• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
bahut badhiya ..........ab priya ne to apne pyar ka izhar apne maa-baap ke samne kar diya
lekin sameer abhi sachchai se bhag raha hai
lekin shruti ki sachchai dhire-dhire sameer ke samne aa rahi hai

in updates mein sabse ahm kirdar priya ke papa ka raha.....
unhone pahle dinner ke time par sameer se priya ko khush rakhne ki bat kahkar sameer-priya ko man mein jhanknepar majboor kar diya
fir abhi bhi priya se sameer ki ankhon mein pyar dikhne ka kahkar priya ko peechhe hatne se rok diya
aur sath hi ab priya ko divorce ke apne faisle par bhi dobara sochne par majboor hona padega

priya ka faisla sahi hai.......... apne pyar ke dawab ya shruti ke khilaf bhadka kar sameer ka pyar pane ki bajay
shruti ki sachchai sameer khud samjhe aur apne dil se priya ko apnaye

yehi un dono ki jindgi ke liye behtar hoga

keep it up champ bhai
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 97


Priya:- Tumne kya wish maanga?

Mandir se nikalte hi Priya ne Sameer se sawal kiya.

Sameer:- Jyada kuch nahi...Bas itna hi maanga ki jindagi me thoda sa chhain mil jaaye...Picchle 6 months se jindagi nark ban gaya hai...Har vakt tension, aur mood ka band baj gaya hai.

Picchle kuch vakt se tension, gussa, pareshaani, paschataap, aatmaglaani jaisi feelings sataa raha hai...Abhi kuch kuch thik to ho gaya hai lekin fir bhi ek ajeeb sa uljhan dimaag me aa raha hai.

Shaayad hi kabhi pichle 6 months me ek baar bhi dil se hansa hu.

Jindagi bahut ulajh gaya hai bas itna chaahta hu ki jaldi se sab kuch thik ho jaaye aur mai chhain ka saans le saku.

Sameer ki aawaj me halka pareshani tha.

Priya:- Humara saadi ka to abhi tak sirf 2 months hua hai...To fir tum 6 months se kaise pareshan ho...Tumhaari pareshaani to humaara shaadi ke baad se suru hua hai na.

Sameer:- Asli pareshani hamaare shaadi ke baad suru hua...Warna shaadi se pehle 3 months tak Shruti mera mood ka band bajati rahi aur 1 month mai tumhaari jindagi ko barbaad karne ke baare me sochta raha...Aur uske baad ke 2 months shaadi ka side effects.

Sameer ne halka darte hue aur halka muskuraate hue kaha.

Priya:- Accha...To tum itni tension ke baawjud time calculation kar lete ho.

Sameer:- Are nahi...Mai to...

Sameer itna bol kar Priya ki taraf dekhta hai...Priya Sameer ki haklane ki vajah se hans rahi thi...Ye dekh kar Sameer samajh gaya ki Priya uska taang khinch rahi hai...Uske baad Sameer bhi Priya ke saath hansne laga.

Kuch der aage tak dono aise hi chalte rahe...Fir Sameer ko kuch yaad aaya aur wo bola.

Sameer:- Ek bura vakt hi to hai jo hame acche se yaad rehta hai aur ham jindagi bhar yaad karte hai ki iss manhus pal me hamaare saath kya kya hua tha...Aur ye yaad karte hai ki kitne vakt tak humne uss manhus pal ko jhela tha.

Warna accha aur khushi ke pal to chutki bajate hi nikal jaate hai.

Bas issi vajah se ye sab yaad reh gaya.

Sameer ne Priya ki taraf muskura kar kaha.


Priya:- Abb tum koi tension mat lo...Priya ne tumhe maaf kar diya iska matlab abb tumhari jindagi me koi dukh, pareshaani aur chinta nahi aayega...Aane wale pal khushi ke saath bitega...Ye mera aashirbaad hai.

Priya ne bhi muskura kar kaha aur uske kehne ki andaaj se pata chal raha tha jaise usne ye keh kar Sameer ka upakar kar diya hai.

Sameer bhi Priya ki iss baat par muskura kar kehta hai.

Sameer:- Dhanyabaad Devi ji...Aap meri jindagi me aayi aur mera sab kasht abb dur hone wala hai.

Itna keh kar Sameer aur Priya dono hi hansne lage...Bich bich me chori se ek dusre ka chehra dekh lete aur fir hansne lagte.

Sameer:- Vakt ke saath saath hamaara jindagi kitna badal jaata hai na...Nayi jagah aur nayi insaanobse mulaakatein...Kitna badal deta hai hamaare jindagi ko.

Dono ka hansi rukne baad aur thoda aage badh kar Sameer ne kaha...Priya usse dekhti rahi aur uske chehre ki bhaaw se aisa lag raha tha jaise wo Sameer ki baat ka matlab samajhne ki koshish kar rahi thi.

Sameer:- Tumhaara mere jindagi me aane ke baad mera jindagi ekdam se badal gaya...Kabhi socha hi nahi tha ki jindagi me mai aisa bhool kar baithunga aur aisi haalat ban jaayenge.

Tumne bhi to kabhi nahi socha hoga na ki ek mujh jaisa ladka ki vajah se tumhaari life me itna bada tufaan aa jaayega...Tumhaari shaant jindagi me meri vajah se itna bada tufaan aa gaya aur kitna kuch sehna pada bina koi galti ke.

Sameer abb thoda serious dikhne laga...Uske iss baat par Priya ne muskura kar jawaab diya.

Priya:- Yahi to jindagi hai Mr. Sameer....Vakt ke saath haalat badalte rehte hai...Nayi insaano se mulaakat hoti hai...Nayi haaalat saamne aate hai...Acche pal aur bure pal se bahut kuch anubhav karte hai aur sikhte hai...Naye aur anjaan insaano se jaan pehchan badhta hai aur jaan pehchaan wale insaan se duriyan bhi badhta hai.

Koi paas aata hai aur koi dur chala jaata hai...Aur kisi se iss tarah ka lagaaw ho jaata hai ki ham kabhi nahi chaahte ki wo hamse bicchad jaaye...Aisejindagi ka safar chalta hi rehta hai.

Abb ham dono ko hi le lo...Pehli mulaakat se ham dushman ban baithe aur vakt ke saath saath ye dushmani aur gehra hote chala gaya...Fir aise pal aaye jindagi me ki hame ek dusre ki acchaiyan dikhne laga...Dushman se kab dost ban gaye pata hi nahi chala.

Kitna kuch mehsus kiya hamne apne galti aur haalato se...Sach me jindagi se bahut kuch sikha.

Itna keh kar Priya chup ho gayi aur Sameer ko dekhne lagi.

Sameer Priya ko aise dekh raha tha jaise wo Priya me hi kho gaya hai.

Priya:- Aise kya dekh rahe ho.

Priya ne thoda hairani ke saath aur thoda sharmaate hue kaha.

Sameer:- Jo baat mai tumse kehne wala tha wo hi baat tumne mujhe hi samjha diya...Sach me bahut hi talented ho tum.

Priya:- Wo to mai bachpan se hi hu.

Priya ne muskura kar kaha aur isa baat par Sameer bhi muskuraaye bina nahi reh saka.

Sameer:- Priya sach me tum bahut samajhdar ladki ho...Har haalat ko acche se samajhti ho aur haalaton me sahi galat ka pehchaan bhi acche se kar leti ho.

Sameer ne Priya ka taarif karte hue kaha.

Priya:- Thanks.

Sameer:- Taarif nahi kar raha hu...Sach keh raha hu.

Aaj Sameer jyada hi majaak ke mood me tha.

Sameer ka iss baat par Priya ne jhuttha gussa dikhaaya.

Sameer:- Nahi nahi...mai bas majaak kar raha tha.

Sameer ne bhi darne ka naatak karte hue kaha.

Priya:- Aaj kal bahut majaak karne lag gaye ho.

Sameer:- Tumne hi to kaha tha.

Priya:- Maine aisa kab kaha...Abb jhuthi kahani bhi banane lag gaye ho.

Priya ne majaak me hi daant kar kaha.

Sameer:- Tumne hi to kaha tha ki pehle wale Sameer ban jaao...Abhi wohi to banne ki koshish kar raha tha.

Sameer ne muskura kar jawaab diya.

Priya:- Bas bas abb bahut ho gaya...Jyada hansi majaak bhi health ke liye hani karak hai.

Sameer:- Kisne kaha...Laughing is good for health.

Sameer aaj kisi bhi tarah se iss masti majaak me piche rehna nahi chaahta tha.

Priya:- Agar tum abb chup nahi hue to tumhare liye "Laughing is injurious for health" hoga.

Sameer:- Wo to Drinking alcohol is injurious for health hota hai.

Sameer ne iss baar hanste hue kaha aur Priya ko dekha...Priya bhi andar se to muskura rahi thi lekin wo aankho se aisa dikha rahi thi ki agar Sameer chup nahi hua to wo usse kaccha chaba jaayegi.

Sameer:- Accha thik hai...Jaisa aapki marji...Chup ho jaata hu.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Waise bhi uske paas bolne ke liye kuch bacha nahi tha.

Thoda dur jaane ke baad fir Priya ko kuch yaad aaya aur wo boli.

Priya:- Abb kaisa mood hai tumhara.

Sameer:- Accha hai lekin kyu puch rahi ho.

Sameer ko Priya ka iss sawal ka matlab pata nahi chala.

Priya:- Subah se hi tum gusse me the aur pura dopahar mood off tha tumhara...To socha tumhe mandir ghumaane le chalu...Abb saara gussa utar gaya ya fir mandir chaloge.

Sameer:- Sach me saara gussa utar gaya aur dimaag cool ho gaya...Ek sukoon sa mil raha hai abb saari tension aur chinta se.

Priya aaj ek baat maine mehsus kiya.

Priya:- Kya

Priya ne hairaani aur utsukta se jawaab diya.

Sameer:- Tum bhagwan ko bahut maanti ho...Aaj jaise tum puja kar rahit hi uss se to yahi lag raha tha.

Priya:- Ha...Bahut maanti hu...Aur Puja jyada nahi karti hu...Bas kabhi kabhi...Lekin hamesha sache dil se bhagwan ka yaad karta hu.

Itna keh kar Priya ne Sameer ko dekha aur pucha.

Priya:- Tum bhagwan ko nahi maante ho kya?

Sameer:- Maanta hu...Bas tumhare baare me puch raha tha.

Kuch dur aage chalne ke baad fir Sameer ne pucha.

Sameer:- Waise aaj tumne kya wish maanga?

Sameer ne utsukta ke saath pucha.

Priya:- Nahi bataungi...Secret hai.

Priya ne muskuraate hue jawab diya.

Sameer:- Mujhse puch liya aur khud nahi bata rahi ho...Bahut naa insaafi hai.

Sameer ne baccho ki tarah naraaj hone ka naatak karte hue kaha.

Iska jawaab me Priya sirf muskuraati rahi.

Aur Sameer bhi iss baat ko bhul kar aage chalne laga.

Kuch hi der me dono ghar pahunch gaye...Masti majaak me dono ko pata hi nahi chala ki dono kab ghar pahunch gaye.

Ghar pahunchne ke baad Priya fresh hone chali gayi aur Sameer room me aa kar bed me baith kar muskuraate hue sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Ye Priya ko ignore kar paana mera bas ki baat nahi hai...Jab bhi wo saamne aati hai ya mujhse baat karti hai mere chehre me bhi muskaan aa jaata hai aur usse baatein karne lagta hai...Bahut sukoon milta hai uske saath rehne me, vakt bitaane me aur baat karne me.

Priya ko ignore kar bhi nahi sakta aur karna bhi nahi chaahiye...Kya vajah hai ignore karne ka aur kyu karu?

Sirf yahi vajah se ki mai uska taraf khincha jaa raha hu aur usse pyar kar sakta hu...Ye to khud se hi majaak kar raha hu mai.

Iss chakkar me mai Priya se apna dosti bhi kho baithunga...Abb kuch hi vakt to hai hamaare paas...Uske baad wo kaha aur mai kaha...Kabhi mulaakat hoga bhi ya nahi...Jitna bhi vakt hai hamaare paas usse hansi khushi bitaana chaahiye naki dar kar aur dur rehne ka soch kar.

Jo bhi hoga dekha jaayega...Future ka soch kar present se dar raha hu...Mai koi galat bhi to nahi kar raha hu...Dosti karna koi galti bhi to nahi hai jo mai dar raha hu.

Abb Priya ne bhi mujhe maaf kar diya hai to abb koi fikar nahi...Saari haalaton se lad sakta hu...Waise bhi Sameer darne walo me se nahi hai.

Agar pyar ho bhi gaya to dekha jaayega...Pyar se to bade bade mahan insaan nahi bach paaye hai to mai kya bach paaunga...Abb mai darke nahi jiyunga...Waise hi meri jindagi ka pehle hi itna majaak ban gaya hai...Abb aur nahi...Abb mai apne present me jiyunga aur khud ko aur saja nahi dunga...Baad ki baat baad me dekha jaayega...Waise bhi mai saccha hu aur mujhe kisi baat ka dar nahi hona chaahiye.

Aur abb mai Priya ke saath dosti me koi bhi compromise nahi karunga pyar ki dar se...Priya aur mera dosti jaisa chal raha hai waisa hi chalta rahega.

Itna soch kar Sameer ne tat kar liya ki usne jo kuch bhi socha hai wahi karega.

Iss gaanw me aane ke baad Sameer aur Priya ka soch puri tarah se badal gaya aur suruwat ho gaya pyar ke rishte ka.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 98


Ek hafta aur Priya ke ghar me rehne ke baad Sameer ne wapas apne ghar jaane ki baat Priya ko bataya.

Karib 2 hafte iss gaanw me rehne ke baad Sameer aur Priya ki jindagi, ek dusre ke saath bartaaw air soch sab kuch badal chuka tha...Dono ke bich najdiki badh raha tha aur saath hi pyar ka suruwat dono ke dil me ho gaya tha...Priya ko apne pyar ka ehsas ho gaya tha aur Sameer apna pyar ya aakarshan (attraction) ke bich uljha hua tha.

Sameer aur Priya ke rishte ke alawa bhi bahut kuch badlaaw aa gaya tha...Bahut der se hi sahi Priya ke Papa ko apne jimmedaari aur galti ka ehsas ho gaya tha...Priya ko abb apne Maa aur Papa se koi shikaayat nahi tha...Wo apne jindagi me aaye hue badlaaw se bahut khus thi.

Maa, Papa, Sameer aur Divya sabhi ka saath usse mil gaya tha...Kuch din pehle hi wo apne jindagi me aaye tufaan ke saamne toot si gayi thi...Lekin iss tufaan ka thamne ke baad usko bahut saare khushiya mil gaya...Abb jindagi se bas usse ek hi cheej chaahiye tha...Sameer aur uska jindagi bhar ke liye ek hona...Aur usse vishwas tha ki ek din Sameer uska ho hi jaayega.

Jaate vakt Priya ke Papa ne Sameer se kaha.

P. Dad:- Sameer...Ek baat kehna hai tumse.

Priya ki iss baat par Sameer ne unko dekha aur bina kisi bhaaw se kaha.

Sameer:- Ji kahiye.

Priya ki Papa Sameer ki iss baat se samajh gaye ki Sameer ne abhi tak unhe maaf nahi kiya hai...Lekin unhone iss baat ka parwah kiye bina apni baat kehna suru kar diya.

P. Dad:- Beta ye baat mujhe tumse Priya ka vidaayi ke vakt hi kehna chaahiye tha...Lekin keh nahi saka yaa fir kehna hi nahi chaaha.

Beta abb jab apni galti ka ehsas ho gaya hai abb dar aur fikar lagne laga hai Priya ke liye...Bahut hi masoom hai meri beti...Jab tak ye hamare ghar me thi tab to maine kuch nahi kiya...Lekin abb jab sache dil se apne beti ke liye kuch karna chaahta hu to kuch kar nahi sakta...Shaayad yahi meri gunaah ka sajaa hai.

Abb wo iss ghar ki beti se jyada tumhaari patni hai...Maine aisa kuch kiya nahi hai tumhare liye aur nahi hak hai mujhe ki tumhe ye keh saku ki jo mai kahu wo tumhe maana hoga...Fir bhi ek request hi samajh lo Priya ko hamesha khus rakhna...Koi dukh nahi dena...Agar anjaane me koi choti galti ho bhi jaaye to usse maaf kar dena.

Itna kehne ke baad Priya ki Papa ki aankho me halka sa aansu aa gaya...Unhone ummeed bhari nigaho se Sameer ko dekha.

Sameer Priya ki Papa ki baato me ek baar fir ulajh gaya...Usse samajh me nahi aa raha tha ki usse kya kehna chaahiye aur kya nahi.

Kuch der chup rehne ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Aapko maine pehle bhi keh diya hai uncle...Jab tak Priya mere saath rahegi divorce se pehle usse koi dukh nahi hone dunga...Aur naahi kisi cheej ka kami.

Ye shaadi aise haalat me hua hai aur hamara shaadi aisi kamjor dor se bandha hua hai ki ye bahut jald tutne wala hai...Ye shaadi nahi hamara majburi tha...Khair fir bhi Priya jab tak mere saath hai mai hamesha uska saath dunga.

Iss baar Sameer ne bhi dhire se izzat ke saath Priya ki Papa ko emotions ko samajhte hue kaha.

Ye divorce ke baat sun kar waha maujud sabhi ko ghabrahat hone laga...Priya ke Papa ko bhi abb dar lagne laga...Wo ek baar fir sochne lage ki unhone Sameer ki aankho me Priya ke liye jo chaahat dekha tha wo sach hai ya jhuth...Sameer ki baat se lag raha tha ki ye divorce hokar hi rahega.

Abb wo yahi dua karne lage ki jo Sameer ne kaha hai wo kabhi na ho.

Kuch der ki khaamoshi ko tod kar Priya ke Papa ne kaha.

P. Dad:- Koi baat nahi...Agar ye divorce tum dono ke hi marji se ho raha hai to isme mai kya keh sakta hu...Tumhari baaton se sukoon mila ki jab tak wo tumhare ghar me hai usse koi taklif nahi hoga.

Priya ki Papa ki iss baat ke baad kisi ne kuch nahi kaha...Fir se khaamoshi ko tod kar Sameer ne kaha.

Sameer:- Accha uncle...Abb ham chalte hai.

Priya ki Papa ne haa me sar hila diya aur Priya ki taraf dekh kar kaha.

P. Dad:- Acche se rehna beti udhar...Aur kabhi kabhi hamse milne bhi aa jaana.

Priya ne apni Papa ki isa baat par haa me sar hila diya.

Uske baad Sameer aur Priya ne Priya ke Maa aur Papa ke pair chhua aur apne bike se nikal gaye.

Bike me bhi dono ke bich khaamoshi chaa gaya...Dono apne apne soch me kho gaye the.

Priya ko thoda sa dar bhi lag raha tha ye divorce ki baat sun kar...Lekin usse vishwas tha ki Sameer uska hi hai...Apne pyar par usko pura viahwas tha.

Dusri taraf Sameer bhi apne jindagi me aa rahe tufaan ke baare me soch raha tha...Aage kya hoga aur aage kya karna hoga bas yahi baato ko hi wo soche jaa raha tha.

Kareeb 15 km bike chalane ke baad Sameer ne bike ko ek ped (tree) ke niche rok diya.

Achanak se bike rukne ki vajah se hairan ho kar Priya ne pucha.

Priya:- Kya hua...Bike kyu rok diya?

Sameer:- Abhi dimaag kaam nahi kar raha hai...Kya karu kuch samajh me nahi aa raha hai...Bike aisi haalat me nahi chala sakta hu...Kabhi bhi accident ho sakta hai.

Sameer ki baato se hi lag raha tha ki wo kitna uljha hua hai.

Priya ne bhi Sameer ke haalat ko samajh liya aur kaha.

Priya:- Papa ki baat ko dimaag se nikal do...Ham dono ka rishta ka faisla to pehle ho hi chuka hai...Divorce ke liye bhi maine hi tumse kaha tha...Mai hi chaahti thi ki ye divorce ho jaaye air hokar hi rahega.

Iss baare me jyada mat socho aur muskurana bhi sikh lo.

Priya ne apni aakhiri baat kuch iss tarah se kaha ki Sameer bhi muskuraya...Priya ko abhi apna divorce se jyada Sameer ki fikar tha...Usne pehle hi dekh liya tha Sameer kis hadd tak pareshan ho sakta hai.

Wo abhi divorce ki baat ko bhula kar Sameer ke saath acche se pyar bhare pal bitaana chaahti thi.

Sameer:- Sach me tum chaahti ho ki ye divorce ho jaaye.

Sameer ne puch to liya Priya se lekin puchne ke baad pata chala ki usne kya pucha hai lekin ye samajh nahi aaya ki kyu puccha hai.

Priya ne Sameer ka uss sawal puchte vakt Sameer ki chehre ki udaasi dekh liya tha...Lekin usne apne khushi par kaabu karte hue jawaab diya.

Priya:- Ha...Lekin tum ye kyu puch rahe ho.

Priya ne bhi Sameer ka haalat ka maja lena chaaha.

Sameer:- Nahi waise hi puch liya.

Sameer ne kisi tarah jawab diya.

Priya:- Agar mai nahi kehti to?

Priya ka iss sawal se Sameer ekdam se hadbada gaya...Usse kuch samajh me nahi aa raha tha ki Priya ko kya jawaab de...Kuch der baad fir usne Priya ko jawaab diya.

Sameer:- To mai soch me pad jaata.

Priya:- Kaisa soch?

Priya Sameer ki haalat ka maja lete jaa rahi thi aur usne ye bhi mehsus kiya ki Sameer abb apna tension bhula raha hai.

Sameer:- Yahi ki mujhe kya karna chaahiye uss vakt.

Priya:- Lekin tum to abhi se soch me pad gaye ho...Maine pucha tha ki agar mai naa kehti to tum kya karte...Maine naa to nahi kaha na...Bhul jaao ye saari baatein aur aage ka socho.

Itna keh kar Priya muskuraane lagi...Sameer ko sukoon mila ki wo Priya se bach gaya.

Kuch der ki chuppi ke baad Priya ne fir Sameer se pucha.

Priya:- Aage ka kya socha hai?

Sameer:- Kuch nahi...Divorce tak jaisa bhi chalta rahega chalne deta hu...Uske baad aage ka sochunga.

Priya:- Are buddhu...Mai divorce ki baat nahi kar rahi thi...Mai tumhare office ke baare me puch rahi thi...Wohi office me kaam karoge ya kisi dusre me?

Sameer:- Mai uss office me job kaha kar raha hu...Bas time pass ke liye jaata hu...Aur abhi ye divorce tak koi bhi job nahi karunga...Kuch vakt apne present ke baare me sochunga...Agar future ke baare me aise hi soch kar pareshan hota raha to sach me ek din paagal ho jaaunga...Abhi present ko hi enjoy karunga.

Kuch aise hi baat karne ke baad Sameer aur Priya dono ka mood fresh ho gaya...Dono fir bike se chal pade apna ghar ki taraf.

Raashte me bhi dono ma hansi majaak aise hi chalta raha...Aur yahi hansi majaak me dono ko pata bhi nahi chala ki kab wo ghar pahunch gaye.

Ghar pahunchne ke baad dono ko ehsas hua ki dono ko fir se alag kamre me rehna hoga...Priya ko ye sochte hi bechaini hone laga ki abb fir se Sameer uski najaron se dur ho jaayega aur wo akeli bore ho jaayegi.

Sameer ko bhi ye baat sochne ke baad thoda ajeeb laga...Ye 2 hafte me Sameer ko bhi abb Priya ka maujudgi ka aadat pad gaya tha...Priya ke ghar me to majburi bhi tha unka saath rehna...Lekin yaha wo majburi nahi tha...Priya bhi usse alag hi rehna chaahti thi.

Issi khayal ke saath Sameer ne apne ghar me bike parking kiya...Sameer aur Priya dono bike se utre hi the ki Sameer ka mobile me mesaage ka ringtone baja.

Message padhne ke baad Sameer ka chehre ka bhaaw badal gaya..Uska chehre me dhire dhire gussa ka bhaaw aane laga.

Priya ne Sameer se vajah pucha to Sameer ne apna mobile Priya ki haath me de diya.

Priya ne mobile me dekha...Message Shruti ka tha...Usme likha tha ki

"Aaj wapas ghar aa gaye...Aur mujhe ye baat bataana bhi thik nahi samjha...Aisa kya hai Priya me jo abb tum mujhe puri tarah se ignore kar ke uske taraf kheenchte chale jaa rahe ho...Lagta hai abb mujh par se tumhara interest khatam hota jaa raha hai...Tum bhi baaki ki tarah dhokhebaaz hi nikle Sameer."

Priya ne jaise hi ye message padha uske kaano me Sameer ka gusse se bhara aawaj aane laga.

Sameer:- Pata nahi kya chaahti hai ye Ladki...Mujhse pyar karti hai ya mujhe apna pair ka dhul samajhti hai...Abb mai sab kuch bhul kar iske piche hi ghumta rahu...Bahut baar kaha ki gaanw me network bahut mushkil se aata hai lekin uske dimaag me to bhusa bhara hai.

Aur mai itna uljha hua hu fir bhi aur pareshaan karti jaa rahi hai...Uljhan me usko bhul gaya to ek choti si baat ka itna bada issue bana rahi hai...Kabhi haal acche se pucchti bhi nahi...Upar se aur torture karti hai ki abb mai usse pyar nahi karta hu...Pehle hi keh diya tha ki mai usse pyar nahi karta aur ye shaadi sabhi ki khushi ke liye kar raha hu...Lekin wo samajhti hi nahi...Hamesha piche padi rehti hai.

Abb isko kisne bata diya ki ham aaj ghar aaye hai aur ek choti si baat ka kya matlab nikaal liya.

Bahut bardaast kar liya...Abb acche se ek baar usse baat kar hi leta hu.

Itna keh kar Sameer ne Priya ka haath se mobile lekar Shruti ka number dial kiya aur mobile ko apne kaan se laga liya.

Dusri taraf Priya Sameer ka gussa hi dekhti reh gayi.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 99


Shruti ne 2 hi ring tone me phone utha liya...Wo kuch bolti usse pehle hi Sameer ne apne dil ka bhadaas aur gussa nikaal diya.

Sameer ki baat sun kar uske side me khadi Priya bhi hairan ho gayi thi...Usne Sameer ko itna gussa pehle kabhi nahi dekha tha.

Karib 15 minute baat kiya Sameer ne Shruti se...Ye 15 minute me Shruti ne bas chaar ya paanch baar hi boli...Baaki ke vakt Sameer ne apna gussa nikaalne me laga diya.

15 minute ki baat cheet ke baad Sameer ne phone rakh diya aur Priya ko dekha...Priya ki hairan aur dara hua chehra dekh wo samajh gaya ki iska vajah kya hai.

Usne apna chehra ghuma liya aur 2 second ke liye aankhe band karke khola...Wo apne gussa par kaabu karne ki koshish karne laga.Iss baar usne Priya ki taraf nahi dekha lekin apna baat kehna chalu kar diya.

Sameer:- Sorry...Jyada hi gussa ho gaya tha.

Sameer ne apna gussa par kaabu karte hue kaha.

Priya:- Itna gussa

Priya hairan ho kar boli...Aaj Sameer ka jo roop tha gusse me isse wo bhi dar gayi thi...Usse pata tha ki Sameer uss par gussa nahi hai lekin Sameer ki jordaar cheekh aur laal chehra aur aankho me fule hue laal nasha...Ye sab dekh kar wo bahut dar gayi thi.

Sameer:- Kya karu yaar...Sehne ki bhi ek hadd hota hai...Wo mere baare me na jaane kya kya bakwaas karti jaa rahi thi...Pehle hi mood kharab aur upar se uski bakwas baatein.

Ek baat mujhse bilkul bardaast nahi hota aur wo hai mere character par ungli karna...Agar mera koi galti hai to koi kuch bhi bole to mai gusse ka ghunt pee kar sun leta hu...Lekin yaha mera koi galti hi nahi hai...To kaise bardast kar lu...Self respect bhi koi cheej hota hai.

Bahut din se khud par kaabu rakh raha tha lekin aaj to hadd hi ho gaya...Ye uska decision tha mujhse shaadi karna mera nahi...Dost samajh kar uski bahut baatein sun liya maan liya lekin abb to hadd ho gaya.

Abb to wo doati ka faaidaa utha kar mujh par apna hak jamane lagi hai...Kisi bhi cheej ka ek hadd hota hai...Aur wo saari hadd paar kar rahi hai.

Be vajah mere aur tumhaare character par ungli utha rahi thi...Abb kuch bhi bolne se pehle jarur ek baar sochegi.

Kal usse milne ke liye bulaya hai...Dekhta hu wo kya chaahti hai aur achanak se aise behave kyu kar rahi hai...Bahut jaruri ho gaya hai usse aamne saamne baat karna.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Uska gussa abhi bhi shaant nahi hua tha.

Priya samajh gayi ki Sameer ko kuch der ke liye akela chhod dena hi thik rahega...Pehle se hi uska mood kharab tha...Abb usse rest ki jarurat tha...Pehle din bhar ka thakaan aur abb gusse se mood off.

Sameer sharirik aur maanasik roop dono se thak gaya tha.

Sameer bhi bina kuch bole apne room me chala gaya aur Priya bhi apne room me chali gayi.

Sameer jaaye hi bed par lait gaya...Thakaan ki vajah se usse jaldi hi neend aa gaya.

Sameer karib 3 ya 4 ghanta tak sota raha...Dusri taraf Priya bhi room me jaane ke baad Sameer ka gussa aur Shruti ke baare me sochne lagi.

Sochte sochte wo iss soch me pahunchi ki abb wo Sameer ko Shruti ke baare me jyada soch kar pareshaan nahi hone degi...Aur Shruti ke baare me Priya ne jyada nahi socha...Usse yakin tha ki jaldi hi Shruti ki assliyat Sameer ke saamne aa hi jaayega.

Sameer laghbhag 4 ghanta sota raha...Utth kar fresh hone ke baad usse sab Shruti se phone me hui saari baatein yaad aa gaya...Lekin usne iss baare me jyada nahi socha...Wo abb fir se iss baare me soch kar apna mood kharab karna nahi chaahta tha.

Fresh hone ke baad usne ghadi me time dekha...Uss vakt 9:30 pm ho raha tha...Wo utth kar Priya ke room ke samne gaya aur gate knock kiya...Priya bhi jaag gayi thi aur usne gate khola.

Sameer:- Safar se bahut thak gaya tha...Aur so kar bhi abhi utha...Abb bhukh bhi lag raha hai...Chalo kuch khaate hai.

Sameer ne normal aawaj me kaha...Priya bhi fresh ho kar Sameer ke saath nich dining room me chala gayi khaane ke liye.

Niche dining room me pahunch kar Sameer ne dekha ki uske Papa aur Maa pehle hi waha maujood hai.

Sameer aur Priya bina kuch bole apni jagah par chale gaye.

Sameer ke Maa aur Papa usse kuch puchte usse pehle hi Sameer ne kaha.

Sameer:- Sorry...Aaj aa raha hu ye baat aap dono ko bata nahi paaya...Raaste bhar network problem tha.

Sameer ne dheemi aawaj me kaha.

Mr. Sharma:- Mai bhi dekh raha hu...Shaam me 5:00 pm me tum dono ghar aaye the aur bina kuch bole apne kamre me chale gaye...Aisa kaun sa kaam tha ki hame mile bina hi apne kamre me chale gaye.

Mr. Sharma ne bahut gusse me kaha.

Sameer ko abb apne Papa se dar bhi lagne laga tha...Wo kuch bolta isse pehle hi Priya ne keh diya.

Priya:- Uncle...Ham safar se thak gaye the issi liye chale gaye the room me...Sameer kisi se baat karne ki haalat me nahi tha uss vakt...Uski koi galti nahi tha...Lekin aap dono se bina mile hi chale gaye ye hamara galti hai.

Priya ne thoda dar kar aur izzat ke saath Mr. Sharma se kaha.

Priya ki iss baat ne sabhi ko chaunka diya...Khaas kar Sameer ke Maa aur Papa ko...Priya ka Sameer ka saath dene se dono hi hairan the.

Yaha tak ki Sameer bhi hairan ho gaya tha...Usne socha nahi tha ki Priya uske Maa aur Papa ko ye keh sakti hai.

Thodi der ke khaamoshi ko tod kar Mr. Sharma ne kaha.

Mr. Sharma:- Koi baat nahi...Agar ye baat tabhi keh dete to aur accha rehta...Abb ham room me jaa kar pucch to nahi puch sakte ki vajah kya hai.

Mr. Sharma ka gussa Priya ki baato se bahut kam ho gaya tha...Pehle to unhe Sameer par bahut gussa aa raha tha apne Maa aur Papa ko ignore karne ke liye...Lekin Priya ki baat aur vajah jaan kar gussa ko control karte hue unhone kaha.

Sameer:- Sorry Papa...

Sameer ne itna hi kaha tha ki Mr. Sharma ne usse rok kar kaha.

Mr. Sharma:- Abb iss baare me koi baat nahi...Abhi thake hue ho tum dono...Khana khaao aur jaa kar rest karo.

Mr. Sharma ne thoda shakhti ke saath kaha.

Unka ye kehne ke baad kisi ne kuch nahi kaha...Sabhi shaanti se khane lage.

Lekin Priya ki kuch der pehle jo kaha tha wo abhi tak Sameer ke Maa aur Papa acche se samajh nahi paaye the.

Dono hi khaana khaate hue Sameer aur Priya ko dekh rahe the...Unhone dekha ki Sameer aur Priya dono hi ek dusre ko kabhi ka hi chor najaro se dekh rahe hai.

Unhe iss maamle ke baare me kuch kuch baatein to pata chal gaya aur dono ne ek dusre se aankho se hi baat kiya aur puccha ki kya wo jo dekh rahe hai wo sach hai?

Dinner ke vakt Sameer ke Maa aur Papa dono ne hi Sameer aur Priya ka khaamosh prem kahani ko dekha aur unhe dono ke baare me bahut kuch pata chal gaya.

Mr. Sharma ne soch liya ki abb wo Sameer se kuch dino me ek baar acche se baat karenge...Abhi tak unhone Sameer se baat karne ke liye khud ko rok rakha tha...Lekin unhe laga ki abb vakt aa gaya hai unhe Sameer se baat karne ka.

Sameer aur Priya dinner karke apne room me chale gaye iss baat se anjaan ki Mr aur Mrs. Sharma ko unke baare me bahut kuch pata chal gaya hai.

Sameer aur Priya apne room me jaa kar lait gaye...Dono hi shaam ke vakt so gaye the to dono me se kisi ko bhi abhi neend nahi lag raha tha.

Kuch der laite rehne ke baad wo bed par apne karwat badalte rahe...Dono ko aaj ek dusre ki kami mehsus ho raha tha...Dono ek dusre se baat karna chaahte the lekin alag room me hone ki vajah se kar nahi paa rahe the.

Kuch der tak dono aise hi bechain rahe.

Jab Sameer se bardaast nahi hua to wo chhat me chala gaya iss ummeed se ki Priya bhi uske piche piche aayegi.

Uska ye ummeed sach me badal gaya...Sameer ka pair ki aawaj sun kar Priya bhi kuch der baad chhat me pahunchi.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 100


Priya jab chhat me pahunchi to usne dekha ki Sameer chhat ke ek kone me baitha tha...Wo niche ki taraf dekhte hue khada tha.

Priya chal kar uske paas pahunch gayi...Sameer ko bhi Priya ki kadmo ke aawaj se pata chal gaya ki Priya uske piche aa rahi hai.

Ye ehsas hone ke baad usne piche mud kar Priya ko ek smile ke saath dekha lekin kuch bola nahi.

Priya ne bhi Sameer ka smile ka jawaab muskura kar diya aur pucha.

Priya:- Abhi tak soye nahi.

Sameer:- Neend nahi lag raha hai.

Priya:- Kiski yaado me?

Priya ne muskura kar pucha lekin Sameer achanak iss sawal se hadbada gaya...Bahut jald usne khud ko sambhal liya aur kaha.

Sameer:- Nahi...Aisi koi baat nahi...Shaam me bahut soya issi liye abhi neend nahi aa raha tha.

Priya:- Sach mein...Lekin tumhaari baato se to aisa nahi lag raha hai.

Priya ne Sameer ki haalat par muskuraate hue pucha.

Sameer bhi abb kuch hadd tak sambhal gaya tha.

Sameer:- Meri baat aur shakal par mat jaao...Vakt aur haalat ke saath saath badalta rehta hai.

Priya:- Girgit ki tarah.

Ye kehte hue Priya thoda aur tej hasne hai...Sameer ko to suru me baat bilkul bhi samajh me nahi aaya...Lekin jab baat ko samjha aur Priya ka hansi dekha to wo bhi hasne lagi.

Sameer:- Nahi...Insaano ki tarah.

Sameer ko bhi iss majaak me abb majaa aane laga tha.

Priya:- Ye hansi majaak me bhul hi gayi...Kiski yaado me tumhaara neend gaayab ho gaya tumhara...Kahi wo Shruti to nahi.

Priya ne fir se wohi baat chhed diya...Shruti ka naam Priya lena to nahi chaahti thi lekin fir bhi Sameer ka reaction dekhne ke liye usne le liya.

Sameer:- Kisi ki yaado me nahi...Shruti ki yaadon me to bilkul bhi nahi...Filhaal to uske baare me kuch sochna bhi nahi chaahta hu.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Sameer ne bahut hi gusse me kaha...Shruti ka naam se uska mood off ho gaya.

Priya ko bhi afsos hua apni baat par...Kaha wo Sameer ka Shruti ke prati soch dekhna chaahti thi aur kaha usne Sameer ka mood off kar diya...Usse bhi samajh me nahi aaya ki usse kya karna chaahiye...Wo bhi chup ho gayi.

Kuch der baad Sameer ko bhi ehsas ho gaya ki wo bekar me hi itna gussa ho gaya hai...Usse bhi mehsus hua ki uska gussa ne hansi aur majaak ke maahaul ko khatam kar diya.

Usne apne mood ko fir se thik karte hue kaha.

Sameer:- Waise bhi abhi tak aisa koi mila nahi jo mera dil chura sake...Ya yun kaho ki uski yaado me mai kho jaau.

Bahut hi sakht ladka hu...Pyar naam ka rog mujhe chhu bhi nahi sakta.

Sameer ne fir se pehle ka jaise maahaul banate hue kaha.

Priya Sameer ki baat se bahut khus ho gayi ki Sameer ne fir se baat karna suru kar diya.

Priya ne bhi Sameer ke hi andaaj me kaha.

Priya:- Sakht ladka hi prem jaal me aasani se fas jaate hai Mr. Sameer...Abhi to dawe ke saath keh rahe ho ki tumhe pyar nahi hoga...Lekin dekhna bahut jald tum bhi iss jaal me fas jaaoge.

Priya ne bhi confident ke saath kaha.

Sameer:- Tumhaari baato me mujhe bilkul bhi sachaayi najar nahi aa raha hai...Lekin dekhte hai kaun hai wo ladki jiski prem jaal me mujh jaisa innocent ladka fasta hai.

Sameer ki baat sunne ke baad Priya ne apne man me kaha.

Priya:- (In her mind) Wo ladki tumhare saamne hai Sameer...Dekhna bahut jald tumhe bhi mujhse pyar ho hi jaayega...Mujhe pata chal gaya hai ki tum bhi mujhse pyar karne lage ho aur bahut jald tum khud mujhse ye baat kahoge.

Priya ko apne soch me dekh kar Sameer ne kaha.

Sameer:- Kya hua...Kya soch rahi ho?

Sameer ki iss baat se Priya apne sunhere khwaab se baahar aayi.

Priya:- Kuch nahi.

Itna kehne ke baad dono ke bich kuch der ke liye khaamoshi chha jaata hai...Aur iss khaamoshi ko tod kar Priya kehti hai.

Priya:- Tum abhi tak soye nahi...Kal office jaane ka program nahi hai kya.

Priya ne thoda hairani ke saath pucha.

Sameer:- Nahi.

Priya:- Kyu

Sameer:- Kal jaane ka mood nahi hai...Ek do din office nahi jaaunga...Kal Shruti se bhi milne jaana hai...Ek do din me acche se fresh ho jaaunga...Uske baad aage ka sochunga.

Priya ko Sameer ka Shruti se milne jaane ki baat accha nahi laga...Lekin iss baare me usne kuch nahi kaha aur filhaal kuch keh bhi nahi sakti thi.

Fir se ek baar dono ke bich khaamoshi chaa gaya.

Iss khaamoshi ke dauran Sameer Priya ko dekhta raha...Priya ne bhi iss baat ko notice kiya...Sameer kuch der tak aise hi dekhta raha...Jab Priya se raha nahi gaya tab usne pucha.

Priya:- Kya dekh rahe ho.

Sameer:- Sach me tumse baat karne me bahut accha lagne laga hai...Bahut hi acchi baatein karti ho tum...Yahi dekh raha tha ki kitna bada galti kar diya maine tumse college ki pehle din hi ladaayi karke...Uss vakt ek acche dost ko kho diya maine.

Sameer ne thoda afsos ke saath kaha.

Priya:- Lekin ham dost kab bane.

Priya ne aisa dikhaana chaaha ki Sameer ne galat baat keh diya hai.

Sameer:- Jis din tumse baatein karna accha laga ussi din se tumhe apna dost maan liya...Maine tumhe apna dost maan liya hai...Abb ye tum par depend karta hai ki tum mujhe apna dost maanti ho ya nahi.

Sameer ne ek dam simple tarike se kaha.

Priya:- Mai bhi tumhe apna dost maanti hu.

Priya ne bhi Sameer ka dosti ka proposal accept kar liya.

Sameer:- Mai jaanta hu.

Priya:- Kaise?

Sameer:- Itna to akal hai mujh me ki saamne walo ke chehra dekh kar thoda bahut samajh jaau ki wo mere baare me kya sochta hai.

Sameer ne muskura kar jawaab diya.

Sameer ka ye kehne ke baad kuch pal ke liye fir se ek khaamoshi chha gaya...Aur isse tod kar fir Sameer ne kaha.

Sameer:- Tum mere sacche dosto me se ek ho.

Sameer ki ye baat sun kar Priya bahut khush hui aur boli.

Priya:- Itni jaldi saccha dost bhi maan liya.

Priya ki aawaj me hairaani aur khushi dono tha.

Sameer:- Dosti apne aap ho jaata hai...Aur tum to mera wo dost ho jisne mera mushibat me bhi saath diya...Apna dushmani bhula kar tumne mera saath diya tha aur mujhe mera mushkilon se baahar nikala tha.

Sach me tumhaari dosti ka koi jawaab nahi...Tumhe dekh kar mujhe khud se hi nafrat hone lagta hai ki kitna galat kiya maine tumhaare saath.

Sameer ne thoda aatmaglaani ke saath kaha.

Priya ko accha nahi lag raha tha ki Sameer fir apne bhool ke baare me soch kar pareshan ho raha hai.

Priya:- Abb jo ho gaya wo ho gaya...Tumhe apne bhool ka ehsas hua aur tumne iske liye dil se maafi maanga wo hi bahut hai...Abb ye baatein bhul jaao aur aisa aage na ho iss baat pe dhyan do.

Sameer:- Aage se kabhi aisa karna to dur karne ka sochunga bhi nahi...Bas ek request hai tumse.

Priya ne Sameer ka iss baat ka koi jawaab nahi diya...Usne Sameer se aankho ki ishaaro se hi pucha.

Sameer:- Sache dosto ki kami bahut khal raha hai mujhe...Mera mushibat ke vakt me bas Rajesh, Mahesh aur tumne mera madad kiya...Mai tumse bas itna kehna chaahta hu ki kabhi ye dosti todna mat.

Sameer ne request karke kaha...Usse pata hi nahi chala ki usne Priya se ye baatein kaise keh diya...Khud ba khud uske dil se ye aawaj nikla.

Priya:- Dosti kiya hai to usse nibhaaungi bhi...Hamara ye dosti kabhi nahi tutega.

Priya ne bhi Sameer ko yakin dilaate hue kaha.

Iske baad Sameer aur Priya ke bich aise hi baatein kuch der hua...Jab Priya ko neend aane laga to wo niche sone chali gayi.

Sameer se aaj baat karke wo bahut hi khus thi.

Sameer bhi Priya ko jaate hue piche se dekh raha tha aur muskura kar khud se hi kehne laga.

Sameer:- (In his mind) Sach me jaadu hai Priya ki baato me...Aisi baat karti hai ki lagta hai ki usse baat karta hi jaau...Kabhi humaara baat khatam hi na ho.

Sameer ke dil me ye chhoti si baat cheet bhi abb muskaan aur pyar ka roop lene laga tha...Wo apne dil ki haal se anjaan tha aur uska dil usse hi dhokha dene laga tha.

Sameer ye sab soch hi raha tha ki uske mobile me phone aaya...Phone me dekha to Rajesh ka call tha...Sameer ne turant phone utha liya.

Sameer:- Ha bol yaar.

Rajesh:- Gaanw se aa gaya aur mujhse ek baar baat bhi nahi kiya.

Rajesh ne thoda gusse me kaha.

Sameer:- Thoda busy tha yaar...Issi liye bata nahi paaya.

Rajesh:- Kal tujhse milna hai.

Sameer:- Kya baat hai...Sab thik to hai na.

Sameer ne thoda chinta ke saath pucha.

Rajesh:- Ha sab thik hai...Ek jaruri baat hai jo kal mil kar hi karenge.

Sameer:- Ok thik hai...SMS kar de mujhe kaha milna hai...Time me pahunch jaaunga.

Itna keh kar Sameer ne call cut kar diya aur niche sone chala gaya.

Dusri din Sameer subah 7:00 am me utha aur fresh ho kar Rajesh se milne chala gaya.

Rajesh ne Sameer ko ek Cafe me bulaya tha...Jab Sameer Cafe me Rajesh ke paas pahuncha to usne dekha ki Rajesh phone me kisi ke saath baat kar raha hai.

Rajesh ka peeth(back) Sameer ki taraf tha to Rajesh ko pata nahi chala ki Sameer uske paas aa gaya hai.

Sameer ne bhi Rajesh ko disturb kiye bina usko baat karne diya...Rajesh befikar kisi se phone me baat kar raha tha...Baato ke dauran usne aisi baat keh diya jisse sun kar Sameer hairan ho gaya aur usse gussa bhi aane laga.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,776
37,573
219
Friends aaj 4 updates post kiya hai...Padh kar apna feedback jarur dijiye.
abhi to ishq ka rang gaadha hota ja raha hai..........jo priya ke ma-papa ko hi nahi...sameer ke maa papa ko bhi pata chal gaya
shruti se mohbhang..............
lekin ye rajesh kisse bat kar raha haiiiiiiiiiiiii
aur kya bat hui..............
shayad shruti ya neha ko lekar hi kuchh hai
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
abhi to ishq ka rang gaadha hota ja raha hai..........jo priya ke ma-papa ko hi nahi...sameer ke maa papa ko bhi pata chal gaya
shruti se mohbhang..............
lekin ye rajesh kisse bat kar raha haiiiiiiiiiiiii
aur kya bat hui..............
shayad shruti ya neha ko lekar hi kuchh hai
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 
Top