...Shruti ki baato me aa kar usne ye sab kiya...Aaj bhi yaad hai wo din jab Sameer ne mujhe ragging se bachaya tha aur Neha ka uss photo ke case me bhi...Insaniyat to hai usme aur ek sacche dil insaan bhi.

Lekin uski galti ka sajaa mujhe bhugatna pad raha hai...Shayad mai usse uske iss galti ko kabhi maaf na kar paau lekin uska ye hadd se jyada sajaa milte nahi dekh sakti.

Mujhe Sameer ke parents se baat karna hoga iss baare me aur kahungi ki abb Sameer ko kuch mat kahe...Kisi bhi insaan ka sehne ka ek limit hota hai agar uss limit se jyada ho gaya to kuch bhi ho sakta hai.

Jaanti hu ki Sameer kuch nahi bol raha hai lekin andar hi andar bahut ghut raha hai...Aur aise hi ghut ta raha to bilkul bhi accha nahi hoga uske liye...Khud ki hi parents usse naaraj hai uski iss anjaane me hui galti se.

Abb aur nahi...Jitna hona tha ho gaya...Mil gaya hai usse uske kiye ki sajaa.

Priya ne bas itna hi kaha tha ki usne Sameer ko gate ke paas se jaate hue dekha...Priya ne Sameer ki aankho ko dekha tha jo ekdam laal ho gaye the...Jisse dekh kar hi pata chal raha tha ki wo bahut roya hai...Pehli baar Priya ko Sameer ka dard dekh kar bura lag raha tha.


Dusri taraf Sameer apne Papa ki kadwi baatein sunne ke baad sidha apne room ke bathroom me gaya...Aur jor se rone laga...Usse khud se nafrat hone laga tha...Uss vakt wo ye bhi bhul gaya tha ki kal usne apne Maa se kya baatein kiya tha aur kaise uske Maa ne usse khud ko majbut banaye rakhne ka hausla diya tha.

Iss vakt Sameer ko lag raha tha ki duniya ki sabse bura insaan wohi hai jisse sabhi naaraj hai aur nafrat karte hai.

Issi tarah kuch der rone ke baad usse yaad aaya ki aaj usse job dhundne bhi jaana hai...Wo turant apna munh dho kar nikla office jaane ke liye...Niche hall me jaane ke liye Priya ki room raaste me aata tha...Jab wo niche hall ki taraf jaa raha tha uss time Priya ka room ka gate khula hua tha...Tabhi Priya ne Sameer ki laal aankh dekh liya tha.

Niche hall me pahunchte hi apne Maa aur Papa se chehra chupaane ke liye usne ek kaala(black) sunglass laga liya aur nikal gaya office ke liye.

At Dinner


Sameer raat me apne ghar waapas lauta...Ghar me aate hi wo dining table me baith gaya aur dinner karne laga...Kisi se kuch baat bhi nahi kiya aur uske chehra dekh kar kisi ko samajh me nahi aa raha tha ki wo khus hai ya dukhi.

Bina kisi se baat kiye wo khud dinner paros kar khaane laga.

Mr. Sharma Sameer se baat karna chaahte the lekin kar nahi paa rahe the...Mrs. Sharma ne socha ki Sameer ke dinner kar lene ke baad usse baat karengi lekin Sameer dinner karne me baad waha se chup chaap nikal gaya...Sabhi piche hairaan ho kar Sameer ko dekhte rahe.

Dinner karne ke baad Priya bhi apne room me chali gayi...Wo fir se Sameer ki iss harkat ke baare me sochne lagi...Usse Sameer ka iss behavior bahut hi ajeeb lag raha tha.

Sameer ko usne maaf to nahi kiya tha lekin Sameer ka fikar usse ho raha tha ki Sameer frustration me kuch galat na kar le.

Wo Sameer ke baare me yahi sab soch rahi thi ki kisi ki kadam ki aahat usse sunaayi diya...Priya ko samajhte der nahi laga ki ye Sameer hai jo kahi jaa raha hai...Priya samajh gayi ki Sameer chhat ki taraf jaa raha hai.

Priya ne bhi socha ki wo bhi chhat me jaa kar Sameer se baat karegi...Priya ke liye iss vakt Sameer se nafrat aur khud ka dard se jyada Sameer ke liye fikar tha ki wo kuch galat na kar le...Sameer ke baare me aisa kyu soch rahi hai wo usse khud nahi pata tha.

Jab wo chhat par pahunchi to Sameer ko dekh ek baar fir chaunk gayi...Iss baar Sameer chhat ke ek kone me khada ho kar muskura raha tha lekin chehre me koi bhaaw nahi tha...Priya ko samajh me nahi aa raha tha ki aakhir Sameer ko hua kya hai aur kyu aise behave kar raha hai...Yahi sab sochte hue wo Sameer ki taraf chalte hue thik uske piche pahunch gayi.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 73


Sameer ko jab ehsaas hua ki uske piche koi hai tab usne mud kar dekha...Piche Priya thi...Priya ko dekhne ke baad Sameer waapas mud kar upar aasman ki taraf dekhne laga...Chehre me abhi bhi halka muskaan tha.

Priya:- Aise kya dekh rahe ho aur iss muskaan ki koi vajah?

Kuch der Sameer ko dekhne ke baad bhi jab Priya ko Sameer ki iss harkat ke baare me samajh nahi aaya tab usne pucch liya.

Sameer:- Khud ko jaanne ki koshish kar raha hun...Dekhna chaahta hu kitna taakat hai mujh me...Aaj jindagi me pehli baar khud se lad raha hu mai...Dekhna chaahta hu khud se jeet paaunga ya nahi.

Sameer ne muskuraate hue kaha.

Priya:- Kya matlab? Mai kuch nahi samjhi.

Priya ne hairaan ho kar kaha.

Sameer:- Jindagi me pehli baar ehsaas hua hai ki maine koi aisa galti kiya hai...Jo mujhe nahi karna chahiye tha...Sabhi mere iss galti ki vajah se naraaj hai...Khud mujhe hi apne upar gussa aa raha hai.

Aaj tak kabhi khud par itna gussa nahi aaya jitna abhi aa raha hai...Kabhi khud ko galat tak nahi maana tha.

Dimaag me kayi tarah ki baatein aa rahe hai...Khud pata nahi agle pal kya kar baithunga...Bas Maa aur dosto ne himmat diya mushibato ka saamna karne ka nahi to pata nahi kab tak aise hi akela ghut ta rehta.

Kisi tarah khud ko sambhal raha hu aur khud se ladne ka koshish kar raha hu ki apne dimaag par kaabu karke shaant reh saku.

Sameer ne muskuraate hi kaha lekin uska muskaan uska dard chupa nahi paa raha tha...Priya ne kuch nahi kaha.

Sameer:- Sabse jyada mujhe Papa ka naarajgi khal raha hai...Jaanta hu Papa apni jagah bilkul sahi hai...Galti hi maine aisa kiya hai ki shaayad hi wo mujhe maaf kar paayenge...Upar se unka vishwash bhi toda hai.

Apna iss bhool ko sudhaarna chaahta hu...Jo maine khoya hai iss bhool karne ke baad...Wo sabhi waapas paana chaahta hu...Tumhaara maafi, Maa aur Papa ka vishwash, maafi aur saath, Shruti ka saath aur sab kuch...Sabhi ki najro me firse uthna chaahta hu.

Jaanta hu ye bilkul bhi aashaan nahi hai...Koi mauka bhi nahi hai mere paas...Lekin mujhe khud hi raasta nikaalna hai...Aur nikaal ke rahunga.

Aage bhi mujhe bahut mushibato ka saamna karna hai...Aur iss mushibat ka saamna karne ke liye bahut dhairya chaahiye...Khud ko shaant karne ke baad hi kuch samajh paaunga ki aage kya karna hai.

Koi bhi kaam karne ke liye dimaag shaant rakhna bahut jaruri hai...Aur abhi wohi kar raha hu...Chhat me thandi hawa khane aaya hu aur mood bhi fresh ho jaayega...Aur muskuraate hue apni saari tension bhul jaana chaahta hu taaki naya suruwaat kar saku.

Sameer ki baat sun kar Priya ne mehsoos kiya ki Sameer iss bhool se kitna parshaan hai aur kitna ghutan mehsoos kar raha hai...Sameer ki dard ko wo saaf mehsoos kar sakti thi.

Ek baar to Priya ne socha ki Sameer ko bata de ki jab tak Shruti ka saath rahega jindagi bhar aisi kayi galtiyaan karta rahega...Shruti ko bahut acche se pehchan liya tha Priya ne.

Lekin Priya ne Sameer ko ye baat nahi kaha...Usse pata tha ki Sameer uska ye baat par bilkul yakin nahi karega aur Sameer se kehne se koi faaidaa nahi hoga.

Sameer:- Tumhe lag raha hoga ki mai ye sab tumhaare saamne keh kar accha banne ka naatak kar raha hun na.

Priya ko aise chup dekh Sameer ne Priya se kaha...Sameer ko Priya ki khaamoshi khal raha tha...Sameer dil ki gehraai se Priya ko apne galti ki baat keh raha tha...Lekin Priya ka usse ignore karke chup rehne se Sameer ko bahut buraa lag raha tha.

Priya:- Nahi...Jaanti hun tumhe sach me apni galti ka ehsaas hai.

Priya ki baat sun kar Sameer ko apne jakhm par thoda raahat mila.

Priya:- Abb tumhe aur pareshaan hone ki jarurat nahi hai...Maine baat kar liya hai tumhaare parents se aur bata diya hai ki tum apne galti ke liye kitna pacchta rahe ho...Aise me kuch dino ke liye tumhe kuch na kahe.

Priya ki baat sun kar Sameer fir se muskuraya...Lekin Priya Sameer ka ye muskaan ka matlab samajh nahi paayi.

Priya ne Sameer ko aankho ke ishaare se hi puccha ki uska ye muskaan ka matlab kya hai.

Sameer:- Aakhir tumhe bhi mujh par taras aa hi gaya naa.

Sameer ne wohi muskaan ke saath kaha.

Priya:- Nahi...Ye taras khane wali baat nahi hai...Mujhe jo sahi laga wohi kiya...Mujhe laga tumhaare saath galat ho raha hai aur tumhe apni galti se bhi jyada sajaa mil raha hai...Iss liye maine wohi kiya jo mujhe karna chaahiye tha.

Sameer:- Waise bhi koi galat nahi keh rahe the...Papa apni jagah bilkul sach hai...Jaanta hu wo mujhse kadwi andaaj me baat jarur karte hai bas iss baat ka ehsaas dilaane ke liye maine chhoti galti nahi kiya hai.

Abb mera saath de kar to wo mera galti ko badhawa to nahi denge...Unhe jo karna chaahiye wo wohi kar rahe hai...Mujhe Papa se koi shikayat nahi hai...Galti mera hi hai to kaisi shikaayat unse? Bas agar mujhe shikayat hai kisi se to wo mai hu...Mera iss galti ne unka sir jhuka diya aur maine unka mujh par jo bharosha tha wo kho diya.

Sameer ki aawaj me khud ke liye nafrat tha jisse Priya ne mehsoos kar liya...Usse laga ki iss baare me baat karne se abb koi faaidaa nahi...Ulta tension aur badhta jaayega.

Kuch der ki khaamoshi ko tod kar Priya ne baat badal kar pucha.

Priya:- Job mila?

Sameer:- Ha abhi ek chota sa job hi dhunda hai...Haalat sambhal jaane ke baad ek accha sa job dhundunga.

Ye kehne ke baad Sameer niche apne room me jaane laga...Kuch kadam aage badhaya hi tha ki ruk gaya aur picche mud kar Priya ke paas aa gaya aur kaha.

Sameer:- Ek baat kehna hai aur pucchna bhi hai tumse.

Sameer ki baat sun kar Priya ko thoda hairani hua...Wo soch rahi thi ki abb Sameer usse kya kehne wala hai...Usne chehre ko haa me hilaa diya.

Sameer:- Aaj ek ladki mili thi office me...Usne jo baat kaha tha mujhse ussi baare me discuss karna hai
.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 74


Sameer ki baat sun kar Priya ko bahut hairaani hua...Sameer kisi ladki se hui baato ko uske saath kyu karna chaahta hai ye baat Priya ko samajh nahi aa raha tha...Lekin Priya kuch nahi boli...Bas Sameer ki baat ka intejaar kar rahi thi.

Sameer:- Aaj office join karne ke baad mera sabhi se intro hua...Office jyada bada nahi tha to sabhi se jaan pehchaan kar liya.

Naashta karne ke time me jab mai canteen me ek chair par baitha tha...Tab ek ladki aayi mere paas...Uska naam Anjali tha.

Sure ho kar to nahi keh sakta lekin uski harkato ko dekh kar mujhe lagta hai shaayad wo meri taraf attracted thi.

Aate hi baat karna suru kiya usne.


Anjali:- Hi Sameer.

Sameer:- Hi.

Anjali:- Aise akele kyu baithe ho?

Sameer:- Bas aise hi...Kisi se accha jaan pehchaan nahi hai...Sab apne me hi busy hai...Iss liye socha akele baith kar hi naasta kar lu.

[Pata nahi kyu mujhe uski aankho me apne liye kuch ajeeb sa dikh raha tha...Aisa lag raha tha wo meri taraf attracted hai...Lekin mujhe usme koi interest nahi...Ignore karne ke liye maine usse najar hataa kar keh diya ki akele Naasta karne ka soch raha hu.]

Anjali:- (Idhar udhar najar ghumaate hue) Kitne saare log akele baithe hue hai. Aur tum keh rahe ho ki sab group me hai.

[Usne hairaani ke saath kaha...Pata nahi kyu mujhe uski baat bahut irritate kar raha tha...Ek to pehle se itna tension aur upar se ye Anjali aur dimaag kharaab kar rahi thi...Maine bhi rukhapan se jawaab diya aur baat ko khatam karna chaaha.]

Sameer:- Abb aa gaye honge.

Anjali:- Tum se pehle hi mai yaha canteen me hu...Tum khud akele baithne yaha chale aaye.

Sameer:- Mai akele rehna chaahta hu...Iss liye yaha aa kar baith gaya...Tumhe koi problem hai.

[Iss baar gusse par control nahi kar saka...Aur thoda tej aawaj me jawaab diya.]

Anjali:- Nahi...Koi problem nahi hai.

[Itna keh kar wo chup ho gayi...Uski aawaj se lag raha tha shaayad wo buraa maan gayi hai...Abb ek khaamoshi tha hum dono ke bich...Pehle hi ek tension aur upar se uski bak bak...Uske chup hone ke baad ek sukoon mila...Lekin usse ye manjur nahi tha.]

Anjali:- Are you single?

[Usne thoda darte hue kaha...Uske kehne ke tarike se lag raha tha ki jo baat wo bahut der se pucchna chaahti hai wo usne pucch liya.

Lekin uski iss sawaal ne mujhe chaunka diya...Kuch pal usko dekhta raha aur samajhne ki koshish karne laga ki uss ladki ne ye sab kyu puccha...Uski aankho me dekha to fir se apne liye attraction dikha...Uski aankho se najre hataa kar jawaab diya.]

Sameer:- No.

[Maine fir se berukhi se jawaab diya...Kuch der tak fir humaare bich koi baat nahi hua...Maine uska chehra dekha to uska chehre ka rang jaise udd gaya tha...Kuch der tak wo chup rahi fir achanak utth gayi aur kaha]

Anjali:- Agar breakup ho jaaye to bata dena.

[Itna keh kar wo chali gayi...Mai wohi baitha uski baat ka matlab sochne laga aur sochta hi reh gaya...Jab soch se baahar nikla to ek baar uske saath baat karna chaahta tha lekin wo fir nahi mili.]



Itna keh kar Sameer chup ho gaya aur Priya ko dekhne laga...Priya bhi kuch der Sameer ko hairaani se dekhti rahi aur kaha.

Priya:- Tum ye sab mujhe kyu bata rahe ho?

Priya ki aawaj me bas hairaani tha...Wo soch rahi thi ki Sameer uske saath iss baare me kya baat karna chaahta hai.

Sameer:- Uss ladki ki kuch baatein hai jo samajh nahi saka uss baare me...Shaayad mujhse jyada tum iss baare me jaanti ho.

Sameer ki baat ne Priya ko fir uljhan me daal diya...Priya jitna samajh saki bas uss baat ka jawaab diya usne.

Priya:- Are isme samajhne aur na samajhne ki kya baat hai...Tum khud hi to keh rahe ho ki tumhe lagta hai wo ladki tumhaari taraf attracted hai...Jaahir si baat hai wo tumse pyar karti hogi...Iss liye usne kaha.

Priya ne Sameer ki baat par frustrated ho kar kaha...Sameer ki baat me usko bewkoofi najar aaya...Itna aashaan si baat wo samajh nahi paaya aur uska time waste kar diya.

Sameer:- Ye to mujhe bhi lagta hai mi shayad wo mujhse pyar karti hai...Lekin mai tumse ye sawaal nahi puch raha tha.

Sameer ki iss baat ne Priya ki gussa bahut badha diya...Lekin kisi tarah control karke wo Sameer ki baat ka intejaar karne lagi.

Sameer:- Mehsus to nahi kiya lekin suna hai pyar ke bahut rang hote hai...Pyar karne ka andaaj sabhi ka alag alag hota hai...Pyar kisi se bhi kisi bhi tarah se ho jaata hai.

Lekin ye samajh nahi aa raha hai ki Anjali ka ye kaisa pyar tha? Jitna maine pyar ko jaana hai uske baare me suna hai aise pyar ke baare me mujhe kuch nahi maalum.

Issi baare me tumse baat marna tha.

Tum ne Karan se pyar kiya hai...Pyar ko mehsoos kiya hai...Mujhse jyada jaanti ho pyar ke baare me to tumhe kya lagta hai kya aisa bhi pyar ho sakta hai jo Anjali shaayad mujhse kar rahi hai.

Kya pehli najar ka pyar bhi itna laalchi aur khudgarz hota hai ki apne pyar paane ke liye log dusro ka pyar ya jodi tut jaaye aisa pray karte hai?

Sameer ne apni uljhan abb khul kar Priya ko bata diya aur Priya ki jawaab ka intejaar karne laga.

[Note:- Friends aap sab ko lag sakta hai ye update maine kis liye diya hai...Iss update ki jarurat nahi tha...Lekin next update me jo bhi hoga wo story me bahut prabhaaw daalne waala hai.]
 
Top