• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
dhire-dhire pyar badh raha hai aur nafrat ghat rahi hai...........priya aur sameer ke beech

lekin...............shruti ki possesiveness.........sameer ke ego ko hurt karne lagi hai.........aur shruti ko backfoot par ana pad raha hai

lekin shruti ne plan B bhi tayyar kiya hua hai...........jo priya ke wapas shahar lautne par active karegi

dekhte hain.....................kya hota hai
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 91


Sameer:- Apna jindagi ko dekh kar muskura raha hu.

Jindagi kya se kya ho gaya kuch pata hi nahi chala...Pehli baar jindagi me itna bada musibat ka saamna kar raha hu.

Itna keh kar Sameer ne Priya ko dekha jo bina kisi bhaaw ke Sameer ko hi dekh rahi thi...Sameer ne Priya ka chehra me hi dekhte hue aage kehna suru kiya.

Sameer:- Issi liye muskura raha tha ki jindagi ko kya samjha tha aur asal me jindagi kya hai.

Tumse milne se pehle kabhi socha nahi tha ki jindagi me kabhi mushibat aur aise bure pal bhi dekhna padega...Socha tha kitna sukhi aur ashaan jindagi mila hai.

Ye nahi kahunga ki mera life hamesha hi acche se aur khushi se guzra hai...Choti moti tension to sabhi ke life me hota hai...Jaise exam ke time result ka tension, Sports me apne favourite team ki jeet ka tension, koi dost ya rishtedaar hospitalized ho jaaye to uska tension aise chhoti chhoti tension to bahut aaya hai mere life me bhi.

Lekin isse kuch khaas fark nahi pada...Jindagi me kabhi dukh jhela hi nahi...Naa hi garibi ka saamna kiya aur naa hi jindagi me kabhi sangharsh karna pada...Hamesha Maa aur Papa ka saath mila...Aur unhone jindagi me koi kami rehne nahi diya.

Dosto ki bhi koi kami nahi tha...Mahesh aur Rajesh ke roop me aise dost mile jo dost kam bhai jyada the...Mahesh ka dosti aur saath bachpan se hi mila...Aur bahut khus nasib hu ki Mahesh jaisa dost mujhe mila.

Dost to aur bhi thhe koi vakt aur haalat ki vajah se dur ho gaye to koi khud dur ho gaye...Khair Mahesh aur Rajesh ne kabhi jindagi me dost ki kami mehsus nahi hone diya.

MBA join karne tak jindagi aise hi khushi aur masti me bit gaya...Kabhi koi khas dukh nahi jhelna pada aur jindagi se koi shikaayat bhi nahi tha.

Sabse badi khusi iss baat ka tha ki mere paas jitna kuch bhi tha mai ussi me santust tha...Kabhi kuch jyada paane ka laalach nahi rakha aur dil me kisi ke liye koi buraayi nahi tha...Dil ka hamesha hi saaf raha hu...Bas yahi vajah tha ki hamesha khus rehta tha aur aas paas ke logo ko bhi khus rakhne ki koshish karta tha.

Socha tha saaf dil aur positive attitude rakhne se jindagi hamesha khushi khusi kat jaata hai...Agar koi mushibat aa bhi jaaye to aashani se uska saamna kar sakte hai.

Lekin mai puri tarah se sahi nahi tha...Saaf dil aur positive attitude to jaruri hai lekin haalat aur insan ko pehchaane bhi padta hai aur apna emotions bhi control karna padta hai.

Ham chaahr kitna bhi accha rehne ji koshish kyu na kare koi na koi dushman ban hi jaata hai...Galat logo ki koi kami nahi hai iss duniya me...Karan, Ramesh aur Pratap ye tino bhi mera kab dushman ban gaye pata hi nahi chala.

Shaayad uss time khud par jyada hi overconfident tha ki ye Pratap aur Ramesh mera kuch bigaad nahi paayenge...Aur inki taakat ko underestimate kar diya...Ye to pata nahi ki Shruti ko kisne wo tape diya lekin ye yakin ke saath keh sakta hu ki mera bhool ke piche inn dono kamino ke planning jarur hoga warna wo Pratap aur tumhaara shaadi ki baat kabhi chalta hi nahi.

Khair maine haalat ko pehchaane me galti kar diya...Rajesh ka accident ki baat sun kar mai apne emotions par kaabu nahi kar paaya aur itna aggressive ho gaya ki tumhaare jindagi ko har haal me barbaad karne ke liye socha.


Ek baat to samajh gaya ki ham chaahe jaise bhi hai lekin ham me haalat aur insaan ko pehchaane ki shakti hona chaahiye...Warna koi bhi hame apne faaidaa ke liye apni tarah se istemaal kar sakta hai.

Bhool karne ke baad mujhe pata chala ki mushibat kisse kehte hai...Mere liye ek aisa situation paida ho gaya tha jisme har taraf se mushibat aa raha tha...Aise haalat ho gaye the ki chaah kar bhi koi mera saath nahi de sakta tha...Fir bhi Maa, Shruti, Rajesh aur Mahesh ka saath mila.

Pehli baar jindagi me sangharsh kiya...Khud se bhi ladna pada aur apno ke liye bhi...Tumse shaadi karne ka decision bhi aisa tha jaise khud semaine jung lada tha...Tumse shaadi karne ka matlab jaanta tha mai...Ek bahut bada tufan ko bulaawa diya tha maine sab kuch jaan bujh kar...Lekin uss vakt wohi sahi laga mujhe.

Iss baat ka khusi bhi hai ki sab kuch jaan kar anjaan nahi bana aur haalat ka saamna kiya...Apna charecter, insaaniyat aur self respect kabhi girne nahi diya...Bhale hi sabhi ka najron me gir gaya lekin apni najaron me nahi gira...Ha apne bhool ka afsos aur paschataap jarur tha lekin ek bahut bada bhool karne se khud ko rok liya Pratap aur tumhara shaadi rok kar.

Iss bhool ne bahut kuch sikhaya...Sabse badi baat to ye ki mushibat bata kar nahi aata hai aur jab bhi aata hai ham isse puri tarah anjaan hote hai...Jab uska anjaam dekhte hai tab pata chalata hai ki ye mushibat kahi na kahi apni hi galti ki vajah se aaya hai...Agar ham iska saamna nahi kar sakte hai to toot kar bikhar jaate hai aur agar saamna kar liya to ek garv mehsus hota hai ki maine iss mushibat ka saamna kar liya hai aur maine apna galti sudhar liya hai aur khud ko mushibat se bacha liya hai.

Ek baat to tay hai ki jindagi me naa hi kabhi aisa bhool dobara karunga aur naa hi aise haalat aane dunga.

Iss bhool ne ek baat aur sikha diya ki jindagi me chaahe bure se bure pal kyu na aaye mai himmat karke uska saamna kar sakta hu...Apni bhool se anjaan ban kar piche nahi hatunga.

Jindagi me agar koi saath de to mushibato ka saamna karne me jyada taklif nahi hota...Maa, Rajesh aur Mahesh ka saath aise vakt par mila jab mujhe iska bahut jyada jarurat tha...Warna mai bhi shaayad toot kar bikhar jaata.


Itna kehne ke baad Sameer kuch der ke liye chup ho gaya aur fir aage kehna suru kiya.

Bas aise hi jindagi ke baare me soch kar muskura raha tha...Jindagi ke unn mushkil pal ko soch raha tha jab maine apna taakat aur bhool ko pehchana...Aur sabse badi baat jindagi hamesha aashan nahi hota hai jaisa ham sochte hai...Bahut mushkilein aata hai jinka hame dat kar samna karna padta hai....Yahi to jindagi ka maja hai...Hamesha khus rehna bhi kaisa jindagi hai...Aise me jindagi ka matlab aur sangharsh ka kabhi pata nahi chalta hai.

Itna kehne ke baad Sameer ne fir Priya ko dekha...Jo Sameer ko hi dekh rahi thi lekin uske chehre me abhi bhi koi bhaaw nahi tha...Sameer ki baat usse bhi sach laga par iss baat par kya kehna hai usse kuch samajh me nahi aaya...Wo chup hi rahi.


Sameer:- Priya mera ye bhool ye bhi tha ki maine tumhe bhi pehchaane me galti kar diya.

Priya Sameer ki iss baat par abb hairaani se uski taraf dekhne lagi.

Sameer:- Tumhaare baare me galat socha tha maine...Kaash uss pal samajh jaata ki tum kaun ho aur kaisi ho to shaayad ye bhool kabhi nahi karta.

Jitna bura sochta tha tumhe usse bhi jyada acchi nikli tum...Bhale hi tum mujhse naraaj thi lekin tumne mere Maa aur Papa se koi naarajgi nahi dikhaaya...Unhe bhi apne Parents ki tarah hi respect deti rahi.

Agar chaahti to tum mujhe apne hi najaro me giraane ki koi kami nahi chhodti lekin tumne aisa nahi kiya aur yaha tak ki tumne aaj mujhe maaf bhi kar diya...Bahut bada dil hai tumhara aur sahi galat ka bhi accha pehchaan hai.

Kaash mujh me bhi sahi galat ka pehchaan pehle hi ho jaata.

Itne dino me tumhe bahut acchi tarah se jaan liya hai maine...Tumhara acchaayi, sabhi ka care karna, sabhi se baat karne ka tarika, tumhaara apne jimmedaariyon ko nibhaana sabhi ko respect karna ye sab dekh kar khud par hi sharm aa raha hai ki kaise tumhe itna galat samajh liya.

Tumhe ek bahut acchi beti aur dost(Divya ka) ke roop me jaan liya hai maine...Aur ye bhi jaanta hu ki jisse bhi tumhaara shaadi hoga baad me uska jindagi khushiyon se rang jaayega...Aur wo ghar swarg se kam nahi hoga...Har ek gun maujood hai tum me jo ek acchi ladki aur patni me hona chaahiye.

Sameer ki aawaj me fir se ek udaasi aa gaya jab usne kaha ki jisse bhi tumhaara shaadi hoga...Usse samajh nahi aa raha tha ki usse itna bura kyu lagne laga hai jab bhi wo Priya se dur rehne ki baat karta hai tab.

Khud itne dukhi hone ke baawjud tum dusro ki khushiya dekhna chaahti ho...Bhale hi tumhaare ghar me bahut bada parshaani tha lekin tumne kisi ke saamne ye baat jaahir nahi kiya aur dusro ki khushi me bhi apna khushi dhundti rahi...Bahut mushkil hai iss tarah se apne emotions ko control karna jo tum jaise kuch log hi aisa kar sakte hai.

Priya ko Sameer ki baat sunn kar bahut khushi hua ki abb to Sameer ne usko acche se pehchaan liya hai...Aur apni galtiyon ka ehsas bhi usse acchi tarah se ho gaya hai...Lekin abhi bhi wo kuch nahi boli...Bas Sameer ko hi sunti jaa rahi thi.

Sameer:- Kaash Shruti bhi tum jaisi hi hoti...Kaash usme bhi sabhi ke liye fikar, caring aur acche se behave karna aata...Dil ka bura wo bhi nahi hai...Lekin uski harkat hi aisa hai ki sab usse bahut jald irritate ho jaate hai.

Agar mera shaadi Shruti se ho gaya to bas yahi dua karunga ki kaash usme koi badlaaw aa jaaye aur tumhaare saare gun usme aa jaaye.

Sameer itna keh kar fir chup ho gaya...Kehne ke baad samajh me aaya ki usne fir kya keh diya hai...Wo Priya ki taarif kuch aise dhang se kar raha tha jaise usko Priya se pyar ho gaya hai.

Aaj Priya ne Sameer ka ek aur naya roop dekha...Sameer ka Priya ko iss tarah respect karna Priya ko bahut accha laga...Ek aur acchaayi dekha usne Sameer ka...Aise hi wo bhi Sameer ko aur acche se jaane lagi aur Sameer ka har ek khubiya usko Sameer ke aur paas laa raha tha aur uske dil aur dimaag me Sameer ke liye ek alag jagah banne lag gaya.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 92


Sameer:- Ham kaha jaa rahe hai?

Kuch der chalne ke baad Sameer ne Priya se pucha...Sameer aur Priya Iss vakt gaanw ke khet me chal rahe the.

Priya:- Tum ne hi to kaha tha ki gaanw ghumna chaahte ho...Issi liye tumhe gaanw ghumaane le jaa rahi hu.

Sameer:- Wo to pata hai...Lekin jaa kaha rahe hai...Mera matlab hai ki kis jagah par jaa rahe hai...Mandir me, jungle me, river side me, dhaabe me, baajar me ya fir kahi aur.

Priya:- Yaha ghumne laayak jyada jagah to nahi hai...Jungle aur Mandir hi hai jaha ham ghumne jaayenge...Abhi shaam ka vakt hai...Abhi jungle ki taraf chalenge aur kal subah mandir.

Sameer:- Hmm...Thik hai...Mausam bhi accha hai abhi...Dhalta Suraj aur thandi hawa maja aayega...Aaj tak jungle kabhi ghuma nahi hai...Dekhte hai kaisa maahaul hota hai waha...Suna hai jungle bahut hi sun saan aur jungali jaanwar se bhara hota hai.

Sameer ne utsaahit ho kar kaha.

Priya:- Lekin abhi hame karib aadha ghanta chalna hoga yaha se...Thoda dur hai...Kya tum chal paaoge utna dur.

Priya ne muskura kar kaha aur uski baato se aisa lag raha tha ki wo Sameer ka majaak udaa rahi thi majaak me.

Sameer:- :roll: Nahi...Kisi dusre din chalenge...Aaj to abhi se pair me dard ho raha hai...Ek kadam bhi abb aage nahi chal paaunga.

Sameer ne bhi Priya ka majaak ka jawaab diya wo bhi muskura kar.

Priya:- Tum aaj tak jungle nahi gaye? Bahut hairaani ki baat hai.

Aage chalte hue Priya ne pucha.

Sameer:- Abb sheher me kaha see jungle laaunga mai...Haa zoo jarur gaya hu...Lekin waha jungle wali feelings nahi aata hai...Kaid jaanwar ko dekhne me Koi maja nahi hai...Waise bhi jyada vakt mai Ghar par hi spend karta hu.

Sameer:- Iss jungle me kitne khatarnaak jaanwar hai.

Kuch aage chal ke Sameer ne pucha...Priya ko Sameer ke kehne ke andaaz see kuch samajh me nahi aaya ki Sameer ye sawal kyu puch raha hai.

Sameer ne Priya ke chehre ki hairaani ko dekh kar kaha.

Sameer:- Matlab yaha jungle me Koi khatarnaak jaanwar hai jaise Sher, Cheetah, Bhalu, Bhediya aur Magarmach.

Abb Sameer thoda muskura kar keh raha tha.

Priya:- Nahi lekin kyu...Tumne to kaha tha Tumne zoo me dekh liya hai.

Agar ye sab jaanwar hote to kaun paagal jungle ghumne jaata...Jungle jyada bada nahi hai...Chota sa jungle hai aur log bas lakdi aur ghaas ke liye jungle me jaate hai.

Sameer:- Ohh...Bad luck...Socha tha aaj khunkhaar jaanwaron ka shikaar karunga...Suna hai bahut majaa aata hai.

Sameer ki baato se saaf pata chal raha tha wo majaak kar raha hai.

Gaanw me aane ke baad Sameer aur Priya ke bich bahut kuch badal chuka tha...Abb dono ko ek dusre see baat karne me aur baat sunne me bahut accha lagne laga tha aur dono ke bich ek alag hi relation ban gaya that jiske baare me dono hi anjaan the.

Aaj bhi maahaul aisa hi tha...Sameer ko Priya see baat aur majaak karne me bahut accha lag raha tha aur to bewkoof jaise majaak karta jaa raha tha.

Jab se wo Priya ke saath gaanw ghumne ke liye nikla tha wo ye bhi bhul gaya ki kabhi usne Priya see jyada najdiki nahi badhaane ka socha tha...Bahut dino ke baad wo Priya ke saath khule me ghumne ka majaa le raha tha.

Aaj Priya ka saath aur baat karne me usko bahut majaa aa raha tha...Usse khud pata nahi tha ki wo Priya se kya baat kar raha hai lekin usse baat karne me bahut hi maja aa raha tha.

Dusri taraf Priya ko bhi Sameer ke saath gaanw ka tour bahut accha lag raha tha...Sameer ka muskura kar use baat karne se Priya ki chehre me bhi muskaan aa raha thank aur Sameer ka ye naya roop Priya ko bhi bahut accha lag raha tha.

Priya ko Sameer ki baatein accha to lag raha tha lekin saath me thoda ajeeb bhi lag raha tha.



Priya:- Kya paagalon jaisa baat kar raha hai...Jaanwaro ka shikar.

It a keh kar Priya khil khila kar hasne lagi...Sameer ko Priya ka ye hansta hua chehra dekh uske chehre me bhi ek muskaan aa gaya...Aur usko aisa lag raha tha jaise ek alag hi sukoon mila ho uske dil ko...Aur muskuraate hue usne pucha.

Sameer:- Kyu nahi kar sakta hu Kya?

Priya:- Kar sakte ho...Tum to dinosaur ka bhi shikaar Kar sakte ho.

Priya ka hansi pehle jaisa hi tha...Sameer ka paagal pan dekhne ke baad na jaane kitne dino baad wo hansi thi.

Sameer:- Ha sahi kaha tumne...Lekin Kya karu...Kismat hi kharab hai...Galat vakt par paida ho gaya.

Priya:- Kya Matlab?

Iss baare Priya ne chaunkte hue pucha...Sameer ka har baat ki tarah iss baat ka matlab bhi wo samajh nahi paayi.

Sameer:- Matlab ye ki agar jurrasic period me paida hua hota to kar sakta tha dinosaur ka shikaar.

Sameer ne aise kaha jaise wo bahut niraash hai.

Priya:- Majaak bahut accha karte ho Mr. Shikaari...Abb bas bhi karo...Warna tumhara majaak ka kahi mai shikaar na ban jaau hanste hanste.

Sameer:- Nahi aaj tak koi bhi mera hansi majaak ka shikaar nahi bana hai aur aage bhi nahi banega...Ha kuch kamine hai abhi bhi jinhe mera last aur mukko ka shikaar banna hai.

Issi tarah hansi majaak karte karte Sameer aur Priya chal rahe the jungle ki taraf.

Abb karib 10 minute ka raasta baaki that jungle ki taraf ki Sameer ne dekha ki thodi hi dur par kuch log cricket khel rahe the.

Sameer unki taraf dekh hi raha tha ki ek shot par ball bahut hi long aur high udd gaya...Sameer ne ball pakadne ke baare me socha aur thoda daud Kar ek halka sa dive laga kar ball pakad liya.

Catch to bahut accha Kiya lekin iss catch karne ki chakkar me Sameer ka haath niche jameen par pade kuch pattharo me kuch jagaho par cheel gaya aur thoda khun behne laga...Sameer ne ball logo ki taraf fenk diya aur apne haath ko dekhne laga.

Priya bhi kuch hi der me Sameer ke pass aa gayi...Jab usne Sameer ke haatho ka jakhm aur khun dekha to bahut dar gayi.

Priya:- Itna khun aur itna gehra jakhm...Acche se dikhaao.

Priya ne darte hue Sameer ka daaya haath apni taraf ghumaya.

Sameer:- Bas chota sa ghaaw hai aur jyada dard bhi nahi ho raha hai...Kuch der me thik ho jaayega.

Sameer ka bas Itna hi kehna tha ki Priya ne bahut hi jyada gussa Wala najar se Sameer ko dekha aur kaha.

Priya:- Chup raho aur and bakwas band karo...(Sameer ka haath dekh kar) Ye tumhe chota sa ghaaw lag raha hai.

Priya ka dar aur gussa dekh Sameer ne chup rehna hi behtar samjha.

Priya ka uske liye ye fikar aur ghabrahat dekh Sameer ko accha lag raha tha aur kuch pal ke liye wo apna haatho ka dard bhi bhul gaya tha.

Kuch hi palo me usko fir dard mehsus hua.

Usne apne haath ko dekha to paaya ki Priya Sameer ka towel ( Jo usne saath me laaya tha) usko Sameer ke haath me lapet rahi thi.

Priya:- Abb jaldi Ghar chalo...First aid karna hai...Abhi ke liye khun behna band ho gaya hai...Lekin fir bhi infection ho sakta hai.

Priya ki baat me request Kam order jyada tha...Sameer bhi kuch kahe bina uske pick chal pada.

Raaste me Priya Sameer ko bahut baat sunaa rahi thi lekin Sameer chup chaap muskuraate hue sunta jaa raha tha.

Aise hi Karen 15 minute me dono Ghar par pahunch gaye...Ghar me Koi nahi tha...Priya ke Maa aur Papa baahar gaye the...Lekin dono ko abhi iss baat see koi matlab nahi tha.

Priya ne jaldi see first aid ka kit ka intejaam Kar liya jaldi se.

Aur bina koi der kiye usne Sameer ka haath pakad Kar thanda aur saaf paani aur cotton se pehle uss jakhm ko saaf Kiya...Fir ghaaw me Dettol lagata.

Dettol lagaate vakt halka sa cheekh Sameer ke munh se nikla...Priya ne Sameer ko aankhe dikhaya lekin kuch nahi kaha aur haldi se bandage baandh diya aur pucha.

Priya:- Tum to keh rahe the ki koi dard nahi ho raha hai fir ye cheekh kaise.

Sameer:- Dettol ghaaw me lag gaya tha Issi liye.

Sameer ne masoomiyat see jawaab diya.

Priya:- Kya jarurat thank aise paagal pan karne ka...Tumhara dimaag to thikaane par hai.

Priya ne naraajgi aur fikar ke saath kaha.

Sameer:- Bahut din ho gaya tha cricket bina cricket khele...Issi liye catching practice Kar raha tha.

Priya:- Sach me paagal ho tum...Vakt aur jagah ka bhi to khayal karo...Wo koi diving lagaane ka jagah tha kya.

Priya ka iss baat ka Sameer ne koi jawaab nahi diya...Wo bas gunehgaar ki tarah Priya ko dekhe jaa raha tha...Aaj Priya ka uske liye fikar aur gussa dekh Sameer ka Dil me Priya ke liye izzat aur pyar aur badh gaya.

Priya:- Khud ko chot pahuncha liya aur pata hai mai kitna pareshaan ho gayi thi.

Priya ne naraajgi ke saath kaha.

Sameer:- Kyu?

Achanak hi Sameer ke munh see nikal gaya.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
UPDATE 93


Priya:- Kyu ka kya matlab...Tumhe chot laga dekh kar ghabra gayi thi aur ghar bhi bahut dur tha first aid karne ke liye...Issi liye ghabra gayi thi ki jyada infection na ho jaaye.

Sameer:- Isme ghabraane ki kya baat...Dinosaur ka shikaar karne wale ko choti moti bacteria apna shikaar nahi kar sakta.

Sameer Priya ka chehra dekh hansta hua bola.

Priya:- Abb apna bakwas band karo aur rest karo.

Priya ne aankhe dikhaa kar kaha.

Sameer:- Itni choti si baat ke liye bed rest...Mai itna bhi kamjor nahi hu ki jara sa bhi chot lagne par haar maan kar bed par lait jaau.

Priya:- Accha to kya karoge.

Sameer:- Chup chaap baith jaaunga...Kar bhi kya sakta hu.

Sameer ne aise kaha jaise wo majbur hai.

Sameer ke kehne ke andaaz se Priya muskuraane lagi.

Priya:- To thik hai...Abb ek dam chup ho jaao...Aur rest karo...Bahut bolne lag gaye ho aaj kal.

Priya ne muskurakar kaha.

Sameer:- Tumne hi to kaha tha ki pehle wale Sameer ban jaao...Wohi to banne ki koshish kar raha hu.

Hamesha muskuraate rehne wala aur dusro ke chehre par bhi khushi laane wala.


Priya:- To tum pehle itna laaparwah thhe.

Sameer:- Kya matlab.

Sameer ne chaunkte hue kaha...Wo Priya ki baat ka matlab samajh nahi paaya.

Priya:- Matlab ye ki tum pehle itne laaparwah the...Khud ki tabiyat ki chinta na kar ke aise hi hansi majaak karte the jaise abhi kar rahe ho.

Sameer:- Ha...Dosto ke liye hamesha se aisa hi hu.

Sameer ne muskuraate hue kaha.

Priya:- Aur Maa aur Papa ke saamne.

Sameer:- Unke saamne bhi aisa hi hu lekin limit me...Warna daant bhi sunna padta tha.

Priya:- Accha mai thodi der ke liye baahar jaa rahi hu...Aur tum pehle wala Sameer baad me banna...Abhi rest karo.

Itna keh kar Priya baahar chali gayi aur Sameer room me akela reh gaya.

Sameer akele bore hone laga...Haath ke taraf dekha to pata chala ki jitna socha tha ghaaw usse aur bada aur gehra tha...Abb halka halka dard ka ehsas bhi hone laga tha.

Priya se baat karte vakt to jo bhi dard hua tha usko chhupa liya tha aur baato me itna vyast ho gaya tha ki dard ka jyada ehsaas bhi nahi hua.

Lekin abb akele me thoda dard aur akelapan mehsus ho raha tha.

Aise hi wo fir Priya ke khayal me kho gaya.

Aaj Priya ke saath gaanw me ghumte vakt ka saara drishya fir uske aankho ke saamne ghumne laga...Waha par hua Priya se baat cheet, majaak aur Priya ka uske liye fikar yaad kar ke Sameer ke hontho me ek muskaan aa gaya.

Aur munh se bas itna hi nikla.

Kya socha tha Priya ke baare me aur asal me kya nikli...Sach me mujhse Priya ko pehchaane me galti ho gaya.

Sameer ye sab soch hi raha tha ki kuch der me Priya bhi room me aa gayi.

Sameer ko gehri soch me duba dekh Priya ne pucha.

Priya:- Kis soch me dube ho?

Priya ki baato se Sameer hosh me aaya lekin wo Priya ke soch me itna gumm tha ki Priya ne kya pucha usse pata hi nahi chala.

Aankho se hi pucha usne Priya ko ki wo kya puch rahi thi.

Priya:- Kis soch me itna dube hue the ki aas paas kya ho raha hai ye bhi pata nahi chal raha hai.

Sameer:- Ek gehri soch me tha.

Sameer ne gambhir hokar jawaab diya.

Priya:- Aur wo gehri soch kya tha...Wo bataane ka kasht karoge.

Priya ki baato se lag raha tha ki wo bhi majaak ke mood me hai

Sameer:- Hmm...Soch raha tha ki wo jungli jaanwar kitne lucky the aaj...Jo mere haatho ka shikaar hone se bach gaye.

Sameer ne ek dam se chehre ki gambhirta ko badla aur majaak karte hue bola.

Sameer ki iss majaak se Priya ka muskaan aur bhi badh gaya aur boli.

Priya:- Maine tumse kya kaha tha.

Priya ne bhi gambhir aur naraaj hone ka acting karte hue pucha.

Sameer:- Accha sorry...Abb no majaak only rest.

Itna keh kar Sameer ne muskura kar Priya ko dekha aur bed par lait gaya.

Ek baar fir khaamoshi chaa gaya dono ke bich...Lekin ye khaamoshi bhi dono ko aur karib laa raha tha.

Dono abb bas ek dusre ke baare me hi soche jaa rahe the...Abb unhe bas ek dusre ki achaayi aur ek dusre se kiya hua baat hi yaad aa raha tha...Dono ek dusre ki paagal pan ko yaad karte hue kabhi muskuraate to apne paagal pan par apne maathe par haath maar lete the.

Dono ne abb ek dusre ko chor najar se dekhna bhi suru kar diya tha...Dono ko ye sab ka vajah aur suru ho chuka pyar ka ehsas ke baare me pata to nahi tha lekin ye sab karna dono ko hi accha lagne laga tha.

Dono ko abb ek dusre ki aadat padne laga tha aur ek dusre ke aankho ke saamne hone se ek sukoon milne laga tha...Kul milaa kar dono ke bich paida ho chuka feelings abb vakt ke saath aur bhi jyada badhne laga tha aur issi ke saath pyar ka suruwat jisse dono hi anjaan the.

Priya ke baare me sochte hue Sameer ke dimaag me ek baat aaya.

Sameer:- Priya

Priya Sameer ki iss baat se hosh me aayi aur Sameer ki taraf mudd gayi.

Sameer:- Ek baat puchna tha.

Priya ne bhi haa me sar hilaa diya aur Sameer ko anumati diya.

Sameer:- Tumne to kaha tha ki divorce ke baad tum desh chhod kar baahar chali jaaogi...Abb kya soch hai tumhaara.

Sameer ko apna dil me kuch chhubhta sa laga jab usne divorce ka baat kaha...Usse laga ki usse abb Priya ka saath accha lagne laga hai issi liye usko ye feel hua.

Ye baat to usse bhi pata tha ki kuch dino baad dono alag ho hi jaayenge divorce hone ke baad.

Dusri taraf divorce ki baat sunne ke baad Priya ko bhi aisa laga jaise wo aasmaan me udd rahi hai aur kisi ne uaka pankh kaat kar jameen me patak diya ho.

Kaha wo Sameer aur apne aane wale dino ke baare me soch kar muskuraati jaa rahi thi lekin agle hi pal Sameer ka sawal ne uske saare muskaan cheen liya.

Usse bhi iss baat ka ehsas ho gaya ki Sameer aur uska saath bas kuch dino ke liye hi hai uske baad Sameer Shruti ka ho jaayega.

Dil me ek dard utth gaya iss khayal se lekin kisi tarah se khud par kaabu karke usne kaha.

Priya:- Abb kahi nahi jaaungi...Sabhi ka saath mil gaya hai aur sab apne hi hai...Koi paraya nahi lagta abb...Jo bhi gile shikwe the sab khatam...Bas Papa se abhi bhi shikaayat hai lekin wo bhi badal gaye hai abb.

Divorce hone ke baad kuch dino ke liye yaha ghar me aa jaaungi aur apne Maa aur Papa ka kuch sewa karungi...Uske kuch dino baad fir Maa aur Papa mera shaadi kara hi denge...Uske baad jindagi jaha marji le jaaye.

Priya ne ek dard bhari aawaj me kaha.

Kuch pal chup rehne ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Fir ye bhul mat jaana ki Sameer naam ka bhi koi dost tha tumhaare jindagi me.

Ha jaanta hu mai tumhaari jindagi me hamesha ek kadwi yaad ban kar reh jaaunga...Ho sake to maaf kar dena aur kabhi jarurat pade to ek aawaj dena...Sab kuch bhul kar aa jaaunga tumhaara madad karne.

Bhagwaan kare ki jisse bhi tumhaara shaadi ho wo mujhse bhi laakh guna accha ho...Aur kabhi tumhe taklif ka ehsaas bhi hone na de...Tumhaari jindagi me abb bas khushiya hi aaye.

Ek dard bhari aawaj me Sameer ne bhi Priya ko dua de diya...Divorce ki baat se jitna dard Priya ko hua tha waisa hi dard Sameer ko bhi.

Dard me kya kya kehta chala gaya iss baat ka bhi hosh nahi raha Sameer ko...Kisi tarah se apne dil ka dard baahar nikaal liya.

Kehne ke baad pata chala ki uske munh se kya nikla hai...Thoda sa ghabra kar usne Priya ko dekha jo hairaani se uske taraf hi dekh rahi thi.

Sameer ka dard bhari aawaj aur uski baatein sunne ke baad Priya ek dam se chaunk gayi...Wo Sameer ki baat ka matlab samajhne ka koshish kar rahi thi.

Dusri taraf Sameer bhi khud se naraj tha ki usne Priya ke saamne kya kya baat kiya...Galat vakt par galat baat kehne ki vajah se wo khud par hi gussa ho gaya...Wo samajh nahi paa raha tha ki Priya ka alag hone ki baat se usse itna dard kyu mehsus hone laga hai jo wo khud par kaabu nahi kar paa raha hai aur iss tarah se apne feelings kehne ke liye majbur ho gaya hai.

Ye sab sochne ke baad ek najar usne Priya ko dekha aur agle hi pal darte hue khud ko taiyaar kar liya Priya ko jawaab dene ke liye.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Friends aaj bhi 3 updates post kiya hai...Padh kar apna review jarur dijiye.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
9,776
37,574
219
:applause:
bahut jabardast narratekiya hai champ bhai aapne..............
priya aur sameer ke ek dusre ke liye feelings, emotions, care aur attraction ko

aur akhiri update mein...............
dono ke hi man mein ek dusre se bichadne ka dard bhi

superb............

keep it up
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
:applause:
bahut jabardast narratekiya hai champ bhai aapne..............
priya aur sameer ke ek dusre ke liye feelings, emotions, care aur attraction ko

aur akhiri update mein...............
dono ke hi man mein ek dusre se bichadne ka dard bhi

superb............

keep it up
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Keep supporting.
 
Top