• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 94


Sameer Priya ka sawaal ka intejaar karta hi reh gaya lekin Priya ne kuch nahi pucha.

Priya iss vakt koi bhi sawaal jawaab karne ki haalat me nahi thi...Sameer se alag hone ki baat se usse bhi bahut bura lag raha tha...Aisa lag raha tha jaise ye sab galat ho raha hai.

Ek najar Sameer ki chehre par dekha aur uski aankho me dekhne lagi...Pehli baar Priya ne Sameer ki aankho me dekha ye jaane ke liye ki Sameer uske baare me kya sochta hai aur kis najar se dekhta hai.

Lekin Sameer ki aankho se usse kuch khaas jawaab nahi mila...Usse Sameer ki chehre me thoda sa ghabrahat aur thoda sa dukh hi najar aaya...Isse usse kuch bhi andaaza nahi hua ki Sameer uske baare me kya sochta hai.

Ha lekin thoda sa badlaaw usne Sameer me mehsus kiya jiska vajah wo saaf tarike se jaan nahi paayi thi.

Priya bas Sameer se alag ho jaane ki baat sun kar itna dukh kyu ho raha hai aur uske baad ke haalat kya honge yahi sab soch rahi thi.

Disri taraf Sameer bhi bahut der tak Priya ka sawaal ka intejaar kar raha tha...Lekin jab usse laga ki Priya kuch bhi nahi puchegi tab usne hi puch liya.

Sameer:- Priya...Mai thoda baahar fresh ho kar aata hu.

Priya ne bhi haa me sar hila diya...Usse bhi kuch vakt akela rehne ke liye mil gaya aur apne dilo me utth rahe sawalo ka jawaab dhundne ke liye bhi.

Priya ka jawaab milne ke baad Sameer ek pal bhi waha nahi ruka aur jaldi se nikal gaya ghar se baahar.

Baahar chalta gaya aur karib 200 meter aage ek khet me jaakar ruka...Khet me ek bada sa patthar me baith gaya.

Aur waha baith kar khud se hi sawal jawaab karne laga.

Sawal bhi sirf ek hi tha..."Kyu aaj kal wo Priya me itna interest le raha hai aur kyu usse Priya se dur hone ka soch se itna dukh hone laga hai."

Bahut sochne ke baad usko ek jawab mila aur usne khud se hi kaha.

Sameer:- ( To himself) Kahi mujhe Priya se pyar to nahi ho gaya jo mai bas uske baare me hi sochne lag gaya hu...Jab wo saath hoti hai aur mujhse baat karti hai to bahut sukoon milta hai...Aur usse dur ho jaane ki baat se hi ek ajeeb sa dar lagta hai.

Ye khayal aate hi Sameer buri tarah se hil gaya aur utth khada hua.

Chehre pasina se bheeng gaya aur chehre me dar aur thoda sa gussa ka bhaaw aa gaya.

Fir se ek dari hui aawaj me kaha.

Sameer:- Nahi nahi ye pyar nahi hai...Aur naa hi hona chaahiye...Agar ye pyar hai to bahut galat ho raha hai.

Sab kuch fir se tabaah ho jaayega...Shruti aur mera rishta...Uska aur uska parents ka mujh par jo vishwaas hai wo sab ek pal me toot jaayega.

Picchli baar jo bhi hua wo anjaane me mujhse ek bhool ho gaya tha...Lekin iss baar jaan bujh kar dobara se bhool kar raha hu...Pata hai mai galat raaste ki taraf badh raha hu lekin khud ko rok bhi nahi raha hu.

Isa baar sach me mai sab ka gunehgaar ban jaaunga.

Ye pyar na jaane kitna rishta tod dega aur samaaj me hamaare ghar ka badnaami hoga wo alag.

Aur sabse badi baat mai kis munh se kahunga Priya se ki mai usse pyar karta hu...Mai uska gunehgaar hu aur rahunga...Maine uske liye kabhi kuch accha kiya bhi nahi hai...Hamesha usko takleef hi diya hai aur apna gussa dikhaaya hai...Wo kyu mujhse pyar karegi.

Aur maine ye baat bol bhi diya to pata nahi wo kya sochegi mere baare me aur mere charecter ke baare me.

Usne mujhe maaf kar diya yahi kaafi hai mere liye...Wo mere pyar ko samajhna to dur mujhse aur nafrat karne lagegi.

Kisi bhi tarah se ye pyar kisi ke liye thik nahi rahega...Iss pyar me sirf mushibat hi hai iss pyar ka koi bhavisya(future) nahi hai...Behtar yahi hai ki mai apna kadam yahi rok lu.

Warna mera bhi wohi haal hoga jo Mahesh ka hua tha...Pyar tutna ka dard pehle hi maine dekh liya hai abb isse mehsus karna nahi chaahta...Bahut bura haal hua tha Mahesh ka...Uske paas to ek vajah tha aage badhne ka...Uska pyar ka haar nahi hua tha balki bewafaayi hua tha uske saath.

Lekin mere saath ye nahi hoga...Priya to mujhse pyar karti bhi nahi hai aur karegi bhi nahi...Mai hi paagalo ki tarah deewana banta chala jaaunga aur aakhiri me mera hi dil tootega.

Iss tarah se mai naa hi khud ka khayal rakh paaunga aur naa hi apna pariwar ka.

Behtar yahi hoga ki mujhe khud ko abhi sambhalna hoga aur ye sab anjaam ko rokna hoga.

Ye pyar nahi mera sabse bada bhool hone wala hai.


Itna kehne ke baad Sameer ka dar aur bhi badh gaya...Iss pyar ka anjaam sochte hi uske chehre ke bhaaw aisa ho gaya jaise wo bahut dar gaya hai aur bahut hi uljhan me hai.

Shruti ke saath hone wali shaadi, Ghar ki izzat aur Priya ke saath uska relation ye sabhi baaton ne Sameer ko majbur kar diya iss pyar aur iska anjaam ke baare me sochne ke liye.

Khud ko thodi der samjhaane ke baad Sameer ne fir se kaha.

Sameer:- Nahi ye pyar nahi ho sakta...Aakhir kaise mujhe do din me pyar ho sakta hai...Kuch samay pehle tak nafrat karta tha mai Priya se aur kuch hi dino me pyar kaise ho sakta hai.

Ye pyar nahi attraction hai...Do din me haalat aise ban gaya ki mai uski taraf attract hone par majbur ho gaya...Aur ye attraction bas kuch hi dino ka hai...Bahut jald ye attraction bhi khatm ho jaayega aur sab kuch fir se thik ho jaayega.

Ha ye attraction hi to hai...Mai bhi na isse pyar ka naam de kar bekar me dar raha tha.

Itna keh kar Sameer ne apne chehre me muskaan laane ka koshish kiya...Aur issi tarah se khud ko jabardasti samjhaane laga ki ye pyar nahi attraction hai.



Dusri taraf Priya ka bhi bura haal tha...Wo bhi khud se wohi sawal puchne lagi jo Sameer ne khud se pucha tha.

Priya ko bhi abb thoda thoda apna pyar ka ehsas hone laga...Wo bhi bahut uljhan me thi ki agar ye pyar hai to iska anjaam kya hoga.

Kya Sameer uske pyar ko samjhega? Kya iss pyar ka koi future hai? Aur sabse bada sawal Achanak hi do din me usse Sameer se kaise pyar ho gaya?

Jis Sameer se wo bahut jyada nafrat karti thi aakhir ussi Sameer se 2 din me hi kaise pyar kar sakti hai...Wo Sameer usse achanak se kyu apna lagne laga hai jiska khud se dur hone par bhi dar lagne laga hai.

Bahut der tak khud se hi wo ye sawal karti hai ki aakhir Kaun hai Sameer? Aur kya maayine rakhta hai Sameer uske jindagi me?

Ek baar fir Sameer se hua pehli mulaakat se aakhiri mulaakat tak ki baat sochne par wo majbur ho gayi.

Sameer me usne achanak hi jo badlaaw mehsus kiya usse dekh wo bahut hairaan reh gayi.

Jo Sameer pehle uska dushman hua karta tha aaj wo uska dost hai...Shaayad dost se bhi thoda upar...Jo Sameer ne uska jindagi barbaad karne ka socha tha aaj ussi Sameer ne uski jindagi me ek naya khushiya de diya uske Papa ko sudhaar kar...Jo Sameer ko wo ghamandi aur awara sochti thi aaj uske baare me uska khayal bahut badal gaya tha.

Wo abb mehsus kar rahi thi ki shaayad usse bhi Sameer se pyar ho gaya hai lekin usse bhi vajah samajh nahi aaya ki usse kaise itni jaldi Sameer se pyar ho sakta hai?

Aakhir me usne bhi iss pyar ka future soch iss pyar ko attraction ka naam de kar bhulne ki koshish me lag gayi.



Wo yahi sab soch rahi thi ki kuch der baad Sameer bhi aa gaya room me...Chehre se lag raha tha ki wo bahut gambhir soch me hai.

Dono ka mood bahut i kharaab tha aur dono ek dusre se baat karne ki haalat me nahi the.

Dono ke bich ek khaamoshi chaa gaya...Aur ye khaamoshi tab tak raha jab tak Priya ke Maa ne dono ko dinner ke liye bulaaya.

Dinner karne ka man to dono me se kisi ka bhi nahi tha...Par koi bahana bhi nahi tha...Dono chale gaye dinner karne.

Dono ke dimaag me abhi bhi bahut halchal macha hua tha...Koi kisi se baat nahi kar rahe the...Dono ko aise khaamosh aur gehri soch me dekh Priya ke parents ko bahut ajeeb laga par unhone kuch bola nahi.

Jab Sameer ne dinner kar liya aur uthne wala tha tab Priya ke Papa ne usse kaha.

P. Dad:- Sameer tum se ek baat kehna tha.

Sameer ka baat karne ka mood to nahi tha lekin fir bhi usne sar ko haa me hila kar sehmati diya.

P. Dad:- Beta mujhe pata nahi mujhe ye baat tumse karna chaahiye ya nahi...Bas ek request hai agar thik laga to maan lena warna maaf kar dena.

Priya ki Papa ki baat se kisi ko samajh me nahi aaya ki aakhir wo kehna kya chaahte hai...Sameer ke saath sabki najar unke taraf mudd gaya aur unki baat ka intejaar karne lage.

P. Dad:- Beta mujhe bahut bura lag raha hai ki maine apna saara jindagi daru me barbaad kar diya...Iss daru ki chakkar me mai apne pariwar se dur ho gaya khaas kar apni beti Priya se.

Kabhi bhi apni beti ko uska hak nahi diya...Aur naa hi apne jimmedaari ko nibhaya...Hamesha takleef hi diya hai...Aaj tak sukh ka jindagi kya hota hai usne mehsus nahi kiya hai.

Khair abb pachtaane se kuch nahi hoga...Abb vakt beet chuka hai aur waapas nahi aayega...Aur naahi mera jindagi ka koi bharosha hai...Itna daru pee liya hai ki pata nahi kab maut aa jaaye.

Aakhiri iccha bhi keh sakte ho isse...Mai apni beti ka khushi chaahta hu aur chaahta hu ki abb ye jindagi bhar khus rahe.

Please Sameer meri beti ko hamesha khus rakhna...Bahut acchi hai meri beti...Agar nadaani se koi choti galti ho bhi gaya to maaf kar dena...Jindagi bhar saath dena Priya ka...Pata nahi ye sab kehme ka hak ya fir ye sab maangne ka hak mere paas hai ya nahi lekin fir bhi tumse maangna chaahta hu...Please mana mat karna.

Itna keh kar Priya ke Papa chup ho gaye aur Sameer ko dekh uska jawaab ka intejaar karne lage...Unhone jo bhi kaha tha sacche man se kaha tha.

Abb unhe bhi Priya ka bahut fikar hone laga tha...Itne dino me unhone bhi mehsus kar liya tha ki Sameer aur Priya ka rishta kuch thik nahi chal raha hai jaise dono hamesha khaamosh rehte hai unke aur Priya ke Maa ke saamne...Dono aise behave karte hai jaise dono ek dusre se anjaan hai.


Sameer bhi Priya ke Papa ka request sun kar soch me pad gaya ki usse kya kehna chaahiye...Unka baat ka kya jawaab de issi soch me wo fir se ulajh gaya...Kuch pal sochne ke baad usne jawaab diya.

Sameer:- Aap fikar mat kijiye...Mujhe apni jimmedaari ka ehsaas hai aur usse nibhaaunga bhi...Jab tak hamaara divorce nahi ho jaata tab tak Priya ko koi taklif naa ho iska mai pura khayal rakhunga.

Sameer ke chehre me koi bhi bhaaw nahi tha...Divorce ki baat kehte vakt fir usse bura lag raha tha lekin kisi tarah khud par kaabu rakha.

Divorce ki baat sunte hi Priya ki Papa aur Maa dono chaunk gaye...Kisi ko Sameer ki baat par yakin nahi hua.

P. Dad:- Di...Divorce...Lekin kyu?

Priya ki Papa ne hakla kar aur chaunkte hue pucha.

Sameer:- Abhi tak nahi bataya Priya ne aapko?

Sameer ne bhi hairaani ke saath pucha.

P. Dad:- Nahi...Lekin vajah kya hai iss divorce ka.

Priya ke Papa ka hairaani aur dukh har badhta hi jaa raha tha.

Sameer:- Priya se hi puch lijiye...Yahi behtar hoga.

Sameer abb kuch baat nahi karna chaahta tha iss topic par aur bina kuch bole chala gaya apne room me.

Sameer ke jaane ke baad Priya ka Maa aur Papa ka najar Priya ki taraf mood gaya...Priya ko Sameer ki baat sunne ke baad fir se usse khone ka dar lagne laga...Lekin usne ye dar apne Maa aur Papa se chupa kar itna hi kaha.

Priya:- Iss baare me mai aap dono se kal baat karungi.

Priya ka bhi abhi iss baare me baat karne ka mood nahi tha...Wo itna keh kar chali gayi apne room me.

Priya ki Maa aur Papa ek dusre ko dekhte reh gaye lekin kuch nahi bole.

Apne room me pahunch kar Priya ne dekha ki Sameer blanket se apna face cover kar ke so raha hai.

Priya bhi light off karke bina kuch bole chali gayi apne bed me sone.

Dono sone ki puri koshish kar rahe the lekin aaj din bhar jo bhi hua uss yaad me dono ko neend hi nahi aa raha tha...Dono Pyar, attraction aur judaai ki baato me raat bhar sochte rahe.

Shaadi ki raat ke baad ye sabse mushkil raat tha dono ke liye...Aaj bhi dono khud se hi lad rahe the apne feelings ko jaane ke liye.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 95


P. Mom:- Kya hua Priya tujhe? Teri aankh itni laal kyu hai?

Priya ki Maa ne subah Priya ke room me jaate hi puch liya...Priya ki Maa ne jab Priya ka udaas aur latka hua chehra dekha tab wo bhi ghabraa gayi.

Iss vakt room me Priya aur Priya ki Maa hi the...Sameer iss vakt ghar me nahi tha.

Priya:- Raat me bahut der baad neend aaya...Aur abhi kuch der pehle hi utthi hu soo kar.

Priya ne bahut hi udaas aawaj me kaha...Uske aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitna dukhi hai.

P. Mom:- Priya tu thik to hai na...Teri swar bahut bhaari lag raha hai.

Priya ki Maa ne ghabra kar aur fikar ke saath pucha.

Priya ne kuch nahi kaha bas sar haa me hila diya ki wo thik hai.

P. Mom:- Tu Sameer se pyar karti hai na?

Iss baar Priya ki Maa ne Priya se sidha sawal puch liya.

Priya iss sawal se ekdam chaunk gayi aur sar utha kar apni Maa ko dekha...Fir dhire se boli.

Priya:- Ha

Aur agle hi pal uski aankho se aansu aa gaya.

Priya ki aawaj me ek dard tha...Abb Priya ki Maa se bhi raha nahi gaya...Turant unhone Priya ko baaho me bhar liya...Aur baalo ko pyar se sehlaane lagi.

Kuch der baad unhone pucha.

P. Mom:- Tu ro kyu rahi hai...Aur ye bata ki tum aur Sameer dono alag kyu ho rahe ho?

Priya ki Maa ne pyar aur fikar ke saath pucha.

Priya:- Maa ye shaadi nahi...Ek majburi tha...Ham dono ki shaadi majburi me hua tha...Papa ne mujhe majbur kar diya aur Sameer apni galti ki vajah se majbur ho gaya.

Shaadi ki pehli ya dusri raat me hi maine Sameer se divorce maanga tha...Aur usne bhi haa keh diya.

Priya ki aankho me aansu aur aawaj me dard tha...Priya ka ye haal dekh uski Maa ka bhi bahut bura haal ho raha tha...Unhone Priya ka aisa dard dusri baar hi dekha tha...Pehli baar shaadi ki vakt me aur dusri baar abb.

Pehli baar to wo Priya ke liye kuch nahi kar paayi thi lekin abb jitna ho sake utna Priya ko iss dard se baahar nikalna chaahti thi.

P. Mom:- Acche se bata Priya...Baat kya hai...Tu Sameer se pyar bhi karti hai aur divorce bhi lene jaa rahi hai...Kya vajah ya majburi hai teri? Saaf saaf bata Priya...Mai sab kuch thik kar dungi.

Priya:- Nahi Maa...Kuch thik nahi kar paayengi aap aur nahi mai bhi kuch thik kar sakti hu.

Mai Sameer se pyar karne lagi hu...Lekin Sameer mujhse pyar karta hai ya nahi ye baat mujhe pata nahi hai.

Aur nahi puchne ki himmat bhi hai...Maine hi usse divorce ki baat kiya tha...Tab mai usse bahut nafrat karti thi aur kabhi socha nahi tha ki mai usse pyar kar baithungi...Aaj bahut dar lag raha hai Maa...Sameer se judaa hone ka bahut dar lag raha hai.

Jab se mai Sameer ke ghar gayi hu tab se ek alag hi Sameer ko dekha hai...Ye wo Sameer nahi tha jisko maine jaana tha jisko maine dekha tha...Jis Sameer ko mai jaanti thi aur jo asli Sameer hai usme jameen aasman ka fark hai.

Bahut badi misunderstanding ho gaya tha mujhe Sameer ko jaane me.

Jab se usko acche se jaana hai tab pata chala hai ki wo kitna accha aur saccha hai.

Sabse pehle to maine ye dekha ki wo apne Maa aur Papa ka kitna respect karta hai...Jab mera shaadi usse hua aur mai uske ghar me gayi tab usne sidhe jaakar apne parents se apne galti maan liya...Uske Papa ne usko maara bhi aur bahut daanta lekin usne kuch nahi kaha...Apna galti maan liya.

Aisa ek ya do din tak nahi hua...Aaj tak hota aa raha hai...Sameer ke Papa aaj bhi Sameer se naraaj hai aur iss baat ka bahut dukh bhi hai Sameer ko...Lekin usse apne Papa se koi shikaayat nahi hai aur unhe sahi maan raha hai.

Iske baawjood maine dekha hai ki wo apne parents ke saath kaise politely behave karta hai aur unhe kitna maanta hai.

Jab usne mujhe apna bhool ke baare me bataya tab pata chala ki usme kitna insaaniyat hai...Khud ki jaan ki fikar na karke kisi anjaan ko bachana ya fir insaaniyat ke naam me apne dushman ka bhi saath dena.

Apne dosto ho ya fir koi aur wo sabhi ke saath bahut acche se baat karta hai aur respect deta hai.

Aur sabse badi khubi usme mujhe tab najar aaya jab usne sach me dil se apni bhool ka maafi maanga.

Wo jaanta tha ki mai usse maaf nahi karungi aur usse bura bhala kahungi...Fir bhi usne koi fikar nahi kiya aur apna galti ka maafi maangta raha...Mai bhi samajh sakti hu ki jisse ham itna nafrat karte hai aur wohi hame jaleel karta hai to kitna bura lagta hai.

Lekin tab Sameer ne apna self respect bhul kar apna galti ka maafi maangta raha...Jab bhi wo maafi maangta tha tab sirf apna galti ki hi baat karta tha.

Kabhi usne mujhse ye nahi kaha ki tumhara bhi galti hai ki pehle tum aur Karan aa kar mujhe irritate karte the isa liye mai tum logo se nafrat karne laga.

Aaj sochti hu tab lagta hai ki galti mera bhi tha thoda sa...Lekin usne jo kiya shaayad usse mai kabhi maaf nahi karti...Lekin uski acchaayiyon ne mujhe majbur kar hi diya usko maaf karne ke liye.

Ha usse ek bada galti hua tha lekin wo anjaane me hua tha...Iss galti ka usne praayaschit bhi kiya...Sache dil se maana bhi...Aur Sameer ko iss galti karwane me Shruti ka haath tha.

Inn dino me maine ye jaana ki Sameer kitna accha ladka hai jisko mera soch ne galat bana diya...Ye sab jaante hue bhi mai usko maaf nahi kar paa rahi thi.

Lekin jab usne yaha aakar anjaane me hi Papa ko badal diya tab ye saari baatein sochne par mai majbur ho gayi aur uss vakt mera saara gussa aur nafrat Sameer ke liye pighal gaya...Aur maine usse maaf kar diya.


Uske baad jo baat cheet suru hua hamaare bich usne sab kuch badal diya...Jab bhi wo baat karta hai to aisa lagta hai ki uski baat sunti hi chala jaau...Uski baato ki paagal pan aur majaak sunne me bahut majaa aata hai.

Yahi chhoti chhoti baat aur uska mujhse baat karne ka tarika mujhe uski taraf kab khinchta chala gaya pata hi nahi chala...Yahi 2 dino me mujhe Sameer se pyar ka ehsas ho gaya.

Subah se shaam tak har pal bas usko hi dekhne ka man karta hai...Man karta hai ki wo meri najaro ke saamne hi rahe aur mujhse baatein karta rahe...Jab se Sameer ko maaf kiya hai uski baatein bahut accha lagne laga hai...Bas yahi chaahti hu ki mo mujhse baat kare aur mai usse baat karti rahu.

Jab kuch pal ke liye bhi usse alag hoti hu to bilkul bhi accha nahi lagta hai...Pata nahi ye 2 din me kaisa jadoo ho gaya ki uske aur paas khinchti chali jaa rahi hu...Wo paas rehta hai to dil ko sukoon milta hai aur wo dur rehta hai to udaasi chaa jaati hai.

Jab kal usne pehli baar divorce ki baat kaha to bahut bura laga...Aisa laga jaise koi apna mujhse alag ho raha hai...Tab jaa kar pehli baar ehsas hua ki Sameer mera dil ki gehraayi tak bas gaya hai...Jab kal raat usne divorce ki baat kaha tab raat bhar mai issi ke baare me sochti rahi.

Raat bhar har pal bechaini aur dar laga hi raha...Uss vakt mujhe ehsas hua ki mai usse pyar karne lagi hu...Jab usko chot laga to dil ek dam se ghabra gaya...Chot usse laga aur dard mujhe mehsus hua...Abb to uska choti si choti baato ki bhi fikar hone laga hai mujhe.

2 din me ek aisa bhi pal nahi tha jab uske baare me maine nahi socha ho...Har pal uske baare me sochte vakt chehre me ek muskaan aa jaata tha...Ek alag hi lagaaw ho gaya tha usse jise mai jaan nahi paayi thi...Lekin abb pata chala ki wo pyar ka suruwat tha.

Abb mujhe yakin ho gaya ki pyar kisi se bhi kisi pal ho jaata hai...Ye baat mujhe tab pata chala jab mujhe ye dar sata raha tha ki mai Sameer se bahut jald dur ho jaaungi...Pyar ka ehsas to bahut pehle hi hua tha lekin samajh nahi paayi thi...Achanak judaai ka khayal aate hi pyar ka ehsas ho gaya...Tab mujhe pata chala ki jo insaan mujhse judaa ho raha hai wo mere liye kya maaine rakhta hai...Uska kya jagah hai meri jindagi me...Ye saari baatein hi kal raat bhar socha maine tab jakar ye ehsaas hua ki mai Sameer se pyar karne lagi hu.

Jab Sameer ne divorce ka baat kaha tab ye dar sataane laga ki ye divorce hone ke baad mera kya haal hoga...Abhi ek pal ki judaai bardast nahi hota...Baad me jindagi bhar ka judaai kaise seh lungi...Ye baat sochte hi dil me bahut dard mehsus hone laga...Haalat aisa ho gaya hai abb ki na roo paa rahi hu aur na chain se jee paa rahi hu.

Itna keh kar Priya chup ho gayi...Ye kehte vakt Priya ke chehre me ek utsaah aa gaya tha...Apna pyar ke baare me kehte vakt uske chehre me bahut utsaah tha...Lekin apni baat khatam karne ke baad fir ek udaasi.

Priya ki Maa kuch kehne hi wali thi ki fir Priya hi bol padi.

Priya:- Kaisi ajeeb aur bebas haalat ho gayi hai meri...Jis ladke se mai pyar karti hu usse shaadi bhi ho gaya hai...Lekin uska patni hone ka hak mujhe nahi hai aur bahut jald hi usse alag hone wali hu...Aur mai kuch bhi nahi kar sakti.

Priya ne bebas aur udaas aawaj me kaha.

P. Mom:- Jab tu Sameer se itna pyar karti hai to usko batati kyu nahi ki tu usse pyar karti hai...Ek baar bata de apni dil ki baat Sameer ko aur dekhna sab kuch thik ho jaayega...Jab pyar kiya hai to bataana bhi chaahiye...Bina izhaar ke pyar ka koi arth(value) hi nahi hota hai.

Jab tak tu Sameer ko nahi batayegi ki tu usse pyar karti hai to wo kaise jaan paayega...Shaayad wo bhi tujhse pyar karta ho lekin tere dil ki baat na samajh kar tujhse divorce lene ke liye majbur ho...Wo to yahi samjhega na ki tu usse nafrat karti hai.

Priya ki Maa ne samjha kar Priya ko kaha.

Priya:- Nahi Maa...Wo mujhse pyar nahi kar sakta hai...Sameer ne pehle hi Shruti se vaada kiya hai ki mujhse divorce lene ke baad Shruti se shaadi karega.

(Uske baad Priya ne apni Maa ko Shruti aur Sameer ki shaadi tak ki baat bata diya.)

Maa mai acche se jaanti hu abb Sameer ko...Wo apna vaada kabhi nahi todega...Jab usne Shruti se shaadi ka vaada kiya hai to mujhse kyu pyar karega...Aur agar mai usse kahungi ki mai usse pyar karti hu to wo do raah me bhatak jaayega...Ek wo mere saath rehne ke liye majbur ho jaayega ki usne mera jindagi barbaad kar diya aur dusra wo Shruti ke saath shaadi karna chahta hai apna vaada aur pariwar ke izzat ke liye...Pehle hi Shruti ki Maa ne Sameer ka parents ko unke hi ghar me beizzat kiya tha.

Behtar yahi hoga ki mai chup hi rahungi...Issi me sab ka bhalaayi hai...Kisi tarah jee lungi apni jindagi lekin abb ye nahi chaahti ki meri vajah se Sameer ko koi taklif ho...Pehle hi bahut taklif jhel liya hai usne.

Priya ki iss bebas baat par Priya ki Maa bhi kuch nahi keh saki...Unhe kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe aur kya kare...Ek baar fir majbur ho gayi wo apni beti ki jindagi ko taklif me dekhne ke liye.

P. Mom:- Ye sab vakt ka khel hai beta...Pata nahi kab tere bure din khatm honge...Tu uss ladke se pyar kar baithi jiske paas har vajah hai pyar karne ke liye...Shaayad hi koi kami ho Sameer me...Bahut hi accha ladka hai wo...Usme har gun hai jo ek accha ladka me hona chaahiye...Uski baato se hi pata chalta hai ki wo kitna samajhdaar aur jimmedaar hai...Teri baato se pata chalta hai ki hamesha wo sab ki khushi chaahta hai aur bina vajah kisi ko pareshan nahi karta...Agar wo tujhse pyar karega to jindagi bhar tujhe khus rakhega aur koi taklif nahi hone dega...Tune iss baar sahi ladke ko pasand kiya hai...Bas abb yahi dua karungi ki sab kuch thik ho jaaye aur tum dono ek ho jaao.

Priya ki Maa ne udaas aur aasha bhari aawaj me apni baat kaha.

Priya:- Maa mai kitni unlucky hu...Galat vakt me galat insaan se pyar kiya...Jab sab kuch thik tha tab uss dhokhebaaz Karan se pyar kar baithi aur abb Sameer se.

Sameer se bahut hi galat vakt me pyar kar baithi ye jaante hue bhi ki wo mera nahi ho sakta...Jab judaai ka vakt aaya tab usse pyar kar baithi...Aisa lagta hai ki mera pyar karna ek gunaah hai.

Nahi beti...Tune Sameer se pyar kiya isme tera koi galti nahi hai.

Piche khade Priya ki Papa ki aawaj aaya.

Priya ki Papa ki iss aawaj par dono hi chaunk kar unke taraf dekhne lage...Lekin unhone iss baat ka fikar kiye bina aage kehne lage.

P. Dad:- Tune galat vakt par galat insaan se pyar nahi kiya hai...Tune der se sahi insaan se pyar kiya hai.

Mai tujhse baat karne aane hi wala tha ki tum dono ki baat se sab kuch pata chal gaya.

Bas itna kahunga ki abhi bahut vakt hai divorce me...Ek pal hi kaafi hota hai haalat badalne ke liye...Maine dekha hai Sameer ki aankho me tere liye chaahat...Wo bhi tujhse pyar karne laga hai...Lekin abhi wo apne pyar se ya to anjaan hai ya fir iss pyar se dur bhaag raha hai.

Mujhe yakin hai divorce hone tak tum dono ek ho hi jaaoge...Shruti ki asliyat Sameer ko bahut jald pata chal hi jaayega...Mai yakin ke saath keh sakta hu ki wo aisi murkhata dobaara jarur karegi jab tujhe aur Sameer ko paas aata dekhegi aur uss vakt Sameer ko uski asliyat pata chal hi jaayega.

Itna keh kar Priya ki Papa chup ho gaye...Pehli baar unhone aisi baat kahi jisse sunne ke baad Priya khus ho gayi aur aasha ki ek kiran najar aaya Priya ki aankho me.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 96


Kuch der baad Priya ki Maa aur Papa chale gaye...Priya ki Papa ne bahut badi baat keh diya tha ki unhone Sameer ki aankho me bhi Priya ke liye chaahat dekha hai...Ye bahur badi baat tha Priya ke liye.

Kuch der pehle wo Sameer se bicchadne ke baad ki jindagi ko soch kar dukhi thi aur baar baar usko yahi dar sata raha tha ki Sameer ka uske jindagi se jaane ke baad uska kya hoga.

Lekin apne Papa ki baat sunne ke baad Priya ko aasha ki kiran najar aane laga.

Wo Sameer me aaye badlaaw ke baare me sochne lagi...Sameer ka uske saath baat karna, usko dekhna aur muskuraana ye sab sochte hi Priya ke chehre me thoda sa sharm aur muskaan aane laga...Abb usse bhi lagne laga ki Sameer aur wo ek dusre ke liye hi bane hai.

Abb usse Shruti ka bhi koi dar nahi tha...Wo jaanti thi ki aaj nahi to kal Shruti ka asliyat Sameer ke saamne aa hi jaayega...Wo abb iss bare me sochna bhi nahi chaahti thi...Usse to abb apna aur Sameer ke future ke baare me sochna tha.

Wo abb bas Sameer ke saath rehna aur Sameer ko Shruti naam ke tension se dur rakhna hi chaahti thi...Iske alawa usse kisi aur baat ka koi fikar nahi tha.

Yahi sab sochte hue Priya ek baar fir Sameer ke khayalon me khone lagi...Sameer ke saath hua pehli mulakat se lekar aakhiri mulaakat tak ka scene film jaise uske aankho ke saamne chalta raha.

Kabhi usse apne bewkoofi par hansi aata to kabhi Sameer ke baare me galat sochne ke liye khud par hi gussa aata...Karan ka bewafaayi yaad karne par ek bar fir uske dil me halka sa dard utth gaya...Lekin agle hi pal Priya ne khud ko sambhal liya...Sameer ke saath me wo kab Karan aur uski buri yaadon ko bhulti chali gayi usse pata bhi nahi chala...Abb Karan Priya ka kadwi yaadon me hi simat gaya tha.

Sameer ka bhool yaad aur apna shaadi ka vakt yaad karte vakt Priya ko Sameer par ek baar fir se gussa aaya lekin uske aage ke pal ko sochte hi fir se uske chehre me muskaan aa gaya...Ye wohi Sameer tha jisse Priya ko pyar ho gaya tha.

Yahi sab baatein yaad karte hue Priya Sameer ka intejaar karne lagi...Jabse Priya ko yakin hua tha ki wo sach me Sameer se pyar karti hai tabse usne Sameer ko dekha bhi nahi tha.

Dhire dhire uski bechaini bhi badhta hi jaa raha tha...Ghadi me dekha to pata chala ki subah ka 9:00 am baj raha tha...Abhi tak Sameer ghar me waapas nahi lauta ye baat soch kar Priya ko Sameer ka fikar bhi hone laga.

Sameer kaha jaa sakta hai iss baat ka bhi andaaza nahi tha Priya ko...Intejaar ke siwa koi raasta bacha bhi nahi tha...Har ek pal bhaari pad raha tha Priya ko intejaar me.

Aaj Priya ko ehsas hua ki pyar me intejaar kitna tadpaata hai...Kuch vakt pehle wo jis Sameer ko ignore karti thi aaj uske bina ek pal bhi man nahi lag raha tha.

Khair Sameer ki yaadon ki sahare wo Sameer ka intejaar karne lagi...Usse jyada intejaar karna nahi pada...Karib aadha ghanta baad Sameer ghar laut aaya...Sameer ka chehra dekhne par aisa lag raha tha ki wo thoda pareshan hai.

Sameer room me aate hi bed par jaakar baith gaya aur ek gehri soch me doob gaya...Priya ko Sameer ka yun ignore karna bilkul bhi accha nahi laga...Jo Sameer kal tak usse baat karte vakt paagalo jaisa behave karta tha aaj ek dam khaamosh ho gaya aur usse ignore karne laga.

Fir bhi Priya ne iss baat ko ignore karke pucha.

Priya:- Kya hua Sameer...Pareshan lag rahe ho.

Priya ki baat sun kar Sameer ne Priya ko dekha aur kaha.

Sameer:- Ha thoda sa...Shruti ne aaj bhi mood off kar diya.

Sameer ne pareshan aur halka gusse wala aawaj me kaha.

Shruti ka naam sun kar Priya ko bahut gussa aa raha tha lekin usne apne gussa par kaabu karte hue pucha.

Priya:- Kya baat hua Shruti se?

Sameer:- Keh rahi thi ki bahut din ho gaya mujhse mile hue...Aur puch rahi thi ki mai kal hi waapas aa jaau.

Priya:- Fir tumne kya jawab diya?

Sameer:- Maine usse samjhaane ki koshish kiya ki abhi aa nahi sakta...Kuch din baad aa jaaunga...Lekin wo maane ko taiyar hi nahi.

Baccho jaisa jidd karne lagi ki kal mujhe aana hi hoga...Bahut samjhaaya lekin wo maane ko taiyar hi nahi hai.

Issi vajah se mujhe bhi gussa aa gaya aur phone cut karke aa gaya.

Sameer ne bahut gusse me kaha...Uski aawaj se pata chal raha tha ki wo Shruti par kitna jyada gussa hai.

Sameer ke baat sunne ke baad Priya ko bhi Shruti par bahut gussa aa raha tha...Shruti ka Sameer ko yun khilauna ki tarah istemaal karne ki baat Priya ke bardaast ke baahar tha...Lekin wo abhi Sameer ke saamne kuch nahi karna chaahti thi.

Lekin Priya ko Sameer ka Shruti se gussa hona dekh accha bhi lag raha tha...Usse yakin ho gaya ki Sameer abb Shruti par pehle jitna hadd se jyada vishwas nahi karta hai aur Sameer ko bhi Shruti ka asli roop ke baare me dhire dhire pata chal raha hai.

Priya:- To ham kal jaa rahe hai waapas.

Priya ne halka maayus aur gussa ke saath kaha.

Sameer:- Nahi...Jab tum chaahogi tab hi wapas jaayenge...Shruti ki baat ko itna seriously mat lo...Wo to kuch bhi kehti rahegi aur har baat mai maan to nahi sakta...Aur khaas kar aisa bina matlab ke jidd to bilkul bhi nahi.

Itna keh kar Sameer ne gusse me apna munh dusri taraf fer liya.

Sameer ka gussa dekh Priya ko pata chal gaya ki ye gussa Shruti ke liye hai...Usne socha kuch der Sameer ko shaant chhod dena hi thik rahega.

Karib 10 minute chup rehne ke baad bhi jab Priya ko Sameer ka gussa me jyada badlaaw nahi dikha to usne puch hi liya.

Priya:- Abb bhi gusse me ho...Gussa thuk do aur cool ho jaao pehle wale Sameer ki tarah.

Priya ne muskuraate hue kaha ye soch kar ki Sameer maan jaayega...Lekin usse kya pata tha ki Sameer ka ye gussa itni jaldi khatam hone wala nahi tha.

Sameer:- Kaise gussa thuk du...Sehne ke bhi ek hadd hota hai...Bahut seh liya Shruti ka jidd aur nakhre...Abb bardaat nahi hota hai...Wo jaise chaahe waise mujhe nacha rahi hai aur mujhe naachna hi pad raha hai...Warna uska drama kisi sar dard se kam nahi...Pata nahi wo mujhse pyar karti hai ya mujhe apna gulaam samajhti hai.

Sameer ka gussa kam hone ki jagah aur badh gaya.

Priya:- Pyar me itna hak to hota hi hai...Ye sab normal baatein hai isse bhul jaao aur ego par mat lo.

Priya abhi kisi bhi haal me Sameer ka gussa kam karna chaahti thi...Issi liye usne Sameer ko samjha kar kaha lekin Sameer gusse me itna paagal ho gaya tha ki wo koi bhi baat sunna nahi chaahta tha.

Sameer:- Ye pyar nahi khudgarzi hai...Agar wo sach me mujhse pyar karti to mera bhi feelings aur emotions ka respect karti...Lekin nahi wo to mujhe apna gulaam samajhti hai aur apna har ek kaam nikalwati hai mujhse...Ye bhi nahi sochti ki mera marji kya hai aur mai kya chaahti hu.

Sameer ne ek baar fir apna dil ka bhadaas nikala...Iss baar Priya ko laga ki Sameer ko shaant chhod dena hi thik rahega.

Sameer kuch pal to shaant raha lekin agle pal fir gusse me kaha.

Sameer:- Mujhse sach me insaan pehchaane me galti ho jaata hai...Ek tum ho aur dusra Shruti...Meri vajah se tumhe kitna kuch sehna pada yaha tak ki tumhaari jindagi hi barbaad hone wali thi lekin tumne mujhe maaf kar diya aur dosto ki tarah baat karti ho aur fikar bhi karti ho...Lekin dusri taraf ye Shruti...Kabhi chhain se jeene nahi de rahi hai...Hamesha apna nakhre aur be matlab ki jidd se pareshan karti rehti hai...Kuch kaho to munh fulaane ka acting...Tang aa gaya hu mai usse...Pata nahi kis manhoos vakt me usse mulaakat hua tha.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Chehre me gussa abhi bhi jhalak raha tha...Ye sab kehne ke baad usse mehsus hua ki usne kya kaha hai...Kaha kal usne socha tha ki Priya se jitna ho sake utna dur rahega lekin kaha wo apne emotions aur gusse me beh kar Priya ka hi taarif karne lag gaya.

Wo jo nahi chaahta tha wohi karne lag gaya tha...Shruti se dur aur Priya ke karib jo kadam uska chal raha tha ye usse baar baar yahi sochne par majbur kar raha tha ki ye pyar hai ya attraction...Dil kehta tha pyar lekin dimaag iss baat ko jhutha saabit karne ki koshish me kehta tha attraction.

Dusri taraf Priya bahut khus hui Sameer ke munh se apna taarif aur Shruti ka buraayi sun kar...Usse abb yakin ho raha tha ki bahut jald hi Sameer ko Shruti ka asliyat pata chalne wala hai aur usse kuch karne ki jarurat bhi nahi padega jis tarah se Shruti khud hi apni harkaton se Sameer ke dil me apne liye duriyan badha rahi hai.

Priya Sameer ko Shruti se chheen kar paana nahi chaahti thi...Wo bas itna chaahti thi ki Sameer ko khud hi Shruti ki asliyat pata chal jaaye aur Sameer ko bhi usse pyar ho jaaye...Wo apne pyar ko paane ke liye koi chaal ya fir jor jabardasti karna nahi chaahti thi...Wo bas itna chaahti thi ki jaise wo Sameer se pyar karti hai waise hi Sameer bhi usse dil se pyar kare.

Aur ye sab cheej wo vakt ke haatho me chhodna chaahti thi...Abhi ke liye to wo Sameer ko bas apna pyar jataana chaahti thi aur pyar se bhara ek naya rishta ka suruwat karna chaahti thi.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,615
34,949
219
bahut badhiya ..........ab priya ne to apne pyar ka izhar apne maa-baap ke samne kar diya
lekin sameer abhi sachchai se bhag raha hai
lekin shruti ki sachchai dhire-dhire sameer ke samne aa rahi hai

in updates mein sabse ahm kirdar priya ke papa ka raha.....
unhone pahle dinner ke time par sameer se priya ko khush rakhne ki bat kahkar sameer-priya ko man mein jhanknepar majboor kar diya
fir abhi bhi priya se sameer ki ankhon mein pyar dikhne ka kahkar priya ko peechhe hatne se rok diya
aur sath hi ab priya ko divorce ke apne faisle par bhi dobara sochne par majboor hona padega

priya ka faisla sahi hai.......... apne pyar ke dawab ya shruti ke khilaf bhadka kar sameer ka pyar pane ki bajay
shruti ki sachchai sameer khud samjhe aur apne dil se priya ko apnaye

yehi un dono ki jindgi ke liye behtar hoga

keep it up champ bhai
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Abhi to sab sahi chal rha hai lekin lgta nhi hai ki Shruti aisa krne degi _____ nice update
Thanks for your support and review Ajnabi bhai...Shruti kya karegi...Jald pata chalega...Keep supporting.
 
Top