- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 75
Sameer ki baat ne anjaane me hi sahi fir se Priya ko Karan ki yaad dilaa diya.
Priya Karan ko jitna bhulne ki koshish kar rahi thi utna hi wo kisi na kisi vajah se yaad aa hi jaata tha...Pehla pyar ko bhulaane ki koshish ek baar fir nakaam ho gaya.
Karan ki yaad aate hi Priya ko fir se ek dard mehsoos hua...Thik waisa hi dard jo har ek insaan mehsoos karta hai apna pehla pyar tutne par.
Priya to Sameer ki taklif kam karne ke liye aayi thi lekin ulta Sameer ne hi anjaane me Priya ko uski adhuri pyar yaad dila kar ek dard diya.
Lekin Priya ne Sameer ko apna dard na dikhaate hue chhidh kar jawaab diya.
Priya:- Mujhe nahi pata aise pyar ke baare me...Maine kabhi kisi ke liye bura nahi chaaha...Maine to Karan se saccha pyar kiya tha...Mera pyar kabhi khudgarz aur laalchi nahi tha.
Priya ne chhidhte hue jawaab diya aur apna najar dusri taraf ghuma liya.
Sameer:- Maine kab kaha tumhaara pyar me khudgarzi aur laalach tha...Maine bas ye sawaal puccha tha ki pehli nazar ka pyar me bhi khudgarz aur laalach hota hai kya? Chalo chhodo ye baatein...Tumhe bhi iss baare me kuch pata nahi.
Sameer ki iss baat par Priya ne koi jawaab nahi diya...Wo dusri taraf hi dekhti rahi.
Kuch der idhar udhar dekhne ke baad usne Sameer se puccha.
Priya:- Lekin ye sab tum mujhse kyu keh rahe ho aur kyu puch rahe ho? Tum bhi kisi se pyar kar lo aur khud jaan jaaoge.
Priya ki aawaj me abhi bhi thoda frustration tha...Abhi bhi Priya ko Sameer par gussa aa raha tha Karan koi baat karne ki vajah se.
Sameer:- Niche room ki taraf jaa hi raha tha ki office wali baat yaad aa gaya...Issi liye puch liya tumse aur jaana chaahta tha ki tum iss baare me kya sochti ho.
Priya:- To tum aise hi tumhaari har personal baatein mere saath karke mera dimaag kharaab karoge.
Priya ki gussa Sameer ki baato se aur badh raha tha.
Sameer:- Sorry...Pata nahi tha tumhe meri baat itna bura lagega...Maine just friendly tumse ye baat puch liya tha.
Sameer ki baat sun kar Priya chaunk gayi...Kuch pal Sameer ko dekh kar usne kaha.
Priya:- Friend...Tumhara dimaag kharaab ho gaya hai kya? Hum kab friend bane? Jo tum mujhse friendly baat kar rahe ho?
Priya ko pehle se Sameer par gussa aa raha tha...Upar se Sameer ki baatein uska gussa aur badha raha tha.
Sameer ko bhi Priya ki aisi unchi (tej) aawaj me baat karne se gussa aane laga tha...Lekin wo kisi tarah apne upar control kar raha tha.
Sameer:- Mai soch raha tha ki jab tak tum yaha rehti ho tab tak tum se acche se behave karu...Matlab friendly tarike se...Uske baad to hum kabhi ek dusre ko dekhenge bhi nahi.
To fir kya faaidaa aur ladne se...Ye baat mai jaan gaya hu ki tumhari koi galti nahi hai...Suruwaat me bhi jo galatfehmi tha tumhaare liye wo Karan ki vajah se tha...Jo mai samajh nahi paaya.
Abb wo saari galtiya sudhaarna chaahta hu...Issliye soch raha hu jab tak tum yaha rehti ho tab tak tum tum thoda accha feel karo.
Aaj office me bhi issi baare me soch raha tha...Bahut sochne ke baad pata chala ki ham dono ki bich itni saari problem aur dushmani kyu hua...Ye sab ki vajah ek misunderstanding tha jisne baad me dushmani ka roop le liya.
(Kuch der chup rehne ke baad)
Mere khayal me hame ye dushmani khatam kar dena chaahiye...Ye dushmani kisi baat ka samadhaan (solution) nahi hai...Jab rak hamaare bich ye dushmani rahega tab tak hamaare dil aur dimaag me ek bojh sa rahega...Bas ek dusre ki galti hi dikhega...Kabhi ham ek dusre ki acchaayi nahi jaan paayenge...Hamaare bich jo bhi galatfehmiyan hai wo sab hamaare dushmani ki vajah se.
Ham kabhi ek dusre ke dost nahi the...Ek chhoti si ladaai wo bhi pehli hi mulaakat me hua tha jis vajah se ham dono ne ek dusre ko galat samajh liya aur hamaare bich ki dushmani bhi badhta chala gaya...Uss time dushmani me mai andha ho gaya tha aur tumhari baare me galat sochta tha...Jab ki tum bilkul bhi galat nahi thi...Kabhi apna gussa aur nafrat ki vajah se to kabhi Karan ki vajah se tumhe galat soch baitha.
Aur thik waisa hi tumne mere baare me...Jitna tum sochti thi mai utna bura nahi tha...Lekin humaara dushmani iss tarah se badh gaya ki mai ye bhool kar baitha.
Ek baar tum ye dushmani bhool kar to dekho...Mere baare me jo galatfehmi hai tumhaare wo sab dur ho jaayenge.
Sameer ne Priya ko samjhaane ki koshish kiya lekin wo iss baat se anjaan tha ki Priya iss baat ka kuch aur hi matlab nikaal legi.
Priya:- Abb tum mujhe sikaaoge mujhe kya karna chaahiye aur kya nahi...Tum chaahte ho ki mai tumhe maaf kar du? Tum khud hi bataao tumne maafi laayak kaam kiya hai kya?
Mere jindagi ka iss tarah se majaak udaane ke baad keh rahe ho ki mai ye sab bhool jaau aur tumhe maaf karke tumhaara dost ban jaau...Wo sab baatein bhool jaau jab tum sabke saamne mujhe beizzat karte the...Tumhe abhi bhi apni galti ka ehsaas nahi hua hai issi liye mujhse ye sab baat kar rahe ho...Agar tum apni galti maante tab aisi baat mujhse nahi karte.
Abb tumhe kuch pal sochne ke baad apni galti ka ehsaas hua aur kehte ho ki ye sab misunderstanding ki vajah se hua...Tab tumne ye baat kyu nahi socha...Agar tab tumhaare paas ye sab baat sochne ka fursat hota to shaayad ye galti tumse nahi hota.
Nahi hu Sameer mai utni mahaan...Jo tumhe maaf kar paau...Tumhari iss galti ko mai kabhi maaf nahi kar paaungi.
Aur tum apna comparison Karan se bilkul mat karna...Tum se laakh guna accha hai Karan...Kam se kam tumhaara jaisa galti to nahi kiya.
Aur tumhe meri fikar karne ki koi jarurat nahi hai...Tum sochte ho ki mai akeli bore ho jaaungi to mujhe tumse dosti kar leni chaahiye...Taaki mera time acche se kat sake.
Nahi Sameer...Mujhe tumse koi bhi rishta nahi rakhna...Naa hi dosti ka aur naa hi dushmani ka...Tum inn me se kuch bhi deserve nahi karte...Mai to bas itna chaahti hu ki kisi tarah ye divorce tak ka vakt acche se kat jaaye aur uske baad mai free ho jaaungi...Uske baad mujhe tumse koi matlab nahi.
Priya ne bhi gusse me Sameer ko bahut suna diya...Sameer pehle se hi apna gussa control kar raha tha...Lekin Priya ki iss baat par wo khud par kaabu nahi rakh saka...Usse pata chal gaya ki wo gusse me kuch bhi kar sakta hai...Iss liye Priya se dur chale jaane me hi usne apna bhalaayi samjha.
Wo teji se chhat ki dusri kona ki taraf chala gaya...Aur waha par khada ho kar gussa bhari nighaawo se jameen ki taraf dekhne laga...Priya bhi Sameer ka ye gussa wala roop dekh kar kuch samajh nahi paa rahi thi.
Shaadi ke baad pehli baar Sameer ko Priya par gussa aaya tha...Sameer shaayad Priya ki sabhi baatein seh leta lekin usko Priya ki uska Karan se compare karne waali baat bilkul bhi pasand nahi aaya...Priya ne Sameer ko Karan se bhi galat insaan keh diya tha jo Sameer se bardaast nahi hua.
Gusse me usne do jordaar punch diwaal (wall) par maara...Fir bhi uska gussa kam nahi hua...Wo abb sidha Priya ki taraf gusse me aaya...Usne soch liya abb bahut hua ek baar Priya se baat karke Priya ka galti bhi dikhana hoga.
Priya pehle se hi Sameer ka ye roop dekh kar hairaan thi aur abb Sameer ka aise gusse se uski taraf aane ki vajah se aur hairaan ho gayi...Lekin wo bilkul bhi dari hui nahi thi.
Kuch pal me Sameer uske paas aaya aur thoda tej aawaj me bolne laga.